Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can search the group for older messages.

Messages

  Messages Help
Advanced
Ujaale Unki Yaadon Ke - Anandji (Episode 22 - Last Part)   Message List  
Reply | Forward Message #1695 of 2462 |
EPISODE 22
----------

KS: Anandji, ab main apne aaKhri 'episode' pe aa raha hoon, aapne
jitne bhi gaane deeye, alag alag tarah ke gaane deeye, alag alag
tarah ka sangeet diya, lekin inmein bahut se gaane aise hain jinmein
jeevan ka darshan jhalakta hai, jeevan ki gehraaee jo hai usmein,
bahut aasaan si baaton mein keh dee gayi hai, nichoD hai usmein. un
gaano ke baare mein jaanna chaahoonga ki kya 'director' ke kehne
pe, 'producer' ke kehne pe, yaa aap dono ne kabhi 'insist' kiya ki
yeh, kyunki aapko achchhe lagte hain is tarah ke gaane, daarshanik
andaaz ke gaane, woh aapki ruchi mein the, pasand mein the, isliye
aapne unko zyaada mahatwa diya?

AN: Kamal-ji, bahut achchha sawaal poochha hai aapne, kyunki jahaan
pe abhi pahunche hain, zindagi ke jis moD pe, to wahaan pe ab to yeh
samajh mein aana chaahiye ki ham kahaan hain aur kyun hain, aur
jeevan ki poori darshan mein yeh huya ki jis 'line' mein gaye hain
aur jis umar mein gaye hain, wahaan par to bahut kuchh huya hota hai,
mab kahin aapka bhaTkegaa hi, lekin 'joint family' ke sanskaar jo
the, Gujarat samaaj ke, Jainion ke, bachpan se jo ek sanskaar rahe,
to uski vajah se ek faayda yeh huya ki abhi tak ham log 'vegetarian'
hain, ki jo duniya ban rahi hai, ham sharaab naheen peete
koi, 'cigarette' bhi main peeta naheen kyunki mujhe 'smoke' achchha
naheen lagtaa, chaaai main peeta naheen, 'coffee' pee leta hoon, ki
koi aisi aadat naheen hai. gharelu 'atmosphere' jo karta hai ki aapko
joDke rakhta hai. ab ghar mein sukhi hain to yahaan wahaan bhaTkenge
naheen, aur ghar mein aap se baDe bhi hain, chhoTe bhi hain, aap
baDon se seekhte hain aur chhoTon ko seekhaate hain, to 'philosophy'
zindagi ki jo hai, woh har waqt mein aapke saath juDee huyi hai, ek
haar bana huya hai uska. to yeh baat jo hai, Hindustan ki yahi to
baDi Khoobi hai ki baaton baaton mein aap ek 'example' dete hain, "jo
huya achchhe ke liye huya", "eeshwar jo karta hai achchhe ke liye
karta hai", to isi mein saari baat aa gayi, apne apne mein 'blame' le
liya, kisiko kosaa naheen, aapne eeshwar pe chhoD diya, usike bharose
aap chale, to aap kisi ko aap samajh rahe hain ki woh hain jo
sab 'operate' kar rahe hain, to iska ek faayda hota hai ki aap kisi
ke aage jhuke naheen hain, aapka sar jhuka naheen rahega, jhuka
rahega to aap neeche dekhenge, duniya aur bhi dukhi dikhegi aapko.
dukh aur sukh kya hai, yeh samajh mein aayega. pitaaji hamesha kehte
the ki agar akaD banke rahoge to peD ki tarah TooT jaayenge aap, agar
aap patte ki tarah rahenge, ghaas ki tarah, jhuk jaayenge lekin phir
khaDe ho jaayenge, ghaas jo hai woh khaDaa ho jaata hai, baDe baDe
peD jo hain apni akaD mein TooT jaate hain. to ek baDi baat yeh
hamesha rahi ki koi saamne waala yaa to 'blood [ressure' mein hoga
yaa koi 'psychologically' baat hogi ki yeh kyun aisa bol raha hai, ho
sakta hai ki apne mein koi galati ho gayi hogi, lekin 'argument'
naheen karte. ab yeh gaane saare jo bante hain usmein
thoDaa 'philosophy' kaam karta hai, jo aapke dil mein hai, to aap dil
ke saath har waqt juDe rehte hain.

-----------------------------------------
Song: ektaara bole tun tun tun (Yaadgaar)
-----------------------------------------

KS: mujhe ek aur gaana yaad aata hai, usi film ka jiska 'National
Award' milaa tha, Saraswati Chandra ka ek baDaa hi alag tarah ka
gaana hai, "chhoD den saari duniya kisi ke liye yeh munaasib naheen
aadmi ke liye", yeh bahut hi alag tarah ka gaana hai.

