Hamesha Deir Kar daita Hoon ...Hamesha deir kar daita hoon mein
hur kaam karney mein
Zaroori baat kehni ho
koi wada nibhana ho
Usay awaz daini ho
usay wapis bulana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Madad karni ho us ki,
Yaar ki dharas bandhana ho
Boohat dareena rastoon per
kisi sai milna jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Badaltay mosamoom ki sair mein
dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho,
kisi ko bhool jana ho
Hamesha deir kar daita hoon mein
Kisi ko muat sai pehlay
Kisi gham sai bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Us ko ja kay batana ho
Hamesha deir kar daita hoon meinGila Bhee Nahee ...
Bichar giya hai too ab is say kuch gila bhee nahee
Keh sach too yah hai k wo shaks mara tha bhee nahee
Main cahtee hoon isay or cahnay k siwa
Maray liya koi rasta bhee nahee
Hum ak dosray ki simt chal paray thay magar
Kadam rukay bhee nahee rasta kata bhee nahee
Dhowan sa kuch too yahan baraf say bhee utha hai
Soo dil jalon ka yah asa koi pata bhee nahee
Ragoon main jamay howay khon ki taha hai
Wo harf-e-hijar jo is nay abhee kaha bhee nahi..![]()
__________________________________________________
Do You Yahoo!?
Tired of spam? Yahoo! Mail has the best spam protection around
http://mail.yahoo.com



















