Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Ujaale Unki Yaadon Ke - Sulaxana Pandit (Episode 3)   Message List  
Reply | Forward Message #1851 of 2466 |
EPISODE 3 (06/03/2008)
----------------------

SP: Sulaxana Pandit
KS: Kamal Sharma


KS: Sulaxana-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aap ka bahut
bahut swaagat hai, namaskaar.

SP: namashkaar, shukriyaa

KS: Sulaxana-ji, jab aap ki yeh film bankar 'release' huyi, Uljhan ki
baat kar raha hoon main, to apno ka, doston ka, saheliyon ka
kya 'reaction' tha?

SP: dekhiye, ham jab woh film 'premiere' mein hi dekhe the, to jitne
dekhnewaale the woh sab 'spell bound' ho gaye. yaani unko yeh samajh
hi naheen aaya ki yeh nayi 'heroine' hokar Ashok Kumar, Sanjeev
Kumar, Farida Jalaal, Aruna Irani ke rehte huye, aur yeh laDki lekar
chali gayi 'cake'! sab mujhi ko yaad karte. to ek maasoomiyat usmein
yeh thi ki meri nanad aati hai Farida Jalaal mere paas aur kehti hai
ki brij aa gaya hai aur agar main uske paas naheen gayi to woh mere
saare pyaar bhare Khat mere pati ko de degaa aur main to kisi ko munh
dikhaane ke laayak naheen rahoongi. is tarah 'scene' pe 'scene', ham
jab 'dubbing' karte the tab 'oh Sulaxana, what are you doing,
tremendous!' sab mujhe, matlab, pyaar karte the ki yeh nayi laDki
hokar bhi itna achchha kar rahi hai.

-------------------------------------------
Song: subah aur shaam kaam hi kaam (Uljhan)
-------------------------------------------

SP: dekhiye Khat laana, Brij ko maarnaa, phir 'husband' se chhupaana
ki main Khooni hoon, aur uske baad mein ek chhoTi si guDiyaa
jaisi 'heroine' baiThke seh rahi hai yeh sab, main Khud ro deti hoon
kabhi kabhi us film ke baare mein sochke, baDi pyaari 'script' thi,
aur bahut 'tight' kaam tha, ek ek 'scene' main kabhi dekhti hoon to
main aankh band kar leti hoon, yeh 'scene' aayegaa, yeh 'scene'
aayega, aap yakeen naheen karenge Ashok Kumar-ji ne jo kaam kiya hai
us film mein, 'I am really', unki aatma ko shaanti de bhagwaan, woh
itne baDe kalaakaar hokar ek 'scene' diya unhone, to Sanjeev aaye
neeche, yeh aaye, Ashok-ji, to bole ki 'kyun bahu ko ghar se nikaala
gaya, kyun usko hathkaDi dilaayi, kiske bolne par 'police' aayi?', to
Farida Jalaal bolti hai ki 'naheen, jeejaaji main bolti hoon, main
Khooni hoon, main usey pyaar bhare Khat likhti thi, kamzori meri hai,
usey jo dhutkaar rahe hain, meri aatma gawaara naheen karti'. main
bolti hoon 'jab tak main hoon mujhe karne de, main agar kamzor paDee
tab koi aur baat hai'.

KS: jee

SP: magar woh 'scene' pe 'scene', 'scene' pe 'scene', 'scene'
pe 'scene', pyaare pyaare 'dialogues', aur ek sahee bahu, ek sahee
nanad ka jo kaam, woh mujhe zindagi bhar yaad rahegaa.

KS: ek baDaa kalaakaar wohi hotaa hai jo us chunauti ko nibhaa le
jaata hai aur apne abhinay se apni kalaa se ek charitra ko itna
vaastavik, itnaa vishvasniya banaa deta hai ki log uske saath
apne 'emotions share' karne lag jaate hain, usmein apne aap ko dekhte
hain. kahaani jab logon ke dilon par asar karti hai, baat tabhi banti
hai. aap ki ek film 1975 mein aayi thi Salakhen, jismein aap ne kaam
kiya tha Shashi Kapoor ke saath mein. usmein Shammi Kapoor bhi the
aur Mahmood bhi the usmein shaayad, hai na!

