Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can search the group for older messages.

Messages

  Messages Help
Advanced
Sargam Ke Sitare - Anjaan (Part 3)   Message List  
Reply | Forward Message #1564 of 2463 |
SARGAM KI SITAARE
-----------------
ANJAAN KI KAHAANI SAMEER KI ZUBAANI
***********************************

(Excerpts from the 4 episode series)
------------------------------------

PART 3

AN: Anjaan
SM: Sameer
YK: Yunus Khan


YK: ab Imaandaar film ke us gaane ki charcha, jise bahut zyaada to
naheen sunaa gaya lekin woh apne aap mein ek anokhaa gaana hai.

SM: jo meri apni likhne ki shaili hai, woh kahin na kahin main aisi
panktiyon se, aise bhaavon se bahut prereet raha hoon aur meri
koshish hameshaa rahi hai ki 'simplicity' ke saath ek bahut baDi baat
keh dee jaaye aur aasaani se keh dee jaaye, yahi sabse baDi
qaabileeyat hoti hai kisi shaayar ki. aur main geetkaar ki baat
karoonga. Khaaskar geetkaar jo likhta hai woh aam logon ke liye
likhta hai. aise logon ke liye likhta hai jo ek 'auto' chalaane waala
bhi film dekhne jaata hai aur ek saahityakaar bhi film dekhne jaata
hai, to logon ki samajh mein baat aani chaahiye. ek aisi 'industry'
ke liye, ek aisi duniya ke liye aap kaam karte hain jismein tarah
tarah ke log aate hain, tarah tarah ke log dekhnewaale aur
sunnewaale. Anand Bakshi hameshaa kaha karte the ki waaqya woh hai jo
saamnewaala 'complete' kare.

YK: sahee hai!

SM: shaayri woh hai jisse saamnewaale ki munh se binaa bulwaaye waah
nikal jaaye.

YK: Sameerji, Imaandaar film ka gaana, yeh gaana bhi sun lete hain.

----------------------------------------
Song: ae kaash dil-e-naadaan (Imaandaar)
----------------------------------------

YK: to abhi tak geetkaar Sameer ne apne geetkaar pitaa Anjaan ki
smritiyaan hamaare saath baanTee. baaton baaton mein Sameer ne kahaa
ki in dino 'na sirk mera chehra balki meri aawaaz bhi apne pita, apne
paapa ki tarah ho gayi hai kyunki Anjaan ke saath kaam kar chuke log
aksar kehte hain ki tum keval Anjaan ki tarah dikhte hi naheen balki
bolte bhi ho'. Vividh Bharati ke sangrahaalay se hamne geetkaar
Anjaan ki ek Jaimala nikaalee hai jo unhone fauji bhaaiyon ki sevaa
mein pesh kee thi. is aawaaz ko suniye aur kahin aap bhi yeh samajhne
ki bhool mat keejiyegaa ki yeh Sameer ki aawaaz hai. yeh Sameer ke
pitaa geetkaar Anjaan hain fauji bhaaiyon se apne man ki baat keh
rahe hain.

AN: pyaare fauji bhaaiyon, namashkaar, aaj main aapko ek aisi filmi
shaayar ki kahaani sunaane jaa raha hoon, jo aaj se lagbhag 16/17
varsh pehle is anjaani maaya nagari Bambai mein bilkul anjaane logon
ke beech sangharsh kar apni kismat aazmaane aaya tha. aur ek din isne
apni kavitaa ki panktiyaan mujhe sunaaee thi ki 'apno se mujhe kuchh
bhi na mila jo milaa milaa begaano se, main to jeevan bhar dabaa raha
begaano ki ahsaano se'. woh shaayar aur koi naheen main hoon, kuchh
begaano ke ahsaano ke sahaare ek ek kadam chalkar aaj aapki mehil
tak, aapka manoranjan karne aaya hoon, yeh meri Khushnaseebi hai. har
subah bahut yaad aate hain, har shaam bahut yaad aate hain, kuchh
naam bahut yaad aate hain. pehlaa naam jo mujhe yaad aa rahe hain woh
hain Pandit Ravi Shankar jinki sangeet nirdeshan mein Munshi
Premchand ki upanyaas Godaan par banee film mein geet likhne ka
saubhaagya mujhe milaa tha. aalochakon ne yeh kaha ki 'Anjaan ne kya
likha hai, saare ke saare gaane to lokgeet hain'. isse baDi prashansa
ki baat mere liye aur kuchh naheen ho sakti, isse baDi kaamyabi kya
ki jis miTTi mein main janmaa hoon, palaa baDhaa hoon, mere geeton
mein bhi usi miTTI, usi loksangeet ki Khushboo logon ko dikhaaee dee.
main aaj ka yeh 'programme' Godaan film ke Holi geet se shuru karta
hoon.

