Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Messages 1779 - 1808 of 2473   Newest  |  < Newer  |  Older >  |  Oldest
Messages: Show Message Summaries   (Group by Topic) Sort by Date v  
#1808 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Feb 10, 2008 10:51 am
Subject:: "Badi bahen maa ke samaan hai" - Asha Bhosle
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Asha-ji, jab aap 'public' mein didi Lata Mangeshkar ke baare mein baat
karti hain to shraddha, aadar aur pyaar ke saath karti hain, magar suna
hai ki aapke sangeet ke kshetra mein aap dono ki, kya kehte hain,
kashmakash, kuchh kuchh, 'rivalry' hamesha rahi hai, to yeh bataaiye
Asha-ji ki haqeeqat kya hai?

Asha: hamko jo seekhaaya gaya hai bachpan se, hamein yahi seekhaaya
gaya, baDi bahen maa ke samaan hai, aur jab bhi woh saamne aaye to uske
pair chhoonaa, baahar jaate samay pair chhoona, ghar mein aate samay
pair chhoonaa, usko maa ke jitnaa maan denaa. aur bachpan se chaahe woh
galat ho yaa kuchh kahe, uske saamne kabhi jawaab naheen denaa. aur
hamaare ghar mein aaj tak, ham 5 bhaai bahene hain, usmein did sabse
baDi hain, aaj tak kisi bhi bhaai ne yaa kisi bahen ne usko ulTaa
jawaab poochha naheen hai.

Complete transcript of this programme COMING SOON!

#1807 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Feb 5, 2008 10:20 am
Subject:: VB50: Anmol Moti - 20 (Ahmed Wasi)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Lyricist Ahmed Wasi speaks on composers & plays one of his songs from
Yatra composed by Khayyam


Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1806 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Feb 5, 2008 10:16 am
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 15)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 15
----------

KS: Pyarelal-ji, aaj ke is kaaryakram mein main aapka bahut bahut
swaagat kartaa hoon, namaskaar!

PL: namashkaar jee, bahut bahut namashkaar!

KS: Pyare-ji, Lata-ji ki baat hamne kee, Lata-ji ki bahen Asha-ji,
woh bhi bahut 'versatile', aur unhone bhi bahut yogdaan diya hai. aur
unhone bhi gaane aapke sangeet nirdeshan mein gaaye hain. Asha-ji ka
kaise moolyaankan karte hain, kaise unki pratibhaa ka?

PL: kya baat hai, 'actually' kya hai, dekhiye, yeh do do akshar jo
hain, yeh bahut kam hote hain, yeh Lata-ji jo hain, aise hi main Asha-
ji ke liye baat kar raha hoon, waise hi Rafi saahab. Lata, do shabd,
Asha, do shabd, Rafi, do shabd, aise naheen, aur 'singers' bhi hain,
lekin Asha-ji ki kya baat hai. waise hamein kam maukaa milaa unke
saath gaana kare, aur unke gaane ham jo sunte hain, hamaare bhi sunte
hain aur bhi jo unhone gaaye hain woh bhi sunte hain to unmein kitni
Khoobiyaan hain, sab gaane achchhe, bahut achche gaaye hain. kya hai
na, ham log bhi thoDe se woh hain, ki jo achchhe gaane Lata-ji ko hi
de dete hain, aur jo aise gaane hain, woh hamaari galati hai kyunki
ham, jaise Lata-ji, waise Asha-ji. (KS laughs)

-------------------------------------------------------------------
Song: hai laakh sitam manzoor hamein bas ek inaayat ho jaaye (ADBK)
-------------------------------------------------------------------

PL: Asha-ji ko main utni hi izzat detaa hoon jitni Lata-ji ko detaa
hoon, farak itnaa hai ki hamne unke saath kaam kam kiya hai, lekin
agar aap dono ko tolen to dono 'gold' 100% hain. Lata-ji agar Lata-ji
hain to Asha-ji Asha-ji hain. itnaa hai ki ham Asha-ji se ham thoDaa
Darte hain, bahut gussewaali hain woh (laughs).

KS: Pyare-ji, koi gaana jo unhone aapke liye gaaya aur aapko bahut
pasand hai.

PL: "khat likh de"

KS: Aaye Din Bahaar Ke

----------------------------------------------------------------
Song: Khat likh de saanvariya ke naam baabu (Aaye Din Bahaar Ke)
----------------------------------------------------------------

KS: 'male singers' ki baat karen to Mukesh-ji ne bhi, Milan mein
jaise...

PL: dekhiye, 'M' 'letter' jo hai, yeh sab 'singers' ke liye diya gaya
hai. aap kisi bhi 'singer' ka naam leejiye, Lata Mangeshkar leejiye,
Asha Mangeshkar leejiye.

KS: Mohd Rafi hain, Mahendra Kapoor hain, Mukesh hain

PL: jee haan, to 'M letter' jo hai, inka madhyam jo hai woh 'pure' hai

KS: aur 'music' bhi juDaa huya hai, 'music' mein bhi 'M' hai.

PL: wohi bataa raha hoon, madhyam, main bahut maanta hoon in sab
cheezon ko, 'La ta Man ge sh ka ra', kitne ho gaye, saat, yaani saat
sur.

--------------------------------------------------
Song: ham tum yug yug se yeh geet milan ke (Milan)
--------------------------------------------------

KS: naubat aayi aisa kabhi aapke saamne ki aapko lagaa ho
isey 'challenge' ki tarah lenaa chaahiye?

PL: har ek cheez ko hamne aise hi liya hai, 'seriously' liya hai. aur
chhoTaa 'producer' bhi hain to yeh naheen ki ham woh bolen, aapko
kabhi agar waqt mile, to Mr K D Shorey hain, unhone 2 yaa 3 'picture'
banaaee thi hamaare saath mein, aur unko hamaari hi 'music' pasand
hai. unki aap sab gaane suniye, unko bahut shauk hai 'music' ka, Mr K
D Shorey. unke liye kya kya gaane hamne banaaye hain, 'challenge'
agar bolenge to 'challenging' naheen, dekhiye, aisa lagaa ki kya
karna chaahiye, jaise "dard-e-dil", samjhe, to "dard-e-dil"
kis 'type' ka gaana hai, aur uska 'rhythm', uska 'music',
uska 'pattern', aur Subhash Ghai ne kitna achchha 'picturize' kiya
hai.

KS: Karz ka

PL: Karz ka, (sings) "aur thoDi der mein bas", dekhiye, kahaan se
kahaan, "dard-e-dil" se shuru hotaa hai, aur kahaan se kahaan "aur
thoDi der mein", yeh sab cheezen bahut kaam karti hai.

-----------------------------------------------------------
Song: dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaaya aapne (Karz)
-----------------------------------------------------------

PL: ek baat aur kahoon main, yeh jo 'picture' thi Sati Savitri,
ismein ek gaana hai, ek 'picture' ban rahi thi Bhagwan Mistry ki,
Raam Baan, yaa koi aur, yaad naheen mujhe, Raam ke upar
baDi 'picture' ban rahi thi, 'coloured picture', usmein ek gaana tha,
usmein 'music' kar rahe the Vasant Rao Desai, Bharat-ji gaana likh
rahe the. ab yeh gaana jo hai, main isliye keh raha hoon, ki yeh
gaana jo hai unhone us 'film' ke liye likha tha, Raam aur Seeta gaate
hain, to woh gaana na wahaan par huya, aur ek jagah de rahe the
Bharat-ji, naheen huya, unhone kahaa ki 'beTe', bahut pyaare karte
the ham logon ko, 'tum log yeh gaana 'compose' karo'. to yeh gaana
hamne baad mein 'compose' kiya, likha pehle hai, dhun baad mein bane.

----------------------------------------------
Song: tum gagan ke chandrama ho (Sati Savitri)
----------------------------------------------

PL: yeh, aap bolenge ki main kyun bol raha hoon, lekin sab bolte hain
ki 'pehle achchha tha, ab achchha naheen hai', yeh Galat baat hai,
woh cheez ko bhi saraahiye, satyug, kalyug (laughs), yaa hamaare
daada aise the, aajkal ke bachche aise hain, lekin kya hai na hamko
unke saath jaana paDtaa hai. main aapko bataayun ki us zamaane mein
kya hota tha ki 'orchestra' baDaa 'use' karte the, lekin 'equipment'
jo hota tha, woh bahut kam hote the. chaar 'track' hi huya karte the.
to mujhe achchhi tarah yaad hai ki ek 'track' ham 'voice' ke liye
dete the, ek 'track' mein Dholak tablaa de rahe hain, do 'tracks' ke
andar jo 'solo instruments, violins', yeh, woh, 'brass', jo bhi
hai, 'track' rakh len. abhi to aap dekhiye, jitna chaahe baDhaa sakte
hain.

--------------------------------------------------------
Clip: Prelude piece of "Khat likh de saanvariya ke naam"
--------------------------------------------------------

END OF EPISODE 15

#1805 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Feb 5, 2008 10:14 am
Subject:: Sargam Ke Sitare - Shantanu Moitra & Swanand Kirkire (Part 1-1)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
SARGAM KE SITAARE

INTERVIEW OF LYRICIST SWANAND KIRKIRE & MUSIC DIRECTOR SHANTANU MOITRA


PART 1

SM: Shantanu Moitra
SW: Swanand Kirkire
MS: Mamta Singh

------------------------------------------------------
Clip: Prelude of "kaisi paheli zindegaani" (Parineeta)
------------------------------------------------------

MS: doston, Sargam Ke itaare kaaryakram mein aaj hamaare saath ek
sargamee joDi hai. joDi ek naujawaan geetkaar aur sangeetkaar ki, jo
chhoTe shahron mein chhoTe chhoTe sapne dekhaa karti thi.

---------------------------------------
Clip: dil ki jo baaten hain (Parineeta)
---------------------------------------

MS: pehchaana aapne? jee haan, hamaare saath hain geetkaar Swanand
Kirkire aur sangeetkaar Shantanu Moitra. aaj ham inke zindegi ki
charcha karenge, aaiye Swanand-ji, aapka bahut swaagat hai, aaiye
Shantanu-ji, aapka bhi bahut swaagat hai, namaskaar!

SM: namashkaar

SW: namaskaar, shukriyaa.

MS: aapko kaisa lag raha hai Vividh Bharati ke 'studio' mein aakar?

SM: bahut dino se shauk tha yahaan par aayungaa, pehli baar aa raha
hoon yahaan pe, aur bahut achchha lag raha hai, ek bahut 'nostalgia
feel' ho raha hai yahaan pe.

MS: Swanand-ji, aapko kaisa lag raha hai?

SW: mujhe bhi bahut achchha lag raha hai kyunki, jaise chhoTe shahron
mein, aapne bataaya, to pooraa, poori zindagi Vividh Bharati ke
sahaare kaTee hai, to gaane sunnaa, naaTak sunnaa aur yeh sab karnaa,
aur aaj usi jagah pe baiThke bolnaa bahut achchha lag raha hai.

MS: 'radio' se gehraa juDaav raha hai, maine kahin sunaa hai, paDhaa
hai, dono ke baare mein, ki bachpan mein 'radio' Khoob sunaa karte
the.

SW: maine to Yuva VaaNi bhi kiya hai

MS: achchha!

SW: kisi zamaane mein (laughs).

MS: koi Khaas yaad?

SW naheen, 'programmes' kiya karta tha

MS: to abhi woh waqt yaad karte hain to, un palon ko, to kuchh
bataana chaahte hain, koi waaqya?

SW: matlab, us samay bahut baDi baat hoti thi Yuva VaaNi karne ko mil
jaana. chhoTe shahar Indore mein Vividh Bharati ka, matlab, All India
Radio ka bahut yeh tha, to wahaan pe 'selection' ke liye
ek 'interview' sa huya tha, to aise hi kuchh dhundlee dhundlee yaaden
hain, lekin paise milte the usmein yeh yaad hai (laughs)

MS: (laughs) pehli baar kitnaa paisa milaa tha?

SW: 100 rupay aisa kuchh milaa tha pehle 'programme' ke liye, 100,
125, aisa kuchh milta tha. lekin usse chhoTe shahar mein zindagi baDi
achchhi kaTtee thi.

MS: aur 100 rupay ki us waqt baDi keemat huya karti thi

SW: bahut keemat hoti thi.

MS: hamein lagtaa hai ki jo hamaari pehli kamaaee ka paisa hai usse
ham kya kya karen, kya kya na khareed len aisa lagta hai

SW: bilkul, bikul

MS: chaliye aap ke 'career' ki baaten vistaar se hongi, pehle Khoya
Khoya Chaand ki baaten kar lee jaaye. Shantanu-ji, aap bataaiye, kis
tarah ki chunauti thi 50 aur 60 ke dashak ka sangeet tayyaar karna
kyunki is film ka taalluKh us daur se hai.

SM: 1950s, 60s ka jo daur tha, ham kehte hain sunehra daur Indian
cienma ka, gaano kaa, to sabse baDaa chunauti ki itne baDe baDe
diggaj sangeetkaar yaa 'directors' the, geetkaar the, to usko 'copy'
karna to naamumkin hai, woh kar hi naheen sakte, to itnaa Sudhir
Mishra-ji ne itnaa hamko bataaya tha ki 'sochiye ki 4 din ke liye aap
waapas us daur mein jaate hain, to kya dekhte hain aur kya ahsaas
karte hain, aur usko waapas laake usko 'adapt' kariye'. to 'I think'
wohi hamne kiya tha ki aaj ke samay ke, aaj ki peeDhee ke jo ham
hain, ham gaye the 4/5 din ke liye wahaan pe ki maahaul kaisa hotaa
hai, 'recording' kaise hotaa hai, kaise likhte the, kaise
baiThke 'discussion' hoti thi, kaise gaane bante the, usko gaaya
kaise jaata tha. wohi agar jhalak dekhke ham aa jaayen, kaalpanik hai
yeh, to phir kaisa hogaa. aur iske liye hamne kya kiya ki bachpan se
sunte huye aaye hain, Salil Choudhury, Anil Biswas, Pankaj Mullick,
Majrooh Sultanpuri, Kaifi Azmi, to yeh bilkul zahan mein baiThaa huya
hai ki woh kis 'type' ke gaane hote the, itnaa tha ki usko aaj ke
maahaul mein...

MS: Dhaalnaa tha

SM: Dhaalnaa tha.

MS: hun, to kuchh gaano ka zikr karenge, maylab ki...

SM: pataa naheen kyun ki hameshaa jab bhi main yeh gaana suntaa hoon
Kaifi Azmi ka "dekhee zamaane ki yaari bichhDe sabhi baari baari",
woh ek 'timeless' gaana hai, mujhe lagtaa hi ki koi bhi jo achchha
geet hotaa hai, jo 'art' hotaa hai woh sirf us samay tak seemeet
naheen rehtaa, main dekhtaa hoon ki 'school college' ke bachche, kai
aise bhi hote hain jo puraane geet sunte hain. to aise gaane 50/60
saal bilkul sar uThaakar jee rahe hain.

----------------------------------------------
Clip: dekhee zamaane ki yaari (Kagaz Ke Phool)
----------------------------------------------

SM: to mujhe lagtaa hai ki kahin pe, aajkal ham jo gaane banaa rahe
hain, ek bahut hi chhoTe maqsad ke liye banaate hain ki...

MS: ek Khaas varg ke liye aur...

SM: haan, aur agar yeh na soche aur achchha geet abnaaya jaaye aur
chhoD de usko ki samay uskaa kya karta hai, to yeh ek 'better'
tareekaa hotaa hai us samay ke geetkaar yaa sangeetkaar karte the
jaise.

MS: kuchh gaane aapse gawaane bhi hain Shantanu-ji, aur Swanand-ji se
bhi, kyunki unhone kai saare gaane gaaye bhi hain. Swanand-ji, aap
bataaiye ki is film ke gaano mein ek ajeeb sa 'theatrical' ahsaas hai
jaise naaTakon mein hotaa hai. to bataaiye ki kya aisa soch samajhkar
likhaa aapne?

SW: naheen, waisaa naheen hai, lekin haan, Shantanu ne jaisa bataaya,
main 'theatre' se aaya to zaroor hoon, main National School of Drama
ka hoon, aur thoDaa uskaa bhi prabhaav hogaa mere kaam pe, lekin jo
sabse baDi baat thi ki jaise 50 ke dashak ka daura karne ham gaye the
4/5 din ke liye main aur Shantanu, to jo samajh mein aaya woh yahi
thi ki har baat koi baDi baat bolnaa chaahta tha, koi 'love song' ho,
prem geet ho, sahir saahab, Kaifi saahab, jo woh keh jaaye, woh reh
jaaye, cinemaa ke 'beyond' bhi, matlab, zaroori naheen ki sabne film
dekhee lekin gaane sabhi ne sune. Kagaz Ke Phool bahut logon ne
naheen dekhe honge lekin "waqt ne kiya kya haseen sitam" har koi
sunaa hogaa aur kisi na kisi tareeke se apne aap se 'relate' kiya
hogaa. to is tarah se kavitaa ka ek 'standard' usmein 'maintain' ho.
woh agar ho paaya, unki baraabari karna to bahut mushkil kaam hai
lekin us 'standard', kavitaa ke us 'standard' tak pahunch gaye agar
to bahut baDi baat hai.

----------------------------------------------------
Clip: waqt ne kiya kya haseen sitam (Kagaz Ke Phool)
----------------------------------------------------

MS: Shantanu-ji, ek baDi chunauti aapke liye bhi hai is film mein, is
film ke gaano ke liye kyunki us daur ke gaano se kahin na kahin chhoo
rahe hain yeh gaane. to aaj jo 'hip hop song' zamaana hai, bachche ho
chaahe baDe ho, log jo aaj tez sangeet pasand karte hain, shor mein
Doobe geet pasand karte hain, dono bataaiye apne apne nazariye se kis
tarah ki mushkilen aur kis tarah ki chunauti ka saamna karna paDaa.

SM: main hameshaa bataata hoon logon ko, Swanand aur mere baare mein,
ki jab 'disco' mein jaana hotaa hai tab hamaare gaane naheen bajenge,
jab poori raat naach gaane ke baad jab aap waapas ghar aayenge gaaDi
mein, tab aap jo gaana sunenge woh hamaara gaana sunenge.

MS: aur sukoon paayenge (laughs)

SM: bilkul. aur yeh mere liye 'compliment' hotaa hai jab kai baar log
aisa bolte hain, akelaa baiThke unhone Parineeta ka gaana sunaa,
Hazaaron Khwahishen Aisi, to yeh ek bahut baDaa 'compliment' hai aur
aisaa lagtaa hai ki, aaj jo chalan hai gaana 'hit' banaane ki, to
main kehtaa hoon ki yeh uparwaale ka kaam hai 'hit' banaana, naheen
banaana. ham log bhagwaan bhagwaan kyun khel rahe hain. ham ek
achchha gaana banaate hain, maze se banaate hain

MS: jo log pasand kare

SM: jo log pasand kare aur chhoD dete hain jo banna hai uskaa. kyunki
har gaana jo 'hit' hotaa hai woh achchha gaana naheen hotaa hai aur
har achchha gaana jo 'hit' naheen hai.

MS: bilkul sahee baat hai! achchha bataaiye ki Khoya Khoya Chaand
mein kaun sa gaana aapko behad pasand hai.

SM: mujhe ek gaana jo bahut pasand hai woh hai "o re paakhi", jo Sonu
Nigam-ji ne gaaya hai. uskaa kaaran yeh hai ki us gaane mein koi
chhand naheen hai. bas ek chhoTe se 'part' mein chhand hai. binaa
chhand ke gaane aajkal sunaaee naheen dete kyunki chhand jo hai woh
ek daur ka, ek 'society' ka ek jhalak hai, to abhi aajkal bahut 'soft
tempo' hai 'music' ka, kuchh 'soft' hai. aur yeh ek 'experiment' bhi
tha mere liye ki aise gaane aaj log sunte hain kyaa, yaa main banaa
sakoongaa kya, kyunki binaa chhand ke to kabhi naheen banaaya. to yeh
mere liye ek 'challenge' tha aur baKhoobi se Sonu Nigam ne gaaya hai
aur Swanand ne likhaa hai. uski main, dono gungunaate hain...

MS: jee bilkul

SM & SW sings "o re paakhi kaisa hai teraa afsaana..."

--------------------------------------------------------------
Song: o re paakhi kaisa hai teraa afsaana (Khoya Khoya Chaand)
--------------------------------------------------------------

SM: aise gaane banti naheen hai, 'subject matter change' ho gayaa hai
bahut.

MS: Sonu-ji ne gaaya hai, to 'recording' se juDee koi Khaas baat
bataana chaahenge is geet ke baare mein?

SM: 'generally' jo achchhe 'playback singers' hote hain woh bahut
achchha 'mimic' karte hain. aap Lata-ji ko dekh leejiye, aap Asha-ji
ko dekh leejiye, Kishore-da ko dekh leejiye, unkaa ek 'mimic' jo
hotaa hai, kuchh log 'certainly' karte hain, kuchh log 'obviously'
karte hain. 'Sonu Nigam is a very good mimic', to unhone jab kahaani
ke baare mein, kis daur ke baare mein, yeh sab baatchit hone ke baad
jab unhone is gaane ko 'rendition' kiya to agar aap dhyaan se sunenge
to 'usually' aajkal ke jo gaane hote hain unkaa 'throw' alag hotaa
hai. ham usko thoDaa 'forcefully' gaate hain. is gaane ko
unhone 'mike' ko bilkul paas leke, bilkul sehlaate huye, bilkul,
aankh band karke, gaana ghaaya unhone, aur yeh jo ek 'style' hai us
daur mein yeh 'style' hi chalta raha, thoDaa zyaada 'throw' hotaa tha
to 'music director' bolte the ki 'bahut zyaada ho raha hai'. to
yeh 'interesting' tha ismein

SW: ek aur waaqya huya tha ki ismein, is gaane mein chhand naheen hai
jaisaa inhone kahaa, lekin ek 'portion' mein chhoTaa sa chhand
ka 'portion' shuru ho jaata hai. to usmein jo 'click' aa raha tha,
Sonu gaa raha tha to woh 'click' bhi 'microphone' pakaD raha tha,
kyunki itnaa shaant gaana hai ki usmein woh 'click' bhi 'microphone'
pakaD raha tha. to woh chhand aane tak usne mujhe kahaa tha ki,
woh 'click' ban karwaa diya tha, aur kahaa tha ki 'mujhe haath se ek
andaaza dete rehnaa ki kahaan chal raha hai'. to jab chhand aata tha
tab main khaDaa hoke woh chhand sirf haath se detaa tha ki
kis 'tempo' mein aana hai tumko.

MS: kyaa baat hai, matlab, baDaa hi mushkil gaana raha hai

SM: bahut mazaa aaya

MS: aur aapko likhne mein kitni mushkilen aayi?

SW: likhne mein to kaafi mushkilen aayi, matlab, mushkilen to aati
hain, kyunki pehli baat to yeh hai ki gaana ek Urdu, us film ki
paarshwabhoomi, kyunki 'poets', jitne bhi geetkaar us samay likh rahe
the, sabhi Urdu 'poets' the, to kaafi Urdu istemaal hoti thi us
zamaane mein. aur woh mujhe is film ke liye jo zaroori tha woh
dekhnaa ki yaar yeh jo hai, iski zabaan jo hai, woh Urdu rakhi jaaye
jitni zyaada se zyaada ho sake. to woh karne mein mujhe thoDi si
dikkat huyi aur "o re paakhi" iski jo dhun pe likhnaa tha yeh bhi
thoDaa mushkil gaana tha, 'its a difficult song to come to
something'. to woh 4/5/6 'drafts', aur Sudhir Mishra ke saath kaam
karne ki yahi Khoobsoorti hoti hai shaayad, Shantanu ke saath bhi, ki
yeh log jaldi santushT naheen hote. yeh thoDaa aur dhakkaa maarte
hain.

MS: achchha Shantanu-ji bhi naheen sunte hain?

SW: Shantanu bhi (all laughs).

SM: main ek aur baat bataa doon kyunki ham Khoya Khoya Chaand ki baat
kar rahe hain, us zamaane mein sangeetkaar geetkaar saath baiThte
the, 'director' ke saath mein. aur saath baiThke gaana hotaa tha.
kaaran yeh tha ki kai baar shaayad dhun pehle aa jaaye, yaa kai baar
shaayad shabd pehle aa jaaye. kai baar shaayad pehle 4 'line' dhun
ho, uske baad jab lekhak usko likhnaa shuru karta hai, 'flow' itnaa
achchha aata hai ki aap isko naheen roke. woh jab tak gaana khatam
hotaa hai woh likhte hain, uske baad dhun bantaa hai. to yeh jo ek
mishran hai kaam karne ka woh is 'project' mein sabse zyaada faaydaa
huya, mera aur Swanand ka jo ek 'association' hai, itne saal se jo
itne saare 'projects' kar rahe hain, woh is 'project' mein sabse
zyaada kaam aaya kyunki yeh agar saath mein baiThke naheen likhte to
itnaa achchha kaam naheen ho saktaa tha.

MS: dosti to hamein dikhaaee paD rahi hai, antarang dosti dikhaaee
paD rahi hai, lekin jo 'sitting' ke dauraan, 'recording' ke dauraan,
jo muThbheD hoti hai, uske baare mein bhi hamein pataa to chale!

SM: kaaran hai ki dost hain to muThbheD mein 'problem' naheen hai,
dost naheen hote to bahut baDi 'problem' ho jaati.

MS: lekin muThbheD to hoti hai na!

SM: Khoya Khoya Chaand mein kai baar Swanand 'late' aata tha.

MS: (laughs) saare log sun rahe hain Swanand-ji.

SM: lekin woh der tak kaam karte hain (all laughs). kai baar 'late'
aane par kehte hain ki 'aap dhun de do mujhe', main boltaa hoon
ki 'naheen, aap kuchh likh do mujhe', to yehi chalta rehta hai.

SW: main mazedaar baat bataayun aapko, sach baat to yehi hai ki...

--------------------------------------------------------
Song: ham to aise hain bhaiyaa (Laaga Chunari Mein Daag)
--------------------------------------------------------

SM: hamaara jo 'association' huyaa, bahut hi 'non-filmi'
tareekaa, 'sorry', 'non-filmi' matlab aaDambar-rahit jisko kahaa
jaaye ki ek 'recording studio' mein ghooste ho aap to ek 'ego' se
naheen Takraate ho aap, aap aadmi, 'normal' aadmi hain, 'creative'
aadmi hain, jo doosra 'normal' aadmi se baat kar raha hota hai. woh
sabse baDe Khoobsoorti hai. pehle jab aap jaate ho to kaam shuru
karna paDegaa yeh sabse baDi samasyaa hoti hai, kaam to karna
paDegaa, wahaan se yeh 'journey' shuru hoti hai ki aap dhun de do, ki
yar tu pehle 'words' de de. phir kuchh der tak yeh chalta hota hai,
phir 'lunch' khaate hain (laughs), phir kuchh aur, 'cricket' dekhte
hain, aisaa karte karte 3/4 baje tak maahaul kuchh garm hotaa hai,
tab tak 'director' ke aane ka bhi samay ho chuka hota hai, kuchh phir
joD toD mein kaam shuru hotaa hai aur itnaa Khoobsoorat maahaul hai
ki mera Khayaal hai isi wajah se itnaa Khoobsoorat kaam nikal saktaa
hai.

-------------------------------------------------------
Song: zaraa gungunaalen chalo (Laaga Chunari Mein Daag)
-------------------------------------------------------

SM: taareef karne ki baat naheen hai, inko meri saari achchhaiyaan,
buraaiyaan maaloom hai, to mujhe bhi kuchh cheezen inke baare mein
pataa hai, to woh 'help' karti hai kaam karne mein, ek doosre ko
bataane mein sharm naheen hoti ki yeh 'work' kar raha hai yaa
yeh 'work' naheen kar raha hai, koi aham naheen Takraa rahe hote
hain, sirf kaam ho raha hota hai.

MS: Swanand-ji, aap itne taareef kar rahe hain Shantanu-ji ki, unhone
aapki ek kamee ham sab ko bataa dee, aap bhi unki koi kamee bataaiye
na?

SW: yeh jaldi aate hain (all bursts into laughter).

MS: aapki nok-jhok sunkar bahut achchhaa lagaa.

SW: yeh jaldi naheen aate, 'time' par aate hain (laughs)

SM: mere saath to yahi kamee hai.

MS: hamein lambi baatchit karni hai, to thoDaa thoDaa yaad karte
jaaiyegaa, ek doosre ki koi aisi baDi kamee zaroor bataaiegaa,
baatchit ke dauraan.

SM: bahut aayenge

MS: hamaare shrotaa dhyaan se sun rahe hain

SW: yeh jab gaana banaate hain, to ajeeb se Bengali 'words use' karte
hain, jo Bengali bhi naheen hote. us bhaashaa ka koi naam naheen hai,
aur woh shabd sunke pehle aapko lagtaa hai yeh gaana likhaa hi naheen
jaa saktaa (all laughs).

MS: to yeh aapko pareshaan karne ke liye karte hain yaa...

SM: yeh aisa hai ki jab main koi dhun detaa hoon, jaise "piu bole",
to shabd pehle naheen the, to main dhun, mujhe, (hums), ismein mujhe
mazaa naheen aata, mujhe kuchh wazan chaahiye, (sings) "koto jeno
shey to aashe", koi matlab naheen hai, lekin iska kya hai ki mujhe
wazan milta hai. aur yeh jab sab baiThe hote hain to inko samajh mein
naheen aata hai ki gaane ka 'meter' kya hai, aur yeh shaayad sach
kehte hain ki in 'words' ko agar 'seriously follow' karen to shaayad
gaana hi na likh sake.

SW: pehle mujhe samajh naheen aata tha, ab to pataa hai, ab to aadat
hai ki, usmein faaydaa bhi hotaa hai, shabdochchaar kya hai 'music
director' ke dimaag mein pataa chal jaata hai. "koto jeno",
matlab "o", yaani okaar waala koi shabd chaahiye hogaa, 'phonetics'
ka bahut faaydaa hotaa hai usmein.

