Whats this,you guys asked her everything,about her most of songs,but did not ask her anything regarding her big hit apnapan,even did not ask her anything related to reena roy or jeetendra from the film's cast..
I wanted to know abt her experience of this film..
ojoi_india <soojoi_india@...> wrote:
EPISODE 6 (27/03/2008)
--------------------- -
SP: Sulaxana Pandit
KS: Kamal Sharma
KS: Sulaxana-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aap ka bahut
bahut swaagat hai, namaskaar.
SP: namashkaar, shukriyaa
--------------------- --------- --------- -------
Song: boliye sureelee boliyaan (Griha Pravesh)
--------------------- --------- --------- -------
KS: Sulaxana-ji, do aur baDe kalaakaar
SP: bataaiye
KS: ek to Amitabh Bachchan saahab hain...
SP: kya baat hai, kya baat hai!
KS: jo 'superstar' se baad mein 'megastar' ho gaye, aur doosre Vinod
Khanna saahab, film aayi thi Hera Pheri.
SP: jee haan
KS: aap ne unke saath mein kaam kiya tha
SP: jee
KS: main us film ke anubhav jaanna chaahta hoon aap se, kaisa lagaa,
kaisi 'chemistry' thi, iske baare mein.
SP: 'actually' Amit-ji ki main Deewar film dekh kar bahut baDi 'fan'
ho gayi, aur koshish karti rahi, karti rahi ki unke saath koi kaam
aaye. to Hera Pheri mein jab 'end' hota hai, to woh Saira-ji
ke 'opposite' mein hain, to Saira-ji ke paas jaane se pehle mere paas
aa jaate hain, aur mere kandhe mein sar rakh dete hain. aur kehte
hain 'sorry sorry'. phir Vinod-ji aate hain aur ham log teeno apne
jo 'mission' pe gaye the woh kaamyaab hota hai, ham log jaa rahe hain
aur waheen 'pause' kar diya haio. to yeh mujhe bahut pasand aata hai,
aur woh jo kaam karte hain to kaam karne se pehle aadmi sochta hai
ki 'is he in right mood?', woh usi mein ghus jaate hain.
KS: aur usse baahar aana, usmein bhi waqt lagtaa hai. main samajhta
hoon ki aap usmein itna Doob jaate hain ki 'emotionally disturbed'
bhi ho jaate hain
SP: bilkul, ham sahi anjaam dena chaahte hain, naheen to hamaare
seene mein aisa lagta hai ki kisi ne teer maar diya. to ham apne mein
bahut bahut satark rehte hain, aisa naheen ki bad idhar udhar kiya
aur ho gaya kaam, naheen! 'artiste' jo aap ke saath mehnat karke gaya
hai uski mehnat ko aap Thukraaiye mat kyunki woh, bachpan se woh
cheez hamaare saath jaa rahi hai, hamein DaanTaa bhi gaya hai, hamein
futkaara bhi gaya hai, saath gaanza bhi chal raha hai, us cheez ko
agar kisi ne kam kar diya to yahaan to parmaatma rehta hai dil mein,
to woh agar TooT jaaye to bahut takleef hoti hai. yeh main zaroor
kehna chaahti hoon ki 'artiste'-on ki qadar zaroor honi chaahiye,
unke liye pyaar hona chaahiye
KS: Sulaxana-ji, 'profession' ek alag cheez hai, lekin 'profession'
mein kabhi kaam karte karte ham logon ke itne kareeb aa jaate hain ki
woh hamaare parivaar ke sadasya ban jaate hain.
SP: Rajkamal-ji hamaare ghar ke ek aise sadasya the jo har baat ko
itni sulabhtaa se suljhaa dete the ki ham unke baGair jee hi naheen
sakte the, hamko lagta tha ki kab aayenge kab aayenge, kyun naheen
aaye woh, is 'time' to aana chaahiye tha, itne pyaare dil ke insaan,
unhone hausla kitna diya mujhe, ek gaana gawaaya (sings) "mam mam
mamma", Amma film ka gaana hai, woh mujhe itna 'confidence' dilaate
the, idhar unhone sunaaya aur maine gaaya. unko main dhanya bolti
hoon, unki poori 'family' ko aur Rajkamal-ji ko main koTi koTi
praNaam karti hoon ki bhagwaan aise logon ko mat le jaana jo hazaaron
ka dil dukhaakar chale jaate hain.
