SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL
AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON DATTARAM
------------ --------- --------- ------
************ ********* ********* ******
DR: Dattaram
AS: Ameen Sayani
Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke saathiyon, bahut dinon se mujhe yaad sataa rahi thi ek suljhe huye mashahoor sangeetkaar ki jo kai dinon se 'Bollywood' ke sangeet sansaar se Gaayab ho chuke the aur Bambai mein bhi naheen reh rahe the. bahut poochhtaachh karne par pataa chalaa ki woh door Goa mein ek chhoTe se shahar mein jaa base hain, yaa phir baDe se gaaon mein jaa base hain, beemaar rahe hain, kuchh pareshaan rahe hain, aur yeh bhi suna gaya ki unki yeh haalat aajkal bhi hai, jiska zikar unke shuru shuru ke ek geet mein tha. zaraa dil pe haath rakhiye bahenon aur bhaaiyon, aur suniye woh geet.
------------ --------- --------- --------- --------- --------
Song: aansoo bhari hain yeh jeevan ki raahen (Parvarish)
------------
--------- --------- --------- --------- --------
aawaaz Mukesh ki thi Paravarish film ke is geet mein, Parvarish mein Raj Kapoor 'hero' the, geet Hasrat Jaipuri ne likha tha aur dhun mein 'style' tha Shankar Jaikishan ka. magar jee naheen, sangeet Shankar Jaikishan ka naheen tha, aap to jaante hi hain bahenon aur bhaaiyon, Parvarish ke sangeetkaar the Dattaram. Dattaram, jo albatta Shankar Jaikishan ke 'assistant' zaroor rahe the kai kai filmon mein. ab main soch raha tha ki kaise pataa karoon ki Goa mein kahaan hain Dattaram taaki main unka 'interview' kar sakoon Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ke liye, ke itne mein huya ek zabardast chamatkaar, jis chamatkaar mein chaar log shaamil the, ek to mere dost aur mashahoor 'film journalist' Benny Roen ????, doosre Ahmedabad ke jaane pehchaane filmi jaankaar Padmanabh Joshi, teesre Bambai ke saphal sangeet kalaakaar Shyam Haldikar, aur chauthe Goa ke baDe 'businessman' aur Dattaram ke dost Shrikant
Joshi. aur in chaaron ki madad se mere saamne aaye mere aur Dattaram ke puraane dost Kishore Desai. wahee Kishore Desai jinhone mere saathi mashahoor 'radio broadcast' kavi Shiv Kumar Saroj ke us 'hit private' geet ki dhun banaaee thi "tere labon ke muqaabil gulaab ka phool kya hogaa, tu laajawaab hai tera jawaab kya hogaa". yaad hai aapko? to ab us chamatkaar ka 'climax' yun huya ki Kishore Desai tayyaar ho gaye ki woh Khud Goa jaayenge aur Dattaram ko 'record' karke le aayenge, aur bas yeh sunna tha ki mere dil mein Khushi ki ek lahar si dauD paDee, aur lahar ke saath saath Dattaram ki yeh dhun bhi chal paDee.
------------ --------- --------- --------- --------
Song: rut albeli mast samaa (Shriman Satyavadi)
------------ --------- --------- --------- --------
is 'hit' geet ke film ka naam yaad aaya aapko, Shriman Satyavadi. aur doston, ab to Kishore Desai Goa jaakar Dattaram ko 'record' karke aa chuke hain, aakar unhone bataaya ki
dattaramji ki tabeeyat ab bilkul Theek hai, aap Khud hi samajh lenge jab aap unki joshilee aawaaz sunenge. lekin woh 'interview' sunne se pehle itna yaad rahe bahenon aur bhaaiyon ki Dattaram ki aawaaz Goa mein 'record' huyi hai aur main yahaan Bambai mein baiThaa unhe sawaal kar raha hoon. to pehla sawaal mera unse yeh hai ki Dattaram bhai, filmon mein aapka aanaa, chhaanaa aur jaanaa, yeh kaise huya yeh to main aage chalkar poochhoonga, lekin pehle yeh bataaiye ki ham sune the ki aap sab se pehle mile the Shankar Jaikishan ke Shankar ji se, kushitiyon ke akhaaDe mein. yeh kaise huya zaraa bataayenge aap?
