any information when is shamshad begum born.. her date of birth.. she
was born in 1919 and living in powai nowadays
thanks
ashish
--- In
vividhbharati@..., "soojoi_india"
<soojoi_india@...> wrote:
>
> Audio Courtesy: Ramaswamy, Parag, Susan, Anup
>
> SB: Shamshad Begum
> KS: Kamal Sharma
>
> Recorded at Shamshadji's residence at Powai, Mumbai, in the year 2005.
>
> PART 2
>
> Namaskaar, Sargam Ke Sitare, prastut hai suprasiddha paarshwa gaayika
> Shamshad Begum se Kamal Sharma ki baatchit par aadharit is karyakram
> ka doosra aur antim bhaag.
>
> ------------------------------------------------------------------
> Song: Dhadke mera dil jawani Ram kasam na bhaaye bachpan yaad aaye
> ------------------------------------------------------------------
>
> KS: Mumbai mein aane ke baad mein yahaan aapki pehli film kaun si thi?
>
> SB: Pehli film Mehboob sahab ka kiya, Taqdeer, woh Lahore se leke
> aaye the mujhe.
>
> KB: Mehboob sahab ne?
>
> SB: Woh Lahore gaye the. Taqdeer picture ke liye mujhe book kiya tha.
> Wahaan unki heroine thi, unka sasural bhi waheen tha. Woh to naheen
> aayi, Mehboob sahab mere ghar aaye aur kaha ki tum mere saath chalo.
> Mere baba aane naheen dete the. Woh kehte the idhar hi theek hai, tum
> kya itni door Bambai jaayogi? Do do saal shakal dekhne ko naheen
> milenge. Mehboob sahab ne kaha ki arey samundar mein jaane do usko.
> Unhone baba se kaha ki miya, aap galat samajh rahe hain, isko jaane
> deejiye. Ab iska naam itna hai ki jaane do isko, aap ne socha bhi
> naheen hoga kitni badee industry hai. Unke kehne par baba ne kaha ki
> achcha jaane dete hain. Phir Taqdeer picture banaakar hum waapas
> chale gaye. Taqdeer mein sangeet tha Rafiq Ghaznavi ka. Rafiq bahut
> achchha gaate the.
>
> KS: Lekin Taqdeer ne tay kar diya ki aapki taqdeer Mumbai mein hi
> likhi hai.
>
> SB: Bambai mein, Yahaan se chali gayi thi main, phir mujhe Poona se
> bulaaya. Ek picture thi Navyug Chitrapat ki - Panna. Iske saare gaane
> superhit huye. Aur film silver jubilee se bhi zyaada time chali thi.
> Phir wahaan se Bombay aa gaye. Bombay aane ke baad, yahaan sab log
> kehne lage yeh karo woh karo. Sab karte karte do maheene lag gaye.
> Phir aahista aahista main idhar hi rehne lagee.
>
> KS: Kahaan rehti thi Mumbai mein, Kaun si jagah thi jahaan aapka
> rehna tha Mumbai mein?
>
> SB: Abhi makaan liya hi naheen tha.
>
> KS: Hoon!
>
> SB: Hotel mein rehte the kai kai. Jab hum idhar aakar settle ho gaye
> tab liya.
>
> KS: Kahaan liya makaan?
>
> SB: Mahim mein rehte the.
>
> KS: Aur pehli gaadi aapne kab khareedi?
>
> SB: Pehli gaadi to aate hi saal khareede thi, naheen to kaise aate
> jaate? Nayi gaadi to milti naheen thi, to humne second hand lee. Nayi
> gaadi to aati naheen thi!
>
> KS: Booking karwaani padtee thi ya phir baahar se aati thi.
>
> SB: Haan, aur kitne kitne saal lag jaate the, booking mein. Phir 47
> mein nayi gaadi lee (name of the car is not clearly understood)
>
> KS: Mumbai mein sabse zyada recording aapki kahaan hoti thi? Yun to
> bahut saare recording studios hain par us samay to gine-chune studios
> hi the. To sabse zyaada recording aapki kahaan huyi?
