fauji bhaaiyon, aap sabhi ko Mehboob ka aadaab. main Vividh Bharati ka bahut hi
shukraguzaar hoon, aaj mujhe aap se baat karne ka inhone mauka diya hai. jaise
ki Ghalib ka ek sher hai fauji bhaaiyon, "hazaaron Khwaahishen aisi ki har
Khwaahish pe dam nikle, aur nikle mere armaan lekin kam nikle". sach poochhiye
to armaan yeh hai ki sarhad par ham aayen, aamne saamne mulaaqaat ho, kuchh
aapki sune, kuchh apni sunaayen, magar yahaan ham masroof, wahaan aap tainaat,
aur hamaari taqdeer mein woh mulaaqaat naheen hai. isi mulaaqaat ko behetar
samajhte huye aur phir ek baar Vividh Bharati ka shukriya adaa karte huye ham
kuchh apni baaten karenge. ab ham aapki shaan mein kya keh sakte hain, hamaare
paas na alfaaz hain na kalam. yeh jo qubaaniyaan aap hamaare liye dete hain,
uske baare mein kehne ki hamaari auqaat hi naheen. sirf itna ham kar sakte hain
ki aapka manoranjan kar len, 'entertainment' kar len, Vividh Bharati ke deeye
huye is mauke ka faaydaa uThaate huye, apne baare mein kuchh baat kehte sunte
huye. apni pasand ke kuchh gaane bhi aapki Khidmat mein pesh karoonga, mujhe
ummeed hai ki aap unhe pasand karenge, seh lenge, bardaasht kar lenge. sabse
pehle ek aisa gaana sunaana chaahta hoon jo Khaas taur se aapke liye likha gaya
hai, aapke qurbaaniyon ke liye likha gaya hai, aur woh gaana hai film Haqeeqat
ka, "kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon".
Song: kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)
faujiy bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki aap ko yeh gaana pasand aaya hogaa, mujhe
yeh behad pasand hai. ab kuchh aage baat karte hain. main kuchh apne baare mein
aapko bataana chaahta hoon, mere waalid Nasik ko 'belong' karte hain, ham
Maharashtra, India ke hain. jab woh Mumbai aaye to baDi nird mushakkat se apni
ek mukaam banaaee, jagah banaaee 'society' mein, Congress ke baDe 'gun worker'
rahe woh. lekin unhone apni ek 'business' bhi shuru kee yahaan par. mera yeh
taalluKh raha ki main 5th tak English Medium mein raha, English, Government
School ka 'student' raha main, aur 5th ke baad mujhe shauk paidaa huya ki main
Urdu paDhoon, shaayari samjhoon. pataa naheen lekin yeh Khwaab dil mein aa gaya.
aur baDi zid karne ke baad mere waalid ne mujhe Urdu 'school' mein daaKhilaa
diya. aur wahaan maine Iqbal, Zafar, Ghalib, Mir Taki Mir, inko paDhaa, aur
likhne ka shauk paidaa huya. meri badkismati yeh rahi ki mere waalid apne
'social service' ki wajah se iske baDe 'against' rahe, is kaam ke, mere shauk
ke. baharhaal maine is shauk ko panapne diya, aur aaj main 'I am very thankful
to God', mujhe ek beTi dee parwardigaar ne, aur use bhi 'music' ka shauk hai,
aur maine apne tajurbe ko nazar mein rakhte huye, ki kisi bhi insaan ko apne
'talent' ko, apne shauk ko dabaanaa naheen chaahiye kyunki eeshwar kahiye,
Khudaa kahiye, bhagwaan kahiye, yeh uski taraf se 'gift' hoti hai, maine uski
qadr kee, meri bachchi ne 'music' ka 'course' kiya, Trinity College of London
se, A R Rahman ko 'assist' kiya uske, uske saath 'world tour' kiya, Ustad Sultan
Khan saahab ki shaaGirdaa rahi, unse seekhaa, aur isi saal jo film 'release'
huyi Ram Gopal Varma ki Contract, usmein usne ek gaana diya. phir ek ittefaaq ki
baat bataata chaloon, ki Mehboob ko geetkaar Mehboob banaane mein usi Ram Gopal
Varma ka haath tha, unhone hi mujhe pehli film Rangeela ke liye 'break' diya,
meri beTi ko Ram Gopal Varma ne hi 'break' diya, yeh kismat ki ajeeb baat hai,
isko kehte huye main fakr mehsoos karta hoon aur bahut shukraguzaar hoon main
Khudaa ka.
