SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL
AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON SAJJAD HUSSAIN
------------------------------------------
******************************************
PART 1
LM: Lata Mangeshkar
JG: Jagdeep (Actor/Comedian)
MU: Mustafa (Son of Sajjad Hussain)
SS: Siraj Sayyad (Assistant of Ameen Sayani)
AS: Ameen Sayani
sangeet ke chaahnewaalon, aaj Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein
aapka dost Ameen Sayani aapke liye lekar aaya hai ek bahut hu gunI
sangeetkaar ka sureela jeevan. ek sangeetkaar jinki taarif suron ki
raani Lata Mangeshkar ne bhi kee hai, aur aaj baheno aur bhaaiyon,
Lataji ke mukh se bhi sunenge us mausikaar ke baare mein. magar dhuno
ke us dhanee ke jeevan ke baDee kareeb ki tasveeren aapko dikhaane ke
liye aaj do log aur honge mere saath, ek to us sangeetkaar ke beTe
aur doosre woh jo na sirf unke gehre dost the balki jinhe aap jaante
hain filmi duniya ke bahut hi zabardast 'comedian' ke roop mein.
((Clip from Jagdeep's Filmi Muqaddama is played here.)) jee haan
baheno aur bhaaiyon, yeh hain Jagdeep jinpar maine ek baar filmi
muqaddama bhi pesh kiya tha aur usi ka hissa abhi abhi aapne sunaa.
lekin Jagdeep aaj bolenge 'comedian' naheen balki dost bankar. dost
us 'music director' ke jinki laajawaab dhuno mein ek aisi dhun bhi
hai jise Lata apni sabse chaheetee dhuno mein shaamil karti hain.
----------------------------------------------
Clip: ae dilrubaa nazren milaa (Rustam Sohrab)
----------------------------------------------
mujhe yakeen hai ki film Rustam Sohrab ke is amar geet ka abhi sirf
ek mukhDaa sa sunkar sangeet ke qadradaano ke kaan khaDe ho gaye
honge ki arey aaj hamein Sajjad Hussain ka 'music' sunne ko milegaa.
to jee haan doston, Sajjad hi hain aaj ki mehfil ke sitaare. Sajjad
Hussain, jinka janm 15 June 1917 ko huya tha Madhya Pradesh ki shahar
Sitamau mein aur maut 21 July 1995 ke din Mahim, Bambai mein.
-------------------------------------------------
Song: bhool jaa ae dil mohabbat ka fasaana (Khel)
-------------------------------------------------
Sajjad Hussain ki yeh Khoobsoorat dhun thi film Khel mein, aur
doston, agar main aapko itnaa bataa doon ki Sajjad saahab ne
apne 'career' mein sirf koi 14 filmon mein sangeet diya, unki pehli
film mein unhone akele naheen balki Pandit Hanuman Prasad ke saath
sangeet nirdeshan kiya 1944 ki film Gaali mein. aur phir akele
sangeetkaar ke roop mein saamne aaye woh film Dost mein, vagerah
vagerah vagerah... to yeh saari jaankaari to aapko kitaabon mein mil
hi jaayegi, magar main Khud bhi jaanna chaahta hoon aur aapko bhi
bataana chaahta hoon ki film sangeet ka yeh sehmaa huya sitaara asal
mein kaisa insaan tha. to iski ek tasveer dikhaane ke liye hamne
daawat dee hai Sajjad Hussain ke beTon mein se ek ko, naam hain inkaa
Mustafa.
AS: to bete Mustafa yeh bataao ki ek baap, ek waalid ki haisiyat se
kaise the tumhaare abbaajaan, kaisa mizaaj tha unka, ghar par tum sab
bachchon se unka rishtaa kaisa tha?
