UJAALE UNKI YAADON KE
---------------------
INTERVIEW OF SHASIKALA
**********************
Excerpts where Shashikala talks about HFM
-----------------------------------------
SK: Shashikala
KS: Kamal Sharma
KS: aap ne Zeenat ka zikr kiya, 1945 mein yeh film aayi thi, ismein
ek mashoor qawwaali jo hai...
SK: jee haan, aap koi yakeen naheen karenge, agar woh 'picture' aaj
bhi lage to sirf qawwaali dekhne ke liye log wahaan pe baiThte
the, 'theatres' mein. aur un dino jo hai qawwaali aadmi log gaaya
karte the, magar saari 'ladies' logon ne gaaya hai, ham logon ne
usmein kaam kiya hai.
KS: Shashi-ji, aap ne Noorjehan-ji ke saath kaam kiya. jaisa unka
abhinay tha usse bhi zyaada achchha woh gaati theen. aap ne unko
kaisa paaya?
SK: main bataayun aap ko, un dono ko main bhaai saahab aur aapa-ji
kehkar hi bulaati thi. bhaai saahab aur aapa-ji, iske siwaa baat
naheen hoti thi.
KS: kya baat hai!
SK: aur Khoobsoorat to theen woh, aur Shaukat bhaai saahab bhi utne
Khoobsoorat the. main Karachi gayi thi aur aapa-ji ko mil naheen
sakee. Shaukat bhaai saahab se meri mulaaqaat huyi, bahut roye woh.
bahut roye, bahut riye woh, kyunki us waqt unka 'separation' ho gaya
tha. aur jab kabhi main wahaan se guzarti hoon jahaan woh rehte the,
apni bhi woh din yaad hain. agar woh aaj hoteen to meri zindagi kuchh
ka kuchh ho jaati. magar uske liye ab mujhe afsos naheen
hai. 'Mother' (Mother Teresa) ke paas aane ke baad mujhe iska koi
afsos naheen hai.
KS: to Zeenat ki wohi qawwaali suni jaaye
SK: zaroor zaroor
---------------------------------------------
Song: aahen na bhari shikwe na keeye (Zeenat)
---------------------------------------------
SK: Jugnu film mein maine gaana gaaya tha, "desh ki purka purangeen
si Khizaayon mein kahin" aisa kuchh hai gaana
KS: aap ko abhi bhi yaad hai?
SK: hun, thoDaa sa yaad hai
-------------------------------------------------------------
Song: desh ki purka purangeen si Khizaayon mein kahin (Jugnu)
-------------------------------------------------------------
KS: yahaan par ham koi aur gaana, jo aap ko pasamd ho, aap ki kisi
film ka, kisi aur ke film ka bhi ho sakta hai
SK: jee, film Sujata mein ek mera gaana hai "bachpan ke din bhi kya
din the"
---------------------------------------------
Song: bachpan ke din bhi kya din the (Sujata)
---------------------------------------------
KS: aap ki film Karodpati ki baat karna chaahenge.
SK: jee haan. Karodpati hamaare ghar ki film thi. Karodpati mein main
thi, aur hamaare Kishore Kumar the. 'music' tha Shankar Jaikishan ka.
lekin film bilkul naheen chalee. gaane bhi naheen chale. Shankar
Jaikishan 'music director' the. lekin phir bhi naheen chale. ham
kehte the ki Karodpati banaate banaate ham kangaalpati ban gaye.
KS: is film ke gaane hamaare paas hai, ham yahaan par is film ka ek
gaana apne shrotaaon ko sunwa sakte hain
SK: hai? (excited) arey waah! bachche to bahut Khush hoyenge yeh
gaana sunkar. kaun sa gaana lagaa rahe hain?
KS: bas, sunte hain
---------------------------------------------------
Song: aap huye mere balam main tumhaari (Karodpati)
---------------------------------------------------
KS: Shashikala-ji, abhi aap ne Kishore-da ka zikr kiya. kamaal ke
kalaakaar the, gaayak to the hi Khoob. to Kishore-da se juDee aap
apni sansmaraN bataaiye.
SK: (laughs) Kishore-ji, un dino mein, mera Khayaal hai sirf 3 yaa
4 'artistes top' mein the, Dilip Kumar, Raj Kapoor, Dev Anand,
Kishore-da. unko milna bahut mushkil tha. 'time' dete the, milte
naheen the. 'time' dete the, kabhi naheem aate the.
