Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can search the group for older messages.

Messages

  Messages Help
Advanced
Ameen Sayani's SKSKM - Lata Mangeshkar (Controversial) - Part 2   Message List  
Reply | Forward Message #2118 of 2458 |
SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL

AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON LATA MANGESHKAR (CONTROVERSIAL)
-----------------------------------------------------------
***********************************************************

PART 2

LM: Lata Mangeshkar
OP: O P Nayyar
AS: Ameen Sayani

shukar hai, shukar hai bahenon aur bhaaiyon, ki Sangeet Ke Sitaron Ki
Mehfil ke pichhle 'programme' se to aapka 'radio' dost Ameen Sayani
sahee salaamat nikal aaya kyunki usmein maine suron ki mahaaraani
Lata Mangeshkar se aise mushkil, 'controversial' sawaal poochhe the
ki mujhe lag raha tha ki meri jaan Khatre mein paD jaayegi. aur
bahenon aur bhaaiyon, kai saare gaDbaD sawaal aur bhi hain mere paas
Khaaskar Lataji ke liye jo main kaafi himmat karke aaj unse
poochhnewaala hoon.

----------------------------------------------
Song: duniya kare sawaal to ham kya jawaab den
----------------------------------------------

doston, mujhe bhi Lata Mangeshkar ke gaane sunne ka shauk hai, isliye
main 'situation' dekhke unka yeh 'hit' gaana bajaa diya yahaan, magar
asleeyat to yeh hai ki pichhle 'programme' ke mushkil sawaalon ke
baDe hi Khoobsoorat jawaab deeye the Lataji ne, Dada, yaani S D
Burman, Mohd Rafi aur unki apni bahen Asha Bhosle se unki an-ban ke
baare mein, aur unki paidaaish, unki bhaashaaon vagerah ke baare
mein. Khair saahab, main baDhta hoon aage, aur ab ki baar bhi Darte
Darte (laughs) Lataji ke saamne aaj ke sawaalon ka 'qouta' rakhne ke
liye. achchha doston, yaad hai na aapko, pichhle 'programme' mein
Lataji ne na sirf unki Mohd Rafi ke saath huyi kashmakash ke baare
mein bataaya tha balki baDi taarif bhi kar dee thi unhone Rafi saahab
ki saadgee aur sharaafat ki. to Rafi saahab ka hi zikr karke main aj
baat aage baDhaanewaala hoon.

AS: achchha Lataji, Rafi saahab to jaisa aapne kahaa baDe seedhe
aadmi the, bahut saaf dil ke the, ek saahab aise bhi the jo Khud bhi,
matlab, thoDe 'controversial' the (laughs), zaraa thoDe se garam
mizaaj ke aur kaafi dhoom dhaDaakedaar tha, aur aake shaayad 'so-
called' dushmanon mein unka bhi shaayad naam aata hai...

LM: o baap re (laughs)

AS: O P Nayyar. dekhiye main aapko ek baat bataata hoon, O P Nayyar
jab hamaare yahaan aaye the, 'studio' mein 'recording' ke
liye, 'interview' bahut achchha diya tha. to maine unko poochha tha
ki Lata Mangeshkar se gaane kyun naheen gawaate the to unhone kya
jawaab diya tha zaraa suniye:

******************
OP: mere dost the K K Kapoor, K K saahab ne kahaa ki, B R Chopra
saahab ko mere saamne biThaaya, bolaa ki inki tasveer karni hai.
maine bola ki pehle to yeh 'condition' hai ki main Lata Mangeshkar
naheen letaa.

AS: achchha Nayyar saahab, yeh naheen samajh mein aayi baat ki aap ne
aisa kyun kahaa! Lataji se kya koi iKhtilaak tha, koi jhagDaa ho gaya
tha, kya huya tha?

OP: Ameen saahab, Khuda gawaah hai, 78 ki meri 'age' hai, mujhe marte
waqt jaan deni hai, to main aapko bataayun ki koi unse jhagDaa naheen
hai, na maine unse 'approach' kiya.

AS: to Lataji ko na lene ki wajah kya bataayi aapne B R Chopra saahab
ko, yeh bhi to bataaiye Nayyar saahab?

