Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Independence Day Special - Shaheed Tumhe Salaam   Message List  
Reply | Forward Message #2002 of 2464 |
SHAHEED TUMHE SALAAM
--------------------

A SPECIAL PROG BY AIR CHANDIGARH ON INDEPENDENCE DAY (15/08/2008)
-----------------------------------------------------------------

Presented By: RAMESH KAPOOR
---------------------------


Shaheed tumhe salaam, kaaryakram sunnewaale sabhi doston ko Ramesh
Kapoor ka namaskaar. doston, aaj woh paavan din hai jiska intezaar
har bhaaratwaasi baDi shraddhapoorvak karta hai. aaj hi ke din
hamein mili thi aazaadi, aur lehraaya tha hamaara pyaara tirangaa.
sabhi sunnewaalon ko Akashvani Chandigarh ki or se swatantrata divas
ki bahut bahut badhaai. aaj kitna achchha lagta hai ki sab kuchh
aazaad hai, yeh khuli hawaa, yeh khulaa aasmaan, aaj ham is aazaad
desh mein saans le rahe hain to keval bhaaratmaata ke un veer
sapooton ke badaulat jinhone apni jaan ki parvaah na karte huye
bhaarat maa ki zanjeeron ko toDkar hamein aazaad karwaaya aur is
laayak banaaya ki ham aazaadi se apni baat keh sake, apna jeevan
aazaadi se jee sake. bhaarat maa ke un veer sapooton ko hamaara koTi
koTi praNaam. jinhone apne mahakte jeevan pushp bhaaratmaata ke
charaNon mein chaDhaaye, unhi ke sir raha sehra, unhi ke taaj-e-
qurbaani jinhone kapDaa phaaDkar apne sar par rakha, kafan pehne.
aur badle mein chaaha kya apne liye, woh to kehte the "na ham izzat
ke shehdaai hain na daulat ki kare parwaah, fidaa is watan par kar
denge tan man aur dhan pehle"

--------------------------------------------------
Song: ae watan ae watan hamko teri kasam (Shaheed)
--------------------------------------------------

doston, itihaas gawaah hai ek samay tha jab hamaara desh bhaarat
sone ki chiDiya kehlaata tha. lekin videshiyon ne apne naapaaq
iraadon aur apni kooTneeti se is sone ki chiDiya ko qaid kar liya,
apna Ghulaam banaa liya. par jab jab zulm ne apni hadh paar kee, tab
tab aazaadi ke parwaano ke dilon mein uThi sarfaroshi ki tamanna.

-------------------------------------------------------------
Song: sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai (Shaheed)
-------------------------------------------------------------

Hindu, Muslim, Sikh, Isaaee, sab bhaai bhaai milkar desh ko aazaad
karwaane ke sapne sanjone lage. desh ko aazaad karwaana hi unka
sabse baDaa dharm tha. woh to kehte the "namaaz sandhyaa yahi
hamaari, aur paaTh pooja yahi hamaari, dharm karm sab yahi hai
pyaaron, yahi Khudaa aur Raam apnaa". sach mein, kitne mahaan log
the woh jinhone desh sevaa mein, desh ki aazaadi ke liye, apni
maatribhoomi ki raksha ke liye apne praaNo ki aahooti de dee, "maa
hamein vidaa do jaate hain ham, teri balivedi par chaDhkar vijay ke
top phehraane aaj". jang-e-aazaadi ke un parwaano ko hamaara laakhon
salaam jo bhaaratmaata ko aazaad karwaane ke liye kisi bhi balidaan
ke liye tayyaar rehte the.

--------------------------------------------------------------
Song: mera rang de basanti cholaa (The Legend of Bhagat Singh)
--------------------------------------------------------------

aazaadi ke parwaano mein deshbhakti ka jasbaa kooT kooT kar bharaa
tha. tabhi to uThte baiThte, sote jaagte, unka ek hi sapna hota tha,
desh ko aazaad karwaana. "kadam loon main mhaatre bhaarat tere main
uThte baiThte, kahaan kismat meri aisi naseeba yeh kahaan mera, teri
Khidmat mein bhaarat yeh sar jaaye yaa jaan jaaye, to main
samjhoonga yeh marna banegaa imtihaan mera".

