Part 2
AP: Anuradha Paudwal
NM: Nimmi Mishra
-------------------------------------------------
Song: bahut pyaar karte hain tumko sanam (Saajan)
-------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, pichhle saptaah ham aapse baatchit kar rahe the,
bahut saari baaten aapse jaanni thi, bahut kuchh baaten ho gayi
theen, abhi bahut saari baaki hain. hamne jis 'note' par baatchit
Khatam kee thi, woh yeh thi ki aapne apne samay ke lagbhag sabhi
sangeetkaaron ke saath gaane gaaye, aur bahut sundar sundar gaane
bane. waqt badaltaa hai, uski sab cheez badalti hai, to yeh
jo 'recordings' hoti hain aapke gaano ki, pehle, aapne bhi shaayad
gaaya hoga ki saare saazinde baiThe hain, bahut saare, aur sab ek
saath gaana gaa rahe hain, 'music director', subah se shaam
tak 'rehearsal' ho rahi hain, pataa chalaa ki kitne hi 'take' ho
gaye, gaana jo unko chaahiye tha woh naheen mil paaya, to sab saath
mein baiThe huye aur ek itna achchha maahaul hota tha aur aapas
mein 'rappo' hota tha ki gaane bhi utne hi asardaar hote the, logon
ko bhaate the.
AP: bilkul
NM: aur aajkal kya hai ki apne hisaab se log aake gaake chale jaate
hain, ek tachneekee jo badlaav aaya hai, aap kyaa samajhti hain,
aapko kaisa lagtaa hai?
AP: dekhiye gaana ek aisi cheez hai na, ki usmein zaroor ham log
ek 'artiste' ko sunte hain, jaise ki jo 'main voice' hai, usiko sunte
hain, lekin agar gehraaee mein dekho, jitne logon ne bajaaya hai,
jinhone 'compose' kiya hai, jisne likha hai, jinhone 'record' kiya
hai, yahaan tak unki bhi, 'musicians' to aaye hi, 'naturally
musicians', to in sab ki 'emotions' jab ek hoti hain to ek gaana
banta hai. to un dino mein yeh hota tha ki 'musicians' ko pataa hota
tha ki yeh gaana ham kya bajaa rahe hain, gaane ka 'mood' kya hai,
aur matlab kis tarah se, to aapne dekha hoga ki 'tempo' mein kabhi
kam zyaada huya karta tha, kyunki 'it was an expression'. aaj
jaise 'click track' karke aap karte ho, agar 'musicians' ko poochho
ki kaun sa gaana bajaaya tha woh kahenge ki 'pataa naheen, 8 baar
bajaana tha'. 'Its very sad', kyunki yeh matlab, 'mathematics' hai,
lekin 'mathematics is not music'.
NM: yahi, yahi main jaanna chaahti thi. achchha woh sabkaa milke jab
ek gaana tayyaar hota tha, jo 'involvement' rehta tha, to woh sabka
ek milaa-julaa 'effort'
AP: bilkul
NM: woh jo gaana hota tha uski umra utni lambi hoti thi
AP: kyunki woh matlab, itne logon ke 'emotions' uske saath juDe huye
hote the ki 'naturally' uska asar to aana hi tha.
NM: to aapko kya lagtaa hai ki aajkal jo gaane bante hain, jis nayi
takneek se, usmein pataa naheen kya kya 'effects' achchhe Daale jaa
sakte hain
AP: naheen, woh 'effects' achchhe ki baat naheen hai, usko
ham 'gimmicks' kahenge, 'effects' naheen keh sakte, 'gimmicks' kyunki
ek alag cheez baj rahi hai to sabke kaan khaDe ho jaate hain ki bhai
yeh kya baj raha hai, bas utna hi uska 'role' hai.
NM: aapko aise gaane mein kaisa lagta hai ki aap apna 'track' gaake
chali gayeen, doosre ne apna gaa diya.
AP: maine is 'type' ke bahut kam gaaye hain, matlab, zyaadatar jo
gaane maine gaaye the, tab tak ham saath mein hi sab 'recordings'
vagerah karte the, uske baad bhi gaaye lekin pehle ke zamaane mein
jitne saath saath gaaye, uske 'comparision' yeh waale kam hi gaaye.