OP: to bole Chopra saahab ki 'main aapka aur Lataji ka sulah karwa
deta hoon'. unhone Lata ke baGair kabhi kaam hi naheen kiya. to maine
kahaa ki koi jhagDaa naheen hai, koi aisi baat naheen hai. unki
aawaaz meri 'music' ko 'suit' naheen karti. mujhe chaahiye 'seductive
voice', jiski 'voice' mein 'weight' ho, to woh mujhe Geeta Dutt,
Shamshad begum aur Asha Bhosle mein milaa.
*********************

AS: aur na sirf yeh Lataji, usi 'interview' mein Nayyar saahab ne yeh
bhi kahaa tha aapke baare mein, yeh bhi suniye:

*********************
OP: Asha Bhosle baDi achchhi gaayika hai, lekin 'number-1' gaayika
Lata Mangeshkar hi rahegi, aur 'number-2' Asha Bhosle hi rahegi.
*********************

AS: aur na sirf itna Lataji, balki us 'interview' mein unki pasand ka
aapka ek geet bhi bajaa tha lekin unke sangeet mein naheen aaya,
lekin unke 'programme' mein zaroor aaya tha, yeh tha woh geet:

---------------------------------------------------
Song: jiya beqaraar hai chhaayi bahaar hai (Barsat)
---------------------------------------------------

AS: to Lataji, aapne sun liya ki O P Nayyar ka aapke baare mein kya
Khayaal hai aur aap ne woh gaana bhi sun liya, aapka apna gaana jo O
P Nayyar ne apne 'programme' mein bajaaya tha. to kya aap O P Nayyar
ek baare mein kehna chaahengi?

LM: jee, main zaroor kehna chaahoongi kyunki mera aur Nayyar saahab
ka koi jhagDaa to tha hi naheen, na mere dil mein unke liye aisa tha
ki 'bhai yeh bahut bura aadmi hai', aur na kuchh unke dil mein. itna
main jaanti hoon ki woh jab pehli baar aaye aur woh shaayad Pancholi
ki koi film kar rahe the, tab mujhe unhone bulaaya tha, aur ek gaana
unhone mere liye nikaala tha. par kya huya us waqt ki main, us waqt
mujhe 'cynus' ki bahut zyaada takleef thi aur woh gaana 'record'
naheen huya. woh gaana 'record' na hone ke baad, ab yeh main soch
rahi hoon, ho sakta hai ki aisa naheen ho, mujhe aisa lagta hai ki
shaayad unhone phir socha ho ki 'naheen, Lata se naheen lenge'. aur
yeh baat unhone bilkul sach kahee hai ki jo unka 'style' tha woh
shaayad mere gale se achchha naheen lagta. aaj bhi mujhe aisa mehsoos
hota hai. par woh mere hisaab se bahut achchhe 'music director' the
aur bahut hi achchha unhone 'music' diya. aur jo 'music' us waqt chal
raha tha, usse haTke unhone apna ek 'style' us waqt shuru kiya tha,
jaise ki Master Ghulam Haider...

AS: C Ramchandra. to Anna sahab, yaani ki C Ramchandra se kya baat ho
gayi, kaisi an-ban ho gayi, kyun ho gayi, aur na hoti to kitna
achchha hota.

LM: (laughs) naheen, agar aap aise sochen to mera dushman koi naheen
hai, na hi main kisi ki dushman hoon. par itne saare 'music
directors' ke saath jab ham kaam karte hain, itne log milte hain roz,
to kahin na kahin chhoTi moTi baat ho jaati hai. unke saath kya huya
tha ki ek 'recordist' the jo mere peeTh peechhe kuchh baat karte the,
mujhe maaloom huya tha aur woh jisne mujhe bataaya tha woh aadmi
mujhe bahut zyaada pyaar karta tha, kehta tha 'main sun naheen sakta
hoon Lataji woh aapke baare mein baat aisi karte hain'. aur
meri 'recording' thi C Ramchandra ki jo usi 'studio' mein thi. maine
Anna ko kahaa ki 'Anna, main is 'recordist' ke paas 'recording'
naheen karoongi kyunki yeh mere liye bahut kharaab baat karta hai,
jab main gaayungi mera man naheen lagega yahaan aur main jab gaati
hoon mere dimaag ko achchha lagna chaahiye, sukoon milna chaahiye ki
bhai jo gaana main gaa rahi hoon, achchha lag raha hai, tabhi gaana
achchha ban sakta hai'. unko pataa naheen kya huya, unhone kahaa
ki 'Lata, tum agar naheen gaayogi to main apne dost ko naheen chhoD
sakta hoon, main tumhaari jagah kisi aur ko laayunga'.