ab aage baDhte huye aapko bataana chaahoonga us gaane ke baare mein jisko sun
sun ke mujhmein likhne ka shauk paidaa huya. jaisa maine kahaa ki mere 'father'
hamesha mere 'against' rahe, mere shauk ke, likhne ke, unka ek tasavvur tha, ki
unkaa beTaa ek shaayar banke, mushaayare mein baiThke, sharaab pee ke kahin
paDaa na ho! Galat Khayaal tha, kyunki main geetkaar banna chaahta tha. ab mujhe
bachpan se shauk tha jinke gaano ka, woh the Hasrat saahab, jinko main apna
roohaani guru maantaa hoon. Shankat Jaikishan saahab ka 'music', yaa Majrooh
saahab keh len aap, Sahir saahab keh len, to meri ek aadat thi ki main in gaano
ko 'cassette' par 'record' karwaata tha, raat ke waqt 'tape' lagaake,
'earphones' lagaake, in geeton ko sunaa karta tha, jinko sunkar mujhe gaano ko
samajhne ki kashamataa aayi aur sochne lagaa ki itni Khoobsoorti se insaan 3
'minute' mein apne jazbaat, apne ahsaasaat ko 'music' mein Dhaalkar aapke saamne
pesh karta hai. aise gaano ko main raaton ko jaag jaagkar suntaa tha, isse mere
waalid naaraaz bhi hote the, lekin maine apne shauk ko palne diya, aur un tamaam
gaano mein se ek gaana main aapko sunaana chaahta hoon, jo mujhe bahut pasand
hai aur ummeed hai aapko bhi pasand hogaa, woh hai film Chori Chori ka, "yeh
raat bheegi bheegi yeh mast fizaayen".
Song: yeh raat bheegi bheegi (Chori Chori)
kyun fauji bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki yeh gaana aapki pasand ka hi hogaa! ab
main aapko kuchh aur bataana chaahta hoon. jab maine apne 'father' ka yeh ruKh
dekhaa ki woh mere likhne ke Khilaaf hain, lekin mere zahan mein ek hi baat thi
ki insaan ko chaahiye apne dil ko kam na hone de, main usi koshish mein laga
raha, isi ummeed mein laga raha ki mujhe 'break' mile, mujhe ek mauka mile, har
insaan ki zindagi mein 'struggle' ka ek 'period' aata hai, maine bhi bahut
'struggle' kiya, 10 saal guzar gaye, aur ek kahaawat maine suni hai ki jab
insaan ummeed chhoD deta hai insaan se, waheen bhagwaan usey sahaara de dete
hain. aap yakeen karen, ek din Ram Gopal Varma saahab ke wahaan se mujhe
bulaawaa aaya, unhone 'announce' kiya ki 'main ek film banaa raha hoon Rangeela,
iske 'music director' A R Rahman honge'. pehle to main chaunkaa ki kaise main
kar paayunga itne azeem 'music director' ke saath kaam. magar Ram Gopal Varma ko
bharosa tha mujhpe. main Madras gaya, aur pehla jo gaana likhne ka mujhe mauka
milaa woh poori meri kahaani thi, ki kis tarah main chaahta tha ki itne baDe
naamon mein mera bhi ek naam ho, is duniya se jaayun to mera bhi ek nishaan
chhooTa rahe yahaan par, aur yeh mauka mila mujhe is jazbaat ko likhne ka, is
gaane mein, film ke 'situation' ke mutaabik. Urmila ka kirdaar aisa tha ki woh
ek 'actress' banna chaahti thi, naam karna chaahti thi, aur woh din mere bhi
aise the ki main bhi chaahta tha ki mera bhi kuchh naam ho. fauji bhaaiyon, meri
Khushkismati yeh rahi ki yeh meri zindagi ka pehla gaana tha jo hamne Rangeela
ke liye 'record' kiya. yeh A R Rahman ki bhi pehli 'direct' Hindi film thi jo
mere saath thi, aur mera pehla gaana jinhone gaaya woh sabse lokapriya, sabse
har dil aziz gaayika hain Asha Bhosle-ji, unhone yeh gaana gaaya "yaai re yaai
re zor lagaake naacho re".
