shrotaaon, suron ki malika Suraiyya ab hamare beech naheen raheen.
aaj ka yeh kaaryakram hum samarpit kar rahe hain unhi ki smriti ko.
Song: Tera khayaal dil se bhulaaya na jaayega (Badi Bahen)
Suraiyya Jamal Sheikh, 'silver screen' ki is naamcheen adaakaara aur
suron ki is malika ka janm Lahore mein san 1929 mein huya tha.
sangeet ki koi vidhivat shikshaa unhone naheen lee. baawjood iske
barson baras apni awaaz se shrotaaon ko madhosh karti raheen.
Song: Ek tu hai ek main hoon aur nadiya ka kinara ho (
Suraiyya ne gaayan ki shuruaat All India Radio se kee theen.
Suraiyya speaks: Madan Mohan-ji mere paDosi huya karte the,
woh 'radio' par 'children's programme' kiya karte the. unhone hi
mujhe kheench-taan kar yahaan le aaye. us samay Vividh Bharati naheen
tha. Z A Bukhari 'Station Director' the. main, Madan Mohan aur Raj
Kapoor kai saalon tak har 'Sunday' bachchon ke liye 'programmes karte
rahe. usmein hum filmon ke gaane 'copy' karke gaate the.
meri 'singing career' shuru huyi All India Radio se hi.
Song: Murliwaale murli bajaa sun sun murli naache jiya (
sangeetkaar Naushad ne 13 varshiya Suraiyya ko san 1942 mein film
Sharda mein gaana gawaaya jo abhinetri Mehtab par filmaya gaya tha
aur geet ke bol the "panchhi jaa"
Song: Panchhi jaa peechhe rahaa hai darpan mera (Sharda)
1943 mein Bombay Talkies ki film Hamari Baat mein abhinay aur gaayan
kiya. unke maamu Zahoor Baksh ek jaanemaane abhineta the. ek baar
unke saath Prakash Pictures ki film Taj Mahal ke 'set' par us film ke
nirdeshak Nanubhai Vakeel ne Suraiyya ko dekha aur unmein yuva Mumtaz
Mahal ki jhalak milee, aur Suraiyya pahunch gayeen 'shooting' ke liye
Dilli ke Lal Qile mein jahaan se janam huya ek cine-taarika ka.
Song: Tere naino ne chori kiya mera chhoTa sa jiya (Pyar Ki Jeet)
Suraiyya apne samay ki behad lokpriya adaakaara reh chukeen hain,
unki ek jhalak paane ke liye log ghanTon tak unke ghar ke saamne
khaDe rehte. unki film Pyar Ki Jeet pradarshit hone ke baad unke ghar
ke saamne ek 'police inspector' aur chaar 'constables' ki 'duty'
lagaaee gayi thi unhe bheeD se bachaane ke liye. aur film Badi Bahen
ke 'premiere' ke waqt to 'laathi charge' ki naubat aa gayi thi.
Song: O likhnewaale ne likh dee meri taqdeer mein barbaadi (Badi
Bahen)
Suraiyya ne All India Radio se shuruwaat kee apne gaayan ki. film
Sharda mein gaane ke baad unhone Station Master, Sanjog aur Kanoon
jaisi filmon mein apni awaaz dee. aur jab abhinay ke kshetra mein
aayeen to poori tarah se chhaa gayeen. K. Asif ki fim Phool mein
unhone abhinay kiya, uske baad unki kai charchit filmen aayi jaise
Samrat Chandragupta, Anmol Ghadi, Aaj Ki Raat, Dillagi, Afsar,
vagerah. Suraiyya Kundan Lal Saigal ki bahut baDi 'fan' theen. ek
baar Jayant Desai ki film Samrat Chandragupt ke ek geet
ki 'recording' mein Saigal saahab ne Suraiyya ko gaate huye sunaa,
aur phir apni agli film Tadbir ke liye unhe abhinetri chunne ka
sujhaav diya. is tarah se Suraiyya ka Saigal saahab ke saath kaam
karne ka sapna poora huya. Tadbir ke alaawa Suraiyya ne K L Saigal ke
saath Umar Khaiyyam aur Parwana filmon mein bhi kaam karne ka mauka
milaa.
Song: Mere munDher na bol jaa kaagaa jaa (
Suraiyya ko Hollywood ke jaanemaane abhineta Gregory peck se milne ka
mauka haasil huya tha jinki woh bahut baDi 'fan' theen.