MS: to geet likhne mein aasaani ho jaati hai. chaliye Khoya Khoya
Chaand film ka ek aur geet sun lete hain. phir aage baDhte hain aur
baaten karte hain. kaun sa gaana, Swanand-ji aap bataaiye, gungunaake
bataaiye, dono log saath mein.

SW: (sings) "kyun khoye khoye chaand ki firaak mein udaas hai
dil......"

-----------------------------------------------------------------
Song: kyun khoye khoye chaand ki firaak mein (Khoya Khoya Chaand)
-----------------------------------------------------------------

#1804 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Feb 5, 2008 10:13 am
Subject:: Zee SaReGaMaPa Li'l Champs - Lata on Suresh
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
ZEE TV's Sa Re Ga Ma Pa Li'l Champs
-----------------------------------

Lata Mangeshkar & Ravindra Jain speaks on Suresh Wadkar
-------------------------------------------------------

LM: Lata Mangeshkar
SW: Suresh Wadkar
RJ: Ravindra Jain

LM: mujhe yaad naheen aa raha hai par Suresh-ji kehte hain ki
ek 'award function' tha, Marathi 'award' tha jo mujhe milaa tha aur
main wahaan gayi thi. to Suresh-ji kehte hain 'main wahaan aake
aapka 'autograph' lene ke liye khaDaa tha aur maine aap
se 'autograph' liya tha, tab main 14/15 saal ka tha'.


"meghaa re meghaa re mat pardes jaa re"


LM: Suresh-ji ne jab kaam shuru kiya, to unkaa bahut naam huya aur
woh bahut achchha gaate hain. yeh main, matlab, mujhe kehne ki
zaroorat naheen hai, duniya jaanti hai. aur Hindi 'music' mein unhone
aaj itnaa oonchaa sthaan liya hai, uski wajah yeh hai ki unki mehnat
hai. ab tak woh riyaaz karte hain. subah kabhi unke ghar
jaaiye, 'phone' keejiye, aapko taanpure ki aawaaz aayegi.


"saanjh Dhale gagan tale ham kitne ekaanki"


LM: maine sunaa hai haal hi mein unhone ek gaana gaaya, gaana gaane
ke baad unhone 'music director' ko kahaa ki 'yeh gaana tum phir
se 'record' kar lo, main zaraa aur achchha gaana chaahta hoon'. yeh
jo lagan hai yeh aur 'artiste'-on mein milti naheen hai, aur yahi
sahi 'artiste' hone ki nishaani hai ki woh unko is tarah mehsoos
hotaa ho ki 'mujhe gaana chaahiye aur achchha gaana chaahiye'.


"seene mein jalan aankhon mein toofaan sa kyun hai"


LM: aap jis raste se jaa rahe hain aur jis tarah kaam kar rahe hain,
aap karte jaaiye aur bhagwaan aapko ismein bahut kaamyaabi degaa,
iskaa mujhko yakeen hai.


"aye zindagi gale lagaa"


SW: main aur kyaa kahoon, saakshaat devi ka aashirvaad mujhe mil
gaya. unkaa aashirvaad aise hi milta rahe aur aise hi unke charaNon
mein hameshaa baiThne ka mauka miltaa rahe.


"mohabbat hai kyaa cheez hamko bataayo"


RJ: main namashkaar kartaa hoon Pandit Jiyalal Basant-ji ko, jinke
haathon mein se Suresh bankar baDaa huya, jinhone unko itne sureele
kalaakaar ke roop mein gaDhaa. to main chaahoonga ki Suresh aapko woh
gaane sunaaye, unke kam se kam mukhDe sunaaye jo mere saath 'record'
huye hain aur mujhe pasand bhi hai.


"jaane kaisi bahe yeh hawaa, ho mujhe hone lagaa hai nashaa"


RJ: Suresh se juDe sabhi logon ko main mubaarakbaad detaa hoon, yeh
jo chhoTe chhoTe bachche hain jinko Suresh sangeet seekhaa rahe hain,
inhi mein se phir koi Suresh bankar aayegaa.


"mujhko dekhoge jahaan tak mujhko paayoge wahaan tak"

THE END

#1803 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Fri Feb 1, 2008 12:38 pm
Subject:: VB50: Anmol Moti - 19 (Kamini Kaushal)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1802 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Fri Feb 1, 2008 12:16 pm
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 14)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 14
----------

KS: Pyare-ji, sangeetkaaron ki agar ham baat karen to kis sangeetkaar
se aap sabse zyaada mutaasir rahe?

PL: sangeetkaar agar kahen to Shankar Jaikishan, jinke saath hamne
kabhi kaam kiya hi naheen.

KS: kabhi naheen?

PL: kabhi bhi naheen kaam kiya. matlab, kabhi dekhaa hi naheen unko
kaam karte huye, kabhi naheen. Jaikishan-ji aaye the hamaari shaadi
mein, to shaadi mein aaye to mujhe ek bahut achchha chaandi
ka 'violin' diya, maine sambhaal ke rakha huya hai. aur ham jab gaye
the unki shaadi mein to unhone hamaari 'wife' ko kahaa tha, English
mein, kahaa tha 'yeh do bachche, dekhnaa, kyaa naam karenge!'. bahut
achchhe se kahaa tha unhone.

KS: woh bhi bahut 'young age' mein chale gaye the Jaikishan-ji

PL: 46

KS: Shankar Jaikishan ki agar 'contribution' ki baat karen, 'film
music' mein unkaa sabse 'great contribution' kya hai?

PL: dekhiye, Shankar-ji aur Jaikishan-ji ne jo moD laaya 'music' ke
andar, woh ek uchhaal laayi hai, ki unhone 'modern music' ko bhi
liya, lekin 'Indianized' karke. yeh bahut baDi baat hai. "yahoo"
unhone laaya, aur achchhe achchhe 'words' laaye. woh kya kahaa tha,
Shankar-ji ne Khud hi kahaa tha, Shailendra-ji ka gaana tha, kya tha
woh,.... lekin 'music' ke andar bhi Shankar-ji apne hisaab se 'music'
karte the, aur uske andar bahut 'powerful' hotaa tha. Jaikishan-
ji 'simple' zyaada rakhte the, aap samjhe na, 'simple music'
aur 'sweet' sunne ko achchha. "chashm-e-baddoor", yeh Jaikishan-ji
hain.

KS: rumaani zyaada the woh

PL: 'romantic', haan, aur Jaikishan-ji jo hain woh 'background music'
bhi kiya karte the. naheen to baaki log jo hain, sab aur logon
se, 'assistants' se karwaate the.

KS: aur aapki baat karen to?

PL: hamaari baat, wohi hai na, woh sirf Jaikishan-ji hi the jo
likhaate the, 'conduct' bhi karte the, sab kuchh karte the.

---------------------------------------------
Song: teri pyaari pyaari soorat ko (Sasooral)
---------------------------------------------

KS: Anna Saahab, C Ramchandra-ji, 'singer' bhi, 'composer' bhi

PL: kya baat hai, waah waah

KS: unkaa bhi bahut naam hai

PL: bahut hi, unkaa bahut baDaa oonchaa darjaa hai. Azad, kyaa baat
hai.

KS: unke saath aapne bahut kaam kiya

PL: jee haan, naheen to, bataaya naa aapko, subah main milaa unse aur
shaam ko 'train' mein biThaa diya Madras ke liye. woh 'picture' thi
Devta. wahaan se jo shuru kiya, 'picture' ke 'end' tak kaam kiya.
uske baad mein ek din mile mujhe, tab kaam naheen karte the unke
yahaan, to ek laDke ko leke aaye, 'jaise tum mere paas aaye the,
waise isko aaj main leke aaya', uskaa naam Avinash hai, to woh laDkaa
aaj tak hamaare saath mein waise hi hai. sangeet ke andar, 'I think'
itna 'sweet music', "dheere se aaja"...

---------------------------------------------
Clip: dheere se aaja ri akhiyan mein (Albela)
---------------------------------------------

PL: "eena meena Deeka", aur kyaa kyaa gaane hain, Azad ka, yeh kya
hai apna...

KS: Albela ke hain

PL: naheen, "kitnaa haseen hai mausam", yeh maaloom hai aapko, yeh
gaana Lata-ji aur Talat gaanewaale the. to Talat saahab naheen aaye
kisi vajah se, to Gaur se aap gaana suniye, Anna saahab ne gaaya hai
yeh 'duet', aapko lagegaa ki Talat saahab ne gaaya hai, agar aap Gaur
se sunenge.

KS: sahi keh rahe hain aap

PL: (sings) "saathi hai Khoobsoorat, yeh mausam ko bhi Khabar hai",
mausam bhi unhone waise hi bolaa hai jaise Talat saahab bolte.

-------------------------------------
Song: kitnaa haseen hai mausam (Azad)
-------------------------------------

KS: shaastriya sangeet ke jo bahut saare naami log hain, aaj jinko
bahut duniya jaanti hai, film sangeet mein bhi inkaa 'contribution'
rahaa hai...

PL: naheen naheen, main 'openly' boltaa hoon aapko, Pt Ravi Shankar-
ji film se shuru huye hain. Ali Akbar Khan saahab jo hain, woh
naheen, baaki Ravi Shankar-ji se leke jitne bhi log hain, yeh kuchh
kharaab naheen hai...

KS: jee haan jee haan

PL: ... ki bhai filmi vilmi 'effect' bolte hain, aur usko kharaab,
dekhiye, agar sangeet ke lihaaz se dekhi jaaye to itne cheezen hai ki
hamko lagtaa hai ki ham, matlab, ham 'music' kar rahe hain, sangeet
de rahe hain, lekin ab sangeet mein kya kya naheen hai, film to ek
chhoTi si 'line' hai, ek zariya hai, aaj dekhiye naaTya sangeet
hai, 'light music' hai, 'opera' hai, 'symphony' hai, hamaare yahaan
Ghazal hote hain. aaj dekhiye, Jagjit Singh, kitna naam hai,
poore 'world' mein unko maante hain, woh kya film ke hain? aap
dekhiye na, Mehendi saahab hain, Ghulam Ali saahab hain. phir
hamaare 'classical' waale, Bade Ghulam Ali Khan saahab.

KS: aapne kin kin ke saath mein, matlab...

PL: sunaa hai maine

KS: naheen, aapke sangeet mein aise kitne log hain
jinkaa 'contribution' hai?

PL: ham jo saath mein kaam kiya hai, woh Shiv-ji, Hari-ji, Ram
Narayan-ji, Sultan bhai, Rais Khan, Ramlal-ji hain.

KS: mujhe bataayenge kin kin geeton mein in logon ne bajaaye hain?

PL: "raam kare aise ho jaaye", ismein jo 'flute' hai woh poora Hari-
ji ne bajaay hai, matlab, Hari-ji jo the, matlab, unhone hamaare
saath poora kaam unhone kiya hai.

-------------------------------------
Song: raam kare aise ho jaaye (Milan)
-------------------------------------

PL: phir Pandit Brij Narayan...

KS: jee haan jee haan, saarangi...

PL: jee haan, phir Bejan Daruwala...

KS: unkaa kismein, Pandit Ram Narayan ka koi 'piece' yaad aata hai?

PL: koi bhi, "yeh reshmi zulfen"

----------------------------------------------
Piece: Saarangi piece from "yeh reshmi zulfen"
----------------------------------------------

PL: Bejan Daruwala bahut pehle bajaate the, 'very old songs', "jeevan
Dor tumhi sang baandhee", ismein, baad mein Brij Narayan aa gaye

KS: aur Rais Khan saahab ka bhi aap ne naam liya.

PL: Rais Khan saahab bhi bahut se geeton mein, jaise (sings) "kuchh
kehta hai yeh saawan kya kehta hai", (hums the sitaar tune of the
sitaar piece).

-----------------------------------------------------
Piece: Sitaar piece from "kuchh kehta hai yeh saawan"
-----------------------------------------------------

KS: phir aapne, "jhappi" bolte the usko, iski aapne shuruwaat kee
thi, yeh kya cheez hai?

PL: jee haan, kya hotaa hai ki 'rhythm section' ke andar
bahut 'tactics' hai, lekin aap ko 'practical knowledge' honi
chaahiye. aise khaali munh se bolne se naheen hotaa, kyunki woh, yeh
jo ham log hote hain na, isko kya bolte hain, 'musician', woh aise
hote hain ki bahut ajeeb hote hain yeh log, to woh, unko jab bataate
hain to bajaake bataana paDtaa hai un logon ko. aise 'violin' ke
andar bhi hai, saarangi ke andar bhi hai, yeh sab baaten hai, bahut
hi 'under current' baaten hain, jaisa bhi, jaise sitaar hai, ismein
kitne door tak jaa sakte hain, madhyam pancham, paanch sur tak jaate
hain yeh log, lekin Rais saahab to saat sur lete the. phir Pandit
Ravi Shankar-ji, Vilayat Khan saahab, yeh sab baDe baDe. jhappi kya
hai ki kitne bol naye nikle hain table ke andar, abhi dekhiye wohi
tablaa hai jo 'classical' mein bajtaa hai, naa dhin dhin naa, wohi
tablaa hai jo kaharwa bajta hai UP ke andar, wohi tablaa hai jo
Rajasthan mein bajtaa hai unke maanD ke andar, wohi tablaa hai jo
qawwaali mein bajti hai, uskaa 'sound' wohi 'clap' hai jo aap bhajan
mein bajaate hain, wohi 'clap' hai jo aap Rock'N'Roll mein bajaate
hain, wohi 'clap' hai jo qawwaali mein bajaate hain. dekhiye, 'sound'
alag hai ki nahin?

KS: waaqai. aap ne saazon ko lekar bhi aisi koi khojbeen chalti rahi
ki naye naye saaz khojo?

PL: bilkul, bahut. hamne jitne sukshm 'instrument' hai, maine bataaya
na Utsav ke andar aur The Train ke andar, The Train ke andar aise
aise naam hai jo mujhe bhi abhi yaad naheen aa rahe hain. ek hai apna
Raavanhatya, yeh hai apna Rajasthan ka 'instrument' hai, to woh 'same
pattern' mein Calcutta ke andar bolte hain 'dilrubaa', woh 'same
pattern' ke andar 'saarangi', yeh ek hi hai, thoDaa thoDaa roop alag
hai.

KS: ek hi parivaar ke hain

PL: ek hi parivaar ke, raavanhatya, dilrubaa, saarangi. ab tablaa
hai, yeh tablaa jo hai, bolte hain, ab kitna sach hai kitna jhooTh
hai naheen maaloom, lekin main isko maanta hoon, ki pehle pakhaawaj
tha, pakhaawaj se pehle mridang bolte the, abhi pakhaawaj, mridang,
mridangam 'south' mein, abhi uske do bhaag keeye to tablaa banaa.
table ke andar jo ham lagaate hain chaanTi par, shaahi lagaate hain,
woh shaahi nikaal dee to woh Dholak ho gaya. Dholak ke andar, baahen
ke andar, andar se ham lagaate hain shaahi, baahar se lagaate naheen.
phir Punjab ke andar aanTaa lagaate hain shaahi ke jagah. yeh sab
cheezen agar aapko 'knowledge' hai to 'enjoyment' le sakte hain.
jaise woh "Khush rahe tu sadaa", Khilauna mein, usmein hamne khaali
baahen bajwaaye hain, aaTh baahen. to usmein maine kya kiya, teen
baahen aise, teen baahen aanTe ke, aur do baahen Dholak ke, aise alag
alag baahon ko leke, parakh ke bajwaaye.

KS: waah waah

PL: kaisa lagaa aapko?

KS: bahut bahut Khoobsoorat.

PL: "khush rahe tu sadaa yeh duyaa hai meri", to dekhiye, woh aanTe
waale baahen, aur phir kya kiya maine, ki sabke baahen alag alag hote
hain, usmein do qawwaali waale, teen apne Hindi, Indian, teen Muslim,
to sabka baanh thoDaa alag hotaa hai

KS: bilkul sahi hai

PL: yeh sab cheezen bahut 'undercurrent' hai

------------------------------------------------------
Song: Khush rahe tu sadaa yeh duya hai meri (Khilauna)
------------------------------------------------------

KS: jaise Pnacham-da ke baare mein bhi kahaa jaata hai ki
bahut 'experiment' karte the

PL: arey kyaa baat hai, woh to bahut karte the.

KS: to iske liye kabhi aapne dauraa bhi kiya, jaise baahar bhi gaye

PL: naheen naheen

KS: to yeh sab kaise?

PL: kya hai ki main subah baiTh jaayun na aur meraa 'piano' mil
jaaye, bas! kyunki kyaa hotaa hai na, yeh jo sangeet hai na, zaroori
naheen hai ki yahaan wahaan, matlab, baiThe baiThe sab kaam kar sakte
hain.

KS: to aisa koi aur gaana bataaiye jismein aapne 'experiment' kiya
ho, alag alag aawaazen nikaali hon

PL: har ek gaana hai, kaun sa gaana boliye, "choli ke peechhe", yeh
gaana aapne pehle kabhi sunaa hai? yaa phir kabhi uske baad sunaa?
logon ne dhyaan diya ki naheen maaloom naheen, lekin hamne kabhi isko
baad mein 'use' naheen kiya. uske bol hi alag hai, baaj alag hai,
usmein 'instrument' kya hai, sundri, usi mein 'first time use' kiya
tha. chhoTaa sa 'instrument' hai shehnaai ki tarah, bahut
chhoTaa 'instrument' hai, itna saa, to hamko mil gaya sundri.

-------------------------------------------
Song: choli ke peechhe kya hai (Khalnaayak)
-------------------------------------------

END OF EPISODE 14

#1801 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Jan 27, 2008 5:59 am
Subject:: Vishesh Jaimala - Sulaxana & Vijeta Pandit
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
SP: Sulaxana Pandit
VP: Vijeyta Pandit

SP: fauji bhaaiyon, aap se baat kar rahi hoon main Vividh Bharati ke
dwaara. sabse baDi baat hai ki bahut saal pehle main Sikkim gayi thi.
wahaan maine aap sab ke liye gaana gaaya tha. aur aap logon ne bahut
pasand kiya tha. aur wahaan ki jo sipaahi the, unka main bakhaan
naheen kar sakti, ek se ek 'hero' the, ek se ek jawaan hamaare wahaan
par the. main bahut chhoTi thi us waqt. tab maine aap logon ka,
Waheeda-ji, Sunil Dutt saahab, sab milkar aap logon ka manoranjan
karne ki koshish kee aur aaj tak fakr 'feel' karte hain ki aap logon
ke saamne aap logon ke pasandidaa gaane gaaye. aap sabko, pyaare
pyaare bhaai mere, aap sab ne prakhyaat baaten jo rakhi hain zindagi
ki woh bemisaal hain. aap ki wajah se desh aazaad hai, ham aazaad
hain, har taraf se aap logon ne hamaari madad kee hai, aapki taareef
karne ki to zaroorat hi naheen hai, magar main aapko meri guDiyaa
jaisi bahen, (laughs), samajh gaye aap, naheen samjhe! (laughs)

VP: (laughs) Vijeyta... (laughs), mere pyaare fauji bhaaiyon, aaj
main itni Khush hoon aur 'I am feeling so proud' ki aaj main pehli
baar Vividh Bharati mein aayi hoon, aur woh bhi mujhe itna achchha
saubhaagya milaa hai ki main fauji bhaaiyon ke liye yeh 'programme'
kar rahi hoon. main aap sab ko bahut pyaar karti hoon aur aapke bahut
dhanyavaadi hoon ki aap hamaare liye itna kuchh karte hain. aap
jaagte hain aur ham yahaan chain se sote hain, lekin 'believe' kariye
main jahaan bhi fauji bhaaiyon ka 'programme' hotaa hai,
har 'programme attend' karti hoon, aur ek gaana zaroor gaati hoon jo
chaahti hoon aaj main aapke liye gaayun. gaayun?

SP: gaayo gaayo, zaroor Vijeyta, yahi samay hai ki gaake sunaao

VP: achchha, lekin Sulaxana ka bhi ismein saath chaahiye.

Both Sulaxana & Vijeyta sings "aye mere watan ke logon, zaraa aankh
mein bhar lo paani".

SP: fauji bhaaiyon, ham abhinetri hain. kabhi kabhi main sochti hoon
ki ham sab to 'acting' karte hain, hamaare jo 'hero' kehlaate hain,
woh to kuchh bhi naheen karte, asli 'hero' to aap hain. yeh baat
sochkar meri aankhon mein paani aa jaata hai.

VP: naheen naheen Sulaxana, aaj ham yahaa rone ke liye naheen aaye
hain, ham to fauji bhaaiyon ka achchhe achchhe geeton se manoranjan
karne aaye hain.

SP: bilkul, main zaraa bhaavuk ho gayi thi. fauji bhaaiyon, ab ham
aapko kuchh gaane sunwaate hain. meri ek film aayi thi, jismein ek
gaana tha Krishna bhagwaan ka jo Geeta updesh hai, uspar aadhaarit
hai yeh gaana, ki aadmi ko kabhi himmat naheen haarni chaahiye. to
leejiye isi gaane ko suniye, (sings) "tu hi saagar hai tu hi kinaara,
DhoonDtaa hai tu kiskaa sahaara".

----------------------------------------------
Song: tu hi saagar hai tu hi kinaara (Sankalp)
----------------------------------------------

VP: fauji bhaaiyon, aap jaante hain na meri film Love Story, kitni
achchhi film thi aur aap logon ne usey kitnaa pasand kiya tha! main
chaahti hoon, waise to bahut saari baaten hain Love Story ki karne ki
lekin main chaahti hoon main aapko achchhe gaane sunaayun, aur aapka
dil behlaayun, to "yaad aa rahi hai" ho jaaye!

---------------------------------------------------------
Song: yaad aa rahi hai teri yaad aa rahi hai (Love Story)
---------------------------------------------------------

SP: fauji bhaaiyon, ek baDe anokhe aur bahut hi sur ko pakaDnewaale,
gaana gaanewaale, 'music director', 'actor', aur 'lyricist', kitne
dino ke baad main aap se unki baat kar rahi hoon, woh the Kishore
Kumar, kalaa ke dhani, gaane ke deewaane. aaj bhi unke jaane ke baad
unke gaane sunte hain. main apne aap ko bahuuuut Khushnaseeb samajhti
hoon ki Kishore-da ke saath maine poore Hindustan mein, 'all over the
world programme' keeye. aur uske baad unhone mujhse kahaa
ki 'Sulaxana, tumko main ek apnaa gaana gawaaya chaahta hoon, tum
gaayogi?' to maine kahaa 'kyun naheen, neki aur poochh poochh!' maine
bolaa 'main gaayungi, aap bataaiye kaun sa gaana'. to
unhone 'rehearsal' karwaaya, aur....

VP: main bataayun gaana kaun sa hai!

SP: haan, bataao

VP: "beqaraar dil"

SP: agar bataaya hai to gaake bhi bataao

VP: main gaayun?

SP: haan, kyun naheen!

VP: 'OK I will try'

Both Sulaxana & Vijeyta sings "beqaraar dil tu gaayejaa Khushiyon se
bhare yeh taraane...."

---------------------------------------------
Song: beqaraar dil tu gaayejaa (Door Ka Rahi)
---------------------------------------------

SP: Vijeyta, aapne meraa gaana mujhse bhi zyaada achchha gaaya!

VP: arey, aisaa mat bolo, aap to mere guru ho, 'you are my guru',
maine bachpan se gaana aap se seekhaa hai, 'you are my inspiration
you know'.

SP: Thanks a lot (laughs)

VP: pehle to 'singers' mein aap mere 'inspiration' the,
phir 'actress' banee to usmein bhi maine aap se sab kuchh seekhaa.
fauji bhaaiyon, main aapko ek baat bataayun, meri zindagi ka sabse
pehlaa gaana maine Mohd Rafi saahab ke saath gaaya jo 'romantic'
gaana tha, main chaahoongi main aapko woh gaana zaroor sunaayun.

-------------------------------------------------------
Song: geet wafaa ke dil se zubaan pe aane lage hain (
-------------------------------------------------------

VP: fauji bhaaiyon, main bahut saubhaagyashaali samajhti hoon apne
aap ko ki maine Kishore-da ke saath aur Rafi saahab ke saath 8/9 saal
ki umar mein hi gaane gaaye. aur aaj mujhe yeh sab baaten mere liye
bahut saubhaagya ki baaten hain fauji bhaaiyon.

SP: mere pyaare fauji bhaaiyon, mere doston, aap mere dost bhi hain,
to main aapko yeh bataana chaahti hoon ki Noorjehan, jo gaati bhi
theen, 'actress' bhi theen, meri Khushkismatee yeh hai ki
ek 'programme' hotaa hai Aashirvaad, usmein aayi theen Suraiya-ji,
aur woh Aashirvaad ke 'award' ke liye mujhe bhi bulaaya gaya tha,
main wahaan pahunchee aur mera poora badan paseene se bheeg raha tha
ki jo hasti, itne saalon se jinhone 'singing star career' ko bahut
bahut sambhaalti theen, aur aaj bhi woh hamaari yaad bankar reh gayi
hain, aur aapko Khushi hogi ki mujhe 'award' mil chukaa hai
Aashirvaad se, 'Singing Star Sulaxana Pandit'. achchha to main aapko
bataayun, main bahut si baaten bataana chaahti hoon lekin, 'anyway',
maine Shashi Kapoor-ji ke saath kaam kiya hai, Kapoor 'family' ki har
hasti ke saath maine kaam kiya hai.

VP: jaise ki Shammi Kapoor-ji, Shashi Kapoor-ji, Rishi Kapoor-ji,
sabhi

SP: (laughs) poori 'family' ke saath maine kaam kiya hai.

VP: bilkul, aur Rajesh Khanna ke saath aap ne kiya hai, Jitendra ke
saath to aapne 25 filmen kee hongi (SP laughs). to woh gaana kyun
naheen sunaate "maana teri nazar mein", 'I love this song', mujhe
yakeen hai fauji bhaaiyon, aap sabko bhi yeh gaana bahut pasand
aayegaa, pasand hai na!

----------------------------------------------------------------
Song: maana teri nazar mein tera pyar ham naheen (Ahista Ahista)
----------------------------------------------------------------

VP: main apne aap ko bahut hi Khushnaseeb maanti hoon ki maine
Kishore-da ke saath 'live' gaana gaaya hai Jeany aur Johny film mein.
aap to jaante hain us zamaane mein, us waqt mein 'live recording'
hoti thi, 'singers' aaju-baaju khaDe rehte the, hazaaron 'musicians'
rehte the, aur hamein gaana paDtaa tha. aur main apne aap ko 'lucky'
maanti hoon ki main bhi us 'phase' se guzree hoon. main shaayad 8 yaa
9 saal ki thi jab yeh gaana gaaya tha Kishore-da ke saath 'live',
main chaahti hoon aap yeh gaana sune.

--------------------------------------------------------------------
Song: sun Jinia arey jaa, naheen karoonga ab Galti (Jinny Aur Johny)
--------------------------------------------------------------------

VP: ek gaana maine aur Sulaxana didi ne saath mein gaaya hai, bahut
hi Khoobsoorat hai, Bappi Lahiri-ji ka 'music' hai, bahut hi achchha,
bahut achchha 'experience' tha, dono ne saath mein 'rehearsal' keeye,
saath mein khaDe hokar gaaya, aur Sulaxana ne mujhe kaise samjhaaya,
bahut Khoobsoorat sa 'incidence' raha hai 'life' kaa, main chaahti
hoon aap yeh gaana sune.

-------------------------------------------------------------
Song: haathon mein mere bhi mehendi lagaayo (Dil Se Mile Dil)
-------------------------------------------------------------

SP: fauji bhaaiyon, mere do bhaai Jatin aur Lalit, ek baar unhone
mujhse poochha ki 'aap ko kisse zyaada pyaar hai?' to maine
bolaa 'Ram Laxman mein se agar poochhe ki Ram pyaare hain yaa Laxman,
mujhe to tum dono hi Ram Laxman lagte ho, aur meri 'blessings'
tumhaare saath hain'. main jaanti hoon ki agar woh chaahen to kyaa
naheen kar sakte, bahut sureele bhaai hain mere, 'I am proud of
them'.

VP: main Jatin aur Lalit ki sabse pyaari bahen hoon, bahut pyaar
karte hain, main hameshaa koshish kee hai fauji bhaaiyon, ki unke
achchhe gaane gaayun, lekin pataa naheen, 'unfortunately' kuchh na
kuchh aisa hotaa raha ki main gaati thi lekin woh gaane mere 'final'
bahut kam rehte the. lekin ek gaana hai jo 'final' mein raha hai,
woh "jawaan ho yaaron yeh tumko huya kya", yeh gaana sirf aapke liye
kyunki aap hi hamaare jawaan sipaahi hain.

-----------------------------------------------
Song: jawaan ho yaaron (Jo Jeeta Wohi Sikander)
-----------------------------------------------

VP: main apne aapko Khusnaseeb maanti hoon ki Vividh Bharati ne aaj
hamko itnaa achchha maukaa diya ki main aap ko gaane bhi sunaa sakee,
aap ke dil ki baaten bhi kuchh poochh kar sakee, aur aapke thoDaa
paas bhi aa sakee, door rehkar bhi main aap logon ke liye bahut duyaa
maangoongi aur duyaa karoongi ki aap hameshaa hamaari rakshaa karte
rahen, aur hamaare Vividh Bharati ke sureele puraane gaane sunte
rahen. aur ham sabko hamesha hamesha pyar karte rahen.

SP: aaj main teeno bahene, teeno bhaai, ins abke baal-bachche, sabke
liye duyaa karti hoon, aap sab ke liye to bahut duyaa karti hoon, aap
wahaan baiThe ham sab ko sambhaal rahe hain, aur ham aapke zariye
zindaa hain duniya mein, bhagwaan kare aapki bahut lambi umar ho, jo
aapke dil mein aaye woh aapko mile, yeh meri aashirvaad hai aap sab
ko.

Both sings "jai Hind jai Hind ki senaa, jaya he jaya he jaya he".

THE END

#1800 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Jan 27, 2008 5:55 am
Subject:: VB50: Anmol Moti - 18 (Asha Bhosle)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
First of all congratulations to Asha-ji for being awarded Padma
Vibhushan.

