|
Sabhi sunnewaalon ko namaskaar.
Song: Aaj hamare mann mein sakhi bansuri bajaye koi (Aan)
Hamare aaj ke fankaar hain suprasiddha shaayar aur geetkaar Shakeel
Badayuni.
Song: Teri mehfil mein kismat aazmaakar hum bhi dekhenge (Mughal-e-
Azam)
Shakeel Badayuni ke likhe filmi geet jitne lokpriya hain utne hi
lokpriya hain unke gaaye gair filmi ghazlen.
Song: Door hai manzil raahen hai mushkil aalam hai tanhayee ka (Non-
film Ghazal)
Shakeel Badayuni ka janm Uttar Pradesh ke Badayun mein 3 August 1916
ko huya tha. Shakeel sahab ke pita ne unhe Arbi, Farsi,
Hindi aur Urdu ki taalim dilwayi. Lucknow us samay guni shayaron ki
nagri huya karti thee. Unke aas paas literary mahaul tha. Apni
paarivaarik prishthabhoomi mein bji shayari ka maahaul tha jisne unhe
aage badhne mein madad kee.
Song: Bachpan ke din bhula na dena (Deedar)
Us samay shayari paarampaarik huya karti thee. Shakeel sahab Hazrul
Zia-Ul Qadri se kaafi prabhaavit the. Jab we Aligarh University
mein padh rahe the unhone Inter University Shayari Competition mein
apne university ko jeet hasil karwaayi. Yeh baat thee san 1936
ki. College ki is dino mein Shakeel sahab waqt aur haalaat parlikha
karte the. Baad mein zindegi ke naazuk vishayon par apni shayari
o dhaala.
Song: Jogan ban jayungi saiyan tore kaaran (Shabaab)
Song: Chaudhveen ka chaand ho (Chaudhveen Ka Chaand)
Song: Hamare dil se na jaana dhokha na khaana duniya badi beimaan
(Udan Khatola)
Padhaai khatam kar unhone Dilli mein Supply Department mein naukri
kar lee. Saath saath unhone apni shayari ko bhi jaari rakha aur
unki shohrat badhti chali gayi. Sabhi khoobiyaan liye Shakeel sahab
ki shayari badhti rahi unchaaiyon par.
Song: Do sitaaron ka zameen par (Kohinoor)
Shakeel Badayuni ke jeevan mein naya mod aaya us samay jab unhone
naukri chhodkar 1946 mein Mumbai ka rukh kar liya. Yahaan
aakar we apne kalam ka kamaal dikhaane lage filmi geeton mein. Kisi
bhi situation ya mood ko bade kaamyaabi ke saath pesh karke
we aam janta ke bhi pasandida geetkaar ban gaye.
Song: Tu ganga ki mauj (Baiju Bawra)
Song: Panchhi ban mein piya piya gaane lagaa (Babul)
Song: Nagri nagri dware dware ghumoon re sanvariya (Mother India)
Sangeetkaar Naushad sahab ke saath unki jodi khoob jamee. Shakeel
Badayuni aur Naushad ki jodi film sangeet itihaas ki prachalit
jodiyon mein se ek hai. Naushad sahab ki sureeli dhun aur Shakeel
sahab ke asardaar bolon se sajee is mashoor bhajan ki to kya
baat hai. Pesh kiya hai Rafi sahab ne.
Song: O duniya ke rakhwale (Baiju Bawra)
Kai baar Shakeel Badayuni ko Filmfare Puraskaar se sammaanit kiya
gaya.
Song: Kahin deep jale kahin dil (Bees Saal Baad)
Song: Jaanewaale se mulaaqaat na hone payee (Amar)
Song: Mera bichhda yaar mila de (Sohni Mahiwal)
Shakeel Badayuni ke shayari ki, unke geeton ki ek alag hi style raha
hai. Unka andaaz baras dar baras bilkul waisa hi hai.
Song: Yeh zindegi ke mele (Mela)
Hamare aaj ke fankaar the geetkaar aur shayar Shakeel Badayuni. Ab
deejiye ijaazat, namaskaar.
THE END
|