VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------
EPISODE 11: MINU PURUSHOTTAM
----------------------------
namaskaar doston! VBLC Sangeet Ke Sitaare kaaryakram ke liye main
aksar aise geetkaar, sangeetkaar aur gaayak gaayikaaon par jaankaari
ki talaash mein rehta hoon jo yaa to behad kamcharchit hain, jinmein
bahut zyaada pratibhaa hone ke baawjood bhi jinhe zyaada khyaati
naheen milee, yaa phir aise fankaar jo apne samay mein to kaafi
charchit huye the lekin waqt ke saath saath aaj unki yaaden dhundlee
ho gayi hain. aise fankaaron, aise sangeet sitaaron ki sureelee
yaadon ko ek baar phir se aap ke dil mein tar-o-taazaa karne ke
prayaas ka hi naam hai VBLC Sangeet Ke Sitaare. aaj is kaaryakram
mein ham kisi geetkaar ko shaamil kar rahe hain yaa sangeetkaar ko,
yaa phir kisi gaayak yaa gaayika ko, iska andaazaa aap lagaaiye is
gaane ko sunte huye.
----------------------------------------------------
Song: raat piya ke sang jaagi re sakhi (Prem Parbat)
----------------------------------------------------
doston, hamein pataa hai ki yeh geet aapne bahut zyaada naheen sunaa
hogaa, aur aajkal kahin par sunaaee naheen deta hoga yeh gaana. yeh
film Prem Parbat ka geet hai. is film ka Lataji ka gaaya "yeh dil aur
unki nigaahon ke saaye" to aap ne kai kai baar sunaa hogaa aur aaj
bhi 'radio' par bajte rehte hain. lekin yeh jo geet hamne aapko
sunwaaya yeh bahut hi kamcharchit geeton mein se ek hai. is geet ke
sangeetkaar the Jaidev, geetkaar Jan Nisar Akhtar, aur kya aap
andaazaa lagaa sakte hain ki is geet ko kis gaayika ne gaaya tha? jee
haan doston, isi gaayika ka zikr aaj VBLC Sangeet Ke Sitaare mein
hogi, aur yeh aawaaz hai Minu Purushottam ki.
---------------------------------------------
Song: peetal ki meri gaagree (Do Boond Paani)
---------------------------------------------
Muni Purushottam, Parveen Sultana aur sakhiyon ki aawaazon mein Do
Boond Paani film ka yeh geet sunkar jaise man kisi sudoor gaaon ki or
kheenchee chali jaati hai, aur hamaari aankhon ke saamne se jaise
panghaT se paani bharkar gaaon ki goriyaan gungun karti huyi guzar
jaati hain. doston, miTTi ki saundhee saundhee mahak thi is geet
mein. is desh ki miTTi ki Khushboo liye yeh geet dil ko ek ajeeb
sukoon pradaan karti hai. aur is geet mein shaamil aawaazon mein
jaise isi miTTi ka sureelaapan kooT kooT kar samaaya huyaa hai. lok
geet ke andaaz mein gaaya huya yeh geet Minu Purushottam aur Parveen
Sultana ke anooThe aawaazon ka parichay karaata hai. Kaifi Azmi ke
bol aur Jaidev ka sangeet tha is geet mein. aur ab Minu Purushottam
ke gaayiki ka ek aur misaal pesh hai film Tarzan Ki Mehbooba se.
---------------------------------------------------
Song: zindagi kitni haseen hai (Tarzan Ki Mehbooba)
---------------------------------------------------
Minu Purushottam ka janm 24 November 1944 ko Patiala mein ek krishak
parivaar mein huya. bachapan se hi sangeet mein dilchaspee hone ke
kaaraN unhone shaastriya sangeet ke taaleem haasil kee suprasiddha
shaastriya gaayak aur guru Pandit Laxman Prasad Jaipurwale se. Minu
Bambai aakar sangeet mein Vishaarad, yaani ki snaatak ki 'degree'
haasil kee. jahaan tak filmi duniya mein qadam rakhne ki baat hai, to
Minu Prushottam keval 16 varsh ki aayu mein hi is kshetra se juD gayi
theen. pehli baar unhone Mohd Rafi saahab ke saath ek yugal geet
gaaya tha film China Town mein jiske sangeekaar the Ravi aur geetkaar
the Majrooh Sultanpuri. yeh film aayi thi san 1962 mein aur woh yugal
geet tha yeh...
---------------------------------------------------
Song: dekho jee ek baala jogi matwaala (China Town)
---------------------------------------------------
doston, isse pehle ki ham aur sangeetkaaron ke liye Minu ke gaaye
geeton ka zikr karen, aaiye kyun na sangeetkaar Ravi aur gaayika Minu
Purushottam ki joDee ke kuchh naGhmon ki jhalkiyaan sunte chalen
yahaan par. yeh hai film Amanat ka naGhmaa...