>
> SB: Aapne dekha hoga jahaan pe Ranjeet Studio hain na, wahaan pe gali
> mein jaakar ek bahut badaa studio tha - Cine Sound. Cine Sound mein
> bahut saare gaane record hote the kyunki wahaan pe Sharmaji ka bahut
> naam tha as recordist.
>
> KS: Kya bolte the, aapse kabhi kisi ne kahaa, kya reaction tha unka?
> Ki aaj aapne badaa achchha gaaya ya...
>
> SB: Kehte the na, ki bahut achchha gaaya, thank you.
>
> KS: Achchha sabse zyaada rehearsal aapne kis gaane ke liye kiya tha?
>
> SB: Yeh to bhaiya mujhe kuchh naheen yaad! Maine kitne hi gaane gaaye
> hain.
>
> KS: Aisa gaana ki ek din ho gayi, do din bhi ho gayi (SB interrupts).
>
> SB: Woh to roz ki baat thi. Woh to ek ek gaane ko chaar chhar chheh
> chheh din gawaate the, Naushad sahab maanenge naheen, aankhen band
> karke baith jaate the. (Kamal Sharma laughs) Unki kitni hi picturen
> hain jo silver jubilee, golden jubilee manaayi.
>
> --------------------------------------------
> Song: Main rani hoon raja ki, raja mera piya
> --------------------------------------------
>
> SB: Main apna, Nayyar iske peeche, badi achchhi thi, mere saath jitne
> bhi music directors sab achchhe the.
>
> KS: Nayyar sahab to kehte the ki Shamshadji ki jo awaaz hai,
> woh 'temple voice' hai 'temple voice', suno to aisa lagtaa hai ki
> jaise mandir mein ghantiyaan baj rahi hon.
>
> SB: Yeh us rab ne dee hai, main to naheen, maine to bas mehnat kee
> hai.
>
> ---------------------------------------------------------------
> Song: Naach rangili gaaye re, mose raha na jaaye re, main kaa karoon,
> kaase kahoon, mere saajna
> ---------------------------------------------------------------
>
> KS: Kuchh andaaza hai ki kitne filmon mein gaaya hoga aapne, 200,
> 150, 300?
>
> SB: Yeh meri filmon ko waise to, apne kuchh filmon ko yaad naheen,
> itne zyaada gaaye hain maine, par yeh naheen tha ki kisa ka picture
> chheen ke maine le lee ho, yaa phir yeh kaha ho ki yeh mujhe
> chaahiye, naheen! Jo bhi aake de gaye, maine gaaya, bhagwaan ki badee
> meherbaani ki maine kabhi kisi ko naheen kaha ki tumne gaana diya ya
> naheen, maine sabko milke gaaya.
>
> -----------------------------------------------------------------
> Song: Tu hai mera yaar, main hoon tera yaar, toote na bhai toote na,
> tera mera pyar
> -----------------------------------------------------------------
>
> KS: Bahut pehle aapne shuruwaat kee radio station se, baad mein phir
> kabhi jaana huya radio station mein?
>
> SB: Jab XXXXXXX kiya to main idhar gaayi hoon
>
> KS: Bombay mein?
>
> SB: Bombay mein, Bombay mein gaayi to mujhe time naheen milta tha,
> itne gaane hote the sabke, kisi ke subah ko aa jaayen, ab unka set
> lagaa huya hai, unka do laakh rupay ka nuksaan hota hai. Achchha hum
> milke . Ek aadh baar cancel kar diya, raat ko gaaya, din ko naheen
> gaaya, phir mere ko badee sharam aayi, maine kam kar dee kaam, ya to
> yeh chhod doon ya woh chhod doon, mere ko achchha naheen lagtaa ki
> main aapko telephone karoon ki main aaj naheen aa sakti. Humne jisse
> kaam shuru kiya, uski jagah ko hum yeh samjahte hain ki humein idhar
> se break mila aur usi ke liye ab time naheen hai? Aur idhar yeh hai
> ek maamla, kaam ka hai, poori industry baithi hai, uska kya karen?
> Agar anheen karte to sab ke sab bad-bad shuru kar dete hain. Hum jab
> bhi nikalte hain na us road se, to idhar ka radio station hai na,
> usey zaroor dekhte hain (Kamal Sharma a short laugh). Abhi bhi?