MU: unke mizaaj mein ek ajeeb sa sangam tha, gussa aata tha lekin
itne shafeeq baap the woh, 'shafeeq' ka matlab yeh hota hai ke bahut
zyaada pyaar karnewaala, bahut zyaada chaahnewaala, aur 'caretaker'.
bahut zyaada 'caretaker' the, gussaa to insaani jazbaa hai, aana hi
chaahiye. aur jab gussaa aata tha to koi seemaa naheen thi. lekin
ghar ka maahaul aisa tha ki itnaa hone ke baad bhi hamse Dare huye
zaroor rehte the. uski yahi wajah thi ki 'discipline' hamaare ghar
mein bahut zyaada tha. 'discipline in the sense' ke uThne ka, baiThne
ka, chalne ka, baat karne ka. ham jab ghar mein baat karte the to
hamko yeh 'permission' naheen thi ki zor se baat karen, aahistaa baat
karna paDtaa tha, unke saamne bahut adab se baiThna paDtaa tha. shuru
se unhone ghar ka maahaul aisa rakhaa ki film ka kaam zaroor karna
hai lekin ghar mein filmi maahaul kabhi aane naheen denaa hai.
isiliye hamaare ghar mein filmi maahaul aapko na shuru mein milegaa,
naa aaj ke 'date' mein milegaa. roze-namaaz ke bhi woh bahut paaband
the, dharam ke baDe maannewaale the, aur hamaari waalida, aur ham
bhi, hamaare daadaa ke samay se chalaa aa raha hai silsilaa, to iskaa
ahetraam bahut karte the, allaah rasool se Darte the, aur yahi wajah
thi ki unki zindagi sachchaai se shuru huyi aur sachchaai pe Khaatm
huyi.
haan, tabhi to unke tarzon mein ek seedhee si sachchaai, ek gehree si
saadgee huya karti thi. ab yahaan main Sajjad saahab ki ek aur dhun
pesh karoonga aur phir baat aage baDhaayenge ham. to bhai Mustafa aur
baheno aur bhaaiyon, yeh geet suniye film 1857 ka, jee haan yahi tha
film ka naam, aur yeh geet us zamaane ke, yaani 1857 ke naheen, balki
1945 ke zamaane ke do baDe hi mashoor 'playback singers' ne isey
gaaya tha, Suraiyya aur Surendra Nath.
----------------------------------------------------------
Song: teri nazar mein main rahoon meri nazar men tu (1857)
----------------------------------------------------------
----------COMMERCIAL BREAK----------
baheno aur bhaaiyon, aaj Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein baDe hi
baa-izzat sangeetkaar Sajjad Hussain ke sangeet ka ras ghul raha hai.
is samay ham Sajjad saahab ko dekh rahe hain unke beTe Mustafa ki
nazron se. bas ab se kuchh hi der mein aap Jagdeep ki aawaaz bhi
sunenge, intezaar keejiye.
AS: achchha bhai Mustafa, ek saaz tha, ek 'instrument' tha jo
tumhaare abba ke naam ke saath bahut zoron mein juDaa huya tha aur
woh tha 'mandolin'. ab us 'musical intsrument mandolin' ke baare mein
aur bhi bahut saari baaten hongi aage chalkar, yahaan Mustafa yeh
bataao ki Sajjad saahab tumhe bhi yaani beTon ko bhi 'mandolin'
seekhaate the na? isiliye tum aur tumhaare bhaai, Khaas taur par
Nasir aur Yusuf aaj itne aalaa darje ke 'mandolin players' ho gaye
woh? to yeh bataao ki Sajjad saahab ka tum sabko 'mandolin' seekhaane
ka tareeka kya tha?
MU: yeh waaqya to main kabhi bhool naheen saktaa ki woh jab
hamko 'mandolin' seekhaate the usmein yeh hotaa tha saahab ki yeh
shart hoti thi ki jo 'lesson' woh deke gaye hain woh hamko unhe shaam
tak sunaana hai, shaam ko deke gaye hain to subah sunaayen, aur agar
subah aapne naheen sunaaye to hamaare 'school' ka jo 'timing' tha
subah 7 baje, to aapko naashta naheen milegaa. aap 'recess' mein
aakar bhi naheen kar sakte, 'evening' ko jab aap 'school' se aayenge
to 'direct' khaana milega, yeh iski sazaa thi. yeh chhoTi baat. isse
baDi baat ki subah woh hamko ek kamre mein band karke chale jaate
the, yaani ek kamre mein band taalaa lagaake. aur hamaari waalida
ko 'instructions' thi ki inko na to khaana dogee na paani poochhogi.
to woh apne 'recording' pe yaa kahin 'sitting' pe kahin bhi chale
jaate the aur shaam ko woh darwaazaa khulta tha, tab tak iska matlab
tha ki hamko pooraa riyaaz karke, 'practice' karke, saare
woh 'lessons' sunaa dena hai. agar woh sunaa diya to waare-nyare,
warnaa to phir aap samajh gaye.