------------------------------------------------------
Clip: har ek dil mein koi amaanat hai amaanat (Amanat)
------------------------------------------------------
film Mehmaan...
----------------------------------------------------
Clip: khule gagan ke neeche panchhi jhoome (Mehmaan)
----------------------------------------------------
doston, in dono geeton ke sangeetkaar the Ravi aur geetkaar the Sahir
Ludhianvi. Sahir Ludhianvi aur sangeetkaar Roshan ne Minu Purushottam
ki pratibhaa ko na keval saraaha balki apni mahatwaakaanshi film Taj
Mahal mein unse gaane bhi gawaaye. jee haan, Suman Kalyanpur ke saath
milkar Minu Purushottam ne film Taj Mahal ka yeh geet gaaya tha. yeh
film China Town ke agle hi saal, yaani ki 1963 mein aayi thi.
-----------------------------------------------------------
Song: na haath na lagaana tose baar baar kahoon (Taj Mahal)
-----------------------------------------------------------
Minu Purushottam ne film sangeet mein ho sakta hai ki bahut zyaada
naam na kamaaya ho, lekin Gair filmi rachnaaon aur Khaaskaar GHazal
gaayikee mein apna ek alag hi muqaam, ek alag hi darjaa haasil kiya
tha. film sangeet mein sangeetkaar Madan Mohan ko 'King of Ghazals'
kahaa jaata hai. unhi ki chhatrachhaaya mein Minu ne Ghazal gaayiki
ke kai aayaam seekhe. san 1964 mein film Ghazal mein Madan Mohan ka
mashoor sangeet tha, is film mein Lata Mangeshkar aur Minu
Purushottam ka gaaya ek baDaa hi Khoobsoorat naGhma tha, "unse nazren
mili aur hijaab aa gaya", lekin jo 'gramophone record release' huya
usmein is gaane mein aawaazen theen Lata Mangeshkar aur Suman
Kalyanpur ki. Khair, aage chalkar 197x mein Madan Mohan ki ek aur
mashoor film Heer Ranjha mein Minu Purushottam ne apni aawaaz ke
jalwe bikhere.
--------------------------------------------
Clip: tu mera raanjha main teri heer (Kasam)
--------------------------------------------
is samay aap ne 'tune' kiya hai VBLC Sangeet Ke Sitaare aur is
shringkhalaa ke antargat aaj aap sun rahe hain anokhi gaayika Minu
Purushottam ke gaaye huye gaane.
-------------------------------------------------------------
Clip: baanke sipahiya ji sunlo arjiya hamaar (Biwi Kiraye Ki)
-------------------------------------------------------------
Ravi, Roshan aur Madan Mohan ke baad ek aur diggaj sangeetkaar
jinhone 60 ke dashak mein Minu Purushottam ki aawaaz ko sammaan diya,
woh the hamaare O P Nayyar saahab. Aziz Kashmiri ke likhe aur Nayyar
saahab ke swarbaddha keeye 1965 ki film Yeh Raat Phir Na Aayegi ke is
geet mein Asha Bhosle aur Minu Purushottam ki aawaazon ne sunnewaalon
ke dilon par woh jaadoo keeye ki jiska asar aaj tak qaayam hai.
------------------------------------------
Song: huzoor-e-waala jo ho ijaazat (YRPNA)
------------------------------------------
Minu Purushottam ki aawaaz is miTTi ki aawaaz hai. unke gaaye huye
har ek geet se isi miTTi ki Khushboo aati hai, aur yahi wajah hai ki
unki aawaaz mein itna apnaapan mehsoos hotaa hai ki har ek geet dil
ko chhoo jaata hai. unki gaayikee ki isi Khoobi ko har sangeetkaar ne
ubhaaraa aur nikhaara hai apne apne andaaz mein, phir chaahe woh
Madan Mohan hon yaa O P Nayyar, Jaidev ho yaa Laxmikant Pyarelal. jee
haan doston, ab ham aapko sunwaa rahe hain shaayad Minu Purushottam
ka gaaya sabse 'hit' filmi geet. Laxmikant Pyarelal ke sangeet mein
Lata Mangeshkar ke saath gaaya unka yeh thiraktaa huya nGhmaa Yash
Chopra ke 'banner' Yash Raj Films ki pehli nirmit film Daag ka hai jo
aayi thi san 1970 mein.
------------------------------------
Song: ni main yaar manaana ni (Daag)
------------------------------------
sangeetkaar Jaidev ka sangeet bhi shaastriyataa aur lok sangeet ke
rangon mein rangaa huya hota tha. aise mein Minu Purushottam ki
aawaaz unke lok dhuno mein Dhale geeton mein jaan Daal dene mein koi
kasar baaki naheen rakhti thi. film Prem Parbat aur Do Boond Paani ke
geeton ko to aap sun hi chuke hain. Jaidev ke sangeet mein Kaifi Azmi
ka kalaam ab aap ki nazr karne jaa rahe hain 1976 ki film Faasla ka
naGhmaa Minu Purushottam aur Bhupinder ki aawaazon mein. is film ka
nirmaaN evam nirdeshan kiya tha Khwaja Ahmed Abbas ne.