AS: arey!

LM: maine kahaa 'bilkul, aap laa sakte hain, kisi ko bhi le aaiye'.
aur maine woh kaam chhoDaa, par mera unka jhagDa aisa naheen huya.
maine woh gaana, matlab 'rehearsal' kiya huya, main chhoDke chali
gayi aur unhone phir kisi aur se woh gaana liya, aur woh Marathi
gaana tha, Marathi 'picture' ka tha. to woh gaana hone ke baad, us
samay unke paas kaam bhi bahut kam tha, aur phir baad mein meri unki
baat naheen huyi, mulaaqaat naheen huyi, kuchh naheen. aur phir agar
unka mera itna jhagDaa hota to phir woh phir mere paas dobaara
aaye "aye mere watan ke logon" ke liye.

AS: haaaaan bilkul bilkul bilkul

LM: to jhagDaa to tha hi naheen. aur "aye mere watan ke logon" ke
liye woh mere ghar mein aaye bulaane ke liye, woh aur Pradeep-ji,
dono ne aakar kahaa ki 'yeh gaana tumko gaana hi paDegaa'. maine
kahaa 'main gaayungi naheen, meri tabeeyat achchhi naheen, mujhe aap
yeh mat keejiye, main 'rehearsal' karoongi, Delhi jaayungi'. maine
kahaa 'Delhi jaana bhi mujhe itna pasand naheen is waqt'. par us
gaane ke liye Pradeep-ji ne bahut zor lagaaya. Pradeep-ji ne kahaa
ki 'Lata, agar tum yeh gaana naheen gaayogi to phir main yeh gaana
doonga hi naheen'. to unka dil naheen toD sakee main. maine
kahaa 'achchhi baat ha, main gaati hoon aur unke ghar jaakar
maine 'rehearsal' vagerah keeye aur maine woh gaana gaaya.

AS: aur kya gaana banaa

LM: bahut achchha gaana tha

AS: waah waah waah. aur Lataji, woh gaana itni baar bajaa hai aur
baar baar bajta hi rehta hai...

LM: haan haan

AS: koi aisa mauka aata hai, jaise 15 August

LM: jee haan

AS: ya koi raashTriya din, to bajta hi hai, to par main pesh karoonga
kuchh jhalaken, kuchh aise amar geeton ki, jinki dhun C Ramchandra ne
banaayi thi aur jinhe aap ne gaaya tha Lataji, us zamaane mein jab
aapka Anna Sahab se jhagDaa naheen huya tha.

-------------------------------------------
Clip: mujhpe ilzaam-e-bewafaai hai (Yasmin)
Clip: dil ki duniya basaake saanvariya (
Clip: main jaagoon saari rain sajan tum so jaayo (
Clip: mehfil mein jal uThi shamaa (Nirala)
Clip: yeh zindagi usi ki hai (Anarkali)
Clip: tum kya jaano tumhaari yaad mein (Shin Shinaki Bablaboo)
-----------------------------------------

AS: aur aaKhir mein Lataji ek sharaarti 'duet' C Ramchandra ke saath
gaaya huya...

--------------------------------------
Song: shaam Dhale khiDki tale (Albela)
--------------------------------------

AS: Lataji ab main aapko yaad dilaata hoon, meri ek mulaaqaat aap se
huyi thi bahut arsaa pehle, yeh 'studio' mein naheen huyi
thi, 'recording' naheen ho rahi thi, aise hi kabhi kabhi main aa
jaaya karta tha aapke ghar, to ek baar maine aap se poochha tha
Lataji ki ek zamaana woh tha jab Geeta Dutt ka dehaant ho chuka tha,
aur Shamshad ne bhi kareeb kareeb gaana band kar diya tha, aur
Noorjehan aur Suraiyya ka daur to usse pehle hi Khatam ho gaya tha,
to sawaal yeh tha, pataa naheen dekhiye aapko yaad hai yaa naheen,
dekhiye hamaare bhaarat mein to jeevan ka har moD aur har sanskaar
sangeet se juDaa huya hai...