SP: jee jee, bilkul sahee

KS: aur sangeet Ravindra Jain saahab ka

SP: jee

KS: to Shashi Kapoor ke saath bhi aap ne kaam kiya, Shammi Kapoor ke
saath bhi, aur Rishi Kapoor ke saath bhi.

SP: jee. aap ko ek bataa doon, Kapoor 'family' mein aise kaun hain
jinke saath maine kaam naheen kiya? (KS laughs) sabse baDi baat yeh
hai ki Raj Kapoor saahab ne bhi mujhse kahaa 'tum filmon mein kaam
karo, gaana to milte hi jaayegaa'. aur bhari 'audience' mein
Shanmughanan Hall mein unhone 3000 aadmiyon ke saamne kahaa
ki 'Sulaxana Pandit will be my heroine in RK'. sunkar main gumsum ho
gayi. ek baar Shashi Kapoor kisi 'programme' mein aaye the aur unka
takiya kalaam huya karta tha 'jee mujhe Shashi Kapoor kehte hain'. to
uske baad sab ko biThaaya gaya, ham sab baiThe the 'programme' dekhne
ke liye, to Shashi-ji se kahaa gaya ki 'aap kuchh kahen'. Shashi-ji
ne kahaa ki 'main bahut Khush hoon ki aap log baiThe hain yahaan, aur
mujhe aap 'award' de rahe hain, is baat se main bahut Khush hoon, to
logon ne bolaa 'dialogues'. to unhone bolaa 'dekhiye, yahaan pe na
koi 'camera' hai aur na koi 'heroine' hai'. to 3000 'public' ne ek
saath kahaa 'Sulaxana Pandit!'. main Khud hairaan ho gayi. aur unhone
peechhe muDkar dekhaa ki aisa kaun hai Sulaxana Pandit jinka naam
kahaa jaa raha hai. to unhone kahaa ki 'jee maine kabhi inke saath
kaam to naheen kiya lekin kaam karna paDe to main inke saath zaroor
kaam karoongaa'. bhagwaan ki dayaa dekhiye saat filmon mein maine
unke saath kaam kiya. to aise bahut si cheezen insaan ke saath hoti
hain jo woh kabhi bhool naheen saktaa.

KS: waise Shashi Kapoor saahab ki baat karen to woh bhi apne parivaar
mein alag tarah ke vyakti hain jinhone apni tarah se, apne parivaar
mein, Khaaskar naaTakon mein jo yogdaan diya hai, paramparaa ko aage
baDhaaya, aur usko bahut sahejkar sambhaalkar rakhaa.

SP: sab hain aise hi. Raj Kapoor ke jo beTe hain Rishi Kapoor, mujhe
unke saath itna achchha lagaa, bilkul 'down to earth', zaraa ghamanD
naheen, 'on the contrary helping'. ek baar ham jaa rahe the, hamne
ek 'banner' dekhaa Mamta. usmein jitne bhi 'staff' the, 'helper'
aur 'hair dresser', sab ko maine bolke rakhaa 'kal 'ticket' laake
rakhna, 9 baje 'shooting' khatam hogi, phir ham log yeh film dekhne
aayenge'. uskaa ek gaana mujhe bahut pasand aaya tha, uskaa ek
ek 'line' main aap ko sunaati hoon

KS: zaroor zaroor

SP: (sings) "ham gawanwaa na jaibe ho binaa jhoolni..."

----------------------------------------------------
Clip: ham gawanwaa na jaibe ho binaa jhoolni (Mamta)
----------------------------------------------------

SP: (sings) "sakal bana gagana pawana chalata purvaaee ri...."

------------------------------------------------------
Clip: sakal bana gagana pawana... ham gawanwaa (Mamta)
------------------------------------------------------

SP: (sings) "vikal moraa manwaa un bin haaye..."

------------------------------------------------
Clip: vikal moraa manwaa... ham gawanwaa (Mamta)
------------------------------------------------

KS: bahut Khoob bahut Khoob!]

