Sign In
New User? Register
vividhbharati · Vividh Bharati Listeners' Club
? Already a member? Sign in to Yahoo!

Yahoo! Groups Tips

Did you know...
You can set the sort order of messages? Just click on the link in the date column. Your preferences will be remembered, so you don't have to do it again when you return.

Messages

  Messages Help
Advanced
Messages 2174 - 2204 of 2458   Newest  |  < Newer  |  Older >  |  Oldest
Messages: Show Message Summaries   (Group by Topic) Sort by Date v  
#2204 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Apr 5, 2009 1:13 pm
Subject:: Bhoole Bisre Geet - S N Tripathi Special
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
BHOOLE BISRE GEET - S N TRIPATHI SPECIAL
----------------------------------------

Broadcast Date: 28 March 2009
-----------------------------

Presented By: Nimmi Mishra
--------------------------

bhoole bisre geet kaaryakram mein aap sabhi ka haardik swaagat hai. shrotaaon,
aaj hai 28 March, sangeetkaar S N Tripathi kaa smiti-divas. aaj hi ke din 1988
ko woh ham se sadaa ke liye door chale gaye the. aaj unke gaye 21 saal guzar
chuke hain, lekin unki sureelee yaaden ab bhi waisi ki waisi hi barqaraar hai.
bhoole bisre geet kaaryakram aaj ham unhi ko samarpit kar rahe hain.

----------------------------------------------------------
Song: zaraa saamne to aayo chhaliye (Janam Janam ke Phere)
----------------------------------------------------------

Janam Janam Ke Phere, is film ka mashahoor geet aap sun rahe the Mohd Rafi aur
Lata Mangeshkar ki aawaazon mein. geetkaar the Bharat Vyas aur yeh san 1955 ki
film thi. is geet us samay itna lokapriya huya tha ki Ameen Sayani ke Geet Mala
kaaryakram ke vaarshik ank mein is geet ko pehle 'number' darjaa haasil huya. S
N Tripathi pauraaNik aur aetihaasik filmon mein sangeet dene ke liye mashoor
the. is 'genre' ke anek sangeetkaar huye hain lekin S N Tripathi bheeD se bilkul
alag the. bahut saare filmon mein bhaaratiya itihaas ke naayakon kaa sajeev
chitraN huya hai. aisi hi ek mahaanaayak the Maharana Prataap jinke shaurya ki
gaatha is desh ke chappe chappe mein rachee basee hai. 1961 ki film Jai ChittauD
ne saakaar kar diya hai usi yug ko aur isey saakaar karne mein bahut baDaa haath
S N Tripathi ke sangeet ka bhi hai. isi film se prastut hai Lata Mangeshkar ka
gaaya ek geet, geetkaar Bharat Vyas.

-----------------------------------------------------
Song: saanjh ho gayi tumhi prakaash do (Jai Chittaud)
-----------------------------------------------------

S N Tripathi Hindi filmon ke saath saath kai bhojpuri filmon mein bhi sangeet
diyaa hai. kuchh aisi bhojpuri filmen hain 1963 ki Bidesiya, 1964 mein Jekra
Charanva Mein Lagle Paranvaan, aur Jogin, 1966 mein Loha Singh, 1980 mein Jahaan
Bahe Gangaa Ki Dhaar, 1983 mein Jaagal Bhaag Hamaar, aur avadhee bhaashaa mein
unhone film Goswami Tulsidas mein sangeet diya tha san 1964 mein. inmein se ham
aapko aaj sunwaa rahe hain Bidesiya film ka ek geet jise gaaya hai Geeta Dutt,
Meena Mangeshkar aur Kaumudi Mazumdar ne. bahut hi durlabh gaana hai yeh, siey
likha tha Ram Murthy Chaturvedi ne.

----------------------------------
Song: naa Dar bhai raam (Bidesiya)
----------------------------------

sangeetkaar, gaayak, abhinetaa, nirdeshak, nirmaataa evam kathaa-paTkathaa
lekhak Shri Shrinath Tripathi, yani S N Tripathi savaak filmon ke udaykaal se
lekar 80 ke dashak tak ka pratinidhitwa karnewaale kuchh gine chune vyaktiyon
mein se ek the. 14 March 1913 ko Banaras mein janme Tripathi-ji ne sangeet ki
shikshaa Lucknow ke prasiddha Morris College se grahaN kee tathaa 22 varsh ki
chhoTi aayu mein hi, yaani san 1935 mein Bombay Talkies mein saraswati Devi ke
sahaayak ke roop mein 100 rupay ke maasik vetan par kaarya karne lage. gaayak ke
roop mein unhone pehli baar 1936 ki film Jeevan Naiya mein :e ri daiya lachak
lachak mohanaave" geet gaaya tha jiski dhun swayam unhone hi banaaee thi. yeh
dhun to naheen lekin unka hi banaaya huya ek doosra dhun yahaan par aapko sunwa
rahe hain film Jadoo Nagari se. 1961 ke is film ka yeh geet gaa rahi hain Asha
Bhosle apne Khaas andaaz mein aur geet likha hai Hasrat Jaipuri ne.

----------------------------------
Song: looT liyaa re (Jadoo Nagari)
----------------------------------

Bombay Talkies mein kul 10 filmon mein sahaayak sangeetkaar ke roop mein kaarya
karne ke baad S N Tripathi ne woh naukari chhoD dee aur 1939 mein film Chandan
mein pehli baar swatantra roop se sangeet dene ka unhe avasar milaa jo ki 1941
mein pradarshit huyi thi. is film mein jis pehle geet ki dhun unhone banaee, woh
tha "nanha sa dil deti hoon pardesi preet nibhaanaa", jo ki unhone swayam
Rajkumari ke saath milkar gaaya tha. unhone Prakash Pictures mein san 1941-42
mein pravesh karte huye Panghat film mein sangeet diya jismein Rajkumari ke
saath gaaya unka yugal geet "door chalaachal tu kahin: bahut prasiddha huya tha.
aaiye kaaryakram ko aage baDhaate huye sunte hain S N Tripathi ki mashahoor film
Rani Roopmati ka ek geet Lata Mangeshkar ki aawaaz mein. geetkaar Bharat Vyas.
aapko yeh bhi bataa den ki Rani Roopmati film ka nirmaaN bhi Tripathi-ji ne hi
kiya tha.

---------------------------------------------------
Song: jeevan ki veeNaa ke taar bole (Rani Roopmati)
---------------------------------------------------

abhinetri Meena Kumari apne mashoor sangeetkaar pitaa Ali Bakhsh Zahoor se
sangeet ki shikshaa lee thi. jab woh 13 varsh ki theen, tabhi S N Tripathi ne
unse pehli baar film ke liye unki bahan Madhuri ke liye 4 geet gawaaye the.
sangeetkaar ke roop mein pratishThit ho jaane ke baad S N Tripathi ne pehli baar
san 1948 mein Shri Ram Bhakt Hanuman film mein Hanuman ki bhumikaa nibhaaee evam
abhinetaa ke roop mein khyaati praapt kee. uske baad unkaa naam pauraaNik filmon
ke saath hi varshon tak juDaa rahaa jinmein unhone sangeet dene ke saath saath
abhinay bhi kiya. aaiye ab sunte hain 1957 ki film Khuda Ka Banda ka ek geet
Mohd Rafi aur saathiyon ki aawaazon mein, Shewan Rizvi ke bol hain. doston, is
geet ki dhun S N Tripathi ke hi sangeet mein bani film Hatimtai ke mashoor geet
"parwar digaar-e-aalam" se milti julti hai.

----------------------------------------------
Song: chhooTaa watan hamaaraa (Khuda Ka Banda)
----------------------------------------------

S N Tripathi ne san 1957 mein pehli baar film Ram Hanuman Yuddh ka nirdeshan
kiya tha. unke karNapriya sangeet tathaa sureelee dhuno ke kaaraN jo filmen
atyant saraahee gayi, we theen - Kavi Kaildas, Rani Roopmati, Piya Milan Ki Aas,
aur Sangeet Samrat Tansen. suprasiddha sangeetkaar Chitragupt ne lagbhag 5
varshon tak, 1946 se 1951 tak unke sahaayak sangeetkaar ke roop mein kaarya kiya
tha. doston, aaiye ab sunte hain Kaun Hai Apna film ka geet Lata Mangeshkar aur
Mohd Rafi ki yugal aawaazon mein. geet likha hai B D Mishra ne.

----------------------------------------
Song: sajnaa saawan aaya (Kaun Hai Apna)
----------------------------------------

doston, is samay aap ne 'tune' kiya hai Vividh Bharati aur Vividh Bharati par
aap sun rahe hain Bhoole Bisre Geet. aaj ka yeh kaaryakram samarpit hai
sangeetkaar S N Tripathi ki smriti ko.

----------------------------------------------------
Song: shaam bhayee ghanshyaam na aaye (Kavi Kalidas)
----------------------------------------------------

Lata Mangeshkar ki aawaaz mein aap sun rahe the Kavi Kalidas film ka geet. bol
Bharat Vyas ke the. doston, jab geetkaar aur sangeetkaar ke joDiyon ki baat aati
hai to Bharat Vyas aur S N Tripathi ka naam bhi baDe pyaar se liyaa jaataa hai.
S N Tripathi ke sabse zyaadaa mashoor gaane Bharat Vyas ne hi likhe the. aisi hi
ek aur mashaoor film thi Sangeet Samrat Tansen. is film mein shaastriya sangeet
par aadhaarit gaane behad pasand keeye gaye. yun to is film ke gaane Bharat Vyas
ne likhe lekin is film mein ek  Tansen ki bhi rachanaa thi. aaj ham aapko wohi
rachanaa sunwaa rahe hain jise Purna Seth aur Pandhari Nath Kolhapuri ne gaaya
hai.

----------------------------------------------------------
Song: TooT gayi meri man ki veeNaa (Sangeet Samrat Tansen)
----------------------------------------------------------

S N Tripathi ne apni 52 varsh lambi filmi yaatraa ke dauraan lagbhag 110 filmon
mein sangeet diyaa jinmen Bhojpuri mein nirmit 7 filmen shaamil hain. lagbhag 40
filmon mein abhinay ke atirikt unhone 20 filmon ka nirdeshan bhi kiya. lekin
kitne afsos ki baat hai ki itne pratibhaashaali vyakti ke nidhan par antim
yaatraa ke samay koi bhi usmein shareek naheen huyaa siwaay sangeetkaar Dilip
Dholakia evam Suresh Kumar ke, jo ki unke sahaaayak reh chuke hain. sangeetkaar
Chitragupt beemaaree ke kaaraN bistar se uThne mein asamarth the. aaiye ab sunte
hain Lata Mangeshkar ki aawaaz mein B D Mishra ki geet rachanaa, film ka naam
hai Amrit Manthan aur yeh film aayi thi san 1960 mein.

-----------------------------------------
Song: chaand Dhalne lagaa (Amrit Manthan)
-----------------------------------------

S N Tripathi ka sangeet kitnaa sureelaa thaa ab tak prasaarit geeton ko sunkar
aapko bhali bhaanti andaazaa ho gayaa hogaa. mukhyatah dhaarmik aur pauraaNik
filmon mein sangeet dete rehne ki wajah se S N Tripathi kabhi saamaajik aur baDi
'budget' ki filmon ke sangeetkaar naheen ban sake. lekin jin jin filmon mein
jaisaa bhi unhone sangeet diyaa hai bahut hi arthapoorN diyaa hai. koi bhi unkaa
geet aisaa naheen hai jismein bematlab ke saaz hain yaa saste bol aur sasti
tukbandee. kul mulaakar bahut oonche star kaa kaam kiyaa hai S N Tripathi ne
hameshaa. chaahe geet maqbool huya ho yaa naheen yeh to kismat ki baat hai.
lekin apne maapdanDon aur usoolon se kabhi samjhautaa naheen kiyaa unhone, aur
naa hi vyaavasaayiktaa ke Khaatir apne star ko neechaa kiyaa. ek aise hi oonche
star ka geet ab yahaan prastut hai, yeh hai Bharat Vyas ki geet rachanaa, 1965
ki film Maa Sati Anusuya se. ismein yugal aawaazen hain Mukesh aur Suman
Kalyanpur ki.

-----------------------------------------------------------------
Song: bahut dino se bichhDaa man ka meet milaa (Maa Sati Anusuya)
-----------------------------------------------------------------

"bahut dino se bichhDaa man ka meet milaa", shaayad bahut dino ke baad aap ne
yeh geet sunaa hogaa. Mukesh aur Suman Kalyanpur ne bahut zyaadaa yugal geet to
naheen gaaye, lekin unke mashahoor yugal geeton mein yeh geet bhi shaamil hai. S
N Tripathi ka sangeet hamein apne itihaas aur parampara se joDte hain. lok
sangeet aur raag-raaginiyon ki chhaTaa bikherti hai unka sangeet. sangeet srijan
karte samay unhone kaavya, ras, alankaar, kaal, aur hritu ka poora poora Khayaal
rakha hai, jo hamaari aatma se juDe hain aur isi liye anashwar hain. ek aur
dhaarmik film thi Nag Devta jo bani thi san 1962 mein. is film mein geet likhe
the Qamar Jalalabadi ne. sunte hain isi film se Asha Bhosle ka gaaya ek geet.

--------------------------------------------------
Song: jhankaar paayal tose vinati kare (Nag Devta)
--------------------------------------------------

sangeetkaar S N Tripathi ke sangeetbaddha keeye geet kabhi hamaare komal
anubhooti ko halke se chhoo jaate hain, kabhi hamein gudgudaate hain, kabhi
udaas kar dete hain, to kabhi zindegi ki sachchaai ko jagaa jaate hain. aaj
Tripathi-ji ke gaye 21 saal ho gaye hain. lekin unka sangeet aaj bhi jawaan hai,
aur kal bhi rahegaa, kyunki sachche fankaar kaa fan kaaljayee hotaa hai, woh
samay se pare hotaa hai. aaj unki punyatithi par hamne unke swarbaddha keeye
kuchh bahut hi sureele madhur gaane sune. ant mein chalte chalte suniye Lata
Mangeshkar ki madhur aawaaz mein Shailendra ke bol, 1966 ki film Kunwari se.

---------------------------------
Song: pyaar ke palchhin (Kunwari)
---------------------------------

Source of Information: Listeners' Bulletin, Issue 73

THE END

#2203 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Apr 5, 2009 1:11 pm
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Mukul Roy
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 16: MUKUL ROY
---------------------

VBLC Sangeet Ke Sitaare mein aap sabhi ka ek baar phir haardik swaagat hai.
kamcharchit aur bhoole bisre fankaaron ko yaad karne ka yeh silsilaa jaari hai
aur ham lagaataar aise kalaakaaron ki yaadon ko taazaa karte huye is shrinkhalaa
mein aage baDhte chale jaa rahe hain. aaj bhi ham salaam karenge guzre zamaane
ke ek bahut hi kamcharchit sangeetkaar ko. yeh sangeetkar kamcharchit isliye
hain  kyunki inhone keval 4 filmon mein hi sangeet diya hai. lekin yeh bhi
haqeeqat hai ki keval 4 filmon ke sangeet ke dwaaraa hi woh aaj tak yaad keeye
jaate hain. doston, yeh sangeetkaar bhale kamcharchit rahe hon lekin inki baDi
bahan film jagat ki mahaan gaayikaa rahi hain. ab aap Khud hi andaazaa lagaaiye
ki ham aaj kis sangeetkaar ki baat kar rahe hain. chaliye, agar yaad naheen aa
raha hai to inkaa ek behad mashahoor geet sun leejiye, phir uske baad ham baat
ko aage baDhaate hain.

--------------------------------------------------------
Song: mujhko tum jo mile yeh jahaan mil gaya (Detective)
--------------------------------------------------------

bangaal ke sumadhur sangeet ki jhalak aur saath hi paashchaatya 'waltz' ke
'rhythm' liye film Detective ka yeh sumadhur yugal geet tha Geeta Dutt aur
Hemant Kumar ka gaaya huya. aur ab tak aap mein se bahut se shrotaaon ne
andaazaa lagaa liya hogaa ki is sadaabahaar yugal-geet ke sangeetkaar the Mukul
Roy. jee haan, hamaare aaj ke VBLC Sangeet Ke Sitaare hain sangeetkaar aur film
nirmaataa Mukul Roy, jo film jagat ki suprasiddha paarshwa-gaayikaa Geeta Dutt
ke baDe bhaai hain. aaj suniye inhi ke sangeet se saje filmon ke naGhmen aur in
filmon se juDee kuchh baaten.

---------------------------------------
Song: aa gayi aa gayi re raat (Sailaab)
---------------------------------------

Mukul Roy ka janm bangaal ke Faridpur zile mein ek zamnidaar gharaane mein huya
tha. yeh jagah ab Bangladesh ka hissa hai. 40 ke dashak ke aate aate us ilaake
mein saampradaayik tanaav baDh chale the. apne parivaar ki salaamati ko dhyaan
mein rakhte huye Mukul aur Geeta ke maataa pitaa apnaa saaraa gharbaar chhoDkar
poore parivaar ke saath Bambai chale aaye. yahaan aakar Dadar mein ek chhoTe se
do kamre-waale kiraaye ke ghar mein rehne lage. Faridpur mein apnaa saaraa
kaam-kaaj aur dhan sampatti chhoD aane ke baad Mukul aur Geeta ke pitaa ko ek
naye sire se apni aur apne parivaar ke zindagi ki shuruwaat karni thi.

----------------------------------
Song: bhagwaan tere zulm ki (Bhed)
----------------------------------

yeh tha S Balbir ka gaaya filmBhed ka geet. haan,t o ham baat kar rahe the Mukul
aur Geeta ke shuruwaati dino ki. ghar mein bhaai bahanon ko geet sangeet ka
shauk tha. lekin bahan ki qismat ka sitaaraa kuchh zyaadaa hi buland tha ki ek
roz jab Geeta riyaaz kar rahi theen, to neeche se sangeetkaar Pt Hanuman Prasad
guzar rahe the. unki aawaaz se woh itne mutaasir huye ki unhone Geeta ko apni
film mein gawaane ka mauka de diya. is tarah se Geeta Roy film jagat mein aa
gayeen aur aage chalkar ek kaamyaab paarshwagaayika bhi banee. yeh san 1946 ki
baat hai. lekin Mukul Roy ke qismat mein woh shohrat naheen likhee thi. iske 4
saal baad, yaani ki 1950 mein Mukul Roy ko bhi film jagat mein parvesh karne ka
mauka milaa jab Amba Chitra ke 'banner' tale ban rahi film Bhed mein unhe
sangeet dene ka mauka milaa. is film mein unhone apni bahan Geeta Roy se kai
gaane gawaaye, unmein se ek yahaan pesh hai.

-------------------------------------------
Song: dil bhi hanse main bhi hansoon (Bhed)
-------------------------------------------

kehte hain, "zindagi mein kuchh lamhe yaadgaar hote hain, yaadon mein kuchh log
Khaas hote hain, yun to woh door hote hain nazaron se, par unke ahsaas dil ke
kareeb hote hain". Mukul Roy ne apne sangeet se in geeton mein jo ahsaasaat
bhare hain, woh aaj itne saalon ke baad bhi hamaare dil ke behad kareeb hain.
aisa hi ek aur naGhmaa film Bhed kaa jise Geeta Roy ne gaayak Vinod Kumar ke
saath milkar gaaya tha, yahaan aapko sunwaa rahe hain.

---------------------------------------
Song: kaise keh doon ki koi mera (Bhed)
---------------------------------------

film Bhed bani thi san 1950 mein. uske teen saal baad, yaani ki 1953 mein Mukul
Roy ke sangeet se sajee doosri film aayi - Do Bahadur. Baghdad Pictures ke
'banner' tale bani yeh ek 'stunt film' thi jiske mukhya kalaakaar the John
Cavas, Gold Stain aur Shanta Patel. naa yeh film chalee aur na hi iska sangeet.
Do Bahadur film ke kisi geet ki jaankaari ham naheen juTaa paaye doston. Khair,
is film ke aur 3 saal baad Mukul Roy film nirmaaN ke kshetra mein apnaa naseeb
aazmaane ke liye apni gaayika bahan Geeta ke saath milkar ek film banaaee
Salaab. tab tak Geetaji ki shaadi Guru Dutt saahab se ho chukee thi. Guru Dutt
ne is film ka nirdeshan kiya aur is film mein mukhya bhoomikaayon mein the Abhi
Bhattacharya aur Geeta Bali. film mein sangeet Mukul Roy ka hi tha. yeh film
naheen chalee jiski wajah se Geeta Dutt ko bhaari nuksaan uThaanaa paDaa. film
chaahe kaisi bhi banee ho, lekin is film ka sangeet mashahoor ho gaya.

-----------------------------------------------
Song: hai yeh duniya kaun si (Sailaab - Hemant)
-----------------------------------------------

Majrooh Sultanpuri ka likha Sailaab film ka yeh gaana  behad maqbool huya tha un
dino. Hemant Kumar ki aawaaz mein aapne yeh geet sunaa. isi geet ko Geeta Dutt
ne bhi gaaya tha. leejiye Geeta-ji waalaa 'version' bhi sun leejiye.

----------------------------------------------
Song: hai yeh duniya kaun si (Sailaab - Geeta)
----------------------------------------------

film Sailaab mein Geeta Dutt ne kai ekal geet gaaye. inhi geeton ki jhalakiyaan
yahaan pesh hai...

-------------------------------------------------
Clip: yeh rut yeh raat jawaan (Sailaab)
Clip: tan pe rang sakhi (Sailaab)
Clip: jiyara baat naheen maane (Sailaab)
Clip: chaand ke aansoo shabnam bankar (Sailaab)
Clip: naheen deri karo mori baiyan dharo (Sailaab)
--------------------------------------------------

isi film mein Mukul Roy ne Lakshmi Roy se bhi ek geet gawaayaa tha, us geet ki
bhi ek chhoTi si jhalak yahaan sunte chaliye...

-------------------------
Clip: baaje dil (Sailaab)
-------------------------

is waqt aap ne 'tune' kiyaa hai VBLC Sangeet Ke Sitaare aur aaj ham aap ko is
kaaryakram mein sunwaa rahe hain sangeetkaar Mukul Roy ke sangeet safar ki
daastaan aur unke swarbaddha keeye film-e-naGhmen.