AN: dekhiye ismein 'selflessness' chhoDne ka hai, har aadmi har waqt
agar kehta hai ki 'meri marzi se kaam naheen hoga to main to yeh kar
doonga woh kar doonga', aap karnewaale hain kaun? agar eeshwar ne
aapko sabkuchh diya, uske baad agar usko 'utilize' naheen karte
sahee, jaise 'electricity', ab 'electricity' ka 'use' aapko kaise
karna hai yeh aap pe hai, aap usse 'light' bhi jalaa sakte
hain, 'fan' bhi chalaa sakte hain, ab yeh karna to aapko eeshwar ne
buddhi dee hai, aapne itna 'education' liya hai, usko sahi raaste pe
kaise istemaal karna hai woh aap pe hai.

-------------------------------------------------------------
Song: chhoD den saari duniya kisi ke liye (Saraswati Chandra)
-------------------------------------------------------------

AN: aur 'luckily' ham logon ko achchhe 'writers' bhi mile. Indeevar-
ji, Anjaan-ji, saare jo 'writers' hain, Rajinder Krishan hain, inhone
jab bhi gaane likhe, yahaan aate the to inko maaloom hai ki
kya 'philosophy' chaahiye.

KS: ek baar phir se bataaiye kaun kaun se 'writer' hain

AN: dekhiye Kamal saahab, "main to ek khwaab hoon" unhone likha,
Theek hai, Indeevar-ji ke to anginat gaane hain jismein 'philosophy'
hi 'philosophy' lagi rehti hai, Anand Bakshi-ji ne bhi likha "yahaan
main ajnabi hoon", phir Anjaan-ji ne bhi "thoDaa sa Gham thoDi
Khushi", is tarah ke kai gaane likhe, jo gaane har waqt logon ko
kuchh na kuchh dete hain, aur 'down to earth' aadmi the, gaaon ke
aadmi the, saath mein ham log khaana khaane ke baad jhoole mein
baiThke yahi baaten karte the ki 'jeevan kya hai, kis tarah se ham
bahak jaate hain, bahakne ke baad kya hota hai', 'school'
ke 'example' lete hain, ki yeh Sikander bhi neeche chale gaye, aisa
aisa huya, to 'ultimately' chain to aapke paas hai, aaKhir ke jo
3 'minute' hain wohi asli zindagi hai, ki duniya chhoDte waqt aapne
socha ki 'main is duniya mein aaya, maine jeevan mein kya kiya, kisi
ke main kaam aaya ki naheen aaya, kyunki suraj ne hamein 'light' dee,
bina paise ke hamein 'light' mil rahi hai, baadal mil raha hai,
khaana mil raha hai hamko sab kuchh mil raha hai'. pitaaji bahut
achchi baat karte rahe, unki seekh bahut chhoTi chhoTi hoti thi. ek
din aam kaaT rahe the to aam kaaTke unhone chhilke nikaale, woh
chhilke kaaTke rakhte the to ham guThliyaan nikaalke chooste the, to
woh sab kaam ho jaane ke baad unhone poochha ki 'kaisa lagaa tumko?'
maine dekha ki koi chhilke reh gaya hai kya! to bole ki 'naheen,
chhilke to phenk aaye ho, jab chhilke kaaT raha tha to kaisa lagaa?'
maine bola ki 'baaba, samajh mein naheen aaya mujhe'. bole 'beTaa
dekho aadmi kitna matlabi hai, is aam ke chhilke ne is aam ke andar
ke poore phal ko sambhaal ke rakha tha, usmein makkhi baiThti thi,
uspe dhoop lagti thi, aaj jab aam pak gaya hai to ham matlabi kitne
hain ki chhilke ko kaaTke phenk rahe hain aur usko ham kuchh bol bhi
naheen rahe hain, jaayo usko 'thank you' bolke aayo'. isi tarah
sanskaar jo hain, samaaj hai, maa-baap hain, yeh aapke kavach hain,
inkaa 'respect' kariye kyunki inke kavach mein hi aap baDe huye hain,
agar unko aap naheen sambhaalenge aur 'respect' naheen karenge to
aapki aanewaali peeDhee aapki 'respect' naheen karnewaali hai.

KS: kya baat hai!

AN: to is tarah se baDe taqdeerwaale ham log hain ki hamko aise
gunijan mile, guru log mile, log mile, jinse kuchh na kuchh seekhne
ko har waqt mila, aur phir jab pyaar se sab logon se milaa to pyaar
aur baDhtaa hai.

KS: yahaan is mauke par koi gaana aapko yaad aa raha hai jismein koi
aisi baat keh dee gayi ho jo sachmuch sunne mein to chhoTi lagti hai
lekin bahut gehra arth apneaap mein sameTe huye hai.