NM: aur mujhe lagta hai ki aapko jitna suvidhaajanak...
AP: naheen, woh hai, lekin main usmein 'used to' hoon ki sabhi saath
mein bajaa rahe hain.
NM: ek maahaul banta hai
AP: bilkul bilkul! kyunki aajkal main 'programmes' bhi zyaada kar
rahi hoon jahaan pe 'musicians' saath mein bajaate hain. aajkal to
woh bhi hai ki, 'programmes' mein bhi 'minus one track' par bhi log
gaate hain, poora 'orchestra' baj raha hai aur beech mein aapko gaana
hai. mujhe naheen achchha lagta hai.
NM: woh 'mechanised' ho jaata hai
AP: haan, 'mechanical' ho jaata hai. yeh 'programme' hota hai to
kisi 'programme' mein tablaa bahut achchha bajtaa hai,
kisi 'programme' mein koi aur 'instrument' bajta hai.
NM: aap agar tablewaale ki taraf dekhkar halke se daad de den to usko
aur zyaada achchha lagta hai...
AP: bilkul bilkul
NM: aur gaane mein ek achchha, juDaav mehsoos hota hai
AP: bilkul bilkul
NM: haan, yeh to puraane zamaane ki baaten hain, Khair, daur badaltaa
hai, sab cheezen badalti hain, to waqt ke saath to chalna paDtaa hai.
ab aapki pasand ka gaana ham sunna chaahte hain.
AP: abhi naheen gaayungi, main chaahoongi ki aap yeh gaana
sune "kismat se tum hamko mile ho", jise Rahman-ji ne sangeet diya
hai, Pukar film ke liye.
NM: chaliye sunte hain...
---------------------------------------------------------
Song: kismat se tum hamko mile ho kaise chhoDenge (Pukar)
---------------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, yeh gaana to sun hi rahe the, main phir se peechhe
ki taraf ek baar jaati hoon, Hero film ke jo gaane the woh bahut
bahut mashoor huye, ek gaana to aapne apni pasand par sunwaa diya. ek
gaana aur tha jo us zamaane mein ham bahut bajaaya karte the,
woh "Ding Dong" waala (laughs)
AP: jee haan jee haan, jismein woh taan thi
NM: taan thi, aur kitni sundar woh taan thi! uske liye bahut riyaaz
karna paDaa kya aapko?
AP: riyaaz kya kaqhoon main, ek hi din mein unhone kahaa ki 'bas is
gaane mein aapko ek taan gaani hai'. lekin woh sirf ek taan jo thi na
woh 10 gaane ke baraabar thi.
NM: (laughs) aajkal to takneekee itna vikaas ho gaya hai ki ek
baar 'record' kar liya aur baaki sab mein joD diya, usko chipka diya
AP: 'paste' kar diya
NM: haan, 'paste' kar diya
AP: jee
NM: par us zamaane mein to yeh suvidhaayen naheen thi?
AP: naheen naheen naheen naheen, bilkul naheen thi, aur us gaane mein
maine woh taan utni baar gaayi jitni baar aap sunte hain (both laughs)
NM: matlab, har baar aap utne hi prayatna se...
AP: jee, bilkul!
-----------------------------------------
Song: Ding Dong o baby sing a song (Hero)
-----------------------------------------
NM: kitna achchha lagta hai na?
AP: bahut achchha lagta hai aur gaate huye naheen, gaana hone ke baad
sunte waqt bahut achchha lagaa. lekin main keh rahi thi ki usi din
jab mahurat ka, unhone jab kuchh panktiyaan mujhse gawaaee, to sabse
pehli baar maine Gayatri Mantra maine Hero film ke liye gaayi thi.
NM: achchha, Heto film mein Gayatri!
AP: Hero mein Gayatri, film mein aap dekhenge ki Subhash Ghai ka
jo 'emblem' aata hai, Mukta Arts ka, woh Gayatri Mantra hai,
to 'first time' maine Gayatri Mantra wahaan pe gaaya tha.