DR: zaroor bataayenge saahab! aisa huya ki bachpan mein mujhe kasrat karne ka bahut shauk tha, aur main kasrat karta tha. to kaafi 'time' se main wahaan jaaya karta tha. to ek din dekha ki ek naya aadmi wahaan aaya, ek aadmi ke saath aur hamaare guruji se baat kar rahe the, to ham dekh rahe the. to umein saari baatchit ho gayi aur woh aane lag
gaye wahaan. paanchve din hamaare bhi namashkaar namashkaar hone lag gaya, aur aisa chalta raha. ek din unhone kahaa ki 'main Husnlal Bhagatram ke saath kaam karta hoon, aur Prithvi Theatre mein kaam karta hoon. to hamein iska kuchh maaloom hi naheen tha us 'time' pe. to mulaakaaten hote hote achchhi dosti bhi ho gayi. to us akhaaDe mein ek tablaa rakha hota tha. ham kasrat karne ke baad nahaate the aur kabhi kabhaar use bajaate the. to ek din Shankar ji nahaane gaye, baahar aaye nahaake, phir main gayaa nahaane. jab main nahaa raha tha, us 'time' pe table ki 'sound' mujhe sunaayi dee, maine sochaa 'tabla kaun bajaa raha hai?' jab main baahar aaya, maine dekhaa Shankarji tabla bajaa rahe hain aur bahut achchhi bajaa rahe hain. maine kahaa 'Shankarji, waah waah kya baat hai!' to Shankar ji ruk gaye, bole 'tumhe kya pataa table ke baare mein, waah waah kar rahe ho? tumhe maaloom hai kya, tum bajaate ho kya?' maine kahaa 'thoDaa bahut bajaa leta hoon'.
unhone kahaa 'achchha! chalo bajaake dikhaao'. to maine unko ek kaaydaa bajakar sunaaya aur woh kaayda aisa tha (hums the beats), is 'type' ka kaayda tha aur woh bahut khush ho gaye.
AS: aur yeh Khushi aur dosti itni aage baDhee ki ek din Dattaram Shankar Jaikishan ke 'assistant' ban gaye, aur kai filmon mein 'assistant' rahe, jaise Shree 420, Yahudi, Chhoti Bahan, Love Marriage, Main Nashe Mein Hoon, Shararat, Ujala, Dil Apna Preet Paraayi, Ek Phool Char Kaante, vagerah vagerah vagerah. magar bahenon aur bhaaiyon, aaj Shankar Jaikishan ki naheen, Dattaram ki mehfil jamee hai, isliye aaiye sun lete hain Dattaram ki ek aur dhun, film hai Qaidi No.911
------------ --------- --------- --------- --------- ---------
Song: meeThi meeThi baaton se bachna zara (Qaidi No. 911)
------------ --------- --------- --------- --------- ---------
bahenon aur bhaaiyon, ab Dattaram ke hi naheen Shankar Jaikishan ki kahaani mein bhi zara peechhe
ki taraf chaliye aur suniye Dattaram ka aankhon dekha haal jab Prithvi Theatres mein kaam karte karte ek din Shankar Jaikishan ki taqdeer chamkee.