Listen to Asha Bhosle speaking about her father Dinanath Mangeshkar.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1799 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Jan 27, 2008 5:53 am
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 13)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 13
----------

KS: Pyarelal-ji, aapse baatchit chal rahi thi, ek gaane ka zikr aap
ne kiya tha "achchha to ham chalte hain", aap ne bataaya ki kaise
Lata-ji isey gaate samay apna 'purse' leke chali gayeen. yeh jo gaana
hai, maine sunaa hai, iske peechhe bhi kahaani hai.

PL: is gaane ke peechhe kya huya main bataayun aapko, J Om Prakash-ji
Khud chaah rahe the ki kuchh 'different type' ka 'duet' bane. to
Rajesh Khanna ne bhi kahaa ki 'aap log achchha dhun to banaate hain
par nayaa kuchh karen'. to aise baat nikli ki agar bolchaal jaisi koi
baat karen, jaise baat karte hain aapas mein, to agar, yeh 'scene'
tha, aapko maaloom hai Paigam 'picture' ke andar, to Paigam mein
ek 'scene' tha Dilip Kumar aur Vyajayanthimala ka, bahut mashoor huya
tha. bahut 'romantic' tha. to bole ki agar baatchit mein gaana bane,
bolchaal waala gaana bane to achchha lagegaa. to sochte rahe, do
chaar din chale gaye, hafte chale gaye, 10 din ho gaye. ek din Bakshi-
ji jab uThe, to J Om Prakash-ji bole ki 'achchha Bakshi-ji, aisa
karte hain aaj chalte hain, kal phir milte hain, log ikaTTha karna
hai'. to Bakshi-ji ne kahaa ki 'kahaan par milenge', to unhone kahaa
ki 'office mein milte hain'. bole 'Theek hai'. to aise baat chalee.
to jhaT se Bakshi-ji bole 'arey Laxmi, yeh kaisa lagta hai tumko?
maine kahaa "achchha to ham chalte hain", aap bologe "phir kab
miloge"'. Laxmi-ji ne kahaa 'bahut achchha hai'. to aise karte karte
aage baDhte gaye. (KS laughs). aur yeh gaana ban gaya.

-------------------------------------------------
Clip: achchha to ham chalte hain (Aan Milo Sajna)
-------------------------------------------------

PL: hamaare pehle gaane ke liye Lata-ji ne paise naheen leeye the,
kahaa ki 'gaana achchha banaa hai, main paise naheen loongi'.

KS: kaun sa gaana tha?

PL: ek 'picture' thi, yeh baad mein naheen banee, Hum Tum Aur Woh.
usmein gaana gaaya tha unhone, boleen 'achchha lagaa gaana, paise
naheen loongi'. baad mein aise hi 'repeat' huya tha "jeevan Dor tumhi
sang baandhee"

KS: aa ha, bahut achchha gaana hai!

PL: haan, to us 'time' mein to isliye naheen liya tha ki pehlaa gaana
hai, lekin is gaane mein boleen 'naheen, aaj main bahut Khush hoon'.
aur kyaa, unkaa bahut aashirvaad raha, kabhi kabhi ham log mazaak bhi
karte hain, agar woh sun rahi hongi to woh hansengi zaroor. kabhi ham
baat rahe hote hain to kabhi koi 'singer' aata hai, ham baiThe hain
aapas mein, to bahut harkat se koi gaata hai na, koi 'musician'
aayegaa, bahut harkat se bajaayegaa, samjhe na aap, to Lata-ji chupke
se bolti hain kaan mein 'yeh apne harkaton se baaz naheen aayegaa'.
(KS bursts into laughter). to yeh unki Khoobi hai Lata-ji ki ki jab
gaati hain, kaun si cheez mein kitna gaana hai, aur unki Khaas Khoobi
thi jo main bataayun aapko, jo bahut kam log jaante hain, woh bahut
achchhi 'composer' hain, unhone 'music' bhi kiya hai

KS: jee haan jee haan

PL: Anandghan naam se, main to bolta hoon, agar woh khud 'picture'
karti tab bahut achchhe 'melodies' hamein milte. to unki Khoobee kya
hai ki ham jab gaate hain mukhDaa, main bataa raha hoon aapko,
mukhDaa hamne gaaya, (sings) "bindiyaa chamkegee chooDee khankegee",
phir (sings) "teri", woh bhi hamaare saath aage chali jaati theen,
unko pataa tha ki gaana yahaan se jaa rahi hai to aage aisa honewaala
hai. kya hai, yeh dekhiye (sings) "bindiyaa chakegee", ab ismein
Khaas 'beauty' hai, logon ne sunaa hai, dhyaan diya hai yaa naheen,
naheen maaloom, uski 'main beauty' hai gaane ke andar ki (Pyarelal
describes by signing how Lata had sung this song: there was a long
note like "bindiya chamkegieeee" while the next two words ended in
short as "choodi khankegi", this "khankegi" was very soft and short.
This was suggested by Lata-ji herself.)

KS: jee haan jee haan

PL: to yeh sab jo 'beauties' hain inhe samajhke aur hamko bhi bahut
shauk hai

KS: isse gaane ka bhi saaj singaar hotaa hai.

PL: aur phir Bakshi-ji saath mein, woh chaar chaand, 'music' bahut
samajhte hain woh, to bahut 'help' ho jaata hai.

------------------------------------------------------
Song: bindiyaa chamkegee chooDee khankegee (Do Raaste)
------------------------------------------------------

PL: Madan Mohan-ji ke saath unhone kya kya Ghazlen gaayi hain,
aur 'sad songs'.

KS: ham aapke gaano ki baat karnaa chaahte hain, 4/5 gaane to
bataaiye Lata-ji ke...

PL: main bataa raha hoon na aapko, abhi yeh ek din Lata-ji ne kahaa
ki 'aap Madan-ji jaisa koi gaana banaaiye'. to hamne banaaya ek
gaana, yeh film Jaal mein tha, (sings) "meri zindagi ke chiraaGh ko
teri berooKhi ne bujhaa diyaa, tere raaste ki main Khaak hoon mujhe
aaj tune bataa diyaa".

----------------------------------------
Song: meri zindagi ke chiraaGh ko (Jaal)
----------------------------------------

PL: phir hamne ek gaana banaaya Naushad saahab jaise, (sings) "ham
pyaar keeye jaayenge, koi rok sake to rok le, chaahe yeh duniya
deewaar bane, yaa maut gale ka haar bane...", lagtaa naheen Naushad
saahab ka! (KS laughs).

--------------------------------------------------
Song: ham pyaar keeye jaayenge (Daku Mangal Singh)
--------------------------------------------------

PL: aap ne yahaan mujhe baat karne ke liye bulaaya hai yaa gawaane ke
liye (KS laughs loudly).

KS: aapne itne saare logon ko gawaaya hai...

PL: yeh gaana sunkar aapko naheen lagtaa ki yeh Naushad saahab ka
gaana hai?

KS: jee haan

PL: to hamko shauk rahaa. baad mein hamne yeh band kar diyaa, band
isliye kar diyaa kyunki yeh achchha naheen hai, ham Khud ka achchha
kuchh karen.

KS: aap apne gaano mein se kaun se gaane ko 'best' gaana maante hain
jisko Lata-ji ne chaar chaand lagaa deeye?

PL: "satyam shivam" jo gaana hai na, woh 'singing' ke andar,
jaise "jaago mohan pyaare", to "satyam shivam sundaram" ke andar aap
dekhenge unhone ek ek cheez ko itnaa 'importance' diya hai, kyunki
uske andar jo 'singing' hai bahut mushkil hai, kyunki mukhDaa hi
itnaa lambaa hai, itnaa achchha jaata hai woh.

KS: bahut hi 'divine'

PL: bahut, bahut

KS: us geet ko sunte huye aapko doosri koi cheez sunne ki zaroorat
naheen.

PL: woh gaana jo shuru hotaa hai naa, veeNaa ke baad 'flute','flute'
Hari-ji ka hai, aur veeNaa Goswami-ji ka hai.

-----------------------------------------------------
Song: satyam shivam sundaram (Satyam Shivam Sundaram)
-----------------------------------------------------

PL: ismein bahut logon ne daad deeye hain, ki ham kyaa karte the
(sings) "suno sajnaa papeehe ne...", (hums the mukhDaa tune). abhi
antare mein jab ham jaate hain to koi bhi gaayak, koi bhi 'composer'
kya karegaa, antaraa jab shuru hotaa hai (hums the antaraa tune), to
kyaa karte hain, koi bhi 'classical singer' ho, 'film singer' ho, koi
bhi aadmi hai woh kyaa karegaa (hums the tune), hamne kyaa kiyaa
(hums the actual antara tune), hamne usko toD diyaa, ab yeh 'beauty'
hai, aap samjhe naa, yh sab cheez jab ham karte hain tab Lata-ji ki
waah waah milti hai, aur ham jab tak waah waah naheen lete, ham Lata-
ji ke saamne gaana rakhte hain, woh hamaare saath saath gaati hain,
woh 'right' jaati hain to hamein 'left' nikalnaa hi hai (laughs).

------------------------------------------------
Song: suno sajna papeehe ne (Aaye Din Bahaar ke)
------------------------------------------------

KS: Lata-ji ke liye aap kyaa kahenaa chaahenge?

PL: ab unke liye kyaa boloon main! 'words' naheen hai, unkaa haath
hameshaa hamaare sar pe rahe, main to bas yahi kahoongaa ki woh
sangeet ke liye ek bhagwaan ka vardaan hain, unki taareef naheen kar
sakte, woh Khud devi ka roop hain, 'thats all'. main jab bhi unhe
dekhtaa hoon usi roop mein dekhtaa hoon, muskuraate huye, maine kabhi
unko bure 'mood' mein dekhaa hi naheen. gussaa aata hai unko, lekin
maine kabhi dekhaa naheen. hameshaa achchhe 'mood' mein rahengi,
sabse baat karengi.

KS: Pyare-ji, aap kabhi maante hain ki duniya jise 'legend' maanti
hain, kingvadanti maanti hain, jeetejee apne aap mein ek aashcharya,
sangeet ke lihaaz se kahen to aashcharya hain, unke saath kaam karne
ka mauka milaa, unhone aapki sangeet rachnaayen gaayeen, aapki dhuno
par unhone gaane gaaye, yeh kahin na kahin andar baat gauravaanvit
karti hongi aapko?

PL: arey kyaa baat hai! ham log 'lucky' hain ki usi 'period' mein
hamko milee woh, kaam karne ke liye, aur 'I think', yeh to bhagwaan
ka, bolnaa chaahiye ki Laxmi-ji ko aur ham dono ko milaaya aur yeh
sach hai, isko koi jhuTlaa naheen saktaa, ki Lata-ji ka 'best period
60s, 70s, 80s, 95', iske baad bhi, aaj bhi gaana unkaa hai, Veer
Zaara ke gaane sune hain maine, aaj bhi unki wohi jagah hai.

-------------------------------------------------------
Clip: ham to bhai jaise hain waise rahenge (Veer Zaara)
-------------------------------------------------------

#1798 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Jan 27, 2008 5:48 am
Subject:: Vishesh Jaimala - Jaspal Singh
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
fauji bhaaiyon, aap sab ko Jaspal Singh ka namaskaar, satsriakaal,
aadaab aur 'Good Evening'. main Vividh Bharati waalon ka bahut
shukraguzaar hoon jinhone aaj mujhe yahaan bulaaya hai aap logon se
baatchit karne ke liye aur yeh main yeh sach keh raha hoon ki aap log
jo hamaare liye karte hain, ham to aapke liye kuchh bhi naheen karte.
iske liye kuchh shabd naheen hai. pehlaa gaana jo sunwaana chaahta
hoon woh hai Rafi saahab ka gaana. isse pehle ki gaana sunaaya jaaye,
Rafi saahab ke baare mein main bataana chaahta hoon, maine kuchh
maheene pehle Patna mein ek 'show' kiya tha, 31st July ko, Rafi
saahab ki 'Nite' mein un logon ne mujhe bulaaya tha, wahaan maine
8 'line'-en khud likhee thi, woh main aapko sunaata hoon. unke liye
mere man mein jo shraddha hai aap sab ke man mein bhi hogi, yeh aapko
sunaata hoon...

"Rafi saahab ki aawaaz bhi kya umdaa aawaaz thi,
baDe nek insaan the shaKhsiyat laajawaab thi,
kehne ko to woh ek insaan ki aawaaz thi,
par main to kehta hoon ki woh Khud eeshwar ki aawaaz thi,
naa to abhi tak aayi hai naa kabhi aayegi,
kyunki woh ek janam ki naheen balki ek yug ki aawaaz thi,
kab woh yug aayegaa aur kab phir sunne ko milegi,
isi hasrat mein mar jaayenge woh aisi roohaani aawaaz thi."


Song: insaaf ka mandir hai yeh bhagwaan ka ghar hai (Amar)


fauji bhaaiyon, aap ne abhi Rafi saahab ka gaana sunaa, to main to
yeh samajhtaa hoon ki yeh gaana sunne ke baad aap sabhi gadgad ho
gaye honge. Khair main to hoon. to ab main aapko thoDaa apne baare
mein bataata hoon, ke main khud hi bachpan se Rafi saahab ka 'fan'
boliye, yaa mujeed boliye, maine 'college, school', jahaan bhi maine
gaaya hai, Rafi saahab ke gaane hi gaaya hai, aur Rafi saahab ki
aawaaz mere andar aise ghusee ki jaise meri aatma ki aawaaz hai.
maine jo bhi gaane gaaye, unhine ke gaaye, aur mere andar aise basee
hai jaise nas nas mein aadmi ke Khoon basaa hotaa hai na! aur main
yeh bataana chaahta hoon ki unhi se isnpiration leke main samajhtaa
hoon ki main gaana gaata tha aur unhi ko apna guru maanta raha hoon
hameshaa. main Punjab mein, Amritsar mein paidaa huya, bachpan se
main waheen pe tha, waheen se maine 'graduation' kee, to waheen pe
main 'school, college, universities' mein gaata tha, 'awards' milte
the, 'even I was declared best singer of Punjab University also',
phir main Delhi mein aa gaya, 'law' kiya maine, wahaan Supreme Court
mein 'practice' kee, magar mere man mein ek 'singer' banne ki baDi
ichchha thi aur sab mere ko, aaspaas jitne log, rishtedaar, sab mere
ko bolte the ki 'tumhaare paas yeh guN hai, iskaa faaydaa uThaao'. to
maine kahaa ki guN to hai lekin aisa koi aadmi to honaa chaahiye na
ki jo aapko 'break' de, aapko 'chance' de, aur iske liye bahut
baDi 'struggle' hai, aur main bahut 'simple' saa aadmi hoon aur main
bahut si baaten naheen kar saktaa. magar kudrat ne kuchh aisa
karwaana tha ki meri bahan ki shaadi Bombay mein ho gayi. aur mere
jijaaji bhi 'film line' se thoDe 'concerned' the, to main Bombay mein
aa gaya. Bombay mein aa gaya to meri bahan ne jo mere liye kiya woh
to shaayad maa-baap bhi naheen karte. main abhi kya uske baare mein
boloon. meri bahan ne mere liye bahut koshish kee, mere jijaaji ne
mere ko pehli 'picture' mein gaana gawaaya, Bandish 'picture' thi,
Usha Khanna-ji ke sangeet mein, woh 'picture' naheen chalee, log mere
ko bhool gaye. phir ek gaana Mahendra Kapoor-ji ke saath gawaaya.
phir yeh avindra Jain-ji ke saath mere taallukaat ho gaye, aana jaana
uThna baiThna, dosti huyi, unke saath gaata tha main, to yeh Geet
Gaata Chal 'picture' ke liye, yeh Rajashree-waale 'picture' banaana
chaahte the, un logon ko ek naye laDke ki aawaaz chaahiye thi, to
main ek din kisi aur wajah se apne 'tape recorder' pe apna ek gaana
unko sunaake aaya tha, to kismat boliye yaa eeshwar ki kuchh kripaa
boliye, aap sab logon ka aashirvaad hogaa, woh 'break' mere ko milaa,
ar aap logon ne jis gaane se mujhe pehchaana woh ab main sunaata
hoon, (sings) "geet gaata chal o saathi gungunaata chal, hanste
hansaate beete har ghaDi har pal..."


Song: geet gaata chal o saathi (Geet Gaata Chal)


fauji bhaaiyon, ummeed hai aapko yeh gaana bahut pasand aaya hogaa
kyunki aap logon ne, sab logon ne milke isi gaane se mere ko
pehchaana hai. magar ek baat mere man mein bahut armaan reh gaya hai
ki, maine Ajanta Arts Sunil Dutt saahab ke saath bahut 'shows' keeye
hain, woh Punjab mein, Ambala mein, Bhiwani mein, wahaan par fauji
bhaai bhi the, sab tarah ke log the, magar ek hasrat reh gayi
ki 'border' mein aap logon ke saath koi mauka mil jaayen to, abhi to
naheen milaa lekin agar mil jaata hai to main is mauke ko kabhi
naheen chhoDoonga aur meri bahut ichchha hai ki aap logon se miloon,
un logon se miloon jo hamaari zindagi bachaate hain. ham to aaraam se
pane apne gharon mein baiThe hain aur aap log hamaare liye kya kya
karte ho, aapkaa diyaa ham kabhi naheen utaar sakte. isi 'point' ko
lekar main aapko ek gaana sunaata hoon Leader film ka jo Rafi saahab
ne gaaya hai.


Song: apni aazaadi ko ham hargiz miTaa sakte naheen (Leader)


fauji bhaaiyon, main jab yahaaan Bombay mein aaya, yahaan mujhe kya
kya karna paDaa, kya kya paapaD belne paDe, khair maien to
itna 'struggle' naheen kiya jitna aur logon ne kiya hai kyunki mere
ko meri bahan ka bahut sahaara tha. phir bhi bahut kuchh phir bhi
karna hi paDtaa hai 'chance' lene ke liye, baar baar logon ke paas
jaana paDtaa hai, 'music directors' ke paas, 'producers' ke paas, woh
aapko bolenge 'achchha, aapki aawaaz bahut achchhi hai, aap bahut
achchha gaate hain, aap milte rahiye, 'next picture' mein karenge',
aise karte karte kitne saal beet gaye, magar kisi ne 'break' naheen
diya. phir mere guruji, jinse maine sangeet seekha unhone mere liye
ek Rang-e-Ghazal 'record' bhi banaaya, un dino GHazlon ki aisi koi
ahmeeyat naheenthi, magar phir bhi logon ne thoDaa bahut jaanna shuru
kiya ki koi nayaa 'singer' hai. aise ek din maaloom paDaa ki
Rajashree Productions waale, 1974 ki baat hai yeh, nayi 'picture' ek
banaana chaahte hain kisi naye laDke ki aawaaz ke saath,
naye 'singer' ko lenaa chaahte hain. to Ravindra Jain-ji ne mera
naam 'suggest' kiya. to mere unhone bulaaya to maine Rajashree
ke 'studio' mein jaake 'record' kiya ek Ravindra Jain-ji ka. to baad
mein maaloom paDaa ki unhone mujhe 'select' kar liya. aap bhi jaante
hain ki 'picture' woh bahut chalee, gaane bahut chale, isliye aap sab
logon ne mujhe pehchaana. to uski wajah se aaj tak aapki kripa mere
upar hai, jo aaj tak chal rahi hai. phir uske baad, main bataana
chaahta hoon ki phir uske baad ek film aayi Saawan Ko Aane Do, "tumhe
geeton mein Dhaaloonga saawan ko aane do", yeh gaana chalaa tha, yeh
bhi aap logon ne bahut pasand kiya tha, woh gaana Rajkamal-ji ne
banaaya tha, Rajkamal-ji bahut guNee 'music director' the, aaj
hamaare beech mein naheen hain, unhe shukriyaa adaa karta hoon ki
unhone mujhse yeh gaana gawaaya, Rajashreewaalon ne mujhe yeh gaana
gawaaya, woh gaana abhi main aapko sunaata hoon, (sings) "tumhe
geeton mein Dhaaloonga saawan ko aane do..."


Song: tumhe geeton mein Dhaaloonga (Saawan Ko Aane Do)


fauji bhaaiyon, aap ne meri aawaaz to sun lee, aaj aapko woh, abhi
aapko woh aawaz sunaana chaahta hoon jiske saamne main to kyaa har
koi feek hai. Lata-ji ka ek gaana bahut achchha aapko sunaata hoon,
Adalat film ka gaana hai, "unko yeh shikaayat hai ke ham kuchh naheen
kehte"


Song: unko yeh shikaayat hai ke ham kuchh naheen kehte (Adalat)


to Lata-ji ko aapne sunaa, unkaa koi jawaab naheen, koi toD naheen.
abhi Asha-ji bhi hain, ASha-ji ke saath maine bahut gaane gaaye hain,
bahut 'picture'-on mein gaaye hain, Hindi 'picture',
Punjabi 'picture', aur Asha-ji itni achchhi hain, itni 'encourage'
karti hain, unka main aapko ek gaana sunaana chaahta hoon. yeh
aawaazen jo hain na, woh is yug mein to naheen milnewaali hai. yeh
aap aawaazen sun lo, man mein basaa lo apni, basaaye huye hi hain,
zaraa inhe aur achchhi tarah biThaa lo. inkaa, Asha-ji ka Umraojaan
film ka woh gaana bahut achchha hai, "dil cheez kya hai aap meri jaan
leejiye", suniye aap.


Song: dil cheez kya hai aap meri jaan leejiye (Umraojaan)


fauji bhaaiyon, jaate jaate main aapko ek apna gaana sunaana chaahta
hoon, yeh Ravindra Jain-ji ka hai, unhone mere ko 'break' diya tha,
to main unki yaad mein ek gaana zaroor sunaana chaahta hoon. yeh
gaana unhone mujhse gawaaya hai zaroor magar kaise gawaaya hai,
saara 'credit' main unko doonga, ek ek shabd kaise bolnaa hai, kaise
utaar chaDhaav, kaise 'vowels' kaise gaane hain, unhi ko
poora 'credit' doonga, apne aap bilkul naheen 'credit' loongaa, yeh
gaana aap logon ne bahut pasand kiya hai, Nadiya Ke Paar 'picture'
kaa gaana hai, aaj bhi bahut chal raha hai, to "kaun disaa mein leke
chalaa he baTohiyaa", (sings) "man bharmaaye naina baandhe re
Dagariya, kahin gaye jo Thahar, din jaayegaa gujar, gaaDi haankan de,
haankan de, kaun disaa mein leke chalaa he baTohiyaa..."


Song: kaun disaa mein leke chalaa he baTohiyaa (Nadiya Ke Paar)


abhi kyaa kiya jaaye, dil to bilkul naheen bharaa, ki aap se
bichhaDne kaa, dil karta hai ki aap se baaten karte rahen, aur aapki
prashansaa mein koi shabd bhi naheen hai mere paas. jo aapki
qurbaaniyaan hain hamaare liye, desh ke liye, par phir bhi samay aisa
ho gaya hai ki mujhe ab jaana paDegaa, main aap logon ka bahut
shukriyaa adaa karta hoon jo mere ko aaj yeh maukaa milaa aap logon
se baat karne kaa, Vividh Bharati ka shukriyaa adaa kartaa hoon, phir
kabhi maukaa milaa to zaroor aapko milne aayungaa, namaskaar, Jai
Hind!


Song: yeh aaj ka bhaarat hai o saathi (Mazdoor Zindabad)


THE END

#1797 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Jan 27, 2008 5:48 am
Subject:: VB50: Anmol Moti - 17 (Roshan)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Roshan speaks about his first films - Neki Aur Badi and Bawre Nain, and
much more about his music.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1796 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Mon Jan 21, 2008 1:19 pm
Subject:: Re: Kishore Kumar interview on AIR
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi kaustubh,

any idea which station of AIR had broadcast this interview?

Sujoy

--- In vividhbharati@..., "Kaustubh Pingle"
<kcpingle@...> wrote:
>
> Came to know that there was an interview of kishore kumar taken by the
>  bengali stage actor and director ajitesh bandyopadhyay for the all
india
> radio around 1969 where the man sang malthus's theory of population
set to
> tune by himself !!
>
> Game for finding that one ? then start.....bolo har har Kishoredev :-)
>
> KCP
>

#1795 From: "Kaustubh Pingle" <kcpingle@...>
Date:: Mon Jan 21, 2008 7:07 am
Subject:: Kishore Kumar interview on AIR
kcpingle
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Came to know that there was an interview of kishore kumar taken by the  bengali stage actor and director ajitesh bandyopadhyay for the all  india radio around 1969 where the man sang malthus's theory of population set to tune by himself !!
 
Game for finding that one ? then start.....bolo har har Kishoredev :-)
 
KCP
 
 

#1794 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sat Jan 19, 2008 4:24 am
Subject:: Sargam Ke Sitare - Sunidhi Chauhan (Part 2)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
PART 2

SC: Sunidhi Chauhan
YK: Yunus Khan

YK: Sunidhi, aapke baare mein lagaataar yeh kahaa jaata hai aapko
lekar, main ilzaam shabd 'use' naheen karnaa chaahoonga ki aap
hameshaa 'high-pitched songs' zyaada gaati hain, kyaa aapko lagtaa
hai ki ek khaanche mein bandh jaane ka aapko thoDaa sa nuksaan huya
hai?

SC: naheen, mujhe sirf faaydaa huya hai. agar aap bolenge ki ek
khaanche mein rehne se, to mujhe to faaydaa hi huya hai. pehchaan bhi
usi se bani hai. aur ek tarah ke gaane main kisi zamaane mein gaati
thi, uske baad 'last' 3 saalon mein, jab se, 'not' 3 saal 'actually',
usse bhi zyaada ho gaye hain, 'my first love song' jo gawaaya tha Anu
Malik-ji ne film Ajnabee se, "meri zindagi mein ajnabee ka intezaar
hai".

---------------------------------------------------------
Song: meri zindagi mein ajnabee ka intezaar hai (Ajnabee)
---------------------------------------------------------

SC: uske baad main aisa bhi kahoongi ki ek 'time' aisa bhi aaya hai
ki jab beeDee bhi chal raha hai, aur 80% gaane 'romantic' mujhe mil
rahe hain, baaki jo 'item songs' jinhe kehte hain, yaa phir 'high
pitched' yaa 'fast paced' jo bhi keh leejiye. 'high-pitched' gaane
kabhi hote naheen hai, yeh to 'singer' ki 'range' pe 'depend' karta
hai, aur jo aap 'high-pitched' gaane keh rahe hain, woh 'high-
pitched' naheen hai, 'lets say powerful' gaane, woh main zyaada
isliye gaati hoon kyunki meri 'choice' naheen hai, mujhe gaane ke
liye kahaa jaata hai to main gaati hoon, lekin kuchh saalon
se 'trend' poora 'change' ho gaya hai, main har tarah ke gaane gaa
rahi hoon, film Fanaa ke gaane aap ne sune honge.

YK: bilkul, balki main usi par aa raha hoon. Fanaa ke gaane bahut
achchhe hain, aur "mere haath mein tera haath ho", bahut Khoobsoorat
gaana hai aur is gaane mein aapki aawaaz ka bahut naazuk rang sunne
ko milaa hai, is gaane ke baare mein bataaiye. aur jab yeh 'compose'
huya aur jab aap ne gaaya, koi Khaas aisi baat?

SC: Khaas baat yeh ki Yash Raj Films ke liye, jab maine pehli baar
gaaya tha woh thi Dhoom, bahut achchha gaana chalaa, main hameshaa
Yash Raj ke liye gaati rahi hoon aur is baar jo maukaa milaa woh
Kajol ki 'comeback' film thi, bahut saari cheezen juDee huyi theen.
Jatin Lalit ki joDee ki aaKhri film thi woh. bahut saare 'factors'
the aur upar se 'fast paced' koi gaana naheen gaa rahi thi main. main
bahut 'beautiful', ek 'typical romantic' gaane jo hote hain...

YK: 'typical Yash Raj song'!

SC: 'typical Yash Raj song' bhi woh naheen the, aur bhi Khoobsoorat
gaane Jatin Lalit-ji ne is baar banaaye, woh har baar achchha kaam
karte hain lekin is baar kuchh alag rang tha, 'may be because of the
arrangement', Salim Suleiman ne 'music arrange' kiya tha unke liye.
to poora jo 'treatment' tha gaane ka woh 'different' sunaaee de raha
tha.

YK: kyun na aapki aawaaz mein do 'line' suna jaaye is gaane ka

SC: (sings) "mere haath mein tera haath ho...". 'recording' pe hamne
bahut masti kee, ham zyaada hanste the kaam kam karte the, Sonu-ji ke
saath do 'duets' the, aur saath mein to hamne naheen gaaya, woh gaake
chale jaate the, main aati thi, yaa main gaakar chali jaati thi phir
woh aate the. lekin 'experience' poora bahut achchha raha, ek bahut
baDi film bhi thi. to achchha hi lagaa!

-------------------------------------------
Song: mere haath mein tera haath ho (Fanaa)
-------------------------------------------

YK: aap ne 2006 ke Asian Games jo huye the Doha, Qatar mein, unkaa
jo 'motto song' tha, woh aap ne...

SC: 'reach out'

YK: haan 'reach out', yeh kis tarah se aapko bulaaya gaya tha aur
kisne 'compose' kiya tha aur kaisa lagaa tha 'sports' ke ek 'big
event' mein aap gaa rahi hain?

