|
EPISODE-5
*********
AB: Anil Biswas
TB: Tushar Bhatia
TB: shrotaaon, namaskaar! pichhle kuchh dino se Rasikeshu, is shrinkhalaa mein
ham varishTh sangeetkaar Shri Anil Biswas ji se unake kuchh sangeet ke
saathidaaron ke baare mein kuchh batchit karte aa rahe hain.
AB: main aaj Master Ghulam Haider ke baare mein baat karna chaahoonga jo mere
bahut kareeb ke dost ban gaye the. ab hain nahin hamaare beech, chale gaye,
lekin wohi aadmi the pehli martabaa jo Bombay mein jo aaye the, Punjab ki jo
bhangDaa waali jo masti hai, uski 'rhythm' ko leke aaye the aur phir Bombay ki
film industry mein chhaa gaye. inka tumne woh Khazanchi film ka gaana sunaa
"saawan ke nazaare hain", tumne woh gaana zaroor sunaa hogaa!
TB: jee jee
AB: mere Khayaal se shaayad 'whistling' bhi unhone usi 'picture' mein shuru kiya
tha. jiske baad hamne bhi kiya tha "dheere dheere aa re baadal". achchha woh
gaana sunaate hain tumko, chanchal aur shoKh gaanon mein iska misaal nahin hai.
Ramola aur laDkiyaan 'cycle' pe aati hain, aur phir udhar se laDke aate hain,
aur gaane mein hi no jhonk chal raha hai. "saawan ke nazaare hain aa ha aa ha"
----------------------------------------------
Song: saawan ke nazaare hain (Khazanchi, 1941)
----------------------------------------------
TB: shrotaaon, is gaane mein 'chorus' ke saath jo mukhya aawaazen theen wo theen
Shamshad Begum aur swayam Master Ghulam Haider saahab ki.
AB: ab main unki dosti ke baare mein kuchh kehna chaahta hoon. itne achchhe
aadmi the, itne achchhe dil ke maalik the, main ek baar gaya tha '43 mein, meri
'Kismet' banne ke baad mein, wo sirf sone ke liye ghar jaate the, aur saara din
aur raat hamaare saath bitaate the aur ghar bhi kyaa jaate the. 5 baje jaate the
aur 8:30 baje aa jaate the hamaare saath 'breakfast' karne ke liye. baharhaal,
usmein mera ek laabh kyaa huya maaloom hai, woh jab ham kaam Khatam karke 11
baje faarikh ho jaate the, uske baad mein Bade Ghulam Ali Khan saahab ke ghar
mein jaake wo paanch din tak, tum yakeen jaano, hamaare kaanon mein Bade Ghulam
Ali Khan saahab chaar chaar ghanTon tak amrit barsaate rahe. aur woh jo hai na
hamaare liye itni baDi daan thi jisko main bhulaaye nahin bhulaa saktaa hoon.
yeh ek to unki dosti, aur meraa laabh. tumko yeh baat main zaroor bolna
chaahoonga ki mera ek gaana 'Roti' mein "sajnaa saanjh bhayi sajnaa saanjh bhayi
aan milo aan milo", sunaa tumne?
TB: jee bilkul! Sitara Devi ji ne gaaya hai
AB: jee haan. to yeh gaanaa sun sun ke unhone mujhse yeh kahaa tha ki jaise
Ghalib ne kahaa tha Mir ko ki tu mujhe yeh sher de de aur mujhse saaraa deewaan
le le, aise hi unhone mujhse kahaa thaa ki Anil, tu yeh gaana mere naam kar de
aur maine jo kuchh bhi aaj tak kiya hai tu le le. maine usko ulTaa kahaa thaa,
Zamindar film mein Shanta Apte ka ek gaana tha, "chhup gaye man mein mere o
baalmaa, nainawaa ki sui ooi", maine unse kahaa tha ki tu mera sab gaana le le
aur mujhe woh dil mein chubhne waala sui de de.
TB: kya baat hai! daadaa, kabhi aap dono milke gaana bajaana saath mein hota
tha?
AB: naheen, woh bilkul vyast rehte the, 'piano' ke upar hi baiThe rehte the,
uske upar so jaate the. ek gaana main sunaana chaahta hoon ki kahaan woh "saawan
ke nazaare hain" aur kahaan yeh gaana hai!
-------------------------------------------------------
Clip: tu kaun si badli mein mere chaand (Khandan, 1942)
-------------------------------------------------------
AB: main Punjab ki baat karte karte Punjabiyat mein itna Doob gaya tha ki Punjab
ke ek ratna, Punjab ke hote huye bhi wo Punjab se alag kuchh kehte the, yeh
sangeetkaar the Shyamsundar ji, jo kisi taaruf ke mohataaj nahin hain.
TB: unka koi Khaas gaana jo aapko pasand ho?
AB: Gaon Ki Gori ka gaana hai, Noorjehan ji ka gaaya huya "kis tarah bhulega dil
unka Khayaal aaya huya"
------------------------------------------------
Song: kis tarah bhulega dil (Gaon Ki Gori, 1945)
------------------------------------------------
TB: daadaa, Shyamsundar ji ke aur koi gaane?
AB: unke do gaane shrotaaon aur tumko na sunvaayun to ek bahut hi naainsaafi ki
baat hogi. suniye yeh gaana mere pyaare doston, gaana film Bazar ka hai.
--------------------------------------------------
Song: saajan ki galiyaan chhoD chale (Bazar, 1949)
--------------------------------------------------
AB: ek gaana aur sunaana chaahta hoon jo aap ham aur sangeetkaaron ke liye bhi
ek prerNaa daayak cheez hai. woh gaana hai "bahaaren phir bhi aayengi".
TB: daadaa yeh gaana Lahore film ka hai shaayad!
AB: Lahore film ka hai, yeh gaana suno.
----------------------------------------------
Song: bahaaren phir bhi aayengi (Lahore, 1949)
----------------------------------------------
END OF EPISODE 5
|
"soojoi_india" <soojoi_india@...>
soojoi_india
Offline Send Email
|