DR: to ek din Shankarji kehne lage, 'kya kar rahe ho?' bola 'kuchh naheen', to bole 'chalo, hamaare saath chalo, Prithvi Studios mein jaana hai, Raj saahab ke 'office' mein jaana hai', maine bola 'chaliye'. us samay gaaDi to thi naheen, ham 'train' mein gaye, 'train' se utar kar chal ke gaye, Raj saahab ke 'office' mein gaye. to unhone kaha ki 'yahaan baiTho, main tumko baad mein bulaata hoon'. to itne mein Raj saahab bhi aa gaye, aur Raj saahab aa gaye to mujhe bhi andar bulaaya. andar baajaa bhi tha, Dholak bhi tha, to mujhe Shankarji ne kahaa ki 'zara daadraa lagaayo'. to maine daadraa lagaaya, aur aisa kuchh sunaayaa ki baajaa bajaane lag gaye, Raj Kapoor saahab bhi baiThe the aur kuchh dhun sunaaya unko. mujhe to kuchh pataa hi naheen tha, main to bas Thekaa lagaa raha tha. aisa karte karte Raj
saahab beech mein bol uThe Shankarji ko 'aaj se tum log mere sangeetkaar ho, yeh main bahut baDi baat keh raha hoon'. unhone kahaa ki 'aaj se Raj Kapoor ke filmon ka 'music' Shankar Jaikishan, tum log doge, yeh yaad rakhna'.
AS: aur Barsat se, aap log to jaante hi hain, ki Shankar Jaikishan jaise ubhare, kaisi dhoom machaayee unhone. shuru shuru mein Dattaram na Shankar Jaikishan ke 'assistant' the aur na hi tablaa yaa Dholak 'take' mein bajaaya karte the, to ab mera agla sawaal Dattaram ke 'recorded interview' se yeh hoga ki dattaramji, maine suna hai ki Shankar Jaikishan ke 'group' mein jo Khaas 'rhythm player' huya karte the, Shri Punyavan, unse bhi aapne bahut kuchh seekha, kuchh unke baare mein bhi bataaiye.
DR: Barsat mein jis saahab ne mere saath gaane bajaaye, woh the Punyavan, aur Punyavan unke shishya the. to jab woh Dholak bajaate the, main to angooThi mein 'ring' Daal ke Dholak bajaata tha. to unhone kahaa ki 'aise naheen, ise
chhoTi unglee mein Daalna 'ring'', aur usey bajaana, ang bajaana, Dholak ki itni achchhi achchhi cheezen mujhe seekhaayee, phir main bajaane lag gaya aur mujhe aa gaya. wohi mere guru the Dholak ke andar, Punyavan ji.
AS: lekin suna hai Dattaramji, aapko Shankar Jaikishan ki 'recording' mein pehli baar jo Dholak bajaane ka mauka mila woh ek ajeeb ittefaaq se milaa?
DR: sahi baat hai! aisa huya ki His Master's Voice ke andar 'recording' thi Shankar Jaikishan ji ki, Raj Kapoor saahab ki. to wahaan mere guruji hamesha bajaate the. to ham log wahaan gaye, 10 baj gaye, 11 baj gaye 'rehearsal' karte karte, 11:30 baj gaye, to dekhte hain ki Punyavan ji aaye naheen. to sab log kehne lage ki 'kahaan gaye? ab tak 'rehearsal' chaalu karna tha'. 12 baj gaye, tab bhi naheen aaye, Shankar Jaikishan kehne lage ki 'ab kya kare, woh to aaye naheen', to Shankarji ne kahaa ki 'Dattu, tum bajaayo yeh gaana, tum to 'rehearsal' mein bajaa rahe ho'. to sab ne,
Lataji ne bhi kahaa ki 'haan haan, Dattu bajaayega'. sab ne mujhe 'support' aise kiya ki maine bhi kaha ki 'haan haan, zaroor bajaayunga'. uske baad gaana shuru huya, aur gaana shuru hote hote 'recording' shuru huyi, 'recording' jab shuru huyi, aapko main sahi bolta hoon, meri zindagi ka pehla gaana 'first take' mein hi 'OK' ho gayi. aur sab baahar aake, Shankarji ne 'waah Dattu, shaabbaash!' Lataji ne bhi 'waah waah Dattu, bahut achchhe', sab ne taareef kee aur woh mera pehla gaana tha.