SC: woh to ek sapnaa jaisa tha jo maine 'experience' kiya, maine aur
mere paapa ne, dono ne milke. bahut Khushnaseeb the ham log ki aisa
kuchh dekhne ko bhi milaa. Asian Games, 'obviously after Olympics,
Asian Games' ka hi naam aata hai. bahut baDi baat thi ki main India
ko 'represent' kar rahi thi. 3 hi 'performance' the us 'show' mein,
Egypt, China aur India. to China ke ek 'singer' the, Egypt ke
do 'singers' the aur main India ko 'present' kar rahi thi.
bahut 'honour' ki baat thi, 'pride' ki baat thi, aur yeh jo gaana tha
isey 'compose' kiya tha Venissa aur Paul ne, jo Canadian, 'I think
Canadian music directors' the, agar mujhe 'correctly' yaad hai to.
aur woh unhone bahut Khoobsoorat gaana banaaya. yaheen India
mein 'record' kiya tha Bombay mein, aur woh bhi, woh wahaan se sun
rahe the. ham log 'webcam' mein ek doosre se baat karte huye,
aise 'recording' huyi thi. aur bahut achchha lagaa unko bhi mera
gaana. wahaan pe 'probably' 40 yaa 50% Indians bhi the. sabkaa ek
woh 'roar' sunaaee detaa tha 'audience' mein jab India ki baat aati
thi yaa jab maine 'perform' kiya uske baad jo 'response' tha
woh 'unbelievable' tha. 'everything about that show was so magical!',
jo main aaj tak naheen bhool paayi hoon aur mujhe naheen lagtaa kabhi
main bhool bhi paayungi.

YK: kitna 'follow' karti hain Sunidhi Chauhan 'sports' ko?

SC: bilkul naheen 'in fact', 'cricket' ki zyaada shaukeen naheen
hoon, main chaahe 'cricket' mein 'interest' rakhoon yaa na rakhoon
India hi hameshaa jeetni chaahiye (both laughs loudly).

YK: kya baat hai, waah!

SC: woh to desh ki baat hai, woh alag hi 'factor' hai. baaki jo
mere 'interest' hai woh kaafi kam hai, thoDaa bahut 'interest' jo hai
woh hai 'soccer' mein, 'I like to see football'. woh dekhnaa pasand
hai.

-------------------------------------
Song: aayi re aayi re Khushi (Khushi)
-------------------------------------

YK: achchha! Sunidhi, aapne kitni bhaashaaon mein gaane gaaye hain?

SC: kaafi, 'in fact almost' sabhi bhaashaaon mein gaaye hain. Tamil,
Telugu, Kannada, Malayalam, Gujarati, Bengali, Marathi, Oriya,
Nepali, Pahadi, sabhi.

YK: kaise 'manage' karti hain alag alag bhaashaaon mein gaana agar
woh bhaashaaen na aati hon to?

SC: yeh 'grasp' karne ki jo 'power' hai bahut achchhi hai to jo
woh 'dictate' kar rahe hote hain to woh koi bhi 'language' ho,
unke 'lips read' karke 'pronunciation' pakaD leti hoon. aur mujhe
takleef naheen hoti hai. 'in fact' kai baar aisa bhi huya hai ki
logon ko 'believe' naheen hota hai ki main Kannada naheen jaati hoon
bolnaa yaa Tamil naheen jaanti hoon, itna achchha 'pronunciation'
kabhi kabhi hota hai. 'I have been lucky in that case, I have been
able to carry off almost all the languages'.

--------------------------------------
Song: mehboob mere mehboob mere (Fiza)
--------------------------------------

YK: kuchh baras pehle meri Lata-ji se 'telephone' par baat huyi thi,
aur maine unse poochha tha ki 'aaj ke zamaane ke kaun si aisi
gaayikaaen hain jo achchha gaa rahi hain', aur unhone aapka naam liya
tha aur bahut bahut bahut taareef kee theen. Lata-ji se kitni aapki
mulaaqaaten aapki huyi hain aur kis tarah se woh aapki taareef karti
hain aur kaisa lagtaa hai aapko jab Lata-ji aapki taareef karti hain?

SC: Lata-ji to bhagwaan hain. to unke munh se sirf itna hi nikalna,
sirf mera naam nikalnaa bahut baDi baat hai, to agar woh meri taareef
karti hain to isse baDi baat mere liye aur koi ho naheen sakti. unko
to main shukriya adaa bhi naheen kar sakti. yehi boloongi ki agar woh
mujhe chaahti hain to bas unkaa aashirvaad rahe aur main apni taraf
se main unko niraash naheen karoongi. unki agar ummeeden hain mujhpe
to main zaroor, aur baaki unse ek ajeb sa rishtaa raha hai.

YK: shuru se hi

SC: shuru se hi, Meri Awaaz Suno ke 'time' se jab maine woh 'trophy'
unke haath se lee thi. 'competition' mein hisaa hi isliye liya tha ki
ek din Lata-ji ke darshan ho jaaye, Delhi se thi to mere liye to
sapnaa saa hi tha ki unko chhoo ke dekhoon ki woh kaisi dikhti hain
saamne se, aur sochaa bhi naheen tha ki jeetoongi, bas yeh koshish
thi ki kaafi 'rounds clear' kar loon aur 'megal finals' tak pahunch
jaayun taaki Lata-ji se mil sakoon.

YK: waah waah!

SC: jeetee to Khushi ka koi andaaza hi naheen tha, phir unkaa
mujhe 'trophy' denaa, mere aansoo ponchhkar mujhse bolnaa ki 'agar
tumko kisi cheez ki zaroorat ho to main hoon', mere liye to usse
baDaa din hi naheen tha, sabse baDaa zindagi ka din woh tha, aur uske
baad, woh sab ho jaane ke baawjood meri unse itnaa 'respect' hai, ham
sabhi ka hai unke liye, lekin meri himmat bhi naheen hoti hai ki
unko 'phone' karoon, baat karoon, to didi se aaj tak itne saalon mein
mere Khayaal se 3 yaa 4 baar baat kee hogi.

YK: aur mulaaqaaten?

SC: mulaaqaat shaayad do baar, us din ke baad. do yaa teen
baar 'maximum' itne saalon mein. unke liye mere andar ek Dar jaisa
hai, matlab, itni baDi hasti hain woh, unke saamne khaDaa honaa
lagtaa hai ki pataa naheen main is laayak hoon ki naheen. to aaj bhi
wohi 'feeling' hai, isliye, haalaanki woh bahut 'comfortable feel'
karaati hain, saamne dikhengi to kahengi ki 'aayo, mere paas baiTho',
itna pyaar karti hain didi, to unkaa main shukriyaa adaa naheen kar
sakti, mere paas shabd hi naheen hai. bas yahi kahoongi ki unkaa
bahut baDaa 'matter' hai meri 'life' mein, unke do shabd bahut baDi
baat hai mere liye, meri poori zindagi ke liye.

YK: sur-saamraagyee Lata Mangeshkar ke liye Sunidhi Chauhan Vividh
Bharati ke Sargam Ke Sitaare kaaryakram mein ek gaana nazar karna
chaahengi.

SC: didi ke liye to unkaa hi gaana 'dedicate' karna chaahoongi, mera
sabse 'favourite' hai, Hanste Zakhm se, "aaj sochaa to aansoo bhar
aaye".

YK: waah!

---------------------------------------------------
Song: aaj sochaa to aansoo bhar aaye (Hanste Zakhm)
---------------------------------------------------

YK: Sunidhi, aap bahut saari 'stage shows' karti hai aur aapka bahut
hi 'electrifying performance' hota hai, kaafi 'energy' hoti hain. aap
bataaiye ki kis tarah ki tayyaariyaan hoti hain 'stage shows' ke
liye? aur aapke liye kitna 'challenging' hai har 'stage show'?

SC: 'stage shows are always challenging', kyunki itne saare log aapko
dekhne aate hain hameshaa naye log aapko dekhne aate hain, aur jab
bhi aate hain to sirf aapko sunne ke liye hi naheen balki dekhna bhi
pasand karte hain. zyaada aapko hi dekhte hain kyunki unke liye bahut
baDi baat hoti hai ki jisko woh sirf sunte aa rahe hain, woh unke
saamne 'perform' kar raha hai. to kaafi cheezen dimaag mein rakhni
paDti hain, ki main kitna achchha 'perform' kar sakoon, kitna
achchha 'interact' unse kar sakoon.

YK: 'live orchestra' ke saath gaana bhi...

SC: 'live orchestra' ke saath gaana hota hai to woh ek alag
hi 'feeling' hoti hai. uskaa jo mazaa hai woh 'recordings' ka bhi
naheen hai, 'live' gaana. uske baad 'performance', in sab cheezon
mein dhyaan dene ki zaroorat naheen hai. main sirf jaati hoon 'stage
shows' mein, main sirf 'enjoy' karti hoon. to main jab 'enjoy' karti
hoon to 'public' bhi 'enjoy' karti hai. to 'I think' kisi
bhi 'artiste' ke liye 'stage shows' mein sabse zyaada 'important' yeh
hai ki kitna 'comfortable' woh 'artiste stage' par hai.
woh 'comfortable' hain to 'you can conquer it'. aap kuchh bhi kar
sakte hain.

YK: 20, 25, 30 hazaar log saamne hain aur koi "beeDee jalaile" ki
farmaaish kar raha hai to koi Dhoom II ke gaane ki farmaaish kar raha
hai.

SC: maine jo 'Idea rocks India tour' kiya tha, 25 shaharon mein India
ke...

YK: lagaataar dhoom machaakar rakh dee thi aapne

SC: ji, bahut achchhe huye woh 'shows' aur har jagah 35 se 40
hazaar 'audience' aati thi, kuchh jagahen jaise Hissar yaa Bhopal,
yaa phir Indore, wahaan par to 70,000 ke upar bhi log aaye. 'believe'
naheen hotaa aaj bhi ki itna pyaar karte hain, itne saare log sirf
mere liye mere 'stage show' ko dekhne aate hain. kyunki woh to tha ki
Sunidhi Chauhan in Concert. agar 3/4 'artistes' ho to Theek hai,
logon ki apni apni 'choice' hoti hai, lekin sirf mere liye itne saare
logon ka ikaTThaa honaa, main to, 'I was at the top of the world'.
woh 'feeling' jo thi woh main aaj bhi mehsoos kar sakti hoon.

YK: 70,000 ki 'audience' saamne ho aur Sunidhi Chauhan ke haath
mein 'microphone' ho, 'live orchestra' ho, to kaisi sansani hoti hai?

SC: main to paagal ho jaati hoon, main sochti hoon ki gaana hi naheen
gaayun, baaten karoon, chillaayun, yaa phir kuchh aisa karoon jaisa
kisi ne na kiya ho pehle, yeh sab 'feelings' hoti hain, aur woh sab
aa jaati hai jab main gaati hoon aur logon se 'interact' karti hoon,
aur jab main kehti hoon ki "sajnaa ji vaari vaari jaayun main",
jab 'public' gaati hai mere saath saath, to aisa lagta hai poora
brahmaanD jaise gaa raha ho, aap 'imagine' kar sakte hain
70,000 'audience' bahut baDi baat hoti hai.

YK: aapke 'stage shows' ki 'recording' yaa 'reports' dekhke yeh pataa
chalaa, andaaza lagaa ki aap 'dance' bahut achchha karti hain aur
aapko shauk hai!

SC: aisa kuchh naheen hai, 'I just move', jaisa maine pehle kahaa hai
ki main 'enjoy' karti hoon 'stage shows', us 'enjoyment' ko 'dance'
boliye yaa 'stage' par idhar udhar ghoomna boliye (laughs), logon ko
achchha lagtaa hai dekhne mein.

--------------------------------
Song: 'crazy' kiya re (Dhoom II)
--------------------------------

YK: aaj tak aapka sabse yaadgaar 'stage show' aap kise maanengi aur
woh kahaan par huya?

SC: mushkil hai bolnaa, bahut mushkil hai, lekin haan, Hissar mein
huya tha yeh. main 'stage' par gayi to "beeDee beeDee" sab logon ko
chaahiye tha, itni zyaada 'problem' mein aa gaye ham log. mujhe yaad
hai wahaan par, agar main Galat naheen hoon to wahaan par 1 laakh log
the.

YK: o ho ho ho!

SC: mujhe achchhi tarah se yaad hai, 'believe' hi naheen kar paaye ki
itne log aa gaye the ki sambhaalna mushkil ho gaya tha. main bilkul
yaad hai kyunki mujhe chhaThaa hi gaana gaana paDaa "beeDee".

YK: jo ki aap 'second last' gaati hain!

SC: 17 yaa 18 par gaati hoon, 18 'number' ka gaana hotaa hai. maine
usey chhaThe 'number' pe gaa diya tha aur uske baad 'show' band karna
paDaa.

YK: o ho ho ho!

SC: haan, to 'show' hamaara huya ki 6 gaano ka, hamaara poora 'show'
hi naheen ho paaya tha, 'audience' aage aana shuru ho gayi thi, bahut
mushkil se wahaan se nikle, aur laakh ke kareeb log the wahaan par.

YK: videshon mein jab aapne 'perform' kiya to kaisa 'experience' raha?

SC: bahut achchha 'experience', hameshaa hi achchha raha. bahut
achche se sunte hain aur videsh jaakar pataa chalta hai ki kuchh
gaane jo yahaan pe zyaada 'popular' naheen hain woh wahaan pe
bahut 'popular' hain. to kabhi kabhi aise aise gaano ki farmaaish
aati hai jaise, maine yeh sochaa bhi naheen ki kabhi 'stage' pe
gaayungi...

YK: jaise?

SC: film Shaadi Ka Laddoo se "dil mera bole chal haT" (YK laughs),
yaa "meri zindagi mein aaye ho aur aise aaye ho tum" 'from' Armaan.

YK: bahut achchha gaana hai

SC: to woh bhi achchha lagtaa hai, alag tarah ki 'audience' milti
hai, alag tarah ke gaane gaane milte hain, achchha lagtaa hai.

-------------------------------------------------------------
Song: meri zindagi mein aaye ho aur aise aaye ho tum (Armaan)
-------------------------------------------------------------

YK: Sunidhi, ab ham aapke ek aise gaane ki charcha karna chaahte hain
jise M M Kreem ne film Sur ke liye banaaya tha. aur woh aapka ek
bahut hi, kehna chaahiye, bahut hi 'intense' gaana tha.

SC: "aa bhi jaa"

YK: jee

SC: 'right', M M Kreem ke saath pehle kabhi maine kaam naheen kiya
tha. unko, unhone jab 'compose' kiya to unko lagaa ki meri aawaaz
mein yeh gaane 'try' karni chaahiye, unko achchha lagaa aur unhone
shaayad mere kuchh 'soft numbers' sune the, jisse unko lagaa ki yeh
gaane mujhe gaane chaahiye. un gaano ke liye main 'rehearsal' pe gayi
thi, mujhe yaad hai ki Tanuja Chandra-ji aur unke 'music room' mein
gayi thi aur maine 'rehearse' kee to unhone kahaa ki 'haan
bilkul, 'this is the voice I want'', aur phir uske baad ham logon ne
yeh gaane 'record' keeye. aur woh bhi bahut baDi 'opportunity' thi, 3
gaane the us film mein mere, aur teeno bahut 'challenging' the.

YK: teeno bahut alag tarah ke the, "aa bhi jaa", aur "dil mein jaagi
dhaDkan aise"

SC: aur "tu Khushi, dil ki chaah tu", to teeno ka 'experience' kaafi
achchha raha.

YK: ismein se koi ek gaana sun liya jaaye yahaan par?

SC: (sings) "aa bhi jaa aa bhi jaa aye subah aa bhi jaa..."

------------------------------------------------------
Song: aa bhi jaa aa bhi jaa aye subah aa bhi jaa (Sur)
------------------------------------------------------

YK: 'internet surf' karti hain aap?

SC: jee naheen.

YK: bilkul naheen?

SC: maukaa hi naheen mil paata, matlab, apne 'mails' bhi 'check'
naheen kar paati hoon.

YK: matlab zyaada 'techno savvy' naheen hain?

SC: bilkul naheen. mujhe kuchh naheen aata, meri bahen mujhe 'help'
karti rehti hai.

YK: achchha achchha. yeh bataaiye ki apne parivaar ko kitna samay de
paati hain apni vyastataaon ke beech mein? ghar par hoti hain to kya
kuchh chal raha hota hai?

SC: ab thoDi samajhdaar ho gayi hoon to thoDaa 'time' zyaada deti
hoon, pehle apne mein hi rehti thi, phir 'realize' huya ki apne mein
rehna bahut zyaada bhi Theek naheen hai. parivaar bahut 'important'
hai, aur yeh sirf bolne ke liye 'important' naheen hai, 'important'
hai bhi. to khud hi man kiya ki thoDaa samay beetaayun, abhi meri
daadi ghar par aayi huyi hain to bahut saara samay beet-taa hai ghar
mein.

YK: woh aap se gaane ki farmaaish karti hain?

SC: naheen, woh to, main gaati hoon to bolti hain ki 'chup peh jaa'
(both laughs), balki bolti hai ki 'gaati rehti hai, chupm peh jaa',
Brij bhaasha mein, to woh bas hameshaa yahi bolti rehti hai. baaki
waise maukaa kam hi milta hai ghar pe rehne ka, 'recordings' rehti
hai, ek din mein kabhi do gaane hote hain, kabhi 4, kabhi 5, kabhi
kuchh bhi naheen hote hain, jis din kuchh bhi naheen hota hai us din
main ghar pe 'time' beetaati hoon.

YK: aur kahaan ghoomne jaana aapko pasand hai, bhaarat mein yaa
videshon mein?

SC: 'recently' to main ek chhoTe se 'holiday' ke liye gayi
thi 'friends' ke saath Goa. aur 'I had the time of my life'. maine
itna masti wahaan pe kiya hai, kahin naheen kiya hogaa.

YK: yeh 'monsoon' ki chhuTTiyan theen?

SC: naheen, yeh 'off-season' mein gaye the ham log aur mazaa aa gaya,
wahaan koi bhi naheen tha, sirf ham chaar hi the, aur bahut achchha
lagaa, aur baaki haan, bahut ghoomna chaahti hoon, India mein hi,
Kerala jaana chaahti hoon, Kodaikanal ek jagah hai wahaan jaana
chaahti hoon, yaa phir Himalayas jaana chaahti hoon, Garhwal jaana
chaahti hoon, aur videsh mein Cuba jaana chaahti hoon, Brazil jaana
chaahti hoon.

YK: Cuba aur Brazil kyun chunaa? Brazil isliye ki 'football'?

SC: (laughs) naheen, sunaa hai Brazil bahut Khoobsoorat hai jagah aur
Cuba ki jahaan tak baat hai, wahaan par bahut 'music' hai.

YK: yeh jo 'Latin American countries' hai, wahaan par 'music'...

SC: aur maine sunaa hai wahaan ke 'musicians' sirf 'streets' mein
baiThkar 'sessions' karte hain, wahaan pe koi 'restrictions' naheen
hai, poora din raat sirf 'music' chalta rehta hai, raste pe log
chalte chalte gaate hain, mujhe woh sab 'experience' karna hai ki
sirf 'music' mein rehnaa, 'they say we breathe music', woh kya hotaa
hai, to isliye mujhe Cuba jaana hai. abhi 'next trip', 'next trip'
mera Phuket hogaa kyunki doston ke saath 'plan' ban raha hai.
to 'next year' jab main akele jaayungi to main Cuba jaayungi.

YK: 'Latino music' aap bahut 'follow' kar rahi hain iska matlab!

SC: 'follow' naheen kar rahi hoon. is tarah ka 'music' mujhe pasand
hai to 'recent, current liking' jo hai woh 'Latin American music'
hai, isliye.

-------------------------------------
Song: huyi huyi huyi main mast (Mast)
-------------------------------------

YK: jo chhoTe shahar ke log hain, jo 'big dreams' rakhte hain aur
aapki tarah kaamyaab honaa chaahte hain, aapki safaltaa ki kahaani
sabse 'recent' kahaaniyon mein se hai jo unke dil-o-dimaag par
chhaayi huyi hai, kya kehna chaahengi aap aise 'singers' ko jo bahut
chhoTe se shahron mein bahut baDe baDe sapne liye huye hain?

SC: sapne bilkul dehne chahaiye, sapne agar aap dekhenge tabhi unko
poora kar paayenge. to sab logon se main yahi kahoongi ki sapne
dekhiye aur unko poora karne ke liye kuchh karen bhi. kuchh
log 'lazy' hote hain, sochte bahut hain lekin karte kuchh naheen.
sochiye kam, kariye zyaada. aur haan, aap apne sabse baDe 'judge'
hain, agar aap jaante hain ki aap achchhe hain to aap achchhe hain.
kisi ke kehne par mat aaiye, kai baar log jhooThi taareef bhi karte
hain, aur kuchh log aapko 'motivate' naheen karte hain, 'discourage'
karte hain, yeh bhi hotaa hai. to 'correct' guru se mile, unse
seekhen, agar aap mein 'talent' hai to. aur apne bal pe sab karen,
bilkul ho jaayegaa. bhagwaan ek 'chance' to sabko detaa hai, aage
aapke upar hai ki aap usey 'grab' kar len yaa usey chhoD den.

YK: Sunidhi, ham aam taur par ek 'traditional' sa sawaal poochhte
hain 'singers' ko aur aapko bhi main poochhna chaah raha hoon ki aap
apne gale ko kasie sambhaalti hain?

SC: main bilkul sambhaalti hi naheen hoon, yahi 'problem' hai
meraa. 'recently', mujhe yaad hai India jeetee thi, main itni zor se
chillaaee aur mera galaa hi Kharaab ho gaya. to paapa ne kahaa
ki 'itna mat chillaaya karo, galaa Kharaab ho jaayega'. main itna
dhyaan naheen rakhti hoon. agar tabeeyat Kharaab hai to usmein main
KhaamaKhaa 'ice-cream' aur Galat cheezen khaakar aur zyaada Kharaab
naheen karoongi, lekin agar sab kuchh Theek hai to main sab kuchh
khaati hoon, mujhe koi fark naheen paDtaa.

YK: sabkuchh 'means ice-cream' aur teekhaa, sab kuchh?

SC: 'everything'. teekhaa khaane ka shauk kam ho gaya hai Bombay
aakar kyunki yahaan log utna teekhaa naheen khaate hain jitna Delhi
mein khaate hain. 'spices' mein fark hai. lekin haan, kaafi teekhaa
bhi khaa leti hoon. thoDaa zabaan jalti hai lekin khaa leti hoon.

YK: khaane mein aapki pasand kya hai aam taur par?

SC: pehle ek hi pasand thi, daal-makhani, roTee, paneer ki sabzee.

YK: dilli 'style' khaana

SC: haan, 'proper North Indian' khaana, abhi pasand thoDi 'change' ho
gayi hai. mujhe 'Thai food' pasand hai. shaayad islye ki 'last year'
main Thailand gayi thi 15 din ke liye aur wahaan maine sirf Thai
khaana khaaya roz. to woh bahut pasand hai, baaki 'pizzas', 'junk
food' bahut pasand hai, 'pizzas, bergers', jitni kharaab cheezen hai
duniya ki.

YK: lekin aapko dekhke lagtaa naheen Sunidhi ki aap 'junk food'
khaati hain!

SC: naheen lagtaa?

YK: naheen (laughs)

SC: shaayad aap Theek keh rahe hain kyunki main 'last' kuchh maheeno
se maine thoDi 'careful' reh rahi hoon kyunki 'I a trying to lose
weight', to jab aap yeh 'weight lose' larte hain to 'junk food'
naheen khaate hain. to kam ho gaya hai, lekin abhi bhi uske
liye 'ready' rehti hoon main. abhi bhi, aaj bhi aisa hota hai ki raat
ko 12 baje man kiya ki Andheri 'station' pe jaake anDaa-bhurji paav
khaati hoon.

YK: oh my God!

SC: aur sab ko leke jaati hoon, bahen, papa, mummy, kyunki mummy
to 'pure vegetarian' hai, woh khaati naheen, lekin paapa ka man
naheen hota, matlab, bilkul naheen, 'kal khaa lenge', lekin main
zabardasti sabko 'force' karti hoon, main aur meri bahen
bahut 'strong' hain anDaa-bhurji khaane mein.

YK: lekin Andheri station ke baahar...

SC: Andheri station ke baahar jo Thelaa lagtaa hai na, waheen pe
khaate hain ham log, gaaDi mein rakhke, 'picnic' manaate hain, baDaa
mazaa aata hai.

YK: aapko koi pehchaan naheen letaa?

SC: pehchaan bhi lete hain to maaf kar dete hain, woh bhi khaa rahe
hote hain (laughs)

YK: aapko lagtaa naheen ki janata ke beech mein aap jaa rahi hain
Andheri station ke baahar, woh mashoor jo bhurji-paav ki dukaan hai
woh...

SC: zyaadatar, log hote naheen hain us waqt aur jitne hote hain,
achchha lagtaahai unke beech mein bhi, ham unhe khaate huye dekhte
hain, woh hamein khaate huye dekhte hain, achchha lagtaa hai.

YK: khaate huye agar log aapko pehchaan lete hain to
kitni 'inconvenience' hoti hai?

SC: koi 'inconvenience' naheen hoti hai, bahut achchha lagtaa hai.
isi ke liye to tarasti thi.

YK: 'definitely'

SC: jab woh mil gaya hai to uske liye 'inconvenience' waali baat hoti
naheen hai. bahut achchha lagtaa hai, jitne log aate hain utna
achchha lagtaa hai, haan, kahin 'late' ho rahi hoti hoon
to 'unfortunately' logon ko bolnaa paDtaa hai, jaise' autograph' aur,
jaise 'show' ke baad kaafi bheeD hoti hai 'backstage', un sab logon
ko main 'sorry' bolna chaahoongi ki jald-baazi mein abhut saari
cheezen aap 'neglect' kar dete hain lekin 'intention' woh naheen hai.
mere saare 'fans' mujhe priya hain aur woh jitni baare
mere 'autographs, photographs' chaahen main unko denaa chaahoongi.
baaki jaise 'restaurants' ki baat hai, 'restaurants' main kam jaati
hoon, jaati hi naheen hoon, mujhe 'street food' zyaada achchha lagtaa
hai, yaa 'street shopping' ho, yaa koi bhi cheez is tarah ki
jo 'normal' log karte hain, aisa naheen ki 'restaurants'
mein 'abnormal' log jaate hain, mera yeh matlab naheen (laughs), 'hi-
fi', 50-star hotels mein baiThke khaana, yeh sab mujhe pasand naheen.

YK: Sunidhi, aap 'cooking' mein kaisi hain?

SC: 'cooking' mein main bahut achchhi hoon, duniya ki sabse do
achchhi cheezen aati hai, 'maggi' aur chaai.

YK: waah!

SC: yeh do cheezen mujhe aati hai banaana

YK: isi baat pe taaliyaan ho jaaye (both laughs). aap andaaza lagaa
sakte hain ki main kitni achchhi hoon 'cooking' mein. aur bhi bahut
kuchh 'cook' hoti rehti hai mere dimaag mein, us 'cooking' mein bahut
achchhi hoon main, khaana banaane mein naheen (laughs).

YK: Sunidhi, bahut achchha lagaa, aur ham aap se kabhi 'cooking' ke
liye naheen kahenge.

SC: naheen naheen aap ek saal ke baad bol sakte hain, tab tak to main
seekh hi loongi.

YK: chaliye bahut shubhkaamnaayen is baat ke liye. chalte chalte ek
koi geet hamaare liye gungunaa deejiye jo ab tak is poore 'programme'
mein aapne naheen gungunaaya hai

SC: (sings) "sajnaa ji vaari vaari jaayun ji main..."

--------------------------------------------------------------
Song: sajnaa ji vaari vaari jaayun (Honeymoon Travels Pvt Ltd)
--------------------------------------------------------------

YK: aapke gaano ki farmaaishen aati rehti hain ahamaare paas, aur
dekhiye yahaan bhi farmaaishen aani shuru ho gayi hain, 'radio' par
aane par to farmaaishen poori karni hi paDti hai, "beeDee" ki
farmaaishen aa rahi hain, aapne kahaa hai ki 'show' ke aaKhir mein
aap yeh gaana gaati hain, yeh 'show' ka aaKhri sawaal (laughs).

SC: (sings) "itni sardi hai kisi ka lihaaf lai le..."

-------------------------------------------
Song: beeDee jalaile jigar se piya (Omkara)
-------------------------------------------

YK: Sunidhi, yeh 'show' ek dam 'rocking' ho gaya, aur aage bhi ham
chaahte hain ki jab bhi mauke mile aap Vividh Bharati par aati jaayen
aur shrotaaon se muKhaatib hon. bahut bahut shukriyaa!

SC: 'thank you very much!'

END OF PART 2

INTERVIEWER: YUNUS KHAN
TECHNICAL ASSISTANTS: VINAY TADWALKAR, SUBHASH BHAVSAR
RECORDING & SPECIAL HELP: CHITRALEKHA JAIN
PRODUCTION ASSISTANT: PARINEETA NAIK
EDITING, COMPILATION & PRODUCER: MAMTA SINGH

THE END

#1793 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sat Jan 19, 2008 4:22 am
Subject:: VB50: Anmol Moti - 16 (Nutan)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Nutan sings "aye mere humsafar" in Chhabili (1960). This film was made
by her mother Shobhana Samarth and both the sisters Nutan and Tanuja
had acted in it. In Snehal Bhatkar's music, listen to this beautiful
number by Nutan.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1792 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sat Jan 19, 2008 4:20 am
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 12)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 12
----------

---------------------------------------------------
Clip: aayegi jaroor chiTThi mere naam ki (Jaaneman)
---------------------------------------------------

KS: chiTThi to aapke naam ki bhi bahut aayegi (laughs), lekin Lata-ji
ne jo aapke saath Dor baandhee woh aaj tak bahut mazboot hai aur...

PL: unkaa aaj tak aashirvaad hai aur unkaa, unki kuchh cheezen aisi
hain, main bataa raha hoon aapko, main naheen bataa saktaa, unhone
aashirvaad diya ki 'jaayo tumhaara yeh kaam ho jaayegaa', main 'last
September' gayaa tha abhi, unhone kahaa ki 'ho gayaa?', maine kahaa
ki 'aapne aashirvaad diyaa woh kaam meraa ho gayaa', bahut Khush
huyeen aur bahut aashirvaad diya. unkaa bahut, bahut hamaare upar...

KS: Lata-ji se aapkaa kitna puraana rishtaa hai?

PL: ham log bahut chhoTe the.

KS: Lata-ji se aap kis umra mein mile?

