pyaare fauji bhaaiyon ko, aur sunnewaalon ko Shankar ka namashkaar.
main sangeetkaar hoon aur mera kaam hai sangeet banaana. main aur
Jaikishan, ham sangeet ke baare mein jaante hain, duniya ke baare
mein to naheen jaante hain, aur yeh sangeet ke zariye hi jo bhi bolna
hai woh aapke saamne rakhte hain. aur sangeet ki zubaan hi aapko
sunaate hain.
Song: honThon pe sachchaai rehti hai (Jis Desh Mein Ganga Behti Hai)
yeh aap logon ko maaloom hai, yeh Raj Kapoor saahab ke film ka gaana
hai. aap jaante hain ki gaana ek 'situation' par banta hai. aur
woh 'situation' ka gaana ek insaan ki zindagi se bhi taallukh rakhta
hai aur film ke 'situation' ke saath bhi. to yeh zaroori hai ki gaana
jo hai woh sabko pasand aaye, aur sabko samajh mein aaye, usi ko
gaana kehte hain. gaana Khaas taur par, gaane ka matlab yeh hona
chaahiye ki agar woh film ke 'situation' ke hisaab se bhi hai Theek,
to insaan ki zindagi ko bhi lag jaata hai. to ab yeh gaana aap jaante
hain ki desh bhakti ka gaana hai, jo hamaare desh mein hazaaron log
sunte hain, aur kitni bhaashaaen hain, aur har koi apni apni bhaasha
bolta hai, lekin is gaane ka matlab yahi hai ki ham ek hain, aur ham
Hindustani log kahin bhi rahen, kidhar bhi rahen, jahaan bhi rahen
lekin hamaara dil ek hai aur ek hokar chalna chaahiye, aur ek
rahenge. hamaari ektaa mein hamaara sangeet bhi hamaari madad karta
hai. aur jo sangeet sirf yaheen naheen saari duniya mein mashoor hai,
woh hai shaastriya sangeet. aur shaastriya sangeet ko log samajhte
hain bahut mushkil hai, yaa bahut kaThin hai. lekin aisa naheen hai.
woh to shaastriya sangeet to aisa hai ki jaisa banaayenge waisa banta
hai. kuchh logon ne bahut mushkil banaa diya isliye shaayad log
samajhte hain ki mushkil hai. mushkil ekdam naheen hai. ek gaana
hamne shaastriya sangeet par banaaya hai, woh ham aapko sunaana
chaahte hain.
Song: koi matwaala aaya mere dwaare (Love in Tokyo)
fauji bhaaiyon, aapko shaayad naheen maaloom hogaa yaa kisi 'paper'
mein paDhaa bhi hogaa mujhe kasrat ka bhi baDaa shauk tha. aur us
waqt main kasrat bhi karta tha, kushti bhi laDtaa tha. yeh mere
Khayaal se aapko Khushi hogi ki sangeetkaar pahelwaan bhi tha. lekin
us kushti ke saath saath maine chhoTepan se sangeet mein bhi baDi
mehnat kee hai, usmein bhi kushti kee hai maine. lekin sangeet ki
kushti aam kushti ki tarah naheen hoti hai. yeh to pyaar, mohabbat se
hoti hai. aur sangeet jo hai yeh haath aur taaqat se naheen chalti
hai. sangeet mein aap jitne pyaar se banaa sakte hain, jitna pyaar
aap de sakte hain, utna hi sangeet mein aanand aur mazaa aata hai. ab
ek gaana hamne baDe pyaar se aur baDe dil se hamne banaaya hai,
aawaaz hai Mohd Rafi saahab ki, aur film hai Basant Bahar.
Song: baDi der bhayi kab loge khabar more Raam (Basant Bahar)
filmi duniya mein hamesha se baDe baDe gaayak rahe hain, aur kuchh
chale gaye hain, aur aaj bhi baDe baDe gaayak hain. bhagwaan kare
hamesha rahen, aur naye bhi aate hain, naye naye logon ko bhi mauka
milta hai. aur ham to chaahte hain ki naye aane se unse nayi baaten
hamein bhi milti hain, nayaa kaam kar bhi sakte hain. jaise aapko
yaad hoga, kai saal pehle ham ek nayi gaayika ko laaye the. aur uska
naam hai Sharada. kai gaane uske 'popular' huye hain, aur aapko yaad
hai Sharada ka sabse pehla mashoor gaana kaun sa tha?