AS: aur bahenon aur bhaaiyon, woh pehla gaana Dattaram ke Dholak se sajaa kaun sa tha, main aap ko bataata hoon, Shankar Jaikishan ki woh film thi Awara, aur gaana tha yeh...
------------ --------- --------- --------
Song: ek bewafaa se pyaar kiya (Awara)
------------ --------- --------- --------
Khair, abhi tak to Dattaram ki kahaani Shankar Jaikishan ke sangeet mein Dhal kar chal rahi thi bahenon aur bhaaiyon, aur ab aa raha hai dattaram ki
aawaaz mein us daur ka haal jab Dattaram Dholak player se Shankar Jaikishan ke 'assistant' banne ke baad apne pehle 'music direction' tak pahunche.
DR: dekhiye aisa hai, Shankar Jaikishan jahaan bhi jaate the, hamesha main saath rehta tha. lekin ek mauka aisa aaya ki Raj Kapoor ne, Raj saahab ne Shankar Jaikishan ko bulaaya, aur woh unke wahaan chale gaye. kuchh der tak main unke saath naheen tha. woh gaye, unka 'cottage' tha, 'cottage' mein unke saath baatchit chalee. to chalte chalte Raj saahab ne kahaa ki 'dekho, ek 'picture' ban rahi hai R K Films ki, jismein main kaam naheen kar raha hoon, 'direction' main naheen kar raha hoon, paisa hamaara lagegaa. 'banner' hamaara hai lekin ham usmein kaam naheen kar rahe hain, aur bachchon ki 'picture' hai, chhoTe chhoTe bachche hain, uski 'picture' hai, saath mein Yakub saahab hain. to bataayo kya karna hai?'. to Shankar Jaikishan kehne lage ki 'jab aap kaam naheen kar rahe, 'direction' naheen kar rahe,
sab kuchh baahar ke hain, bachchon ki 'picture' hai, ham log bhi, aap naheen kar rahe hain to mazaa naheen aa raha hai, kuchh Theek naheen lag raha hai'. 'to kya karna hai?' to Jaikishan ne fauran bola ki 'Dattu ko 'chance' deejiye'. Raj saahab ne kahaa ki 'woh kuchh karta hai kya, 'tune' bagerah banaata hai kya?' Jaikishan ne kahaa ki 'haan, aur jo kuchh chhota moTaa reh jaayegaa to ham log hain na uske saath, ham madad karenge uska, aap usko 'chance' deejiye'. to Raj saahab bole ki 'Theek hai, agar aap log madad karne ke liye tayyaar hain to main kal usko bulaata hoon'. doosre din mujhe RK se 'phone' aaya, Raj Kapoor saahab ke wahaan se, ki Raj saahab ne tumko bulaaya hai. main to Dar gaya, maine socha mujhe bulaaya, kya baat ho gayi, mujhe to samajh naheen aa raha tha, Shankar Jaikishan ne bhi woh baat mujhe naheen bataayi, dekhiye kitni baDi baat hai! to main shaam ko gaya wahaan pe aur Raj saahab se milaa. bulaaya pyaar se, mujhe bahut pyaar karte
the, 'aayo aayo Dattu'. baiThaa, thoDi der baatchit huyi. bole 'ek 'picture' hai chhote bachche ki, to aap 'music' denge, ichchha hai dene ki? kuchh mehanat karenge?' maine kahaa 'kamaal karte hain Raj saahab aap, aap de rahe hain itna baDaa 'chance' aur main naheen karoon, kaise naheen karoonga, zaroor karoonga saahab! pehla gaana kaun sa lene waale hain?' to bole ki 'birthday ka gaana hai, birthday pe gaana banaana hai'. maine kahaa ki 'Theek hai, main tayyaari karta hoon, dhun banaata hoon aur aapko sunaata hoon'. maine socha ki mera pehla gaana Lataji gaayengi to bahut achchha ho jaayegaa. isliye maine usi tarah ki 'tune' banaayi aur Raj saahab ne sunaa. uspe Hasrat saahab ne gaana likha, Raj saahab ko bahut achchha lagaa aur kahaa ki 'jaayo, yeh gaana 'record' karo'.