>
> KS: Abhi bhi waheen hai, Church Gate mein,
>
> SB: Bilkul saamne
>
> KS: Bilkul saamne, aur yeh jo hamara Vividh Bharati ka office hai woh
> Borivali mein hai, yeh bhi pehle waheen tha Church Gate mein.
>
> SB: Yeh 'Hari Mirchi' kya naam hai iska?
>
> KS: Radio Mirchi iska naam hai, woh Goverment ka naheen, private hai.
>
> SB: Jo Goverment ka hai, usi radio ko jaante hain, usi ke saath kaam
> karke upar aaye hain.
>
> KS: Record par apna naam dekhkar kitni khushi hoti hai, to film ke
> parde par aapne sabse pehle apna naam kab dekha tha?
>
> SB: Hamare samay mein naam vaam ke jagah naheen the. Inhone likhni
> shuru kee to likhni shuru kee, humne kisi ko naheen kaha ki hamara
> naam likho, bachche bachche ko maaloom tha humne gaana gaaya hai, to
> phir naam likhne se kya hota hai? Hum pehle pehle sochte the ki kya
> hoga, naam hoga, idhar aane ke saath hi doosron ko pataa lag gaya ki
> yeh wohi hai jo radio par gaati hain, humne aakhir tak radio naheen
> chhoda.
>
> ---------------------------------------------------------------
> Song: Kahaan chale ho jee pyar mein deewana karke, main to neem taley
> aa gayi bahaana karke
> ---------------------------------------------------------------
>
> KS: Actors aapko kaun pasand hain?
>
> SB: Apne time ke ek hain Nargisji, Meena Kumari, ?????????
>
> KS: Koi baat naheen, koi baat naheen, koi baat naheen, aaj ki filmen
> to aap dekhti hongi?
>
> SB: Aaj ki filmen, ek Shahrukh hai, yeh sab ladke aur ladkiyaan kaam
> karti hain, hamari acting jo hai na, pehle to chand artistes kaam
> karte the, Dilip Kumar sahab kamaal kaam karte the, Pradeep Kumar
> badaa achchha kaam karte the, waah, subhaanallah! uske baad yeh
> actressen, badaa achchha waaqai kaam karte the. Madhubala, sundar
> jitni thi kaam bhi utna achchha karti thi.
>
> KS: Bilkul sahi baat hai
>
> SB: Lekin aam artiste, aam hero-heroine aisa kaam naheen kar sakte.
> Ab to pataa naheen andar se kaise bane-banaaye aate hain, jo aa rahe
> hain Kishore Kumar ka nakal kar rahe hain, (Kamal Sharma laughs), ab,
> yeh, inhone, aapne khud nikaale hain, yeh bhi artiste, actually
> dekhne ke laayak hain,???????
>
> KS: Kahaani aur sangeet?
>
> SB: Sangeet to 'bad-bad' kar diya hai, koi aa jaata hai gaana.
>
> KS: Aap ne kabhi aaj ka sangeet, woh jo melody thi, ek samarpan tha
> (SB interrupts)
>
> SB: Sab khatam ho gaya hai, ab to sirf shor hai aur rthythm hai,aur
> upar se 'bad-bad-bad'
>
> KS: Phir gaano se bholaapan bhi chalaa gaya hai
>
> SB: Bholaapan kaise rahe jab aap baat hi aisa karte ho? Pehle naach,
> hamaare naach classical hote the, dekha hai aapne? Log dang reh jaate
> the ki yeh kya kar rahe hain saamne khade hoke! Tarabai, yeh bade
> bade, aur aaj, yeh kya hai dance mein? Action hi itne burey hote hain
> ki log sharmaakar munh udhar kar lete hain.
>
> KS: Shamshadji, jab koi artiste kaamyaab hota hai to bahut saare log
> chaahte hain ki yeh bhi mere film mein aaye, film mein kaam kare kyun
> ki iski kaamyaabi mere film ko bhi kaamyaab kar sakta hai.
>
> SB: Haan ji
>
> KS: To aisa kabhi huya ki gaana hi padegaa?
>
> SB: Yeh to takreeban hota hi tha, yeh to hona hi tha, aur yeh hota hi
> hai. Ja zaroorat hoti hai to sab kehte hain ki yeh aayengi to hi hoga.
