Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can search the group for older messages.

Messages

  Messages Help
Advanced
Ameen Sayani's SKSKM - D N Madhok (Part 2)   Message List  
Reply | Forward Message #1474 of 2465 |
SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL

AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON D N MADHOK
--------------------------------------
**************************************

PART 2

aayiye aayiye, bhai aapka swaagat karta hai aapka 'radio' dost Ameen
Sayani. baheno aur bhaaiyon, is Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ko agar
aap man ki aankhon se dekhen na to shaayad yun lagega ki yeh mehfil
ek nadi hai, jee haan nadi, jo beeti huyi suron ki lehron ko
pahunchaati hai aaj ke sargami kinaaron par khaDe sitaaron tak aur
aap jaise achchhe achchhe sangeet premeeyon tak. aur is tarah se
hamaare yaadon ka vishaal sangeet khazaana kal aur aaj ke sangam se
aur maalaamaal hota jaata hai. aaj pichhle 'programme' ki tarah phir
ek baar kal ki baari hai baheno aur bhaaiyon. to chaliye '21st
century' mein aage baDhte huye ham apne man ke saath phir se peechhe
ki taraf bhaag chalen.

---------------------------------------
Song: man paachhe bhaage (Bhakt Surdas)
---------------------------------------

film Bhakt Surdas ke is geet mein us zamaane ke sangeet samrat K L
Saigal ki aawaz to baheno aur bhaaiyon, aapne pehchaan hi lee hogi,
ismein sangeet tha Gyan Dutt ka, aur ismein bol the mahaan geetkaar D
N Madhok yaani Dina Nath Madhok ke. jee haan baheno aur bhaaiyon,
yaadon aur geeton mein Dhalkar swargeeya D N Madhok hi pichhli baar
ki tarah aaj bhi hamaare Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke sitaare
bane huye hain. aur kyunki ab woh to naheen rahe, isliye unke beTe Dr
Prithvi Madhok unki jeevan kahaani ko baDe Khoobsoorat andaaz se aage
baDhaane ke liye phir se tashreef laa chuke hain hamaare 'studio'
mein.

AS: to yeh bataaiye Dr saahab, maine suna hai ki ek daur aisa bhi
aaya jab Kalkatte se Bambai aane ke baad Bambai chhoDkar Madhok
saahab Lahore chale gaye? yeh kaise huya, kyun huya?

PM: haan, bilkul Theek farmaaya aapne. woh kya tha ki laDaai ka
zamaana tha aur us waqt 'black-out' tha Bombay mein. aur kaafi
angrez 'soldiers' ghoomte the Bombay mein, Colaba mein, inki jo aDDe
theen, 'barracks' the. to yeh 'paper'-on par chhaya tha ki laDkiyaan
uThaake lee jaate hain, 'rape' karte hain, 'abduct' karte hain aur
sazaa hoti naheen kyunki yeh log gore hain, kabhi kabhi laDkiyon ka
bhi pataa naheen lagta. to hamaari 'mother' ne kaha ki 'hamari teen
laDkiyaan jawaan ho gayi hain aur mere liye yahaan rehna 'safe'
naheen hai, ham to gaaon jaayenge, apne mulk jaayenge'. to roz kehne
se, 'pressure' Daalne se papaji bhi maan gaye ki 'Theek hai, chalo
bhai chalen, waise bhi Lahore mein 'industry' hai, wahaan chalte
hain'. to yeh Lahore mein 'shift' ho gaye 1939-40 mein aur wahaan
Pancholi Art Productions inhone 'join' kee.

AS: achchha, Dalsukh Pancholi saahab ke wahaan!

PM: Dalsukh Pancholi. aur inka wahaan jaana aise huya ki diwaali aa
gayi hai kyunki wahaan bhi inhone jitni bhi 'picture'-en banaaee
hain, bahut hi kaamyaab huyi. aur sabse pehli 'picture' Khandaan, woh
to utarti naheen thi. Khandaan jab Gujranwale se nikaali to wahaan
itna hangaama ho gaya ki waapas lagaani paDee.

AS: arey arey arey... Khandaan ka jab aapne zikr kiya hai to gaana to
aana hi chaahiye.

PM: "tu kaun si badli mein mere chaand hai aaja, taare hain mere
zakhm-e-jigar unmein samaa jaa".