----------------------------------
Song: shamaa ka saathi kaun (Bhed)
----------------------------------

aur ab ham baat karenge Mukul Roy ki sabse charchit aur kaamyaab film Detective
ki. jee haan, Detective bani thi san 1958 mein. nirdeshak Shakti Samanta ne tab
tak Inspector, Hill Station aur Sheroo jaisi filmon ka nirdeshan kar chuke the.
1958 mein unhone Amiya Chitra ke 'banner' tale bani film Detective ka nirdeshan
kiya aur isi saal unhone apne niji 'banner' Shri Shakti Films ki bhi neev rakhi.
Detective mein Mukul Roy ko ek baar phir se mauka apne qismat ko aazmaane ka.
aur is baar qismat ne unkaa poora poora saath diyaa. Pradeep Kumar aur Mala
Sinha abhineet is film ke sabhi geet mashahoor huye. is film ka sabse mashahoor
yugal geet to ham kaaryakram ke pehle geet ke roop mein hi aapko sunwaa chuke
hain, leejiye isi film ka ek aur 'hit' geet suniye Geeta Dutt ki aawaaz mein.
film Detective ke geeton ko likha tha Shailendra ne.

------------------------------------------
Song: do chamakti aankhon mein (Detective)
------------------------------------------

"do chamakti aankhon mein kal Khwaab sunehra tha jitna, ae zindagi teri raahon
mein aaj andheraa hai utnaa". is get ka ek ek shabd jaise Mukul Roy ke liye hi
likhi gayi ho. film Detective ke geeton ne Mukul Roy ko pal bhar ke liye
mashahoor zaroor kar diya tha lekin aashcharya ki baat hai ki is film ke baad
unhone kisi aur film mein sangeet naheen diyaa. Khair, aapko yeh bataa den ki
Geeta Dutt ki aawaaz mein yeh jo geet abhi aap ne sunaa yeh Herry Belafonte ki
"jamaican farewell" geet se prerit tha. film 'Detective' ke bahut se geeton mein
Mukul Roy ne paashchaatya dhuno kaa sahaaraa liya aur kuchh mashahoor
paashchaatya geeton ko bhi aadhaar banaayaa. aisa hi ek aur geet is film mein
tha jiske antare aur 'interlude music' Jim Reeves ke 1950 ke mashahoor geet
"Bimbo" se 'inspired' tha. Mohd Rafi ki aawaaz mein woh geet tha yeh...

---------------------------------------------------------------
Song: chhoDiye gussa huzoor aisi naaraazgee bhi kya (Detective)
---------------------------------------------------------------

isi tarah se Mohd Rafi aur Geeta Dutt ka gaaya yeh yugal geet prerit tha Spanish
geet "Red Bull" se. iska Spanish maulik dhun un dino bhaarat mein bahut jaanaa
pehchaanaa sa tha kyunki yahi dhun Ameen Sayani ke mashahoor 'radio programme'
Geet Mala ka bhi 'signature tune' huya karta tha.

-----------------------------------------
Song: aaja kar len muqaabalaa (Detective)
-----------------------------------------

Detective Mukul Roy ke sangeet nirdeshan mein bani aaKhri film thi. Mukul apni
baDi bahan Geeta Dutt ke bahut kareeb the. jab Geeta Dutt apne zindagi ke dukhad
aur pareshaani bhare dino se guzar rahi theen, to Mukul Roy hi sadaa unhe
sahaaraa dete rahe. Guru Dutt aur uske baad Geeta-ji ki mrityu ke baad Mukul Roy
ne hi unke do beTon Tarun aur Arun ki dekhbhaal kee. doston, kai log yeh
samajhte hain ki sangeetkar Kanu Roy aur Mukul Roy Geeta Dutt ke do bhaai hain.
lekin sachchaai yeh hai ki Kanu Roy inse sambhandhit naheen hain. keval Mukul
Roy hi Geeta Dutt ke bhaai hain. Kanu Roy ki kahaani bhi aage chalkar is
shrinkhale mein shaamil karenge. bahar-haal suniye film detective ka ek aur
geet.

-----------------------------------------------
Song: raahi chal sambhal sambhal ke (Detective)
-----------------------------------------------

barson baad, 1980 mein Mukul Roy ne ek film 'produce' kee, Patita. lekin sangeet
ka bhaar unhone apne kandhe par naheen liyaa. yeh zimmaa unhone saunpaa Bappi
Lahiri par. I V Sasi is film ke nirdeshak the aur Mithun Chakraborty aur Shoma
Anand mukhya bhoomikaaon mein the. is film mein Lataji ne ek Khoobsoorat geet
gaaya tha, sunte hain wohi geet.

--------------------------------------------------------
Song: baiThe baiThe aaj aayi mere man mein (Patita,1980)
--------------------------------------------------------

Mukul Roy aajkal Maharshtra ke Nasik shahar mein rehte hain. apni baDi bahan se
unkaa pyaar itna gehraa hai ki jab lekhikaa Haimanti Banerjee Geeta Dutt par
likh rahi kitaab ke liye jaankaariyaan ikaTTha karne hetu unse sampark kee to
unhone na keval Khushi Khushi sahamati de dee balki Geeta Dutt par Haimanti
Banerjee ki shodh mein mahatwapoorNa yogdaan diyaa. to doston, yahaan aakar
Khatam hota hai aaj ke kaaryakram ka samay aur Mukul Roy ke sangeet safar ki
daastaan bhi. ummeed hai aapko is kaaryakram mein prasaarit gaane pasand aaye
honge. agle hafte tak ke liye ijaazat chaahoonga, namaskaar!

--------------------------------------------------------
Clip: mujhko tum jo mile yeh jahaan mil gaya (Detective)
--------------------------------------------------------

THE END

References:

www.geetadutt.com
www.earthmusic.net

#2202 From: Seshagiri Rao <kempadali@...>
Date:: Sun Apr 5, 2009 8:09 am
Subject:: Re: some rare gems with ur sunday morning coffee
kempadali
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Oh ! What a nice experiment.
I enjoyed the songs- especially the first song- Saajan ki galiyaan
Thank u very much indeed.
I would like to listen to the first ever song of Lathaji recorded for a hindi film. If anyone has it, pl forward

KG Seshagiri Rao
409, Govinda Nilaya
V Cross
NGEF Layout
NrupathungaNagara
Nagarabhavi P.O.
Bangalore-560072

Phone- + 91 80 2321 5014
Mobile- + 91 (0) 94484 65010

--- On Sun, 5/4/09, सजीव सारथी <sajeevsarathie@...> wrote:

From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Subject: [vividhbharati] some rare gems with ur sunday morning coffee
To: undisclosed123456@...
Date: Sunday, 5 April, 2009, 10:44 AM

frineds,
awaaz par ek nayi srokhla shuru kii hai. its basically to form a club of people who store rare music, lets hear some rare gem songs here with ur sunday morning coffee. hope u like this experiment -

http://podcast. hindyugm. com/2009/ 04/blog-post_ 05.html

--
सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@ gmail.com
www.hindyugm. com
09871123997

Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.

#2201 From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Date:: Sun Apr 5, 2009 5:14 am
Subject:: some rare gems with ur sunday morning coffee
sajeevsarathie
Offline Offline
Send Email Send Email
 
frineds,
awaaz par ek nayi srokhla shuru kii hai. its basically to form a club of people who store rare music, lets hear some rare gem songs here with ur sunday morning coffee. hope u like this experiment -

http://podcast.hindyugm.com/2009/04/blog-post_05.html

--
सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@...
www.hindyugm.com
09871123997

#2200 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Mar 31, 2009 12:15 pm
Subject:: Ameen Sayani's SKSKM - C Arjun
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL

AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON C ARJUN
-----------------------------------
***********************************

CA: C Arjun
AS: Ameen Sayani

Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein ab jo sangeet aap ke saamne aayegaa, uske
janamdaata the ek duble patle, sharmeele swabhaav ke, Khaamosh tabeeyat ke
'music director'. naam tha unkaa C Arjun.

-------------------------------------------------
Song: bemurawwat bewafaa begaana-e-dil (Susheela)
-------------------------------------------------

bahenon aur bhaaiyon, kuchh log aise hote hain jo Khaamosh tabeeyat ke hote
hain, saadaa sa jeevan beetaate hain aur chup chaap chale jaate hain apne
dukhon, apne Ghamon ko apne dil mein is tarah sameTe ki sheeshaa TooTe ?????
mach jaaye, dil TooTe aawaaz na aaye! C Arjun bhi kuchh isi tarah ke bhole
bhaale seedhe saade insaan the. apni dhun mein magan, na dikhaawaa naa shor
sharaabaa, na 'publicity' na dhoom dhaDaakaa. kaam jab bhi kiya bahut hi achchha
kiya, magar kuchh kam kiya. aur aaKhirkaar 30 April 1992 ko C Arjun yeh jahaan
chhoD gaye. aaj se kuchh baras pehle, yaani April 1982 mein C Arjun ka ek
'interview' maine 'record' kiya tha, aaiye bahenon aur bhaaiyon, aaj wahi
'interview' main aapko sunwaayun, jo shuru huya tha unki pehli film Road No.303
ke pehle geet se.

------------------------------------------------
Song: aankhon ne aankhon se milkar (Road No.303)
------------------------------------------------

jee haan, pehli pehli baar isi geet se film sangeet nirdeshan se mulaaqaat huyi
sangeetkaar C Arjun ki. jee haan bahenon aur bhaaiyon, yahi hain C Arjun saahab
jinke saath aaj hamaari aur aapki mulaaqaat honewaali hai.

CA: namaste bahenon aur bhaaiyon, kaise hain aap?

AS: unke taraf se main jawaab detaa hoon, woh bahut achchhe hain (laughs), aur
aapki baaten sunne ke liye aur aapke gaano ki jhalakiyaan sunne ke liye bahut
beqaraar ho rahe hain. Arjun bhaai, aaj ka 'programme' kuchh yun karenge ki
aapki chunee huyi tarzen main nikaal laaya hoon, 'record' nikaal laaya hoon, aur
unki jhalaken chhoTi chhoTi si ham bajaate jaayenge  aur un jhalakon ke baare
mein main aap se poochhtaa jaayunga ki unke baare mein kuchh bataaiye.

CA: jee haan jee haan

AS: dekhiye hamne abhi antaraa bajaaya aur antare ke baad mukhDaa bajaayaa is
geet ka 'Road No.303' kaa, jo aapki pehli film thi. to chaliye shuru mein isi ke
baare mein kuchh bataaiye.

CA: Ameen bhaai, jab yeh meri pehli film 'announce' huyi, to kitne
'distributors' the jinko mere naam par aetraaz tha.

AS: achchha!

CA: kyunki main naya naya aaya tha, kehne lage ki 'Mehmood hain is 'picture'
mein 'hero', Shobha Khote bhi hain, magar yeh 'music director' C Arjun kaun
hai?' to unhe mere naam pe bahut aetraaz tha, bechaaraa 'producer', uski bhi
pehli pehli film, woh bhi ghabraa gaya ki abhi 'picture' shuru bhi naheen huyi,
itne mein yeh 'distributors' mere ko kya bol rahe hain. to woh log kehne lage ki
''music director' koi baDaa lo, yeh C Arjun naheen chalegaa'

AS: arey!

CA: to mera 'producer', woh bhi bahut hoshiyaar tha, woh kehne lagaa ki 'dekho
bhai, yeh C Arjun jo hai yeh C Ramchandra ka chhoTaa bhaai hai'

AS: C Ramchandra ka chhoTaa bhaai?

CA: jee haan, tabhi jaake unko kuchh tasalli huyi ki yeh 'music' achchha de
sakegaa (AS laughs)

AS: aur waaqai is C Ramchandra ke chhoTe bhaai ne achchha 'music' diyaa, waaqai
yeh kaafi lambaa 'record' hai aapka, itni saari filmen aur har film mein achchhe
gaane, aur aise gaane jo meraa Khayaal hai barson tak zindaa rahenge. (CA
laughs). achchha, ab aglaa gaana pesh karoon main jo mujhe bahut achchha lagtaa
hai aapka?

CA: magar Ameen bhaai, mere ko bhi to kuchh bolne deejiye

AS: achchha achchha, Theek hai, boliye boliye

CA: dekhiye Ameen bhaai, aapne mera gaana bajaaya, Road No.303 ka, yeh to
puraanaa gaana hai, magar aajkal log mujhe is gaane se zyaadaa jaante hain...

--------------------------------------------------
Song: main to aarti utaaroon re (Jai Santoshi Maa)
--------------------------------------------------

AS: waah waah, kyaa chalaa tha yeh gaanaa C Arjun saahab, aur mera Khayaal hai
1975 ka gaana tha. magar jab aap ne yeh gaanaa banaayaa tha tab kya aapko pataa
lag gaya tha ki yeh itna zabardast 'hit' hogaa?

CA: naheen Ameen bhaai, ham kuchh sochte hi naheen the, ismein kuchh 13 yaa 14
'musicians' baiThe the keval, aur aisa lag raha tha ki jaise kisi yateem
'producer' ki 'recording' ho rahi hai. to koi dost, yaar dost aaye bhi naheen,
bole ki 'maaloom naheen yeh kya gaana ho raha hai'. to hamne bhi aise karte
rahe. mazaa to tab huya jab iske gaane baahar aaye. pehle to iske 'records' bike
hi naheen. to Bandra mein ek 'dealer' hai...

AS: 'dealer' yaani 'record' bechnewaalaa 'dealer'?

CA: jee haan jee haan. to uske paas aksar main jaaya karta tha yeh poochhne ke
liye ki aajkal kaun si film ka gaana aaya huya hai, kaun sa chal raha hai, kaun
sa naheen chal raha hai. to ek din main uske paas gaya aur bolaa 'meri ek film
aayi hai Jai Santoshi Maa, iske naye naye 'records' aaye hain, kam se kam ek
'record' mangwaakar apne paas rakh de. woh bole ki 'dekho bhai, aisi filmon ke
'records' hamaare yahaan se naheen chalte, hamaare yahaan to kya kahin chalte hi
naheen hain, isliye yeh jo tu apne man ko behlaa raha hai, balki yeh chalnewaala
kuchh hai naheen'. to maine kahaa ki 'dekh, tu mera dost hai na, ek 'record' tu
mangwaa, agar woh naheen bikegaa to main tere ko teraa paisa dekar le jaayunga'.
to bechaaraa usne meri baat maan lee. to ek EP Record usne mangaakar apne paas
rakh diya. to mujhe baDi Khushi huyi, main roz usko poochhoon, Khaas Bandra mein
utroon, usko poochhne ke liye ki yeh 'record' bikaa ke naheen. to bechaaraa bole
ki 'dekho, ghaDi ghaDi mujhe poochho mat, jab bikegaa main tere ko keh doonga,
filhaal naheen bik raha hai, ghaDi ghaDi yahaan aake mujhe pareshaan mat kar'.
phir 15-20 din huye, 1 maheena huya, phir main ek din gaya uske paas, ke 'bhai,
woh 'record' bikaa?' to bolaa ki 'dekho, abhi tak naheen bikaa, waisa naya ka
naya mere paas paDaa hai'. to maine usko kahaa ki 'ek baat tune Galat kee, is
'record' ko baahar 'showcase' mein to rakho, log dekhen to sahee'. to kehne
lagaa ki 'achchha, karta hoon, bas? kal aayegaa to dekhegaa ki yeh 'showcase'
mein lagaa huya hai'. to doosre din gaya to dekhaa ki 'showcase' mein usko baDi
'prominent' jagah dee hai, ab iske baad main wahaan jaayun hi naheen kyunki ab
to woh baahar paDaa hai...

AS: aur baahar paDaa hai yaani ki bikaa hi naheen

CA: jab bhi wahaan se guzroon aur dekhoon ki woh waheen paDaa hai to mera chehra
utar jaata tha, main sochoon ki kya main itna 'bogous music director' hoon ki
mera ek 'record' naheen bik raha hai. to main chalaa jaayun. isko 15-20 din ho
gaye, 15-20 din to naheen, main samajhtaa hoon 1-1.5 maheenaa ho gaya. to ek din
maine dekhaa ki woh 'record' wahaan tha hi naheen. to aage 'signal' aaya to main
'bus' se utar gaya, aur gaya main usko poochhne ke liye ki 'record' bikaa? to
bolaa 'kya bikaa yaar, tu phir aa gaya?' maine bolaa 'baahar to woh 'record' hai
hi naheen'. to bolaa ki 'dekh, tune jab yeh 'record' mangwaayaa tha to iska
baahar ka 'colour' kya tha?' maine kahaa 'laal'. 'aur ab kya hai?' maine kahaa
'peelaa'. to bolaa 'dekh, iska 'colour' laal se peelaa ho gaya hai, aur ab tak
yeh 'record' bikaa naheen, ab aage se mere ko yeh mat poochhna tum'. to main
wahaan se niklaa, mujhe yaad hai Bandra se Santacruz main paidal chalaa gaya.

AS: are re re, aur uske baad to Jai Santoshi Maa 'release' huyi aur uske baad to
kya chale yeh gaane ki bas poochhiye hi mat!

CA: Ameen bhaai, main aapko bataayun to yeh akkha 'music' maine koi 35 yaa 40
hazaar tak mein 'complete' kar diya tha

AS: yaani 35-40 hazaar rupay mein aapka 'music direction', 'lyrics writer',
gaayak...

CA: 'musicians', sab milaake

AS: sab milaake?

CA: jee haan jee haan, hamein kyaa pataa tha ki is film ke gaano ke liye
'producer' ko 10 se 12 laakh rupay ki 'royalty' milegi

AS: 10 se 12 laakh rupay 'royalty'?

CA: jee haan jee haan

AS: achchha Arjun bhaai, us 10-12 laakh rupay mein se aapko kitna milaa?

CA: kuchh bhi naheen

AS: arey!

CA: ek 'token' ki tarah ek 'refrigerator' usne mujhe 'present' kiya, jo aaj bhi
maujood hai aur uski yaaddaasht hai.

AS: ismein yeh bhi hai ki jab aap garam ho jaate honge to iskaa ThanDaa paani
pee lete honge (CA laughs)

AS: achchha C Arjun saahab, Arjun bhaai mujhe kehna chaahiye, baDi puraani dosti
hai aap se (CA laughs), ab jo gaana main pesh karoonga woh aapke tamaam gaano
mein mujhe sabse zyaada pasand hai, balki yeh mere baDe 'favourite' gaano mein
se ek hai, film hai Main Aur Mera Bhai, aur gaana hai...

----------------------------------------------
Song: main abhi Gair hoon (Main Aur Mera Bhai)
----------------------------------------------

AS: bahenon aur bhaaiyon, is geet ke shaayar Jan Nisar Akhtar ki taareef karte
huye apne 'career' ki ek Khaas baat C Arjun saahab ne us puraani 'interview'
mein bataayi thi:

CA: Ameen bhai, Jan Nisar Akhtar ne ek baDaa hi achchha kaam kiya apni 'life'
mein.

AS: kaun sa?

CA: pehle meri aadat thi 'tune' pe bol likhwaane ki jo unhone badalwaa Daalee.
woh hameshaa yahi kehte the ki shaayar ko poori aazaadi do, to woh khulkar jo
bhi chaahe woh likhe aur tum uske upar 'tune' banaao, to woh jo gaana hai woh
'life' bhar chalta rahegaa. aur Ameen bhai, huya bhi aisa, meri ek film thi Main
Aur Mera Bhai, usmein ek gaana tha "main abhi Gair hoon mujhko abhi apnaa na
kaho", aur mujhe aakar kahaa ki 'iska 'tune' banaao'. maine kahaa ki 'naheen,
main 'tune' naheen banaayunga, maine ek 'tune' banaaya hai, pehle aap iske upar
kuchh bol likhiye'. yeh bole 'naheen' aur zabardasti mere se 'tune' banwaayi.
magar ittefaaq se woh gaana chal paDaa.

AS: bahut Khoob! aisi aur bhi dhune theen jo aap ne unke geeton par banaaee?

CA: jee haan, phir meri ek film thi Susheela, phir unhone "bemurawwat bewafaa
begaana-e-dil aap hain" yeh unhone diya,"nazaaron mein kho gaya hoon main"

AS: waah waah

CA: aise aise gaane the jo unhone pehle likhe

AS: achchha, Jan Nisar Akhtar ka likha ek aur gaana mujhe yaad hai jiski dhun
aapne banaaee thi

CA: kaun sa gaana?

AS: Susheela ka gaana jo Rafi saahab ne Talat saahab ke saath gaaya tha. aise
bahut kam gaane hain jo in dono ne saath milkar gaaye hain.

CA: sachchi baat hai Ameen bhai. un dono ka ek gaana chal raha tha Sahir saahab
ka "woh subah kabhi to aayegi".  mujhe bahut achchha laga woh gaana. main Akhtar
saahab ko hameshaa bolaa karta tha ki Sahir saahab ne aisa kyun likha hai ki
"woh subah kabhi to aayegi"? yeh zaraa 'suspense'waali baat ho gayi. honaa
chaahiye "subah zaroor aayegi". Akhtar saahab ko yeh baat janch gayi aur bole ki
'kal mere ghar pe aa jaana, apan ek gaana banaayenge', to main unke ghar gaya,
unhone mujhe yeh diya mukhDaa "Gham ki andheri raat mein dil ko na beqaraar kar,
subah zaroor aayegi subah ka intezaar kar"

------------------------------------------
Song: Gham ki andheri raat mein (Susheela)
------------------------------------------

AS: achchha Arjun bhaai, Jan Nisar Akhtar ke alaawaa bhi shaayar hain jinse aap
ne gaane likhwaaye hain. kuchh aur shaayaron ka zikr ho jaaye?

CA: jee haan, Indeevar ke saath maine kaam kiya tha Punarmilan mein. to uska ek
gaana tha "paas baiTho tabeeyat bahal jaayegi"

AS: arey waah waah waah

CA: un dino ka zikr hai ki jab woh Andheri mein raha karte the. to main gaya
unke paas, kahaa ki 'Indeevar-ji, ek 'situation' hai, kuchh kehdo'. bola
'Thehro, karte hain, abhi chalo pehle'. apan 'bus' mein baiThe, to Andheri se
nikle, inko jagah baiThne ki to mil gayi, mujhe naheen milee, main khaDaa hi reh
gaya. Indeevar-ji mere saamne, mere baaju mein ek laDkee khaDee thi, Indeevar-ji
usey ghaDi ghaDi dekh raha tha aur kuchh soch raha tha, maine dekhaa ki woh
kuchh soch raha hai, to itne mein uske paas baaju mein jo aadmi baiThaa tha woh
uThaa aur main baiTh gaya. bolaa 'dekhaa, tumne kaam Kharaab kar diya mera'.
maine bolaa 'kyun, kya huya?' kehne lagaa 'gaana main keh raha hoon aur tu baiTh
gaya mere saath mein!' maine kahaa 'kya huya, maine kaun sa gunaah kar diya'.
bolaa 'dekho, maine kya likha hai'. maine kahaa 'kya likha hai'?. bolaa "paas
baiTho tabeeyat bahal jaayegi", ab yeh poora kaise hogaa jab tak tu yahaan
baiTha huya hai, tu uTh yahaan se'. (AS laughs). maine kahaa 'achchha
Indeevar-ji, main uThtaa hoon kyunki Garaz meri hai, gaana mujhe likhwaane ka
hai', to main uTh gaya wahaan se.