Suraiyya speaks: Gregory Peck Hotel Ambassador mein Thehre the. Nasir
saahab ne unke liye 'party' rakhi thi. Nasir saahab ne unse 'request'
kiya ki agar aap Suraiyya se ek baar milen to behtar hogaa kyunki
Nasir saahab jaante the ki main Gregory Peck ki bahut baDi 'fan'
hoon. isse pehle main aapko bataa doon ki san 52 ke film festival
mein Hollywood ke 'director' Frank Capra aaye the. baatchit ke
dauraan maine unse kaha Gregory Peck ki filmen mujhe bahut pasand hai
aur aap unse yeh zaroor keh deejiyega. aur phir jab Mr.Capra ne mera
photo aur pataa le jaakar Gregory Peck ko diya to unhone mujhe ek
khat likha ki agar mauka huya to Hindustan aakar aapse zaroor
mulaaqaat karoonga. lekin main to yeh samjhee thi ki woh kya aayenge
aur kya mulaaqaat karenge! phir do saal baad ek din main film Bilwa
Mangal ki shooting se thaki-haari aayi aur so gayi. raat ke kareeb 12
baje mummy mujhe jagaane lagi ki "utho utho dekho baahar kaun aaya
hai, Gregory Peck tumse milne aaya hai". mujhe to yakeen hi naheen
huya. maine kahaa ki kya aaj 1st April hai jo aap mere saath 'April
Fool' kar rahi hain. unhone kahaa ki naheen sachmuch regory Peck
tumse milne aaye hain, jaldi se tayyaar hokar neeche aa jaayo. pehle
main khwaab samjhee, magar jab neend tooti to yeh haqeeqat thi. main
unke saamne gayi to 'I was so nervous, I was so thrilled that I
diodn't know what to say!'
Song: Manmor huya matwala kisne jaadoo Daala (Afsar)
A R Kardar ki film Sharda se Suraiyya ke filmi gaayan ka shubhaarambh
huya tha. aage chalkar A R Kardar aur Suraiyya ki joDi ne Dard,
Dillagi, Dastan aur Deewana jaisi charchit filmen humein dee. Mehboob
Khan ki film Anmol Ghadi mein Suraiyya 'second lead' mein theen, par
unke jaadoo se koi bach naheen sakaa.
Clip: Sochaa tha kya, kya ho gaya (Anmol Ghadi)
1948 aur 49 Suraiyya ke filmi jeevan ke do behtareen saal rahe. is
dauraan unki teen 'hit' filmen aayi - Pyar Ki Jeet, Badi Bahen aur
Dillagi.
Clip: Leke dil chupke se kiya majboor haaye (Dillagi)
Suraiyya un dino 'highest paid star' ban gayeen. Dharmendra un dino
meelon ka faaslaa tay karke Suraiyya ki filmen dekhne jaaya karte
the. Dillagi unhone kuchh 40 baar dekhaa tha. sangeetkaar Husnlal
Bhagatram ke liye Suraiyya ne kai geet gaaye.
Clip: Mera dildaar na milaya (
Raj Kapoor Suraiyya ke bachpan ke dost the. unke saath san 1950 mein
Suraiyya ne film Dastan mein kaam kiya.
Clip: Aaya mere dil mein tu (Dastan)
apne behad chahete dost Dev Anand ke saath Suraiyya ne kul 6 filmon
mein kaam kiya. yeh filmen hain - Vidya, Jeet, Shayar, Afsar, Neelu
aur Do Sitare.
Clip: Mujhe tumse mohabbat hai (
1954 mein banee Minerva Movietone ki film Mirza Ghalib Suraiyya ki
ullekhniya filmon mein ginee jaati hai.
Clip: Yeh na thee hamaari kismat (Mirza Ghalib)
Suraiyya ne Mukesh ke saath film Mashooka mein aur Talat Mahmood ke
saath Nitin Bose ki film Waris mein kaam kiya tha.
Clip: Raahi matwaale tu chheD ek baar (Waris)
1963 mein Suraiyya ne film Rustam Sohrab mein sangeetkaar Sajjad
Hussain ke liye kai yaadgaar geet gaaye. iske baad unhone gaana band
kar diya, lekin unke geeton ne goonjna band naheen kiya aur na hi
kabhi yeh silisila rukegaa. Vividh Bharati parivaar ki or se aur is
parivaar ke kaDoDon shrotaaon ki or se Suraiyya-ji ko vinamra
shraddhaanjali, jinka yeh pooraa desh deewana hai.
Clip: Yeh kaisi ajab daastaan ho gayi hai, chhupaate chhupaate bayaan
ho gayi hai (Rustam Sohrab)
THE END