-----------------------------------------------------------
Song: tu kaun si badli mein mere chaand hai aaja (Khandaan)
-----------------------------------------------------------

PM: abhi ismein bhi ek chhoTi si main aapko kissa sunaata hoon.
inhone likha tha "taaze hain mere zakhm-e-jigar", inhone "taare"
naheen likha tha, inhone likha tha "taaze hain mere zakhm unmein
samaa jaa". lekin Urdu mein 'ra' ke upar agar aap 'dot' na Daalen
to 'raa' ban jaata hai aur woh raane 'ze' ban jaata hai. to
Noorjehan 'madam' ke haath jab woh gaana aaya to unhone woh dukhta
dekha hi naheen "taare hain mere zakhm-e-jigar...". par jab Madhok
saahab ne gaana suna to 'hey bhagwaan yeh kya kiya mere gaane ko', us
waqt itne 'record' bik chuke the ki inki kisi ne naheen sunee. to yeh
jis cheez ko haath lagaa dete the sona ban jaata tha. uske baad
inhone Daasi 'picture banaaee, woh bhi bahut mashoor huyi.

AS: o ho ho, bahut mashoor, bahut hi mashoor, saare 'hit' gaane the
Daasi mein jaise "woh din yaad karo", aur "haath mein hogi Khaali
jholi", "dekha karo bhagwaan gareebon ka tamaasha", vagerah vagerah,
lekin yahaan main film Daasi ka ek aisa geet bajaayunga jo bahut kam
logon ko yaad hoga. Pandit Amarnath ke nirdeshan mein isey gaaya tha
S D Batish.

-------------------------------------------------------
Song: khamosh nigaahen yeh sunaati hain kahaani (Daasi)
-------------------------------------------------------

------COMMERCIAL BREAK--------

baheno aur bhaaiyon, aap dhyaan lagaakar aur dil lagaakar sun rahe
hain na aaj ke Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein geetkaaron ke
Bhishma pitaamah D N Madhok saahab ki kahaani aur daastaan-e-zindagi?
hun? achchha abhi abhi D N Madhok saahab ke beTe DR Prithvi Madhok
saahab ne aapko bataaya ki kis tarah ki san 39-40 ke aaspaas unke
pitaaji Bambai chhoDkar Lahore pahunch gaye aur Dalsukh Pancholi
saahab ki mashoor company 'join' kar lee. aur wahaan unki jo pehli
do 'superhit' filmein aayi woh theen Khandaan aur Daasi.

AS: Prithvi bhai, aur bhi to kai filmen aayi aapke pitaaji ke geeton
se sajee huyi Dalsukh Pancholi ki filmen?

PM: Patjhad, Patjhad bhi bahut achchhi 'picture' thi. woh itni chalee
naheen jitni Daasi chalee thi. Shahar Se Door, yeh bhi inhone waheen
banaaee. to inka waasta kaafi achchha raha, Pancholi ke saath 4/5
saal rahe aur wahaan ki jo sabse, matlab, 'unforgettable' aap keh
leejiye, baat yeh thi ki Bombay ke 'producers' ne bhi unko wahaan
naheen chhoDaa. kehte hain 'yeh aadmi to wahaan jaakar bhi rang jamaa
raha hai'. to kehte hain ki 'hamko waheen se likhaa lo'. to Bombay
ke 'producers' Bombay baiThke D N Madhok se 'telephone' pe gaane
likhwaate the aur Madhok saahab 5000 rupay ek gaane ka lete the, aur
phir maachis ke upar uska 'tune' dete the ki 'dekho beTa isko aise
bajaana'. to yeh to ek 'unique' kism ki 'position' hai 'film-line'
mein jo aaj tak kisi ko naheen mili, to yeh inko haasil thi.

AS: lekin kya inhone kabhi 'music direction' bhi kiya?

PM: 'music direction' naheen kiya par tarz mein unka kaafi haath tha.
abhi Naushad unke laDkon ki tarah the. unke upar inko bahut yakeen
tha ki yeh aadmi bahut achchha hai.

AS: Naushad saahab kaise unke kareeb aaye?