AS: achchha achchha, to gana aisa hai ki paas uThkar khaDe ho jaayo to tabeeyat
bahal jaayegi (CA laughs), aur woh laDkee jab baiTh gayi paas mein to...

CA: to unhone gaana 'complete' kiya

-----------------------------------------------------
Song: paas baiTho tabeeyat bahal jaayegi (Punarmilan)
-----------------------------------------------------

AS: aur aap bhi dekhiye ki hamaare paas aakar baiTh gaye hain C Arjun saahab aur
hamaari tabeeyat bahal bhi rahi hai, gaane bhi sun rahe hain ham, jhoom bhi rahe
hain ham.

CA: lekin Ameen bhai, mere kuchh aur gaane bhi to suniye

AS: bataaiye kaun sa sunwaaenge aap

CA: pehle to suniye film Rakshabandhan ka, "poonam ki pyaari pyaari raat"

AS: achchha

CA: bilkul Gujarati 'style' mein hai yeh, Gujarati garbaa

--------------------------------------------------
Song: poonam ki pyaari pyaari raat (Rakshabandhan)
--------------------------------------------------

CA: is gaane ka kya asar huya Ameen bhai aapko maaloom hai?

AS: naheen, kya huya?

CA: is gaane ke baad main seedhe Gujarati filmon mein aa gaya. 'producers' kehne
lage ki 'tu abhi Gujarati mein bhi 'music' de sakta hai'

AS: achchha garbaa jo diya tha aapne!

CA: iske baad main Gujarati 'industry' mein aa gaya aur Gujarati filmen bhi
maine bahut kar dee. Ameen bhaai, Gujarati filmon mein aane ke baad bhi mere
saath wohi huya jo hameshaa hotaa aaya hai

AS: achchha, kya huya?

CA: wohi, Gujaarti filmon mein 'music' dene ki wajah se log kehne lage ki
'Arjun, tu abhi Gujarati filmon mein 'music' dene lagaa hai', iske pehle Jai
santoshi Maa mein 'music' diya to log kehne lage ki 'Arjun to abhi bhajan hi
banaataa hai', 'mythological music' detaa hai, abhi main karoon kya mujhe samajh
mein naheen aa raha hai.

AS: Arjun bhaai, waaqai hamaari filmi 'industry' mein yeh baat hai zaroor.

CA: isliye Ameen bhaai, Santoshi Maa ke baad mere paas jo 'mythological' filmen
aayeen maine ek bhi naheen kee

AS: arey!!

CA: kabhi kabhi sochtaa hoon ki kar lenaa chaahiye tha mere ko, par maine kee
naheen.

AS: aur Arjun bhaai, waise dekhaa jaaye to yeh shaayad ek achchhe 'artiste' ki
pehchaan bhi hai ki woh bandhanon mein jakaDnaa pasand naheen karta, woh apni
kalaa ko, apne fan ko khulaa chhoD detaa hai taaki woh har rang mein Dhal sake.

CA: to Ameen bhaai, is baat pe mera yeh rang bhi dekh leejiye

AS: kaun sa?

CA: ismein aapko do log aise milenge jo ab is duniya mein naheen rahe

AS: kaun Arjun saahab?

CA: ek to Mohd Rafi saahab, aur doosre Sahir Ludhianvi saahab. yeh get hai film
Nawab Sahab ka.

----------------------------------------------------------
Song: ham mein hai kya ke hamein koi haseena (Nawab Sahab)
----------------------------------------------------------

arey naheen saahab, C Arjun to apni suron se sajaakar hamein woh pyaare pyaare
geet de gaye hain ki haseena to kya unke chaahnewaale bhi unko chaahenge. aur
aaKhir mein yeh bhi jaan leejiye bahenon aur bhaaiyon ki C Arjun insaan bhi
bahut madhur the, jee haan, main kaafi achchhi tarah jaanta tha unhe, Radio
Ceylon ke zamaane mein woh Mumbai mein hamaare 'studio' mein aksar aaya jaaya
karte the, apni Khaas Sindhi 'style' mein baDi meeThee meeThee baaten bhi kiya
karte the, aur meeThee meeThee muskuraahaTen bhi baanTaa karte the. afsos ki
baat hai ki shohrat aur daulat unse aankhen churaati raheen, aur zindagi ne bhi
bahut jaldi unse munh pher liya, warna baDi Khoobiyaan theen marnewaale mein,
baDaa hi sureelaa tha unka tasavvur!

------------------------------------------------
Song: shaam rangeen huyi hai (Kanoon Aur Mujrim)
------------------------------------------------

to bas isi moD par aakar Khatam hoti hai aaj ki Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil.
ab aapka saathi Ameen Sayani shuru karta hai ikaTThaa karna agli mehfil ka
saaz-o-saamaan, aur aap shuru keejiye agle 'programme' ka intezaar!

THE END

#2199 From: santosh kumar <surhall123@...>
Date:: Sun Mar 29, 2009 2:06 pm
Subject:: Re: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Madhubla Zaveri
surhall123
Offline Offline
Send Email Send Email
 
hi
   pleas soon get all vblc radio show on cd ? here abot 5 cd set made in pak,
thanks you u/l in words

--- On Sun, 3/29/09, soojoi_india <soojoi_india@...> wrote:
From: soojoi_india <soojoi_india@...>
Subject: [vividhbharati] VBLC Sangeet Ke Sitaare - Madhubla Zaveri
To: vividhbharati@...
Received: Sunday, March 29, 2009, 6:16 PM

VBLC SANGEET KE SITAARE
------------ --------- --

EPISODE 15: MADHUBALA ZAVERI
------------ --------- -------

namaskaar! VBLC Sangeet Ke Sitaare ki ek aur kaDee ke saath ham haazir hain. is shringkhalaa mein ham lagaataar aapko sunwaa rahe hain guzre zamaane ke bhoole bisre yaa phir zaraa se kamcharchit fankaaron ke sureele taraane. phir chaahe woh sangeetkaar ho yaa geetkaar, gaayak yaa phir koi gaayikaa. aaj is kaaryakram mein goonjnewaali hai ek bahut hi madhur gaayika ki aawaaz. waqt ke saath saath is gaayikaa ki yaaden zaraa dhundlee si ho gayi hai aur aaj shaayad aam zindagi mein ham roz inhe yaad naheen karte, lekin kisi zamaane mein inke gaaye geeton se sangeet rasik kaafi mutaasir huya karte the. zaraa suniye is geet ko aur andaazaa lagaaiye ki kaun hai woh gaayikaa jinki aawaaz bani hai aaj ke VBLC Sangeet Ke Sitaare ki shaan!

------------ --------- --------- --------- --------
Song: aawaaz de raha hai dil-e-beqaraar (Jaggu)
------------ --------- --------- --------- --------

kahiye, is madhur aawaaz ne aapke dil ko bhi beqaraar kar diya hai na! dil jaise is geet ki dhaaraa ke saath kahin beh saa gaya thaa. hai na! yeh geet tha film Jaggu ka, geetkaar the Asad Bhopali, aur sangeetkaar the Hansraj Behl. lekin kyaa aapko yaad aaya ki yeh aawaaz kiski thi? film sangeet ke sunehre daur ki is kamcharchit gaayika ka naam hai Madhubala Zaveri.

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: achchha unhe dekha tha beemaar huyi aankhen (Shah Behram)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

aankhen to naheen lekin dil zaroor beemaar ho jaata hai aisi anooThi aawaaz kaa. yeh woh aawaaz hai doston jiski goonj ek lambe arse se hamne aur aapne shaayad naheen sunaa hogaa lekin hamein poori ummeed hai ki aaj is kaaryakram ke zariye in bhoole bisre geeton ko sunkar Madhubala Zaveri ki aawaaz aapke dil ki vaadiyon mein ek baar phir se machal uThenge, pratidhwanit hone lagenge. Madhubala Zaveri kaa gaaya yeh tha film Shah Behram ka naGhmaa. geetkaar aur sangeetkaar ek baar phir Asad Bhopali aur Hansraj Behl. Madhubala Zaveri ka janm san 1932 ke ke kareeb huya tha. "kareeb" ham isliye keh rahe hain doston kyunki unki janamtithi ham maaloom naheen kar paaye, lekin 30 July 2006 ko Mumbai ke Charni Road Hall mein Madhubalaji ke sammaan mein ek kaaryakram ka aayojan kiya gaya tha jismein unki 74 varsh ki aayu hone ki baat kahi gayi thi. isi se ham yeh andaazaa laga rahe hain ki unka janm 1932-33 ke aaspaas huya hogaa!

------------ --------- --------- --------- ---
Song: dekho chanda se khele sitaare (Dost)
------------ --------- --------- --------- ---

Varma Malik ka likhaa aur Hansraj Behl ka sangeetbaddha kiya yeh tha film Dost ka naGmaa. film sangeet ke sunehre daur mein bas do gaayikaa bahenon ka naam shirsh par thaa, jee haan, Lataji aur Ashaji. inki aawaazon mein kuchh aisi chamak, kuchh aisi rangat thi ki har sangeetkaar, har geetkaar, har nirmaataa, har nirdeshak, har abhinetri yahi chaahte the ki inki aawaazen unke geeton ko mil jaaye. ismein koi shaq naheen ki Lataji aur Ashaji ke gaaye yeh tamaam gaane aaj film sangeet ka anmol dharohar hai, lekin un dino in do gaayikaaon ke rehte kisi doosri nayi gaayikaa kaa is kshetra mein kadam rakhnaa aur apnaa lohaa manwaanaa aasaan kaam naheen tha. Shamshad Begum aur Geeta Dutt ka bhale hi alag mukaam thaa, lekin nayi ubharti gaayikaaon ke liye jagah banaanaa bahut mushkil kaam tha. phir bhi kai gaayikaaen ubhreen aur unmein bhi kuchh na kuchh Khaas baat thi, woh bhi pratibhaashaali the, lekin jaisa ki hamne kahaa, Lataji aur Ashaji us oonchaaee par the ki inke aawaaz ke aage Tik paanaa mushkil thaa. in kamcharchit gaayikaaon mein Suman Kalyanpur, Kamal Barot, Meena Kapoor, Sudha Malhotra, Sharada, aur Minu Purushottam ke saath saath ek naam Madhubala Zaveri ka bhi tha.

------------ --------- --------- --------- --------- ----
Song: hai zindagi ko teraa intezaar (Maano Na Maano)
------------ --------- --------- --------- --------- ----

zindagi ki naav ko aage baDhaane ke liye saanson ke patwaar ki zaroorat paDti hai, kali ko phool bankar khilne ke liye sooraj ke roshni ki zaroorat paDti hai. deeye mein chaahe kitnaa bhi tel kyun na ho, agar uski lau ko samay samay par upar ki taraf baDhaayaa na jaaye to deeyaa bujh jaataa hai. hamaare kehne kaa taatparya yeh hai ki kisi nayi pratibhaa ko pehchaankar use maukaa denewaale sangeetkaar kaa uski safaltaa ke peechhe bahut baDaa haath hotaa hai. aur Madhubala Zaveri ke liye yeh haath tha sangeetkaar Hansraj Behl kaa. ab tak is kaaryakram mein bajnewaale geeton ko sunkar aapko is baat ka andaazaa to zaroor ho gaya hogaa ki Madhubala Zaveri ne zyaadaatar gaane Behl saahab ke liye hi gaaye. leejiye in dono ki joDee ka ek aur Khoobsoorat sangam, film Hanuman Janm se.

------------ --------- --------- --------- --------- --
Song: kaahe ulajh gaye nainawa more (Hanuman Janm)
------------ --------- --------- --------- --------- --

Vividh Bharati ke ek kaaryakram mein sangeetkaar Hansraj Behl ne ek baar 1981 mein shirkat kee thi, jismein unhone yeh kahaa tha ki unhone hi pehli baar Madhubala Zaveri ko apni film mein gawaayaa tha. to yahaan par kyun na usi 'interview' ka woh hisaa sunte chalen! Hansraj Behl se baat kar rahi hain Anuradha Joshi:

************ ********* *****
AJ: aur aapne apne sangeetkaar hone ke naate aap ne kai kalaakaaron ko mauka diya hoga, unke baare mein aap kuchh bataayenge, un kalaakaaron ke baare mein?

HB: dekhie, yeh to, jab ham kaam karte hain to bahut 'artistes' aaye hamaare paas, hamne bhi koshish yahi kee hai ki jo achchhe kalaakaar hain unko aage aane hi chaahiye, jaise jaise 'chance' milta raha ham koshish karte rahe. unko gawaaye bhi hai.

AJ: Madhubala Zaveri ko aapne sabse pehle gawaaya tha.

HB: jee haan, Apni Izzat, Jaggu, Moti Mahal jaisi filmon mein maine unko gawaaya tha.
************ ********* *****

to doston, yahaan par pesh hai film Jaggu ka ek baDaa hi pyaaraa saa gaana Madhubala Zaveri ki aawaaz mein, geetkaar Asad Bhopali.

------------ --------- --------- --------- --------- -
Song: main ghata tu gagan mere mahi balam (Jaggu)
------------ --------- --------- --------- --------- -

doston, Apni Izzat film aayi thi san 1952 mein jismein Hansraj Behl ne Madhubala Zaveri ko gawaaya tha. lekin hamne jab thoDi si khoj-been kee to pataa chalaa ki 1951 ki film Rajput mein bhi Hansraj Behl ne Madhubala Zaveri se gaane gawaaye the. ho sakta hai ki Apni Izzat ka gaana pehle 'record' huya ho, aur Rajput ka gaana pehle 'release' huya ho. Khair, jo bhi hai, yahaan par pesh hai film Rajput ka wohi geet jise Madhubalaji ne Manna Dey ke saath milkar gaaya tha. yeh ek baDaa hi joshilaa jang kaa gaana hai. suniye Bharat Vyas ke bol is geet mein. aapko yeh bhi bataa den ki Lekhraj Bhakri nirdeshit is film mein Bharat Vyas ke alaawaa bhi kai doosre geetkaaron ne geet likhe the jaise ki Anjum Jaipuri, Asad Bhopali, Indeevar, Kaif Irfani, Moti B.A., Rajendra Krishan aur Varma Malik. is film mein Suraiyya ka gaaya "yeh kiski yaad aa gayi, bahaar banke chhaa gayi" lokapriya huya tha. baharhaal aaiye sunte hain Madhubala Zaveri aur Manna-da ki aawaaz.

------------ --------- --------- --------- --------- --
Song: jaayo jaayo aa gaya bulaawa jang ka (Rajput)
------------ --------- --------- --------- --------- --

doston, hamein poori ummeed hai ki Madhubala Zaveri ke gaaye huye in sureele geeton ko sunte huye aap pahunch gaye honge film sangeet ke us sunehre daur mein. aur agar aap us zamaane se hi taaluKh rakhte hain to phir kehnaa hi kyaa. Madhubalaji ke gaaye naGhmon ke zariye ham ek baar phir se guzar rahe hain yaadon ki unhi sureelee galiyaaron se. aaiye ab baat karte hain kuchh aise laajawaab yugal geeton ki jinhe Madhubala Zaveri ne Talat Mahmood ke saath milkar gaaya tha. aur yahaan bhi zyaadaa shrey jaata hai Hansraj Behl ko hi. Behl saahab ne ek naheen do naheen, balki kai kai baar in dono ko apni filmon mein yugal geet gaane ka mauka diya hai. film Apni Izzat ka yeh gaana to bahut bahut mashahoor huyaa tha, geetkaar Pandit Phani. yeh geet sudhi shrotaaon ke dilon mein ek behad sammaanjanak sthaan rakhti hai. jab in dono aawaazon ko is naazuk-o-tareen geet mein sunte hain to dil maano kahin kho sa jaata hai. aur Madhubalaji ki anooThi aawaaz ne to is geet ko ek alag hi rang de diya hai.

------------ --------- --------- --------- -
Song: dil mera tera deewana (Apni Izzat)
------------ --------- --------- --------- -

1951 mein Rajput, 1954 mein Dost aur 1956 mein Naqabposh jaisi filmon mein Hansraj Behl ke sangeet nirdeshan mein Talat Mahmood aur Madhubala Zaveri ne gaane gaaye. chand jhalakiyaan pesh-e-Khidmat hai...

------------ --------- --------- --------- ----
Clip: haafiz Khudaa tumhaara bhool na jaana (Rajput)
Clip: kehne ko bahut kuchh kehna tha (Dost)
Clip: jab se maine dil lagaaya (Naqabposh)
Clip: pyar ki rut dorangi saajan (Apni Izzat)
------------ --------- --------- --------- ---

doston, har sangeetkaar ki apni pasand hoti hai, unki andaaz ke geeton ko, unki 'style' ke geeton ko gaane ke liye unke dimaaG mein gaayak gaayikaa kaa naam hotaa hai. unhe pataa hotaa hai ki kis geet ko kisse gawaanaa chaahiye. yun to Hansraj Behl ne Lata Mangeshkar aur Asha Bhosle se bahut saare gaane gawaaye, lekin jab baat Madhubala Zaveri ki aati hai to inke gaaye gaane Behl saahab ke sangeet mein hi zyaadaa sunne ko milti hai. lekin iskaa arth yeh bilkul naheen hai ki Madhubalaji ne keval inhi ke liye geet gaaye hain. ab is kaaryakram mein ham kuchh aise sangeetkaaron ka zikr karenge jinke nirdeshan mein Madhubala Zaveri ne gaane gaaye hain. sabse pehle sangeetkaar Jamal Sen. film Devta se mashoor huye is kamcharchit sangeetkaar par hamne ek poora kaaryakram pesh kiya tha doston, yaad hai na! Jamal Sen ne Madhubala Zaveri se gawaaya tha Dharmpatni film ka yeh geet, geetkaar Bharat Vyas...

------------ --------- --------- --------- ------
Clip: jiya lahar lahar lehraaye (Dharampatni)
------------ --------- --------- --------- ------

sangeetkaar Iqbal Qureshi, film Anokha Jungle...

------------ --------- --------- --------- ----
Clip: aankhen Khumaar bhari (Anokha Jungle)
------------ --------- --------- --------- ----

Vinod ke sangeet nirdeshan mein film Ramman ka geet...

------------ --------- --------- ------
Clip: beqaraar kar gaya hai (Ramman)
------------ --------- --------- ------

Nilkanth Tiwari ka likha aur Avinash Vyas ka swarbadfha kiya film Rajrani Damayanti ka yeh gaana...

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Clip: chamak rahe taare aadhe tumhaare (Rajrani Damayanti)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

Ram Ganguly ka swarbaddha kiya S H Bihari ka likha film Sangam ka yeh gaana...

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Clip: chhup chhup ke kaun mere nainon mein aane laga (Sangam)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

1958 ki film Gauri Shankar mein sangeetkaar Shivram Krishna ki yeh sangeet rachanaa...

------------ --------- --------- --------- ---
Clip: Dam Dam Damroo baaje (Gauri Shankar)
------------ --------- --------- --------- ---

Bipin Babul, Kaifi Azmi, film Sultana Daku...

------------ --------- --------- --------- -------
Clip: dilwaale teri mehfil mein (Sultana Daku)
------------ --------- --------- --------- -------

Krishna Sudama film mein Husnlal Bhagatram ka sangeet...

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Clip: gurkul ka jeevan bhi apna kitna pyaara (Krishna Sudama)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

sangeetkaar Bulo C Rani ke nirdeshan mein Indeevar ka likha gaana film Jeevan Sathi se...

------------ --------- --------- --------- ---
Clip: ho ke baDaa mera laal (Jeevan Sathi)
------------ --------- --------- --------- ---

A R Qureshi ka sangeet, Majrooh ke bol, film Khandaan...

------------ --------- --------- --------- --------
Clip: jhanak jhanak baaje re bichhua (Khandaan)
------------ --------- --------- --------- --------

gaayak Shankar Dasgupta ne chand filmon mein sangeet bhi diya tha jinmein se ek tha Sheeshe Ki Deewar. is film mein unhone Madhubala Zaveri se yeh geet gawaaya tha...

------------ --------- --------- --------- --------- ----
Clip: khaamoshi ki jubaan se ham (Sheeshe Ki Deewar)
------------ --------- --------- --------- --------- ----

in jhalakiyon ko sunte huye aap ne yeh mehsoos kiya hogaa ki Madhubala Zaveri ne zyaadaatar kamcharchit sangeetkaaron aur kam 'budget' ki filmon mein gaane gaaye hain. baDi 'budget' ki filmon mein unhe zyaadaa mauka naheen milaa, iskaa kaaraN ham aapko pehle hi bataa chuke hain. lekin Shankar Jaikashan jaise baDe sangeetkaar ne bhi unhe maukaa diyaa tha ek bahut hi lokapriya geet mein. film thi Boot Polish. ismein Madhubalaji ne Asha Bhosle aur Manna Dey ke saath apni aawaaz milaaee thi. suniye wohi geet...

------------ --------- --------- --------- ------
Song: Thahar zaraa o jaanewaale (Boot Polish)
------------ --------- --------- --------- ------

aaj shaastriya sangeet ke chhaatra Madhubala Zaveri ko Madhubala Chawla ke naam se jaante hain. jee haan, shaadi ke baad woh ban gayi theen Madhubala Chawla. film sangeet sansaar ko unhone alvidaa to keh diyaa thaa lekin sangeet saadhanaa ko naheen. hindustaani shaastriya sangeet ki saadhanaa mein woh lagi raheen. Dr Lakshmi Shriram, jo aaj hindustaani aur carnatic shaastriya sangeet ke jagat mein naam kar rahi hain, unhone apni hindustaani shaastriya sangeet ki shikshaa Madhubala Zaveri se hi praapt kee thi, aur jinki shishyaa bankar unhone Akhil Bharatiya Gandharva Mahavidyalaya se vishaarad haasil kee. aaj Madhubala Zaveri 77 saal ki ho gayi hain. ham unke achchhe swaasthya aur lambi umra ki kaamanaa karte huye aaj ka yeh kaaryakram yaheen par samaapt karte hain. lekin jaate jaate hamaare aur Madhubalaji ke sureele saath ke naam ek geet karte huye, film Aastik se Narayan Datta ke sangeet mein yeh rachanaa. ab deejiye ijaazat agle hafte tak ke liye, namaste!

