|
Fauji bhaiyon, aadaab. Bahut din baad phir aapki mehfil mein shaamil
ho raha hoon. Pehle jab bhi aaya, kabhi rail ki patriyon par bhaagte
huye gaane sunwaye, kabhi bachchonwale gaane bajaaye, loriyaan
sunayee, alag alag kismon ke naghmen sunwaaye. Mujhe mere chahnewalon
ke khat milte hain. Unmein kai yeh shikayat karte hain ki aap jab bhi
radio par aate hain, har baar aap halke phulke gaane hi sunwate hain,
hansaate hain, lekin sanjeeda naghmein jo aapki khaasiyat hai woh
kabhi naheen sunwaate. Aisa kyun? Fauji bhaiyon, aap to sarhadon par
rehte hain, un sarhadon ki baat naheen karte jo dilon mein paida hoti
hai.
Song: Ek subah ek mod par haath badha aye zindegi (Hip Hip Hurray)
Haath badhaa aye zindegi aankh milakar baat kar. Sach to yeh hai ki
zindegi bhi dhokha de jaati hai. Ankhen na jaane kya keh jaati hai,
kuch samajh aaya, kuch naheen aaya, haan lekin kuchh mehsoos zaroor
kar gaye. Miya Javed ke kalam se kuchh yun nikla...
Song: Chehra hai ya chaand khila hai (Saagar)
Naam pataa naheen, aankhon ke liye shabd dhoondte hain, uski tareefen
karte hain. Aise khwaab kiske ankhon se na guzre honge, aise khwaab
ki parchhaaee kiske dil pe na padee hongi.
Song: Ek hi khwaab kai baar dekha hai (Kinara)
Raat beet gayi par khwaab na toota. Khwaab, jo ek hi khwaab tha,
raat, jo ek hi raat thee, raat umra se bhi lambi ho gayi. Aur khwaab
ek chingari bankar sulagne lagi. Aisi ek chingari ko ek shayar ne
kaise arz kiya hai, aur shayar ka naam hain Anand Bakshi.
Song: Chingari koi bhadke (Amar Prem)
Chingari jo sulag rahi thee, ek aag mein badal gayi. Baahar to baadal
motiyaan lutaata raha, aur andar dil jalti rahi raat bhar.
Song: Badi der se megha barsa ho rama jalee kitni ratiya (Namkeen)
Laakh kasmein laakh vaaden kiye, lekin jaanewale kabhi waapas aate
hain kya? Din bhi kat jaati hai, raat bhi kat jaate hain, saans saans
karke umra beet jaati hai, koi gila naheen, koi shikwa naheen.
Song: Tere bina zindegi se koi shikwa to naheen (Aandhi)
Dard ka tanabana bunnewale ne ek julaahe se poochha, aye julaahe, jab
koi dhaaga toot gaya ya khatam ho gaya, ek naye dhaage se jod diya
tune, aur jab kapda tayyaar ho gaya to ek bhi gaanth nazar naheen
aaya. Maine bhi ek rishta buna tha julaahe, par har gaanth usmein
saaf dikhti hai.
Song: Hazaar raahen mudke dekheen (Thodi Si Bewafaai)
Fauji doston, ummeed hai ki maine aapke puraane gile door kar diye,
agli baar aapke naye gile door karoonga, shukriya.
THE END
|