AS: achchha, to main yahaan tumhi bhaaiyon mein se ek ke bajaaye
huye 'mandolin' ke ek 'album' se ek chhoTa sa hissa pesh karna
chaahoonga taaki hamaare sunnewaalon ko yakeen ho jaaye ki Sajjad
Hussain ne apne beTon ko 'mandolin' vaadan mein kitnaa tayyaar kar
diya hai, suniye.
-----------------------------------------------------------
Piece: Mandolin Recital by Sajjad Hussain's one of the sons
-----------------------------------------------------------
AS: waah bhai, waaqai 'mandolin' bahut achchhi tarah bajaa lete ho
tum sabhi beTe Sajjad ke. bhai ham Sajjad saahab ka bajaaya
huya 'mandolin' bhi sunwaayenge yaa to aaj yaa hamaare
agle 'programme' mein. baherhaal, yeh bataao Mustafa,
tumne 'mandolin' kis umar mein seekhna shuru kiya apne abba yaani
Sajjad saahab se?
MU: jahaan tak yaad hai, ham sab 5 saal se thoDaa baDaa, to hamaara
seekhna shuru huya kaam, aur 9 saal tak hamne 'regular'
seekhaa 'continuously', 9 saal ki umar mein hamne bahut kuchh seekh
liya tha abba se, usmein yeh huya ki is umar mein ek bachcha jitna
bajaata hai usse kuchh zyaada hi seekh liya tha hamne. 9 saal ki umra
mein ham logon ko, yaani us samay ke tamaam 'music directors' ko
apna 'trial' bhejaa tha, dono bhaaiyon ne, main aur mera chhoTa bhaai
Yusuf. ham dono ne jaake 'trial' dee, logon ko sunaaya, unhone
sunaaya ki hamne in bachchon ko seekhaaya hai aur is 'line' mein
Daalna chaahta hoon. us par bhi unka yeh raha ki jisko sunaate the
usko yeh bolte the us 'music director' ko ki 'maine inke umar ke
hisaab se itna seekhaa diya hai, ab aap kaam den yaa naa den yeh
aapke upar hai. yeh sochkar kabhi kaam na dena ki yeh Sajjad saahab
ka laDkaa hai, mujhe 'obligations' pasand naheen'. is tarah
hamne 'struggle' ke saath aur mushkil se main samjhta hoon ki 11 saal
ki umra se hamne kaam karna shuru kar diya tha 'industry' mein.
AS: ab tum 11 saal ki umra ka zikr kar rahe to bhai us waqt shaayad
Sajjad saahab ki woh mashoor film Rustam Sohrab ke geet tayyaar ho
rahe honge. kya Rustam Sohrab ke geeton mein tum logon ne, yaani
tumne ya Yusuf ne bajaaya?
MU: Rustam Sohrab ke jo 'plucking' ke jo 'parts' hain, gaane hain, un
sab mein ham maujood the, hamne bajaaya hai.
AS: kin kin geeton mein bajaaya hai?
MU: Rustam Sohrab mein jo qawwaali hai "phir tumhaari yaaden" usmein
ham logon ne bajaaya, "yeh kaisi ajab daastaan ho gayi hai" usmein
hamne bajaaya.
AS: to yahaan ham ajeeb daastaan sun lete hain Suraiyya ki aawaaz
mein, qawwaali bhi aayegi aage chalkar.
---------------------------------------------------------
Song: yeh kaisi ajab daastaan ho gayi hai (Rustam Sohrab)
---------------------------------------------------------
achchha to doston, ab Sajjad Hussain ki daastaan jo hai woh yun
samajhiye ki karwaT si leti hai, aur ab yeh daastaan aapko sunaane ke
liye aati hain mashoor 'filmstar' Jagdeep ki aawaaz, sirf aawaaz
isiliye ki na main unko 'record' karne ke liye unke Bandra waale ghar
mein jaa sakaa aur na hi unka mere Colaba ke 'studio' mein aana
mumkin ho paaya. lihaaza mere saathi Siraj Sayyed ne jagdeep ke ghar
ke paas ka ek 'studio book' karwaaya aur waheen unko Khud 'interview'
kiya. Siraj pehle bhi mere saath kaam kar chuke hain, kai baras kaam
kar chuke hain aur aajkal yeh kaafi 'international communications'
mein lage huye hain. kabhi kabhi jab Bambai lauT-te hain to meri
madad kar dete hain. to Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein Sajjad ke
baare mein Jagdeep ki jo baaten aap sunenge na baheno aur bhaaiyon,
woh Siraj Sayyed hi ka liya huya 'interview' hai jiska CD
main 'start' karta hoon ab:
SS: Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein Jagdeep saahab, aapka
istakbaal, swaagat, Khushaamadeed.