------------ --------- --------- --------- -------
Clip: tera mera janam ka hai saath re (Aastik)
------------ --------- --------- --------- -------

THE END

Ask a question on any topic and get answers from real people. Go to Yahoo! Answers.

#2198 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Mar 29, 2009 12:46 pm
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Madhubla Zaveri
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 15: MADHUBALA ZAVERI
----------------------------

namaskaar! VBLC Sangeet Ke Sitaare ki ek aur kaDee ke saath ham haazir hain. is
shringkhalaa mein ham lagaataar aapko sunwaa rahe hain guzre zamaane ke bhoole
bisre yaa phir zaraa se kamcharchit fankaaron ke sureele taraane. phir chaahe
woh sangeetkaar ho yaa geetkaar, gaayak yaa phir koi gaayikaa. aaj is kaaryakram
mein goonjnewaali hai ek bahut hi madhur gaayika ki aawaaz. waqt ke saath saath
is gaayikaa ki yaaden zaraa dhundlee si ho gayi hai aur aaj shaayad aam zindagi
mein ham roz inhe yaad naheen karte, lekin kisi zamaane mein inke gaaye geeton
se sangeet rasik kaafi mutaasir huya karte the. zaraa suniye is geet ko aur
andaazaa lagaaiye ki kaun hai woh gaayikaa jinki aawaaz bani hai aaj ke VBLC
Sangeet Ke Sitaare ki shaan!

-----------------------------------------------
Song: aawaaz de raha hai dil-e-beqaraar (Jaggu)
-----------------------------------------------

kahiye, is madhur aawaaz ne aapke dil ko bhi beqaraar kar diya hai na! dil jaise
is geet ki dhaaraa ke saath kahin beh saa gaya thaa. hai na! yeh geet tha film
Jaggu ka, geetkaar the Asad Bhopali, aur sangeetkaar the Hansraj Behl. lekin
kyaa aapko yaad aaya ki yeh aawaaz kiski thi? film sangeet ke sunehre daur ki is
kamcharchit gaayika ka naam hai Madhubala Zaveri.

---------------------------------------------------------------
Song: achchha unhe dekha tha beemaar huyi aankhen (Shah Behram)
---------------------------------------------------------------

aankhen to naheen lekin dil zaroor beemaar ho jaata hai aisi anooThi aawaaz kaa.
yeh woh aawaaz hai doston jiski goonj ek lambe arse se hamne aur aapne shaayad
naheen sunaa hogaa lekin hamein poori ummeed hai ki aaj is kaaryakram ke zariye
in bhoole bisre geeton ko sunkar Madhubala Zaveri ki aawaaz aapke dil ki
vaadiyon mein ek baar phir se machal uThenge, pratidhwanit hone lagenge.
Madhubala Zaveri kaa gaaya yeh tha film Shah Behram ka naGhmaa. geetkaar aur
sangeetkaar ek baar phir Asad Bhopali aur Hansraj Behl. Madhubala Zaveri ka janm
san 1932 ke ke kareeb huya tha. "kareeb" ham isliye keh rahe hain doston kyunki
unki janamtithi ham maaloom naheen kar paaye, lekin 30 July 2006 ko Mumbai ke
Charni Road Hall mein Madhubalaji ke sammaan mein ek kaaryakram ka aayojan kiya
gaya tha jismein unki 74 varsh ki aayu hone ki baat kahi gayi thi. isi se ham
yeh andaazaa laga rahe hain ki unka janm 1932-33 ke aaspaas huya hogaa!

------------------------------------------
Song: dekho chanda se khele sitaare (Dost)
------------------------------------------

Varma Malik ka likhaa aur Hansraj Behl ka sangeetbaddha kiya yeh tha film Dost
ka naGmaa. film sangeet ke sunehre daur mein bas do gaayikaa bahenon ka naam
shirsh par thaa, jee haan, Lataji aur Ashaji. inki aawaazon mein kuchh aisi
chamak, kuchh aisi rangat thi ki har sangeetkaar, har geetkaar, har nirmaataa,
har nirdeshak, har abhinetri yahi chaahte the ki inki aawaazen unke geeton ko
mil jaaye. ismein koi shaq naheen ki Lataji aur Ashaji ke gaaye yeh tamaam gaane
aaj film sangeet ka anmol dharohar hai, lekin un dino in do gaayikaaon ke rehte
kisi doosri nayi gaayikaa kaa is kshetra mein kadam rakhnaa aur apnaa lohaa
manwaanaa aasaan kaam naheen tha. Shamshad Begum aur Geeta Dutt ka bhale hi alag
mukaam thaa, lekin nayi ubharti gaayikaaon ke liye jagah banaanaa bahut mushkil
kaam tha.  phir bhi kai gaayikaaen ubhreen aur unmein bhi kuchh na kuchh Khaas
baat thi, woh bhi pratibhaashaali the, lekin jaisa ki hamne kahaa, Lataji aur
Ashaji us oonchaaee par the ki inke aawaaz ke aage Tik paanaa mushkil thaa. in
kamcharchit gaayikaaon mein Suman Kalyanpur, Kamal Barot, Meena Kapoor, Sudha
Malhotra, Sharada, aur Minu Purushottam ke saath saath ek naam Madhubala Zaveri
ka bhi tha.

----------------------------------------------------
Song: hai zindagi ko teraa intezaar (Maano Na Maano)
----------------------------------------------------

zindagi ki naav ko aage baDhaane ke liye saanson ke patwaar ki zaroorat paDti
hai, kali ko phool bankar khilne ke liye sooraj ke roshni ki zaroorat paDti hai.
deeye mein chaahe kitnaa bhi tel kyun na ho, agar uski lau ko samay samay par
upar ki taraf baDhaayaa na jaaye to deeyaa bujh jaataa hai. hamaare kehne kaa
taatparya yeh hai ki kisi nayi pratibhaa ko pehchaankar use maukaa denewaale
sangeetkaar kaa uski safaltaa ke peechhe bahut baDaa haath hotaa hai. aur
Madhubala Zaveri ke liye yeh haath tha sangeetkaar Hansraj Behl kaa. ab tak is
kaaryakram mein bajnewaale geeton ko sunkar aapko is baat ka andaazaa to zaroor
ho gaya hogaa ki Madhubala Zaveri ne zyaadaatar gaane Behl saahab ke liye hi
gaaye. leejiye in dono ki joDee ka ek aur Khoobsoorat sangam, film Hanuman Janm
se.

--------------------------------------------------
Song: kaahe ulajh gaye nainawa more (Hanuman Janm)
--------------------------------------------------

Vividh Bharati ke ek kaaryakram mein sangeetkaar Hansraj Behl ne ek baar 1981
mein shirkat kee thi, jismein unhone yeh kahaa tha ki unhone hi pehli baar
Madhubala Zaveri ko apni film mein gawaayaa tha. to yahaan par kyun na usi
'interview' ka woh hisaa sunte chalen! Hansraj Behl se baat kar rahi hain
Anuradha Joshi:

**************************
AJ: aur aapne apne sangeetkaar hone ke naate aap ne kai kalaakaaron ko mauka
diya hoga, unke baare mein aap kuchh bataayenge, un kalaakaaron ke baare mein?

HB: dekhie, yeh to, jab ham kaam karte hain to bahut 'artistes' aaye hamaare
paas, hamne bhi koshish yahi kee hai ki jo achchhe kalaakaar hain unko aage aane
hi chaahiye, jaise jaise 'chance' milta raha ham koshish karte rahe. unko
gawaaye bhi hai.

AJ: Madhubala Zaveri ko aapne sabse pehle gawaaya tha.

HB: jee haan, Apni Izzat, Jaggu, Moti Mahal jaisi filmon mein maine unko gawaaya
tha.
**************************

to doston, yahaan par pesh hai film Jaggu ka ek baDaa hi pyaaraa saa gaana
Madhubala Zaveri ki aawaaz mein, geetkaar Asad Bhopali.

-------------------------------------------------
Song: main ghata tu gagan mere mahi balam (Jaggu)
-------------------------------------------------

doston, Apni Izzat film aayi thi san 1952 mein jismein Hansraj Behl ne Madhubala
Zaveri ko gawaaya tha. lekin hamne jab thoDi si khoj-been kee to pataa chalaa ki
1951 ki film Rajput mein bhi Hansraj Behl ne Madhubala Zaveri se gaane gawaaye
the. ho sakta hai ki Apni Izzat ka gaana pehle 'record' huya ho, aur Rajput ka
gaana pehle 'release' huya ho. Khair, jo bhi hai, yahaan par pesh hai film
Rajput ka wohi geet jise Madhubalaji ne Manna Dey ke saath milkar gaaya tha. yeh
ek baDaa hi joshilaa jang kaa gaana hai. suniye Bharat Vyas ke bol is geet mein.
aapko yeh bhi bataa den ki Lekhraj Bhakri nirdeshit is film mein Bharat Vyas ke
alaawaa bhi kai doosre geetkaaron ne geet likhe the jaise ki Anjum Jaipuri, Asad
Bhopali, Indeevar, Kaif Irfani, Moti B.A., Rajendra Krishan aur Varma Malik. is
film mein Suraiyya ka gaaya "yeh kiski yaad aa gayi, bahaar banke chhaa gayi"
lokapriya huya tha. baharhaal aaiye sunte hain Madhubala Zaveri aur Manna-da ki
aawaaz.

--------------------------------------------------
Song: jaayo jaayo aa gaya bulaawa jang ka (Rajput)
--------------------------------------------------

doston, hamein poori ummeed hai ki Madhubala Zaveri ke gaaye huye in sureele
geeton ko sunte huye aap pahunch gaye honge film sangeet ke us sunehre daur
mein. aur agar aap us zamaane se hi taaluKh rakhte hain to phir kehnaa hi kyaa.
Madhubalaji ke gaaye naGhmon ke zariye ham ek baar phir se guzar rahe hain
yaadon ki unhi sureelee galiyaaron se. aaiye ab baat karte hain kuchh aise
laajawaab yugal geeton ki jinhe Madhubala Zaveri ne Talat Mahmood ke saath
milkar gaaya tha. aur yahaan bhi zyaadaa shrey jaata hai Hansraj Behl ko hi.
Behl saahab ne ek naheen do naheen, balki kai kai baar in dono ko apni filmon
mein yugal geet gaane ka mauka diya hai. film Apni Izzat ka yeh gaana to bahut
bahut mashahoor huyaa tha, geetkaar Pandit Phani. yeh geet sudhi shrotaaon ke
dilon mein ek behad sammaanjanak sthaan rakhti hai. jab in dono aawaazon ko is
naazuk-o-tareen geet mein sunte hain to dil maano kahin kho sa jaata hai. aur
Madhubalaji ki anooThi aawaaz ne to is geet ko ek alag hi rang de diya hai.

----------------------------------------
Song: dil mera tera deewana (Apni Izzat)
----------------------------------------

1951 mein Rajput, 1954 mein Dost aur 1956 mein Naqabposh jaisi filmon mein
Hansraj Behl ke sangeet nirdeshan mein Talat Mahmood aur Madhubala Zaveri ne
gaane gaaye. chand jhalakiyaan pesh-e-Khidmat hai...

-------------------------------------------
Clip: haafiz Khudaa tumhaara bhool na jaana (Rajput)
Clip: kehne ko bahut kuchh kehna tha (Dost)
Clip: jab se maine dil lagaaya (Naqabposh)
Clip: pyar ki rut dorangi saajan (Apni Izzat)
------------------------------------------

doston, har sangeetkaar ki apni pasand hoti hai, unki andaaz ke geeton ko, unki
'style' ke geeton ko gaane ke liye unke dimaaG mein gaayak gaayikaa kaa naam
hotaa hai. unhe pataa hotaa hai ki kis geet ko kisse gawaanaa chaahiye. yun to
Hansraj Behl ne Lata Mangeshkar aur Asha Bhosle se bahut saare gaane gawaaye,
lekin jab baat Madhubala Zaveri ki aati hai to inke gaaye gaane Behl saahab ke
sangeet mein hi zyaadaa sunne ko milti hai. lekin iskaa arth yeh bilkul naheen
hai ki Madhubalaji ne keval inhi ke liye geet gaaye hain. ab is kaaryakram mein
ham kuchh aise sangeetkaaron ka zikr karenge jinke nirdeshan mein Madhubala
Zaveri ne gaane gaaye hain. sabse pehle sangeetkaar Jamal Sen. film Devta se
mashoor huye is kamcharchit sangeetkaar par hamne ek poora kaaryakram pesh kiya
tha doston, yaad hai na! Jamal Sen ne Madhubala Zaveri se gawaaya tha Dharmpatni
film ka yeh geet, geetkaar Bharat Vyas...

---------------------------------------------
Clip: jiya lahar lahar lehraaye (Dharampatni)
---------------------------------------------

sangeetkaar Iqbal Qureshi, film Anokha Jungle...

-------------------------------------------
Clip: aankhen Khumaar bhari (Anokha Jungle)
-------------------------------------------

Vinod ke sangeet nirdeshan mein film Ramman ka geet...

------------------------------------
Clip: beqaraar kar gaya hai (Ramman)
------------------------------------

Nilkanth Tiwari ka likha aur Avinash Vyas ka swarbadfha kiya film Rajrani
Damayanti ka yeh gaana...

----------------------------------------------------------
Clip: chamak rahe taare aadhe tumhaare (Rajrani Damayanti)
----------------------------------------------------------

Ram Ganguly ka swarbaddha kiya S H Bihari ka likha film Sangam ka yeh gaana...

-------------------------------------------------------------
Clip: chhup chhup ke kaun mere nainon mein aane laga (Sangam)
-------------------------------------------------------------

1958 ki film Gauri Shankar mein sangeetkaar Shivram Krishna ki yeh sangeet
rachanaa...

------------------------------------------
Clip: Dam Dam Damroo baaje (Gauri Shankar)
------------------------------------------

Bipin Babul, Kaifi Azmi, film Sultana Daku...

----------------------------------------------
Clip: dilwaale teri mehfil mein (Sultana Daku)
----------------------------------------------

Krishna Sudama film mein Husnlal Bhagatram ka sangeet...

-------------------------------------------------------------
Clip: gurkul ka jeevan bhi apna kitna pyaara (Krishna Sudama)
-------------------------------------------------------------

sangeetkaar Bulo C Rani ke nirdeshan mein Indeevar ka likha gaana film Jeevan
Sathi se...

------------------------------------------
Clip: ho ke baDaa mera laal (Jeevan Sathi)
------------------------------------------

A R Qureshi ka sangeet, Majrooh ke bol, film Khandaan...

-----------------------------------------------
Clip: jhanak jhanak baaje re bichhua (Khandaan)
-----------------------------------------------

gaayak Shankar Dasgupta ne chand filmon mein sangeet bhi diya tha jinmein se ek
tha Sheeshe Ki Deewar. is film mein unhone Madhubala Zaveri se yeh geet gawaaya
tha...

----------------------------------------------------
Clip: khaamoshi ki jubaan se ham (Sheeshe Ki Deewar)
----------------------------------------------------

in jhalakiyon ko sunte huye aap ne yeh mehsoos kiya hogaa ki Madhubala Zaveri ne
zyaadaatar kamcharchit sangeetkaaron aur kam 'budget' ki filmon mein gaane gaaye
hain. baDi 'budget' ki filmon mein unhe zyaadaa mauka naheen milaa, iskaa kaaraN
ham aapko pehle hi bataa chuke hain. lekin Shankar Jaikashan jaise baDe
sangeetkaar ne bhi unhe maukaa diyaa tha ek bahut hi lokapriya geet mein. film
thi Boot Polish. ismein Madhubalaji ne Asha Bhosle aur Manna Dey ke saath apni
aawaaz milaaee thi. suniye wohi geet...

---------------------------------------------
Song: Thahar zaraa o jaanewaale (Boot Polish)
---------------------------------------------

aaj shaastriya sangeet ke chhaatra Madhubala Zaveri ko Madhubala Chawla ke naam
se jaante hain. jee haan, shaadi ke baad woh ban gayi theen Madhubala Chawla.
film sangeet sansaar ko unhone alvidaa to keh diyaa thaa lekin sangeet saadhanaa
ko naheen. hindustaani shaastriya sangeet ki saadhanaa mein woh lagi raheen. Dr
Lakshmi Shriram, jo aaj hindustaani aur carnatic shaastriya sangeet ke jagat
mein naam kar rahi hain, unhone apni hindustaani shaastriya sangeet ki shikshaa
Madhubala Zaveri se hi praapt kee thi, aur jinki shishyaa bankar unhone Akhil
Bharatiya Gandharva Mahavidyalaya se vishaarad haasil kee. aaj Madhubala Zaveri
77 saal ki ho gayi hain. ham unke achchhe swaasthya aur lambi umra ki kaamanaa
karte huye aaj ka yeh kaaryakram yaheen par samaapt karte hain. lekin jaate
jaate hamaare aur Madhubalaji ke sureele saath ke naam ek geet karte huye, film
Aastik se Narayan Datta ke sangeet mein yeh rachanaa. ab deejiye ijaazat agle
hafte tak ke liye, namaste!

----------------------------------------------
Clip: tera mera janam ka hai saath re (Aastik)
----------------------------------------------

THE END

#2197 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Sat Mar 28, 2009 12:59 pm
Subject:: Ali Akbar Khan --- Koi Door Bajayein Basuri
ramaswamy21in
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi All,

I conclude the second part of the series on lesser known Music
Directors and start with Ali Akbar Khan or to be precise Ustad Ali
Akbar Khan.

He has a website which is very informative and up to date. So I limit
myself to his filmi contributions which his official site however has
stressed on Classical contributions. The site can be accessed at the
following link:
http://www.ammp.com/aak.html

I have translated from Yogesh Yadav's book what I felt worth
mentioning. I have a song of his from Aandhiyaan which I got from one
of the groups itself. I will upload the same soon.

Let me start with the translations:

Classical music maestro Allah diya Khan had started teaching music to
his son Ali Akbar at the tender age of three. He introduced him to
various forms of singing such as Dhrupad, Dhamar, Khayal and other
such styles. Ali Akbar Khan's paternal uncle taught him to play
`Tabla' and `Pakhwaj'. When the Riyaaz used to of 16-18 hours there
was no time left for studies. Ali Akbar Khan could study up to
matriculation only.

Ali Akbar Khan became well-known as a wonderful Sarod player. When he
stayed at Jodhpur crown prince, Hanumant Singh's residence, he won the
hearts of the courtiers there. However when the crown prince died in a
plane accident he left Jodhpur. He worked as a programmer with Lucknow
Radio. Later on he went to Kolkatta where he established `Ali Akbar
College of Music'. He later established colleges teaching Music in
foreign countries such as Japan, Canada & U.S.A. He became a well
known figure world-wide.

Ali Akbar Khan gave music in a film in the year 1951. His first film
was under Navketan Films banner titled `Aandhiyaan'. The music in this
film was appreciated for its variation. He gave music in another film
`Humsafar' in 1954. His foray into Bangla film music with `Sudith
Pashan' was also successful. He had played sarod in Shankar
Jaikishan's orchestra.

Khan Saheb Ali Akbar created some new raags such as (1) Chandra
Nandan, (2) Gauri Manjiri , (3) Laajwanti & (4) Prabhkali. His two
daughters are named Lajwanti and Prabhakali as well. His favourite
raags were Piloo and Darbari Kannada.

Well known sitarist Pandit Ravi Shankar is Ali Akbar Khan's brother-in-
law. He has been conferred with `Padma Bhushan'.

Other than the subject title song given below is a list of his songs:

Hain Kahin Par Shaadmani ---- Aandhiyaan -- 1952 Lata Mangeshkar
Ghanshyam Ko Hain ----- Aandhiyaan -- 1952 Lata Mangeshkar
Leela Aparam Paar ---- Humsafar -- 1954 Kishore Chorus

My two bits:

He had Jaidev as his assistant in Aandhiyaan(not sure of Humsafar). He
has taught Sarod to Rahul. Dev. Burman(info from Mahesh Sagar)

#2196 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Sat Mar 28, 2009 12:57 pm
Subject:: Re: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
ramaswamy21in
Offline Offline
Send Email Send Email
 
I did have the same. However I have converted songs into mp3 from the recording.
The info part is missing.