NM: yeh bhi bahut achchhi baat hai! to usse pehle, jahaan tak mujhe
pataa hai, ki aapne Marathi filmon ke liye bahut se gaane gaa liye
the?
AP: jee haan
NM: achchha, to aapki maatribhaasha hai Marathi, aap Hindi mein aur
bahut si bhaashaaon mein gaati hain, aapke naam ke bahut se 'records'
bhi hain ki aapne ek din mein bahut saare gaane 'record' keeye, aapko
sabse 'comfortable', sabse zyaada aanand-daayak gaana kaun sa lagta
hai, matlab Marathi, Hindi, yaa...
AP: naheen, aisa kehna mushkil hai, kabhi kabhi ham dekhte hain ki
ek 'simple' sa gaana aTak jaata hai to thoDi der lagti hai,
kaafi 'retakes' hoti hai, lekin kabhi kabhi koi 'difficult' gaana bhi
jaldi se ho jaata hai. iske liye kya hota hai ki agar aap us geet ko
pyaar karo, matlab aapke dil mein woh gaana bastaa hai, to
jaldi 'record' hota hai.
NM: woh kehte hain na ki kaam ko agar bahut shauk se, pyaar se kiya
jaaye to aasaan ho jaata hai
AP: jee
NM: achchha ab aage baDhte hain, aur kis film ka aapne jo gaana
gaaya, aapko bahut aanad aaya?
AP: film Lal Dupatta Malmal Ka
NM: hummmm...
AP: "kya karte the saajna" aur saare gaane
NM: us film ke sab gaane bahut bahut mashoor huye the
AP: bahut bahut 'popular'
NM: to us film ka kaun sa gaana sabse achchha lagta hai aapko?
AP: sabhi gaane achchhe the, "kya karte the saajna"
to 'revolutionary' gaana main keh sakti hoon kyunki uske baad se
lagaataar jitni bhi filmen aayeen, 'almost six seven films', uske
saare gaane aise the.
--------------------------------------------------
Song: kya karte the saajna (Lal Dupatta Malmal Ka)
--------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, mujhe lagtaa hai ki yeh sawaal mujhe karna chaahiye
bhi ki naheen, lekin dil mein hai aur aap saamne hain to main
poochhoongi zaroor, ki aapko yeh naheen lagtaa hai ki aap mein jitni
pratibhaa hai, aap kisi ek sansthaa kahen (T-Series), ek kisi se
juDke aap usi ke saath gaati raheen, aapko jitne mauke, aap mein
jitni 'talent' hai utni aapko naheen mile?
AP: ho sakta hai, lekin 'at the same time' jitni unhone (Gulshan
Kumar) mujhe 'publicity' dee, jitni gaane maine unke liye gaaye, ki
main us 'company' ke liye hi gaati thi, to yeh bhi ek 'advantage'
hai, jo cheezen naheen milaa to dhyaan hamesha usi ke taraf jaata hai
lekin main kahoongi ki bahut 'popularity' aur 'masses' mein jo, jaise
ek pehchaan huyi, jo mujhe pyaar milaa 'masses' mein, yeh main ek
aisi sansthaa ke saath juDee ki har ghar mein jaa jaake, Sherawali ke
gaane the. ab dehiye yeh jo Hero film ki hamne baat kee, to "Ding
Dong" hai yaa "tu mera jaanoo" hai, yeh bahut 'popular' huye, aur jis
waqt woh film 'release' huyi, 83/84 mein, us waqt mujhe 12 saal ho
chuke the is 'film industry' mein, jis waqt Lal Dupatta aur mere
upar 'picturise' hokar gaane chale, to aise bhi log mujhe mile
jinhone mujhe pochha ki 'isse bhi pehle aap kyun naheen gaate the?'
mile aise log.
NM: achchha?
AP: to dekhiye, kisi bhi cheez ke 'plus minus definitely' hote hain,
haan yeh baat hai ki wahaan gaake agar baahar bhi hotaa to zyaada
achchha hotaa lekin Theek hai, jaisi Uski marzi.
NM: haan, Uski marzi to hamko maanna hi paDegaa, yeh maine aapse
poochha lekin pataa naheen aapko achchhi lage yeh baat.