JG: 'Thank You', shukriyaa, dhanyavaad!
SS: huzoor dekhiye meri Sajjad saahab se aaKhri mulaaqaat aap hi ke
ghar mein huyi thi, mera Khayaal hai san 94 ke aas-paas ki baat hai,
jiske kuchh dino baad unka inteqaal ho gaya. isliye mera
is 'programme' mein aapka 'interview' karna koi taajjub ki baat
naheen hai. lekin hamaare sunnewaale jo hain unmein zyaadatar logon
ka yeh Khayaal hogaa aur shaayad woh yeh soch rahe honge ke Jagdeep
saahab to ek 'comedian' hain, ham sab ko hansaate hain, aur Sajjad
saahab ke baare mein unhone yeh sunaa hoga aur unhe yeh ilm bhi hoga
ki woh baDe sanjeeda kism ke aadmi the aur log to yahaan tak kehte
the ki unhe bahut jaldi gussa aa jaata tha, aur woh umar mein bhi
aapse kaafi baDe the. to unka saath aapse kaise aur kyun huya?
JG: kamaal hai saahab, aapne to mere sar pe hathoDaa maar diya. arey
bhai, tablaa hai agar to usko Thokne ke liye woh chaahiye na? ek
hathoDi? woh to ho sakta hoon na main? (laughs), aisa mera aur unka
saath tha. yeh baat aur hai ki 'God-gifted' hain, mujhmein samajh hai
mausiki ki, jab main bachcha tha, Mahim mein rehta tha, woh bhi
waheen rehte the Mahim mein, ek saahab mujhe unke yahaan le gaye
ke 'chalo mehfil hai', sher-o-shaayri huyi aur uske baad mein
unka 'mandolin' bajaa aur main, na jaane kya kaifiyat taari mujhpar
ki main daad de raha tha, subah kab huyi maaloom naheen huya. unhone
mujhe gale lagaa liya aur kahaa ki 'baDe achchhe achchhe log us jagah
daad naheen de paate hain jis jagah beTaa tum de rahe the, mujhe
bahut achchha lagaa, aur tum aana sunne mujhko'. phir main aksar
jaata tha, woh mere ghar bhi aate the pyaar se, meri maa unko bahut
pasand karti theen, unki sangeet ko, mausiki ko, unko woh gaana bahut
pasand tha, "aaj mere naseeb ne mujhko rulaa rulaa diya". ab dekhiye
usmein kitni woh hai, (sings) "aa mere naseeb ne mujhko rulaa rulaa
diya, beete dino ki yaad ne phir mera dil dukhaa diya". yeh yeh hai
ki jo shaayar keh raha hai, jo kaifiyat hai us gaane ki, usko kaisi
mausiki mein Dhaalnaa, us 'expression' ko sirf wohi jaante the.
---------------------------------------------------------
Song: aa mere naseeb ne mujhko rulaa rulaa diya (Hulchul)
---------------------------------------------------------
----------COMMERCIAL BREAK----------
Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein abhi abhi aapne Sajjad Hussain ki
dhun sunee baheno aur bhaaiyon, film Hulchul se. aur ab main phir
aage baDhaata hoon Jagdeep ka 'interview' jo mere saathi Siraj Sayyed
ne 'record' karke le aaye hain aapke liye.
SS: Jagdeep saaahab, sunaa to yeh hai ki unke ghar pe ek ajeeb sa
maahaul hota tha, aap jaise unke chand chaahnewaale kai baar shaam ko
pahunchte the unke ghar mein aur woh 'mandolin' chheDna shuru karte
the aur pataa bhi naheen chalta tha ki kab subah ho gayi?