Will u/ld the songs if u want them

Regards,

Ramaswamy
--- In vividhbharati@..., rabindranath <brna7377@...> wrote:
>
> do u have a copy of this program to be downloaded?
>
>
> B R N Ayyangar
>
> --- On Mon, 23/3/09, Ramaswamy <ramaswamy21in@...> wrote:
>
>
> From: Ramaswamy <ramaswamy21in@...>
> Subject: [vividhbharati] Re: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
> To: vividhbharati@...
> Date: Monday, 23 March, 2009, 2:49 PM
>
>
>
>
>
>
> I have this recorded. Will upload the same. Thanks for the
> write up
>
> Regards,
> Ramaswamy
> --- In vividhbharati@ yahoogroups. co.in, "soojoi_india" <soojoi_india@ ...>
wrote:
> >
> > BHOOLE BISRE GEET - IQBAL QURESHI SPECIAL
> > ------------ --------- --------- --------- --
> >
> > Broadcast Date: 21 March 2009
> > ------------ --------- --------
> >
> > Presented By: Amarkant Dubey
> > ------------ --------- -------
> >
> > Bhoole Bisre Geet ki ek aur haseen subah ke saath ham haazir hain. aaj hai
21 March. doston, aaj hi ke din, yaani 21 March 1998 ko sangeetkaar Iqbal
Qureshi is duniya-e-faani ko chhoD gaye the. woh to chale gaye lekin peechhe
chhoD gaye apne dilkash dhuno se sajaa sanvraa bahut saare meeThe sureele gaano
ka Khazaanaa, jinhe sunkar ham aaj bhi apna dil behlaate hain. Iqbal Qureshi ki
punyatithi ke avasar par unhe shraddha suman arpit karte huye ham aaj ka yeh
Bhoole Bisre Geet unhi ko samarpait kar rahe hain.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> > Song: hamein dam daike sautan ghar jaa naa (yeh Dil Kisko Doon)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> >
> > Iqbal Qureshi ke sangeet nirdeshan mein yeh tha Yeh Dil Kisko Doon film ka
mujraa jise Qamar Jalalabadi ne likha aur Asha Bhosle aur Mubaraq Begum ne gaaya
tha. doston, Iqbal Qureshi bahut lambe kad ke the. is mujra geet ki mehfil mein
sangeet premee unhe isi lambe kad ke kaaraN spashT roop se pehchaan sakte hain.
unke dost ki hi film thi, isliye jab 'shooting' chal rahi thi to unhe bhi biThaa
diya gaya tha. chaliye Iqbal saahab ke suhaane naGhmon ke silsile ko aage
baDhaaen aur sune Lata Mangeshkar ka gaaya Banarsi Thug film ka ek baDaa hi
meeThaa saa geet. geet likha hai Prem Dhawan ne. lekin geet sunne se pehle Khud
Iqbal Qureshi saahab ki bolti huyi aawaaz mein suniye ki is film ke baare mein
unhone Vividh Bharati ke Jaimala kaaryakram mein kya kahaa tha:
> >
> > Iqbal Qureshi speaks: Kuldeep Sehgal ek 'producer' the aur Bhakri saahab ek
'director'. we Hemant Kumar aur Ghulam Mohammad jaise sangeetkaaron ke saath
kaam kar chuke the. un dono ne mujhe suna, sunkar ek kaaGaz thamaa dee jispar
teen picturon ka 'agreement' tha. we bole, 'Iqbal, aapne jitne bhi gaane abhi
sunaaye, woh sab hum apni filmon mein istemaal karenge'. Film Banarsi Thag ka
yeh geet suniye jise Lata Mangeshkar ne gaaya hai, aur unke saath hain 'chorus'.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> > Song: yaad suhaani teri bani zindagaani meri (Banarsi Thug)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> >
> > sahee baat hai doston, Iqbal saahab ki in suhaani yaadon ko hamne aur aap ne
apne dil se lagaaye hain. aaj barson baras baad bhi yeh gaane utne hi pur-asar
hain jitne ki us zamaane mein the. film sangeet ka sunehra daur bhale beet
chukaa hai lekin woh Khazaanaa zaroor hamaare paas hai jinmein se jab bhi jee
chaahe ham motiyaan nikaal sakte hain, unhe ek baar phir se jee sakte hain. aisi
hi ek aur moti jo ab ham chunkar laaye hain aapke liye woh hai film Bindiya ka.
1960 mein bani film Bindiya Iqbal Qureshi ke 'career' ki ek mahatwapoorna film
rahi hai. is film mein Lata Mangeshkar aur Talat Mahmood ke gaaye gaane Khoob
Khoob sune aur saraahe gaye. aaj ham aapko sunwaa rahe hain Lataji ka gaaya aur
Rajinder Krishan ka likha yeh gaana.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> > Song: itna na sataa ke koi jaane o deewaane (Bindiya)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> >
> > Rajinder Krishan aur Iqbal Qureshi ki joDee ke naam tha film Bindiya ka yeh
gaana. leejiye isi joDee ki ek aur film Love in Shimla ka ek geet yahaan par sun
lete hain Mohd Rafi aur Asha Bhosle ki aawaazon mein. yeh haasya ras par
aadhaarit geet hai jo bahut kam sunaa gaya hai. paashchaatya sangeet ke rang
mein Dhalaa huya hai yeh geet. bachpan mein Iqbal Qureshi paaschaatya sangeet
seekhaa karte the, jo aage chalkar unke kai 'compositions' mein kaam aaye.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------
> > Song: eji idhar aao aa gaya ghoom jaayo (Love in Shimla)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------
> >
> > film Panchayat ki sureelee dhuno ke saath Iqbal Qureshi ne san 1958 mein
Hindi filmon mein pravesh kiya tha.
> >
> > Iqbal Qureshi speaks: bachpan se hi mujhe 'music' ka shauk tha. jab main
12/13 saal ka tha, jab Aurangabad 'radio station' par gaane gaaya karta tha.
phir Hyderabad mein jaakar mujhe mere kaam ke liye 'encouragement' mila. Wahaan
ki jo Khoobiyaan hain, Hyderabadi 'culture' mujhmein aayi. Hyderabad ke woh din
mera sunhera daur tha, waheen maine shohrat paayee jo zindegi ke liye, meri
sangeet zindegi ke liye aage chalkar bahut faaydemand saabit huya. mera pehla
gaana tha "ta thaiya karte aana", film Panchayat mein, jo kaafi 'hit' ho gaya
tha jisse mujhe aur bhi kai 'assignments' mile."
> >
> > doston, aaj ham yeh geet to naheen, lekin isi film ka ek doosra gaana sunwaa
rahe hain aapko, isey gaaya hai Mohd Rafi aur Geeta Dutt ne. geetkaar hain
Shaqeel Nomani.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> > Song: haal yeh kar diya zaalim tere taDpaane ne (Panchayat)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> >
> > doston, Iqbal Qureshi ke swarbaddha geeton ko sunte huye aap ne yeh mehsoos
kiya hogaa ki inhone kuchh doosre sangeetkaaron ki tarah kisi chuninde geetkaar
ke saath joDee naheen banaaee, balki bahut saare geetkaaron ke geeton ko apne
suron mein Dhaalaa. Qamar Jalalabadi, Prem Dhawan, Rajinder Krishan aur Shaqeel
Nomani jaise geetkaaron ki rachnaaen ab tak aap ne sunee. ab suniye geetkaar
Shewan Rizvi ka likha aur Iqbal Qureshi ka sangeetbaddha kiya huya film Qawwali
Ki Raat ki ek qawwaali Mohd Rafi, Shamshad Begum aur saathiyon ki aawaazon mein.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- ---------
> > Song: jaate jaate ek nazar bhar dekh lo (Qawwali Ki Raat)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- ---------
> >
> > Iqbal Qureshi kabhi kisi sangeetkaar ke sahaayak ke roop mein kaam naheen
kiya. woh seedhe swatantra sangeetkaar bane. shaayar Mkhdoom Mohiuddin unke
achchhe doston mein se the aur unke Ghazlon - nazmon ki tarzen tayyaar kiya
karte the. waapas aate hain unke filmi rachnaaon par. 1961 ki film Umarqaid ka
sangeet bhi mashoor huya tha. is film mein Mukesh ka gaaya "mujhe raat din yeh
Khayaal hai, woh nazar se mujhko gira na de" sab se zyaada lokapriya huya tha.
lekin kyunki yeh bhoole bisre geet ki mehfil hai, isliye ham ismein thoDe se
kamcharchit gaane sunwaane ki koshish karte hain. to leejiye is film se Asha
Bholse ka gaaya ek geet suniye, bol hain Hasrat Jaipuri ke.
> >
> > ------------ --------- --------- ---
> > Song: o piya jaana naa (Umarqaid)
> > ------------ --------- --------- ---
> >
> > 1958 mein Panchayat, 1960 mein Bindiya, Love in Shimla, 1961 mein Umarqaid,
Zamana Badal Gaya, 1962 mein Banarasi Thug, aur 1963 mein Yeh Dil Kisko Doon
jaisi filmon mein sangeet dene ke baad 1964 Iqbal Qureshi ke sangeet se sajee do
filmen aayeen, jismein se ek thi Qawwali Ki Raat, jiski ek qawwaali hamne thoDe
der pehle aapko sunwaaee. aur 1964 ki unki doosri film thi Cha Cha Cha. doston,
yeh film Iqbal Qureshi ke sangeet ki wajah se hi aaj yaad kee jaati hai. balki
Cha Cha Cha Iqbal Qureshi ke 'career' ki safaltam filmon mein se ek hai. is film
ke sabhi gaane mashoor huye. "ek chameli ke maDve tale" geet Khaasaa lokapriya
huya. is rumaani geet ko sunte hi shaayar Makhdoom Mohiuddin ki yaad aa jaati
hai. yeh geet asal mein unki ek mashoor nazm hai. Makhdoom saahab 3 February
1908 ko Andhra Pradesh ke shahar Medak mein paida huye the, aur 25 August 1969
ke din Delhi mein is jahaan-e-faani se ruKhsat ho gaye. is nazm ki ek dilchasp
baat yeh hai ki
>  nirmaata nirdeshak Raj Khosla ne Makhdoom saahab se isey sirf 600 rupay
nazraane ke ehwaz mein le rakha tha, lekin woh apni kisi film mein iska istemaal
naheen kar paa rahe the. ek 'party' mein unki mulaaqaat abhinetaa Chandrashekhar
se huyi. Chandrashekhar un dino film Cha Cha Cha banaa rahe the. Raj Khosla
saahab ne salaah dee ki yadi is rumaani nazm ko is 'musical film' ke saath joD
diya jaaye, to behad faayda hoga, kyunki film Cha Cha Cha sangeetkaar Iqbal
Qureshi ki film thi aur Iqbal Qureshi ne is nazm ki pehle se hi dhun banaa rakhi
thi, isliye baat ban gayi. aur parde par yeh nazm Saleem aur Anaarkali ke
taareeKhee kirdaaron par filmaayi gayi. yeh kirdaar 'imagination' mein
Chandrashekhar aur Helen ne nibhaaye. Khair doston, aaj is waqt Cha Cha Cha film
ka jo geet ham aap tak pahuncha rahe hain woh hai Neeraj ka likha aur Rafi
saahab ka gaaya huya, aur geet hai yeh...
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------
> > Song: subah na aayi shaam na aayi (Cha Cha Cha)
> > ------------ --------- --------- --------- --------
> >
> > badkismatee se film Cha Cha Cha ke baad Iqbal Qureshi dheere dheere peechhe
ki taraf luDhakne lage. unke sangeet se sajee ek do filmen saal dar saal aati
rahi aur jaati rahi. na to yeh filmen chaleen aur na hi in filmon ke sangeet ki
taraf logon ne zyaada dhyaan diya. kuchh naam aapko ginwaate hain in filmon ki.
yeh filmen theen - 1966 mein Sarhadi Lutera, 1967 mein Mohabbat Aur Jung, 1970
mein Do Thug, 1971 mein Shaan-e-Khuda, 1973 mein Alam Ara, 1974 mein
Dastane-e-Laila Majnu, 1976 mein Bombay By Night, 1977 mein Dil Aur Patthar,
1978 mein Sultan-e-Hind, 1981 mein Khwaja Ki Deewani, 1982 mein Nek Parveen,
1982 mein Preet Na Jaane Reet, 1983 mein Bismillah Ki Barkat, 1990 mein Jeene Ki
Sazaa, aur 1991 mein Lakhpati. inke alaawaa ek aur film thi Pyar Bana Afsana.
yeh film naheen pradarshit ho paayi, lekin iske sangeet ko jaari kar diya gaya.
sunte hain isi film se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ka gaaya Aziz qaisi ka likha
yeh gaana.
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> > Song: kahoji tumhe kisse pyaar hai (Pyar Bana Afsana)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> >
> > doston, Iqbal Qureshi ki bhale hi bahut zyaada charcha naheen huyi, film
sangeetkaaron ki soochee mein kuchh kam jaane pehchaane se reh gaye, lekin isse
kuchh fark naheen paDtaa kyunki unhone jo amar dhune dee hain wohi aaj zubaan
ban gaye hain unki pratibhaa ke. aaj woh is bazm se uThkar chale gaye hain
zaroor, lekin unki rachnaaen, unki tarzen aisi bazm-e-mehfilon ko barson baras
mehkaati rahengi, aabaad karti rahengi. aaj ka yeh Bhoole Bisre Geet kaaryakram
samarpit tha sangeetkaar Iqbal Qureshi ki punya smriti ko. ab deejiye Amarkant
ko ijaazat, namaste!
> >
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> > Song: aaj ek bazm se main luT ke chalaa (Pyar Bana Afsana)
> > ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> >
> > THE END
> >
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>
>       Unlimited freedom, unlimited storage. Get it now, on
http://help.yahoo.com/l/in/yahoo/mail/yahoomail/tools/tools-08.html/
>

#2195 From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Date:: Thu Mar 26, 2009 3:49 am
Subject:: top 10 hindi movies (popular) from 1931 to 2000
sajeevsarathie
Offline Offline
Send Email Send Email
 
here is the list created by vinod bhardwaj top 10 most popular hindi movies from 1931 to 2000. give ur opinion

http://podcast.hindyugm.com/2009/03/10-best-movies-1931-to-2000-vinod.html

--
सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@...
www.hindyugm.com
09871123997

#2194 From: rabindranath <brna7377@...>
Date:: Tue Mar 24, 2009 10:23 am
Subject:: Re: Re: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
brna7377
Offline Offline
Send Email Send Email
 
do u have a copy of this program to be downloaded?

B R N Ayyangar

--- On Mon, 23/3/09, Ramaswamy <ramaswamy21in@...> wrote:

From: Ramaswamy <ramaswamy21in@...>
Subject: [vividhbharati] Re: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
To: vividhbharati@...
Date: Monday, 23 March, 2009, 2:49 PM

I have this recorded. Will upload the same. Thanks for the
write up

Regards,
Ramaswamy
--- In vividhbharati@ yahoogroups. co.in, "soojoi_india" <soojoi_india@ ...> wrote:
>
> BHOOLE BISRE GEET - IQBAL QURESHI SPECIAL
> ------------ --------- --------- --------- --
>
> Broadcast Date: 21 March 2009
> ------------ --------- --------
>
> Presented By: Amarkant Dubey
> ------------ --------- -------
>
> Bhoole Bisre Geet ki ek aur haseen subah ke saath ham haazir hain. aaj hai 21 March. doston, aaj hi ke din, yaani 21 March 1998 ko sangeetkaar Iqbal Qureshi is duniya-e-faani ko chhoD gaye the. woh to chale gaye lekin peechhe chhoD gaye apne dilkash dhuno se sajaa sanvraa bahut saare meeThe sureele gaano ka Khazaanaa, jinhe sunkar ham aaj bhi apna dil behlaate hain. Iqbal Qureshi ki punyatithi ke avasar par unhe shraddha suman arpit karte huye ham aaj ka yeh Bhoole Bisre Geet unhi ko samarpait kar rahe hain.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> Song: hamein dam daike sautan ghar jaa naa (yeh Dil Kisko Doon)
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
>
> Iqbal Qureshi ke sangeet nirdeshan mein yeh tha Yeh Dil Kisko Doon film ka mujraa jise Qamar Jalalabadi ne likha aur Asha Bhosle aur Mubaraq Begum ne gaaya tha. doston, Iqbal Qureshi bahut lambe kad ke the. is mujra geet ki mehfil mein sangeet premee unhe isi lambe kad ke kaaraN spashT roop se pehchaan sakte hain. unke dost ki hi film thi, isliye jab 'shooting' chal rahi thi to unhe bhi biThaa diya gaya tha. chaliye Iqbal saahab ke suhaane naGhmon ke silsile ko aage baDhaaen aur sune Lata Mangeshkar ka gaaya Banarsi Thug film ka ek baDaa hi meeThaa saa geet. geet likha hai Prem Dhawan ne. lekin geet sunne se pehle Khud Iqbal Qureshi saahab ki bolti huyi aawaaz mein suniye ki is film ke baare mein unhone Vividh Bharati ke Jaimala kaaryakram mein kya kahaa tha:
>
> Iqbal Qureshi speaks: Kuldeep Sehgal ek 'producer' the aur Bhakri saahab ek 'director'. we Hemant Kumar aur Ghulam Mohammad jaise sangeetkaaron ke saath kaam kar chuke the. un dono ne mujhe suna, sunkar ek kaaGaz thamaa dee jispar teen picturon ka 'agreement' tha. we bole, 'Iqbal, aapne jitne bhi gaane abhi sunaaye, woh sab hum apni filmon mein istemaal karenge'. Film Banarsi Thag ka yeh geet suniye jise Lata Mangeshkar ne gaaya hai, aur unke saath hain 'chorus'.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> Song: yaad suhaani teri bani zindagaani meri (Banarsi Thug)
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
>
> sahee baat hai doston, Iqbal saahab ki in suhaani yaadon ko hamne aur aap ne apne dil se lagaaye hain. aaj barson baras baad bhi yeh gaane utne hi pur-asar hain jitne ki us zamaane mein the. film sangeet ka sunehra daur bhale beet chukaa hai lekin woh Khazaanaa zaroor hamaare paas hai jinmein se jab bhi jee chaahe ham motiyaan nikaal sakte hain, unhe ek baar phir se jee sakte hain. aisi hi ek aur moti jo ab ham chunkar laaye hain aapke liye woh hai film Bindiya ka. 1960 mein bani film Bindiya Iqbal Qureshi ke 'career' ki ek mahatwapoorna film rahi hai. is film mein Lata Mangeshkar aur Talat Mahmood ke gaaye gaane Khoob Khoob sune aur saraahe gaye. aaj ham aapko sunwaa rahe hain Lataji ka gaaya aur Rajinder Krishan ka likha yeh gaana.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> Song: itna na sataa ke koi jaane o deewaane (Bindiya)
> ------------ --------- --------- --------- --------- -----
>
> Rajinder Krishan aur Iqbal Qureshi ki joDee ke naam tha film Bindiya ka yeh gaana. leejiye isi joDee ki ek aur film Love in Shimla ka ek geet yahaan par sun lete hain Mohd Rafi aur Asha Bhosle ki aawaazon mein. yeh haasya ras par aadhaarit geet hai jo bahut kam sunaa gaya hai. paashchaatya sangeet ke rang mein Dhalaa huya hai yeh geet. bachpan mein Iqbal Qureshi paaschaatya sangeet seekhaa karte the, jo aage chalkar unke kai 'compositions' mein kaam aaye.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------
> Song: eji idhar aao aa gaya ghoom jaayo (Love in Shimla)
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------
>
> film Panchayat ki sureelee dhuno ke saath Iqbal Qureshi ne san 1958 mein Hindi filmon mein pravesh kiya tha.
>
> Iqbal Qureshi speaks: bachpan se hi mujhe 'music' ka shauk tha. jab main 12/13 saal ka tha, jab Aurangabad 'radio station' par gaane gaaya karta tha. phir Hyderabad mein jaakar mujhe mere kaam ke liye 'encouragement' mila. Wahaan ki jo Khoobiyaan hain, Hyderabadi 'culture' mujhmein aayi. Hyderabad ke woh din mera sunhera daur tha, waheen maine shohrat paayee jo zindegi ke liye, meri sangeet zindegi ke liye aage chalkar bahut faaydemand saabit huya. mera pehla gaana tha "ta thaiya karte aana", film Panchayat mein, jo kaafi 'hit' ho gaya tha jisse mujhe aur bhi kai 'assignments' mile."
>
> doston, aaj ham yeh geet to naheen, lekin isi film ka ek doosra gaana sunwaa rahe hain aapko, isey gaaya hai Mohd Rafi aur Geeta Dutt ne. geetkaar hain Shaqeel Nomani.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> Song: haal yeh kar diya zaalim tere taDpaane ne (Panchayat)
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
>
> doston, Iqbal Qureshi ke swarbaddha geeton ko sunte huye aap ne yeh mehsoos kiya hogaa ki inhone kuchh doosre sangeetkaaron ki tarah kisi chuninde geetkaar ke saath joDee naheen banaaee, balki bahut saare geetkaaron ke geeton ko apne suron mein Dhaalaa. Qamar Jalalabadi, Prem Dhawan, Rajinder Krishan aur Shaqeel Nomani jaise geetkaaron ki rachnaaen ab tak aap ne sunee. ab suniye geetkaar Shewan Rizvi ka likha aur Iqbal Qureshi ka sangeetbaddha kiya huya film Qawwali Ki Raat ki ek qawwaali Mohd Rafi, Shamshad Begum aur saathiyon ki aawaazon mein.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- ---------
> Song: jaate jaate ek nazar bhar dekh lo (Qawwali Ki Raat)
> ------------ --------- --------- --------- --------- ---------
>
> Iqbal Qureshi kabhi kisi sangeetkaar ke sahaayak ke roop mein kaam naheen kiya. woh seedhe swatantra sangeetkaar bane. shaayar Mkhdoom Mohiuddin unke achchhe doston mein se the aur unke Ghazlon - nazmon ki tarzen tayyaar kiya karte the. waapas aate hain unke filmi rachnaaon par. 1961 ki film Umarqaid ka sangeet bhi mashoor huya tha. is film mein Mukesh ka gaaya "mujhe raat din yeh Khayaal hai, woh nazar se mujhko gira na de" sab se zyaada lokapriya huya tha. lekin kyunki yeh bhoole bisre geet ki mehfil hai, isliye ham ismein thoDe se kamcharchit gaane sunwaane ki koshish karte hain. to leejiye is film se Asha Bholse ka gaaya ek geet suniye, bol hain Hasrat Jaipuri ke.
>
> ------------ --------- --------- ---
> Song: o piya jaana naa (Umarqaid)
> ------------ --------- --------- ---
>
> 1958 mein Panchayat, 1960 mein Bindiya, Love in Shimla, 1961 mein Umarqaid, Zamana Badal Gaya, 1962 mein Banarasi Thug, aur 1963 mein Yeh Dil Kisko Doon jaisi filmon mein sangeet dene ke baad 1964 Iqbal Qureshi ke sangeet se sajee do filmen aayeen, jismein se ek thi Qawwali Ki Raat, jiski ek qawwaali hamne thoDe der pehle aapko sunwaaee. aur 1964 ki unki doosri film thi Cha Cha Cha. doston, yeh film Iqbal Qureshi ke sangeet ki wajah se hi aaj yaad kee jaati hai. balki Cha Cha Cha Iqbal Qureshi ke 'career' ki safaltam filmon mein se ek hai. is film ke sabhi gaane mashoor huye. "ek chameli ke maDve tale" geet Khaasaa lokapriya huya. is rumaani geet ko sunte hi shaayar Makhdoom Mohiuddin ki yaad aa jaati hai. yeh geet asal mein unki ek mashoor nazm hai. Makhdoom saahab 3 February 1908 ko Andhra Pradesh ke shahar Medak mein paida huye the, aur 25 August 1969 ke din Delhi mein is jahaan-e-faani se ruKhsat ho gaye. is nazm ki ek dilchasp baat yeh hai ki nirmaata nirdeshak Raj Khosla ne Makhdoom saahab se isey sirf 600 rupay nazraane ke ehwaz mein le rakha tha, lekin woh apni kisi film mein iska istemaal naheen kar paa rahe the. ek 'party' mein unki mulaaqaat abhinetaa Chandrashekhar se huyi. Chandrashekhar un dino film Cha Cha Cha banaa rahe the. Raj Khosla saahab ne salaah dee ki yadi is rumaani nazm ko is 'musical film' ke saath joD diya jaaye, to behad faayda hoga, kyunki film Cha Cha Cha sangeetkaar Iqbal Qureshi ki film thi aur Iqbal Qureshi ne is nazm ki pehle se hi dhun banaa rakhi thi, isliye baat ban gayi. aur parde par yeh nazm Saleem aur Anaarkali ke taareeKhee kirdaaron par filmaayi gayi. yeh kirdaar 'imagination' mein Chandrashekhar aur Helen ne nibhaaye. Khair doston, aaj is waqt Cha Cha Cha film ka jo geet ham aap tak pahuncha rahe hain woh hai Neeraj ka likha aur Rafi saahab ka gaaya huya, aur geet hai yeh...
>
> ------------ --------- --------- --------- --------
> Song: subah na aayi shaam na aayi (Cha Cha Cha)
> ------------ --------- --------- --------- --------
>
> badkismatee se film Cha Cha Cha ke baad Iqbal Qureshi dheere dheere peechhe ki taraf luDhakne lage. unke sangeet se sajee ek do filmen saal dar saal aati rahi aur jaati rahi. na to yeh filmen chaleen aur na hi in filmon ke sangeet ki taraf logon ne zyaada dhyaan diya. kuchh naam aapko ginwaate hain in filmon ki. yeh filmen theen - 1966 mein Sarhadi Lutera, 1967 mein Mohabbat Aur Jung, 1970 mein Do Thug, 1971 mein Shaan-e-Khuda, 1973 mein Alam Ara, 1974 mein Dastane-e-Laila Majnu, 1976 mein Bombay By Night, 1977 mein Dil Aur Patthar, 1978 mein Sultan-e-Hind, 1981 mein Khwaja Ki Deewani, 1982 mein Nek Parveen, 1982 mein Preet Na Jaane Reet, 1983 mein Bismillah Ki Barkat, 1990 mein Jeene Ki Sazaa, aur 1991 mein Lakhpati. inke alaawaa ek aur film thi Pyar Bana Afsana. yeh film naheen pradarshit ho paayi, lekin iske sangeet ko jaari kar diya gaya. sunte hain isi film se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ka gaaya Aziz qaisi ka likha yeh gaana.
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- -----
> Song: kahoji tumhe kisse pyaar hai (Pyar Bana Afsana)
> ------------ --------- --------- --------- --------- -----
>
> doston, Iqbal Qureshi ki bhale hi bahut zyaada charcha naheen huyi, film sangeetkaaron ki soochee mein kuchh kam jaane pehchaane se reh gaye, lekin isse kuchh fark naheen paDtaa kyunki unhone jo amar dhune dee hain wohi aaj zubaan ban gaye hain unki pratibhaa ke. aaj woh is bazm se uThkar chale gaye hain zaroor, lekin unki rachnaaen, unki tarzen aisi bazm-e-mehfilon ko barson baras mehkaati rahengi, aabaad karti rahengi. aaj ka yeh Bhoole Bisre Geet kaaryakram samarpit tha sangeetkaar Iqbal Qureshi ki punya smriti ko. ab deejiye Amarkant ko ijaazat, namaste!
>
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
> Song: aaj ek bazm se main luT ke chalaa (Pyar Bana Afsana)
> ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
>
> THE END
>

Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.