KS: unhi ke 'composition' mein gaaya huya kaun sa gaana aap phir se
unko yaad karte huye 'dedicate' karengi?
SP: yeh waise to maine Rajkamal-ji ke bahut gaane gaaye hain,
lekin 'especially' jo 'colour' hota hai rang ka, to rang ke tyohaar
mein bhi usi rang ka gaana hota hai, "saari Daal gayi munh pe rang ki
gagar", gaake main sunaa deti hoon
KS: jee
SP: (sings) "saari Daal gayi munh pe rang ki gagar, main to dhokhe se
dekhan laagi udhar"
KS: itne se to man naheen bharegaa, isse to zyaada sunna chaahenge
hamaare jo sunnewaale hain, intezaar kar rahe hain, sunwa rahe hain
aap ki aawaaz mein yeh geet.
--------------------- --------- --------- --------- -----
Song: saari Daal gayi munh pe rang ki gagar (
--------------------- --------- --------- --------- -----
KS: Sulaxana-ji, yeh to ham filmon ki baat rahe the, filmon ke saath
saath Gair filmi geet bhi aap ne bahut gaaye hain, Ghazlen gaayi hain
SP: haan haan
KS: unke baare mein jaanna chaahta hoon
SP: jahaan tak Ghazlon ka sawaal hai, mujhe Mahesh Chandra ne bhi
gawaaya
KS: jo Jazbaat ke 'title' ke naam se...
SP: jee jee jee. to uski ek GHazal aisi thi ki usko sunna 'easy'
lagta tha, gaana mushkil tha, woh Ghazal thi...
--------------------- --------- --------- --------- --------- -
Song: aaye mehmaan kahaan yeh Gham-e-jaana hogaa (Nonfilm Ghazal)
--------------------- --------- --------- --------- --------- -
KS: Sulaxana-ji, aap ke abhinay par hamne baat kee, 'singing' par
baat ho gayi, lekin iske alaawa bhi vyaktitva ke doosre aayaam hote
hain. doosre shauk bhi hote hain
SP: bilkul sahi hai
KS: to un ruchiyon ke baare mein jaanna chaahenge, aap ke kya kya
shauk hain?
SP: main aap ko bataayun apne shauk ke baare mein, main ghar
mein 'carrom' khelti hoon bachchon ke saath, aur jeet-ti hoon unke
saath to baDaa mazaa bhi aata hai. paani ka mujhe bahut shauk hai,
main Doob jaati hoon usmein. is baar maata jagdambaa ka chal raha tha
to maine teen ghanTaa 'dance' kiya. to yaani yeh samajh leejiye
ki 'dance' karna itni der tak bahut baDi baat hai
KS: isi tarah se aap ke gaano par bhi log jhoomte hain na?
SP: haan jee
KS: to kya 'dance' seekha hai aap ne?
SP: 'practically' naheen seekha hai
KS: lekin kabhi kabhi filmon mein 'dance' bhi karna paDtaa hai
SP: baap re, ek baar Sultan Ahmed saahab ne hamein Dharam Kanta mein
liya, aur usmein Rajesh Khanna the, Jeetendra the, aur Waheeda Rahman-
ji theen, aur Raj Kumar-ji the, yeh Rajkumar hamaare 'father' the,
film mein. aur is film mein Reena Roy ko 'dance' bahut achchha aata
hai, 'I really like her dance, the way she dances in films', to woh
maine sochaa ki Reena 'dance' karegi, Nagin mein unhone bahut achchha
naachaa tha, bahut achchhe 'steps' lage the, lekin phir jab mujhe
pataa chalaa ki main naach rahi hoon to maine unko bolaa 'Sultan-ji,
main 'dancer' naheen hoon, main 'singer' hoon'. to unhone bolaa 'yahi
to chaahiye mujhe ki jisko 'dance' na aata ho, 'dance' mein woh
thoDaa gaDbaD kare'. to maine bolaa ki 'aap keh rahe hain to main kya
boloon'. to Gopi Kishan-ji ne bolaa 'mujhe hi dekhti rehna, main
seekha doonga ki kaise 'dance' karna hai' (KS laughs). 2 din
maine 'rehearsal' kee aur uske baad 'dance' shuru kiya 'picturize'
karna, phir 'foreign' se bahut se log aaye the hamaare 'sets' ko
dekhne ke liye, kaise 'rehearsals' karti hoon 'dance' ke liye, aur
bahut 'congratulations' diya, aur bahut 'famous' gaana hai, aap ne
sunaa hogaa, (sings) "maine chhoD dee sabki laaj, main aisa jhoom ke
naachi aaj ke ghungroo TooT gaye...". aur mujhe Sultan Ahmed saahab
ne bolaa 'hamne to yeh socha bhi naheen tha ki tum ek 'step' chal
sakogi, tumne to itna baDhiyaa 'dance' kiya hai ki lagtaa hai saalon
se seekh rahi ho'. maine bolaa 'thats really a compliment sir, I am
really very happy today'.