LM: jee haan

AS: phir aisa kyun hai ki 'playback' gaayikaaon mein 'number-1' par
Lata Mangeshkar hain aur 'number-2' par Asha Bhosle hain, aur uske
baad kai 'number' Khaali jaane ke baad auron ke 'number' aate hain.
to aap bataayengi ki aap ne is sawaal ka jawaab tab kya diya tha aur
aaj kya dengee? yaad hai aapko kya diya tha?

LM: jee naheen

AS: achchha main bataata hoon aapko. aap ne yeh kahaa tha ki 'dekho,
maine jab gaana shuru kiya tha to mujhe kamaaee karni thi, baDi
mehnat se main jaati thi, kai baar chappal phaTe huye hote the, kai
baar chhatri phaTi huyi hoti thi, 'studios' ke baahar ghanTon khaDee
rehti thi, aur aise jatan se, mehnat se,....



*************** SOME PART MISSING*******************




-----------------------------------------------------
Song: mere laaDlon tum phoolo phalo (Sant Gyaneshwar)
-----------------------------------------------------

AS: ab aaKhir mein ek sawaal aisa hai Lataji, jisse aap bach naheen
paayengi

LM: achchha (laughs)

AS: aapki ek baDi zabardast zyaadtee ke baare mein hai

LM: arey baap re!

AS: jo aapko naheen karni chaahiye thi

LM: 'oh my God!'

AS: dekhiye woh baat yeh hai ki apni sangeet aur apni lagan aur apni
jatan ke bal par jis gaayika ne Bharat Ratna ki padvi paayi ho,
Lataji, uska to yeh kartavya ho jaata hai ki woh har haal mein woh
apni tanduroosti ka aur Khaas taur par apne gale ka Khayaal rakhe.
lekin aap ne hamesha apne sehat ke saath zyaadtee kee, itne
saare 'stage shows' le leeye, yaani Bhaarat mein bhi, baahar bhi,
jahaan dekho Lataji gaa rahi hain, aur 'strain' ho raha hai. itna
aapne 'strain' kar liya ki gala hi naheen shareer par 'strain' aa
gaya aur iske alaawaa na aapne 'ice cream' se parhez kiya na chaTni
achaaron se (Lata laughs), jinse kehte hain ki gala aur bhi Kharaab
ho jaata hai. to Lataji, aapki aawaaz ab sirf aaki to hai naheen,
balki desh bhar ki poonji hai, isliye main aap se poochhna chaahta
hoon ki kyun aap ne apne sangeet ke saath, apne shareer ke saath,
apne gale ke saath is tarah zyaadtee kee?

LM: naheen Ameen bhaai, yeh aap Galat keh rahe hain, maine koi
zyaadtee naheen kee, yeh to 'film industry' mein aane se pehle
hi 'ice cream' khaana, chaTni khaana, achaar khaana, yeh to mera tha
hi, mirch main bahut khaati thi, ab main khaati naheen hoon zyaada,
par usse gale ko kuchh naheen hota hai. gala bhagwaan deta hai aur
aise hote hain gale, aur jo bahut zyaada sambhaalte hain, unko to
aisa hota hai ki thoDi si dhool andar gayi yaa dhuyaan andar gaya to
gale baiTh jaate hain. aisa kabhi mera huya naheen bhagwaan ki daya
se, aur aise maine zyaadtee naheen kee. jahaan tak 'program'-on ka
sawaal hai, abhi maine '74 mein 'program' kiya tha London mein, jo
pehla mera bhaarat ke baahar 'program' tha, uske baad maine 5/6 saal
baad 'program' kiya. main zyaada 'shows' karti naheen hoon aur agar
baahar gayi bhi hoon, to itne saalon mein, mera Khayaal hai 100 ya
110 'shows' huye honge. sab jagah. Hindustaan ko ginke. beech mein
maine 'shows' thoDe zyaada keeye jaise Bombay mein 2/3 'shows' keeye,
us samay mere pitaaji ki 'centenary' thi, to ek 'show' uske liye kiya
tha, ek 'show' Raj Thackerey ki ek sanstha hai uske liye kiya tha,
aur baaki main 'shows' zyaada isliye naheen karti hoon kyunki, aapko
pataa hai, 'stage' pe jaana mujhe itna pasand bhi naheen hai, aur woh
sab jo ek vaataavaraN hota hai, us sab ke saath main, matlab, mil
naheen paati hoon. par ap yeh sab mere upar bilkul Galat ilzaam laga
rahe hain (laughs)

AS: (laughs) achchha to yeh phir achchhi baat hai ki aap ne zyaadtee
naheen kee apne gale ke saath, apni sehat ke saath, isiliye aapne
Pune mein ek zabardast 'hospital' kholee hai (Lata laughs loudly)
apne pitaaji ke naam se.