PL: Lata-ji se samjhiye main 7/8 saal ka tha tab se jaanta hoon. unke
bhaaisaahab Bala saahab itne achchhe 'composer', itne achchhe gaayak
hain ki logon ko andaaza naheen hai. unkaa jo naam hai woh hazaar
gunaa upar honaa chaahiye tha. Hridaynath Mangeshkar aisa naam
hai 'composers' ke andar ki 'I am lucky' ki unke saath bhi maine do
teen gaane 'arrange' keeye, aap samjhe na, unke gaane Lata-ji ne
gaaye the, tab main kitnaa hoonga, kareeb 11 saal. tab se main jaanta
hoon, Bala saahab bolte hain ham. Bala saahab ko sangeet ka bahut
hai, unse maine bahut seekhaa. logon ke liye Hridaynath Mangeshkar-ji
hain, lekin hamaare liye to Bala saahab hain. to unko to kya hai na,
ek to unki aawaaz itni achchhi hai, itna achchha 'compose' karte
hain, gaayiki, main to kehtaa hoon ki kyun naheen gaate hain woh!
kyaa unkaa 'style' hai. dekhiye na jitne unke gaane hain jinhe Lata-
ji ne gaaye hain, samjhiye unhone gaaye hain, woh ek hi 'style', hoo-
ba-hoo ek hi hain, aur unkaa woh 'style' apnaa hai hai.

------------------------------
Song: kesariyaa baalma (Lekin)
------------------------------

PL: aur Lata-ji ke yahaan bahut kuchh milaa, phir baDe baDe ustaad
aate the, Sagar bandhu, aur Husnlal-ji, aur Ram Narayan-ji, aur
matlab, Pakistan ke Amir Khan Saahab, aur bahut achchhe
achchhe 'artiste' aate the, to sab Lata-ji ke yahaan aakar gaate the.
phir naaTya sangeet, main baat kar raha tha na pehle ki sangeet
kahaan kahaan hai, naaTya sangeet ka ek alag hi roop hai, to woh bhi
mujhe bahut sunne ko milaa unke yahaan. phir 'Maharashtrian music',
jiskaa ek alag ang hai, yeh 'south' se aate aate jo Maharashtra mein
aaya, aur harkat dheere dheere 'change' hoti gayi. to yeh sab baDi
baDi cheezen hain, Lata-ji ke ghar par gaye, itne logon ki sangat
hamein milee, seekhne ko milaa, phir 'musician' bane, 'arranger'
bane. Laxmi aur hamne, aisa naheen ki Tak kisi se maara aur upar
baiTh gaye, hamne pehle kaam kiya 'musician' ke haisiyat se, Madan
Mohan-ji ke yahaan bajaate the, inke yahaan bajaate the.
phir 'arranger' bane, phir 'music' kiya, phir 'music' ke andar dheere
dheere aage baDhe. yeh jo gaana hamne kiya na "yeh dil tum bin kahin
lagtaa naheen", to wahaan paise ki baat niklee, to hamne Lata-ji se
bhi liye the paise (KS laughs). kyunki 'time' aisa tha na ki mere
pitaaji, to unse bhi kuchh paise liye the, inse, Rafi saahab se bhi
liye the, to dono baiThe huye the, hamne kahaa ki 'aap dono ne jo
madad keeye the hamko, woh main doonga naheen waapas kyunki iska koi
keemat naheen hai'.

KS: bahut sahi hai

PL: to mujhe achchha kya lagaa ki dekhiye, aadmi ka 'nature' kaisa
hai ki kis waqt diya tha paisa unhone hamko, to dono baiThe huye the,
unhone bahut aashirvaad diya aur kahaa ki 'Khush raho'.

-------------------------------------------------
Song: yeh dil tum bin kahin lagtaa naheen (Izzat)
-------------------------------------------------

KS: achchha, Lata-ji ki ham sab bolte hain ki aawaaz bahut achchhi
hai, sabkuchh bahut achchha hai, to bhi koi na koi Khoobi to hogi,
jaisa mere jaise aam shrotaa ki haisiyat se unki aawaaz aisi lagti ki
jaise ek sampoorNa aurat yaa naari keh leejiye, samaaee huyi hai, aur
jismein chhalak raha hai pyaar, samarpaN ke saath mein, mamta hai yaa
vaatsalya chhalak rahi hai jaise. ek 'completeness' mehsoos hoti hai
unki 'voice' mein, agar ham stree ki naari ki 'point of view' se baat
karen. aur agar ham unke geeton ki baat karen to Khair, woh to adbhut
hain hi. 4/5 prem geeton ka ullekh karte huye unki Khoobiyaan to
bataaiye.

PL: sabse baDi Khoobi hai 'singing' ke andar, samjhe aap, woh
itna 'simple' gaati hain. aap samjhe na, yeh bahut kam log samjhenge,
shaayad mera mazaak bhi uDaayen, kuchh log, ki 'Pyare yeh kya baat
kar raha hai!' lekin main sachchi baat bataa raha hoon aapko, jitnaa
woh 'simple' bolon ko 'importance' deke aur bolon ko pesh karnaa,
adaayigi unki, "o mere laaDlon tum phoolo phalo, jogi bano tum karm
ke aur dharm par chalo, o mere laaDlon", (sings and explains how Lata-
ji sang in a simple style in spite of the opportunity of doing
variations)

-------------------------------------------------------
Song: o mere laaDlon tum phoolo phalo (Sant Gyaneshwar)
-------------------------------------------------------

PL: Lata-ji ne jab 'last award' liya tha to gaana tha "achchha to ham
chalte hain". unko 'last award' milaa tha, unhone ek 'letter' likha
tha ki 'aaj ke baad mujhe is 'award' ke andar mat leejiyegaa, aur
logon ko 'award' deejiye'. Lata-ji ne yeh 'letter' likha jo paDhaa
gaya tha. phir kya hai ki jab yeh gaana woh gaa rahi theen
us 'function' mein, hamko maaloom naheen, unhone kya kiya tha
ki 'purse' unhone 'microphone' ke aage lagaaya tha, hamko naheen
maaloom ki aisa kyun. to gaa rahi hain aur usey aise laTkaaya huya
tha. aur aise gaate gaate gaate gaate bilkul 'end' mein unhone, un
logon ko maaloom hai jo us 'show' mein the, 'Shanmugam Hall' mein
tha, to Lata-ji jaise yeh gaana 'end' hotaa hai na, "achchha Taa
Taa", unhone 'baag' uThaaya haath mein, 'purse', aur chali gayeen (KS
laughs). yeh huya 'stage' par. yeh hamko pehle se naheen maaloom tha.

KS: waise bhi unka 'sense of humour' zabardast hai.

PL: aur uske baad mein, ham baiThe the, jab unhe 'award' diya gaya.

--------------------------------------------------
Clip: aap mujhe achchhe lagne lage (Jeene Ki Raah)
--------------------------------------------------

PL: phir woh 'letter' paDhaa gaya ki 'aaj se main 'award' naheen
loongi'. 'She is great great great!'

-------------------------------------------------
Song: achchha to ham chalte hain (Aan Milo Sajna)
-------------------------------------------------

END OF EPISODE 12

#1791 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sat Jan 19, 2008 4:17 am
Subject:: Sargam Ke Sitare - Sunidhi Chauhan (Part 1)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
PART 1

SC: Sunidhi Chauhan
YK: Yunus Khan

YK: Sunidhi-ji, Vividh Bharati mein aapka bahut bahut swaagat hai

SC: 'Thank you very much'

YK: bataaiye ki kaise aap gaayiki ki duniya mein aayi theen aur kis
umra se aap ne gaana shuru kiya tha.

SC: bas chaar paanch saal ki thi tab se gaana shuru kiya aur bas
shaukiya gaati thi, aur dheere dheere shauk kaise 'profession' mein
badal gaya pataa hi naheen chalaa. aur paapa aur unke dost, un sab ne
milkar, matlab, unko aisa lagaa ki main gaa sakti hoon aur isse
zyaada kar sakti hoon, aur mujhe aur mehnat karni chaahiye. mere
saath poora 'family support' tha, ham log Bombay 'shift' ho gaye jab
main baDi ho gayi thoDi.

YK: kahaan theen aap, matlab Bombay se pehle aap kahaan theen aur
paDhaai likhaai aapki kahaan huyi hai?

SC: main Delhi ki rehnewaali hoon, waheen ki meri paidaaish
hai, 'born and brought up there', aur waheen pe 'shows' karti thi.
paDhaai bhi waheen hoti thi. aise dheere dheere kuchh 'shows' aise
hote the jinmein baDe baDe 'stars' aate the, aur main Delhi ki taraf
se gaati thi. ek din Tabassum-ji aayeen ek 'show' mein, unhone mujhe
sunaa wahaan pe to unko mera gaana bahut pasand aaya. to unhone kahaa
ki 'aap Bombay zaroor aaiye, main aapko kuchh logon se zaroor milaa
sakti hoon, 'you can do better''. aur yeh baat ham bhool gaye, lekin
ek baar chakkar lagaa Bombay ka, yunhi chhuTTiyon mein, aur paapa ne,
jo bhi 'contacts' the pehle, Tabassumji se 'number' leke rakhaa tha,
to yunhi 'phone' lagaaya haal-chaal poochhne ke liye, to unhone bulaa
hi liya seedhaa. aur phir unhone Kalyanji bhaai se milwaaya. ar phir
unke 'academy' mein main thi do saal, maine kaafi 'shows' bhi
keeye 'Little Wonders' ke naam se. aur phir kaafi 'shows' karne ke
baad mein 40th Filmfare Awards mein Kalyanji bhaai ne
mujhse 'perform' bhi karwaaya tha. wahaan par Aadesh Shrivastava-ji
ne mujhe sunaa aur pehlaa 'break' diya, film Shastra mein.

----------------------------------------------------
Clip: laDki deewaani dekho laDkaa deewaana (Shastra)
----------------------------------------------------

YK: jab pehli baar film ke liye aap gaa rahi theen to kaisa mehsoos
ho raha tha, aur kis tarah ka tanaav tha, aapke man mein kya chal
raha tha?

SC: tab mere man mein kuchh chal naheen raha tha, main 'excited' thi
ki film ke liye gaane mil raha hai. to isi baat ki bahut Khushi thi.
aur yeh baat thi ki main 11 saal ki thi aur 'heroine' ke liye gaa
rahi thi. to mere liye bahut baDi baat thi. to isi Khushi mein maine
yeh gaana gaaya aur jab gaana 'record' ho gaya to 'believe' naheen
huya ki yeh mujhse ho gaya hai. bahut Khushi thi, bahut dino tak ghar
mein Khushi thi, mujhe 'believe' naheen hota tha ki main film ke liye
gaa chuki hoon. phir jab woh gaana 'release' huyi to aur bhi Khushi
huyi, jo kisi ko bhi hogi

YK: 'definitely'

SC: to achchha hi lagaa.

YK: gaayiki ki aapne 'training' kisse lee hain, aapke guru kaun hain?
Kalyanji ka naam aapne liya aur Little Wonders ke 'videos'
hamne 'television' mein kahin kahin dekhe hain. inke alaawa aapne
kinse seekha hai?

SC: maine kabhi seekhaa naheen, main seekh naheen paayi. chaahti hoon
abhi bhi, lekin jab sochti thi ki seekhon to itnaa kaam aa raha tha
ki mauka naheen mil paa raha tha. to mil naheen paaya 'time' seekhne
ke liye. naheen to seekhnaa to achchha hi hota hai, usse kaafi 'help'
bhi hoti hai. ab 'future' mein kabhi maukaa milegaa to main zaroor
seekhoongi.

YK: jis tarah se aap gaati hain usse lagtaa naheen ki aapko gaane ki
baaqaaydaa taalim praapt naheen hai!

---------------------------------------
Song: dil mein jaagi dhaDkan aise (Sur)
---------------------------------------

YK: achchha yeh bataaiye bahut kam umra se aapne kaam karna shuru kar
diya tha, aapko achchhe mauke milne lage the, 'stage' par bhi
kaafi 'active' rahi theen, to paDhaai par iska kitna asar paDaa aur
kaise aapne apni paDhaai ko 'manage' kiya?

SC: 'manage' naheen kar paayi, isliye phir chhoD dee paDhaai maine.
kyunki ek 'time' aisa aaya jab kaafi kaam aane lagaa, to main
paDhaai, pehle Thik Thaak thi, lekin woh aur Kharaab ho gayi, aur
phir mera man bhi naheen lagtaa tha, to sochaa ki kyun 'time waste'
karoon! 'time waste' karne jaise cheez naheen hai yeh lekin pataa
naheen kyun mujhe aisa lagaa ki kyun na main 'music' mein paDhaai
karoon, main kuchh aur karoon, main aur gaayun, to ek din chhoD dee
paDhaai. paapa ne bhi kahaa ki 'jo man mein aaye tum karo, ham
tumhaare saath hain'. to phir maine '10th standard' ke baad paDhaai
chhoD dee.

YK: to kabhi paDhaai chhoDte waqt kahin se ahsaas ho raha tha ki 'yeh
main kuchh mushkil seyeh faislaa le paa rahi hoon'?

SC: mushkil naheen, us waqt to aur bhi naheen, balki Khush ho rahi
thi ki paDhaai chhooT raha hai (laughs)

YK: (laughs) kaun si paDhaai sabse kaThin lagti thi un dino mein?

SC: sabhi paDhaai. lekin main Hindi mein, English mein, Geography
mein kaafi achchhi thi. Maths mein main aksar 'fail' hoti thi

YK: o ho ho

SC: aur History mein bhi kuchh Khaas naheen, mujhe sirf 'passing
marks' ke alaawa kuchh mile naheen.

YK: kehte hain 'history geography sab bewafaa, raat ko yaad kiya
subah sab safaa' (laughs)

SC: jee. Khair Geography mein to Thi-Thaak thi aur kisi bhi 'subject'
mein 'interest' naheen tha siwaay English aur Hindi ke. to bahut
Khush thi ki paDhaai chhooT gayi hai, isse baDhkar Khushi ki baat hi
naheen thi.

YK: lekin yahaan ham ek baat 'underline' karna chaahenge aur woh yeh
ki jis 'level' par aapne paDhaai chhoDne ka faislaa kiya tha wahaan
jis 'dedication' ke saath aapne gaayiki ki duniya mein apne kadam
aage baDhaaye aur jis tarah se kaamyaabi haasil kee, usse jo paDhaai
chhoDnewaali baat thi uski bharpaaee ho gayi. agar hamaare sunnewaale
sochte hain ki gaayiki ki duniya mein aane ke liye paDhaai chhoDen to
apne aap par poora bharosaa rakhen.

SC: naheen, aisa naheen hai ki main 'overconfident' thi ki kuchh ho
hi jaayegaa aur paDhaai chhoDne se kuchh fark naheen paDtaa. mujhe us
waqt jo sahi lagaa maine kiya, mujhe lagta tha ki mujhe naheen
paDhnaa hai, isliye naheen paDhaa. yeh bhi ho sakta tha ki kuchh der
baad mujhe 'realization' ho jaata ki yeh maine kya kiya, paDhaai
jaari rakhna chaahiye tha. lekin naheen, aaj tak man naheen hota hai
ki main paDhoon.

YK: (laughs) chaliye isi baat pe ek gaana ho jaaye. bataaiye ki kaun
saa gaana aap hamaare sunnewaalon ki nazar karna chaahti hain.

SC: (sings) "kaise kahoon is dil ko hai tumne aise churaiyya...."

--------------------------------------------
Song: 'you are my mindblowing' maahia (Cash)
--------------------------------------------

YK: Sunidhi, yeh geet sunkar waaqai bahut achchha lagaa, yeh bataaiye
ki alag alag 'situations' ke gaane gaane ke liye aapko kis tarah ki
tayaariyaan karni paDti hai aur 'recording' ke pehle aap apne aap ko
kis tarah se tayyaar karti hain?

SC: main to, ek 'routine' hai ajeeb sa, aap 'studio' mein jaaiye,
gaana suniye, 15-20 'minute' mein woh tayyaar hona chaahiye
aur 'mike' pe seedhaa. to pehle jaisa naheen hai ki koi 'rehearsal'
ho rahi hai yaa pataa paD raha hai ki kya hai aur kis tarah se gaana
hai, sab kuchh, kuchh 'music directors' aise hain jinkaa ek 'vision'
hota hai, bataa dete hain ki aise gaana hai, kaisa woh chaahte hain
gaana aur waisa gaayun, aur log chhoD dete hain hamaare upar, jaise
aapko achchha lage, jaisa aap chaahen gaaiye. to mazaa aata hai dono
hi karne mein aur is tarah se chalta hai.

YK: aap ne kahaa ki bahut tez raftaar zindagi hai aur bahut zyaada
waqt 'prepare' karne ko naheen miltaa hai, kuchh 'music directors'
aazaadi dete hain ki aap apne man ka gaa sakti hain aur kuchh 'music
directors' ke daaere mein rehkar aapko gaana paDtaa hai.
kya 'recording' ke dauraan hi pataa chalti hai ki is gaane mein bahut
zyaada 'potential' hai 'hit' hone ka, yaa yeh gaana kaafi aage
jaayegaa?

SC: naheen, yeh to kabhi 'predict' naheen kar paati hoon. aur 'in
fact' jis jis gaane ko maine sochaa ki bahut baDaa 'hit' hogaa woh
kabhi naheen huya, aur jiske baare mein maine kabhi sochaa bhi naheen
woh 'hit' huya hai. aisa aksar huya hai.

YK: charcha karte hain aise gaano ki jo aapko lagaa ki 'hit' honge
aur 'hit' naheen huye.

SC: jaisa mujhe lagtaa hai ki film Cash ka ek gaana hai "naa
poochho", woh gaana kaafi pasand aayegaa logon ko lekin, mujhe aisa
lagtaa hai yeh gaana maine sabse achchha gaaya hai us film
mein, 'total' mere chaar gaane the, lekin woh gaana 'promote' bhi
naheen huya aur mere Khayaal se kaafi logon ne sunaa hi naheen.

------------------------------------------------
Song: naa poochho naa poochho naa poochho (Cash)
------------------------------------------------

SC: jaise Dhoom ka gaana tha "dhoom machaa le", jab gaa rahi thi tab
lagaa tha ki bahut 'ordinary' gaana hai, kuchh Khaas naheen hogaa
iskaa, aise hi log sunenge, 'popular' hogaa, lekin itnaa baDaa 'hit'
hogaa ki poora jahaan jaayo sirf wohi sunaaee degaa yeh to maine
kabhi sochaa hi naheen tha.

YK: aur ab Dhoom II ke aane ke baad bhi woh gaana 'cult song' hai,
aaj bhi.

SC: jee haan, aaj bhi, bilkul! 'in fact' mera jo 'bedroom' hai, raat
ko jab main soti hoon to log 'jogging' karte rehte hain, to wohi do
gaane sunaaee dete hain, jaise koi 'bike race' jeet lee hai (laughs),
matlab, "dhoom machaa le" aur "crazy kiya re" yehi do gaane bajte
hain, itni Khushi hoti hai ki 5 saal puraana gaana, 'almost' 5 saal
hone jaa rahe hain aur aaj bhi log itne man se isko sunte hain,
achchha lagta hai.

-----------------------------------
Song: dhoom machaa le dhoom (Dhoom)
-----------------------------------

YK: jab aap shehron se guzarti hain, alag alag shehron se aur aapke
tamaam 'hit' geet aapki kaano mein paDte hain, to aapko aur aapke
parivaar-waalon ko kaisa mehsoos hota hai, woh kya Khayaal aata hai
man mein, ki Sunidhi nikal gayi hain aur Sunidhi ke gaane baj rahe
hain.

SC: 'of course family' ko Khushi to hoti hai, iska to andaaza hi
naheen hai, Khushi to hoti hai lekin aaj bhi mujhe utni hi Khushi
hoti hai jaisa ki main apna pehlaa gaana sun rahi hoon, mera pehla
gaana 'release' huya ho. aisa naheen hai ki itne saare gaane ke baad
aisa lagta ho ki bahut saare gaane gaa liye hain. mera jo bhi
gaana 'release' hota hai utni hi 'excitement' ke saath sunti
hoon, 'in fact' koi mujhe paagal kahegaa ki koi bhi chhoTi se chhoTi
film agar TV par aa raha hogaa to main kehti hoon ki 'aawaaz baDhaana
TV ka, sunna hai mujhe'.

YK: waah!

SC: kyunki bahut baDi baat hai itne saare gaane bajnaa TV par. mere
liye bahut 'important' hai har gaana, jo bhi gaana aayegaa mere liye
utna hi 'importance' rakhegaa.

YK: bahut sahi hai. in dino aapke kaun se kaun se gaane
bahut 'important' ho gaye hain, jo taazaa taazaa 'release' huye hain
aur taazaa taazaa 'hit' ho rahe hain?

SC: (laughs) ek gaana hai film Aag se, Ram Gopal Verma ki
Aag, "mehbooba", woh gaana jab bhi aata hai main zaroor dekhti hoon.
achchha lagtaa hai mujhe, aur "minblowing maahia", aur "sajna ji
vaari vaari jaayun", yaa "ham to aise hain bhaiya" Laaga Chunari Mein
Daag se.

YK: kyaa yeh gaana aap hamaare liye gungunaa sakti hain agar aapko
yaad ho to? ek bahut hi chhoTe se shahar ke logon ka yeh gaana hai.

SC: (sings) "jeb mein hamre do hi ruapiya duniya ko rakkhe Thenge pe
bhaiya.... ham to aise hain bhaiyaa"

--------------------------------------------------------
Song: ham to aise hain bhaiyaa (Laaga Chunari Mein Daag)
--------------------------------------------------------

YK: bahut saal pehle jo Bunty Aur Bubly film mein chhoTe se shahar se
nikle huye logon ka gaana hai, us gaane mein bhi wohi 'potential' aur
wohi mizaaj hain, aur kuchh baat hai us gaane mein. kya aapko lagtaa
hai ki chhoTe shahar ke logon ka ek 'motto' ban gaya hai "chhoTe
chhoTe shahron se ham to dhuyaan uDaate chale". kya is gaane ko gaate
huye bhi aapko lagaa tha ki is gaane mein itna 'potential' hai?

SC: naheen aisa kuchh naheen lagaa, mujhe achchha lagaa tha gaana
aur 'it was a very good composition', Shankar Ehsaan Loy hameshaa
achchha hi kaam karte hain. usmein koi shaq hi naheen. lekin
kya 'hit' hotaa hai, kya logon ko pasand aata hai, kya pasand naheen
aata hai, yeh main kabhi 'predict' naheen kar paati hoon.

------------------------------------------------
Song: chhoTe chhoTe shahron se (Bunty Aur Bubly)
------------------------------------------------

SC: ek gaana hai jo maine sochaa tha ki kaafi 'hit' hogaa, woh huya,
yeh ek hi aisa gaana hai jismein maine kahaa tha ki 'yeh 'hit' hogaa'
aur woh huya, aur yeh gaana hai "beeDee jalaile"

YK: kya baat hai

SC: woh gaana gaate waqt mujhe yeh 'strong feeling' aaya tha aur
bahut achchha lagaa tha.

YK: is gaane ki 'recording' se juDee koi Khaas baat agar ho to ham
jaanna chaahenge, jab aapne is gaane ka 'track' sunaa ho yaa jab
Vishaal ne is gaane ke baare mein bataaya ho, yaa phir aap Gulzar ke
bol paDh rahi hon?

SC: Khaas baat yeh hai ki Vishaal saahab ne bol diya tha
ki 'tum 'stage' par ho aur yeh tumhaara gaana hai, tumhaare
liye 'compose' kiya hai, tumko jaise gaana hai gaayo, main tumhe
kuchh naheen kahoongaa'. aur yeh itni baDi baat hoti hai ki 'music
director' ne keh diya ho ki 'yeh tumhaara gaana hai, tum jaise marzi
gaayo', to uske baad saare 'restrictions' Khatam ho jaate hain, kuchh
poochhne ki zaroorat naheen paDtee, phir to yeh meraa gaana ho gayaa.
mera Khoob kabzaa tha uspe aur maine apne 'style' mein gaaya aur woh
shaayad 'public' ko achchha lagaa.

YK: to ismein jo harkaten aapne lee hain, woh aapki apni hai yaa
usmein Vishaal-ji ka thoDaa haath raha?

SC: 'of course music director' ka yogdaan to poora poora hotaa hai,
yogdaan ismein mera tha yaa unka tha yeh naheen bol sakti, 'its a
team work always'. Gulzar saahab ne aisa kamaal ka likha tha ki koi
bhi binaa soche samjhe hi 'expressions' aa jaaye, matlab, sochne ki
zaroorat naheen paDtee, itni baat hai usmein. ek baDi 'hook line'
par "jigar ma baDi aag hai", dekhiye 'combination' hai teeno cheezon
ka. to meri taraf se woh 'power' de paayi, 'composition' thi,
(sings) "jigar maa baDi aag hai", kyunki woh "aag" 'correct' jagah pe
aaya to main usey us tarah se gaa bhi sakee. 'So, its a team work'
aur mere taraf se main shrey un dono ko hi doongi, mujhe meri tarah
ka gaana diyaa dono ne, isliye main usko 'justice' kar paayi.

YK: aaj bhi 'stage shows' mein aapko yeh gaana gaana paDtaa hai.

SC: bahut gaana paDtaa hai, baar baar!

YK: kaisa lagtaa hai is gaane ko gaate huye, aur kya 'specialty'
lagti hai is gaane ki aapko? iski kya Khaas baat hai?

SC: jo uski 'rawness' hai, jise ekdam TheTh 'singing' jise bolte
hain, aur jahaan tak 'stage' par isey gaane ki baat hai, mujhe
mushkil ho jaata hai logon ko roknaa kyunki yeh gaana 'stage shows'
mein 'second last' gaana hotaa hai. usse pehle jo 15/16 gaane hote
hain, wahaan tak logon ko roknaa mushkil ho jaata hai. jab
main 'stage' par aati hoon, mera naam 'announce' hotaa hai, to aate
hi logon ke shor aane lagte hain "beeDee". mujhe aur 15 bhi gaane
gaane hain, uske baad "beeDee" aanewaala hai. lekin 'luckily' kaafi
gaane 'hit' hain, to woh sunte hain aur 'patience' aa jaata hai
unmein.

YK: Sunidhi-ji, Omkara film ka yeh gaana to sun liya jaaye pehle,
Vishaal ka tarz hai aur Gulzar ke bol hain, aaiye sunte hain.

--------------------------------------------
Song: beeDee jalaile jigar se piyaa (Omkara)
--------------------------------------------

YK: Sunidhi, ab un gaano ki charcha karte hain jo aapke dil ke bahut
kareeb hain. meraa Khayaal hai maine bhi apne pasand ke kuchh gaane
nikaal rakhe hain. unki bhi charcha karna chaahoonga. ek chhoTi si
film aayi thi jismein "zindagi" karke gaana aapne gaaya tha, yaad aa
raha hai aapko kuchh?

SC: film ka naam?

YK: Socha Na Tha

SC: haan haan "zindagi".

YK: Sonu Nigam ke saath aapne gaaya tha, bahut alag tarah ka gaana
hai, is gaane ke baare mein zaraa bataaiye hamein.

SC: ab to mujhe iske 'lyrics' yaad naheen hai lekin...

YK: bahut mushkil 'lyrics' hai

SC: mujhe Theek se yaad naheen lekin mujhe yaad hai 'dialogue' se
shuru hotaa hai gaana, "halla gulla shor tamaasha mauj masti traffic
signal", pataa naheen aur kya kya 'words' the, ek saath bolnaa tha
aur ek saans mein aur ek ek 'word' pe 'full emphasize' karke, bahut
mushkil tha aur 3/4 'take' ke baad aaya tha. lekin woh gaana
bahut 'interesting' tha. film ki shuruwaat usi gaane se ho rahi thi.

YK: to chaliye yeh gaana sun liya jaaye taaki logon ko pataa chale ki
yeh gaana kyun 'special' hai aur aapne kis kamaal se isko gaaya hai!

----------------------------
Song: zindagi (Socha Na Tha)
----------------------------

YK: Chameli ke gaane bahut 'hit' huye the aur ek alag tarah ka mizaaj
tha Chameli ke gaano mein. mujhe lagtaa hai ki is 'album' ke zariye
jo aapki 'image' thi oonche sur waale gaane gaane ki, woh bhi TooTi
thi. kitne aapke kareeb hai yeh gaane?

SC: Sandesh-ji ko shukriya adaa karna chaahoongi, 'I think' mera
hi 'album' tha, saare gaane mere hi the. aur Khaas baat thi ki har
tarah ka gaana tha us film mein. main kahoongi ki paanch 'colours'
dekhne ko mile mujhe.

YK: jo usse pehle bahut kam dekhne ko mil rahe the.

SC: haan, usse pehle ek tarah ke gaane gaa rahi thi, matlab,
kam 'experiments' kar paa rahi thi, jaise Bhoot ka 'title' gaana hai,
woh kaafi ajeeb 'type' gaana tha, aur ajeeb tarah ki 'singing' thi
usmein. to kiya tha lekin 'notice' naheen huya tha. Chameli mein
ek 'soft romantic' gaana tha, ek 'western singing' waala gaana tha,
ek ekdam Punjabi folk jaisa gaana tha "sajna ve sajna", ek
bilkul 'high pitched' gaana tha jo ek 'male' gaana tha,
jiskaa 'female version' maine gaaya tha.

YK: "bheegi huyi"

SC: "bheegi huyi shaam mein", to Chameli 'album' mere liye
bahut 'important' hai, matlab, main kabhi naheen bhooloongi kyunki
usmein bahut mehnat aur bahut pyaar se gaaya hai.

YK: sunnewaalon ke liye bhi woh bahut 'important album' hai kyunki
aapka ek bahut alag rang dekhne ko miltaa hai Chameli mein, Khaas
taur se jab aap "bheegi huyi ek shaam" ko gaati hain, yaa phir "sajna
ve sajna" gaati hain, yaa phir "bhaage re man kahin" gaana
aapke 'career' ki sabse 'important' gaano mein se hai.

SC: mera 'favourite' gaana bhi hai

YK: main chaahoonga ki aap is waqt yeh geet hamaare sunnewaalon ke
liye gungunaayen.