#2193 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Tue Mar 24, 2009 3:32 am
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - G S Kohli
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 14: G S KOHLI
---------------------

doston namaskaar, VBLC Sangeet ke Sitaare ki is kaDee mein aap sabhi ka swaagat
hai. doston, aakaash ki sundartaa keval chaand aur sooraj se hi naheen hai. inke
alaawaa bhi jo asankhya sitaare hain, jinmein se kuchh ujjwal hain to kuchh
dhundle, in sabhi ko ek saath lekar hi aakaash ki sundartaa poori hoti hai. yahi
baat film sangeet ke aakaash par bhi laagoo hoti hai. bhale hi kuchh fankaar
bahut zyaada prasiddha huye hon, film sangeet par jaise chhaaye rahe hon, lekin
inke alaawaa bhi bahut saare geetkaar, sangeetkaar aur gaayak gaayikaaen aise
bhi the jinka inke muqaable naam zaraa kam huya. lekin wohi baat, ki in sabhi ko
milaakar hi film sangeet saagar anmol motiyon se samriddha ho sakaa hai. in
kamcharchit kalaakaaron ke yogdaan ko agar alag kar diya jaaye, film sangeet ke
Khazaane se nikaal diya jaaye, to shaayad is Khazaane ki vividhataa Khatm ho
jaayegi, ekrastaa ka shikaar ho jaayegi yeh film sangeet jagat. isiliye VBLC
Sangeet Ke Sitaare salaam karti hai aise kamcharchit fankaaron ko.

--------------------------------------------------
Song: tumko piyaa dil diya kitne naaz se (Shikari)
--------------------------------------------------

film Shikari ke is 'hit' geet ko sunkar shaayad aap ne Theek Theek anumaan lagaa
liya hogaa ki hamaare aaj ke sitaare hain sangeetkaar G S Kohli. jee haan, G S
Kohli, ek bahut hi kamcharchit sangeetkaar, chand filmon mein hi unka sangeet
raha hai, lekin 'quantity' ko kuchh der ke liye bhool kar agar sirf 'quality'
par dhyaan den to G S Kohli bhi doosre agraNee sangeetkaaron ke muqaable kuchh
kam naheen hain. Lata Mangeshkar aur Usha Mangeshkar ne film Shikari ke is geet
ko san 1963 mein gaaya tha. iske 40 saal baad, yaani haal hi mein is geet ka
'remix version' banaa aur woh bhi Khoob chalaa. isi se andaazaa lagaaya jaa
sakta hai G S Kohli saahab ke dhunon ke asar ka. aise aise kai laajawaab geeton
ko apne sur lehriyon se sanwaaraa tha G S Kohli saahab ne. lekin mujhe afsos hai
doston ki unki zindagi aur safar ke baare mein main zyaadaa maaloomaat haasil
naheen kar paaya. Lata aur Usha ke gaaye is geet ke alaawaa is film mein Asha
aur Usha ne bhi ek yugal geet gaaya tha, kyun na yahaan par woh geet bhi sun
len! in dono geeton ko geetkaar Farooq Qaiser ne likha tha.

-----------------------------------------------
Song: maangee hai duyaaen hamne sanam (Shikari)
-----------------------------------------------

G S Kohli ka poora naam tha Gurusharan Singh Kohli. lekin film jagat mein woh
jaane gaye G S Kohli ke hi naam se. upalabdh jaankaari ke anusaar unka janm
Punjab mein san 1928 mein huya tha. dharm se woh sikh the lekin daaDhee-moonch
unhone naheen rakhee. jaane maane filmkaar D M Pancholi ne 1951 mein gaayak C H
Atma ko 'break' diya tha film Nagina mein aur 1952 mein sangeetkaar O P Nayyar
ko film Aasman mein. aur isi film se sangeetkaar O P Nayyar ke sahaayak bane G S
Kohli aur is tarah se woh tashreef le aaye film sangeet sangeet sansaar mein.

---------------------------------------------
Song: aaiye aap tashreef le aaiye (Naujawaan)
---------------------------------------------

Aasman aur Baaz jaisi filon mein O P Nayyar ko 'assist' karne ke baad to
kaamyaab filmon ki ek laDeee si lag gayi jinmein O P Nayyar ka sangeet tha aur G
S Kohli unke sahaayak the. kuchh aisi filmen hain - Aar Paar, Mr & Mrs 55, Hum
Sab Chor Hain, CID, Naya Daur, Mujrim, 12 O'Clock, Do Ustad, Ek Musafir Ek
Haseena, Kashmir Ki Kali, Mere Sanam, Sawan Ki Ghata, Mohabbat Zindagi Hai,
Bahaaren Phir Bhi Aayengi, aur Kismat. in sab filmon mein O P Nayyar ka sangeet
tha aur unhi ko mukhya roop se shrey jaata hai sangeet ki kaamyaabi ke liye.
lekin kyunki G S Kohli unke sahaayak the aur kahin na kahin ho saktaa hai ki
unka bhi thoDaa bahut yogdaan raha hogaa in filmon ke sangeet par, to yahaan par
kyun na O P Nayyar aur G S Kohli ko ek saath salaam karte huye jaldi jaldi aise
kuchh geeton ki jhalkiyaan sunte chalen...

---------------------------------------------
Clip: kabhi aar kabhi paar (Aar Paar)
Clip: ThanDi hawaa kaali ghaTaa (Mr & Mrs 55)
Clip: uDe jab jab zulfen teri (Naya Daur)
Clip: deewaana huya baadal (Kashmir Ki Kali)
Clip: jaaiye aap kahaan jaayenge (Mere Sanam)
---------------------------------------------

doston, ab yahaan se ham saal dar saal nazar dauDaaenge G S Kohli ke
sangeetbaddha filmon ke upar aur in filmon se chunkar gaane bhi sunwaaenge. to
shuru karte hain unke sangeet se sajee pehli film se. doston, aisa naheen tha ki
G S Kohli O P Nayyar ke sahaayak ke pad ko chhoDkar swatantra sangeetkaar bane
the. woh unke saath bhi juDe rahe aur saath hi saath apna sangeet nirdeshan ka
kaam bhi shuru kar diya. san 1960 mein unke sangeet se sajee pehli film aayi thi
Lambe Haath. D M Movies ke 'banner' tale is film ko nirdeshit kiya tha Krishna
Malik ne aur film ke mukhya kalaakaar the Mehmood, Naaz aur Daisy Irani. isi
film mein geetkaar Anjaan ne apna pehla 'hit' geet likha tha aur is tarah se yeh
geet Anjaan aur G S Kohli, dono ke filmi safar ka pehla 'hit' geet banaa. Mohd
Rafi ki aawaaz mein pesh hai wohi geet.

--------------------------------------------------
Song: pyaar ki raah dikhaa duniya ko (Lambe Haath)
--------------------------------------------------

Lambe Haath film ne bahut lambi paari to naheen khelee lekin G S Kohli
sangeetkaar ke haisiyat se 'film industry' ki nazar mein aa gaye. iske agle saal
yaani 1961 mein unke sangeet se sajee film aayi Mr India. Kamaljeet aur Geeta
Bali abhineet is film ke gaane likhe shaayar Jan Nisar Akhtar ne. is film mein
Asha Bhosle, Geeta Dutt aur Mohd Rafi ne geet gaaye. Rafi saahab ki aawaaz mein
is film ka ek geet yahaan pesh hai.

--------------------------------------------------------------
Song: kya soch raha matwaale duniya ke khel niraale (Mr India)
--------------------------------------------------------------

1963 mein film Faulaad mein G S Kohli aur Anjaan ek baar phir ikaTThe huye. isi
film ke ek geet ki kahaani sunaa rahe hain geetkaar Anjaan:

Anjaan speaks: aam logon ka yeh Khayaal hai ki filmi geet likhnaa baDaa aasaan
kaam hota hai. main ek kahaani aapko sunaata hoon jo meri film Faulaad se juDee
hai. iske ek gaane ke liye maine nayi shailee shuru kee jise baad mein bahuton
ne apnaaee. is gaane ke liye main har roz nayi 'line' likhkar le jaata aur har
din 'music director' (G S Kohli) ke dil ko woh chhoo naheen paati. aisa karte
karte mera vishvaas TooTne lagaa aur maine kahaa ki mujhse isse zyaada aur
naheen ho saktaa. to unhone kahaa ki aap aur koshish keejiye, zaroor aap kuchh
aur achchha likh paayenge. unkaa abhi tak mujhpar se vishvaas TooTa naheen tha.
to ek din main Andheri se Dadar tak 'local train' ke khachaakhach bhare Dibbe
mein baiThkar gaane ke teeno antare likh Daale aur 'recording' par le gaya.
'recording room' mein sabko gaana bahut pasand aaya. to suniye film Faulaad ka
wohi geet Asha Bhosle ki aawaaz mein.

------------------------------------
Song: paaon mein jhaanjhar (Faulaad)
------------------------------------

is waqt aap ne 'tune' kiya hai VBLC Sangeet Ke Sitaare, jiske antargat aaj ham
aapko sunwaa rahe hain guzre zamaane ke sangeetkaar G S Kohli ke swarbaddha
keeye huye gaane.

-----------------------------------------------
Song: agar main poochhoon jawaab doge (Shikari)
-----------------------------------------------

Lata Mangeshkar aur Mohd Rafi ki aawaazon mein yeh tha film Shikari ka yugal
geet, geetkaar the Farooq Qaiser. is geet ko agar Lata-Rafi ki jagah Asha-Rafi
ne gaaya hotaa to is geet ko sunkar O P Nayyar ke sangeet ki yaad aa jaati.
baharhaal, ham aa pahunche the san 1963 mein. film Faulaad ke alaawaa isi saal
aayi thi G S Kohli ki sabse kaamyaab filmon mein se ek film, Shikari. is film ka
har ek geet kaamyaab rahaa. Eagle Films ke 'banner' tale F C Mehra ne is film ka
nirmaaN kiya tha, kahaani Surinder mehra ki thi, paTkathaa Brajendra Gaur ka,
aur nirdeshan tha Mohd Hussain ka. Ajit aur Ragini abhineet is film ko agar aaj
yaad kiya jaata hai to keval iske geet sangeet ki vajah se. film Shikari mein 4
geet likhe Farooq Qaiser ne aur 2 geet Qamar Jalalabadi ne. yahaan par do geeton
ki jhalkiyaan ham pesh kar rahe hain, pehla geet Farooq Qaiser ka likha aur
Lata-Rafi ka gaaya huya hai, aur doosra geet Qamar saahab ka likha aur Asha
Bhosle ka gaaya huya hai, suniye yeh do geet.

--------------------------------------------------
Song: chaman ke phool bhi tujhko gulaab (Shikari)
Song: yeh rangeen mehfil gulaabi gulaabi (Shikari)
--------------------------------------------------

Shikari ki kaamyaabi ke baad 1964 mein G S Kohli ne sangeet diya film Char
Darvesh mein. is film mein unhe maukaa milaa geetkaar Raja Mehendi Ali Khan ke
likhe geeton ko swarbaddha karne ka. Homi Wadia nideshit is film ke mukhya
kalaakaar the Feroz Khan aur Sayeeda Khan. isi film mein Anjaan aur Saba Fazli
jaise geetkaaron ne bhi gaane likhe the. Shikari mein maheela yugal geeton ki
lokapriyataa ke baad G S Kohli ne kuchh aisa hi prayog is film mein bhi karne ki
koshish kee Asha Bhosle aur Usha Mangeshkar se phir ek baar ek yugal geet
gawaakar. Raja Mehendi Ali Khan ke likhe is geet mein kitni asar thi, yeh aap
Khud hi mehsoos keejiye is geet ko sunkar.

-----------------------------------------------------------
Song: taDpa le jitna chahe tera iKhtiyar hai (Char Darvesh)
-----------------------------------------------------------

Char Darvesh ek 'fantassy film' thi. 1965 mein bhi Kohli saahab ne ek 'stunt
film' mein sangeet diyaa - The Adventures of Robinhood. yeh film to piT gayi,
lekin isi saal Namasteji film ka sangeet chal paDaa. is film mein Mohd Rafi ka
gaaya aur Anand Bakshi ka likha "arre apne aanchal ki zara mujhko hawa dete
chalo", Lata aur Mukesh ka gaaya aur Anjaan ka likha "bahaaron thaam lo ab dil
mera mehboob aata hai", Anjaan ka hi likha aur Asha Bhosle ka gaaya "koi zaalim
bahaaron ke beech raha dil ko kheench" ullekhneeya hai, lekin is film ka sabse
lokapriya geet Lata Mangeshkar ki aawaaz mein hai aur geetkaar ek baar phir
Anjaan. suniye wohi geet.

---------------------------------------------------
Song: mere do naina matwaare kiske liye (Namasteji)
---------------------------------------------------

Namasteji film ke baad G S Kohli ke sangeet se sajee kuchh filmen aayeen, lekin
in filmon ke naa chalne se unkaa in filmon ke liye diya huya sangeet bhi kahin
kho gaya. leejiye yahaan par kuchh aisi filmon ke geeton ki jhalkiyaan sun lete
hain. yeh hai 1966 ki film Do Matwale mein Asha Bhosle aur Mahendra Kapoor ki
aawaazen...

-------------------------------------------------
Clip: aji o suno to mera dil gaya re (Do Matwale)
-------------------------------------------------

yeh hain ek baar phir Shikari ke us 'hit' geet ki yaad dilaati huyi Lata aur
Usha ka gaaya 1966 ki film Naujawan ka geet...

-------------------------------------------
Clip: majnoo sa aashiq mar gaya  (Naujawan)
-------------------------------------------

1967 mein film Sangdil mein ek baar phir se G S Kohli aur Anjaan ki joDee,
gaayak Mohd Rafi...

--------------------------------------------------------
Clip: din bure hote hain haalat bure hote hain (Sangdil)
--------------------------------------------------------

is gaane ke bolon ki tarah swatantra sangeetkaar ke roop mein G S Kohli ke
haalaat bhi naheen sudhre. 1968 mein Jung Aur Aman mein unka sangeetbaddha kiya
huya Rafi saahab ka gaaya aur Anjaan ka likha yeh gaana tha...

---------------------------------------------------
Clip: hai kya sharaarat kya ada hai (Jung Aur Aman)
---------------------------------------------------

G S Kohli ne 1969 mein Asha Bhosle aur Usha Mangeshkar se ek baar phir ek yugal
geet gawaaya, film thi Gunda...

----------------------------------------------
Clip: main ghabraaoon naTkhaT chhaliya (Gunda)
----------------------------------------------

aur isi saal, yaani ki 1969 mein G S Kohli ke sangeet nirdeshan mein unke
sangeet safar ki antim film aayi Jaalsaaz. Asha Bhosle ka gaaya loksangeet ke
rang mein rangaa huya yeh gaana suniye, geetkaar kaun? wohi, Shikari-waale
Farooq Qaiser!

-------------------------------------
Clip: dil to hamaar lai le (Jaalsaaz)
-------------------------------------

iske baad doston, G S Kohli ne kisi film mein swatantra roop se sangeet naheen
diya. O P Nayyar ke sahaayak ke roop mein unhone kab tak kaam kiya yeh to hamein
Theek se maaloom naheen hai. lekin unke 'filmography' par nazar dauDaaen to
pataa chalta hai ki 1968 ki mashoor film Kismat mein Nayyar aur Kohli saahab ka
aaKhri saath raha. iske baad G S Kohli film sangeet sansaar se kyun Gaayab ho
gaye, yeh to hamein naheen maaloom. 1969 mein 'retire' hone ke 27 saal baad, 25
July 1996 ko unka Bambai mein nidhan ho gayaa. aaj G S Kohli amar hain film
Shikari aur Namasteji ke sadaabahaar geeton ke zariye. unka yeh sureelaa sangeet
barson baras fizaayon mein goonjti rahegi, hamein bahalaati rahegi, taDpaati
rahegi, unki yaad dilaati rahegi!

---------------------------------------------------------
Song: yaad tori aayi main to chham chham roi re (Faulaad)
---------------------------------------------------------

THE END

References:

1. Filmography as Music Director from Listeners' Bulletin.
2. Filmography as Music Assistant from Hamara Forums post.
3. Songs Listing from earthmusic.net
4. Short Biography from Yogesh Jadhav's book (Courtesy: Ramaswamy)

#2192 From: Sujoy Chatterjee <soojoi_india@...>
Date:: Mon Mar 23, 2009 10:27 am
Subject:: Re: Vishesh Jaimala - Mehboob
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
yes, u r right, he addresses him by "music director of Hum Dil De Chuke Sanam" and not by his name.

--- On Mon, 3/23/09, Kaustubh Pingle <kcpingle@...> wrote:

From: Kaustubh Pingle <kcpingle@...>
Subject: Re: [vividhbharati] Vishesh Jaimala - Mehboob
To: vividhbharati@...
Date: Monday, March 23, 2009, 12:07 PM

Some of his songs are really superb
 
I read somewhere ( many years back ) that he had some differences with Ismail Darbar...even in this Jaimala it is apparent ;)
 
kcp

On Sun, Mar 22, 2009 at 6:50 PM, soojoi_india <soojoi_india@ yahoo.co. in> wrote:
fauji bhaaiyon, aap sabhi ko Mehboob ka aadaab. main Vividh Bharati ka bahut hi shukraguzaar hoon, aaj mujhe aap se baat karne ka inhone mauka diya hai. jaise ki Ghalib ka ek sher hai fauji bhaaiyon, "hazaaron Khwaahishen aisi ki har Khwaahish pe dam nikle, aur nikle mere armaan lekin kam nikle". sach poochhiye to armaan yeh hai ki sarhad par ham aayen, aamne saamne mulaaqaat ho, kuchh aapki sune, kuchh apni sunaayen, magar yahaan ham masroof, wahaan aap tainaat, aur hamaari taqdeer mein woh mulaaqaat naheen hai. isi mulaaqaat ko behetar samajhte huye aur phir ek baar Vividh Bharati ka shukriya adaa karte huye ham kuchh apni baaten karenge. ab ham aapki shaan mein kya keh sakte hain, hamaare paas na alfaaz hain na kalam. yeh jo qubaaniyaan aap hamaare liye dete hain, uske baare mein kehne ki hamaari auqaat hi naheen. sirf itna ham kar sakte hain ki aapka manoranjan kar len, 'entertainment' kar len, Vividh Bharati ke deeye huye is mauke ka faaydaa uThaate huye, apne baare mein kuchh baat kehte sunte huye. apni pasand ke kuchh gaane bhi aapki Khidmat mein pesh karoonga, mujhe ummeed hai ki aap unhe pasand karenge, seh lenge, bardaasht kar lenge. sabse pehle ek aisa gaana sunaana chaahta hoon jo Khaas taur se aapke liye likha gaya hai, aapke qurbaaniyon ke liye likha gaya hai, aur woh gaana hai film Haqeeqat ka, "kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon".

