Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can search the group for older messages.

Messages

  Messages Help
Advanced
Vishesh Jaimala - Sulaxana & Vijeta Pandit   Message List  
Reply | Forward Message #1801 of 2469 |
SP: Sulaxana Pandit
VP: Vijeyta Pandit

SP: fauji bhaaiyon, aap se baat kar rahi hoon main Vividh Bharati ke
dwaara. sabse baDi baat hai ki bahut saal pehle main Sikkim gayi thi.
wahaan maine aap sab ke liye gaana gaaya tha. aur aap logon ne bahut
pasand kiya tha. aur wahaan ki jo sipaahi the, unka main bakhaan
naheen kar sakti, ek se ek 'hero' the, ek se ek jawaan hamaare wahaan
par the. main bahut chhoTi thi us waqt. tab maine aap logon ka,
Waheeda-ji, Sunil Dutt saahab, sab milkar aap logon ka manoranjan
karne ki koshish kee aur aaj tak fakr 'feel' karte hain ki aap logon
ke saamne aap logon ke pasandidaa gaane gaaye. aap sabko, pyaare
pyaare bhaai mere, aap sab ne prakhyaat baaten jo rakhi hain zindagi
ki woh bemisaal hain. aap ki wajah se desh aazaad hai, ham aazaad
hain, har taraf se aap logon ne hamaari madad kee hai, aapki taareef
karne ki to zaroorat hi naheen hai, magar main aapko meri guDiyaa
jaisi bahen, (laughs), samajh gaye aap, naheen samjhe! (laughs)

VP: (laughs) Vijeyta... (laughs), mere pyaare fauji bhaaiyon, aaj
main itni Khush hoon aur 'I am feeling so proud' ki aaj main pehli
baar Vividh Bharati mein aayi hoon, aur woh bhi mujhe itna achchha
saubhaagya milaa hai ki main fauji bhaaiyon ke liye yeh 'programme'
kar rahi hoon. main aap sab ko bahut pyaar karti hoon aur aapke bahut
dhanyavaadi hoon ki aap hamaare liye itna kuchh karte hain. aap
jaagte hain aur ham yahaan chain se sote hain, lekin 'believe' kariye
main jahaan bhi fauji bhaaiyon ka 'programme' hotaa hai,
har 'programme attend' karti hoon, aur ek gaana zaroor gaati hoon jo
chaahti hoon aaj main aapke liye gaayun. gaayun?

SP: gaayo gaayo, zaroor Vijeyta, yahi samay hai ki gaake sunaao

VP: achchha, lekin Sulaxana ka bhi ismein saath chaahiye.

Both Sulaxana & Vijeyta sings "aye mere watan ke logon, zaraa aankh
mein bhar lo paani".

SP: fauji bhaaiyon, ham abhinetri hain. kabhi kabhi main sochti hoon
ki ham sab to 'acting' karte hain, hamaare jo 'hero' kehlaate hain,
woh to kuchh bhi naheen karte, asli 'hero' to aap hain. yeh baat
sochkar meri aankhon mein paani aa jaata hai.

VP: naheen naheen Sulaxana, aaj ham yahaa rone ke liye naheen aaye
hain, ham to fauji bhaaiyon ka achchhe achchhe geeton se manoranjan
karne aaye hain.

SP: bilkul, main zaraa bhaavuk ho gayi thi. fauji bhaaiyon, ab ham
aapko kuchh gaane sunwaate hain. meri ek film aayi thi, jismein ek
gaana tha Krishna bhagwaan ka jo Geeta updesh hai, uspar aadhaarit
hai yeh gaana, ki aadmi ko kabhi himmat naheen haarni chaahiye. to
leejiye isi gaane ko suniye, (sings) "tu hi saagar hai tu hi kinaara,
DhoonDtaa hai tu kiskaa sahaara".

----------------------------------------------
Song: tu hi saagar hai tu hi kinaara (Sankalp)
----------------------------------------------

VP: fauji bhaaiyon, aap jaante hain na meri film Love Story, kitni
achchhi film thi aur aap logon ne usey kitnaa pasand kiya tha! main
chaahti hoon, waise to bahut saari baaten hain Love Story ki karne ki
lekin main chaahti hoon main aapko achchhe gaane sunaayun, aur aapka
dil behlaayun, to "yaad aa rahi hai" ho jaaye!