PM: Naushad saahab ki kahaani aisi ki woh Bombay mein bhaTak rahe the
aur 'assistant director' the, baaja bajaate the, 'piano' bajaate the,
aur Madhok saahab ne dekha ki in sab aadmion mein se yeh laDka sabse
laheen hai aur sabse achchha bajaata hai, ki yeh Madhok saahab ki
nazron mein aa gaye. to Madhok saahab ne unko bulaaya ki 'tumhari
umar kya hai?' 'jee, 20 baras'. kaha 'tum 'music director' banoge?'
yeh ghabraa se gaye ki kahin yeh mazaak to naheen hai. kehte
hain 'jaise aap kahenge' to inko pakaDkar Bhawnani saahab ke paas le
gaye. kehte hai ki 'tumhari yeh jo 'picture' ban rahi hai Station
Master, ismein isko 'music' ka 'chance' do. to kehte hain ki 'music
ka chance kaise den? yeh to abhi kal ka launda hai!' kehte hain' yeh
jo kal ka launDa hai na, yeh hamaara baap hai. agar isne
aapki 'picture' mein kuchh Kharaabi kee to mere paise bhi naheen
dena, isko aap chance do'. to Naushad saahab kabhi us baat ko bhoole
naheen. aur unhone hamesha hamaare papa ko 'compliment' deeye hain,
salaam kiya hai ki woh na hote to ham na hote. waise Naushad saahab
to khud hi bahut 'talented' aadmi hain, unka to jawaab hi naheen par
yeh ek kissa hai jo Madhok saahab ne us waqt se inhe apna laDka hi
samjha hai. aur kabhi kabhi to agar naya 'music director' hota to
woh 'singer' ke paas baiTh jaate the. aur Mukesh bhi inke
saath 'production manager' the. to unki aawaaz bhi to inhone sunee.
kehte 'aaja tu teesre gaale mein gaata hai, ismein gaaya kar'.

AS: achchha baheno aur bhaaiyon, yahaan main Dr Prithvi Madhok
ka 'interview' rok kar aapko Mukesh ki aawaaz sunwaana chaahoonga, D
N Madhok saahab ke likhe ek aur bahut hi mashoor geet se, jismein aap
Mukesh ke saath shamshad Begum ki aawaaz bhi sunenge, sangeet iska
Naushad saahab ka naheen hai, Naushad bhai ka to bahut zabardast zikr
aage chalkar aanewaala hai aur unki 'superhit' tarzen bhi bajnewaali
hain. is geet mein jo aap sunenge, sangeet Gyan Dutt ka hai, film ka
naam hai Sunehre Din.

--------------------------------------------------------------------
Song: maine dekhi jag ki reet meet sab jhooTe paD gaye (Sunehre Din)
--------------------------------------------------------------------

AS: aur Prithvi bhai, ab zikr aana chaahiye Naushad ke sangeet aur
Madhok saahab ke shabdon ke sangam ka. bhai, kai filmon mein dono ka
baDaa hi kaamyaab saath raha.

PM: Naushad saahab aur Madhok saahab shuru shuru mein Bhawnani
Productions mein ek do 'picture'-en banaaee, to us waqt sangeet ki
itni ahmiyat naheen thi. kahaani ki ya 'hero-heroine' ki thi. par yeh
log asli saath mein tab aaye Kardar Productions mein, laDaai ke baad
Madhok saahab waapas Bombay aa gaye. to Bombay mein A R Kardar ki
Kardar Productions thi, yeh log dono mulaazim ho gaye aake. to Kardar
ke saath inki Ranjit se bhi puraani dosti thi, to wahaan bhi inhone
bahut achchhi achchhi 'picture'-en banaaee - Sharda, Namaste, Kanoon,
Sanjog, Bahar, Pehle Aap, Geet. Sharda mein ek bahut mashoor gaana
tha "panchhi jaa".

--------------------------------------------------------
Song: panchhi jaa peechhe raha hai bachpan mera (Sharda)
--------------------------------------------------------

PM: to aise matlab har 'picture' mein inke mashoor gaane the. 'again'
ismein main aapko ek chhoTa sa kissa sunaata hoon. Pehle Aap mein ek
gaana tha "Hindustan ke ham hain Hindustan hamara". yeh ek 'group
song' tha. to laDaai ka zamaana tha aur angrezon ne, matlab,
bahut 'problems' thi angrezon ko 'recruitment' mein. to unhone kaha
ki 'bhai yeh gaana hamko de deo, ham isey 'marching song' banaaenge.
to kyunki ismein 'secularism' hai, Hindu Muslim dono ki aankhon ka
taara, to unhone is gaane ke upar Madhok saahab ko 'Mahaakavi' ka
khitaab diya.