>
> ----------------------------------------------------------------
> Song: Laagi naino ki aisi kaTaar, haaye mera jeena huya dushvaar
> ----------------------------------------------------------------
>
> Vividh Bharati par aap sun rahe hain suprasiddha paarshwa-gaayika
> Shamshad Begum se Kamal Sharma ki baat-chit ka doosra aur antim
> bhaag
>
> KS: Kuchh naam yaad aate hain aapko ki kisi ne kahaa ho aapse ki aap
> hi gaaiye is film mein, tabhi yeh film chalegi, aur phir baad mein
> woh film (SB interrupts)
>
> SB: Dekhiye, yeh bahut saare log karte hain, music directors kya,
> film director, kya naam, producers, sabko zaroorat hoti hai to aisa
> hi kehte hain, lekin unka naam kehte achchha naheen lagta,
> chhichhorapan naheen hai, bhulaane ka yeh naheen hai, hamaare saath
> jaise sab achchhe log the, aur yeh waaqai sahee hai ki hamaari
> industry bahut gareeb-parvar hai, hamaare industry ko koi bura naheen
> keh sakta, bahut gareeb-parvar industry hai, (starts sobbing), jo
> time mein ??????????????, 8 saal ke baad, 10 saal ke baad, 5 saal ke
> baad dekho, Chevrolet gaadi???????????????? phir woh gareeb-parvar
> naheen? Jo kaam karega usi ko banaayenge na, ghar baithe kisi ke koi
> aaj jaata hai?
>
> KS: Shamshadji, ek artiste, Rafi sahab, unke baare mein log zaroor
> aap ke munh se jaanna chaahenge, aapko kaisa lagaa unke saath kaam
> karke?
>
> SB: Bahut shareef aadmi, nek aadmi the, unka waisa mizaaj naheen tha
> ki mera naam hai itna, gaane-bajaanewaale log zyaada bad-mizaaj hote
> hi naheen hain.
>
> ------------------------------------------------------------------
> Song: Challo challo challen hum babool ke taley, thandi thandi hawa
> humein pankhen jaley
> ------------------------------------------------------------------
>
> KS: Kabhi aur bhi ichchhaayen hoti hain, sapne hote hain, ghoomne ke,
> aur bhi bahut saari chhoti chhoti ichchhaayen hoti hain, woh aur kaun
> kaun se shauk hain aap ke jinse aapka man ramtaa tha?
>
> SB: Sahee baat hai, shauk hamara to yahi tha aur marte dam tak yahi
> rahega, humne gaana hi gaaya aur gaana achchha sunke hi aaraam aa
> jaata hai, waaqai kahin jaane ka, kahin naheen jaate, Punjabi koi
> writer the jo tarjumaa karte the angrezi kitaabon ka, to woh kitaab
> maine padhee, yeh, kya naam hai, Mutabarak Joota (????), badaa ajeeb
> sa naam tha uska, maine servant ko bheja ki library se leke aa kitaab
> ko, woh kitaaben leke aaya karta tha, yeh kitaab laakar usne kahaa ki
> yeh kitaab aap zaroor padhen, maine kahaa yeh Matabarak Joota padhne
> ki kitaab hai? Tere ko un logon ne ulloo banaaya hai. Usne
> kaha 'naheen sahab, usne kahaa hai aap zaroor padhen, naheen pasand
> aaye to paise naheen dena' (SB laughs). Maine padhnaa shuru kiya, jab
> maine padhna shuru kiya usko, aakhir tak padhke khatam kiya itni
> kamaal ki book thi woh, likhnewaale to kamaal hi kar dete hain.
>
> KS: Padhne mein shauk matlab aapko bahut rahaa hai?
>
> SB: Bahut
>
> KS: Upanyaas hi padhtee theen ya doosre vishay bhi padhtee theen? Ya
> phir subjects bhi padhne ka shauk tha?
>
> SB: Love stories main naheen padhtee thee.
>
> KS: To?
>
> SB: Woh ajeeb se likh dete the, love story aati hain, woh wohi kuchh
> story ka plan, yeh woh, main naheen padhtee thi. Heroiney, yeh, uske
> upar politics ka koi bhi yeh naheen hota, villainey naheen kuchh
> naheen, woh seedhaa likhte jaate the usne kya kiya, woh unke
> poplitics ke upar aa jaata tha.