---------------------------------------------------------
Song: yaad aa rahi hai teri yaad aa rahi hai (Love Story)
---------------------------------------------------------

SP: fauji bhaaiyon, ek baDe anokhe aur bahut hi sur ko pakaDnewaale,
gaana gaanewaale, 'music director', 'actor', aur 'lyricist', kitne
dino ke baad main aap se unki baat kar rahi hoon, woh the Kishore
Kumar, kalaa ke dhani, gaane ke deewaane. aaj bhi unke jaane ke baad
unke gaane sunte hain. main apne aap ko bahuuuut Khushnaseeb samajhti
hoon ki Kishore-da ke saath maine poore Hindustan mein, 'all over the
world programme' keeye. aur uske baad unhone mujhse kahaa
ki 'Sulaxana, tumko main ek apnaa gaana gawaaya chaahta hoon, tum
gaayogi?' to maine kahaa 'kyun naheen, neki aur poochh poochh!' maine
bolaa 'main gaayungi, aap bataaiye kaun sa gaana'. to
unhone 'rehearsal' karwaaya, aur....

VP: main bataayun gaana kaun sa hai!

SP: haan, bataao

VP: "beqaraar dil"

SP: agar bataaya hai to gaake bhi bataao

VP: main gaayun?

SP: haan, kyun naheen!

VP: 'OK I will try'

Both Sulaxana & Vijeyta sings "beqaraar dil tu gaayejaa Khushiyon se
bhare yeh taraane...."

---------------------------------------------
Song: beqaraar dil tu gaayejaa (Door Ka Rahi)
---------------------------------------------

SP: Vijeyta, aapne meraa gaana mujhse bhi zyaada achchha gaaya!

VP: arey, aisaa mat bolo, aap to mere guru ho, 'you are my guru',
maine bachpan se gaana aap se seekhaa hai, 'you are my inspiration
you know'.

SP: Thanks a lot (laughs)

VP: pehle to 'singers' mein aap mere 'inspiration' the,
phir 'actress' banee to usmein bhi maine aap se sab kuchh seekhaa.
fauji bhaaiyon, main aapko ek baat bataayun, meri zindagi ka sabse
pehlaa gaana maine Mohd Rafi saahab ke saath gaaya jo 'romantic'
gaana tha, main chaahoongi main aapko woh gaana zaroor sunaayun.

-------------------------------------------------------
Song: geet wafaa ke dil se zubaan pe aane lage hain (
-------------------------------------------------------

VP: fauji bhaaiyon, main bahut saubhaagyashaali samajhti hoon apne
aap ko ki maine Kishore-da ke saath aur Rafi saahab ke saath 8/9 saal
ki umar mein hi gaane gaaye. aur aaj mujhe yeh sab baaten mere liye
bahut saubhaagya ki baaten hain fauji bhaaiyon.

SP: mere pyaare fauji bhaaiyon, mere doston, aap mere dost bhi hain,
to main aapko yeh bataana chaahti hoon ki Noorjehan, jo gaati bhi
theen, 'actress' bhi theen, meri Khushkismatee yeh hai ki
ek 'programme' hotaa hai Aashirvaad, usmein aayi theen Suraiya-ji,
aur woh Aashirvaad ke 'award' ke liye mujhe bhi bulaaya gaya tha,
main wahaan pahunchee aur mera poora badan paseene se bheeg raha tha
ki jo hasti, itne saalon se jinhone 'singing star career' ko bahut
bahut sambhaalti theen, aur aaj bhi woh hamaari yaad bankar reh gayi
hain, aur aapko Khushi hogi ki mujhe 'award' mil chukaa hai
Aashirvaad se, 'Singing Star Sulaxana Pandit'. achchha to main aapko
bataayun, main bahut si baaten bataana chaahti hoon lekin, 'anyway',
maine Shashi Kapoor-ji ke saath kaam kiya hai, Kapoor 'family' ki har
hasti ke saath maine kaam kiya hai.

VP: jaise ki Shammi Kapoor-ji, Shashi Kapoor-ji, Rishi Kapoor-ji,
sabhi

SP: (laughs) poori 'family' ke saath maine kaam kiya hai.

VP: bilkul, aur Rajesh Khanna ke saath aap ne kiya hai, Jitendra ke
saath to aapne 25 filmen kee hongi (SP laughs). to woh gaana kyun
naheen sunaate "maana teri nazar mein", 'I love this song', mujhe
yakeen hai fauji bhaaiyon, aap sabko bhi yeh gaana bahut pasand
aayegaa, pasand hai na!