SC: (sings) "behtaa hai man kahin..... bhaage re man kahin...."

-----------------------------------
Song: bhaage re man kahin (Chameli)
-----------------------------------

YK: Sunidhi, isi film ka "sajna ve sajna ve" bahut 'important' gaana
hai aur mujhe lagtaa hai ki ham is gaane ki charcha Honeymoon Travels
Pvt Ltd ke us gaane se joDke karenge jis gaane mein
bhi "sajna" 'word' aata hai "sajna ji vaari vaari", in dono gaano ke
baare mein bataaiye, yeh dono lagbhag ek hi mizaaj ke gaane hain, aur
dono ne bahut zyaada oonchaaiyaan chhuyi hain.

SC: dono ke saath alag alag 'experience' tha. "sajna ve sajna" ke
baare mein yeh kahoongi ki bahut achchha 'composition' tha,
aur 'power plus' bahut 'feminine' hoke, yaa jaise 'folk' gaana hota
hai, par 'folk' naheen tha woh, 'mix' tha

YK: bahut alag tareeke se, aur 'sound' bhi bahut alag tha.

SC: haan!

YK: ek 'experimental film' thi kehnaa chaahiye.

SC: jee jee

YK: aur us film ke bahut kam gaano mein se ek yeh gaana tha

SC: jee

YK: itnaa zyaada chal raha hai, itne logon ne isey apna 'ring tones'
banaa rakha hai, itne logon ne isey apne 'personal collections' mein
rakha hai 'including me'. kitna kareeb hai aapko yeh gaana?

SC: kaafi kareeb hai, mere saare gaane mere dil ke bahut kareeb hai.

-----------------------------------------------------
Song: le teri ho gayi yaar sajnaa ve sajnaa (Chameli)
-----------------------------------------------------

SC: "sajnaa ji vaari vaari" ko main, jaise Haryanvi mein bolte hain,
waisaa gaaya, bilkul kharaa kharaa ekdam, kaDak aur nazaakat naam ki
koi cheez naheen thi usmein, aur gaane ki wohi 'requirement' thi. aur
maine to yeh socha hi naheen tha ki kispe 'picturize' hogaa aur uske
baad woh gaana ekdam alag ho gaya, ajeeb ho gayaa ki, mujhe maaloom
ho gaya ki kisi laDkee par 'picturize' naheen huya, sab log
uspe 'dance' kar rahe hain, 'in fact' Kay Kay jo usmein 'actor' the,
woh 'lip sunch' kar rahe the gaane ko, 'it was funny', kuchh alag
tha, kuchh alag sa 'experiment' kiya ham logon ne, to woh gaana 'was
meant to be like that'.

---------------------------------------------------------------------
Song: sajnaa ji vaari vaari jaayunji main (Honeymoon Travels Pvt Ltd)
---------------------------------------------------------------------

YK: jab kabhi akeli hoti hain aur jab kabhi 'music' sunne ka man
karta hai to apne kaun kaun se gaane aap sunti hongi yaa kyaa naheen
sunti hain aur doosre kalaakaaron ke sunti hain?

SC: apne gaane main ek hi baar sunti hoon, 'recording studio' mein
gaane ke baad jab gaana 'release' hoti hai to zaroor jaake CD
Khareedti hoon aur sunti hoon 'just to reach out' ki kaisa banaa
hai, 'mix' kaisa huya hai. uske baad main naheen sunti.

YK: uske baad aapko baahar sunaaee deta hai (laughs)

SC: (laughs) haan, jitni baar bhi sunti hoon apni kuchh Khaamiyaan hi
nazar aati hain.

YK: 'definitely'

SC: yeh to Khair har kisi ke saath hi hotaa hai.

YK: Sunidhi jab 'music' sunti hain to kyaa sunti hain, kya hai
unke 'music collection' mein, kaun se 'artistes' hain India ke aur
baahar ke?

SC: kaafi 'singers' achchhe lagte hain, CDs khareed leti hoon, sunti
hoon, jaise Kailash Kher ka 'album' tha Jhoomo Re, uska gaana
tha "saiyaan", woh khareedaa tha, aur woh gaana meri gaaDi mein hafte
tak 'continuous' bajta raha. mujhe jab koi gaana pasand aata hai to
wohi chalta rehta hai, lagaataar, ek maheena, DeDh maheena,
phir 'change' ho jaata hai, phir koi gaana aa jaata hai to woh bajtaa
rehtaa hai. jab Cash film aayi thi to Cash ke gaane baj rahe
the. 'unfortunately' do hi gaano ko unhone 'promote' kiya, lekin Cash
ke sabhi gaane achchhe lagte hain. baaki 'western artistes' mein koi
bhi achchha 'singer' ho, 'anyone', jo bhi achchha gaate hain sab
pasand hai.

YK: Sunidhi, aapke chaahnewaalon ko ek shikaayat aapke 'non-film
albums' ko lekar hai, 'non-film albums' aapke ek to kam aaye, aur
waise naheen aaye jaisa log aap se ummeed karte hain.

SC: jee, kaafi 'time' pehle aaya tha 'last album' Sunidhi Se, aur
uska bhi kuchh Khaas 'promotion' naheen tha, aur ab aage bhi main
sochoongi, abhi naheen, 'may be next year', aur bhi bahut kuchh karne
ko hai 'life' mein, woh bhi karoongi.

YK: kyaa aap 'acting' ke baare mein soch rahi hain?

SC: bilkul naheen (YK laughs) abhi to naheen soch naheen rahi hoon.

----------------------------------------------
Song: bol deewaane bol pyaar ke bol (Non-film)
----------------------------------------------

END OF PART 1

#1790 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Jan 15, 2008 1:16 pm
Subject:: VB50: Anmol Moti - 15 (Madan Mohan)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Listen to Madan Mohan singing "naina barse rimjhim rimjhim". This is
the same version that was used to picturize this song on sadhna as
Lataji was out of station, Sadhna had lipsynched this version.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1789 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Jan 15, 2008 1:09 pm
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 11)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 11
----------

KS: Pyarelal-ji, aaj ke is kaaryakram mein main aapka bahut bahut
swaagat kartaa hoon,

namaskaar!

PL: namashkaar jee, bahut bahut namashkaar!

KS: aap ne jaise ek gaane ke baare mein sochaa, yahaan par yeh aise
ghoomegaa, phir neeche

aayegaa, phir aise chaDhegaa, aur ismein beech mein ham yeh 'piece'
Daalenge. to jab aap kisi

'artiste' ko bataate hain ki 'bhai, yeh gaana aisa chaahiye', to kaun
hai jo aapne jaise

bataaya bilkul waisa hi karke bataaya ho?

PL: dekhiye main bataata hoon aapko, jaise hamaara kaam hai 'music'
karnaa, yeh ham dono kaam

karte hain, gaana banaao, yeh karo woh karo, abhi saraswati maata ka
bhi to kuchh kaam hai.

samjhe na, woh to chup baiThengee naheen. to woh bolti hain
ki 'beTaa, aise le jaa, aisa kar

aisa kar', (laughs), main to yeh maantaa hoon. ham bolenge 'hamne
aisa kiya, hamne woh kiya,

us raag ke liye woh Daala', ismein maa kaa ka aashirvaad chaahiye.
RaavaN jo the na bahut

baDe sangeetkaar the, bahut bahut baDe, aise gaayak naheen tha koi
maaloom hai aapko? RaavaN

veeNaa bahut achchha bajaate the. aisa log kehte hain ki maa se bhi
zyaada RaavaN-ji veeNaa

bajaate the, ab kyaa bolenge aap? ab kuchh cheezen hain na, jo
saraswati maa, logon ko

maaloom hai ki naheen lekin main bolnaa chaahta hoon, sachchaai, jo
satya hai, yeh sangeet ke

saath hai, sangeet ka jo 'beginning' hota hai woh hai pehle sach,
satya hai, baad mein

sangeet aata hai, sargam banti hai. dekhiye jab aap gaayenge, gaana
chhoDiye, agar aap baat

bhi karte hain aur aapki baat mein sachchaai hai aur sahi sur hai,
swar alag aayegaa, yeh ham

samajh sakte hain, swar alag aayegaa. jo sachchaai pehle aayegi, aur
baad mein sargam uske

saath jaayegi. jaisa ham kehte hain na ki gaana, naachna aur bajaana,
yeh 'one two three'

hain, aise hi sangeet ke saath yeh "saa" 'word' jo hai, yeh
bahut 'important' hai, yeh kahaan

se kisne nikaala maaloom naheen. aap dekhiye jitni baDi cheezen hai,
aap samjhe na, jitni

baDi cheezen hai, sab milenge iske andar. swar ismein hai, sachchaai
ismein hai, samundar

ismein hai, aap koi bhi cheez laaiye.

KS: kya baat hai!

---------------------------------------------------
Song: sa re ga ma pa pa pa pa dha ma re (Abhinetri)
---------------------------------------------------

PL: yeh LP jo hai, yeh 'complete' kaam khud hi karte hain. Laxmiji-
Pyare, yeh dono saara

kaam, gaana likhne se leke, gaana 'compose' karne se, gaana 'arrange'
karne se, gaana

'record' karne se, gaana 'conduct' karne se, 'background music' karne
tak, 'everything

arranged, everything done by LP'. kabhi kuchh 'musicians' hain jo
aaj 'music directors' ban

gaye hain, woh log bhi karte hain. dekhiye 'real' maaeene
mein 'compose' karna kya hota hai

na sangeetkar, gaane jo log banaate hain, 'song composition', woh
alag 'field' hai. kis liye?

aap dekhenge ki 'foreigners' jo hain, 'foreigners', unhone yeh cheez
baanTee hai. yahaan par

kya samajhte hain log ki jo gaana banaata hai woh bahut baDaa
hai, 'music director', aur jo

log 'conduct' karte hai, 'conducting' kya ho gaya ki jaise mera
chhoTaa bhaai baiThaa hai

idhar, kuchh kaam naheen hai usko, bas haath hilaana hai zaraa. to
yeh hai 'conducting'.

'conducting is not something like bus conductor'. samjhe na
aap? 'conducting' kya hotaa hai

jaise ek 'classical singer' ek raag ko gaata hai, to bhairavi raag
hai, isko BaDe Ghulam Ali

Khan saahab ne gaaya hai, main thoDaa aapka waqt le raha hoon...

KS: jee haan jee haan

PL: lekin bataa raha hoon aapko ki BaDe Ghulam Ali Khan saahab ne
bhairavi gaayi, Pandit

Omkarnath-ji bhairavi gaayi, ab ham baiThke 'discuss' kar rahe hain
ki bhairavi inhone

achchha gaaya ki unhone achchha gaaya. woh bolenge ki 'unhone wahaan
aisa achchha kiya tha',

doosra bolenge ki 'unhone aisa kiya tha'. to aise 'comparision' hota
hai. aise hi 'foreign'

ke andar 'Beethoven concept' hai, 'Mozart concept' hai, to jisne
jaise 'conduct' kiya tha, to

Khan saahab ne kaise gaaya tha, to 'composing, conducting and
arranging', bilkul ek hi woh

hai. hamaare yahaan aise bolte hain ki jisne gaana 'compose' kiya woh
baDaa ho gaya, aur

baaki jo hai woh baad mein hai. main yeh naheen bol raha hoon, kyunki
har ek desh ka apna

apna hai. hamaare yahaan 'solo' aur 'duet' raha hai. 'duet' kya hai,
laDaaee, jugalbandi,

dono saath mein gaayenge naheen, samjhe na! yeh hai yahaan
pe. 'foreign' mein kya hai, 'be it

solo, duet, triet, quatret', agar chheh log hain to isko 'chembre
orchestra' bolte hain, then

'small orchestra', 'then orchestra de costa XXX'

KS: achchha achchaa.

-----------------------------------------------------
Song: aa jaanejaan aa mera yeh husn jawaan (Intequam)
-----------------------------------------------------

KS: 'rehearsal' karte the?

PL: 'rehearsal', yeh jo aaj ka 'system' hai, woh hamne naheen
rakhaa, 'last' tak.

KS: aur 'rehearsal', jaise Rafi saahab jab the, matlab, puraane samay
mein 'rehearsal'

kahaan, matlab 'studio' mein?

PL: dekhiye, main kya boltaa hoon na, ki 'system' jo ab tak hai
na 'same' hai. sab achchhe

hain. abhi kya ho gaya hai ki sab 'easy' ho gaya hai. abhi aapke
paaon chhuyenge naheen,

kyunki paaon chhoone ke liye aapko jhuknaa paDtaa hai. log paaon tak
haath lagaate naheen,

ghuTno tak haath lagaayenge, thoDaa jhuk lenge, naheen to haath milaa
lenge, utna bhi naheen

karna hai to sirf 'hi' bol denge. samjhe na? takleef jitnaa kam ho!
jab baiThte hain, to

paaon upar hi rakhna chaahiye 'table' ke upar. to yeh sab cheezen
hai. jab hamne 'music'

seekha to sabse pehle yeh seekhaate the ki '14th century' mein
kya 'language' bolte the,

'architect' ke andar kaise ghar hote the, kaisa kapDaa pahente the,
gaane ka riwaaz, matlab

gaane ka 'style', yeh sab cheezen bataayi jaati thi. aap kabhi ghar
aayenge to main

dikhaayunga aapko, jo kitaaben hain achchhi achchhi, usmein sab diya
huya hai.

KS: aapko jab koi boltaa hai ki aaj se 200 saal pehle ki kahaani hai
to aise kahaani par

aapko 'music' denaa ho to...

PL: abhi dekhiye "sajan re jhooTh mat bolo Khudaa ke paas jaana hai,
na haathi hai na ghoDaa

hai wahaan paidal hi jaana hai", yeh Meera ka hai, khaali
iski 'language' alag hai, ham

'picture' kar rahe the Meera, Lata-ji ne kahaa ki 'main itnaa gaayi
hoon Meera, main naheen

gaayungi'. to hamne kahaa ki 'agar aap naheen gaayengi to
us 'picture' mein 'heroine change'

ho sakti hai, 'music director change' ho saktaa hai, 'director,
hero', koi bhi 'change' ho

jaaye, lekin Lata-ji agar naheen gaati, hamne 3 gaane Gulzar saahab
ke saath banaa deeye the,

aur mahurat Lata-ji ke haathon hi karwaaya tha, to jab 'date' maangee
to unhone kahaa ki

'aisi baat hai, ki maine Meera itnaa gaaya hai to mujhe naheen
hogaa'. hamne chhoD diya.

----------------------------------------------------
Clip: jo tum toDo piyaa main naahi toDoon re (Meera)
----------------------------------------------------

KS: Lata-ji ki baat chal rahi hai, aur main dekh raha hoon ki jab jab
Lata-ji ka naam aata

hai, ek sammaan ka bhaav, ek bahut aadar se aap jhuk jaate hain, aur
balki poora desh unke

naam ke aage, unke aage sar jhukaata hai, unki pratibhaa hi aisi hai.

PL: sahi baat hai

KS: aur aapke sangeet mein bhi unkaa bahut sureela 'contribution' hai

PL: bahut baDaa, aaj ham Laxmikant-Pyarelal jo hain, uska poora shrey
ham unko dete hain.

KS: lata-ji ne kaun sa gaana pehlaa gaaya aapke liye?

PL: pehlaa to chhoDiye lekin jo sabse 'best' gaana hamko lagaa
unkaa, "jeevan Dor tumhi sang

baandhee".

---------------------------------------------------
Song: jeevan Dor tumhi sang baandhee (Sati Savitri)
---------------------------------------------------

PL: phir woh Gulzar saahab ka likha huya (sings) "koi mere maathe ki
bindiya sajaa de re",

woh gaana unhone itna 'beautiful' gaaya hai.

--------------------------------------------------------------------
Song: koi mere maathe ki bindiya sajaa de re (Palkon Ki Chhaon mein)
--------------------------------------------------------------------

PL: ek hai "satyam shivam sundaram" 'ofcourse, no doubt', phir ek
gaana aur hai, "aayegi

jaroor chiTThi mere naam ki sab dekhnaa". dekhiye Bakshi-ji, "mere
naam ki" aur "sab

dekhnaa", matlab tum dekhna, tum dekhnaa yaa tum dekhnaa naheen, sab
dekhnaa.

---------------------------------------------------
Song: aayegi jaroor chiTThi mere naam ki (Jaaneman)
---------------------------------------------------

END OF EPISODE 11

#1788 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Fri Jan 11, 2008 1:28 pm
Subject:: VB50: Anmol Moti - 14 (Ramlal)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Composer Ramlal speaks about Sehra, Geet Gaya Pattharon Ne...


Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1787 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Fri Jan 11, 2008 1:26 pm
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Ravindra Jain (Episode 10 - Last Part)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 10 (03/01/2008)
----------------------

AD: Ravindra-ji, aaj ke is 'episode' mein aapka bahut bahut swaagat
hai Vividh Bharati ke 'studio' mein, namaskaar!

RJ: namashkaar!

AD: daadu, ek aur Khaas 'banner' hai jis par aapki bahut sureelee
dastak rahi, B R Films ka 'banner'.

RJ: jee haan

AD: usmein Pati Patni Aur Woh...

-------------------------------------------------
Song: ThanDe ThanDe paani se (Pati Patni Aur Woh)
-------------------------------------------------

AD: ek baDi halki fulki film, aur baDi 'comedy film'.

RJ: aur kya kaam kiya tha Hari ne! 'last scene' kee na usne, kamaal
kar diya, 'office' mein waapas aakar baiThta hai aur phir woh nayi
laDkee (laughs), kamaal ka hai woh,

AD: (laughs) jee haan!

RJ: 'fantastic!'

AD: to achaanak B R Chopra ka jo 'banner' hai, usmein aapne
kaise 'entry' maari?

RJ: Chopra saahab ke saath pehla mera jo 'sentence',
jo 'conversation' huya na, baDaa mazedaar tha. Chopra saahab mere
sangeet kaksh mein padhaare, pehla jo unhone aakar kahaa
na 'masterji, ek chhoTi si film banaa raha hoon'.

AD: achchha

RJ: to pataa naheen mere man mein kya aaya, maine kahaa 'kya Chopra
saahab, 'interval' tak banaayenge?' (both laughs). maine kahaa 'mujhe
aap kam paise de deejiye, apni film ko kyun chhoTa keh rahe hain!'

AD: Theek Theek.... film to poori banaaiye!

RJ: (laughs loudly) magar Chopra saahab ko kahaani ki achchhi pakaD
hai.

AD: aur Khaas baat yeh hai ki unki kahaaniyaan samaaj par poori tarah
se kendrit hoti hai aur samaaj ke kisi samasya ko uThaakar hi film ko
hameshaa banaaya hai.

RJ: Insaaf ka Tarazu bhi maine unke saath kiya tha, do filmen unke
saath maine kee thi. phir Mahabharat ke liye unhone bulaaya tha
mujhe. lekin Mahabharat ke liye woh Rajkamal-ji ko 'sign' kar chuke
the. to maine kahaa 'naheen, Chopra saahab, ham 'professional' log
hain, ham saath mein kaam sab karte hain. agar mere liye koi kaam
hai 'then I will come and do it complimentarily', aap mujhe kabhi bhi
yaad kar len, lekin aisa naheen karoonga'. phir Rajkamal-ji ne bahut
achchha kaam kiya hai usmein, woh mere bahut achchhe dost bhi the.

AD: to phir jab baat samaaj ki aur samaaj ke samasyaaon ki chal rahi
hai to yahaan par Dutt saahab ka zikr karna bhi zaroori ho jaata hai
aur ek baDi samaajik film dahej ko leke...

RJ: aur baDe hi umdaa insaan, bahut mast rehnewaale

AD: unki film bhi aapne kee hai

RJ: Yeh Aag Kab Bujhegi, Shiv Kumar mere dost hain,
jismein 'hero, 'producer-director', jisne Brijbhumi banaaee, Dutt
saahab se unka baDaa achchha tha, to unhone hi 'recommend' kiya is
film ke liye. aur iska 'title song' to bahut hi achchha huya hai.

AD: us 'title song' se juDaa ek poora yeh hai na ki, jahaan tak mujhe
dhyaan hai, ki kahin maine suna hai yaa paDhaa hai, ki woh 'title'
aapke gaane se hi niklaa hai.

RJ: haan, Yeh Aag Kab Bujhegi, aur is gaane ka ek antara jo mujhe
bahut pasand hai, woh, jahaan usko jalaate hain na, chitaa jalaa rahe
hain, ki "jhooThe ko dekho jhooThe aansoo bahaa raha hai, phere
nibhaa na paaya phere lagaa raha hai, jisko jalaa chukaa hai usko
jalaa raha hai, naari janamjalee hai kab tak yunhi jalegi, iske
Khilaaf jaane aawaaz kab uThegi, yeh aag kab bujhegi".

-----------------------------------------------
Song: yeh aag kab bujhegi (Yeh Aag Kab Bujhegi)
-----------------------------------------------

RJ: to Rahi saahab ne Dutt saahab ko ek din kahaa ki 'arey yaar',
Rahi saahab bhi Aligarh ke the, main bhi waheen ka tha, to kehte hain
ki 'ek Aligarh waale ne doosre Aligarh waale ka kaam jo hai na, saara
kaam chheen liya', kyunki saara 'background' maine likh diya tha na,
jahaan jahaan antare aane the, gaane mein hi aata raha, to film mein
kaafi 'scenes' jo the na gaane mein chale gaye the.

AD: Dr Rahi Masoom Raza saahab ki baat kar rahe hain...

RJ: aur haan, unki ek 'script' mere paas paDi hai, Tansen, jo
mera 'dream project' hai. Rajashree waalon ke liye hamne chaar
gaane 'record' keeye hain uske, aur usko main zaroor se zaroor
banaayunga, 'and that will be a real gift from my side to the musical
world', jo sangeet ke pipaasu hain aur uske baare mein kuchh jaanna
chaahte hain, to Tansen ko 'as a composer' maine 'project' kiya hai.
zaroor unke liye woh film banaayunga. bas aap mere sunnewaale mere
haq mein duyaa karen ki main yeh film zaroor banaa paayun.

AD: daadu, N Chandra saahab ki film bhi aap ne kee hai

RJ: Pratighaat, uska bhi ek mazedaar gaana hai...

AD: "hamen paTiaane aaye hain"

RJ: (sings) "hamre balmaa beimaan hamein paTiaane aaye hain..."
(laughs)

AD: daadu, ek ek ek ek film ka agar main zikr karoon, ek ek geet ka
agar zikr karoon to mujhe lagtaa hai ki daadu ko mujhe ek ek maheena
yahaan 'studio' mein biThaake rakhna hogaa, aur nishchit roop se yeh
mumkin naheen hai. abhi yahaan main zikr karna chaahoonga yaa
poochhna chaahoonga kuchh aisi filmen bhi rahi hain daadu jinmein aap
bataur sangeetkaar naheen lekin aap us film se juDe rahe, bataur
gaayak juDe rahe, bataur geetkaar juDe rahe.

RJ: Kalicharan kee na, Kalyanji Anandji bhai ke sath kee

AD: Kalicharan thi, Dada thi , Meri Biwi Ki Shaadi, Bahu Ki Awaaz.

RJ: main 'professionally' baahar naheen likhta gaata hoon, lekin
jaise hamaare apne log hain, Sippy saahab, jab main unki film kar
raha tha to yeh Kalicharan bhi ban rahi thi, to phir unhone kahaa
ki 'do gaane likh do', to uske liye, hamaari dosti hai, to unke liye
likh diya.

----------------------------------------------------------------
Song: yeh pal chanchal kho na dena kahin o deewaane (Kalicharan)
----------------------------------------------------------------

RJ: gaana mera 'obsession' raha hai, gaana agar milta hai to main
baDaa Khush hota hoon, Ramayan, Ganga, Krishna, aise bahut
saare 'episodes' TV ke, jinmein gaata raha hoon main, aur jis din
meri aawaaz naheen rehti hai, logon ko lagtaa hai ki ismein koi
Kharaabi n aheen aa paa rahi hai (laughs), maine aadat Daal dee thi
logon ko Kharaab aawaaz sunne ki.

AD: Kharaab hai ki achchhi hai yeh to sunnewaale hi bataayenge.

RD: baDe meherbaan hain, meherbaan hain.

AD: daadu, aap Hindi bhaashi hain, aur Bangla par bhi aapka poora
adhikaar hai...

RD: naheen, adhikaar to naheen

AD: lekin iske baawjood bhi aapne Gujarati, Haryanvi, Malyaali,
Bhojpuri, sabhi...

RD: Bhojpuri to hamaari Nadiya Ke Paar bhi usi 'colour' ki film thi.

AD: dekhiye, is baatchit mein ham Nadiya Ke Paar ko bhoole jaa rahe
hain.

RJ: naheen naheen

AD: ek aisi film jisne itihaas rach diya

-------------------------------------------------------
Song: saanchi kahe tore aawan se hamre (Nadiya Ke Paar)
-------------------------------------------------------

RJ: uski jab ham 'release' par gaye na, aisa tha UP ka maahaul main
aapko bataa naheen saktaa, aisaa lagtaa tha har shahar mein baaraat
nikal rahi hai. gaaon gaaon jaake, 'band' mein logon ka wohi gaana
bajaana, to main saahab Raj baabu, Divya, sab saath mein, aur itna
achchha 'tour' tha woh, Sachin-ji, Sadhna, sab saath mein the, bahut
hi 'memorable' jo 'trip' thi na, baDi yaadgaar.

--------------------------------------------------------------
Song: kaun disaa mein leke chalaa re baTohiya (Nadiya Ke Paar)
--------------------------------------------------------------

RJ: Nadiya Ke Paar, saare gaane 'popular' huye aur uska 'modern
version' baDaa achchha banaaya hai Sooraj ne.

AD: jee haan, Hum Aapke Hain Koun. aur yeh Hum Aapke Hain
Koun 'title' bhi Nadiya Ke Paar ke 'dialogue' se hi niklaa.

RJ: jee, usmein samvaad tha.

AD: aapke gaano ki 'situation' hi thi koi, usi mein se niklaa.

RJ: jee jee. abhi bhi soch rahe hain ki uski koi 'next version'
banaayen. Sachin aur Sadhna ke bachche ko leke, Rupa ka beTaa aur
usko leke, is tarah ka kuchh banaaye, abhi 'planning' hai.

AD: daadu, abhi main aap se yahaan pe aapka Gair fili kaun sa geet
yaa bhajan, yaa Ghazal, jo aapke dil ke bahut kareeb ho, woh main
zaraa...

RJ: meri apni rachnaaon mein se poochh rahe hain?

AD: haan, aap hi ki, lekin jo filmi naheen ho.

RJ: 'non-film' bhi, hamaari 'company' se nikaalte rehte hain ham log.
D R Productions jo hai na, Divya aur Ravindra se, Ayushman Series, is
tarah ka ham banaate rehte hain, usmein 'devotional' cheezen bahut
banaaee hain hamne. iski shuruwaat hamne kee Aqeeda se, jismein
Muslim 'devotional' tha, Khan saahab aur Hemlata se 'record' keeye
the. tab se abhi bhi kichh na kuchh banaate rehte hain, Jai Shri Ram,
Jai Shri Krishna vagerah sab, to hamaari 'company' se yeh chhoTaa sa
kaam hai jo karte rehte hain.

------------------------------------------------------------
Song: raam sakhaa tu hain soone naino ka ujiyaara (Non-film)
------------------------------------------------------------

RJ: abhi hamne usi 'banner' par 'TV serial' bachchon ke liye hamne
banaaya tha, Kya Tum Mujhse Dosti Karoge, woh bhi prasaarit ho chukaa
hai aur ab ek aur 'concept' bheja huya hai, dekhiye woh bhi 'through'
ho jaayega to us par bhi kaam karenge. to usmein 'devotional'
gaane 'popular' hain saare, Jai Shri Ram 'popular' hai. to 'private'
Ghazlon ka ek 'album' kiya tha Suresh ka HMV se, usko bhi samay ho
gaya, mera man hai phir kuchh nayaa kuchh karoon. shaayad aapko mere
kaavya ke baare mein pataa hogaa kuchh na kuchh...

AD: jee

RJ: uski bhi ham baat karte hain.

AD: abhi to ham baat kar rahe the ek sangeetkaar geetkaar Ravindra
Jain ki, kavi aur shaayar Ravindra Jain ke baare mein to hamne abhi
baat kee hi naheen hai, aur pitaa Ravindra Jain ke baare mein baat
naheen kee, pati Ravindra Jain ke baare mein baat naheen kee, lekin
usse pehle thoDi si, agar bahut jaldi mein aap yeh bataa den ki
Ravindra Jain jab fursat ke waqt mein hote hain to kya karte hain,
aur Ravindra Jain agar kahin ghoomna chaahen to kaun si pasandida
jagah hai Ravindra Jain saahab ki ghoomne ke liye?

RJ: ghoomne ke liye ek to yahaan Aligarh, doosri Kalkatta, jahaan
main har shaam raha karta hoon, maanasik roop se to chalaa hi jaata
hoon. aur fursat ka jahaan tak taalluKh hai, fursat naheen hoti hai,
itna kaam maine le rakha hai haath mein, ek to saamved pe kaam kar
raha hoon, quraan pe kaam kar raha hoon, quraan ka 'poetic
translation' kar raha hoon, aur Ghazlon ka majmuyaan, Ujaalon ka
Silsilaa nikla hi tha, to yahaan se main aapko thoDaa sa sunaa detaa
hoon kuchh...

AD: jee bilkul!

RJ: "bandaa ka rakhwaala wohi, awwal hai aala hai woh, jis roz honge
hashr mein neki badi ke faisle, jis roz poochha jaayegaa sabse hisaab-
e-Kahiroshar?????, us roz ka haakim hai woh, us roz ka maalik hai
woh, us roz apne hi keeye ka phal paayegaa harbashar. tujhko hi
poojen aur karen madad ka aasra, tu baKhsh kadmon ko hamaare seedhaa
sachchaa raasta, un raahion ka raasta jinpar tere ahsaan hain, woh
raasta jispar shaamil rahe teri razaa, woh raasta harGiz na ho bhaTke
huyon ka raasta, teri nigaahon mein rahen, teri panaahon mein rahen,
aamin kehkar maangte hain aaj tujhse yeh duyaa!"