AS: aur woh gaana 'record' huya, film kaun si thi yeh to aap samajh hi gaye honge bahenon aur bhaaiyon, jee haan, Ab Dilli Door Nahin.
------------ --------- ---------
--------- --------- --------- -
Song: jeeyo laal mere tum laakhon baras (Ab Dilli Door Nahin)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
jee haan bahenon aur bhaaiyon, Ab Dilli Door Nahin ka yeh geet 'independent music director' ki haiseeyat se Dattaram ki pehli dhun thi. lekin Ab Dilli Door Nahin ka sab se mashahoor gaana kaun sa tha, yaad hai aap ko? iske baare mein Khud Dattaram ki Goa mein 'record' kee huyi aawaaz aapko ab bataayegi.
DR: Raj saahab ne mujhse kahaa ki 'ek 'situation' hai aur woh 'situation' aisi hai ki Yakub saahab jo hain woh bachche ko lekar 'road' pe chal rahe hain, aur kandhe pe biThaake uska 'entertainment' kar rahe hain. bachche ko hansa rahe hain, kuchh kar rahe hain, aur waisa karte karte Dilli le jaate hain bachche ko. to jaate waqt mein kya karenge, to usmein ek gaana hai. yeh 'free lancer' gaana hai, ismein koi 'situation' naheen hai, lekin mujhe 'tune' aisi chahiye jo 'hit' ho
jaaye'. to maine Raj saahab se kahaa ki 'zaroor saahab, main mehanat karoonga, zaroor koshish karoonga'. 'koshish karo, mehnat karo, lekin gaana mujhe 'hit' chaahiye'. unhone baar baar aisa kahaa. to karte karte karte, kuchh naheen jam raha tha. ek din, main Bandra mein Carter Road pe rehta tha. to samundar ke kinaare raat ko 12 baje main baiTha tha, akele main baiTha hoon aur samundar mere saamne hai, to sochte sochte mujhe kuchh aisa soojhaa aur main gaane lag gaya (hums the tune of "chhun chhun karti aayi chiDiya"). yeh gaana maine sochaa aur sochte sochte doosre din Hasrat saahab ko ghar par maine bulaaya, kahaa 'dekhiye yeh tarz maine banaayi, is par aap zara kuchh likh deejiye'. maine unko tarz sunaayaa aur unhone likh diya ki "chhun chhun karti aayi chiDiya, daal ka daana laayi chiDiya, mor bhi aaya, kauwa bhi aaya, chuha bhi aaya, bandar bhi aaya". to yeh tarz hamne banaayi aur banaane ke baad hamko bhi achchha lag gaya. ham phir RK mein gaye,
Raj saahab ko yeh tarz sunaayi. Raj saahab ko jab yeh tarz sunaayi to unhone mera baajaa fauran band kar diya. maine thoda sa hi gaana gaaya tha, unhone band kar diya, kahaa 'bahut 'hit' gaana hai'. ham jab baahar nikle to hamne kahaa ki 'Raj saahab ko 'music' ka kitna 'knowledge' hai ki thoDa sa sunkar hi kehne lag gaye ki 'hit' gaana hai.' to aise 'record' ho gaya woh gaana.
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: chhun chhun karti aayi chiDiya (Ab Dilli Door Nahin)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Ab Dilli Door Nahin ke baad bahenon aur bhaaiyon, aap jaante hi hain ki kaisi kaisi 'musical' filmen aayeen, baDi achchhi 'hit' filmen aayeen, Dattaram ki tarzon se sajee huyi, ek to saahab Parvarish hi thi, jiska ek aur 'hit' geet ab ap sunnewaale hain, aur Parvarish bhi shaayad Dattaramji ko Raj Kapoor saahab hi ki vajah se mili thi kyunki wahee the usmein 'hero' aur woh
jinka main zikr karne laga tha ki Dattaram ki tarzon ne do mahaan kalaakaaron ko jhooma kar rakh diya tha, nachwa kar rakh diya tha, ek to the Raj Kapoor aur doosre Mehmood.