JG: sahee hai, ek ajeeb si baat hai, itna pyar karte the mujhse ki ek
unhone mujhpar ek 'cassette' banaaya apne saaz ka aur mujhe diya ki
beTaa, main itna pyar karta hoon tumse, mujhe achchha lagta hai jo
tum baiThte ho, yeh tumhaare liye 'composition' hai, magar woh chori
ho gayi, achchhi cheezen chori ho jaaya karti hain. to maine jab unse
kahaa, to bole ki 'beTa, ab pataa naheen phir main kab banaa
paayunga' aur phir we is duniya se chale gaye, afsos hai mujhe.
SS: dekhiye, sunaa to yeh hai ki Sajjad saahab ki dhune log chura
liya karte the, yahaan to poora 'cassette' aur 'recording' hi churaa
lee.
JG: unkaa yeh maanna tha ki yeh 'English' saaz jo hai na, bahut
zyaada zaroori naheen hai, unko apne saazon par baDaa aetmaar tha,
Hindustani saazon par, 'mandolin' ko unhone veena banaa diya tha. to
unhone Sangdil film mein, kahaa, 'beTa maine kya kiya, do
saarangiyaan lee aur do 'mikes' rakhe, aur dono ko unke saamne bajaa
diya, aisi dhamak paida huyi jo hazaaron 'violins' mein bhi naheen
paidaa ho sakta, suniye woh gaana.
-----------------------------------------------
Song: yeh hawaa yeh raat yeh chaandni (Sangdil)
-----------------------------------------------
film Sangdil ka yeh geet "yeh hawa yeh raat yeh chaandni, teri ek
adaa pe nisaar hai", baheno aur bhaaiyon, yeh Talat saahab ke bae hi
manchaahe geeton mein se ek tha, aur mujhe yaad hai ki Talat saahab
jab bhi kisi 'show' mein jaate the to is geet ki bahut saari
farmaaishen zaroor zaroor aaya karti. baherhaal Jagdeep
ke 'interview' mein Siraj ne unse phir poochhaa:
SS: aapke pasandida naGmon mein se kuchh aur naGmon ka zikr karen jo
Sajjad saahab ki 'compositions' rahi hon, ek bhajan hai jo, jiska aap
aksar zikr kiya karte hain, jo aapko bahut pasand hai.
JG: jee haan, jee haan, bahut se bhajan hain jo achchhe bane hain,
lekin us bhajan mein ek ajeeb si kaifiyat hai, aisa lagta hai ki
bilkul giDgiDaakar bhagwaan se maang rahi hai, sachcha maaloom hota
hai, usmein usmein kitni sachchaai hai, bhajan suniye aap...
SS: isi film Sangdil ka bhajan hai, Geeta Roy ka gaaya huya.
-----------------------------------------------------------------
Song: darshan pyaasi haan yeh daasi jagmag deep jalaaye (Sangdil)
-----------------------------------------------------------------
achchha baheno aur bhaaiyon, ab kuchh der ke liye ham mahaan
mausikaar Sajjad ko dekhne ka apna drishTikoN phir se zara badalte
hain, ab main phir muKhaatib karta hoon Sajjad ke beTe Mustafa ko:
AS: yeh bataao Mustafa, tumhe apne waalid saahab ki dhuno mein se
kaun sa geet sabse zyaada pasand hai?
MU: unke tamaam gaane us chaman ki tarah hain jismein rang-birangi
phool hote hain, jismein har phool ki Khushboo alag hoti hai aur uski
rangat alag hoti hai. koi kisi se kam naheen hota hai to koi kisi se
kam bhi naheen. phir bhi kuchh gaane aise hain jinko main baar baar
sunna pasand karta hoon, jaise Saiyan film ka ek gaana, jise Lataji
ne gaaya hai, "saari saari raat re dil baDaa sataaye teri yaad aaye",
yeh gaana mujhe bahut pasand hai aur main yeh chaahoonga ki yeh gaana
aap zaroor sunaaye.
-------------------------------------------------------------------
Song: kaari kaari raat re dil baDaa sataaye teri yaad aaye (Saiyan)
-------------------------------------------------------------------
----------COMMERCIAL BREAK----------
AS: baheno aur bhaaiyon, Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein aapne
sunaa film Saiyan ka gaana "kaari kaari raat" sangeetkaar Sajjad ke
beTe Mustafa ki farmaaish par. lekin kya aap jaante hain ki Mustafa
aur unke bhaai, Khaas taur par Yusuf ne milkar ek film mein sangeet
nirdeshan bhi diya hai! to Mustafa, us film ke baare mein bhi
bataaoge?