AD: yeh 'programme' jo hamaare sunnewaalon tak pahunch raha hai, jo
log sun rahe hain, nishchit roop se dhanyavaad to denge, Khaas kar
mujhe to dhanyavaad denge hi, aur yeh unkaa jo dhanyavaad, unka jo
pyaar hai, mere liye baDi daulat bankar mere paas rahegaa, ki
Ravindra Jain saahab yahaan tak aaye aur hamaare doston se muKhaatib
huye.

RJ: yahi mere liye baDe harsh ka vishay hai, main aapko thoDaa thoDaa
sunaata chalta hoon, Ujaalon ka Silsila, yeh majmuyaan mera chhapaa
hai, usmein se ek Ghazal ki do-chaar sher sunaa raha hoon, panch
tatvon par maine Ghazlen kahi hain usmein, miTTi par sunaa raha hoon
aapko, (sings) "jis jagah ki ho bewafaa miTTi, us jagah se meri uThaa
miTTi, hamne jisko aziztar jaana, sabse pehle woh de gaya miTTi, ek
din Khud ba Khud yeh hona hai, tu to miTTi mein mat milaa miTTi".
aaKhri sher kehta hoon, "kaisi murdaa parast hai duniya, mar ke paati
hai martabaa miTTi". kyunki hamne har tarah ki baaten kee hain, to jo
main samajhtaa hoon aaj ki jo hai 'need of time', ki 'national
characters' hamaare 'build' hon, hai na, to us bhaavna se, yeh
hamaare Ashok Kaul saahab ne film banaaee thi Paramvir Chakra, uske
liye maine ek geet likha tha, (sings) "mere mehboob mere watan tujhpe
qurbaan main jaaneman, ham teri bulbule naGhmadan tu hamaara hai
pyaara chanan, 'my first love my nation, nation nation o great
nation, mere mehboob mere watan..."

-----------------------------------------------
Song: mere mehboob mere watan (Paramvir Chakra)
-----------------------------------------------

END OF EPISODE 10


INTERVIEWER: AMARKANT DUBEY
RECORDING ENGINEER: PRADEEP SHINDE
COMPILATION: CHITRALEKHA JAIN
EDITING & PRODUCER: KAMAL SHARMA

END OF SERIES

#1786 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Fri Jan 11, 2008 8:28 am
Subject:: A write up on Pankaj Mullick session at Matunga
ramaswamy21in
Online Online
Send Email Send Email
 
Dear Members,

I am posting this write up pretty much late. It took place on 18th
December last year. But due to some constraints I was not able to
post it. Any corrections or omissions are always welcome.

http://mytravels-ramaswamy.blogspot.com/

Thanks and Regards,
Ramaswamy

#1785 From: Anup Manchalwar <anupmanchalwar@...>
Date:: Wed Jan 9, 2008 10:32 am
Subject:: Re: "Lataji to bhagwaan hain" - Sunidhi Chauhan
anupmanchalwar
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Thanks Sujoy... nice peice to read.

soojoi_india <soojoi_india@...> wrote:
Exceprts from Sunidhi Chauhan's interview in SARGAM KE SITARE

SC: Sunidhi Chauhan
YK: Yunus Khan

YK: kuchh baras pehle meri Lata-ji se 'telephone' par baat huyi thi,
aur maine unse poochha tha ki 'aaj ke zamaane ke kaun si aisi
gaayikaaen hain jo achchha gaa rahi hain', aur unhone aapka naam liya
tha aur bahut bahut bahut taareef kee theen. Lata-ji se kitni aapki
mulaaqaaten aapki huyi hain aur kis tarah se woh aapki taareef karti
hain aur kaisa lagtaa hai aapko jab Lata-ji aapki taareef karti hain?

SC: Lata-ji to bhagwaan hain. to unke munh se sirf itna hi nikalna,
sirf mera naam nikalnaa bahut baDi baat hai, to agar woh meri taareef
karti hain to isse baDi baat mere liye aur koi ho naheen sakti. unko
to main shukriya adaa bhi naheen kar sakti. yehi boloongi ki agar woh
mujhe chaahti hain to bas unkaa aashirvaad rahe aur main apni taraf
se main unko niraash naheen karoongi. unki agar ummeeden hain mujhpe
to main zaroor, aur baaki unse ek ajeb sa rishtaa raha hai.

YK: shuru se hi

SC: shuru se hi, Meri Awaaz Suno ke 'time' se jab maine woh 'trophy'
unke haath se lee thi. 'competition' mein hisaa hi isliye liya tha ki
ek din Lata-ji ke darshan ho jaaye, Delhi se thi to mere liye to
sapnaa saa hi tha ki unko chhoo ke dekhoon ki woh kaisi dikhti hain
saamne se, aur sochaa bhi naheen tha ki jeetoongi, bas yeh koshish
thi ki kaafi 'rounds clear' kar loon aur 'megal finals' tak pahunch
jaayun taaki Lata-ji se mil sakoon.

YK: waah waah!

SC: jeetee to Khushi ka koi andaaza hi naheen tha, phir unkaa
mujhe 'trophy' denaa, mere aansoo ponchhkar mujhse bolnaa ki 'agar
tumko kisi cheez ki zaroorat ho to main hoon', mere liye to usse
baDaa din hi naheen tha, sabse baDaa zindagi ka din woh tha, aur uske
baad, woh sab ho jaane ke baawjood meri unse itnaa 'respect' hai, ham
sabhi ka hai unke liye, lekin meri himmat bhi naheen hoti hai ki
unko 'phone' karoon, baat karoon, to didi se aaj tak itne saalon mein
mere Khayaal se 3 yaa 4 baar baat kee hogi.

YK: aur mulaaqaaten?

SC: mulaaqaat shaayad do baar, us din ke baad. do yaa teen
baar 'maximum' itne saalon mein. unke liye mere andar ek Dar jaisa
hai, matlab, itni baDi hasti hain woh, unke saamne khaDaa honaa
lagtaa hai ki pataa naheen main is laayak hoon ki naheen. to aaj bhi
wohi 'feeling' hai, isliye, haalaanki woh bahut 'comfortable feel'
karaati hain, saamne dikhengi to kahengi ki 'aayo, mere paas baiTho',
itna pyaar karti hain didi, to unkaa main shukriyaa adaa naheen kar
sakti, mere paas shabd hi naheen hai. bas yahi kahoongi ki unkaa
bahut baDaa 'matter' hai meri 'life' mein, unke do shabd bahut baDi
baat hai mere liye, meri poori zindagi ke liye.

YK: sur-saamraagyee Lata Mangeshkar ke liye Sunidhi Chauhan Vividh
Bharati ke Sargam Ke Sitaare kaaryakram mein ek gaana nazar karna
chaahengi.

SC: didi ke liye to unkaa hi gaana 'dedicate' karna chaahoongi, mera
sabse 'favourite' hai, Hanste Zakhm se, "aaj sochaa to aansoo bhar
aaye".

YK: waah!

---------------------------------------------------
Song: aaj sochaa to aansoo bhar aaye (Hanste Zakhm)
---------------------------------------------------

COMPLETE TRANSCRIPT COMING SOON!!!




Anup Manchalwar,
India


Never miss a thing. Make Yahoo your homepage.

#1784 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Wed Jan 9, 2008 3:52 am
Subject:: "Lataji to bhagwaan hain" - Sunidhi Chauhan
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Exceprts from Sunidhi Chauhan's interview in SARGAM KE SITARE

SC: Sunidhi Chauhan
YK: Yunus Khan


YK: kuchh baras pehle meri Lata-ji se 'telephone' par baat huyi thi,
aur maine unse poochha tha ki 'aaj ke zamaane ke kaun si aisi
gaayikaaen hain jo achchha gaa rahi hain', aur unhone aapka naam liya
tha aur bahut bahut bahut taareef kee theen. Lata-ji se kitni aapki
mulaaqaaten aapki huyi hain aur kis tarah se woh aapki taareef karti
hain aur kaisa lagtaa hai aapko jab Lata-ji aapki taareef karti hain?

SC: Lata-ji to bhagwaan hain. to unke munh se sirf itna hi nikalna,
sirf mera naam nikalnaa bahut baDi baat hai, to agar woh meri taareef
karti hain to isse baDi baat mere liye aur koi ho naheen sakti. unko
to main shukriya adaa bhi naheen kar sakti. yehi boloongi ki agar woh
mujhe chaahti hain to bas unkaa aashirvaad rahe aur main apni taraf
se main unko niraash naheen karoongi. unki agar ummeeden hain mujhpe
to main zaroor, aur baaki unse ek ajeb sa rishtaa raha hai.

YK: shuru se hi

SC: shuru se hi, Meri Awaaz Suno ke 'time' se jab maine woh 'trophy'
unke haath se lee thi. 'competition' mein hisaa hi isliye liya tha ki
ek din Lata-ji ke darshan ho jaaye, Delhi se thi to mere liye to
sapnaa saa hi tha ki unko chhoo ke dekhoon ki woh kaisi dikhti hain
saamne se, aur sochaa bhi naheen tha ki jeetoongi, bas yeh koshish
thi ki kaafi 'rounds clear' kar loon aur 'megal finals' tak pahunch
jaayun taaki Lata-ji se mil sakoon.

YK: waah waah!

SC: jeetee to Khushi ka koi andaaza hi naheen tha, phir unkaa
mujhe 'trophy' denaa, mere aansoo ponchhkar mujhse bolnaa ki 'agar
tumko kisi cheez ki zaroorat ho to main hoon', mere liye to usse
baDaa din hi naheen tha, sabse baDaa zindagi ka din woh tha, aur uske
baad, woh sab ho jaane ke baawjood meri unse itnaa 'respect' hai, ham
sabhi ka hai unke liye, lekin meri himmat bhi naheen hoti hai ki
unko 'phone' karoon, baat karoon, to didi se aaj tak itne saalon mein
mere Khayaal se 3 yaa 4 baar baat kee hogi.

YK: aur mulaaqaaten?

SC: mulaaqaat shaayad do baar, us din ke baad. do yaa teen
baar 'maximum' itne saalon mein. unke liye mere andar ek Dar jaisa
hai, matlab, itni baDi hasti hain woh, unke saamne khaDaa honaa
lagtaa hai ki pataa naheen main is laayak hoon ki naheen. to aaj bhi
wohi 'feeling' hai, isliye, haalaanki woh bahut 'comfortable feel'
karaati hain, saamne dikhengi to kahengi ki 'aayo, mere paas baiTho',
itna pyaar karti hain didi, to unkaa main shukriyaa adaa naheen kar
sakti, mere paas shabd hi naheen hai. bas yahi kahoongi ki unkaa
bahut baDaa 'matter' hai meri 'life' mein, unke do shabd bahut baDi
baat hai mere liye, meri poori zindagi ke liye.

YK: sur-saamraagyee Lata Mangeshkar ke liye Sunidhi Chauhan Vividh
Bharati ke Sargam Ke Sitaare kaaryakram mein ek gaana nazar karna
chaahengi.

SC: didi ke liye to unkaa hi gaana 'dedicate' karna chaahoongi, mera
sabse 'favourite' hai, Hanste Zakhm se, "aaj sochaa to aansoo bhar
aaye".

YK: waah!

---------------------------------------------------
Song: aaj sochaa to aansoo bhar aaye (Hanste Zakhm)
---------------------------------------------------

COMPLETE TRANSCRIPT COMING SOON!!!

#1783 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Wed Jan 9, 2008 3:50 am
Subject:: Ameen Sayani's SKSKM - Qamar Jalalabadi
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Audio courtesy: N Sridhar


SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL

AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON QAMAR JALALABADI
--------------------------------------------
********************************************

aaiye aaiye, balki lauT aaiye Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein apne
is 'radio' saathi Ameen Sayani ke saath. chaliye baheno aur bhaaiyon,
aaj ham sab milkar jhaankte hain guzre huye sureele zamaane mein aur
milwaate hain aapko ek baDe hi mashoor filmi geetkaar se... to
naheen, kynki bhai woh to ab is duniya mein naheen rahe, magar unki
aawaaz hamaari puraani 'recordings' mein ubhrengee aur unkaa kalaam
unke geeton se sajegaa. unke teen alag alag zamaane ke geet main
aapko sunwaata hoon 'introduction' ke liye. pehlaa naGmaa sa 1947 ka,
film Pyar Ki Jeet, sangeet Husnlal Bhagatram.

-----------------------------------------------------------
Song: o door jaanewaale vaada na bhool jaana (Pyar Ki Jeet)
-----------------------------------------------------------

ab 1954 ka ek mashoor geet suniye baheno aur bhaaiyon, sangeetkaar
Anil Biswas, film Waris.

---------------------------------------------
Song: raahi matwaale tu chheD ek baar (Waris)
---------------------------------------------

aur isse bhi kuchh baad ka behad 'hit' ishaara agar aapko chaahiye
baheno aur bhaaiyon, to suniye O P Nayyar ka sangeet film Phagun mein.

--------------------------------------------
Song: piya piya naa laage mora jiya (Phagun)
--------------------------------------------

achchha to doston, agar main aap se kahoon ki yeh aur aise kai 'hit'
geeton ke shaayar ka naam tha Om Prakash Bhandari to aap zaroor
chaukenge ki 'yeh kaun se shaayar the bhai!' aur aapka chaunkaa
waajib hogaa bilkul kyunki yeh to unkaa asli naam tha Om Prakash
Bhandari, film sangeet ki duniya mein to woh apne taKhallus se jaane
jaate the, unkaa taKhallus tha QAMAR JALALABADI.

--------------------------------------------------------
Song: teri raahon mein khaDe hain dil thaam ke (Chhalia)
--------------------------------------------------------

film ka naam aapko yaad aaya na, jee haan, Chhalia. Qamar Jalalabadi
saahab ke mere paas teen 'interviews' rakhe huye hain baheno aur
bhaaiyon, aur main in teeno mein se chhaanT chhaanT kar kuchh hisse
aaj aapko sunwaane waala hoon. to zaraa chain se baiTh jaaiye aur
suniye:

AS: Qamar bhaai, mera peshaa aur mera shauk guzre huye zamaane se
leke aajkal ke filmi sangeet se joDe rakhtaa hai. aur film sangeet ke
kisi bhi dauD mein meri nazar paDti hai to wahaan Qamar Jalalabadi
saahab ka naam ubhar aata hai Qamar bhaai. kuchh arsa pehle O P
Nayyar ke sangeet mein, yaani ki film Nishchay ke sangeet mein aapke
geet sune to sochaa ki aap se Khud bhi miloon aur sunnewaalon ko bhi
aap se milwaayun. to kahiye Qamar bhai kaisi tabeeyat hai aapki,
yaani sehat ke lihaaz se bhi aur shaayri ke lihaaz se bhi?

QJ: aapka shukriya adaa karte huye yeh arz kartaa hoon ki dono bilkul
Theek hain.

AS: haan, dekhiye kai barson se main aapko dekh raha hoon, mera
Khayaal hai 1950 se to dekh hi raha hoon, aur tab se lekar ab tak
sehat mein koi Khaas fark naheen aayi hai, bilkul waisi ki waisi,
baalon ke rang mein shaayad thoDaa sa fark aa gaya hai.

QJ: (laughs) haan ji

AS: achchha hamaare sunnewaale to aapke gaane sunte aa rahe hain
barson se, lekin jaanna chaahenge aapke baare mein, kuchh baaten aisi
jo unhone pehle kabhi naheen sunee!

QJ: main gaane likhaa karta tha aur filmi duniya mein aane ke Khwaab
dekhaa karta tha. Anarkali ke musannaf mashoor 'dramatist' Sayyed
Imtiaz Ali Taj ki sifaarish par mujhe Pancholi Pictures mein gaane
likhne ka mauka milaa.

AS: yeh kaun sa saal tha?

QJ: yeh 1940 ke kareeb

AS: achchha achchha. to pehlaa 'hit' geet kaun sa thaa aapka?

QJ: "duniya mein gareebon ko aaraam naheen miltaa"

AS: aa ha ha

QJ: Zamindar film, Master Ghulam Haider ka 'music'

AS: achchha achchha, yeh to hamaare filmi itihaas ke sadaabahaar
geeton mein se ek hai, aur is gaane ko samajhiye ki 50 saal se zyaada
guzar gaye hain, aur aap is sangeet ki duniya ko tab se dekhte chale
aa rahe hain aur ismein shaamil bhi rahe hain. yeh bataaiye ki tab se
ab tak kaise kaise rang badle, kaisi kaisi karwaTen badlee, 'music'
ki duniya ne?

QJ: Ameen bhai, bahut si tabdeeli aayi hai, ek tabdeeli to yeh aayi
hai ki yeh jo Ghazal thi meri "duniya mein gareebon ko aaraam naheen
miltaa", iski 30 'rehearsal'-en huyi maheena bhar. achchha, ar har
roz shaayar ka aana, 'musicians' ka aana zaroori tha. woh 'studio' ke
mulaazimon mein woh shumaar hote the. aajkal aap dekh hi rahe hain
kya hotaa hai. 'set' par 'singer' aate hain, waheen 'rehearsal' karte
hain, waheen 'recording' ho jaati hai.

AS: achchha, magar iski wajah se jo asar paDtaa hai gaano par, woh
kya paDtaa hai, iske baare mein bataaen.

QJ: asar to paDtaa hai lekin yeh bhi ek kudrat ka kamaal hai
ki 'singer' aise paidaa huye hain ke jo fauran gaane ko 'adapt' kar
lete hain, yeh to maanna paDegaa, unki taarif karni paDegi.

AS: lekin kya iska matlab yeh hai ki us zamaane ke 'singers' mein
itni qaableeyat naheen thi ki woh ek ya do ya teen 'regearsals' mein
gaane ko bhaamp len achchhi tarah se?

QJ: woh Ameen bhai, 'music director' roz badalte rehte the. aur dhune
badalte rehte the, aur 'music' badalte rehte the. to isiliye, aur
kyunki faraakat ka zamaana tha, to 'monthly salary' par rakhe huye
the, 'musicians' bhi.

AS: achchha, to Qamar bhaai, aisa karen ki aage baDhne se pehle us
guzre zamaane ka aapka likha ek aur geet sune jo bahut bahut bahut
chalaa tha aur iske bol sadaa aap hi ko muKhaatib karte rahenge, film
thi Badi Bahan.

----------------------------------------------
Song: woh paas rahe yaa door rahe (Badi Bahan)
----------------------------------------------

doston, puraani 'recordings' ko sambhaalkar rakhne ka yahi to faaydaa
hai, log chale jaate hain magar unki aawaaz jyon ki tyon mehfooz
rehti hai. ab main aapko Qamar saahab ke ek aur 'interview' ke zariye
us waqt ka haal sunwaata hoon jab Bambai aane ke baad Qamar saahab ki
mulaaqaat huyi jaane pehchaane 'producer' S Mukherjee se:

QJ: yeh jab 1946 mein main Bambai aaya, to sabse pehle Filmistan mein
S Mukherjee se milaa.

AS: yeh sabse pehle Mukherjee saahab se kyun mile aap?

QJ: iski wajah yeh thi ki jab main Lahore mein ek 'journalist' tha
aur inki filmen dekha karta tha, Kangan, Bandhan, Jhoola, Naya
Sansar, Kismet, to Prabhat aur New Theatres ki filmen bhi bahut
achchhi hoti theen, lekin Mukherjee ka kahaani ko 'treatment' dene ka
jo andaaz tha, woh mujhe behad pasand tha. to us waqt mere dil mein
yeh aarzoo paidaa huyi ki main filmi duniya mein kaam karoonga aur
Mukherjee saahab ke saath kaam karoonga.

AS: achchha achchha, to jab aap Mumbai tashreef laaye to mile unse?

QJ: jee haan, jab main 1946 mein Bambai aaya, 3 baras Poona
ki 'company' Prabhat mein kaam karne ke baad, aur wahaan meri teenon
filmen kaamyaab rahi, Ram Shastri, Chand, aur Gokul.

AS: yaani aapne un filmon mein geet likhe the?

QJ: geet, mukaalme.

AS: achchha achchha

QJ: to uske baad mein main Mr Mukherjee se milaa. pehle din to woh
mujhe 5 'minute' ke liye mile, phir unhone kahaa ki 'aap kal aayiye
aur main aap se baat karoonga'. uske baad to janaab unhone mujhse woh
intezaar karaaya ki taubaa hi bhali.

AS: haan, sunaa hai woh intezaar kaafi karwaaya karte the logon se.

QJ: mujhse unhone 7 din intezaar karwaaya aur aaThve din farmaaya ki
Ashok Kumar ek 'picture' banaa rahe hain AaTh Din (Eight Days), uske
liye aap ek gaana likhiye.

AS: yaani 'picture' ka naam bhi 'Aath Din' tha?

QJ: 'Aath Din'

AS: (laughs) tab to 7 din intezaar kaerwaana waajib tha!

QJ: (laughs) to maine gaana likha jo unhe pasand aaya, jo gaana likha
woh 'record' huya, phir maine Mr S Mukherjee ke saath lagaataar 20
saal tak kaam kiya.

AS: 20 saal?

QJ: jee haan, aur us dauraan mein jo filmen maine likhee, Saajan,
aapko shaayad yaad ho "ThanDi ThanDi ret mein khajoor ke tale"

AS: jee haan, bahut 'hit' gaana tha

QJ: C Ramchandra-ji ka 'music' tha, aur Sindoor, "koi apni nishaani
detaa jaa"

AS: Qamar bhaai, sunaa hai aapke tarannum bhi Khoob hai, to agar yeh
gaana zaraa sa gungunaakar sunaa den to sunnewaalon ko aur bhi mazaa
aayega.

QJ: (sings) "koi roke unhe aur yeh kehde koi apni nishaani detaa jaa"

AS: bahut Khoob! bahut Khoob!

QJ: (sings) "jo yeh bhi tujhe manzoor naheen to yaad bhi apni letaa
jaa"

AS: waah waah, bahut Khoob, bahut Khoob! achchha Qamar bhaai,
bataaiye kuchh aur Mukherjee saahab ke baare mein.

QJ: uske baad Shaheed aur Shabnam mein maine makaalme aur gaane likhe
Mr Mukherjee ke liye, dono filmon ne Golden Jubilee manaaee, Dilip
Kumar saahab dono filmon mein 'hero' the.

-------------------------------------------------------------
Song: yeh duniya roop ki chor bachaa le mujhe baabu (Shabnam)
-------------------------------------------------------------

QJ: Mr Mukherjee ki Khasooseeyat yeh thi ki mere poore 'career' mein
jitne bhi 'producer'-on ke saath maine kaam kiya hai, woh un sabse
alag the.

AS: kis tarah?

QJ: aksar 'producer' kaamyaab 'hero', kaamyaab 'heroine',
kaamyaab 'music director', kaamyaab 'director' ke peechhe ghoomte
hain, lekin Mr Mukherjee baDe alag tareeke se kaam karte the. kyunki
unhe baDi zabardast kaamyaabi mili thi, to is wajah se har shakhs
unka ahatraam karta tha. har 'hero', har 'heroine', har 'music
director', har 'director' unke ishaaron par chalte the. aur unka kaam
karne ka tareeka aisa tha ki woh kalaakaar ko 'inspire' karte the,
usse pyaar karte the, use dhamkee dete the, usey rupaya dete the,
usse naaraaz ho jaate the, usse 'acting' karte the, usey 'get-out'
kar dete the, phir usey manaate the, yaani har tarah ke tareeke se
woh achchhe se achchha kaam karte the.

AS: aur kaamyaabi bhi behad haasil kee unhone.


achchha doston, ab tayyaar ho jaaiye Qamar Jalalabadi ki aawaaz mein
aap sunnewaale hain guzre huye zamaane ke kuchh bemisaal
sangeetkaaron ke baare mein.

AS: Qamar bhaai, aap ne jin jin sangeetkaaron ke liye likhaa, unki
Khusoosiyaat, unki aadaten kya theen, yaa hain, unke baare mein kuchh
bataayen, aur unke saath kaam karne mein raahaten, kuchh aafaten aayi
hongi zaroor, to kuchh zikr karen unkaa.

QJ: haan ji, sabse pehle Pandit Gobindram ka zikr karta hoon. Pandit-
ji agar mujhe koi dhun sunaaye aur agar main uski taarif kar doon, to
fauran woh keh dete the 'chaliye aapko samose khilaate hain'. aur woh
mujhe ek jagah le jaate the, ek achchhi jagah thi aur woh wahaan
mujhe samose khilaate the. agar kismat se dhun sunkar main Khaamosh
reh gaya to us din ke samose 'cancel'.

AS: o ho, lekin aap ko dekhte huye Qamar bhaai, un dino bhi aur aaj
bhi yeh lagtaa hai ki samose aap ne bahut zyaada khaaye the (both
laughs). achchha, Qamar bhaai, ab ek aur baDe hi mashoor sangeetkaar
ka zikr ho jaaye, Ghulam Haider saahab, unke saath bhi to aap ne kya
kya geet likhe the!

-------------------------------------------------------
Song: badnaam na ho jaaye mohabbat ka fasaana (Shaheed)
-------------------------------------------------------

QJ: Master Ghulam Haider saahab 'piano' par dhun banaaya karte the,
aur woh 'piano' 'studio' ke 'music room' mein rakha huya tha. maine
unhe film Zamindar ke liye 3 gaane likhkar deeye, dhun naheen ban
rahi thi, to ek din aadhi raat ko Master-ji ki aankh khulee to woh
kurta paijama pehne huye Pancholi Studio pahunch gaye aadhi raat ko,
to woh gorkhe ne 'music room' kholne se inkaar kar diya, unhone
gorkhe ko DaanTaa, 'music room' ki khiDki toD dee, aur chhalaang
lagaakar andar chale gaye, 'piano' par saari raat baiThe rahe subah
tak aur teeno dhune tayyaar ho gayeen.

AS: waah waah, kya baat hai! achchha, Qamar bhaai, ab Husnlal
Bhagatram ke baare mein kuchh bataayen.

QJ: Pandit Husnlal Bhagatram ke saath maine bahut si filmon ke gaane
likhe, Chand, Pyar Ki Jeet, Badi Bahan, Adil-e-Jahangir, bahut si
filmon ke gaane likhe, inko kya aadat thi dono bhaaiyon ko, yeh
jab 'music' par baiThte the to pehle to Khud do teen lateefe sunaate
the, aur zor zor se hanste the, dono. uske baad 'musicians' se aur
shaayar se do teen lateefe sunte the, aur Khoob zor zor se hanste
the, door door tak unke kehkahon ki aawaaz jaati thi, aur uske baad
kehte the 'haanji, bataaiye kya gaana likhaa hai'.

AS: arey waah

QJ: zaahir hai us 'mood' mein baDe achchhe gaane ban jaate the.

AS: aur Qamar bhaai, jin 4 filmon ke naam aapne liye, unmein 3 filmon
ke gaane to behad maqbool huye, ek jhalak pesh karta hoon, yeh tha
film Chand ka bahut mashoor gaana...

---------------------------------------------------------
Song: do dilon ko yeh duniya milne hi naheen deti (Chand)
---------------------------------------------------------

AS: aur Pyar Ki Jeet ka yeh geet to mera Khayaal hai Mohd Rafi saahab
ke pehle pehle 'hit' geeton mein se ek tha...

------------------------------------------------
Song: ek dil ke tukDe hazaar huye (Pyar Ki Jeet)
------------------------------------------------

AS: Badi Bahan mein Suraiyya ka gaaya huya yeh geet bhi logon ko aaj
tak yaad hogaa...

---------------------------------------------------------------
Song: tum mujhko bhool jaayo ab ham na mil sakenge (Badi Bahan)
---------------------------------------------------------------

AS: Qamar bhaai, Husnlal Bhagatram dono bhaai the, baDe hi Ghazab ke
sangeetkaar, lekin unke baDe bhaai Pandit Amarnath bhi baDe mahaan
sangeetkaar rahe hain, baDi pyaari pyaari tarzen unhone dee, kya aap
ne Amarnath-ji ke liye bhi koi gaana likhaa?

QJ: jee haan, film Mirza Sahiban mein maine gaane likhe the,
Noorjehan ne gaaye the.

-----------------------------------------------------------
Song: aaja tujhe afsaana judaai ka sunaayen (Mirza Sahiban)
-----------------------------------------------------------

AS: achchha ab yeh aa rahe hain Qamar saahab ke ek aur 'music
director'.

QJ: kaafi saal pehle filmi duniya mein yeh afwaah uDee ki 'music
director' Sajjad saahab aur shaayar Sahir Ludhianvi saahab ke beech
mein jhagDaa ho gaya hai. to unhi dino Ramsay saahab ne Rustom Sohrab
ke liye mujhe bulaaya, jismein Sajjad saahab ka 'music' tha. to main
zaraa ghabraaya ki Sahir se hi jab unki naheen banee, pataa naheen
mera kya aalam hogaa! lekin mere saath unki bahut achchhi nikli, phir
bhi ek waaqya jo 'producer' saahab ke saath huya, ittefaaq se main
wahaan maujood tha. 'producer' saahab ek videshi 'record' laaye aur
Sajjad saahab se kahaa 'yeh aap suniye yeh main 'record' karna
chaahta hoon Mumtaz ke 'dance' ke liye', Mumtaz kaam kar rahi thi
Rustom Sohrab mein. Sajjad ne kahaa 'main 'record' naheen sunoonga,
aur main kisi ke 'music' ki chori naheen karoonga, aap ne
mujhe 'music director' liya hai, main aapko 10 'tune'
sunaayunga 'dance' ki, aap unmein se chuniyegaa lekin main is 'music'
ki chori naheen karoonga'. is waaqya ke baad mere dil mein Sajjad ki
izzat duguni ho gayi.

AS: haan, aur tabhi to us film ka, Rustom Sohrab ka, Sajjad saahab
ka, balki har film ka 'music' jo tha woh bahut hi Khoobsoorat, bahut
hi dil ko chhoo lenewaala huya karta tha. Rustom Sohrab ka Suraiyya
ka gaaya huya ek gaana bahut hi mashoor tha Qamar bhaai, dekhiye aap
ko bhi yaad dilaane ke liye, haalaanki aap ko to yaad hi hogaa,
sunnewaalon ke liye main pesh karta hoon isey.