Song: titli uDee uD jo chalee (Suraj)
ek chhoTaa sa waaqya aapke saamne rakhta hoon. woh hai mere aziz jo
Jaikishan hain, unke baare mein kuchh baaten sunaata hoon. kya huya
ki jis waqt yeh gaana ham 'compose' karte the "mere dil kahin yun
chal", usmein baDaa mazaa aaya, to Jaikishan saahab apna baaja lekar
baiThe huye hain, keh rahe hain ki 'bhai, yeh kiska dil leke tu
chal?' maine bolaa ki 'aisi kaisi baaten kar raha hai? dil lekar to
aap hi leke jaate ho, ham to yaheen baiThe rehte hain, ab kahin
jaldibaazi mat karo kahin jaanewaane ki'. kehne lage ki 'naheen yaar
mujhe kahin jaana hai, main bahut thak gaya'. maine bola ki 'yeh
gaane ka jo kaam hai abhi tum poora 'complete' karo kyunki
hamaare 'producer' saahab, Amiya Chakraborty saahab sunne ke liye aa
rahe hain, aaj tum baiTho, usey Khatam karo, aur uske baad tum
jaana'. to kehne lage ki 'naheen yaar mera koi 'appointment' hai,
mujhe jaana zaroori hai'. to kahaa ki 'koi laDkee vaDkee hai kya?' to
bolne lagaa ki 'ismein poochhne ki kyaa zaroorat hai, yeh to samajhne
ki baat hai'. to is tareeke se ham logon ka kaam hota tha. to usmein
ek aur kya Khaas baat thi Jaikishan mein, woh rangeela raaja tha,
Khushmizaaj tha, hansta rehta tha, aur hamesha achchhe kapDe pahenna,
aur gaaDi mein baDe shaan se jaana, aur kaam ke waqt mein woh itna
sahee Dhang se kaam karta tha ki jiska koi jawaab naheen tha, lekin
is gaane mein jo usne jaadoo bhara aur jo kiya hai, jaise ham usko
lehri aur rangeela raaja kehte the, is gaane mein bhi "ae mere dil"
mein jo jaadoo bhar diya uska koi jawaab naheen hai.
Song: ae mere dil kahin aur chal (Daag)
filmi geeton mein sirf dhuno ka achchha hona, bolon ka achchha hona,
aawaaz ka ahchha hona kaafi naheen. iske alaawa 'orchestra' ki bhi
bahut zaroorat hoti hai. us 'orchestra' mein achchhe saaz, naye naye
Dhang ke saaz, aur unko istemaal karna aana bhi chaahiye aur main aur
Jaikishan, dono ko bahut shauk hai 'orchestra' ka, aur ham dono hi
sab saaz bajaate the, jaise jaikishan Accordion, Piano, Harmonium
bahut achchha bajaata tha, waise main bhi Tabla bahut Khoobsoorat
bajaata tha, aur uske alaawa Piano, Harmonium, Accordion, aur 'dance'
vagerah bhi ham jaante hain. in tamaam cheezon ki zaroorat paDti hai,
tamaam aise gaano mein, unki madad lekar gaano ko sajaate hain aur
gaano mein jo hai Khoobsoorti paida karte hain. ab main aisa ek gaana
sunaana chaahta hoon aapko jispar 'orchestra' mein hamne bahut mehnat
kee thi, aur woh 'orchestra' mein hamne kya kya bajaaya hai, kaun
kaun se 'instruments use' kee hain, woh ab main aapko naam bataata
hoon, jaise ek solobox hota hai, aur ek accordion hota hai, aur
ek 'synthesizer' hota hai, aur bhi bahut se 'instruments' hain jo
English mein aur doosra Saxophone hota hai, aur uske
baad 'drums', 'side drums', aur ponga, bonga, yeh tamaam cheezon ko
hamne usmein 'use' kiya, aur 'double base', aur do do 'double base'
ko 'use' kiya hai. aur bahut se chhoTe moTe 'instruments use' keeye
aur in tamaam cheezon se us gaane mein itni Khoobsoorti aayi hai, woh
gaana ab aapke saamne hai.
Song: aapki raay mere baare mein kya hai kahiye (Elaan)
abhi aapne baDe 'orchestra' ka mazaa liya. zaroori naheen ki har
gaane mein baDaa 'orchestra' ho. chhoTe 'orchestra' ka gaana bhi
mazaa aata hai. ab main aapko ek gaana sunaata hoon jismein Mr Robert
ne Piano bajaaya hai, usmein maine bhi unke saath Piano bajaaya hai,
aur woh gaane mein ek hi saaz hai jo sunne mein aata hai. aur us saaz
ka mazaa aapko zaroor aayega. to suniye woh gaana aur yaad keejiye
woh do dost jo hamse bichhaD gaye, Jaikishan aur Mukesh.
Song: dost dost na raha (Sangam)
fauji bhaaiyon, ab main ruKhsat chaahta hoon, ummeed hai zindagi ke
safar mein isi tarah milte rahenge. jaate hain Khudaa-haafiz bas itni
guzaarish hai, ham yaad jo aa jaayen milne ki dua karna.
Song: zindagi ek safar hai suhaana (Andaaz)
THE END