-----------------------------------------------------
Song: nigaahen churaao na daaman chhuDaao na (Faasla)
-----------------------------------------------------
doston, ab tak aap ne is kaaryakram mein Minu Purushottam ke gaaye
kuchh aise gaane sune jin geeton ko baDe hi naamcheen sangeetkaaron
ne swarbaddha keeye the. aur ab kuch aise geeton ki bhi jhalkiyaan
pesh hain jinhe Minu Purushottam ne kuchh kamcharchit sangeetkaaron
ke liye gaaya tha. doston, VBLC Sangeet Ke Sitaare mein ham aise hi
kamcharchit kalaakaaron ko shaamil karte hain. ho sakta hai ki in
sangeetkaaron ka zikr hamaare aanewaale kisi kaaryakram mein vistaar
se ho. lekin yahaan par sunte inke ek ek geet ki jhalak Minu ki
aawaaz mein. yeh hain sangeetkaar C Arjun, film Love in Kashmir...
--------------------------------------------------------------
Clip: aayi phir ek shaam dilbar tumhare naam (Love in Kashmir)
--------------------------------------------------------------
sangeetkaar Hari Arjun, film Hum Bhi Kuchh Kam Nahin...
---------------------------------------------------------
Clip: haal par yeh gham kya hai (Hum Bhi Kuchh Kam Nahin)
---------------------------------------------------------
film Nagin Aur Sapera, sangeetkaar Harbans...
----------------------------------------
Clip: jaane na doongi (Nagin Aur Sapera)
----------------------------------------
sangeetkaar Suresh Talwar ke liye film Char Chakram ka gaana...
-----------------------------------------------------
Clip: o bhole bhaale jawaab nahin tera (Char Chakram)
-----------------------------------------------------
sangeetkaar Iqbal Qureshi aur geetkaar Farooq Qaiser, film Pahadi
Nagin...
---------------------------------------------------
Clip: tere teeron se dil hua ghaayal (Pahadi Nagin)
---------------------------------------------------
Duniya Hai Dilwalon Ki, is film mein sangeet diya tha Jimmy ne...
--------------------------------------------------
Clip: wayi wayi sarmastam (Duniya Hai Dilwalon Ki)
--------------------------------------------------
sangeetkaar Sonik Omi aur geetkaar M G Hashmat ke liye Minu
Purushottam ne film Ranga Khush mein gaane gaaye the...
-------------------------------------------------------
Clip: chheDega mujhko to kaaToongi tujhko (Ranga Khush)
-------------------------------------------------------
doston, sangeetkaar Pyarelal ke bhaai Ganesh aur Shankar Jaikishan ke
Shankar ne ek saath milkar kuchh filmon mein sangeet diya tha. aisi
hi ek film thi Yeh Chor Yeh Lutere, jismein Minu Purushottam ne yeh
geet gaaya tha...
---------------------------------------------------------
Clip: dil keeye gum aankh bachaa ke (Yeh Chor Yeh Lutere)
---------------------------------------------------------
Minu Purushottam 'stage' par behad sakreeya rahi hain. desh aur
videsh mein baraabar unhone 'shows' deeye hain naami gaayakon ke
saath, jinmein shaamil hain Mohd Rafi, Mukesh, Talat Mahmood aur
Mahendra Kapoor jaise gaayak. Ghazal aur bhajan gaayikee mein apna ek
alag mukaam haasil karte huye unke kai LP 'records' bane hain jinmen
shaamil hain Ranj Mein Rahat, Rehguzar, O Salone Sanwaria, Bhakti
Ras, Krishna Ras, Dashaavtaar, Gujarati Vaishnav Bhajan, Man Mandir
Mein Sai aur Jago Jago Maa Jawaalapaa. Hindi aur apni maatribhaashaa
Punjabi ke alaawa Minu ne Marathi, Bangla, Bhojpuri, Sindhi jaisi
bhaashaaon mein bhi bahut se gaane gaaye hain. doston, ab aaj is
kaaryakram ka waqt Khatm ho raha hai, lekin Minu-ji ki aawaaz mein ek
Ghazal sunwaaye bina kaise is mehfil ko anjaam den. to suniye yeh
Khoobsoorat Ghazal. VBLC Sangeet Ke Sitaare mein aaj hamne salaam
kiya Minu Purushottam ki gaayiki ko, sangeet jagat ko unke amoolya
yogdaan ke liye unhe ham de rahe hain bahut bahut shubhkaamnaaen.
---------------------------------------
Song: ranj mein raahat (Nonfilm Ghazal)
---------------------------------------
THE END