SP: yeh gaana bahut pasand aaya tha, abhi to Khair mera galaa baiTha
huya hai. aap ek baat sochenge to aap ko ajeeb lagegaa, maine kabhi
zindagi mein haath mein kaaGaz leke naheen gaaya. aadmi ki yaaddaash
bahut baDi cheez hai, aaj bhi meri zahan mein hazaaron gaane hain.
mere apne hain, Pandit Jasraj, aur mere pitaaji Pandit Pratap Narayan
hain, main garv karti hoon ki main unki beTi hoon, mere pitaaji ko
aap ne dekhaa hotaa ki aap sochte ki 'kaun si 'personality' hain
yeh!' meri maa ko Sanskrit ki aur poojaa ki jitni jaankaari thi
shaayad hi kisi ko hogi. mujhe unhone gaana sunaaya, usmein kuchh
ajeeb si thi, 'language' thi, doodh, ghrit, (sings) "doodh math ghrit
kaaDh le aa, Daar gaya chhoya, mhaara ri giridhar gopaal doosra na
koi". to main jab maa se sunti thi to main unse kehti thi ki 'aap ko
samajh kya aa raha hai iskaa?' to bolti theen, gyaani theen,
ki 'beTaa, doodh ko mathnaa paDtaa hai, doodh math, phir usmein se
ghee nikaalna paDtaa hai, aur in teen cheezon ke baad chhaanch ko
phenk denaa paDtaa hai'.

KS: ismein guDh baat chhipi huyi hai, gehra darshan chhipa huya hai
jeevan ka, aur jab ham darshan ki baat karte hain, to kaavya ke
maadhyam se, geeton ke maadhyam se, hamaare jo kavi hain, geetkaar
hain, shaayar hain, woh hamaari baat, apni baat, duniya ke saamne
rakhte rahe hain. aur film sangeet iski sab se baDi vidhaa hai.
Sulaxana-ji, main aap se jaanna chaahoonga ki woh kaun se sangeetkaar
hain jinse aap, jinki sangeet se aap bahut zyaada prabhaavit huyeen?

SP: ek baar kya huya ki maine Anpadh film ka yeh gaana sunaa
tha, "aap ki nazron ne samjhaa"

---------------------------------------
Song: aap ki nazron ne samjhaa (Anpadh)
---------------------------------------

SP: main Madan Mohan-ji ki bahut baDi 'fan' ho gayi, ham dono ek din
Mehboob Studio saath hi mein jaa rahe the, meraa bhi gaana tha, unkaa
bhi tha. to jab main jaa rahi thi to unko aise dekh rahi thi jaise
koi bahut baDi shahseeyat ko dekh rahi hai. maine sochaa ki 'kaash
main inkaa koi gaana gaa loon!' sochte sochte achaanak ek din Khabar
aayi ki woh is duniya mein naheen rahe. sach poochhiye itni Thes
pahunchi mere dil ko aur 'music' ko.

------------------------------------------------------
Song: jaana tha hamse door bahaane banaa liye (Adalat)
------------------------------------------------------

SP: kitni 'lucky' hain Lata Mangeshkar, Asha Bhosle, jinko achchhe
achchhe chere mile, jinke woh 'lip movement' kare, aur itne achchhe
geetkaar, Raja Mehendi Ali Khan, Shaqeel Badayuni, kitne achchhe
achchhe 'writers' unko mile. aaj agar Lata Mangeshkar aateen to main
samajhti hoon kabhi woh "dhoom machaa le" naheen gaateen, woh to yehi
gaateen ki "lag jaa gale ke phir yeh haseen raat ho na ho"

--------------------------------------------------------
Song: ag jaa gale ke phir yeh haseen raat (Woh Kaun Thi)
--------------------------------------------------------

END OF EPISODE 3




Thu Mar 20, 2008 8:51 am

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #1851 of 2466 |
Expand Messages Author Sort by Date

EPISODE 3 (06/03/2008) ... SP: Sulaxana Pandit KS: Kamal Sharma KS: Sulaxana-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aap ka bahut bahut swaagat hai,...
soojoi_india
Offline Send Email
Mar 20, 2008
8:51 am
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help