Song: kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)

faujiy bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki aap ko yeh gaana pasand aaya hogaa, mujhe yeh behad pasand hai. ab kuchh aage baat karte hain. main kuchh apne baare mein aapko bataana chaahta hoon, mere waalid Nasik ko 'belong' karte hain, ham Maharashtra, India ke hain. jab woh Mumbai aaye to baDi nird mushakkat se apni ek mukaam banaaee, jagah banaaee 'society' mein, Congress ke baDe 'gun worker' rahe woh. lekin unhone apni ek 'business' bhi shuru kee yahaan par. mera yeh taalluKh raha ki main 5th tak English Medium mein raha, English, Government School ka 'student' raha main, aur 5th ke baad mujhe shauk paidaa huya ki main Urdu paDhoon, shaayari samjhoon. pataa naheen lekin yeh Khwaab dil mein aa gaya. aur baDi zid karne ke baad mere waalid ne mujhe Urdu 'school' mein daaKhilaa diya. aur wahaan maine Iqbal, Zafar, Ghalib, Mir Taki Mir, inko paDhaa, aur likhne ka shauk paidaa huya. meri badkismati yeh rahi ki mere waalid apne 'social service' ki wajah se iske baDe 'against' rahe, is kaam ke, mere shauk ke. baharhaal maine is shauk ko panapne diya, aur aaj main 'I am very thankful to God', mujhe ek beTi dee parwardigaar ne, aur use bhi 'music' ka shauk hai, aur maine apne tajurbe ko nazar mein rakhte huye, ki kisi bhi insaan ko apne 'talent' ko, apne shauk ko dabaanaa naheen chaahiye kyunki eeshwar kahiye, Khudaa kahiye, bhagwaan kahiye, yeh uski taraf se 'gift' hoti hai, maine uski qadr kee, meri bachchi ne 'music' ka 'course' kiya, Trinity College of London se, A R Rahman ko 'assist' kiya uske, uske saath 'world tour' kiya, Ustad Sultan Khan saahab ki shaaGirdaa rahi, unse seekhaa, aur isi saal jo film 'release' huyi Ram Gopal Varma ki Contract, usmein usne ek gaana diya. phir ek ittefaaq ki baat bataata chaloon, ki Mehboob ko geetkaar Mehboob banaane mein usi Ram Gopal Varma ka haath tha, unhone hi mujhe pehli film Rangeela ke liye 'break' diya, meri beTi ko Ram Gopal Varma ne hi 'break' diya, yeh kismat ki ajeeb baat hai, isko kehte huye main fakr mehsoos karta hoon aur bahut shukraguzaar hoon main Khudaa ka.

ab aage baDhte huye aapko bataana chaahoonga us gaane ke baare mein jisko sun sun ke mujhmein likhne ka shauk paidaa huya. jaisa maine kahaa ki mere 'father' hamesha mere 'against' rahe, mere shauk ke, likhne ke, unka ek tasavvur tha, ki unkaa beTaa ek shaayar banke, mushaayare mein baiThke, sharaab pee ke kahin paDaa na ho! Galat Khayaal tha, kyunki main geetkaar banna chaahta tha. ab mujhe bachpan se shauk tha jinke gaano ka, woh the Hasrat saahab, jinko main apna roohaani guru maantaa hoon. Shankat Jaikishan saahab ka 'music', yaa Majrooh saahab keh len aap, Sahir saahab keh len, to meri ek aadat thi ki main in gaano ko 'cassette' par 'record' karwaata tha, raat ke waqt 'tape' lagaake, 'earphones' lagaake, in geeton ko sunaa karta tha, jinko sunkar mujhe gaano ko samajhne ki kashamataa aayi aur sochne lagaa ki itni Khoobsoorti se insaan 3 'minute' mein apne jazbaat, apne ahsaasaat ko 'music' mein Dhaalkar aapke saamne pesh karta hai. aise gaano ko main raaton ko jaag jaagkar suntaa tha, isse mere waalid naaraaz bhi hote the, lekin maine apne shauk ko palne diya, aur un tamaam gaano mein se ek gaana main aapko sunaana chaahta hoon, jo mujhe bahut pasand hai aur ummeed hai aapko bhi pasand hogaa, woh hai film Chori Chori ka, "yeh raat bheegi bheegi yeh mast fizaayen".

Song: yeh raat bheegi bheegi (Chori Chori)

kyun fauji bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki yeh gaana aapki pasand ka hi hogaa! ab main aapko kuchh aur bataana chaahta hoon. jab maine apne 'father' ka yeh ruKh dekhaa ki woh mere likhne ke Khilaaf hain, lekin mere zahan mein ek hi baat thi ki insaan ko chaahiye apne dil ko kam na hone de, main usi koshish mein laga raha, isi ummeed mein laga raha ki mujhe 'break' mile, mujhe ek mauka mile, har insaan ki zindagi mein 'struggle' ka ek 'period' aata hai, maine bhi bahut 'struggle' kiya, 10 saal guzar gaye, aur ek kahaawat maine suni hai ki jab insaan ummeed chhoD deta hai insaan se, waheen bhagwaan usey sahaara de dete hain. aap yakeen karen, ek din Ram Gopal Varma saahab ke wahaan se mujhe bulaawaa aaya, unhone 'announce' kiya ki 'main ek film banaa raha hoon Rangeela, iske 'music director' A R Rahman honge'. pehle to main chaunkaa ki kaise main kar paayunga itne azeem 'music director' ke saath kaam. magar Ram Gopal Varma ko bharosa tha mujhpe. main Madras gaya, aur pehla jo gaana likhne ka mujhe mauka milaa woh poori meri kahaani thi, ki kis tarah main chaahta tha ki itne baDe naamon mein mera bhi ek naam ho, is duniya se jaayun to mera bhi ek nishaan chhooTa rahe yahaan par, aur yeh mauka mila mujhe is jazbaat ko likhne ka, is gaane mein, film ke 'situation' ke mutaabik. Urmila ka kirdaar aisa tha ki woh ek 'actress' banna chaahti thi, naam karna chaahti thi, aur woh din mere bhi aise the ki main bhi chaahta tha ki mera bhi kuchh naam ho. fauji bhaaiyon, meri Khushkismati yeh rahi ki yeh meri zindagi ka pehla gaana tha jo hamne Rangeela ke liye 'record' kiya. yeh A R Rahman ki bhi pehli 'direct' Hindi film thi jo mere saath thi, aur mera pehla gaana jinhone gaaya woh sabse lokapriya, sabse har dil aziz gaayika hain Asha Bhosle-ji, unhone yeh gaana gaaya "yaai re yaai re zor lagaake naacho re".

Song: ho jaa rangeelaa re (Rangeela)

fauji bhaaiyon, ab is josh ko qaaayam rakhte huye jab maine apni tarakki dekhee, mera naam huya, jaisa ki maine us gaane mein likhaa, "baDe baDe naamon mein apna bhi naam-o-nishaan to ho", mera naam huya, har taraf mere geeton ke charche hone lage. ab zindagi ka safar shuru ho chuka tha. main ek mashoor geetkaar ho gaya. filmen aane lagi. usmein ek film aayi jiska main zikr zaroor karna chaahoonga, us film ka naam hai Hum Dil De Chuke Sanam. main aapko ek baat aur bataa doon ki 'creativity' jo hai woh kabhi bhi kisi bhi waqt aa jaati hai, maine us film ke 'music director' ke saath milkar is film ke 7 saal pehle hamne ek din aise hi baiThe baiThe ek gaana banaaya. ham beKhabar the is baat se ki is gaane ka anjaam kya hogaa. lekin jo bhi hoga achchha hogaa yeh ummeed thi. aur 7 saal baad jab us 'music director' ko hamaari film 'industry' ke azeem 'director' Sanjay Leela Bhansali ne jab 'break' diya Hum Dil De Chuke sanam mein, woh 'break', mujhe Khushi ho rahi hai yeh kehte huye ki woh isi gaane se milaa, aur woh gaana main aapko zaroor sunaana chaahoonga kyunki usmein mohabbat ka maine ek pehlu likha hai, usmein maine kuchh aisi baaten likhi hain, ek sufiaana qalaam hai, is geet ko sunkar mujhe ummeed hai ki aap ke bhi dil ro paDenge. to main chaahoonga ki aapki Khidmat mein main yeh gaana pesh karoon, gaane ka 'title' hai "taDap taDap ke is dil se aah nikalti rahi".

Song: taDap taDap ke is dil se (Hum Dil De Chuke Sanam)

doston, main ek baat to bataana bhool hi gaya ki meri Khushkismati yeh rahi ki mere 'career' ki shuruwaat ek bahut baDe 'director' ki film se huyi, yakeenan mujhe 'break' to Ram Gopal Varma-ji ne diya, ham Rangeela ke gaane 'record' kar rahe the, aur usi dauraan mere paas ek film hai jiska 'title' hai Bombay. aur azeem 'director' hamaari 'industry' ke, Maniratnam saahab, mujhe unke saath kaam karne ka mauka milaa, aur film Bombay likhne ka bhi mauka milaa, aur Bombay ke gaane baDe hi 'hit' huye hain. main ek chhoTi si aapko waaqya sunaa doon, ki Bombay ka ek baDaa hi mashoor gaana tha "hamma hamma". woh zindagi bhar mujhe yaad rahegaa, isliye yaad rahegaa fauji bhaaiyon, ki gaane ka agar ham mizaaj dekhen to baDaa 'peppy song' hai, baDaa hi chanchal sa geet hai woh, jis din maine us gaane ka mukhDaa likha, mujhe aaj bhi yaad hai, main aage baDh hi raha tha gaana 'complete' karne, mujhe ghar se 'phone' aaya, main Madras mein tha Rahman ke saath, aur mujhe 'phone' aaya, mere 'father' ki haalat naazuk hai, kisi bhi waqy kuchh bhi ho sakta hai. 'professional' hote huye main mukhDe ko Mani 'sir' ke paas le gaya, maine unko mukhDaa sunaaya, unhone 'final' kiya, unhone kahaa ki 'bahut achchha hai, aage likho', maine unse maafi chaahi aur kahaa ki aisi aisi baat hai, aur us aadmi ka badappan main zaroor kahoonga, unhone yeh naheen kahaa ki 'abhi to kuchh huya naheen hai na', unhone kahaa ki 'tumhe rehna hi naheen chaahiye tha, tumhe gaana naheen sunaana chaahiye tha, fauran yahaan se niklo, apne waalid ke paas pahuncho'. lekin eeshwar ko kuchh aur hi manzoor tha. yeh gaana isliye bhi yaad rahegaa, "hamma hamaa", ki ek alag hi mizaaj ka gaana tha yeh, naach kood tha, lekin jab main ghar pahuncha to unkaa inteqaal ho chuka tha, woh is duniya se jaa chuke the. baharhaal yeh meri qismat mein tha. lekin aaj main us film ka ek geet sunaana chaahoonga, isse main pehle bahut Dar gaya tha, mujhe aisa lagaa ki itna baDaa gaana hai, kaise alfaaz likh sakoonga ismein, Khayaal kaise likh sakoongaa, lekin, aur yakeen karenge aap, us raat, kyunki yeh mere shuru ke din the mere 'career' ke, main ghabraa gaya tha ki Maniratnam, A R rahman, jinhone Roja jaisi film dee hai, us gaane ko likh paayunga naheen paayunga, us raat meri aankh mein aansoo aa gaye the ki parwardigaar main is geet ko likh paayunga yaa naheen! lekin 'by the grace of God', bahut achchha raha, bahut 'hit' raha, main chaahta hoon ki aapki nazar yeh gaana karoon, film Bombay ka "kehna hi kya", jo meri bahut hi 'favourite singer' Chitra-ji ne gaaya tha.

Song: kehna hi kya yeh nayan ek anjaan se jaa mile (Bombay)

fauji bhaaiyon, jaise ki waqt ka taqaazaa hai, dil to naheen bharaa aap se baat karte huye, magar yeh chhoTi si mulaaqaat bhi main prasaad samajhke le loongaa, aur baDaa mazaa aaya aap se baat karke, jiske liye main ek baar phir se Vividh Bharati ka shukriya adaa karna chaahoongaa, aur uske alaawaa main apni 'film industry' ka bhi shukriya adaa karna chaahoonga ki unhone mujhe mauka diya, itna naam diya, itni shohrat dee ki aaj mujhe is haiseeyat ka samjhaa gaya ki main yahaan aakar aap se kuchh baat kar sakoon. ab jaane se pehle aaKhri geet jo aapki nazar karna chaahoongaa, woh mere bahut hi 'favourite music director' jinke saath mera 'career' shuru huya uar mere saath jinka 'career' shuru huya, A R Rahman ke baare mein yeh kehte huye chaloonga ki jab Hindustaan ki aazaadi ke 50 saal manaane ka waqt aaya to hamne sochaa ki ham ek 'album' nikaalenge, hamne sochaa ki 50 saal ki aazaadi ke is mauke par maadarewatan ko kya tohfaa denge, ham Madras mein mile, 'workout' kar rahe the ki kya karen, kaun sa gaana karen, aur mere zahan mein jo sabse pehli 'line' aayi, woh thi "maa tujhe salaam", aur us 'line' ko lekar Rahman ne ek gaana 'compose' kiya, aur us gaane ko maine likha, aur yeh gaana hamaari taraf se us 50-veen maadarewatan ki saalgirah par salaam ka tohfaa tha, salaam ka nazraana tha, jo hamne pesh kiya usko, aur jaate jaate yeh gaaana main aapko sunaana chaahoongaa. ab jaate jaate ummeed hai ki aapko mere pasand ke gaane pasand aaye honge, aur is ummeed se nikal raha hoon ki phir dobaara aap se zaroor mulaaqaat hogi, jai Hind, namaste!

Song: maa tujhe salaam (Maa Tujhe Salaam - Nonfilm: A R Rahman)

THE END

--
http://www.brahmana ndsingh.com/ RDB.htm

#2191 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Mon Mar 23, 2009 9:19 am
Subject:: Re: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
ramaswamy21in
Offline Offline
Send Email Send Email
 
I have this recorded. Will upload the same. Thanks for the
write up

Regards,
Ramaswamy
--- In vividhbharati@..., "soojoi_india" <soojoi_india@...> wrote:
>
> BHOOLE BISRE GEET - IQBAL QURESHI SPECIAL
> -----------------------------------------
>
> Broadcast Date: 21 March 2009
> -----------------------------
>
> Presented By: Amarkant Dubey
> ----------------------------
>
> Bhoole Bisre Geet ki ek aur haseen subah ke saath ham haazir hain. aaj hai 21
March. doston, aaj hi ke din, yaani 21 March 1998 ko sangeetkaar Iqbal Qureshi
is duniya-e-faani ko chhoD gaye the. woh to chale gaye lekin peechhe chhoD gaye
apne dilkash dhuno se sajaa sanvraa bahut saare meeThe sureele gaano ka
Khazaanaa, jinhe sunkar ham aaj bhi apna dil behlaate hain. Iqbal Qureshi ki
punyatithi ke avasar par unhe shraddha suman arpit karte huye ham aaj ka yeh
Bhoole Bisre Geet unhi ko samarpait kar rahe hain.
>
> ---------------------------------------------------------------
> Song: hamein dam daike sautan ghar jaa naa (yeh Dil Kisko Doon)
> ---------------------------------------------------------------
>
> Iqbal Qureshi ke sangeet nirdeshan mein yeh tha Yeh Dil Kisko Doon film ka
mujraa jise Qamar Jalalabadi ne likha aur Asha Bhosle aur Mubaraq Begum ne gaaya
tha. doston, Iqbal Qureshi bahut lambe kad ke the. is mujra geet ki mehfil mein
sangeet premee unhe isi lambe kad ke kaaraN spashT roop se pehchaan sakte hain.
unke dost ki hi film thi, isliye jab 'shooting' chal rahi thi to unhe bhi biThaa
diya gaya tha. chaliye Iqbal saahab ke suhaane naGhmon ke silsile ko aage
baDhaaen aur sune Lata Mangeshkar ka gaaya Banarsi Thug film ka ek baDaa hi
meeThaa saa geet. geet likha hai Prem Dhawan ne. lekin geet sunne se pehle Khud
Iqbal Qureshi saahab ki bolti huyi aawaaz mein suniye ki is film ke baare mein
unhone Vividh Bharati ke Jaimala kaaryakram mein kya kahaa tha:
>
> Iqbal Qureshi speaks: Kuldeep Sehgal ek 'producer' the aur Bhakri saahab ek
'director'. we Hemant Kumar aur Ghulam Mohammad jaise sangeetkaaron ke saath
kaam kar chuke the. un dono ne mujhe suna, sunkar ek kaaGaz thamaa dee jispar
teen picturon ka 'agreement' tha. we bole, 'Iqbal, aapne jitne bhi gaane abhi
sunaaye, woh sab hum apni filmon mein istemaal karenge'. Film Banarsi Thag ka
yeh geet suniye jise Lata Mangeshkar ne gaaya hai, aur unke saath hain 'chorus'.
>
> -----------------------------------------------------------
> Song: yaad suhaani teri bani zindagaani meri (Banarsi Thug)
> -----------------------------------------------------------
>
> sahee baat hai doston, Iqbal saahab ki in suhaani yaadon ko hamne aur aap ne
apne dil se lagaaye hain. aaj barson baras baad bhi yeh gaane utne hi pur-asar
hain jitne ki us zamaane mein the. film sangeet ka sunehra daur bhale beet
chukaa hai lekin woh Khazaanaa zaroor hamaare paas hai jinmein se jab bhi jee
chaahe ham motiyaan nikaal sakte hain, unhe ek baar phir se jee sakte hain. aisi
hi ek aur moti jo ab ham chunkar laaye hain aapke liye woh hai film Bindiya ka.
1960 mein bani film Bindiya Iqbal Qureshi ke 'career' ki ek mahatwapoorna film
rahi hai. is film mein Lata Mangeshkar aur Talat Mahmood ke gaaye gaane Khoob
Khoob sune aur saraahe gaye. aaj ham aapko sunwaa rahe hain Lataji ka gaaya aur
Rajinder Krishan ka likha yeh gaana.
>
> -----------------------------------------------------
> Song: itna na sataa ke koi jaane o deewaane (Bindiya)
> -----------------------------------------------------
>
> Rajinder Krishan aur Iqbal Qureshi ki joDee ke naam tha film Bindiya ka yeh
gaana. leejiye isi joDee ki ek aur film Love in Shimla ka ek geet yahaan par sun
lete hain Mohd Rafi aur Asha Bhosle ki aawaazon mein. yeh haasya ras par
aadhaarit geet hai jo bahut kam sunaa gaya hai. paashchaatya sangeet ke rang
mein Dhalaa huya hai yeh geet. bachpan mein Iqbal Qureshi paaschaatya sangeet
seekhaa karte the, jo aage chalkar unke kai 'compositions' mein kaam aaye.
>
> --------------------------------------------------------
> Song: eji idhar aao aa gaya ghoom jaayo (Love in Shimla)
> --------------------------------------------------------
>
> film Panchayat ki sureelee dhuno ke saath Iqbal Qureshi ne san 1958 mein Hindi
filmon mein pravesh kiya tha.
>
> Iqbal Qureshi speaks: bachpan se hi mujhe 'music' ka shauk tha. jab main 12/13
saal ka tha, jab Aurangabad 'radio station' par gaane gaaya karta tha. phir
Hyderabad mein jaakar mujhe mere kaam ke liye 'encouragement' mila. Wahaan ki jo
Khoobiyaan hain, Hyderabadi 'culture' mujhmein aayi. Hyderabad ke woh din mera
sunhera daur tha, waheen maine shohrat paayee jo zindegi ke liye, meri sangeet
zindegi ke liye aage chalkar bahut faaydemand saabit huya. mera pehla gaana tha
"ta thaiya karte aana", film Panchayat mein, jo kaafi 'hit' ho gaya tha jisse
mujhe aur bhi kai 'assignments' mile."
>
> doston, aaj ham yeh geet to naheen, lekin isi film ka ek doosra gaana sunwaa
rahe hain aapko, isey gaaya hai Mohd Rafi aur Geeta Dutt ne. geetkaar hain
Shaqeel Nomani.
>
> -----------------------------------------------------------
> Song: haal yeh kar diya zaalim tere taDpaane ne (Panchayat)
> -----------------------------------------------------------
>
> doston, Iqbal Qureshi ke swarbaddha geeton ko sunte huye aap ne yeh mehsoos
kiya hogaa ki inhone kuchh doosre sangeetkaaron ki tarah kisi chuninde geetkaar
ke saath joDee naheen banaaee, balki bahut saare geetkaaron ke geeton ko apne
suron mein Dhaalaa. Qamar Jalalabadi, Prem Dhawan, Rajinder Krishan aur Shaqeel
Nomani jaise geetkaaron ki rachnaaen ab tak aap ne sunee. ab suniye geetkaar
Shewan Rizvi ka likha aur Iqbal Qureshi ka sangeetbaddha kiya huya film Qawwali
Ki Raat ki ek qawwaali Mohd Rafi, Shamshad Begum aur saathiyon ki aawaazon mein.
>
> ---------------------------------------------------------
> Song: jaate jaate ek nazar bhar dekh lo (Qawwali Ki Raat)
> ---------------------------------------------------------
>
> Iqbal Qureshi kabhi kisi sangeetkaar ke sahaayak ke roop mein kaam naheen
kiya. woh seedhe swatantra sangeetkaar bane. shaayar Mkhdoom Mohiuddin unke
achchhe doston mein se the aur unke Ghazlon - nazmon ki tarzen tayyaar kiya
karte the. waapas aate hain unke filmi rachnaaon par. 1961 ki film Umarqaid ka
sangeet bhi mashoor huya tha. is film mein Mukesh ka gaaya "mujhe raat din yeh
Khayaal hai, woh nazar se mujhko gira na de" sab se zyaada lokapriya huya tha.
lekin kyunki yeh bhoole bisre geet ki mehfil hai, isliye ham ismein thoDe se
kamcharchit gaane sunwaane ki koshish karte hain. to leejiye is film se Asha
Bholse ka gaaya ek geet suniye, bol hain Hasrat Jaipuri ke.
>
> ---------------------------------
> Song: o piya jaana naa (Umarqaid)
> ---------------------------------
>
> 1958 mein Panchayat, 1960 mein Bindiya, Love in Shimla, 1961 mein Umarqaid,
Zamana Badal Gaya, 1962 mein Banarasi Thug, aur 1963 mein Yeh Dil Kisko Doon
jaisi filmon mein sangeet dene ke baad 1964 Iqbal Qureshi ke sangeet se sajee do
filmen aayeen, jismein se ek thi Qawwali Ki Raat, jiski ek qawwaali hamne thoDe
der pehle aapko sunwaaee. aur 1964 ki unki doosri film thi Cha Cha Cha. doston,
yeh film Iqbal Qureshi ke sangeet ki wajah se hi aaj yaad kee jaati hai. balki
Cha Cha Cha Iqbal Qureshi ke 'career' ki safaltam filmon mein se ek hai. is film
ke sabhi gaane mashoor huye. "ek chameli ke maDve tale" geet Khaasaa lokapriya
huya. is rumaani geet ko sunte hi shaayar Makhdoom Mohiuddin ki yaad aa jaati
hai. yeh geet asal mein unki ek mashoor nazm hai. Makhdoom saahab 3 February
1908 ko Andhra Pradesh ke shahar Medak mein paida huye the, aur 25 August 1969
ke din Delhi mein is jahaan-e-faani se ruKhsat ho gaye. is nazm ki ek dilchasp
baat yeh hai ki nirmaata nirdeshak Raj Khosla ne Makhdoom saahab se isey sirf
600 rupay nazraane ke ehwaz mein le rakha tha, lekin woh apni kisi film mein
iska istemaal naheen kar paa rahe the. ek 'party' mein unki mulaaqaat abhinetaa
Chandrashekhar se huyi. Chandrashekhar un dino film Cha Cha Cha banaa rahe the.
Raj Khosla saahab ne salaah dee ki yadi is rumaani nazm ko is 'musical film' ke
saath joD diya jaaye, to behad faayda hoga, kyunki film Cha Cha Cha sangeetkaar
Iqbal Qureshi ki film thi aur Iqbal Qureshi ne is nazm ki pehle se hi dhun banaa
rakhi thi, isliye baat ban gayi. aur parde par yeh nazm Saleem aur Anaarkali ke
taareeKhee kirdaaron par filmaayi gayi. yeh kirdaar 'imagination' mein
Chandrashekhar aur Helen ne nibhaaye. Khair doston, aaj is waqt Cha Cha Cha film
ka jo geet ham aap tak pahuncha rahe hain woh hai Neeraj ka likha aur Rafi
saahab ka gaaya huya, aur geet hai yeh...
>
> -----------------------------------------------
> Song: subah na aayi shaam na aayi (Cha Cha Cha)
> -----------------------------------------------
>
> badkismatee se film Cha Cha Cha ke baad Iqbal Qureshi dheere dheere peechhe ki
taraf luDhakne lage. unke sangeet se sajee ek do filmen saal dar saal aati rahi
aur jaati rahi. na to yeh filmen chaleen aur na hi in filmon ke sangeet ki taraf
logon ne zyaada dhyaan diya. kuchh naam aapko ginwaate hain in filmon ki. yeh
filmen theen - 1966 mein Sarhadi Lutera, 1967 mein Mohabbat Aur Jung, 1970 mein
Do Thug, 1971 mein Shaan-e-Khuda, 1973 mein Alam Ara, 1974 mein Dastane-e-Laila
Majnu, 1976 mein Bombay By Night, 1977 mein Dil Aur Patthar, 1978 mein
Sultan-e-Hind, 1981 mein Khwaja Ki Deewani, 1982 mein Nek Parveen, 1982 mein
Preet Na Jaane Reet, 1983 mein Bismillah Ki Barkat, 1990 mein Jeene Ki Sazaa,
aur 1991 mein Lakhpati. inke alaawaa ek aur film thi Pyar Bana Afsana. yeh film
naheen pradarshit ho paayi, lekin iske sangeet ko jaari kar diya gaya. sunte
hain isi film se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ka gaaya Aziz qaisi ka likha yeh
gaana.
>
> -----------------------------------------------------
> Song: kahoji tumhe kisse pyaar hai (Pyar Bana Afsana)
> -----------------------------------------------------
>
> doston, Iqbal Qureshi ki bhale hi bahut zyaada charcha naheen huyi, film
sangeetkaaron ki soochee mein kuchh kam jaane pehchaane se reh gaye, lekin isse
kuchh fark naheen paDtaa kyunki unhone jo amar dhune dee hain wohi aaj zubaan
ban gaye hain unki pratibhaa ke. aaj woh is bazm se uThkar chale gaye hain
zaroor, lekin unki rachnaaen, unki tarzen aisi bazm-e-mehfilon ko barson baras
mehkaati rahengi, aabaad karti rahengi. aaj ka yeh Bhoole Bisre Geet kaaryakram
samarpit tha sangeetkaar Iqbal Qureshi ki punya smriti ko. ab deejiye Amarkant
ko ijaazat, namaste!
>
> ----------------------------------------------------------
> Song: aaj ek bazm se main luT ke chalaa (Pyar Bana Afsana)
> ----------------------------------------------------------
>
> THE END
>