----------------------------------
Song: des nu challo (Punjabi Song)
----------------------------------

bhaarat mein jo 100 barson se bhi adhik samay tak sashakt kraanti ka
jo aandolan chalta raha, usmein hazaaron kraantikaari aazaadi ki
bedi par apne mastak chaDhaa gaye, aur jaane kitne sapoot pratyaksh
sangraam mein shaheed huye. unhone kya us sangharsh mein apni
zindagi ka koi niji swaarth ka koi uddeshya rakha tha? naheen. unki
to maatra ek yahi saadhana kaamana rahi ki "ham ujaDte hain to ujDe
watan aazaad rahe, hon giraftaar to hon par watan aazaad rahe".
isiliye to unhone maatribhoomi ko apne rakt se seenchaa, hanste
hanste phaansi chaDh gaye. unhone yeh sab apne kisi niji swaarth ke
liye naheen kiya, hamaare liye kiya, hamaare watan, hamaare qaum ke
liye kiya. aur zaraa sochiye, jab desh aazaad huya hogaa, to
deshbhakton ki aankhon mein aaye honge apaar Khushi ke aansoo, aur
honThon par yahi geet...

---------------------------------------------
Song: ab koi gulshan na ujDe (Mujhe Jeene Do)
---------------------------------------------

yeh aazaadi hamein bahut qurbaaniyon ke sadke mili hai. ab waqt hai
hamara farz nibhaane ka. dharm, jaatpaat, sabkuchh bhulaakar aapas
mein prem pyaar se rahen taaki dharm ke naam par, jaatpaat ke naam
par koi bhi videshi taaqat apne naapaaq iraadon mein kaamyaab na ho.
hamein apni is aazaadi ko bahut sambhaalkar rakhna hai. zara
sochiye, kitna Khushi bhara, zara sochiye kitna Khushi bhara din
hoga woh jab itne varshon ki Ghulaami ke baad lehraaya hogaa aazaadi
ka parcham, hamaara pyaara tirangaa. tab reh rehkar amar shaheedon
ki yaad aa rahi hogi aur yaad aa raha hogaa unka sankalp aur unke
aaKhri alfaaz...

---------------------------------------------------------
Song: kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)
---------------------------------------------------------

aaj agar ham swatantrata divas manaa rahe hain to sirf un veer
sapooton ki badaulat jinhone apna sabkuchh desh ko aazaad karwaane
ke liye qurbaan kar diya. ham sab bhaaratvaasiyon ka yeh farz banta
hai ki ham dharm, jaatpaat, sabkuchh bhulaakar, apne is desh ko
aasmaan ki bulandiyon tak le jaayen, ek nayi kahaani likhen. yahi un
shaheedon ke prati hamaari sachchi shraddhaanjali hogi!

-------------------------------------------
Song: chhoDo kal ki baaten (Hum Hindustani)
-------------------------------------------

aur ab chalte chalte Akashvani Chandigarh ki or se ek baar phir aap
sab ko swatantrata divas ki bahut bahut badhaai, ab aaj ka yeh
kaaryakram samaapt karne ki Ramesh Kapoor ko ijaazat deejiye, Jai
Hind!

THE END




Sun Aug 17, 2008 1:10 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #2002 of 2464 |
Expand Messages Author Sort by Date

SHAHEED TUMHE SALAAM ... A SPECIAL PROG BY AIR CHANDIGARH ON INDEPENDENCE DAY (15/08/2008) ... Presented By: RAMESH KAPOOR ... Shaheed tumhe salaam, kaaryakram...
soojoi_india
Offline Send Email
Aug 17, 2008
1:10 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help