AP: zaroor, unhone mujhe 'publicity' dee kyunki main unse 'bound'
thi, kyunki kya hota hai ki ek 'artiste' agar 'bound' naheen hotaa
hai to uske liye 'publicity' karo aur phir 10 log aur uThaate
hain, 'that normally take place'.
------------------------------------------------
Song: zamaane ke dekhen hain rang hazaar (Sadak)
------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, aajkal aap kya gaa rahi hain?
AP: main zyaada 'programmes' mein hoon
NM: kis tarah se 'manage' karti hain aap itna saara gaana, itni
saari 'travelling'?
AP: abhi to bachche baDe ho gaye hain aur mere saath chalti hai sabhi
jagah, to meri poori 'family' hi ismein hai to...
NM: sangeetmay 'family' hai! achchha, ab ham baat karte hain aapke
ghar parivaar ki, aapki beTi bhi jo hai, woh bhi gaati hain
AP: woh bhi gaati hain, Kavita
NM: aur dikhti bhi aap hi ki jaisi hai (laughs)
AP: aur ek baat hai ki uski jo 2 saal ki beTi hai, usey bhi gaane ka
bahut shauk hai
NM: woh mujhe aisa lagtaa hai ki Khoon mein hi kuchh...
AP: bilkul bilkul, matlab, 'its amazing' ki woh sirf 2 saal ki hai
aur Gayatri Mantra, Hari Krishna, Om Namah Shivay, 'evrything' use
munh zabaani yaad hai
NM: 2 saal?
AP: bilkul (laughs)
NM: achchha, abhi haal mein aapne kaun sa aisa gaana gaaya ki 'direct
public' ke saamne jo bahut safal huya, aur hamein bhi do 'line'
sunaaiye.
AP: (sings) "tune mujhe bulaaya sheraawaaliye..."
NM: waah! bahut 'direct involvement' rehta hai 'public' ka. achchha
Anuradha-ji, aap itna achchha gaati hain, itna achchha galaa hai,
aapne bahut gaane aise gaaye jo pehle gaayakon gaayikaaon ke gaaye
huye the, aapke 'cassette' nikle, woh aisa aapne kyun sochaa?
AP: main bataati hoon, dekhiye puraane jo 'compositions' the ekl to
woh bilkul sabse haTke the, yeh to aap bhi maante hain, ham bhi
maante hain
NM: bilkul, woh amar gaane hain
AP: amar gaane, to har 'singer' un gaano ko gaana chaahta hai,
har 'singer', matlab mujhe lagtaa hai aisa ek bhi 'singer' hogaa jo
yeh kahegaa ki 'main apne gaane gaayun'. puraane gaane jaise, 'not
only Lata-ji ke, Rafi saahab ke bhi hain, kai gaane aise hain jo
har 'singer' gaana chaahta hai, hazaaron logon ne gaaya hai,
maine 'playback singer' banne ke baad in gaano ko gaaye, par maine
unko 'as version' karke naheen gaaye, maine 'experience' lene ke liye
naheen gaaye, mujhe 'as a tribute', aise 'music directors' the jinke
saath maine kaam naheen kiya, jaise Madan-ji the, Shankar Jaikishan-
ji the, Hemant-ji the, to unke gaane maine gaaye the. Kumar Sanu ne
hazaaron gaane gaaye Kishore Kumar ke
NM: par mujhe aisa lagtaa hai ki yeh jo shuruwaat achchhi tarah se
kee woh aap hi ne kee
AP: ab yeh mujhe naheen pataa (NM laughs), Lataji ne bhi aise kuchh
gaane gaaye hain jo 'as' Shraddhanjali gaaye hain
NM: haan, 'cassette' nikla tha ek
AP: to yeh charcha shuru hoti hai to matlab woh shuru ho jaati hai.
NM: iska 'response' aapko kaisa milaa?
AP: bahut achchha milaa aur aaj bhi mujhe kai log milte hain jinko
bahut pasand hai
NM: chaliye ab aapki pasand ka koi gaana sunte hain
AP: mere Khayaal se 'tribute' ka hi sune
NM: haan kaun sa?