-----------------------------------
Song: Holi khelat nandlaal (Godaan)
-----------------------------------

AN: fauji bhaaiyon, aam logon ka yeh Khayaal hai ki filmi geet
likhnaa baDaa aasaan kaam hota hai. main ek kahaani aapko sunaata
hoon jo meri film Faulaad se juDee hai. iske ek gaane ke liye maine
nayi shailee shuru kee jise baad mein bahuton ne apnaaee. is gaane ke
liye main har roz nayi 'line' likhkar le jaata aur har din 'music
director' ke dil ko woh chhoo naheen paati. aisa karte karte mera
vishvaas TooTne lagaa aur maine kahaa ki mujhse isse zyaada aur
naheen ho saktaa. to unhone kahaa ki aap aur koshish keejiye, zaroor
aap kuchh aur achchha likh paayenge. unkaa abhi tak mujhpar se
vishvaas TooTa naheen tha. to ek din main Andheri se Dadar tak 'local
train' ke khachaakhach bhare Dibbe mein baiThkar gaane ke teeno
antare likh Daale aur 'recording' par le gaya. 'recording room' mein
sabko gaana bahut pasand aaya. to suniye film Faulaad ka wohi geet.

------------------------------------
Song: paaon mein jhaanjhar (Faulaad)
------------------------------------

YK: Sameerji, aapke pitaaji ke itne gaano ka zikr huya, aur aapne
bataaya ki aapke Bambai aane ke baad kis tarah woh apne gaano ka zikr
aapse kiya karte the. yeh bataaiye ki gaano ke alaawa aap dono mein
kaisi baaten huya karti thi?

SM: jab maine 1981 mein Bambai mein kadam rakhaa aur jab ham kareeb
se pitaa-putra ke rishtey ko jeene lage, roz ek doosre ko dekhne
lage, roz ek doosre se baatchit karne lage, tab maine unmein chhipi
huyi prem, apne parivaar ke prati unki chintaa ko jaana. ek saath
rehne mein jo sukh hai woh hamne jaana. unhone kabhi apni
parehsaaniyon ko, apni takleefon ko, hamaare saamne naheen vyakt hone
diya, woh hamesha hamaare baare mein hi sochte the.

------------------------------------------------------------
Song: jiskaa koi naheen uskaa to Khudaa hai yaaron (Lawaris)
------------------------------------------------------------

SM: jab ham Bambai, unke paas chale aaye to woh zyaada waqt ghar mein
guzaarte the, unko hamaare saath, ek saath rehna achchha lagne lagaa.
mammy ke haath ka banaa khaana bahut achchha lagne lagaa, hamaari
baaten unko achchhi lagne lagee. jaisa ki maine aapse pehle bhi kaha,
woh apna dard kabhi naheen baanT-te the, balki logon ke dard ko apna
dard maanke chate the. 'tum kitne baje soye, kitne baje raat ko ghar
aaye, subah se kya kiya, aaj kya khaana banega, tumko kya pasand
hai..' unko kuchh cheezen baDi pasand thi. paneer unko bahut pasand
thi.

YK: waah!