KS: to chaliye us drishya ki yaad ko taaza karte hain is geet ke
saath.
--------------------- --------- --------- --------
Song: maine chhoD dee sabki laaj (Dharam Kanta)
--------------------- --------- --------- --------
KS: koi insaan achchha kaam karta hai to bahut baDaa inaam hoti hai,
shaabaashi hoti hai, aur iske alaawa maata pitaa ka aashirvaad...
SP: bahut zaroori hai
KS: apne doston ki, ghanishTh mitron ki, parivaar ke logon ki duyaaen
aur shubhkaamnaaen bahut zaroori hai, lekin ek kalaakaar ko isse bhi
zyaada chaahiye un logon se jinke liye woh 'perform' kar raha hai. to
aap ko bhi Filmfare Award milaa
SP: haan, meri 'first film' thi Sankalp, usmein mujhe Dher
saare 'awards' mile, aur baDe baDe log baiThe huye the, ajeeb lag
raha tha, naya naya pehla pehla 'award', to woh Filmfare Award mila
aur O P Nayyar saahab ne mujhe apne haathon se diya. to main aaj bhi
usko pyaar karti hoon, apne haath se saaf karti hoon, usko rakhti
hoon, aur puraani yaaden aa jaati hain, bahut achchha lagta hai.
KS: Sulaxana-ji, jisne bhi aap ka naam rakha parivaar mein, bahut
sahi naam rakha hai. woh jo laxaN aap mein, aap ki kalaa mein bhi
ujaagar huye, aap ke vyavhaar mein, aap ki poori shaKhsiyat mein
nazar aate hain. yaa phir yun kahiye ki aap ke shaKhsiyat ki yeh
miThaas hai
SP: 'thank you, thank you'
--------------------- --------- --------- --------- --------- -
Song: kaun gali gaye shyaam bataa de koi (Payal Ki Jhankaar)
--------------------- --------- --------- --------- --------- -
KS: aap ki yeh Khoobsoorti bani rahe, eeshwar aap ko bahut lambi aayu
de, sab ke beech mein aap ki lokapriyata yunhi banaaye rakhe
SP: aap ka bahut bahut shukriyaa.
KS: to main apne un tamaam shrotaaon se, jo aap ki 'acting' ke
shehdaai hain, aap ko chaahte hain dil-o-jaan se, unki or se, apni or
se aur Vividh Bharati ki or se yahaan aane ke liye tah-e-dil se aap
ka shukriya adaa karta hoon.
SP: main apni taraf se aap ko aur aap ke saare 'staff'
ko, 'especially' Shakuntala pandit, jo is 'programme' ki 'producer'
hain, aur Vinay ko jo 'recordist' hain, sab ko pyaar se dhanyavaad
kehti hoon, mujhe poori ummeed hai ki aap ko yeh 'programme' pasand
aaya hogaa, namaste, Khudaa haafiz, dhanyavaad!
--------------------- --------- --------- --------- ------
Song: somvaar ko ham mile mangalvaar ko nain (Apnapan)
--------------------- --------- --------- --------- ------
END OF EPISODE 6
RECORDIST: VINAYAK TADWALKAR
PRODUCER: SHAKUNATALA PANDIT
PRESENTER: KAMAL SHARMA
END OF SERIES
__________________________________________________
Do You Yahoo!?
Tired of spam? Yahoo! Mail has the best spam protection around
http://mail.yahoo.com