>
> KS: waisi cheez aapko padhne ka shauk tha?
>
> SB: Mujhe pasand tha
>
> KS: Aur Hindi writer-on mein
>
> SB: Sarat Chandra Chatterjee
>
> KS: Sarat Chandra Chattopadhyay, unki to bahut saari filmen bhi bani
> hain
>
> SB: bahut filmen bhi bani hain, Devdas dekha hoga aapne.
>
> KS: Jee haan, jee haan. Hindi mein kaun se writers aapko pasand hain?
>
> SB: Premchand- Godaan, aur saari padhee hain unki, ek naheen hai jo
> naheen padhee.
>
> KS: Achchha humne suna hai aapko filmon ka shauk tha, aur Hollywood
> ki filmen dekhne ka bahut zyaada shauk tha?
>
> SB: Hollywood ki picturen us waqt aati badee achchhi thi, ab to unki
> picturen bhi dekhkar dar lagtaa hai, ek aadmi khadaa hokar sirf
> bandooken hi chalaata jaata hai, ab unka woh standard naheen hai
>
> KS: To aap busy rehti theen to filmon ke liye kaise time nikaalti
> theen?
>
> SB: Woh main, kaam ke time mein main kabhi naheen gayi, kabhi agar
> cancel ho gaya
>
> KS: Recording?
>
> SB Recording, ya kabhi jaldi khatam ho gayi recording to film (laughs
> lightly), na kisi ka ooncha neechaa kaha, na kisi ki buraai kee na
> suni, apna aaraam se picture dekhne jaa rahe hain khaana khaake.
>
> KS: Kaun kaun si jagah aapne ghoomi, desh kaun kaun se dekhe, mulk
> kaun kaun se ghoome?
>
> SB: Europe ghooma main inke saath, bitiya ke saath mein
>
> KS: Achchha ek cheez mujhe bataaiye, pehle radio mein aap jaati rahi
> hain, aaj radio ki team aapke ghar aayi hai, radio se baat karte huye
> kaisa lag raha hai aapko?
>
> SB: Badee khushi ho rahi hai, tabhi to nikalte hi maine aap se kaha
> ki radio-waale aa gaye (laughs). Log jab tak mujhe yaad karte hain,
> jab tak mere gaane baanchne jaate hain, main zinda hoon.
>
> -------------------------------------------------------------------
> Song: Sharmaaye kaahe ghabraaye kaahe sun mere raja o raja aaja aaja
> aaja
> -------------------------------------------------------------------
>
> KS: Shamshadji, aaj baazaar mein aap ke gaano ki 'remix' chhaayi huyi
> hai. aap ka kya Khayaal hai in 'remix' gaano ke prati?
>
> SB: Mujhe 'remix' se koi shikaayat naheen hai. aaj shor sharaba ka
> zamana hai, rhythm ka zamana hai, bachche log aise gaane sunkar khush
> hote hain, jhoomte hain. Mujhe bhi achchha lagta hai, par koi in
> geeton mein hamara naam to den!
>
> ---------------------------------------
> Song: Saiyan dil mein aana re (Bahar)
> Song: Kabhi aar kabhi paar (Aar Paar)
> Song: Leke pehla pehla pyar (CID)
> ---------------------------------------
>
> KS: Shamshadji, aap ne humein itnaa saara waqt diya, apne jeevan ki
> itni saari baaten bataayeen, bahut achchha lagaa, aapko meri taraf
> se, Vividh Bharati ki taraf se, aur Vividh Bharati ke kaDoDon
> shrotaaon ki taraf se bahut bahut shukriyaa.
>
> SB: meherbaani!
>
> -----------------------------------
> Song: Aji bas shukriyaa (
> -----------------------------------
>
> aap sun rahe the suprasiddha paarshwa-gaayika Shamshad Begum se Kamal
> Sharma ki baat-chit ka doosra aur antim bhaag. ab Sargam Ke itare
> kaaryakram samaapt karne ki deejiye humein ijaazat namaskaar!
>
> THE END
>