EPISODE-3
*********
AB: Anil Biswas
TB: Tushar Bhatia
TB: shrotaaon ko hamaara namaskaar! aaj Rasikeshu shrinkhalaa ki teesri kaDee hai. to aap apne rasikon ko kya sunaane waale hain?
AB: aaj rasikon ko main ras bhare gaane sunaane waala hoon. aur uska racheyta hai ek rasik aadmi, uska naam hai Kamal Dasgupta. shaayad unka naam bahut zyaada sune nahin honge, lekin unka naam jo hai na hamaare dil mein ras ke saath bhara huya hai. tumko unke gaane sunaayunga. unhone bahut zyaada 'picture'-en to kee nahin hain, lekin Jawab 'picture' ka ek gaana, woh bhulaaye nahin bhoolta, tum bhi hamaare saath sahmat hoge
TB: jee bilkul
AB: "kuchh yaad rahe to sun kar jaa, haan kar jaa yaa naa kar jaa"
TB: daadaa, Kanan Devi ki aawaaz mein yeh geet hai na?
AB: yeh Ghazal hai. pehle isko suno, phir doosra gaana sunaayunga.
------------ --------- --------- --------- --------- --
Song: kuchh yaad rahe to sun kar jaa (Jawab, 1942)
------------ --------- --------- --------- --------- --
TB: is Khoobsoorat Ghazal ke baad ab shrotaaon ko kya sunaane waale hain?
AB: iske Ghazal ke baad ek bhajan sunaate hain. yeh unki film 'Hospital' se hai, aur Kanan Devi ka gaaya huya. to yeh suno "prabhu ji, tum raakho laaj hamaari".
TB: shrotaaon ki jaankaari ke liye ham bataa den ki Pandit Bhushan ji ka likha huya yeh bhajan raag piloo par aadhaarit hai.
------------ --------- --------- --------- --------- -------
Song: prabhuji tum raakho laaj hamaari (Hospital, 1943)
------------ --------- --------- --------- --------- -------
TB: ye to ho gaye Kamal Dasgupta ji ke film ke gaane. shaayad unhone Gair filmi geeton ke liye bhi bahut kaam kiya tha!
AB: bahut kiya tha aur usmein se main tumko ek bahut hi achchha gaana sunaane waala hoon.
TB: achchha?
AB: haan. dekho, unhone jahaan jahaan bhi gaana tayyaar kiya hai, rachanaa kee hai, wo ras barsaaye hain. aur tumhe ye naam maaloom hai kya, Tapan Kumar kaa naam sunaa tumne?
TB: jee naheen daadaa, wo kaun?
AB: "jee naheen daadaa" ka kya matlab? yeh jo aaj hamaare prasiddha gaayak hain Talat Mehmood, unhone Tapan Kumar ke naam se wahaan par Bangla gaana, aur Hindi/Urdu gaana, dono gaaye hain. achchha yeh suno, is gaane ke naam se shaayad tumko yaad aa jaayegaa, yeh Talat se unhone gawaaya hai, Tapan Kumar ke naam se haan! "tasveer teri dil mera behla na sakegi". tumne yeh gaana sunaa naheen hai?
TB: jee sunaa hai, aur shrotaaon ko bhi sunaa dete hain. saath hi yeh bhi bataa den ki Talat saahab ki yeh pehli 'record' thi, Kamal Dasgupta ne swar niyojan diya hai, aur likha hai Fayyaz Hashmi saahab ne.
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: tasveer teri dil mera behla na sakegi (Non-film, 1944)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
END OF EPISODE 3