AS: waah!

PM: aur Mahakavi ka Khitaab bhi siwaay Mr D N ke aaj tak kisi ko
haasil naheen huya.

AS: achchha, is baat pe mujhe yaad aaya ki ek baar Naushad saahab ne
Rafi saahab ko 'tribute' dete huye is gaane ka zikr bhi kiya tha,
main thoDaa sa hissa uska yahaan sunwaa deta hoon, suniye...

---------------------
Naushad speaks: yeh saahab takreeban 1942 ka zikr hai, Kardar
Productions mein main us waqt tha aur ek film ban rahi thi jiska naam
tha Pehle Aap. to ek dubla patla sa laDka mere paas aaya aur Lucknow
se ek chiTThi lekar aaya, mere waalid saahab ne unko ek chiTThi dee
thi jismein sifaarish kee thi ki yeh laDka achchha gaata hai, isko
koi mauka do. maine kaha 'bhai ghabraaiye naheen, mujhe kuchh
sunaaiye', to unhone kuchh gaana sunaaya Darte Darte. to maine
kaha 'Theek hai', to us film mein ek 'chorous song' tha jismein aur
kai laDke bhi shaamil the, to usmein maine 'leading' inko dee, woh
gaana tha "Hindustan ke ham hain Hindustan hamara, Hindu Muslim dono
ki aankhon ka taara".

--------------------------------------------------------
Song: Hindustan ke ham hain Hindustan hamara (Pehle Aap)
--------------------------------------------------------

------COMMERCIAL BREAK--------

baheno aur bhaaiyon, Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein ab kyunke D N
Madhok ke geeton aur Naushad ke dhuno ke sangam ka daur shuru ho
chuka hai, isliye ab main aapki taraf se Madhok saahab ke beTe Dr
Prithvi Madhok se guzaarish karoonga ki Prithvi bhai, ab aap Madhok
aur Naushad ke milan ki kuchh aur misaalen pesh karen?

PM: uske baare mein main yeh kahoonga ki unhe jab itni kaamyaabi
haasil huyi, inhone kaha, 'chalo bhai 'production' mein bhi haath
Daalte hain'. to Gemini Diwan karke ek aadmi the, unke paas 'licence'
tha, us zamaane mein 'licence' pe 'picture'-en banti thi, aise naheen.

AS: 'licence'?

PM: jeen haan, 'during the war years', 'picture'-en banaana 'licence'
kar diya tha British sarkaar ne. to uska 'licence use' karke
inhone 'picture' banaaee Rattan.

AS: aa ha ha ha, bhai kya naam le liya aapne, Rattan. Prithvi bhai,
usmein to 10 gaane the aur 10 ke 10 'superhit', kya chale the woh
gaane! baheno aur bhaaiyon aur Prithvi bhai, yahaan mujhe dil to kar
raha hai ke 10 ke 10 gaane bajaa Daaloon ek ke baad ek, magar phir
doosri filmen Madhok saahab ki reh jaayengi. isliye yahaan baaton
baaton mein bas 2/3 gaane aa jaayenge. pehle suniye ek gaana Zohrabai
Ambalewali ki aawaaz mein film Rattan mein, aur agar aap isey jinse
aapko pyar hai, unse akhiyaan milaakar sunenge aur aur zyaada mazaa
aayega.

----------------------------------------------
Song: akhiyaan milaake jiya bharmaake (Rattan)
----------------------------------------------

AS: film Rattan ke gaane to Prithvi bhai, bahut hi chale the yeh aap
jaante hi hain, lekin film bhi kaafi anokhi aur 'interesting' thi.
aur maine kaafi taarifen suni us film ki, maine dekhi naheen afsos ki
baat hai. kuchh bataaiye us film ke baare mein.

PM: baDi 'controversial picture' thi. isliye ki woh 'deal' karti
thi 'widow remarriage' mein. inko bahut dilchaspi thi ki 'main koi
naya rang dikhaayun'. to Swarnlata 'heroine' hoti hai, inko ishq hota
hai Karan Diwan ke saath. to Wasti saahab ke saath inki shaadi ho
jaati hai. shaadi booDhe aadmi ke saath ho jaati hai. to yeh 'public'
sweekaar karegi ki naheen yeh bahut baDi 'controversial' baat thi.
par woh 'picture' mein 'strongest point' jo tha woh uske gaane the.