AN: dekhiye iska sabse achchha nichoD ek hai, hamne "neki tere saath
chalegi re baaba neki tere saath chalegi", mujhe lagta hai har waqt
yeh gaana, usmein ek 'shocking' bhi hai, "jiske liye tune mahal
banaaya woh na tujhe Thaharaayenge, jo tujhko kehte hain sundar dekh
tujhe ghabraayenge, maaTi ke hain insaan tera asli ghar shamshaan",
phir to yahi kahenge ki ham jo jismein hain yeh duniya hi rangmanch
hai, kyunki ham usi 'philosophy' mein agar kahen "rangmanch hai yeh
duniya saari apna apna abhinay karke har koi chal deta hai", ek
samjhauta hai lekin kameeyan to reh hi jaati hain, aadmi to chal deta
hai lekin unki yaaden to har waqt saath rehti hain

------------------------------------------------------------------
Song: rangmanch yeh duniya saari har insaan abhineta hai (Kasauti)
------------------------------------------------------------------

KS: Anandji, bahut aanand aaya aapse baat karke, sangeet to aapne
aisa diya hi hai ki jab bhi ham sunte hain usmein aanand mein
baDhotri hi hoti hai, pyaas adhuri hi rehti hai aur usko sunne ka man
hota hai, itna achchha sangeet aapne diya hai, sangeet ki itni pooja
kee, aur sabse baDi baat hai ki woh tamaam baaten jo hamaare shrotaa
naheen jaante the, jeevan ke kai pehlu hote hain jinse woh anjaan
the, woh aaj aapne aakar ke apni yaadon ke zariye is 'programme' mein
baanTen...

AN: main yahi kahoonga ki main bahut shukraguzaar hoon Vividh Bharati
ka aur aap sabka jinhone yeh socha ki iske qaabil main hoon,
haalaanki zindagi mein bahut kuchh kaam kiya ismein se abhi, abhi to
shuru kiya aisa lagta hai...

KS: jee haan jee haan

AN: poori baaten naheen huyi, kyunki gaane beech mein aate hain, aise
bahut se gaane hain, jo main chaahta tha ki aur bhi gaane ismein doon
main...

KS: aap bhi yeh mat sochiye ki yeh pehli aur aaKhri baar hai, ham
phir se aapko bulaana chaahenge, chaahenge ki aur aap se hamaari
Dheron baaten hon

AN: sun rahe hain aap log? agar aapke Khat aayenge to yeh log phir se
mujhe bulaayenge aur phir mujhe pataa lagegaa to main bhi thoDaa akaD
jaayunga ke 'bhai mere paas 'time' naheen hai'. lagtaa hai aisa
hogaa? aisa bol sakta hoon main? zaroor aayunga main.

KS: (laughs) to Anandji, bahut bahut shukriyaa, aapne ujaala phaila
diya hai is 'programme' mein aur bahut aanand aaya, iske liye ham
apni or se, tamaam sunnewaalon ki or se, Vividh Bharati ki or se
aapka shukriya adaa karte hain.

AN: main, Kamal-ji, kis baat se yeh kahoon, abhi bhaai saahab to hain
naheen, jahaan par bhi hain sun rahe honge, mujhse agar koi Galati
huyi ho to mujhe maaf karen, aur sunnewaale bhaaiyon aur baheno,
jitne bachche hain jo bhi hain, main mazaak mazaak mein bahut kuchh
bol jaata hoon, lekin ek tareeka hota hai, har aadmi ka bolne ka ek
tareeka hota hai, to maine jo kuchh kaha hai, usmein se jo kuchh
Theek lage aapko, kisi 'artiste' ko, kisika dil dukhaane ki koshish
to naheen kee, lekin phir bhi dukh to sakta hai kisi na kisi ka. to
mujhe maaf karen itna hi kahoonga, ab main Jaini hoon to Jai Jinendra
bhi boloonga, Jai Hind bhi boloonga, Jai Saraswati bol sakta hoon,
aur kya, bahut bahut shukriyaa.

---------------------------------------------
Song: aaja tujhko pukaare mere geet re (Geet)
---------------------------------------------

END OF EPISODE 22

RECORING ENGINEER - Dilip Kulkarni
EDITOR & PRODUCER - Rakesh Joshi

END OF SERIES
*************




Wed Oct 10, 2007 8:39 am

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1695 of 2462 |
Expand Messages Author Sort by Date

EPISODE 22 ... KS: Anandji, ab main apne aaKhri 'episode' pe aa raha hoon, aapne jitne bhi gaane deeye, alag alag tarah ke gaane deeye, alag alag tarah ka...
soojoi_india
Offline Send Email
Oct 10, 2007
8:39 am
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help