MU: yeh bahut puraani baat hai, is film ka naam tha Zeenat, yeh film
jab woh lekar aaye the, is film ke 'producer' ka naam hai Ram Gopal
Gupta, to yeh 'offer' jab woh lekar aaye the to abbaa ko
shaayad 'offer' pasand naheen aaya yaa phir woh yeh film naheen karna
chaahte the, us haalat mein yeh 'decide' huya ki yeh film agar koi
karega to mere bachche karenge. us aalam mein ham dono bhaai, us film
ka 'music' diya, us film mein chaar gaane the, do Rafi saahab ne
gaaye, ek Mubaraq Begumji ne gaaya, aur ek Asha Bhosleji ne gaaya.
AS: to bhai Mustafa, main yeh duya karoonga ki bahut jald tum bhi
itne kaamyaab sangeetkaar ban jaayo apne abbaajaan ki tarah ki ham ek
poora 'programme' tumhaari hi tarzon par pesh kar sake. Theek hai? ab
Mustafa, main yeh jaanna chaahoonga ki Sajjad saahab ke paas jab
sangeet nirdeshan se aur 'mandolin' ke 'programme'-on se waqt bachtaa
tha to usmein woh kya karna pasand karte the? kya shauk the unke?
MU: namaaz paDhne ka baDaa shauk tha, dil se karte the, dil se paDhte
the, aur kitaaben paDhna aur unkaa mutaala karna, achchhe ashaar ka
mutaala karna, achchhe shaayar ka poora 'background' pataa karna,
jismein Ghalib saahab ko bahut pasand karte the. yeh unka shewaa tha
aur sabse upar unka jo zyaada waqt nikalta tha yaa guzarta tha woh
riyaaz mein. unke zindagi ka do 'formula' tha, riyaaz aur namaaz.
hamko kehte the, "beTe jab tak riyaaz aur namaaz karte rahoge,
zindagi mein kaamyaabi milegi". riyaaz bahut zabardast karte the,
aaKhri waqt tak unhone 'mandolin' ka riyaaz naheen chhoDaa, 'music'
se behad lagaav tha, yeh to kehne ki baat hi naheen!
AS: achchha tumne unke shaayri ke shauk ka zikr kiya aur unke
pasandida shaayron mein Ghalib ka naam bhi liya, main sunaa hai ki
Sajjad saahab Khud Ghalib saahab ke Gazlon ka ek 'album' bhi banaana
chaahte the, kuchh iske baare mein bataao.
MU: ek kissa hai saahab, kuchh aisa huya, main naam naheen
loonga 'music director' ka, kahin chalte huye unhone yeh Gazal sunee,
Ghalib saahab, jo pehle se inhe maaloom the, alfaaz maaloom the, unki
jo 'tune' inhone sunee to unko bahut zyaada takleef huyi, aur takleef
is maaeene mein huyi ki Mirza Ghalib ka kalaam aur us par
aisi 'tune'. yeh naa-insaafi hai unke hisaab se. 'to kyun naheen main
ek 'album' banaayun jismein Mirza Ghalib ke kalaam hon aur meri dhune
ho', aur woh Lataji se 'record' karne ka iraada bhi rakhte the, par
kisi wajah se woh adhura reh gaya, haalaanki unki
kuchh 'compositions' paDee hain hamaare ghar mein. mujhe achchhi
tarah se yaad hai ki Ghalib saahab ki kai 'compositions' karke, jo
woh 'record' karna chaahte the, woh mujhe sunaate the. meri ek pasand
thi saahab, jo meri aadat ban gayi thi, ke main jab beemaar hota tha,
mujhe 'tonsils' ki shikaayat aksar rehti thi, jab meri tabeeyat
Kharaab rehti thi to main abbaa ko yahi kehta tha ki gaana sunaao,
mujhe usmein itnaa sukoon milta tha, to Ghalib ki Gazlen woh aksar
mujhe sunaate the. aapko yakeen aana chaahiye ki agar unhone ek sher
gaake sunaaya to e sher woh do ghanTe tak gaate the,
kitni 'variations' usmein karte the, aur bataate the hamko ki 'yeh
aisa bhi ho sakta hai, waisa bhi ho sakta hai, is tarah bhi gaaya jaa
sakta hai, is tarah bhi gaaya jaa sakta hai'.