AP: koi bhi
NM: pehle aapki amdhur aawaa mein ek 'line' phir 'record' par sunenge
AP: (sings) "lag jaa gale ke phir yeh haseen raat ho na ho..."
---------------------------------------------------------
Song: lag jaa gale ke phir yeh haseen raat (Woh Kaun Thi)
---------------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, aapne 'tribute' ki baat kee aur maine aapse poochha
ki aapne gaane gaaye, to aap se pehle ke gaayak hain, gaayikaayen
hain, unmein se sabse zyaada kisne 'inspire' kiya?
AP: dekhiye, maine gaana jo seekha, maine aapko pehle hi bataaya ki
Lata-ji ke gaane sun sun ke maine apnaa gaana seekhaa, to 'naturally'
Lata-ji, woh na sirf mere liye, balki poori duniya ke
liye 'inspiration' hain, aur saakshaat Saraswati ka roop hain woh,
usmein koi do raay naheen ki 'she has been the main inspiring factor'.
NM: aur kisi Khaas kalaakaar ka, Mukesh-ji...
AP: aur Hemant-ji, 'I was lucky' ki un sab ke saath mujhe gaane ka
mauka milaa.
NM: Hemant-da ke saath bhi gaaya?
AP: jee jee
NM: aur jaise ki main puraane geeton ki baat kar rahi thi, to dil
mein ek chhoTi si kasak reh gayi hogi ki main is sangeetkaar ke saath
gaana naheen gaa paayi, aise kaun kaun se sangeetkaar hain?
AP: jinke 'tributes' maine keeye hain
NM: aur abhi chaahna kis kis ke saath hai, abhi jo naya daur chal
raha hai 'music' ka, gaane ki baat baad mein karte hain, pehle jo
naye 'music' ka 'trend' chalaa hai, uske baare mein aap 'as a'
gaayika kya kehna hai?
AP: 'as a singer' main kya kahoon, aajkal zyaadatar 'youngsters'
ka 'music' chal raha hai, aur matlab, aise kai log hain jo bahut
achchha 'classical' vagerah bhi jaante hain lekin 'generally' jo aaj
ke 'youngsters', jis 'type' ke 'thoughts', unke jis tarah
se 'expression of thoughts' hote hain, waise gaane zyaada ban rahe
hain.
NM: yeh zamaana aapko lagtaa hai ki sur ka hai ki 'beats' ka hai?
AP: yeh zamaana zyaada 'presentation' ka hai
NM: (laughs) matlab gaane ke saath aapka 'presentation' hona chaahiye
AP: 'presentaion is very important'. aajkal matlab 'packing' ko
zyaada mahatwa hai, 'not only in music', har ek cheez mein.
NM: sab cheezen vyavsaayikta se bhari huyi hai.
AP: achchha aajkal aap dekhte hain ki agar koi jeet-ta hai to aap
hamein SMS ke zariye bataaiye, agar koi haarta hai aur uski piTaaee
honi hai to woh bhi SMS kariye, (both laughs), 'so you know its only
business'
NM: achchha aajkal bahut achchhe achchhe gaane ban rahe hain, bahut
sureele bhi ban rahe hain, aur bahut se sangeetkaar baDe 'talented'
hain aur aajkal 'talent' ko saamne aane ke bahut se mauke hain jo
pehle naheen huya karte the. to aapka koi man hai aisa naya gaane ka?
naye sangeetkaar ke saath?
AP: bilkul, kyun naheen?
NM: kaun kaun se sangeetkaar?
AP: kaafi saare hain, Anu hain, phir, kaafi saare hain. waise Anu-ji
ke saath maine keeye hain
---------------------------------------------------------------
Song: pehle kabhi na hamne kaha (Hum Aapke Dil Mein Rehte Hain)
---------------------------------------------------------------
AP: main kahoongi ki agar 'producer' yaa 'director', maine Sanjay
Leela-ji ke saath kaam naheen kiya, 'I would really like to', kyunki
unka bahut sureela, bahut suljhe huye 'musical minded' hain. Vidhu
Vinod Chopra ke saath bhi kaam karna chaahoongi.