-----------------------------------------------
Song: o jaanewaale baalamwa lauT ke aa (Rattan)
-----------------------------------------------

PM: to woh 'picture' itni 'popular' huyi, itni 'popular' huyi ki
usmein ek aur 'angle' tha ki Wasti ko inhone 'sympathetic character'
banaaya huya tha. jab Wasti apne aurat ko dekhta hai to kehta
hai 'haaye bhagwaan, idhar daant jhaDenge, udhar jawaani phootegi,
yeh maine kya kar diya'

AS: yeh Madhok saahab ka 'dialogue' tha?

PM: yeh Madhok saahab ka 'dialogue' tha. to us cheez pe
bahut 'clapping' huyi, ki dekho maa baap ne iski booDhe ke saath
shaadi kar dee hai par booDha bhi kitna 'advanced' hai. 'naheen
naheen yeh hamaari aurat naheen hai'. to yeh matlab 'dialogue' pe
bahut 'clapping' hoti thi aur 'picture' to saahab kahaan ki kahaan
pahunch gayi, bahut paise banaaye logon ne, aur bahut saraahana
huyi 'picture' ki, bahut 'popular' huyi. to woh main samajhta hoon
Madhok saahab ka aur Naushad saahab ka 'highest point'
tha, 'association' ka.

AS: aur us 'highest point' ki ek aur misaal pesh karta hoon Prithvi
bhai, yeh geet bhi baDaa pyara tha lekin aaj logon ko zaraa kam sa
yaad hoga. film Rattan mein D N Madhok saahab ke bol aur Naushad
saahab ki dhune paakar isey gaaya tha Manju ne.

------------------------------------------------------------------
Song: angDaai teri hai bahaana saaf kehdo hamein ke jaana (Rattan)
------------------------------------------------------------------

AS: achchha Prithvi bhai, aapke pita D N Madhok saahab ki
apni'production' mein Rattan ke alaawa jo filmen aayi unke baare mein
kuchh bataaiye.

PM: Do Dil, Gaon, phir baad mein apni 'production' mein inko itni
kaamyaabi naheen mili. to phir inhone kya kiya, inhone 'free lancing'
shuru kiya 'production' mein. Madhubala ke saath banaaee Naata. woh
apne baap ke upar banaaee 'picture', 'post office' mein 'post master'
hain. to woh puraani Karnal ki 'story' leke inhone Naata 'picture'
banaaee Abhi Bhattacharya uske 'hero' the aur Madhubala
uski 'heroine' theen. phir inhone ek, maine kaha na 'challenges'
DhoonDte the, phir woh Morarji saahab 'prohibition' karte the,
to 'prohibition' pe inhone 'picture' banaaee Naao karke, usmein Badri
Prasadji 'hero' the. to kis tarah woh apni beTi ko bechta hai sharaab
ke liye, to woh ismein rakhaa tha inhone andaaz. phir inhone Khamosh
Sipahi 'picture' banaaee. usmein bhi wohi cheez thi ki 'soldier' hai
par man 'soldier'-i mein naheen hai. dayaa aati hai maarne ke liye.
to is kism ke inhone kaafi 'controversial subjects' shuru keeye aur
logon se 'complete' keeye par main yeh kahoonga 'very clearly' ki 'as
a producer' inko itni 'success' naheen mili. sirf Rattan mein hi
mili. ya to yeh 'accounts handle' naheen kar sakte the ya
phir 'productions' vagerah ke 'problems' the. inki 'nature' kuchh
aisi thi ki agar koi akaDta hai to uske saath zyaada baat naheen
karte the. 'production' inko 'suit' naheen kee. phir inhone 'end'
mein, abhi inka 'end' aa raha hai 50s ke baad, to inhone chhoTe moTe
kaam yahaan keeye. par usmein inko achchhi safalta mili. phir inhone
ek 'picture' banaaee Satluj De Kanne, Satluj Ka Kinara, Maheshwari ke
saath. bahut 'picture' chalee. Nanak Naam Jahaaz Hai, Sikh 'religious
picture', bahut 'picture' chalee, aur phir Minerva mein Sohrab Modi
ke saath 'picture' banaaee, Wadia-ji ke saath 'picture' banaaee
Tasveer, Mohan Sehgal ke saath 'picture' banaaee Phir Subah Hogi. Raj
Kapoor ke saath Kanhaiya 'picture' banaaee Om Prakashji ke saath
milke. to yeh 'free lancing' mein lage rahe. 'end stage' mein
inki 'freelancing' naheen chalee par shuru shuru mein bahut chalee.
jaise Daryani ke saath inhone 'picture' banaaee Pyaas, bahut chalee.
phir Tarana, bahut chalee.