AS: bhai kaash Sajjad saahab ne kuchh Gazlen aur kuchh geet apni
aawaaz mein bhi 'record' karwaaye hote to ham bhi jaan lete ki nanhe
Mustafa ki beemaari mein Sajjadji ne uska dil kis tarah bahlaaya
hogaa, hun? Khair, baheno aur bhaaiyon, Ghalib aur Lata ki baat to
aage baDhne hi waali hai Sajjad ke jeevan kahaani ke silsile mein,
magar yahaan zaraa suron ka mazaa badalne ke liye main aapko do aur
zanaana aawaazen sunwaata hoon, jinhone film Sangdil mein ek baDaa
pyaara sa 'duet' gaaya tha Sajjad ke nirdeshan mein, woh gaayikaaen
theen Geeta Dutt aur Asha Bhosle.
--------------------------------------------
Song: aaja basaa len nayaa sansaar (Sangdil)
--------------------------------------------
achchha baheno aur bhaaiyon, Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein kuchh
der pehle Ghalib ki shaayari se Sajjad saahab ki lagan ke baare mein
unke bee Mustafa ne hamein bataaya tha, magar woh baat ki Sajjad
saahab ek pooraa 'album' tayyaar karna chaahte the Ghalib ki Gazlon
ka aur un Gazlon ko Lata Mangeshkar se gawaana chaahte the, Siraj
Sayyed ne jo 'interview' Jagdeep ka 'record' karke mujhe bhejaa hai
na, usmein yahi baat unhone Jagdeep saahab se bhi chheDee thi. to
uske jawaab mein suniye Jagdeep ne kya kahaa:
JG: bilkul sahi hai, mere paas ek kitaab thi, jismein Sari Shohra ne
Ghalib par kahaa hai ki yeh sher aisa hai, iska matlab yeh hai, iske
maane yeh hai, to unhone mujhe kahaa 'beTa mujhe de do, main
sahee 'expressions' se jaanna chaahta hoon, aur unhone do-teen dhune
sunaaee bhi thi, itni laajawaab thi, kaash ki woh 'record' ho paati
yaa unke bachche kare unko.
AS: haan doston, Jagdeep saahab ne Theek hi to kahaa hai Sajjad
saahab ke paas tarzen to hain hi rakhee huyi aur unke teen beTe to
Khud hi bahut suljhe huye sangeetkaar bhi hain, aur 'mandolin' to
paancho bhaai bajaa lete hain, lehaaza mujhe poori ummeed hai ki woh
zaroor tayyaar laraaenge Ghalib ki Gazlon ka 'album'. ab yeh to main
naheen keh sakta ki Sajjad ke beTe un gazlon ko gaane ke liye Lata
mangeshkar ko raazi kar lenge yaa naheen lekin ab main aapko Lataji
ki 'cassette' Lata in Her Own Voice, is 'cassete' se unkaa bolaa huya
ek chhoa sa hissa sunaata hoon baheno aur bhaaiyon, jismein Lataji ne
Sajjad bhaai ke baare mein kya kahaa tha zaraa dhyaan se suniye:
LM: mujhe Sajjad saahab ka gaana gaate waqt hamesha ek thoDaa sa Dar
lagtaa tha kyunki woh do-teen baaton mein bahut 'particular' the, ek
to hamaare yahaan hota hai na, koi aalaap karna hai to baDaa zor
dekar aalaap, woh unko achchha naheen lagta tha, aur cheez sur mein
honi chaahiye. unkaa gaana gaate waqt mujhe thoDaa sa yeh lagta tha
ki bhai unko pasand aayega ki naheen, kya main Theek gaa rahi hoon ki
naheen, aur andar se yeh bhi hota tha ki inka gaana gaana hi chaahiye
aur achchha hona chaahiye.
yeh to thi Lata ki baat sangeetkaar Sajjad ke baare mein aur
usi 'cassette' mein woh baat bhi hai jo Sajjad ne kahee hai Lata ki
shaan mein. magar woh ham aaj naheen balki Sangeet Ke Sitaaron Ki
Mehfil ke agle programme mein sunwaayenge. yahaan main aapko Lataji
ki ek aur Khoobsoorat geet sunwaata hoon Sajjad ke suron mein piroya
huya.