----------------------------------------------------------------
Song: maana teri nazar mein tera pyar ham naheen (Ahista Ahista)
----------------------------------------------------------------

VP: main apne aap ko bahut hi Khushnaseeb maanti hoon ki maine
Kishore-da ke saath 'live' gaana gaaya hai Jeany aur Johny film mein.
aap to jaante hain us zamaane mein, us waqt mein 'live recording'
hoti thi, 'singers' aaju-baaju khaDe rehte the, hazaaron 'musicians'
rehte the, aur hamein gaana paDtaa tha. aur main apne aap ko 'lucky'
maanti hoon ki main bhi us 'phase' se guzree hoon. main shaayad 8 yaa
9 saal ki thi jab yeh gaana gaaya tha Kishore-da ke saath 'live',
main chaahti hoon aap yeh gaana sune.

--------------------------------------------------------------------
Song: sun Jinia arey jaa, naheen karoonga ab Galti (Jinny Aur Johny)
--------------------------------------------------------------------

VP: ek gaana maine aur Sulaxana didi ne saath mein gaaya hai, bahut
hi Khoobsoorat hai, Bappi Lahiri-ji ka 'music' hai, bahut hi achchha,
bahut achchha 'experience' tha, dono ne saath mein 'rehearsal' keeye,
saath mein khaDe hokar gaaya, aur Sulaxana ne mujhe kaise samjhaaya,
bahut Khoobsoorat sa 'incidence' raha hai 'life' kaa, main chaahti
hoon aap yeh gaana sune.

-------------------------------------------------------------
Song: haathon mein mere bhi mehendi lagaayo (Dil Se Mile Dil)
-------------------------------------------------------------

SP: fauji bhaaiyon, mere do bhaai Jatin aur Lalit, ek baar unhone
mujhse poochha ki 'aap ko kisse zyaada pyaar hai?' to maine
bolaa 'Ram Laxman mein se agar poochhe ki Ram pyaare hain yaa Laxman,
mujhe to tum dono hi Ram Laxman lagte ho, aur meri 'blessings'
tumhaare saath hain'. main jaanti hoon ki agar woh chaahen to kyaa
naheen kar sakte, bahut sureele bhaai hain mere, 'I am proud of
them'.

VP: main Jatin aur Lalit ki sabse pyaari bahen hoon, bahut pyaar
karte hain, main hameshaa koshish kee hai fauji bhaaiyon, ki unke
achchhe gaane gaayun, lekin pataa naheen, 'unfortunately' kuchh na
kuchh aisa hotaa raha ki main gaati thi lekin woh gaane mere 'final'
bahut kam rehte the. lekin ek gaana hai jo 'final' mein raha hai,
woh "jawaan ho yaaron yeh tumko huya kya", yeh gaana sirf aapke liye
kyunki aap hi hamaare jawaan sipaahi hain.

-----------------------------------------------
Song: jawaan ho yaaron (Jo Jeeta Wohi Sikander)
-----------------------------------------------

VP: main apne aapko Khusnaseeb maanti hoon ki Vividh Bharati ne aaj
hamko itnaa achchha maukaa diya ki main aap ko gaane bhi sunaa sakee,
aap ke dil ki baaten bhi kuchh poochh kar sakee, aur aapke thoDaa
paas bhi aa sakee, door rehkar bhi main aap logon ke liye bahut duyaa
maangoongi aur duyaa karoongi ki aap hameshaa hamaari rakshaa karte
rahen, aur hamaare Vividh Bharati ke sureele puraane gaane sunte
rahen. aur ham sabko hamesha hamesha pyar karte rahen.

SP: aaj main teeno bahene, teeno bhaai, ins abke baal-bachche, sabke
liye duyaa karti hoon, aap sab ke liye to bahut duyaa karti hoon, aap
wahaan baiThe ham sab ko sambhaal rahe hain, aur ham aapke zariye
zindaa hain duniya mein, bhagwaan kare aapki bahut lambi umar ho, jo
aapke dil mein aaye woh aapko mile, yeh meri aashirvaad hai aap sab
ko.

Both sings "jai Hind jai Hind ki senaa, jaya he jaya he jaya he".

THE END




Sun Jan 27, 2008 5:59 am

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1801 of 2469 |
Expand Messages Author Sort by Date

SP: Sulaxana Pandit VP: Vijeyta Pandit SP: fauji bhaaiyon, aap se baat kar rahi hoon main Vividh Bharati ke dwaara. sabse baDi baat hai ki bahut saal pehle...
soojoi_india
Offline Send Email
Jan 27, 2008
5:59 am
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help