A RARE COMBO - Naushad as Poet, Mahendra Kapoor as Composer
-----------------------------------------------------------
Ghazal: "haaye kaisi woh shaam hoti hai"
Lyrics: Naushad
Music : Mahendra Kapoor
Singer: Mahendra Kapoor
Source: Guldasta programme, Vividh Bharati
haaye kaisi woh shaam hoti hai,
daastaan jab tamaam hoti hai.
shaam-e-furkat ki uljhanen taubaa,
kis Gazab ki yeh shaam hoti hai,
daastaan jab tamaam hoti hai,
haaye kaisi woh shaam hoti hai.
yeh tasavvur hai unki zulfon ka,
meri har subah shaam hoti hai,
daastaan jab tamaam hoti hai,
haaye kaisi woh shaam hoti hai.
peenewaala ho gar to saaqi ki,
har nazar daur-e-jaam hoti hai,
daastaan jab tamaam hoti hai,
haaye kaisi woh shaam hoti hai.
***************