1977
Jannat ki nazaron se nyaare hain,.... aap phoolon se bhi pyaare hain,
fauji bhaiyon, ek shaayar isse zyaada aapki taarif mein aur kya keh
sakta hai? Aap log peechle 28 saalon se mere geet sun rahe honge.
Filmi zubaan mein main geetkaar hoon aur Urdu zubaan mein ek
shaayar. Aaj main apne pasand ke kuch naghmon se aapka manoranjan
karne ki koshish karoonga, to suniye pehla geet.
Song: Haath chhudake mere haathon se (Gumrah)
29 saal pehle Fazli Brothers ne film Duniya ke liye gaane likhne ko
bulaya, aur main Bhopal ki galiyon mein ghumnewala Bambai aa gaya,
aur aaj tak 2000 gaane likh chuka hoon. Aaj bhi main yahaan pane aap
ko ajanabi mehsoos karta hoon, par kabhi koi mujhse kehta hai ki...
Song: Ajanabi tum jaane pehchaane se lagte ho (Hum Sab Ustad Hain)
Fauji bhaiyon, hamesha se yeh charcha ka vishay raha hai ki
geetkaaron ka masala kya khatam ho gaya hai? Ab sawaal yeh hai ki yeh
masala aata kahaan se hai? Yunhi raah chalte koi musafir nazar aa
gaya, khoobsurat koi hansta huya chera nazar aa gaya, aur jo kuchh
samajh aaya woh pesh karta hoon.
Song: Hansta hua noorani chehra (Parasmani)
Yeh hanste huye chehre bhi kaise kaise kaam kar jaate hain! Par bure
waqt mein to apne bhi paraaye lagte hain, jo bewafa naheen woh bewafa
se lagte hain.
Song: Tere pyar ne humein gham diya (Chhaila Babu)
Fauji bhaiyon, ab ek waqya bhi sun leejiye. Main ek baar sangeetkaar
Usha Khanna ke ghar gaya, wahaan par unki ek bahut khoobsurat saheli
baithi huyi theen, aur main unhe dekhe jaa raha tha. Usha ji ne
mujhse poochha ki kya dekh rahe hain, maine jawaab diya ki inhe to
saara zamana dekhta hoga. Unki saheli sharma gayi, aur Ushaji ne
mauke ka faayda uthakar mujhse ek geet likhwa liya, woh geet aapko
sunaata hoon.
Song: Bahut haseen ho bahut jawaan ho (Main Wahi Hoon)
Fauji bhaiyon, abhi tak to maine apni baat keh raha tha, ab kuchh
filmi baat karne ko jee
chahta hai. Ek zamana tha jab film sangeet zindegi ke kareeb huya
karti thee, geeton mein hum apni zindegi dekha karte the. Lekin aaj
zamana aur film dono hi bahut badal gaya hai. Khair, ab aap suniye
Usha Khanna ka swarbaddha kiya yeh geet.
Song: Sau baar janam lenge (Ustadon Ke Ustad)
Fauji bhiayon, Do sher mulaiza keejiye - Khwaabon se khayaalon se
haqeeqat bahut achchhi, Jannat se mere ghar ki angnaai bahut achchhi,
Ahsaas ke sheeshe pe kyun dhool chadhaate ho, Naadaano ki sohbat se
tanhaai bahut achchhi. Baat sohbat ki jab aa gayi hai to aapko bataa
doon ki geetkaar ka sohbat sangeetkaar se sabse zyaada hoti hai.
Maine ab tak naye puraane lagbhag sabhi sangeetkaaron ke saath kaam
kiya hai jaise C.Ramchandra, Hansraj Behl, Shyam Sundar, Naushad,
Husnlal Bhagatram, Chitragupt, Ganesh, Laxmikant Pyarelal, Kalyanji
Anandji, Ravi, aur Usha Khanna. Bahut hi dostana maahaul mein in sab
ke saath maine kaam kiya. Ab tak jo geet maine aapko sunaaye woh mere
pasand ke the, ek aur pasandida geet sun leejiye.
Song: Koi pyar ki tohe deke sanvariya (
Ab jo geet main aapko sunwane jaa raha hoon, uske saath bhi ek ajeeb
waqya judaa huya hai. Gaane ka jo situation tha, hum sab pareshaan ho
gaye the, 15 din guzar gaye lekin koi baat naheen ban rahi thi.
Laxmikantji, main aur baaki sab log baithe the, ittefaq se meri ek
ghazal mujhe yaad aayi. Jab maine isey director sahab ko sunaaya to
we bole ki mujhe to yahi ghazal chahiye. Woh ghazal thi "Hum
kashmakashe gham se guzar kyun naheen jaate". Laxmiji ne kaha ki isey
kaun samjhega? Lekin aakhirkaar ghazal waisa hi rakha gay aur baad
mein logon ne mujhse poochha ki is zamaane mein aapne aisa geet kaise
likh diya.
Song: Hum kashmakashe gham se guzar kyun naheen jaate (
Fauji bhaiyon, ab waqt kam baaten zyaada hain. Mera janm huya aur
Asadullah naam rakh diya gaya, watan se main bhi utni hi mohabbat
karta hoon jitna aap karte hain. Aaj maine apni baaton se, apne
ashaar se aur apne geeton se aapka dil bahelaane ki koshish kee hai,
ab chalte chalte yeh geet bhi sun leejiye.
Song: Dil ka soona saaz tarana dhoondega, mujhko mere baad zamana
dhoondega (Ek Naari Do Roop)
THE END