----------------------------------------------------------
Song: yeh kaisi ajeeb daastaan ho gayi hai (Rustom Sohrab)
----------------------------------------------------------

baheno aur bhaaiyon, is geet se pehle aap ne swargeeya Qamar
Jalalabadi saahab ki aawaaz mein kuchh aise bemisaal 'music
directors' ke baare mein sunaa jo kaafi puraane zamaane ke choTi ke
sangeetkaar the. hamaare aur aapke zamaane ke do mashoor
sangeetkaaron ka zikr abhi kuchh 'minute'-on mein aapke saamne
aayegaa, magar unse pehle in do se bhi to mil leejiye..

---------------------------------------------------
Song: yeh do deewaane dil ke (Johar Mahmood in Goa)
---------------------------------------------------

baheno aur bhaaiyon, yeh to aap jaante hi hain ki yeh gaana tha film
Johar Mahmood in Goa ka, geetkaar Qamar Jalalabadi aur sangeetkaar
kaun, jee haan, Kalyanji bhaai aur Anandji bhaai. to Qamar saahab, ab
Kalyanji Anandji ke baare mein bataayen kuchh.

QJ: Kalyanji ek 'technicolour' hasti hain.

AS: 'technicolour'?

QJ: jee (laughs), jab unhe 'producer' Subhash Desai ne Samrat
Chandragupt mein bataur sangeetkaar pehla 'chance' dene ki khwaahish
zaahir kee, to woh bhaag gaye, baDi mushkil se Subhash Desai ne unhe
sangeet dene ke liye geraftaar kiya. woh ek insaan mein kai insaan
hain.

AS: achchha woh kaise?

QJ: mera Khayaal hai Ameen bhaai, agar Kalyanji Akbar ke zamaane mein
paidaa hote to Akbar navratnon ki jagah sirf unhe rakh lete.

AS: (laughs) lekin main aapka matlab Theek se naheen samjhaa Qamar
saahab!

QJ: Kalyanji Tansen to naheen hain aur na hi Birbal. lekin Tansen ka
sangeet aur Birbal ke lateefe unmein zaroor hai. aapko maaloom hai
Ameen bhaai jab unki shaadi huyi aur unke sasoor ne unhe 'radio'
denaa chaaha to Kalyanji ne kya kahaa?

AS: kya kahaa?

QJ: unhone kahaa 'aap ne apni beTi mujhe de dee hai, ab 'radio' ki
kya zaroorat hai!'

AS: (laughs) bahut achchhe bahut achchhe! waaqai Kalyanji ki mazaaiya
tabeeyat ka jawaab naheen hai Qamar saahab!

QJ: aur unki saadgee, subhaanallah! All India Radio Delhi se mera ek
dost filmi duniya mein bataur sangeetkaar apni kismat aazmaane aaye.
main unke gaane sunne ke liye Kalyanji Anandji ke 'music room 'mein
gaya. to Anandji aakar tabley par baiTh gaye aur Kalyanji khaDe khaDe
sunne lage. woh shakhs inki saadgee dekhkar hairaan reh gaya. phir ek
din main Ghar Ghar Ki Kahani ka woh gaana likh raha tha "aisa
banoonga 'actor' main yaaron", Mahmood Junior muKhtaleeb 'star'-on ki
nakal utaar raha tha ki Anandji bhaai par 'dance' ka daura paDaa aur
unhone Ghazab ka 'dance' kiya. Ameen bhaai, Anandji jo bahut bhole
lagte hain, unki ek baat sunkar to main dang reh gaya.

AS: woh kya Qamar bhaai?

QJ: main aksar Kalyanji Anandji se falsafiyana bahas kiya karta tha.
ek din Anandji ne kahaa 'sansaar saagar mein insaan ko tairaaq ki
tarah rehnaa chaahiye, zaahir mein haathon se paani ko apni taraf
kheenchnaa, aur andar se laat maarna. yaani zaahir mein duniya ko
apni taraf kheenchnaa aur baadin mein usey Thukraana. main Geeta ki
us 'modern edition' ki taraf dekhtaa hi reh gaya.

--------------------------------------------------
Song: main to ek khwaab hoon (Himalay Ki God Mein)
--------------------------------------------------

yeh film thi Himalay Ki God Mein, sangeet tha Kalyanji Anandji ka,
aur san 1964 mein jab sangeetkaaron ki apni sansthaa Cine Music
Directors' Association ne pehli baar apni 'music awards' ki sthaapna
kee, to 'best' geet ka 'award' Qamar Jalalabadi ke likhe isi geet ko
milaa tha. baheno aur bhaaiyon, aaj ham Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil
mein jaanemaane shaayar Qamar Jalalabadi ke beete huye khwaabon ki
tasveeren dobaara dekh rahe hain. ab unki ek baDi mazedaar tasveer
aapke saamne aane ke liye machal rahi hai. Qamar saahab ke geeton ka
sangam ek aise bemisaal sangeetkaar se bhi huya tha jinki tabeeyat
Qamar saahab se bilkul alag thi. Qamar saahab jaise ek ThanDi hawaa
ka jhonkaa aur woh sangeetkaar baahar muskaan bheetar toofaan. Qamar
saahab baDe hi narm aur bhaavuk aur woh sangeetkaar kuchh tunak
mizaaj yaani ek zaraa chheDiye phir dekhiye kya hotaa hai! us
sangeetkaar ka naam O P Nayyar. to leejiye Qamar saahab ka ek
puraana 'interview' aapko bataayegaa ki unki shabnami tabeeyat ne
Nayyar ke garmagaram andaaz ka saath kaise nibhaaya:

QJ: O P Nayyar saahab se meri mulaaqaat Filmistan mein huyi. to kehne
lage ki 'bachpan se aap ke gaane sun raha hoon "yeh kisne may
arGhwaani peelaa dee, nazar hi nazar mein jawaani peela dee, ummeed
taDapti hai roti hain tamannaayen, duniya mein Gareebon ko aaraam
naheen miltaa", main us waqt Lahore mein 'radio' mein gaaya karta tha
aur us waqt aapki yeh filmen 'release' huyi thi aur tab se main aapko
jaanta hoon, main aapse zaroor gaane likhwaayunga'. uske baad Phagun
ki kahaani, 'dialogues' aur gaane, oh gaane to naheen,
kahaani, 'screenplay' aur 'dialogues' mere likhe huye the.

AS: o ho!

QJ: woh maine unko sunaaye. to woh kuchh 'comedy scenes' par itne zor
zor se uchhle apni 'sofa' mein, aur uske baad B Mitra andar aa
agye, 'director', to Mitra ne alag mein unse poochha ki 'gaane kisse
likhwaayen?' to unhone kahaa ki 'jinhone kahaani, 'screenplay'
aur 'dialogues' likhe hain, usse zyaada achchhe gaane kaun likhegaa!'
to film Phagun se unka mera saath shuru huya.

AS: aur waaqai Phagun ke kai gaane to bahut hi Khoobsoorat the, do
gaane Khaastaur pe mujhe bahut hi pasand hai aur sunnewaalon ko bhi
ab tak yaad honge. ek to yeh tha...

------------------------------------------
Song: ek pardesi mera dil le gaya (Phagun)
------------------------------------------

AS: magar mera Khayaal hai film Phagun ka woh gaana jo har premee,
har aashiq ke dil mein hameshaa hameshaa basaa rahegaa woh tha yeh
behad Khoobsoorat gaana...

------------------------------------------
Song: main soyaa ankhiyaan meeche (Phagun)
------------------------------------------

AS: Phagun ke baad bhi to kai filmon mein aap dono ka saath raha?

QJ: jee haan, Howrah Bridge, Do Ustad, Ragini, Kalpana, Farishta, Mai
Baap, 12 filmen ek hi 'row' mein ham dono ne keeye.

AS: o ho!

---------------------------------------------
Song: mera naam chin chin chu (Howrah Bridge)
Song: main baangaali chhokra tab pyar ko nomoshkaarom (
Song: hampe dil aaya to bolo kya karoge (
---------------------------------------------

to kya aap jaante hain ki Phagun, Howrah Brdige, Ragini, Do Ustad
jaisi 'hit' filmon ke baad kareeb 25-30 baras tak Qamar saahab aur O
P Nayyar ek doosre se alag rahe, to iske baare mein Qamar saahab se
maine poochha tha us 'interview' mein:

AS: to yeh silsilaa TooTa kaise?

QJ: silsilaa TooTaa naheen tha, unke paas bhi kaam kam tha, mere paas
bhi kaam kam tha. to kaafi saal tak hamaari mulaaqaat naheen huyi.

AS: Nishchay mein dubaara ho gayi!

QJ: Nishchay mein dubaara ho gayi.

-------------------------------------------------------
Song: nayi suraahi taazaa paani o meri jaani (Nishchay)
-------------------------------------------------------

to yeh the kuchh naGhmein jinhe Qamar Jalalabadi ke kalam ne sanvaara
aur Qamar saahab ki aawaaz hamein un mahaan sangeetkaaron ke paas bhi
le gayi jinka sangeet aaj bhi hamaari nas nas mein basaa huya hai.
lekin doston, aur bhi kai sangeetkaaron ke saath baDe achchhe achchhe
geet likhe the Qamar bhaai ne, jaise Sonik Omi ke saath film Mahua...

------------------------------------------
Song: dono ne kiya tha pyaar magar (Mahua)
------------------------------------------

aur Iqbal Qureshi ke saath bhi kya Khoobsoorat geet likhe the Qamar
saahab ne film Yeh Dil Kisko Doon ke liye...

----------------------------------------------------
Song: phir aane lagaa yaad wohi (Yeh Dil Kisko Doon)
----------------------------------------------------

lekin jis geet ki jhalak se aaj main Qamar Jalalabadi ki daastaan
Khatam karoonga woh hai 1949 ki film Bazar ka geet jiske sangeetkaar
the Shamsunder, suniye baheno aur bhaaiyon aur keejiye Qamar ke
geeton ko salaam!

--------------------------------------------
Song: saajan ki galiyaan chhoD chale (Bazar)
--------------------------------------------

bas isi geet ke saath aaj aapka hamsafar Ameen Sayani aap se ijaazat
letaa hai baheno aur bhaaiyon, vaada keejiye ki phir milenge jab jab
sajegee yaadon bhari suhaani is sureelee Sangeet Ke Sitaaron Ki
Mehfil! arey haan, ek guzaarish hai, aap to is mehfil ka mazaa liya
hi karte hain magar aapke ham-mizaaj jo dost hain na unhe bhi to
kahiye ki woh bhi to sunaa karen!

THE END

#1782 From: Amitabh Sharma <eksh00nyash00nya@...>
Date:: Sun Jan 6, 2008 5:57 pm
Subject:: Re: VB50: Anmol Moti - 13 (Pt Makhanlal Chaturvedi)
eksh00nyash0...
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Sujoy,
Thanx a lot for making this poem in legendary Hindi literary figure Pt. Makhanlal Chaturvedi's own voice to the members of this esteemed group. Its an experience -- kinda outta the world -- of listening to these legends...in their own voices...awesome effort on VB's as well as ur part to make it available 2 us. We all are really grateful for this initiative.

Regards,

Amitabh

----- Original Message ----
From: soojoi_india <soojoi_india@...>
To: vividhbharati@...
Sent: Wednesday, January 2, 2008 8:04:46 AM
Subject: [vividhbharati] VB50: Anmol Moti - 13 (Pt Makhanlal Chaturvedi)

Listen to the famous poem PUSHP KI ABHILASHA, as recited by Pt
Makhanlal Chaturvedi, recorded in the year 1963.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy




Looking for last minute shopping deals? Find them fast with Yahoo! Search.

#1781 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Wed Jan 2, 2008 1:05 pm
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Pyarelal (Episode 10)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 10
---------

KS: Pyarelal-ji, aaj ke is kaaryakram mein main aapka bahut bahut
swaagat kartaa hoon, namaskaar!

PL: namashkaar!

------------------------------------------
Clip: baahosh-o-hawaas main deewaana
Clip: yeh jo chilman hai
Clip: mere dushman tu meri dosti ko tarse
Clip: khilaunaa jaankar tum to
Clip: patthar ke sanam tujhe hamne
-------------------------------------------

KS: Pyare-ji, aapke sangeet nirdeshan mein Rafi saahab ne, chaar
paanch ji 'different mood' ke 'songs' gaaye hain, main chaahta hoon
ki aap unki Khoobiyaan bataate huye Rafi saahab ke aise chaar yaa
paanch gaane kam se kam bataaiye taaki ham is 'episode' ke zariye ham
apne shrotaaon ko bhi bataa sake aur unko bhi ek 'difference' pataa
chalegaa, ek Khaasiyat pataa chalegi sangeet ke 'point of view' se
bhi, Rafi saahab ke gaayiki ke hisaab se bhi.

PL: dekhiye, har ek gaane ke 'words' ke hisaab se, bolon ke hisaab se
woh gaate the, aur kaun 'hero' gaa raha hai woh dekhte huye, ham
pehle dhyaan dete the, uske baad mein dekhiye "baahosh-o-hawaas main
deewana"...

KS: Night in London

PL: Night in London, usmein ek 'word' aata hai "o my love", abhi
(sings) "baahosh-o-hawaas main deewaana..." (hums how Rafi saahab had
sang the words), abhi unhone jaisa gaaya hai, unhone 'words' ko
aise 'mould' kiya hai ki shaayad main 10 baar gaayun to shyaad ek
baar unke jaisaa gaa paayungaa yeh gaana.

------------------------------------------------------
Song: baahosh-o-hawaas main deewaana (Night in London)
------------------------------------------------------

PL: (sings) "o my love", to dekhiye, 'little Indianised, little
westernized', lekin uske andar ek apnaapan rakhke.

-----------------------------------------------------
Song: o my love, nazar na lag jaaye (Night in London)
-----------------------------------------------------

PL: "baahosh-o-hawaas", yeh dekhiye aapne, Pratigya ka "main jaT
yamlaa paglaa deewana", kaise gaane ka 'style' hai, uske baad mein
Khaas karke, unki Khaas Khoobi bhi thi, woh Ghazal aur 'light songs',
ab yeh dekhiye "chal uD jaa re panchhi", aap dekhiye agar aap yeh
gaana sunenge to aap 'feel' kar sakte hain. main kyun bol raha hoon
dekhiye, main apna 'band' naheen bajaa raha hoon, main bataa raha
hoon ki unhone kis Dhang se gaaye hain, aap samjhe na, yeh Meri Surat
Teri Ankhen, usmein kya kya gaane gaaye hain, 'even' aap dekhiye...

KS: is waqt jo mujhe gaana yaad aa raha hai, aapka, woh film Mehboob
Ki Mehendi film ka hai, "yeh jo chilman hai"

PL: haan!

KS: woh gaana hai, aur Aaye Din Bahaar Ke mein ek gaana hai jo poori
tarah se bad-duyaaon se bharaa huya hai, Dharmendra saahab gaate
hain, "mere dushman tu meri dosti ko tarse".

PL: "yeh jo chilman hai" gaana hai, yeh 'itself' itna 'powerful'
gaana hai, aap samjhe na, aur iske andar chaar chaand lagaanewaale
kaun, Rafi saahab. iske andar jo 'feelings' hai woh sirf wohi de
sakte hain.

---------------------------------------------
Song: yeh jo chilman hai (Mehboob Ki Mehendi)
---------------------------------------------

KS: ek aur film hai Khilauna.

PL: abhi uske andar dekhiye, (sings) "ooooooo..", abhi woh
gaana 'comedy' bhi ban sakti thi 'theatre' ke andar, hamko bahut Dar
tha ki aisa na ho jaaye ki 'theatre' ke andar woh jab "ooooo..." kare
to 'public' bhi "oooo..." kare, lekin dekhiye woh 'shot'
kya 'director' ne liya tha, do haath baahar aate hain khiDki ke aur
woh gaate hain.

-----------------------------------------
Song: khilaunaa jaankar tum to (Khilauna)
-----------------------------------------

KS: aisa koi gaana yaad aata hai Rafi saahab ka jismein aap logon koi
nayi cheez 'try' kee ho, aisa kuchh?

PL: yeh dekhiye, Patthar Ke Sanam ka jo 'title song' hai, iske antare
ka jo 'tune' hai, (hums the tune of the antara", isko ham aise bhi
banaa sakte the (sings) "ahsaan tera dil mein liye, chalte rahe,
angaaron par", lekin hamne kya banaaya (sings) "ahsaan tera", phir
(sings) "dil mein liye", phir "chalte rahe angaaron par". to ismein
dekhiye yeh jo 'tune' upar ko jaa rahi hai, yeh kiska 'style' hai,
Mehedi Hasan ka. yeh unkaa 'style' hai, unka koi bhi Ghazal aap sun
leejiye. to hamne yeh baat Rafi saahab ko bataaee, to unko bhi bahut
achchha lagaa, bahut achchha unhone gaaya. kisi ko pataa bhi naheen
chalaa ki yeh Mehedi Hasan ka 'style' hai aur yeh gaana Rafi saahab
ka 'evergreen song' ban gaya. Rafi saahab ne gaana pesh kiya, hamne
to sirf bataa diya unko, dekhiye aap gaana suniye, aapko lagegaa ki
Mehendi bhaai ne hi gaaya hai.

-----------------------------------------------------
Song: patthar ke sanam tujhe hamne (Patthar Ke Sanam)
-----------------------------------------------------

KS: aisa koi waqt aaya ho, ke jab woh bahut Khush huye hon, ki bahut
chal paDaa koi gaana, yaa 'record' ban gaya koi, to kabhi
aapko 'phone' kiya aur kahaa ki 'bahut achchha lagaa gaana', kya
kabhi woh is tarah se izahaar kiya karte the koi? achaanak 'phone' aa
gaya yaa is tarah ki koi cheezen?

PL: bahut aashirvaad dete the, sar pe haath pherte the, samjhe na
aap, bahut aashirvaad, sar pe haath phernaa, aur unki ek Khaas Khoobi
thi, 'end' tak rakhaa unhone, ki unke 'life' ke andar ek gaana
bhi 'cancel' naheen huya. hamaara naheen, kisi ka bhi. ham, Rafi
saahab ka gaana hai, unko buKhaar bhi hoga na, aakar gaake jaayenge.

KS: aapke saath kabhi huya aisa maukaa?

PL: hameshaa

KS: buKhaar mein aake gaaya?

PL: kai dafaa, buKhaar mein aake gaaya unhone. goli liya, 'doctor' ko
dikhaaya, aa gaye. lekin 'cancel... never'. matlab, unko yeh tha
ki 'meri wajah se 'cancel' naheen hona chaahiye'.

KS: unka chehra ek aisa tha ki 'serious' gaana bhi gaa rahe hon to
unke chehre pe ek muskuraahaT thi.

PL: aur dekhiye na, kaise baDe baDe gaane, wohi main kehta hoon ki
log aaj, matlab, yeh naheen ki, aaj sab 'technique' ho gaya, sab ho
gayi, ki bhai yahaan se kaT do, yeh kar do woh kar do, abhi kya hota
hai, matlab Galat naheen hai, Theek hai hamko faaydaa uThaana
chaahiye, ham uThaate hain, agar aapne mukhDaa achchha gaa liya to
usi mukhDe ko uThaakar aaKhir mein lagaa dete hain taaki takleef na
ho koi. ek baar achchha gaa lenge aur bolenge ki 'aaKhir mein wohi
lagaa do'.

--------------------------------------------------------------
Song: mere dushman tu meri dosti ko tarse (Aaye Din Bahaar ke)
--------------------------------------------------------------

END OF EPISODE 10

#1780 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Wed Jan 2, 2008 1:04 pm
Subject:: VB50: Anmol Moti - 13 (Pt Makhanlal Chaturvedi)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Listen to the famous poem PUSHP KI ABHILASHA, as recited by Pt
Makhanlal Chaturvedi, recorded in the year 1963.

Download from Files/Audio Files/VB's Golden Jubilee Celebrations

Happy listening!!!

Sujoy

#1779 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Wed Jan 2, 2008 1:03 pm
Subject:: Ujaale Unki Yaadon Ke - Ravindra Jain (Episode 9)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
EPISODE 9 (27/12/2007)
----------------------

AD: Ravindra-ji, aaj ke is 'episode' mein aapka bahut bahut swaagat
hai Vividh Bharati ke 'studio' mein, namaskaar!

RJ: namashkaar!

AD: daadu, pichhle 'episode' mein Raj Kapoor saahab ka zikr aaya,
kaafi baaten huyi, aur jaise log bhi unke baare mein bahut si baaten
jaante hain, yeh bhi jaante hain ki Raj Kapoor ke saath jo jo juDe
rahe, jo bhi kalaakaar juDe rahe, phir woh sangeetkaar hon, geetkaar
hon, jo bhi unke saath juDaa raha unka woh bahut hi 'personal level'
par Khayaal rakha karte the, aur jaise aapne bataaya ki aapke saath
bhi unke aatmeeya sambandh rahe. aapke liye bhi woh kaafi dil se
duyaa karte the, aapke liye, aapki kaamyaabi ke liye, to us baare
mein aap kya kehna chaahenge?

RJ: unko jo pasand aa gaya na, yaa unke 'mental level' pe jo 'fit'
baiTh gaya na, unko lagtaa tha ki 'mera kaam honewaala hai'. uskaa
baDaa 'personal care' karte the aur har tarah Khush rakhte the
aur 'he knew how take out the work', aur kaise 'deal' karna hai
apne 'composer' se, apne naye 'artistes' se, kis tarah 'best of their
capability' kaam karaana hai, woh bahut achchhi tarah jaante the.

--------------------------------------------
Song: sun saahiba sun (Ram Teri Ganga Maili)
--------------------------------------------

AD: Ram Teri Ganga Maili aapko kis tarah se mili, jaisa aapne kahaa
ki kai baar aapne Raj saahab se zikr kiya to Raj saahab ne kahaa
ki 'naheen, mujhe jis din zaroorat hogi main Khud gunijan ke ghar
pahunch jaayunga'.

RJ: ek baar, hamaare 'common friend' the T P Jhunjhunwala saahab.
woh 'Income Tax Commissioner' the, Mumbai mein bhi the,
lekin 'basically' Delhi rehte the. to wahaan unke biTiyaa ki shaadi
thi. to jaise shaadiyon mein sangeet ki mehfil hoti hai, main bhi
gayaa tha, main, Hemlata, Divya, T P bhaaisaahab, ham sab log wahaan
pe the. T P saahab ne zikr kiya ki 'daadu, Raj saahab ko gaana
sunaao'. yeh geet maine Jeevan film ke liye likha tha Rajashree
waalon ke liye. do aise geet hain jo doosri film mein aa gaye, usmein
se ek hai Akhiyon Ke Jharonkhon Se ka jo 'title song' hai, Sippy
saahab ke liye likhaa tha jo Ghar film banaa rahe the, lekin woh
kuchh aisi baat ho gayi ki unke 'director' ko pasand naheen aaya,
unko gaana ThanDaa lagaa. to maine Raj baabu ko sunaa diya to unhone
yeh 'title' rakh liya. phir Sippy saahab ne wohi gaana maanga mujhse,
maine kahaa ki 'ab to maine gaana de diya kisi ko', baad mein zaraa
woh naakhush bhi ho gaye the. to yeh gaana Jeevan film ke liye,
Prashant Nanda-ji 'direct' karnewaale the, Rajashree waalon ki film
thi, uske liye "ek raadha ek meera" likha tha maine. to Raj saahab
wahaan baiThe the. to yeh gaana jab sunaaya to Raj saahab ne Divya se
poochha ki 'yeh geet kisiko diya to naheen?' to maine kahaa
ki 'naheen, diya to naheen!' Raj saahab teen din the aur teeno din
woh mujhse yeh gaana sunte rahe. aur T P bhaaisaahab se sawaa rupaya
liya aur mujhe dekar kahaa ki 'aaj se yeh gaana mera ho gaya, mujhe
de do'. ab Raj saahab ko yeh kaun poochhe ki iska kya karenge, na koi
kahaani hai na koi baat. to waheen unhone yeh geet tay kar liya, phir
mujhe Bombay bulaaya, kuchh gaane sune. 'and he gave me a token of Rs
5000' ki tum aaj se RK ke 'music director' ho gaye, tab bhi yeh
naheen tha ki kaun sa film banaana hai, kya hai. phir unki janamdin
par ham Poona gaye. Khoob 'party varty' raat ko huyi, khaana vaana,
unkaa sabkuchh baDe paimaane pe hota tha. 'next afternoon' mein ham
log chaai pee rahe the, to Raj saahab ne kahaa ki 'daadu, mere dimaag
mein chhoTa sa ek 'story idea' hai, aur maine ek film banaaee hai Jis
Desh Mein Ganga Behti Hai, ab main naam rakhna chaahta hoon Ram Teri
Ganga Maili, ab mujhe kaise log maaf karenge?' to maine kahaa
ki 'aapko koi kuchh naheen kahegaa, mujhe bas ek 'second' deejiye'.
usi waqt jo hai na maine unko yeh mukhDaa diya, (sings) "gangaa
hamaari kahe baat yeh rote rote, raam teri gangaa maili ho gayi
paapiyon ke paap dhote dhote".

------------------------------------------------------------------
Song: ek dukhiyaari kahe baat yeh rote rote (Ram Teri Ganga Maili)
------------------------------------------------------------------

RJ: itne Khush huye, 'he was so thrilled'. phir uske antare Bombay
aakar likhe baad mein. aur woh gaana jo maine aapko bataaya pehle,
jiske liye hamein yeh Ram Teri Ganga Maili film mili, woh gaaana
tha "ek raadha ek meera dono ne shyaam ko chaaha, antar kya dono ki
chaah mein bolo, ek prem deewaani ek daras deewaani", 'love triangle'
pe banaaya tha.

-----------------------------------------------
Song: ek raadha ek meera (Ram Teri Ganga Maili)
-----------------------------------------------

RJ: phir unka woh 'dream project' tha Henna, woh mere hi hisse mein
aaya.

AD: haalaanki woh isko poora naheen kar paaye the.

RJ: 'dream' to saahab, 'dream' kahaan poore hote hain?

AD: jo poora ho jaaye woh sapnaa kaisi!

RJ: sapne to phir haqeeqat ho jaayenge!

-----------------------------------
Song: der na ho jaaye kahin (Henna)
-----------------------------------

RJ: Henna ke saath bhi baDaa mazedaar kissa huya. woh kissa aap ko
bayaan karne se pehle main Sagar saahab ko praNaam karta hoon, kal
tak hamaare saath the, Ramayan jo hamaara mahaakaavya, jisko unhone
ghar ghar pahunchaaya, apne naam ke anuroop, raam ka aanand aur uskaa
saagar, aanand ka saagar, hai na, bahaanewaale, ghar ghar pahunchaane
waale Ramanand Sagar, unkaa yeh 'serial' kar raha tha main Ramayan,
to unka ek gaana 'record' karke usi din phir maine woh gaana sunaaya
Raj saahab ko. aur woh gaana tha, 'situation' bahut ajeeb thi,
Kaikeyee aur Bharat ke beech mein tha, Bharat ne kabhi maa bulaaya
naheen unko, to unki aapas mein baatchit ho rahi thi kahin, ek fakeer
ko hamne yeh gaana diya, 'background' se gaa raha tha, gaane ka pehle
mukhDaa sunaata hoon, phir woh kissa sunaata hoon, (sings) "o mayya
taine kaa Thaani man mein, raam siya bhej deri ban mein". aisaa maine
sunaaya Raj saahab ko aur kahaa ki 'aaj maine yeh gaana 'record'
karke aaya'. to unhone kahaa ki 'dekh dekh dekh, tune yeh gaana
sunaaya na, mere rongTe khaDe ho gaye, dekh dekh dekh'. yeh to mujhe
baDaa achchha lagaa lekin 'next moment' unhone kya kahaa ki 'tu ab
Henna naheen kar saktaa' (laughs). maine kahaa ki 'mar gaye, yeh kya
ho gaya!' maine socha ki kya karen. phir main chalaa aaya wahaan se.
mere baDaa man mein tha ki yeh itna baDaa 'project' mere haath se
chalaa jaayega! to ek din mujhe inka 'phone' aaya, jo Raj saahab ke
yahaan 'production' dekhte the, unhone kahaa ki 'Raj saahab ne kahaa
hai ki unke saath Srinagar chalna hai'. to phir tablewaala mera,
Divya, main, gaye. kuchh naheen saahab, koi zikr naheen film ka,
chalo aaj yahaan shikhaare mein ghoomo, yahaan khaana khaao, chalo
yeh karo woh karo, yeh sab karte rahe. to baad mein mujhe pataa
chalaa ki yeh saara kaam isliye kiya gaya ki Ramayan mere dimaag se
nikaal de aur Henna Daal de. iske liye inhone itni koshish kee, mujhe
Kashmir le gaye, logon se milaaya, 'cast' ke jo log the, banjaare,
unko bulaaya, to yeh sab prayatna tha woh Henna ke liye the.

----------------------------------------
Song: main hoon Khushrang heenaa (Henna)
----------------------------------------

RJ: unhi ka 'working' bataa raha hoon kis tarah kaam lenaa jaante the
logon se!

-------------------------------------
Song: anaar daana anaar daana (Henna)
-------------------------------------

RJ: hameshaa jab main Ram Teri Ganga Maili ka 'title' gaata hoon,
unke liye chaar panktiyaan paDhtaa hoon woh main aapko sunaa deta
hoon, "raaj ne raaj barson dilon par kiya, apne andaaz se zindagi ko
jeeyaa, de gaya jaate jaate nishaani yahi, usne gangaa ko maili na
hone diyaa"

-------------------------------------------------------------------
Song: gangaa hamaari kahe baat yeh rote rote (Ram Teri Ganga Maili)
-------------------------------------------------------------------

END OF EPISODE 9

Messages 1779 - 1808 of 2473   Newest  |  < Newer  |  Older >  |  Oldest
Advanced

Copyright © 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help