AS: Anilda ka music tha!

PM: Anilda ka music tha aur Dilip saahab 'hero' the,
Madhubalaji 'heroine' theen.

AS: Prithvi bhai, Tarana mein Madhok saahab ke 4 geet the aur waise
bhi shaayad Anilda ke saath aapke pitaa ne kam hi kaam kiya?

PM: Anil Biswas ke saath inhone adhik 'picture'-en naheen kee hain.
ek do hi kee hain par bahut izzat karte the.

AS: waise Tarana mein do gaane to 'all time hits' hain, ek to hai
woh "beimaan tore nainwa" jiske baare mein geet-kosh mein to likha
huya hai ki isey D N Madhok saahab ne likha tha lekin 'record' mein
Kaif Irfani ka naam hai, mujhe Theek se pataa naheen hai, lekin ek
aur gaana hai jo utna hi Khoobsoorat hai lekin thoDaa sa mera khayaal
hai ki kam sunaaee deta hai aajkal Lata Mangeshkar ka gaaya huya yeh
geet.

-------------------------------------------------------------------
Song: woh din kahaan gaye bataa jab is nazar mein pyar tha (Tarana)
-------------------------------------------------------------------

------COMMERCIAL BREAK--------

baheno aur bhaaiyon, aage baDhne se pehle aap 'note' kar len ek baar
phir zaroor yeh baat ki filmi geeton ke shaandaar sitaare D N Madhok
saahab na sirf geetkaar the balki saath mein kahaani aur 'screenplay'
aur 'dialogue' bhi likhte the aur unhone kai filmen 'produce' bhi kee
thi. Theek hai na Prithvi bhai?

PM: 'right, he was a complete filmmaker'. jo abhi Majrooh saahab the,
bahut achchhi 'lyrics' likhte the, Sahir saahab the, 'lyricist' the,
Anand Bakshi saahab the, 'lyricist' the, par kisi ne bhi koshish
naheen kee jo inhone kee, 'story' , 'dialogues', 'songs', Rajinder
Krishan karte the, woh inke 'assistant' the.

AS: achchha Rajinder Krishan 'assistant' the?

PM: ek zamaane mein, jo bahut 'talented' aadmi the, bahut abDe the,
par inke saath kuchh saal guzaare aur 'end' mein matlab yeh tha
inhone 'astrology' apni 'hobby' banaa lee aur wahaan se inko yeh
pataa lagaa ki 'wohi sitaare jo mujhe upar le gaye the, wohi sitaare
ab mujhe neeche laa rahe hain'. to inhone kaha ki 'abhi hamko yeh
kaam naheen karne ka hai'. to phir yeh 'retire' ho gaye 'about 56/57'
mein. aur waise inhone kisi ke aage haath naheen failaaye, na kisi ko
phansaaya hai, madad bahut logon ki kee hai, is kism ke saKhi log
the.

AS: Prithvi baabu, aapne bataaya ki Naushad saahab ko 'introduce'
filmon mein karne mein inka baDaa haath tha, D N Madhok saahab ka,
aapke pitaaji ka, Naushad saahab ke alaawa bhi aise kai log the
jinhe 'introduce' kiya tha aapke pitaaji ne?

PM: haan ji, Bulo C Rani, Pt Amarnath, Lahore mein, Hansraj Behl,
Husnlal Bhagatram, yeh to inki 'introductions' thi, aur baaki jinke
saath inki 'association' rahi bahut achchhi, jo inki 'association' ke
baad upar aaye, Gyan Dutt...