------------ --------- --------- --------- --
Song: maama ho maama ho maama (Parvarish)
------------ --------- --------- --------- --
aur ab ham phir lauTte hain sangeetkaar Dattaram ke us aawaaz par jise sangeetkaar aur saaz nawaaz Kishore Desai ne mere liye Khud oa jaakar 'record' kee hai. usmein ek zabardast 'accident' ka zikr bhi hai jiske shikaar huye the Dattaram 1960 mein.
DR: 1960 mein mera 'accident' huya tha. baarish ke din the, aur Khopoli karke ek gaaon hai Khandala ke neeche, wahaan jaakar chaay vaay peeya, sab kuchh kiya, aur waapas aate waqt mujhe kuchh neend jaisi aayi, aur kuchh gaaDiyaan 'right side' se aane lagi, main 'steer ring' 'left side' mein lene gaya to lete lete 'steer ring' hi mere haath se chhooT gayi. 'steer ring' chhoTne ke
baad gaaDi seedhee gayi aur jhaaDiyon mein lagi. aur usmein se 6 aadmi gaaDi ke baahar, main kam se kam 14 'foot' khaai mein gira tha, baarish upar se gir rahi thi. thoDi der ke baad jaise main neend se uThtaa hoon, to maine dekhaa ki main keechaD mein paDaa hoon. main bhaag kar upar gaaDi ke paas aaya. gaaDi ke andar mera ek beTaa tha, usey kuchh bhi naheen huya tha, ek beTee jhaaDi mein phansee thi, usko baahar nikaala. phir dekha ki meri ek aur beTee Gaayab hai. woh bhi jhaaDi mein giri thi, usey bhi nikaala. kehne ka matlab hai ki eeshwar ne itni bai meherbaani mere pe kee ki usmein main bach gaya, sab ke aashirvaad aur eeshvar ke pyaar se main bach gaya, aur abhi main achchha hoon.
AS: haan, abhi to yeh Theek ho gaye hain bahenon aur bhaaiyon, magar mujhe yaad hai ki us haadse ke baad kai saalon tak dattaram ki reeDh ki haDDI mein asar raha aur gardan bhi ek taraf jhuk gayi thi, aur aisa lagta tha ki unki haalat unhi ki ek geet mein Dhalkar
reh gayi ho.
------------ --------- --------- --------- --------- -----
Song: haal-e-dil hamaara jaane na (Shriman Satyavadi)
------------ --------- --------- --------- --------- -----
lekin saahab, us 1960 ke 'accident' ke baad jaisa ki dattaramji ne aapko bataaya ki woh Theek ho gaye, Theek naheen bilkul Theek, aur 1960 ke baad dekhiye kaisi kaisi filmon mein unhone sangeet diya, kitne achchhe achchhe gaane the unmein. main is waqt sirf filmon ke naam aapko sunaata hoon, Dark Street, Zindagi Aur Khwab, Neeli Ankhen, Jab Se Tumhe Dekha Hai, Raka, Tarzan Comes to Delhi, Farishta, Balak, Beqasoor, Choron Ka Chor, Ek Din Aadhi Raat, vagerah vagerah vagerah. inmein se kuchh filmon ke gaane aap sun bhi chuke hain hamaare 'programme' mein aur kuchh sunnewaale hain. magar na jaane kya huya phir ki sehat aur haalaat ne kuchh aisa maahaul paida kiya ki Dattaram Mumbai nagari chhoD kar, film sangeet ki duniya se naataa toD kar Goa jaa
base.