--------------------------------------------------------
Song: woh to chale gaye ae dil yaar se milke pyar kar (Sangdil)
--------------------------------------------------------
baheno aur bhaaiyon, maine suna hai ki Sajjad saahab tarzen to baDi
meeThee meeThee, madhur aur madhyam se banaate hain magar unka
swabhaav jo tha woh baDaa tez tha. unko Gussa baDi jaldi aa jaaya
karta tha. khari khari sunaane mein woh kabhi peechhe naheen rehte
the. aur isiliye unhone apne kai 'producer'-on aur kai saathiyon ko
bhi naaraaz kar diya tha jiski wajah se itne baDe aur itne manjhe
huye sangeetkaar hote huye bhi Sajjad saahab ko sirf 14 filmen hi mil
paaye. ab iske baare mein Siraj ayyed ne bhi meri taraf se adaakaar
Jagdeep ko poochha hai magar woh aap agle 'programme' mein sunenge.
yahaan main Sajjad ke beTe Mustafa se poochhoonga ki bhai Mustafa,
tumne bataaya tha ki tumhaare abbaa baDe saKht 'disciplinarian' the,
baDe kaDak mizaaj ke the, to yeh bataao ki 'producer'-on ke saath bhi
itni saKhti ke saath pesh aaya karte the? kaisa rishtaa tha
unka 'film producers' ke saath?
MU: kuchh to 'producers, directors' aise the jo unko zindagi mein
mile, jaisa Rustom Sohrab ki baat karta hoon, ki unhone sunna bhi
pasand naheen kiya, ki aap 'music director' hain, hamko to aap
sirf 'recording' ki 'date' bataaiye. isse pehle bhi kai logon ne
aisi 'compliments' dee ki saahab aapka gaana tayyaar hai to
ham 'recording' mein aayenge. haan mujhe ek gaana yaad aata hai,
Rustom Sohrab mein ek gaana tha, waise Rustom Sohrab ke saare gaane
woh hamko sunaaye, hamaari waalida ko sunaaye, aur waalida ko to
pehle se sunaate aaye hain, sunaane ka yeh 'sense' naheen tha ki
achchha bura, haan maine bas yeh gaana banaaya, suno. aur do
teen 'tune' unki 'option' kabhi naheen hoti thi. lekin ek gaana
unhone apni marzi se do 'tune' banaaee thi, jo Rustom Sohrab mein
tha, unmein se ek hai "ab der ho gayi wallah tu chhoD de mera palla",
Ashaji ne gaaya, uski do 'tune' unhone ham sabko sunaaee,
aur 'picture' mein jo gaana sunte hain, jo hai gaana, jo 'record'
mein naheen hai kyunki 'record' chaar gaane ka banaa hai, film mein
paanch gaane hain, woh gaana wohi hai jo ham sabne 'pass' kiya tha,
pasand kiya tha. 'pass' to hamaari majaal naheen, lekin pasand kiya
tha. yeh gaana wohi hai aur main chaahta hoon ki yeh gaana aap
hamaare sunnewaalon ko zaroor sunaayen.
------------------------------------------------------------------
Song: ab der ho gayi wallah tu chhoD de mera palla (Rustom Sohrab)
------------------------------------------------------------------
bhai der to aaj ke hamaare 'programme' mein bhi bahut ho gayi hai,
baheno aur bhaaiyon, bhuleeyega naheen, agle 'programme' mein bhi na
sirf Sajjad ke beTe Mustafa honge mere saath balki
jaanemaane 'comedian' aur Sajjad ke 'serious' dost Jagdeep bhi honge
aapko baDi pyaari aur baDi dischasp baaten bataane ke liye us
sangeetkaar ke baare mein jisne filmi sangeet ke Khazaane ko kam hi
dhune dee magar unmein se kai hameshaa yaadgaar banee rahengi. kuchh
dhune aaj aapne sunee aur kai aur agle 'programme' mein bhi hongi. to
baheno aur bhaaiyon, sangeet ki sunehri daur yaani 'golden period'
ke 'music director' Sajjad Hussain ki sureelee jeevan kahaani ab
Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke agle 'programme' mein aage baDhegi.
aap bhi suniyega Jagdeep, Mustafa Sajjad, aur Ameen Sayani ke saath.
END OF PART 1