SM: paneer woh Khud jaake bazaar se khareed laate the. unko paalak
paneer bahut pasand tha, to hamaare aane ke baad woh khud jaake
paneer laate the, ek bahut achchha waaqya yaad aaya, ek baar unse
kisi ne poochha ki 'Anjaan-ji, kyaa aapne paneer ki dukaan Daali
hai?' (laughs). unhone kahaa, 'kyun, paneer main khareed raha hoon
aur pareshaani tumko ho rahi hai?' to usne kaha ki 'aap roz itne
paneer le jaate ho, roz aadha kilo ek kilo paneer ek aadmi leke jaata
hai, kabhi aap aate ho, kabhi aapka beTaa aata hai, aisa lagtaa
naheen ki aapka bahut baDaa parivaar hai, paneer ki itni zyaada
khapat kahaan hoti hai?' (laughs). phir woh sab taraf dhyaan rakhte
the, kahaan kya ho raha hai, sab unki aankhon ke saamne hona
chaahiye, aur sabhi se baat karte the. phir woh apne gaane ghar mein
sunaate the, Khaaskar mujhe kyunki unhe maaloom tha ki main sahee
maaeene mein gaana samajhta hoon, aur unka yeh Khayaal tha
ki 'crtics' jo hote hain woh ghar mein hote hain and 'they are the
real critics', woh munh par bol dete hain, unko achchha laga to
achchha, bura laga to bura, baahar ka koi agar bura bhi lage to
shaayad kahega ki achchha banaa hai.

-------------------------------------------------------------
Song: paagal chanda mere man ki aag mein saari raat jale (
--------------------------------------------------------------

SM: agar khaana bhi ban raha hoga to kai baar 'kitchen' mein bhi
chale jaate the. 'kaise banaaya, bataayo mujhe zaraa'. unko kabhi
khaana banaane ka shauk naheen raha, magar unhe jaanne ka shauk baDaa
hota tha. hamaare yahaan khaana aisa bantaa tha ki jaise koi shaadi
honewaali hai. ek din do din ki baat naheen thi, roz-marra ki zindagi
bhi usi tarah se jeete the, unko bataana paDegaa, jab woh sone jaate
the ki kal ka 'menu' kya hai, to aisa lagta tha ki jaise koi 'hotel'
chalaana hai. yeh unki aadat thi. aur unkaa koi raaz aisa naheen tha
jo mujhe pataa naheen tha, unki jo ek 'love-story' thi woh bhi hamse
chhupi naheen thi aur woh mere paapa, mere guru hi naheen balki sabse
kareebi dost bhi the. jo raaz maine apne sabse kareebi dost ko bhi
naheen bataata tha, aisi cheezon ke baare mein main aksar paapa se
zikr kiya karta tha. aur unkaa jo anubhav tha, unka jo guzraa huya
jeevan tha, woh sab zikr woh ham logon se karte the.

-------------------------------------------------
Song:???????????????????????
-------------------------------------------------

SM: yeh gaana jab maine paapa ka sunaa to mujhe aisa lagaa ki koi to
zaroor hai jisko dhyaan mein rakhkar unhone yeh geet likhaa hogaa.
unhone mujhe uske baare mein bataaya. unhone kaha ki kisi bhi
geetkaar yaa shaayar ki do hathyaar hote hain, ek uski tanhaaee, aur
doosri uski aawaargee.

YK: waah, kya baat hai!

SM: us waqt main 'aawaargee' ka matlab naheen samajhta tha, baad mein
samajh aayi ki woh kis aawaargee ki baat kar rahe hain.

YK: Sameerji, yahaan par ham apni baatchit ko thoDaa viraam denge aur
sunenge film Vandana ka woh Khoobsoorat gaana "aapki inaayaten aapke
karam...

SM:... aap hi bataayen kaise bhoolenge ham".

-------------------------------------------
Song: aapki inaayaten aapke karam (Vandana)
-------------------------------------------

To be contd...




Wed Jun 13, 2007 1:18 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1564 of 2463 |
Expand Messages Author Sort by Date

SARGAM KI SITAARE ... ANJAAN KI KAHAANI SAMEER KI ZUBAANI *********************************** (Excerpts from the 4 episode series) ... PART 3 AN: Anjaan SM:...
soojoi_india
Offline Send Email
Jun 13, 2007
1:19 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help