AS: achchha achchha, dekhiye, Gyan Dutt-ji ne to kai filmon mein D N
Madhok saahab ke geeton mein sangeet diya tha, unmein sabse mashoor
film thi Bhakt Surdas, jiske geet hamaare 'programme' mein baj hi
chuke hain, aur ek geet Sunehre Din film ka abhi abhi kuchh arsa
pehle suna. ek aur mashoor geet main yahaan pesh karta hoon Rajkumari
ka gaaya huya, film ka naam tha Nurse. magar geet sunwaane se pehle
baheno aur bhaaiyon, main ek baar phir shukriya adaa karna chaahoonga
mere dost aur Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke baDe wafaadaar shrotaa
Shri Lalit Khanna ka kyunki unhone chun chun ke D N Madhok saahab ke
baDe achchhe achchhe gaane mujhe deeye hain D N Madhok saahab ke in
do 'programme'-on ke liye, bahut bahut shukriya Lalit bhai phir ek
baar. achcha baheno aur bhaaiyon, ab suniye woh gaana.

--------------------------------------------------------
Song: woh gaye naheen hamein milke main mar gayi (Nurse)
--------------------------------------------------------

AS: ab Prithvi bhai, aapne kai 'music directors' ke naam liye, baDaa
zabardast saath raha aapke pita Shri D N Madhok saahab ka. lekin ek
naam aap bhool gaye, Khurshid Anwar?

PM: Khurshid Anwar ke saath inki bahut dosti bhi thi aur pyar bhi
tha. yeh hamesha kehte the ki mujhe zindagi mein teen aadmi bahut
achchhe lage hain - ek Naushad, ek Khurshid Anwar, ek Ghulam Haider.
yeh log jo hain, yeh sangeet mein rache huye hain. yeh sangeet ki
aulaad hain aur inhe sangeet ke alaawa aur kisi cheez mein 'interest'
naheen hai. Khurshid Anwar to inse itna pyar karte the ki
jab 'partition' ke baad Khurshid Anwar ko 'picture' mili Pakistan
mein, to Khurshid Anwar ne ek geet ki 'tune' banaaee, to Bombay mein
aakar unhone sunaaya, Khaas Bombay mein inko milne aaye, 'aapko
sunaane aaya hoon'. to inhone mazaak mein keh diya ki 'yaar, aise kya
mazaa aata hai ke tune banaaya kya hai sangeet ke saath sunaa
na 'background' ke saath'. to bechaare ne ek maheene mein, Khuda
jaane kitni koshish karke inke liye 'permit' laaye aur inko lekar
gaye wahaan. us zamaane mein aana-jaana bahut mushkil tha aur aajkal
bhi 'easy' naheen hai. us waqt to bahut hi mushkil tha. to yeh matlab
inka pyar tha.

AS: to ab to dono ke us pyar ke saboot mein Dr saahab, film Parwana
ka woh gaana bhi to bajnaa chaahiye jismein Madhok saahab ke bol the
aur Khurshid Anwar ka sangeet tha aur Suraiyya ki aawaaz thi.

------------------------------------------------------------
Song: jab tum hi naheen apne duniya hi begaani hai (Parwana)
------------------------------------------------------------

AS: achchha Prithvi bhai, aapne kuchh der pehle hamein bataaya tha ki
aapke pitaaji D N Madhok saahab jyotish vidya mein yaani 'astrology'
mein bahut dilchaspi rakhte the. to iske baare mein kuchh aur
bataayen aap?

PM: 'last 10 years' mein, unke zindagi ke aakhri ke jo 10 saal the,
unhone 'astrology' mein bahut 'interest' liya. 'astrology' ka matlab
kaafi 'deeply' samajhte the. par inhone usko zyaada hawaa naheen
lagne dee kyunki log pahunch jaate the inke paas ki mahurat kab
karen? shaadi kab karen laDki ki? to isliye inhone isko zaraa 'lower
level' pe rakha. par 'knowledge' inki bahut achchhi thi, aur
kaafi 'events' jaise 'floods' Bihar mein aaye, kisi ka vilaayat
jaana, kisi ka aana, kaafi inhone 'accurately predict' kiya tha.
Jagdish Sethi ke baare mein kaha tha ki yeh is din ke baad naheen
milega.

AS: achchha?