Song: ho jaa rangeelaa re (Rangeela)
fauji bhaaiyon, ab is josh ko qaaayam rakhte huye jab maine apni tarakki dekhee,
mera naam huya, jaisa ki maine us gaane mein likhaa, "baDe baDe naamon mein apna
bhi naam-o-nishaan to ho", mera naam huya, har taraf mere geeton ke charche hone
lage. ab zindagi ka safar shuru ho chuka tha. main ek mashoor geetkaar ho gaya.
filmen aane lagi. usmein ek film aayi jiska main zikr zaroor karna chaahoonga,
us film ka naam hai Hum Dil De Chuke Sanam. main aapko ek baat aur bataa doon ki
'creativity' jo hai woh kabhi bhi kisi bhi waqt aa jaati hai, maine us film ke
'music director' ke saath milkar is film ke 7 saal pehle hamne ek din aise hi
baiThe baiThe ek gaana banaaya. ham beKhabar the is baat se ki is gaane ka
anjaam kya hogaa. lekin jo bhi hoga achchha hogaa yeh ummeed thi. aur 7 saal
baad jab us 'music director' ko hamaari film 'industry' ke azeem 'director'
Sanjay Leela Bhansali ne jab 'break' diya Hum Dil De Chuke sanam mein, woh
'break', mujhe Khushi ho rahi hai yeh kehte huye ki woh isi gaane se milaa, aur
woh gaana main aapko zaroor sunaana chaahoonga kyunki usmein mohabbat ka maine
ek pehlu likha hai, usmein maine kuchh aisi baaten likhi hain, ek sufiaana
qalaam hai, is geet ko sunkar mujhe ummeed hai ki aap ke bhi dil ro paDenge. to
main chaahoonga ki aapki Khidmat mein main yeh gaana pesh karoon, gaane ka
'title' hai "taDap taDap ke is dil se aah nikalti rahi".
Song: taDap taDap ke is dil se (Hum Dil De Chuke Sanam)
doston, main ek baat to bataana bhool hi gaya ki meri Khushkismati yeh rahi ki
mere 'career' ki shuruwaat ek bahut baDe 'director' ki film se huyi, yakeenan
mujhe 'break' to Ram Gopal Varma-ji ne diya, ham Rangeela ke gaane 'record' kar
rahe the, aur usi dauraan mere paas ek film hai jiska 'title' hai Bombay. aur
azeem 'director' hamaari 'industry' ke, Maniratnam saahab, mujhe unke saath kaam
karne ka mauka milaa, aur film Bombay likhne ka bhi mauka milaa, aur Bombay ke
gaane baDe hi 'hit' huye hain. main ek chhoTi si aapko waaqya sunaa doon, ki
Bombay ka ek baDaa hi mashoor gaana tha "hamma hamma". woh zindagi bhar mujhe
yaad rahegaa, isliye yaad rahegaa fauji bhaaiyon, ki gaane ka agar ham mizaaj
dekhen to baDaa 'peppy song' hai, baDaa hi chanchal sa geet hai woh, jis din
maine us gaane ka mukhDaa likha, mujhe aaj bhi yaad hai, main aage baDh hi raha
tha gaana 'complete' karne, mujhe ghar se 'phone' aaya, main Madras mein tha
Rahman ke saath, aur mujhe 'phone' aaya, mere 'father' ki haalat naazuk hai,
kisi bhi waqy kuchh bhi ho sakta hai. 'professional' hote huye main mukhDe ko
Mani 'sir' ke paas le gaya, maine unko mukhDaa sunaaya, unhone 'final' kiya,
unhone kahaa ki 'bahut achchha hai, aage likho', maine unse maafi chaahi aur
kahaa ki aisi aisi baat hai, aur us aadmi ka badappan main zaroor kahoonga,
unhone yeh naheen kahaa ki 'abhi to kuchh huya naheen hai na', unhone kahaa ki
