Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Vishesh Jaimala - Gulzar (Modified!!!!)   Message List  
Reply | Forward Message #1402 of 2473 |
Fauji bhaiyon, aadaab. Bahut din baad phir aapki mehfil mein shaamil
ho raha hoon. isse pehle jab bhi aapke paas aaya to koi na koi nayi
tarkeeb lekar, koi na koi nayi aaghaash lekar gaano ki, jismein maine
kai tarah ke gaane aapko sunaaye jaise 'rail' ki paTri par chalte
huye gaane sunaaye the ek baar, woh tamaam gaane jinmein 'rail' ke
paTri ki aawaaz bhi sunaayi deti hai. aur ek baar aam aadmi ke maslon
par gaano aapko sunaaye jo Laxman ke 'cartoon'-on jaise lagte hain.
lekin mazaak ke peechhe kahin bahut gehre bahut sanjeeda dard bhare
huye hain in gaano mein. bachchon ke saath gaaye gaane bhi aapko
sunaaye, khelte kudate huye gaane, loriyaan sunayee aapko, aur bahut
se doston ki chiTThiyaan jab aayi, chaahnewaalon ki chiTThiyaan aayi
jinmein shikaayaten bhi, gile bhi, shikwe bhi, unmein ek baat bahut
se doston ne kahee ki har baar aap kuchh mazaak karke, hans-hansaakar
radio se chale jaate hain, jitni baar aap aate hain, har baar ham
aapse kuch sanjeeda baaten sunna chaahte hain, ki
sanjeeda 'situation'-on par aap kaise likhte hain, kya likhte hain,
aur haan, yeh kisi ne naheen kaha ki kyun likhte hain? fauji bhaiyon,
aap to watan ki sarhadon par baiThe hain, aur main aapko bahlaate
huye aapke parivaaron ko bhi bahlaane ki koshish karta rehta hoon.
haan, un sarhadon ki baat kabhi naheen karta jo dilon mein paida ho
jaati hain. kabhi juDti huyi, kabhi TuTti huyi, kabhi banti huyi, gum
hoti huyi sarhaden, ya sirf haden. is tarah ke rishte sabhi ke
zindegi se guzarte hain, woh zindegi jise ek subah ek moD par dekha
tha to kaha tha, haath milaa ae zindegi, aankh milaake baat kar...

Song: ek subah ek moD par haath maine kahaa usey rok kar (Hip Hip
Hurray)

haath milaa ae zindegi, aankh milaake baat kar. sach to yeh hai ki
zindegi se haath milaa to zabaan Gotaa khaa gayi. phir baat naheen
nikli munh se. aankhen jaane kya kya kehti rahi, kabhi samajh aaya,
kabhi naheen aaya, haan mehsoos ke baGair na reh sake. ataa pataa
poochhne lage. miya Javed ke zabaan se kuchh yun nikla...

Song: chehra hai ya chaand khila hai (Saagar)

naam pataa naheen, chehre ke liye tashweejen DhoonDte hain, ishtaare
DhoonDte hain, upama ki talaash karte hain. zikr us parivash ka aur
phir bayaan apna. Ganodgi mein kahe huye sher, neend ke aalam mein
soche huye misre, dhundle dhundle se khwaab waale chehron ki pehchaan
bataate hain, aise khwaab kiske aankhon se na guzre honge, aise
khwaab, inki parchhaaee kiske dil pe na paDee hongi, jo umra ko aaya,
is kaifiyat se zaroor guzra...

Song: ek hi khwaab kai baar dekha hai maine (Kinara)

raat beet gayi doston lekin khwaab naheen TooTa. ya kahiye ki TooTa
to uski kirchen kahin seene ke andar beejeen gayi. woh Khwaab, jo
sirf ek hi khwaab tha, raat, jo sirf ek hi raat thee, umra se lambi
raat ho gayi. aur woh khwaab jo ek chingari ki tarah beeja gaya tha
seene mein, zindegi bhar ke liye sulagta reh gaya seene mein. aisi hi
ek chingari ko dekhiye to ek shayar ne kaise mehsoos kiya hai, aur
shayar ka naam hain Anand Bakshi...

Song: chingaari koi bhaDke (Amar Prem)

naa saahab, yeh chingaari naheen bujhtee. aag sookh jaaye, sholay
khushk ho jaaye, lekin yeh chingaari to bas oobtee hi rehti hai.
aankh isey seenchtee hi rehti hai, jaane kahaan kahaan se saawan chun
chun ke laati hain aur kahaan se meghaa baTortee hain...

Song: baDi der se megha barsa ho rama jalee kitni ratiya (Namkeen)

laakh kasmein dee, vaaste deeye, lekin jaanewale kabhi aate hain kya?
din bhi kaT jaata hai, raat bhi kaT jaati hai, saans saans karke umra
bhi kaT jaayegi, sehne waalon ne to ab lab bhi see liye, koi gila
naheen, koi shikwa naheen...

Song: tere bina zindegi se koi shikwa to naheen (Aandhi)

dard ka taanabaana bunnewale julaahe se ek baar kisi ko poochhte suna
tha, aye julaahe, mujhko bhi yeh jaag seekha de yaar julaahe, taana
bunte bunte aksar dekhaa hai jab koi dhaaga TooT gaya ya khatam ho
gaya, phir se baandh ke koi TukDaa aur sira ko joD ke usmein aage
bunne lagtaa hai, tere us taane mein lekin koi gaanTh gira buntar
mein dikhti na mehsoos hoti hai. ek hi rishtaa maine to ek baar bunaa
tha, saari giThen saaf nazar aati hain usmein yaar julaahe, kuchh log
yunhi nivaah karte rehte hain...

Song: hazaar raahen muDke dekheen (Thodi Si Bewafaai)

fauji doston, ummeed hai maine aapke puraane gile door kar diye, agli
baar aapke naye gile door karne haazir hoyoonga, ijaazat deejiye,
shukriya.


THE END




Mon Dec 18, 2006 1:56 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1402 of 2473 |
Expand Messages Author Sort by Date

Fauji bhaiyon, aadaab. Bahut din baad phir aapki mehfil mein shaamil ho raha hoon. isse pehle jab bhi aapke paas aaya to koi na koi nayi tarkeeb lekar, koi na...
soojoi_india
Offline Send Email
Dec 18, 2006
1:56 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help