LM: naheen naheen naheen, 'hospital' hamne isliye khulwaaya tha
kyunki mere pitaaji ki 'death' Poona mein huyi thi, aur Poona mein us
samay, '42 ki baat hai, mere pitaaji ko jaise 'medical aid' milna
chaahiye tha milaa naheen

AS: woh kyun?

LM: naheen, bas haalaat aise the, aur woh zamaana aisa tha ki '42
mein jab dange fasaad sab chalta tha, aur mere pitaaji ke saath
baDaa, matlab, yeh huya tha ki ham sab kuchh naheen kar sake aur mere
pitaaji ki 'death' huyi. to mere maa ke man mein bahut tha ki kabhi
agar ho sakaa to tum log pitaaji ke naam ka 'hospital' zaroor
kholnaa. haalaanki maa bhi naheen rahi, ismein sabse zyaada jisne
kaam kiya woh Hridaynath ne kiya. Hridaynath, Usha, yeh log chhoTe
chhoTe 'shows' karke, matlab, baDaa 'shows' kaise ho sakta tha,
Hridaynath jaake akela gaa raha hai, aur usse jo paise aate the,
laakh do laakh aise, aise kar karke unhone paisa ikaTTha kiya, phir
hamaara ek Dinanath PratishThaan shuru kiya, usse 'awards' shuru
keeye, phir usse aage jaake, jab Pawar saahab yahaan ke 'Chief
Minister' the, to phir unse jagah hamne lee aur yeh 'hospital' hamne
banaane ki koshish kee aur abhi bhagwaan ki daya se kaafi achchha ho
gaya.

AS: main gaya hoon wahaan aur bahut achchhi jagah hai

LM: mujhe bataaya aur woh aapki bahut taareef kar rahe the aur mujhe
bataa rahe the ki Ameen bhaai ko phir le aana. maine kahaa ki 'zaroor
le aayenge lekin 'patient' banaakar naheen' (laughs)

AS: waise Lataji mujhe yakeen hai ki main agar 'patient' bankar bhi
jaayunga na to bhi aapke 'hospital' ki fazaayen mera swaagat poore
bahaar se karengi kuchh is tarah!

--------------------------------------------------------
Song: agar mujhse mohabbat hai mujhe sab apne Gham de do
--------------------------------------------------------

LM: Ameen bhaai, aap to kitno ke 'interviews' kar chuke hain, mera
Khayaal hai 'industry' ka koi aadmi bacha naheen hogaa, aur aap
sawaal karte hain aur ham log jawaab dete hain, aaj main aap se ek
sawaal karna chaahoongi.

AS: mujhse sawaal aap karengi?

LM: (laughs)

AS: arey main to pehle se hi 'nervous' ho raha tha, aur bhi 'nervous'
ho jaayunga

LM: naheen, naheen, main yeh poochhna chaahti hoon ki aap ne itne
logon ka 'interview' kiya hai, jab aap sawaal poochhte hain to aap ko
kya mehsoos hota hai, kaisa lagta hai aapko ki ek 'artiste' ke saath,
yaa ek 'hero' ke saath baat kar arhe hain, 'music director' ke saath,
aur kya 'feel' karte hain aap?

AS: main hamesha koshish karta hoon, ek to main sangeet ka baDaa
saadhak hoon, aur bahut seekha bhi hai, bachpan mein bahut seekha,
gaa naheen paaya main, 'classical' bhi seekha tha

LM: achchha?

AS: lekin main gaa naheen paaya kyunki jab meri aawaaz phaTee to main
bilkul 'out' ho gaya. jab main gaana shuru karta to log kehte 'arey
phaTe Dhol band karo!'

