|
BASED ON AN INTERVIEW OF RICHA SHARMA IN "INSE MILIYE" PROGRAMME
BROADCAST ON 13 APRIL 2005. SONGS SELECTED BY THE TRANSCRIPTOR.
Namaskaar, hamaare aaj ke fankaar hain paarshwa-gaayika Richa Sharma.
Song: Kya boya tha aur kya paaya soche baagbaan (Baghban)
Richa Sharma Faridabad ke ek Brahmin parivaar se taallukh rakhti
hain. Unke pita Pandit Dayashankar Upadhyay ek katha vaachak hain
jinko apne vaachan mein gaayiki ka sahara lena hi padta. Unke dadaji
bhi ek gaayak the, ghar mein bhajan krtan ka parivesh tha. Is tarah
Richa Sharma ko sangeet viraasat mein hi mili.
Song: Chhalka chhalka re kalse ka paani (Saathiya)
Richa ne aath varsh ki aayu se hi bhajan gaana shuru kiya aur dheere
dheere sangeet mein doobti chali gayeen aur ek din yeh nishchit kar
liya ki unhe ek gaayika hi banna hai. Aayiye ab sune Shankar
Mahadevan ke saath unka gaaya film Kuch Na Kaho ka yeh geet
Song: Kehti hai yeh hawa (Kuch Na Kaho)
Richa Sharma ne apni pehli taalim lee apne pita se. Kai dhaarmik
anushthaano mein unhone gaana shuru kiya. Phir sangeet ki vidhivat
shiksha ka shubharambh kiya Dilli ke Gandharva Vidyalay se. Aur aage
chalkar Pandit Aaskaran Sharma ko gurudhaaran kiya. Richa Sharma se
judee kuchh aur baaten hum aapko batayenge, lekin ussey pehle suniye
film Ab Ke Baras ka yeh geet jise Richa ne Sukhwindara Singh aur
Sunidhi Chauhan ke saath milkar gaaya hai.
Song: Aaya maahi aaya maahi (Ab Ke Baras)
Richa ne kabhi yeh naheen socha tha ki unhe Mumbai aana hai ya phir
ek playback singer banna hai. Unka lakshya tha bas ek gayika banna.
Lekin unke gaayki ko sunkar logon ne unhe kahaa ki unhe kuchh aur
karna chaahiye. Aur tab unhone raasta pakdaa Mumbai nagri ka. Richa
Sharma ko pasand hai light music par unka yeh bhi maanna hai ki
pasand chaahe kisi bhi sangeet ka ho par har aadhaar mazboot honi
chaahiye aur jiske liye shastriya sangeet seekhna behad zaroori hai.
Song: Tohe leke sanwariya nikal chali re (Soch)
Richa Sharma ka pehla filmi geet tha Sawan Kumar Tak ke liye. Huya
yun ki woh Mata ki chauki ka ek programme kar rahi theen. Sawan Kumar
ne unhe suna aur unke gayiki se prabhaavit hokar unko yeh vaada kar
diya ki apne film mein unhe gaane ka mauka zaroor denge. Sawan Kumar
ne apna vaada poora kiya jab unhone Richa Sharma se gawaaya apni film
Salma Pe Dil Aa Gaya ka yeh background song. Sangeetkaar Aadesh
Srivastava.
Song: Mohabbat aisi mehendi hai (Salma Pe Dil Aa Gaya)
Richa Sharma ek versatile singer hain. Aayiye kuch aise geeton ke
namoone sune jisse aapko is baat ka andaaza ho jaayega. Yeh hai film
Zubeida se ek thumri jise sunkar Richa Sharma ke shastriya gaayan
mein dakshata ka anumaan lagaaya jaa sakta hai.
Song: Saiyan chhodo mori baiyaan (Zubeida)
Lalit Sen ke sangeet nirdeshan mein film Hera Pheri ka yeh masti
bhara geet.
Song: Tun tunak tun (Hera Pheri)
Film Tarkeib ka yeh thirakta huya naghma
Song: Dupatte ka pallu (Tarkeib)
Paarshwa gaayan ke saath saath Richa Sharma bahut saare stage shows
aur anchoring bhi karti hain. Unko to aapne televison par Antakshari
karte huye dekha hi hoga.
Song: Kamli kamli (Deewanapan)
Hamare aaj ke fankaar theen paarshwa-gayika Richa Sharma. Unko Vividh
Bharati parivaar ki or se bahut bahut shubhkaamnaayen. Ab yeh
karyakram yaheen khatam hota hai, namaskaar.
THE END
|