PM: haan, Prithviraj-ji jab beemaar huye, unko 'cancer' huya 'blood'
ka, yeh aksar inko milaa karte the, to 'avoid' hi karte the kyunki
unka jeena mushkil tha aur woh poochhte the ki 'bhai Dina Nath, main
kab tak hoon?' to yeh aa jaate the wahaan se kuchh na kuchh bahaana
lagaake. inko apne baare mein pataa tha ki 'meri umar kab tak hai'.
par inhone kabhi koi kahaani ya lambi 'dialogue' naheen banaaee
ki 'dekho beTa mere baad aisa karna waisa karna', kuchh naheen kahaa.
Bambai shahar ne inko bahut kuchh diya par inhe yeh shahar naheen
pasand. kehte the ki log yahaan tehzeeb-e-aafta naheen hain. jin
logon ko maine itni madad kee hai, mera unse koi tawakku naheen hai,
mera unse koi ummeed naheen hai, baDi baDi gaaDiyaan lekar guzar
jaate hain, dekhte tak naheen. mera bhai Hyderabad mein 'Regional
Manager' the, woh inhe shahar bahut pasand tha, usi shahar ne inhe
Gold Medal diya tha pehla. usi shahar mein inhone mushaayron mein,
jalson mein naam kamaaya tha. to inko us shahar se bahut pyar tha.
yeh kehte ki 'yaar, main chaahta hoon ki 'mere aakhri din Hyderabad
mein guzre'. aur kehte, 'wahaan koi aadmi aisa naheen jo mujhe jaanta
hai, par sau mein sau aadmi gaaDi khaDa karte hain aur kehte
hain 'chacha chhoD den? chacha kahin le chalen aapko? kyun aap chal
rahe hain? chaliye baiTh jaayiye gaaDi mein''. kehte, 'yeh maine
kahin naheen dekha hai aur Khuda kare ki main yaheen se chalaa
jaayun'. unhone Khuda se jo bhi maanga unko milaa, woh bas yahi
chaahte the ki 'agar main jaayun to Hyderabad se jaayun kyunki is
shahar mein tehzeeb bahut hai, pyar mohabbat bahut hai aur wohi baat
huyi'. 12 July 1982 mein, yeh 'road' pe chal rahe the, shaam ki sair
tafri ke liye nikle, barsaat ho gayi, ghar bhi aaye, to hamaari
chhoTi bhaabhi theen, kaha 'beTa chaai banaao yaar, chaai ka 'mood'
hai'. waapas aayeen to naheen the aur wohi Khuda se maanga, wohi unko
milaa. aur inke marne ke baad kai log, kai log aaye, jo kehte
the 'arey yeh 'uncle' to hamko mile the, yeh 'uncle' hamko 'road' pe
mile the, hamaare bachchon ko 'toffee' lekar dee inhone. ham us
din 'chemist' ki dukaan par gaye, hamaare paas paise naheen the to
kehte 'beTa mere paas hai na, le jaayo''. jab inki 'photo'
chhapee 'paper' mein to kam se kam Hyderabad se 2000 'letters' aaye
ke kuchh na kuchh waasta hamaara inse raha (bursts into tears).

------------------------------------------------
Song: nisdin barasat nain hamaare (Bhakt Surdas)
------------------------------------------------

aapne sunaa baheno aur bhaaiyon, D N Madhok saahab ka haal sunaate
sunaate aakhir unke beTe Prithvi saahab ki aankhon se aansoo chhalak
paDe aur usi ke saath saath Madhok saahab ki likhee Bhakt Surdas film
ke geet mein bhi nana barasne lage. ab baheno aur bhaaiyon, main bhi
zyaada kuchh naheen boloonga, bas Madhok saahab jaise filmi duniya ke
mahaan sangeet sitaaron ko jhuk kar salaam karoonga. baheno aur
bhaaiyon, ab D N Madhok ke geeton ka safar samaapt huya aur Sangeet
Ke Sitaaron Ki Mehfil ke agle 'programme' ka intezaar shuru ho gaya.
waise to baheno aur bhaaiyon, Madhok saahab ke sainkDon geet aur bhi
hain jo hamaare do 'programme'-on mein to samaa naheen sake, magar
hamaare dilon mein zaroor base rahenge. ab Ameen Sayani ko ijaazat
deejiye, agle 'programme' mein phir milenge, namaste!

THE END




Thu Mar 15, 2007 1:48 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1474 of 2465 |
Expand Messages Author Sort by Date

SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON D N MADHOK ... ************************************** PART 2 aayiye aayiye, bhai aapka swaagat karta...
soojoi_india
Offline Send Email
Mar 15, 2007
1:49 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help