------------ --------- --------- --------- --------- ---
Song: dil DhoonDta hai sahaare sahaare (Kala Aadmi)
------------ --------- --------- --------- --------- ---
Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein abhi abhi jo Khoobsoorat geet aap ne sunaa woh hamne Dattaram ki bahut baad ki kahaani mein joD diya, asal mein baehnon aur bhaaiyon, yeh unki shuru shuru ki film Kala Aadmi ka geet tha. aur unke Goa chale jaane par bhi ek sawaal tha jo maine Goa bheja tha Kishore Desai ke saath. sawaal yeh tha ki Dattaramji, aap ka dil kabhi Bambai lauTne ko naheen karta? Goa mein baiThe baiThe sangeet se naataa toD kar aap karte kya hain?
DR: Goa aisi jagah hai, sangeet ke baare mein, to aap sab ko maaloom hai ki Lata Mangeshkar Goa ki hain, unke sab, Hridaynathji, Ashaji, unko sab Goa ke log bolte hain, aise guNi aadmi hain yeh, waise hi guNi unke pitaa the, to Goa ka zameen aisa hai ki sangeet ki khaan hai, aisa kehna chaahiye ki har
ghar mein sangeet hai yahaan. ab meri umar ho gayi hai, Theek hai, kabhi kabhaar sangeet sunne chala jaata hoon, kabhi Dholak bajaa leta hoon, aur Goa ke log mujhe bahut izzat dete hain, mera kaafi satkaar kiya logon ne yahaan, aur yahaan ki jo sangeet ki parampara hai woh itni baDi hai ki main keh naheen sakta aapko. yahaan ka hamesha sangeet zinda rahega, hamesha sangeet zinda rahega, aur hamesha sangeet zinda rahega.
AS: to yahaan saahab, Goa mein jaakar bas jaane waale Dattaram ka bhi to kuchh sangeet hona chaahiye.
------------ --------- --------- --------- --------
Song: tere teer ko hamne pyar se (Qaidi No.911)
------------ --------- --------- --------- --------
yeh geet bhi tha Qaidi No.911 film ka. aur doston, jo maine sawaal bheja tha Dattaram ke liye ki kya aapka dil naheen karta Bambai lauTne ka, to iska jawaab Dattaram ne kya diya tha suniye...
DR: 1942 mein main Bambai aaya, kuchh kaam kiya, kuchh 'school'
mein gaya, kuchh seekha, kuchh naheen seekha, British ka 'time' tha, kya karen kya naheen karen, aisa sochte sochte meri maa ne mujhe ek aadmi se milwaayaa, aur mujhse poochha ki 'tablaa bajaayega kya?' main chhoTa tha, mujhe samajh mein naheen aaya tablaa bajaana kya hota hai, maine munDi hilaayaa 'haan' kar ke, mere pehle guruji the, jinse maine tabla seekha, Pandhari Nageshkar, aur doosre guru the Pandit Ishwari Kelkar. to main bajaane lag gaya, Bambai mein mera thodaa naam huya, naam hone ke baad Bambai koi chhoD sakta hai kya! Bambai ne mujhe izzat dee, aaj laakhon logon ke zubaan par mera naam hai to woh Bambai ki wajah se hai. Bambai jisko ham kehte hain devi, uski vajah se hamaara naam huya, to usko ham kaise chhoD sakte hain! mauka milaa to ham zaroor Bambai ke darshan karenge aur ham zaroor aayenge.
AS: Dattaram ji, Bambai bhi aapko bahut 'miss' karta hai, zaroor aaiyegaa. is shahar se aap ki itni saari yaaden juDee huyi hain, isi
shahar se to aap ka naam huya...