KS: shaitaan bachche ki tarah the
SK: bilkuuuul. bilkul, aap ko main unka aaKhri kissa sunaati hoon.
film to ban gayi, 'flop' bhi ho gayi, chali bhi naheen, yeh sab huya,
ek din mujhe 'phone' aata hai unka ki 'Shashi, tum mujhe milne aayo'.
to main gayi apne 'friend' ke saath milne ke liye. to baat kar rahe
hain, 'mujhe 'heart attack' ho gaya, aise huya, waise huya'.
aur 'suddenly' mujhe aawaaz aati hai 'time up, time up, time up'.
main to ghabraa gayi, maine kahaa 'arey yeh kahaan se aawaaz aa rahi
hai?' hanse lage 'ha ha ha ha ha... pataa hai main 'heart'
ka 'patient' hoon na, isliye yahaan pe ek 'recording' karke rakhi
hai, 5 'minute' se zyaada kisi se baat naheen karni hai'. (KS burts
into laughter). maine kahaa 'Kishore-da, aap ne mujhe Daraa hi diya
bilkul!' aur bahut 'emotional' the mera Khayaal hai, 'very emotional
person'
KS: kabhi 'serious' bhi ho jaate the
SK: haan, unke to kitne kisse hain, jitna sunaaye to kam hai (KS
laughs), par bahut hi achchhe, bahut hi kamaal ke 'artiste', 'genius'
bhi kehna chaahiye, dekhiye gaane bhi unhone kitne achchhe
likhe, 'music' bhi kitna achchha diya, 'singing' to achchha karte hi
the.
--------------------------------------------------
Song: Khwaab ho tum ya koi haqeeqat (Teen Deviyan)
--------------------------------------------------
KS: gaayikaaon mein Lata-ji ke baare mein kya vichaar hai aap ke?
SK: Bhaarat Ratna unko milaa hai, magar abhi bhi usi tarah pyaar se
mujhe milti hain.
KS: hamne bhagwaan ko naheen dekhaa, devi saraswati ko to dekha hai.
SK: sahi hai
KS: Lata-ji ko dekhke lagta hai saraswati ko paa liya, Lata-ji ne
baDe hi meeThe meeThe madhur geet gaaya hai. chaliye aap hi ki film
Aayi Milan Ki Bela ka ek gaana sun liya jaaye.
--------------------------------------------
Song: main kamseen hoon (Aayi Milan Ki Bela)
--------------------------------------------
SK: hamaare 'picture' mein Latabai ne gaane gaaye hain, ek paisa
naheen liya unhone. un dino mein shaayad woh, mera Khayaal hai 10,000
rupay 'charge' karti theen, un dino mein.
KS: baap re
SK: aur jab woh mere yahhan pe 'recording' ke baad khaana khaane
aayeen, koi parhez naheen, maine baai se poochha ki 'baai, aap khaane
mein kya loge?' to maine achchhe ghee mein khaana banaaya tha taaki
unko takleef na ho. jaise ham log 'normal' log baiThke khaana khaate
hain waisa unhone baiThke khaana khaaya.
KS: yeh 'simplicity' jo hai, yehi aadmi ke saath chalti hai aur yeh
usko baDaa banaati hai.
---------------------------------------------------------------
Song: na aasmaan na dharti fareb dete hain, hamein to apne sahaare
fareb dete hain
---------------------------------------------------------------
KS: Lata-ji ki bahen Asha-ji ne aap ke liye bahut saare gaane gaaye
hain. unki aawaaz ki bhi Khoobi hai ki...
SK: dekhiye main aap ko bataayun hoon, Lata-ji Lata-ji hain, Asha-ji
ASha-ji hain. Lata-ji ke gaane suno, jab aap Gamgeen hon to aap ka
saara Gham door ho jaata hai. lagtaa hai ki mera hi gaana hai. Asha-
ji ka gaana suno to lagta hai chalo 'dance' karna chaahiye, 'dance'
karna chaahiye, 'dance' karna chaahiye (KS laughs).
---------------------------------------------------
Song: roz roz Dali Daali kya likh jaaye (Khubsurat)
---------------------------------------------------
SK: yeh fark hai, aur dono ki jagah koi naheen le saktaa. koi bhi
naheen le saktaa.
KS: Anupama ka zikr kiya tha na aap ne?
SK: jee
KS: Anupama ka ek gaana aap pe filmaaya gaya tha, (sings) "kyun mujhe
itni Khushi de dee"
---------------------------------------------
Song: kyun mujhe itni Khushi de dee (Anupama)
---------------------------------------------
SK: Phool Aur patthar ka gaana bhi unhone hi gaaya
KS: jee jee jee
SK: pataa naheen aap ko yaad hai yaa naheen
KS: kyunki yeh 'picture' maine bahut pehle dekhi thi, haalaanki iske
gaane Vividh Bharati par ham bajaate hain, woh uski dhundli si yaad
hai film dekhne ki, lekin Phool Aur Patthar ek bahut hi kaamyaab film
rahi.
SK: aur yeh har jagah pe 'golden jubilee' kee hai
KS: isne phool bhi bikhere aur ismein jo hai patthar ki tarah jaD bhi
gaye hain filmi ithaas mein.
SK: bilkul, bilkul
------------------------------------------------------------
Song: sun le pukaar aayi aaj tere dwaaar (Phool Aur Patthar)
------------------------------------------------------------
THE END