NM: abhi to bahut aapke aage ka safar baaki hai, achchha, 'planning'
kya hai aage ke liye, matlab, sangeet se to aap juDee hain, to pataa
hi hai ki aap gaane gaati rahengi, aage kabhi 'music direction'...
AP: naheen naheen naheen, 'its a totally different field'.
NM: kabhi vichaar bhi naheen aaya?
AP: naheen naheen, 'a composer is a composer, composer can be a
singer, a singer can be a composer', lekin yeh zaroori naheen ki
har 'singer' hi 'composer' ho.
NM: to aap apne gaane ko hi jaari rakhenge?
AP: jee jee.
NM: aur kis tarah ka kuchh naya prayog karna chaahti hain, jaise
aapne bhakti ke itne geet gaaye?
AP: kisi ne, aise to bahut hain, Ghazals hain, kaafi saare hain,
lekin maahaul dekhke karna Theek rehta hai.
NM: abhi aapki yojnaayen kya hai?
AP: isi ko aage baDhaana
---------------------------------------------
Song: zindagi is tarah se lagne lagi (Murder)
---------------------------------------------
NM: ek baat main soch rahi thi, aapne itne saare gaane gaaye hain,
aur 'private albums' bhi hain, bhakti rachnaayen bhi hain, bahut
kuchh hain, aur 'playback singing' mein aapko kis abhinetri
ko 'playback' denaa sabse achchha lagaa?
AP: Madhuri Dixit aur Aishwarya Rai, kyunki inpe meri aawaaz 'suit'
bhi kee hai. phir Meenakshi Sheshadri.
NM: Meenakshi Sheshadri, haan, unke gaane aapne bahut se gaaye.
AP: unpe matlab, baakion par bhi achchha raha hai lekin
inpe 'consistency' zyaada rahi.
------------------------------------------------------------
Song: ae mere Khwaabon ke Khayaalon ke shahzaade (Meri Jung)
------------------------------------------------------------
NM: Anuradha-ji, aapne kahaa ki aapko Madhuri Dixit aur Aiswarya Rai
ko 'playback' dena bahut achchha lagaa, to koi aisa gaana yaad aa
raha hai in dono mein se kisi ka?
AP: bahut saare hain, Tezaab ka geet tha, (sings) "kehdo ki tum ho
meri varna..."
NM: waah, bahut achchhe, chaliye sunte hain is geet ko.
-----------------------------------------
Song: kehdo ki tum ho meri varna (Tezaab)
-----------------------------------------
NM: aapne itni saari, ek lambi yaatra hai poori, aur kaafi aage tak
chalaa aaya hai, aur aapne bahut se bhaashaaon mein geet gaaye hain.
to vibhinya bhaashaaon mein, abhi tak kitni bhaashaaon mein geet
aapne gaaye hain aur unko gaane mein kitni kaThinaaiyaan huyi hain
yaa sahajtaa se gaa liya?
AP: 'almost' sabhi 'languages' mein gaaye, 'Indian languages',
Malayalam mein ek aadh hi, woh bhi mujhe yaad naheen, par 'otherwise'
maine sabhi mein gaaya hai
NM: Telugu, Kannada?
AP: jee haan
NM: to sabse zyaada mushkil kaun si lagi?
AP: 'Orissa to some extent', kyunki usmein gaane bahut 'fast' hote
hain.
NM: apne gale ko achchha rakhne ke liye kyaa karti hain aap?
AP: jahaan tak mera sawaal hai, 'I completely avoid late nights',
mere 'late nights' naheen hote hain, baahar zyaada mera khaana-peena
hota bhi naheen hai.
NM: kyaa khaane ka shauk hai?
AP: bahut zyaada, matlab, mujhe lagtaa hai ki duniya ke jitne gawaiye
hain, woh pehle khawaiye hain (NM laughs loudly), to yeh shauk to
mujhe lagtaa hai koi bhi 'singer' ho, 'artiste' ho hi naheen saktaa
agar usey khaane ka shauk naheen hai.
NM: gale ke liye kuchh Khaas vyayaayaam?