LM: par Ameen bhaai, agar us samay aap riyaaz karte to aapki aawaaz
Theek ho jaati, kyunki har laDke ke saath yeh hota hai ki 14/15 saal
ke hone ke baad aawaaz phaT-tee hai, aur us waqt agar riyaaz kare
aadmi to Theek ho sakta hai

AS: par us waqt to hamein Lata didi mili naheen salaah dene ke liye
(Lata laughs), to ham jab bhi shuru karte the to yeh mushkil ho jaati
thi. aur phir main hamesha yeh koshish karta tha ki kyunki mujhe unka
sangeet pasand tha, main dekhta tha ki kya unmein Khoobsoorat cheezen
hain, woh saamne laayi jaaye. aur main ek baat zaroor kahoonga,
haalaanki is 'programme' mein log mujhse zyaada Lataji ko sunna
chaahenge, ki Lataji aap jaise hi log jinse mera sampark huya, jinko
maine sunaa, jinhone mujhe prerNaa dee, aise hi mahaan logon ko
muKhaatib karte huye maine jeevan mein mekmaatra sher kahaa hai.

LM: jee

AS: to woh sher arz yun hai Lataji

LM: irshaad

AS: ki kaam baraabar baanTaa jaaye

LM & AS: kaam baraabar baanTaa jaaye

AS: aap pakaao bandaa khaaye (Lata laughs loudly)

LM: kyunki mere kuchh pehchaan ke log hain, woh aapke 'programme' ki
itni taareef karte hain, kal hi mujhe kisi ka 'phone' tha, ki 'ham
haath joDte hain, aapke paas agar unke 'programme' ki CD aayi ho to
hamein bhej deejiye' (AS laughs), aur woh 'request' kar rahe the
ki 'aap Ameen bhaai ko kahiye ki woh jo 'programme' karte hain uski
CD banaake, 'tape' banaake 'market' mein Daalen'. maine kahaa main
unse zaroor baat karoongi (laughs). aapke bahut 'fan' hain yeh aap
mat bhooliyegaa.

AS: main to 'side' mein hoon, 'fans' to aap jaise...

LM: lekin aap sab logon ko laake jis tarah se pesh karte hain na, woh
bhi to ek Khoobee hai.

AS: bahut dhanyavaad aapka, bahut dhanyavaad Lataji, aur bahut
achchha lagaa jo aap aaj aayeen aur aaj jo na jaane kitne log sun
rahe honge, woh keh rahe honge ki 'achchha huya ki Ameen bhaai ne yeh
yeh sawaal poochhe Lataji se taaki jo Galatfehmiyaan theen...

LM: jee haan, woh door ho gayeen. bahut bahut shukriyaa.

--------------------------------------------------------------
Song: achchha to ham chalte hain (From Lata-Kishore Live Show)
--------------------------------------------------------------

AS: to bahenon aur bhaaiyon, Lata Mangeshkar se mere poochhe huye
zaraa mushkil se sawaalon ke do 'programme' ho gaye Khatam, yeh sab
sawaal Khaas Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke liye Lataji se poochhe
gaye the. waise unke puraane 'interviews' ka ek Khazaana bharaa huya
hai meri 'library' mein, jise maine Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke
kai 'programme'-on mein bikheraa hai, aap to sunte hi rahe hain aur
Lataji ki 'record' kee huyi kuchh nayi baaten bhi hain mere paas, jo
aanewaale 'programme'-on mein pesh hongi. matlab yeh huya bahenon aur
bhaaiyon ki guzre huye kal se aaj tak, aur aaj se aanewaale poore
zamaane tak Lata Mangeshkar ki madhur aawaaz aur sureelee soch
hamaare jeevan ko sanvaarti rahi hai aur sanvaarti rahegi, hamein har
moD par apne paas bulaati rahegi.

--------------------------------------------
Song: mere paas aayo nazar to milaao (
--------------------------------------------

ab apne 'radio' dost Ameen Sayani ko aagya deejiye aur zaraa sochiye
baheno aur bhaaiyon ki kaise kaise sureele hangaame aapka intezaar
kar rahi hai aanewaali Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfilon mein. achchha
to sabko namaskaar aur sabko salaam!

THE END




Fri Jan 9, 2009 1:03 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #2118 of 2458 |
Expand Messages Author Sort by Date

SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON LATA MANGESHKAR (CONTROVERSIAL) ... *********************************************************** PART...
soojoi_india
Offline Send Email
Jan 9, 2009
1:04 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help