'tumhe rehna hi naheen chaahiye tha, tumhe gaana naheen sunaana chaahiye tha,
fauran yahaan se niklo, apne waalid ke paas pahuncho'. lekin eeshwar ko kuchh
aur hi manzoor tha. yeh gaana isliye bhi yaad rahegaa, "hamma hamaa", ki ek alag
hi mizaaj ka gaana tha yeh, naach kood tha, lekin jab main ghar pahuncha to
unkaa inteqaal ho chuka tha, woh is duniya se jaa chuke the. baharhaal yeh meri
qismat mein tha. lekin aaj main us film ka ek geet sunaana chaahoonga, isse main
pehle bahut Dar gaya tha, mujhe aisa lagaa ki itna baDaa gaana hai, kaise alfaaz
likh sakoonga ismein, Khayaal kaise likh sakoongaa, lekin, aur yakeen karenge
aap, us raat, kyunki yeh mere shuru ke din the mere 'career' ke, main ghabraa
gaya tha ki Maniratnam, A R rahman, jinhone Roja jaisi film dee hai, us gaane ko
likh paayunga naheen paayunga, us raat meri aankh mein aansoo aa gaye the ki
parwardigaar main is geet ko likh paayunga yaa naheen! lekin 'by the grace of
God', bahut achchha raha, bahut 'hit' raha, main chaahta hoon ki aapki nazar yeh
gaana karoon, film Bombay ka "kehna hi kya", jo meri bahut hi 'favourite singer'
Chitra-ji ne gaaya tha.
Song: kehna hi kya yeh nayan ek anjaan se jaa mile (Bombay)
fauji bhaaiyon, jaise ki waqt ka taqaazaa hai, dil to naheen bharaa aap se baat
karte huye, magar yeh chhoTi si mulaaqaat bhi main prasaad samajhke le loongaa,
aur baDaa mazaa aaya aap se baat karke, jiske liye main ek baar phir se Vividh
Bharati ka shukriya adaa karna chaahoongaa, aur uske alaawaa main apni 'film
industry' ka bhi shukriya adaa karna chaahoonga ki unhone mujhe mauka diya, itna
naam diya, itni shohrat dee ki aaj mujhe is haiseeyat ka samjhaa gaya ki main
yahaan aakar aap se kuchh baat kar sakoon. ab jaane se pehle aaKhri geet jo
aapki nazar karna chaahoongaa, woh mere bahut hi 'favourite music director'
jinke saath mera 'career' shuru huya uar mere saath jinka 'career' shuru huya, A
R Rahman ke baare mein yeh kehte huye chaloonga ki jab Hindustaan ki aazaadi ke
50 saal manaane ka waqt aaya to hamne sochaa ki ham ek 'album' nikaalenge, hamne
sochaa ki 50 saal ki aazaadi ke is mauke par maadarewatan ko kya tohfaa denge,
ham Madras mein mile, 'workout' kar rahe the ki kya karen, kaun sa gaana karen,
aur mere zahan mein jo sabse pehli 'line' aayi, woh thi "maa tujhe salaam", aur
us 'line' ko lekar Rahman ne ek gaana 'compose' kiya, aur us gaane ko maine
likha, aur yeh gaana hamaari taraf se us 50-veen maadarewatan ki saalgirah par
salaam ka tohfaa tha, salaam ka nazraana tha, jo hamne pesh kiya usko, aur jaate
jaate yeh gaaana main aapko sunaana chaahoongaa. ab jaate jaate ummeed hai ki
aapko mere pasand ke gaane pasand aaye honge, aur is ummeed se nikal raha hoon
ki phir dobaara aap se zaroor mulaaqaat hogi, jai Hind, namaste!
Song: maa tujhe salaam (Maa Tujhe Salaam - Nonfilm: A R Rahman)
THE END