AP: gale ke liye 'sabse 'best' praaNaayaam 'singing' hai.
NM: achchha aur aisa bhi to hota hai ki 'mood' pe bahut 'depend'
karta hai 'singing'
AP: bilkul
NM: hai na?
AP: agar aap 'upset' ho tab bhi galaa baiThtaa hai aapka
NM: kyunki sabse naazuk cheez hai gale ki aawaaz
AP: bilkul, agar 'you are not happy', bahut zyaada zor se hansna,
bahut zyaada bolna, to 'moderation' mujhe lagta hai gale ke liye
sabse achchhi cheez hai 'moderation'. koi bhi cheez ho to 'moderate'
ho.
NM: aapko koi aisa gaana yaad hai ki 'recording' se pehle aap kisi
baat se bahut 'irritate' huyi hon aur uske baad aap 'recording' ke
liye chali gayeen aur woh gaana bahut achchha huya? aisa hai koi
gaana?
AP: naheen, abhi aapne kahaa to mujhe ek waaqya yaad aaya jo matlab,
bhoolne jaisa bhi naheen hai. ek Marathi film ka geet 'record' mujhe
karna tha, Sudhir Phadke-ji ke liye. uske jo 'producer' the, unhone
mujhe kahaa tha ki 'yeh geet main aap se gawaana chaahta hoon kyunki
mere mahurat ka geet hai yeh, aur main chaahta hoon ki aap se mahurat
ho'. ab jis din mahurat tha uske 3 din pehle se mujhe 103/104 aise
bukhaar aur galaa 'complete' baiTh gaya tha, 'complete',
maine 'message' bhijwaaya ki aise aise hai. bole 'par mera vishvaas
hai ki aap yeh gaana bahut achchha gaayengi'. maine kahaa 'meri munh
se aawaaz hi naheen nikal rahi hai, gaana bahut door ki baat hai'.
kehne lage 'koi baat naheen, maine sabko 'invite' kiya hai us din,
Bombay labs mein 'recording' thi, aur 'literally' main 'blanket' leke
gayi thi, 103 bukhaar tha. aur phir maine kahaa ki 'mujhse naheen ho
raha hai, naheen ho raha hai', aur utne mein unhone 'announce' kiya
ki 'chalo chalo 'take'', bhakti gaana tha woh "shambhu-shankaraa"
karke, aur us waqt yeh 'situation' thi ki 'do or die'. 'you will not
believe' ki woh maine, kahaan se woh aayi aawaaz aur kaise maine
gaaya, woh 'one take OK' huya aur 'fantastic' gaana tha woh, 'its a
very popular song', uske baad main to 'faint' hi ho gayi 'because it
was very stressful'. to uske baad bukhaar vagerah bhi nikal gaya
aur 'recovery' bhi 'fast' huyi lekin woh jo 3/3.5 'minute' ka jo
gaana tha na woh matlab, mujhe aaj bhi lagtaa hai ki khud saakshaat
paramaatma aakar hi gaaya hogaa.
NM: aapko woh gaana kuchh yaad aa raha hai?
AP: (sings) "shambhu shankaraa karuNaakaraa jagazaagavaa..."
NM: kya baat hai, aur 'difficult' bhi tha gaana
AP: bahut, aur upar se baabuji, Sudhir Phadke-ji, bahut 'strict' the.
NM: chaliye, aise aise waaqye hote hain ki aap jaise kalaakaaron pe
prabhu ki bahut kripa rehti hai
AP: bilkul, kripaa hamesha rahi hai aur aise hi rahe.
-----------------------------------------------------------
Song: saat suron ki taar ban gayi tera mera pyaar (Sangeet)
-----------------------------------------------------------
NM: achchha abhi gaane ki 'field' mein hamaare jo shrotaa hain bahut,
hamse bahut si salaahen maangte hain, woh sochte hain ki ham aap se
baat kar rahe hain to hamein bhi baDi 'knowledge' hogi aur ham unka
kuchh maargdarshan kar sakte hain, aap jo naye gaayak gaayika hain,
woh apna 'assessment' to kar naheen paate, chhoTe jagahon par rehte
hain, itni suvidhaayen naheen hai, to woh kya karen agar woh gaayak
yaa gaayika bannaa chaahte hain to?