DR: aur naam huya sirf Shankar Jaikishan ki wajah se. pehle hamaari dosti huyi, phir unke saath kaam karne lag gaya, aur itna kaam ki main aapko bataa naheen sakta hoon, duniya ko maaloom hai ki kitna achchha kaam un logon ne kiya, unko bahut nam milaa, aur mujhe bhi itna naam mila ki main bol naheen sakta hoon. main aaj jo bhi kuchh hoon, woh Shankar Jaikishan ki wajah se hoon. main to unko apna maa baap maantaa hoon, doosre Raj Kapoor saahab hain jinhone mujhe pehla 'chance' diya, to woh mere doosre guru hain, woh mere maalik hain, unki baDi meherbaani hai ki unhone mujhe 'chance' diya jiski vajah se mera naam ho gaya. bas itna keh sakta hoon ki jo kuchh bhi main hoon unhi ki meharabaani ki vajah se hoon.
AS: bhai, mera to hayaal hai ki yahaan par hona chaahiye Dattaram ke sangeet se sajaa us film ka gaana jiske 'hero' Raj Kapoor saahab the.
------------ --------- --------- ---------
Song:
masti bhara hai samaa (Parvarish)
------------ --------- --------- ---------
bahenon aur bhaaiyon, Goa se bheje us 'recording' mein Dattaram ne unki dhuno ko apni aawaaz se sanvaarne waale kai 'playback singers' ke baare mein bhi bataaya.
DR: main jab sangeetkaar banaa to mere dil mein yeh tha ki mera jo pehla gaana hai woh Lataji gaayen. yeh mere dil mein thi, bahut baDi khwaahish thi. to wahi huya ki mere pehle 'picture' ka gaana Lataji ne gaaya. phir Ashaji ne bhi gaaya, phir Mukeshji the, Parvarish mein "aansoo bhari hain yeh jeevan ki raahen", yeh gaana bahut 'hit' huya, Manna Dey the "masti bhara yeh samaa" mein gaaya, Kishire Kumar ji the unhone bhi gaaya, sab ne achchha kaam kiya, sab ne achchha gaaya, sab ne achchha kaam kiya, sab ne mujhe pyaar diya, aur saari duniya ko maaloom hai ki kitne baDe, kitne dildaar yeh log hain, main aapko keh naheen sakta hoon, main bas itna keh sakta hoon ki main Khud baDaa bhaagyavaan hoon ki
unke saath mujhe kaam karne ka eeshwar ne mauka diya aur in logon ne mere saath kaam kiya, aur eeshwar se praarthana karta hoon ki sab sukhi rahe, sab aanandit rahe.
AS: aur ab aaKhir mein ek shraddha bhari, sureelee, salaami dee hai Dattaram ne apni us 'recording' mein jo unhone Goa se bheji hai aap sab ke liye, suniye bahenon aur bhaaiyon.
DR: har sangeetkaar ka sangeet hi jeevan hota hai, sab kuchh sangeet hi hota hai. to maine mere jeevan ke baare mein ek chhoTa sa mukhdaa maine banaaya hai, main aapko sunaata hoon, (sings) "sangeet mera jeevan hai, aawaaz meri jeevan hai, sangeet bina jeevan soona, jeevan soona soona soona, sangeet mera jeevan hai..."
------------ --------- --------- --------- --
Song: o sanam mera saath denaa (Beqasoor)
------------ --------- --------- --------- --
bahenon aur bhaaiyon, main ek baar phir se shukriya adaa karna chaahta hoon un tamaam sajjanon ka jinki madad se Dattaram ke
'interview' se sajaa yeh 'programme' aap tak pahunch paaya hai, sab se baDaa zordaar shukriya Kishore Desai ka, ki woh apne sangeet ka kaam kaaj chhoD kar mere liye Goa gaye aur Dattaram ki aawaaz 'record' karke le aaye. inke alaawaa Benny Roen, Padmanabh Joshi, Shyam Haldikar aur Shrikant Joshi, aap sab ka bhi bahut bahut shukriya. aur bahenon aur bhaaiyon, aap sab ka bhi shurkiya ki itne pyaar se aap ne is 'programme' ko sunaa. isi tarah se Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil ka har 'programme' sunaa keejiye apne 'radio' dost Ameen Sayani ke saath, namaste!
THE END