Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Vishesh Jaimala - Mohd Aziz   Message List  
Reply | Forward Message #804 of 2473 |
2005

Fauji bhaiyon, aap ke saamne aap ka yeh naacheez 'playback singer'
mukhaatib hai, aap ka desh ke liye pyar, wafaadaari aur 'dedication'
ki taarif mein har lafz kam hai. Aap ki shukriya adaa karne mein main
kya aur meri aukaat kya? Desh ke sachche wafaadaar to aap hain, hum
to bas kehne ke hain. Hum sote hain, uthte hain, 'long drive' pe
jaate hain, hotel-ol mein khaana khaate hain, aur aap apne maa-baap,
gharwaalon ko chhodkar jangalon mein, pathreele raaston mein ghoom
rahe hain, desh par apna jaan de rahe hain. Mujhe ek bahut badaa
saahityakaar hona padegaa aap ki taarif karne ke liye, aap ki taarif
ke liye mere paas koi alfaaz naheen hai. Yeh meri bahut badi
khushnaseebi hai ki is chhote se kalaakaar ko itna badaa kaam saunpaa
gaya hai ki aapka main manoranjan karoon. Zehnaseeb! Aap ka bhi
shukriya ki aap mujhe is waqt sun rahe hain. Maine kai desh bhakti ke
gaane gaaye hain, yakeen hai aap bhi jaante honge. Misaal ke taur par
film Karma ka "Har karam apna karenge ae watan tere liye". Mujhe
khushi hogi agar aap yeh gaana sunenge to.

Song: Har karam apna karenge ae watan tere liye (Karma)

Mera filmi safar 20 saal ka raha hai, 1984 se, 21 saal ho gaye, main
bachpan se Rafi sahab ka bhakt raha hoon, aaj bhi unka ek chhaatra,
student. Mera sangeet ka caravan unhi ko sunkar chalaa, unse bahut
kuchh seekhaa. Woh mere roohaani ustaad hain, unke bahut gaane mujhe
pasand hai. Unka ek gaana mujhe behad pasand hai, film Chitralekha se.

Song: Man re tu kaahe na dheer dhare (Chitralekha)

Ab zaraa sa aap ka 'mood' banaata hoon. Har waqt yeh dukhi gaane
sunaakar aap ko main pareshaan karna naheen chaahta. Ek film aayi
thi - Ram Lakhan, jisme Madhuri vagerah the. Is film ke geet
bade 'popular' huye the aur main bhi 'popular' ho gaya tha (laughs).
To suniye yeh geet.

Song: My name is Lakhan (Ram Lakhan)

Haan fauji bhaiyon, kaisa lagaa? Pataa hai jab bhi yeh geet kisi show
mein gaata hoon to logon ka achchha 'response' miltaa hai aur do teen
baar gaana padta hai. Ab suron ki devi, jo is 'industry' ke liye
vardaan hai, kuchh logon ka kehna hai ki woh saakshaat Saraswati
hain. Meri khushnaseebi hai ki unke saath maine kai gaane gaaye hain
aur kai shows bhi kiye hain. To unke gaaye hazaaron geeton mein se ek
geet chunkar laaya hoon. Ab yeh gaana thoda 'uncommon' hai, lekin
isliye maine chuna hai taaki agar aap bhool gaye hain to yaad aa
jaayega. Film Baharon Ki Manzil ka yeh geet hai.

Song: Yeh daaman ab na chhootega chaahe khafaa tum ho (Baharon Ki
Manzil)

Aap ko meri pasand ka andaaza ho gaya hoga! Main ek
achchha 'listener' hoon na? Usi Mangeshkar 'family' mein ek aur
shakhs hain jinke baare mein kuchh kehne ke liye mere paas alfaaz
naheen hai. Ashaji aisi 'versatile singer' hain jinke jaisa na paida
huya hai aur na hoga. Unke saath bhi maine bahut gaane gaaye hain. Ek
film thi Mithunda ki, Muddat, ismein Ashaji ke saath ek gaana gaaya
tha, suniye, aashaa hai aap ko bhi pasand aayega.

Song: Pyar hamara amar rahega yaad karega jahaan (Muddat)

Fauji bhaiyon, aap ko yaad hai film Nagina? Aapne zaroor dekhi hogi
yeh film agar aap kaam pe naheen honge to. Waise woh daud chhuttiyon
ka hi tha jab koi jung naheen chal rahi thi, koi afra-tafri naheen,
(sings) "Aajkal yaad kuchh aur rehta naheen ek bas aap ki yaad aane
ke baad, yaad aane se pehle chale aayiye aur phir jaayiye jaan jaane
ke baad".

Song: Aajkal yaad kuchh aur rehta naheen (Nagina)

Hamaare Govinda-ji, sabke chahete, 'popular', jinme hai 'variety'
aur 'comedy'. Maine unke liye bhi bahut saare gaane gaaye hain. Aisa
hi ek gaana tha film Khudgarz mein, (sings), May se meena se na saaqi
se na paimaane se, dil bahelta hai mera aap ke aa jaane se".

Song: Aap ke aa jaane se (Khudgarz)

Waqt ki badi paabandi lagaa dee gayi hai fauji bhaiyon. Kabhi phir
zindegi mein mauka milegaa to aap ke saamne baithkar gaane gaayunga,
pataa naheen mauka aaye na aaye. Yahi dua karta hoon ki aap maidaan
jeetkar apne apne ghar jaayen bade shaan-o-shaukat ke saath. Jaate
jaate ek aisa gaana pesh kar raha hoon jisme aap ke shaan-o-shaukat
ki hi baat kee gayi hai. Khuda haafiz, Jai Hind!

Song: Kar chale hum fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)

THE END





Wed Dec 7, 2005 3:02 pm

soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email

Forward
Message #804 of 2473 |
Expand Messages Author Sort by Date

2005 Fauji bhaiyon, aap ke saamne aap ka yeh naacheez 'playback singer' mukhaatib hai, aap ka desh ke liye pyar, wafaadaari aur 'dedication' ki taarif mein har...
soojoi_india
Offline Send Email
Dec 7, 2005
3:02 pm
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help