AP: aajkal itna 'easy' ho gaya hai ki har ek aadmi jo gaata hai,
gaata matlab jo gale se gaata hai, to phir usey ek tamanna hoti hai
ki 'arey agar yeh gaa sakta hai to main kyun naheen!' to yeh bhi
naheen hona chaahiye. gaana 'is not so easy', janmon janmon ki
tapasyaa hai, tab jaake ek 'singer', jise ham 'actual singer' kehte
hain. to yeh bahut baDi tapasyaa hai. aajkal itne chhoTe chhoTe
bachche ham TV par dekhte hain, itnaa achchha gaate hain, to main
sochti hoon ki inke saamne inko 'judge' kaun kare. itna bhi achchha
gaanewaale hain, to inke purvajanam ki tapasyaa hai. to 'proper
channel' ke 'through' aayen, 'channel' ka matlab 'Television Channel'
naheen, 'channel' matlab 'proper' zariyaa.
NM: aur unhe apne aap ko, matlab, uski wajah se woh apna sabkuchh
chhoDke, aur sirf woh paarshwagaayan mein aage aana chaahte hain,
aisa naheen karna chaahiye.
----------------------------------------------------
Song: huyi aankh nam aur yeh dil muskuraaya (Saathi)
----------------------------------------------------
NM: achchha, kabhi aisa huya ki aap 'travelling' kar rahi hon,
kisi 'programme' ke liye jaa rahi hain aur pataa chalaa ki 'flight
delay' ho rahi hai, yaa koi aisa waaqya huya jo aapko, aur pataa
chalaa ki 'programme hit' raha?
AP: naheen asia to naheen huya waaqya, 'delay' to naheen huya, seedhe
neeche hi gir gaya
NM: haan? aisa kab huya?
AP: (laughs) aisa huya, ham log Indore se jaa rahe the aur koi ek
jagah Neemaj
NM: haan Neemaj
AP: wahaan jaa rahe the to 'take off' huya 'helicopter' Indore se aur
3000 'feet' upar jaakar koi 'technical' kharaabi huyi, aur
woh 'pilot' bhool gaya, koi 'button on' kiya to seedhe neeche
aake 'sommersault' hoke do tukDe ho gaye
NM: arey?
AP: bas itni kripaa rahi maata ki 'that we were saved'.
NM: yeh to bilkul, zindagi bhar yaad rahegi (laughs)
AP: phir uske baad to 'programme possible' hi naheen tha.
NM: chaliye, bahut bahut shukriyaa, main kaise aapka shukriya adaa
karoon, aapne itne saare sunnewaalon ke liye, waise tamanna to abhi
bhi hai ki aur bhi kuchh baaten aapse kee jaaye, aur bhi kuchh
sureele gaane aapse sune jaaye. aapse hamne baatchit kee, bahut
achchha lagaa, bahut zyaada aanand aaya, sunnewaalon ko bhi itna
aanand aaya, dil to chaahta hai baat karte rahen, lekin samay ki
paabandi 'radio' ki sabse baDi zaroorat hai, to phir kabhi mauka
milaa...
AP: bilkul bilkul. aur jaate jaate Sargam Ke Sitaare, is 'programme'
ke sunnewaalon ko aur ek baar shubhkaamnaayen denaa chaahti hoon.
NM: bahut shukriyaa, aur phir jab ham kabhi aapko yaad karenge, aapne
kahaa 'bahut door hai', par aap aayengi to bahut achchha lagegaa.
AP: zaroor zaroor
NM: Anuradha-ji, jaate jaate, itna shukriya ho gaya, hamein bahut
achchha lagaa, ek koi aapka bahut yaadgaar gaana shrotaaon ko sunwaa
dete hain
AP: film Meera Ka Mohan, "tune preet jo mujhse joDee"
NM: bahut achchha gaana hai
-------------------------------------------------
Song: tune preet jo mujhse joDee (Meera Ka Mohan)
-------------------------------------------------
THE END