#2190 From: Kaustubh Pingle <kcpingle@...>
Date:: Mon Mar 23, 2009 6:37 am
Subject:: Re: Vishesh Jaimala - Mehboob
kcpingle
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Some of his songs are really superb
I read somewhere ( many years back ) that he had some differences with Ismail Darbar...even in this Jaimala it is apparent ;)
kcp

On Sun, Mar 22, 2009 at 6:50 PM, soojoi_india <soojoi_india@...> wrote:

fauji bhaaiyon, aap sabhi ko Mehboob ka aadaab. main Vividh Bharati ka bahut hi shukraguzaar hoon, aaj mujhe aap se baat karne ka inhone mauka diya hai. jaise ki Ghalib ka ek sher hai fauji bhaaiyon, "hazaaron Khwaahishen aisi ki har Khwaahish pe dam nikle, aur nikle mere armaan lekin kam nikle". sach poochhiye to armaan yeh hai ki sarhad par ham aayen, aamne saamne mulaaqaat ho, kuchh aapki sune, kuchh apni sunaayen, magar yahaan ham masroof, wahaan aap tainaat, aur hamaari taqdeer mein woh mulaaqaat naheen hai. isi mulaaqaat ko behetar samajhte huye aur phir ek baar Vividh Bharati ka shukriya adaa karte huye ham kuchh apni baaten karenge. ab ham aapki shaan mein kya keh sakte hain, hamaare paas na alfaaz hain na kalam. yeh jo qubaaniyaan aap hamaare liye dete hain, uske baare mein kehne ki hamaari auqaat hi naheen. sirf itna ham kar sakte hain ki aapka manoranjan kar len, 'entertainment' kar len, Vividh Bharati ke deeye huye is mauke ka faaydaa uThaate huye, apne baare mein kuchh baat kehte sunte huye. apni pasand ke kuchh gaane bhi aapki Khidmat mein pesh karoonga, mujhe ummeed hai ki aap unhe pasand karenge, seh lenge, bardaasht kar lenge. sabse pehle ek aisa gaana sunaana chaahta hoon jo Khaas taur se aapke liye likha gaya hai, aapke qurbaaniyon ke liye likha gaya hai, aur woh gaana hai film Haqeeqat ka, "kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon".

Song: kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)

faujiy bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki aap ko yeh gaana pasand aaya hogaa, mujhe yeh behad pasand hai. ab kuchh aage baat karte hain. main kuchh apne baare mein aapko bataana chaahta hoon, mere waalid Nasik ko 'belong' karte hain, ham Maharashtra, India ke hain. jab woh Mumbai aaye to baDi nird mushakkat se apni ek mukaam banaaee, jagah banaaee 'society' mein, Congress ke baDe 'gun worker' rahe woh. lekin unhone apni ek 'business' bhi shuru kee yahaan par. mera yeh taalluKh raha ki main 5th tak English Medium mein raha, English, Government School ka 'student' raha main, aur 5th ke baad mujhe shauk paidaa huya ki main Urdu paDhoon, shaayari samjhoon. pataa naheen lekin yeh Khwaab dil mein aa gaya. aur baDi zid karne ke baad mere waalid ne mujhe Urdu 'school' mein daaKhilaa diya. aur wahaan maine Iqbal, Zafar, Ghalib, Mir Taki Mir, inko paDhaa, aur likhne ka shauk paidaa huya. meri badkismati yeh rahi ki mere waalid apne 'social service' ki wajah se iske baDe 'against' rahe, is kaam ke, mere shauk ke. baharhaal maine is shauk ko panapne diya, aur aaj main 'I am very thankful to God', mujhe ek beTi dee parwardigaar ne, aur use bhi 'music' ka shauk hai, aur maine apne tajurbe ko nazar mein rakhte huye, ki kisi bhi insaan ko apne 'talent' ko, apne shauk ko dabaanaa naheen chaahiye kyunki eeshwar kahiye, Khudaa kahiye, bhagwaan kahiye, yeh uski taraf se 'gift' hoti hai, maine uski qadr kee, meri bachchi ne 'music' ka 'course' kiya, Trinity College of London se, A R Rahman ko 'assist' kiya uske, uske saath 'world tour' kiya, Ustad Sultan Khan saahab ki shaaGirdaa rahi, unse seekhaa, aur isi saal jo film 'release' huyi Ram Gopal Varma ki Contract, usmein usne ek gaana diya. phir ek ittefaaq ki baat bataata chaloon, ki Mehboob ko geetkaar Mehboob banaane mein usi Ram Gopal Varma ka haath tha, unhone hi mujhe pehli film Rangeela ke liye 'break' diya, meri beTi ko Ram Gopal Varma ne hi 'break' diya, yeh kismat ki ajeeb baat hai, isko kehte huye main fakr mehsoos karta hoon aur bahut shukraguzaar hoon main Khudaa ka.

ab aage baDhte huye aapko bataana chaahoonga us gaane ke baare mein jisko sun sun ke mujhmein likhne ka shauk paidaa huya. jaisa maine kahaa ki mere 'father' hamesha mere 'against' rahe, mere shauk ke, likhne ke, unka ek tasavvur tha, ki unkaa beTaa ek shaayar banke, mushaayare mein baiThke, sharaab pee ke kahin paDaa na ho! Galat Khayaal tha, kyunki main geetkaar banna chaahta tha. ab mujhe bachpan se shauk tha jinke gaano ka, woh the Hasrat saahab, jinko main apna roohaani guru maantaa hoon. Shankat Jaikishan saahab ka 'music', yaa Majrooh saahab keh len aap, Sahir saahab keh len, to meri ek aadat thi ki main in gaano ko 'cassette' par 'record' karwaata tha, raat ke waqt 'tape' lagaake, 'earphones' lagaake, in geeton ko sunaa karta tha, jinko sunkar mujhe gaano ko samajhne ki kashamataa aayi aur sochne lagaa ki itni Khoobsoorti se insaan 3 'minute' mein apne jazbaat, apne ahsaasaat ko 'music' mein Dhaalkar aapke saamne pesh karta hai. aise gaano ko main raaton ko jaag jaagkar suntaa tha, isse mere waalid naaraaz bhi hote the, lekin maine apne shauk ko palne diya, aur un tamaam gaano mein se ek gaana main aapko sunaana chaahta hoon, jo mujhe bahut pasand hai aur ummeed hai aapko bhi pasand hogaa, woh hai film Chori Chori ka, "yeh raat bheegi bheegi yeh mast fizaayen".

Song: yeh raat bheegi bheegi (Chori Chori)

kyun fauji bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki yeh gaana aapki pasand ka hi hogaa! ab main aapko kuchh aur bataana chaahta hoon. jab maine apne 'father' ka yeh ruKh dekhaa ki woh mere likhne ke Khilaaf hain, lekin mere zahan mein ek hi baat thi ki insaan ko chaahiye apne dil ko kam na hone de, main usi koshish mein laga raha, isi ummeed mein laga raha ki mujhe 'break' mile, mujhe ek mauka mile, har insaan ki zindagi mein 'struggle' ka ek 'period' aata hai, maine bhi bahut 'struggle' kiya, 10 saal guzar gaye, aur ek kahaawat maine suni hai ki jab insaan ummeed chhoD deta hai insaan se, waheen bhagwaan usey sahaara de dete hain. aap yakeen karen, ek din Ram Gopal Varma saahab ke wahaan se mujhe bulaawaa aaya, unhone 'announce' kiya ki 'main ek film banaa raha hoon Rangeela, iske 'music director' A R Rahman honge'. pehle to main chaunkaa ki kaise main kar paayunga itne azeem 'music director' ke saath kaam. magar Ram Gopal Varma ko bharosa tha mujhpe. main Madras gaya, aur pehla jo gaana likhne ka mujhe mauka milaa woh poori meri kahaani thi, ki kis tarah main chaahta tha ki itne baDe naamon mein mera bhi ek naam ho, is duniya se jaayun to mera bhi ek nishaan chhooTa rahe yahaan par, aur yeh mauka mila mujhe is jazbaat ko likhne ka, is gaane mein, film ke 'situation' ke mutaabik. Urmila ka kirdaar aisa tha ki woh ek 'actress' banna chaahti thi, naam karna chaahti thi, aur woh din mere bhi aise the ki main bhi chaahta tha ki mera bhi kuchh naam ho. fauji bhaaiyon, meri Khushkismati yeh rahi ki yeh meri zindagi ka pehla gaana tha jo hamne Rangeela ke liye 'record' kiya. yeh A R Rahman ki bhi pehli 'direct' Hindi film thi jo mere saath thi, aur mera pehla gaana jinhone gaaya woh sabse lokapriya, sabse har dil aziz gaayika hain Asha Bhosle-ji, unhone yeh gaana gaaya "yaai re yaai re zor lagaake naacho re".

Song: ho jaa rangeelaa re (Rangeela)

fauji bhaaiyon, ab is josh ko qaaayam rakhte huye jab maine apni tarakki dekhee, mera naam huya, jaisa ki maine us gaane mein likhaa, "baDe baDe naamon mein apna bhi naam-o-nishaan to ho", mera naam huya, har taraf mere geeton ke charche hone lage. ab zindagi ka safar shuru ho chuka tha. main ek mashoor geetkaar ho gaya. filmen aane lagi. usmein ek film aayi jiska main zikr zaroor karna chaahoonga, us film ka naam hai Hum Dil De Chuke Sanam. main aapko ek baat aur bataa doon ki 'creativity' jo hai woh kabhi bhi kisi bhi waqt aa jaati hai, maine us film ke 'music director' ke saath milkar is film ke 7 saal pehle hamne ek din aise hi baiThe baiThe ek gaana banaaya. ham beKhabar the is baat se ki is gaane ka anjaam kya hogaa. lekin jo bhi hoga achchha hogaa yeh ummeed thi. aur 7 saal baad jab us 'music director' ko hamaari film 'industry' ke azeem 'director' Sanjay Leela Bhansali ne jab 'break' diya Hum Dil De Chuke sanam mein, woh 'break', mujhe Khushi ho rahi hai yeh kehte huye ki woh isi gaane se milaa, aur woh gaana main aapko zaroor sunaana chaahoonga kyunki usmein mohabbat ka maine ek pehlu likha hai, usmein maine kuchh aisi baaten likhi hain, ek sufiaana qalaam hai, is geet ko sunkar mujhe ummeed hai ki aap ke bhi dil ro paDenge. to main chaahoonga ki aapki Khidmat mein main yeh gaana pesh karoon, gaane ka 'title' hai "taDap taDap ke is dil se aah nikalti rahi".

Song: taDap taDap ke is dil se (Hum Dil De Chuke Sanam)

doston, main ek baat to bataana bhool hi gaya ki meri Khushkismati yeh rahi ki mere 'career' ki shuruwaat ek bahut baDe 'director' ki film se huyi, yakeenan mujhe 'break' to Ram Gopal Varma-ji ne diya, ham Rangeela ke gaane 'record' kar rahe the, aur usi dauraan mere paas ek film hai jiska 'title' hai Bombay. aur azeem 'director' hamaari 'industry' ke, Maniratnam saahab, mujhe unke saath kaam karne ka mauka milaa, aur film Bombay likhne ka bhi mauka milaa, aur Bombay ke gaane baDe hi 'hit' huye hain. main ek chhoTi si aapko waaqya sunaa doon, ki Bombay ka ek baDaa hi mashoor gaana tha "hamma hamma". woh zindagi bhar mujhe yaad rahegaa, isliye yaad rahegaa fauji bhaaiyon, ki gaane ka agar ham mizaaj dekhen to baDaa 'peppy song' hai, baDaa hi chanchal sa geet hai woh, jis din maine us gaane ka mukhDaa likha, mujhe aaj bhi yaad hai, main aage baDh hi raha tha gaana 'complete' karne, mujhe ghar se 'phone' aaya, main Madras mein tha Rahman ke saath, aur mujhe 'phone' aaya, mere 'father' ki haalat naazuk hai, kisi bhi waqy kuchh bhi ho sakta hai. 'professional' hote huye main mukhDe ko Mani 'sir' ke paas le gaya, maine unko mukhDaa sunaaya, unhone 'final' kiya, unhone kahaa ki 'bahut achchha hai, aage likho', maine unse maafi chaahi aur kahaa ki aisi aisi baat hai, aur us aadmi ka badappan main zaroor kahoonga, unhone yeh naheen kahaa ki 'abhi to kuchh huya naheen hai na', unhone kahaa ki 'tumhe rehna hi naheen chaahiye tha, tumhe gaana naheen sunaana chaahiye tha, fauran yahaan se niklo, apne waalid ke paas pahuncho'. lekin eeshwar ko kuchh aur hi manzoor tha. yeh gaana isliye bhi yaad rahegaa, "hamma hamaa", ki ek alag hi mizaaj ka gaana tha yeh, naach kood tha, lekin jab main ghar pahuncha to unkaa inteqaal ho chuka tha, woh is duniya se jaa chuke the. baharhaal yeh meri qismat mein tha. lekin aaj main us film ka ek geet sunaana chaahoonga, isse main pehle bahut Dar gaya tha, mujhe aisa lagaa ki itna baDaa gaana hai, kaise alfaaz likh sakoonga ismein, Khayaal kaise likh sakoongaa, lekin, aur yakeen karenge aap, us raat, kyunki yeh mere shuru ke din the mere 'career' ke, main ghabraa gaya tha ki Maniratnam, A R rahman, jinhone Roja jaisi film dee hai, us gaane ko likh paayunga naheen paayunga, us raat meri aankh mein aansoo aa gaye the ki parwardigaar main is geet ko likh paayunga yaa naheen! lekin 'by the grace of God', bahut achchha raha, bahut 'hit' raha, main chaahta hoon ki aapki nazar yeh gaana karoon, film Bombay ka "kehna hi kya", jo meri bahut hi 'favourite singer' Chitra-ji ne gaaya tha.

Song: kehna hi kya yeh nayan ek anjaan se jaa mile (Bombay)

fauji bhaaiyon, jaise ki waqt ka taqaazaa hai, dil to naheen bharaa aap se baat karte huye, magar yeh chhoTi si mulaaqaat bhi main prasaad samajhke le loongaa, aur baDaa mazaa aaya aap se baat karke, jiske liye main ek baar phir se Vividh Bharati ka shukriya adaa karna chaahoongaa, aur uske alaawaa main apni 'film industry' ka bhi shukriya adaa karna chaahoonga ki unhone mujhe mauka diya, itna naam diya, itni shohrat dee ki aaj mujhe is haiseeyat ka samjhaa gaya ki main yahaan aakar aap se kuchh baat kar sakoon. ab jaane se pehle aaKhri geet jo aapki nazar karna chaahoongaa, woh mere bahut hi 'favourite music director' jinke saath mera 'career' shuru huya uar mere saath jinka 'career' shuru huya, A R Rahman ke baare mein yeh kehte huye chaloonga ki jab Hindustaan ki aazaadi ke 50 saal manaane ka waqt aaya to hamne sochaa ki ham ek 'album' nikaalenge, hamne sochaa ki 50 saal ki aazaadi ke is mauke par maadarewatan ko kya tohfaa denge, ham Madras mein mile, 'workout' kar rahe the ki kya karen, kaun sa gaana karen, aur mere zahan mein jo sabse pehli 'line' aayi, woh thi "maa tujhe salaam", aur us 'line' ko lekar Rahman ne ek gaana 'compose' kiya, aur us gaane ko maine likha, aur yeh gaana hamaari taraf se us 50-veen maadarewatan ki saalgirah par salaam ka tohfaa tha, salaam ka nazraana tha, jo hamne pesh kiya usko, aur jaate jaate yeh gaaana main aapko sunaana chaahoongaa. ab jaate jaate ummeed hai ki aapko mere pasand ke gaane pasand aaye honge, aur is ummeed se nikal raha hoon ki phir dobaara aap se zaroor mulaaqaat hogi, jai Hind, namaste!

Song: maa tujhe salaam (Maa Tujhe Salaam - Nonfilm: A R Rahman)

THE END

--
http://www.brahmanandsingh.com/RDB.htm

#2189 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Mar 22, 2009 2:50 pm
Subject:: Vishesh Jaimala - Mehboob
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
fauji bhaaiyon, aap sabhi ko Mehboob ka aadaab. main Vividh Bharati ka bahut hi
shukraguzaar hoon, aaj mujhe aap se baat karne ka inhone mauka diya hai. jaise
ki Ghalib ka ek sher hai fauji bhaaiyon, "hazaaron Khwaahishen aisi ki har
Khwaahish pe dam nikle, aur nikle mere armaan lekin kam nikle". sach poochhiye
to armaan yeh hai ki sarhad par ham aayen, aamne saamne mulaaqaat ho, kuchh
aapki sune, kuchh apni sunaayen, magar yahaan ham masroof, wahaan aap tainaat,
aur hamaari taqdeer mein woh mulaaqaat naheen hai. isi mulaaqaat ko behetar
samajhte huye aur phir ek baar Vividh Bharati ka shukriya adaa karte huye ham
kuchh apni baaten karenge. ab ham aapki shaan mein kya keh sakte hain, hamaare
paas na alfaaz hain na kalam. yeh jo qubaaniyaan aap hamaare liye dete hain,
uske baare mein kehne ki hamaari auqaat hi naheen. sirf itna ham kar sakte hain
ki aapka manoranjan kar len, 'entertainment' kar len, Vividh Bharati ke deeye
huye is mauke ka faaydaa uThaate huye, apne baare mein kuchh baat kehte sunte
huye. apni pasand ke kuchh gaane bhi aapki Khidmat mein pesh karoonga, mujhe
ummeed hai ki aap unhe pasand karenge, seh lenge, bardaasht kar lenge. sabse
pehle ek aisa gaana sunaana chaahta hoon jo Khaas taur se aapke liye likha gaya
hai, aapke qurbaaniyon ke liye likha gaya hai, aur woh gaana hai film Haqeeqat
ka, "kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon".

Song: kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon (Haqeeqat)

faujiy bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki aap ko yeh gaana pasand aaya hogaa, mujhe
yeh behad pasand hai. ab kuchh aage baat karte hain. main kuchh apne baare mein
aapko bataana chaahta hoon, mere waalid Nasik ko 'belong' karte hain, ham
Maharashtra, India ke hain. jab woh Mumbai aaye to baDi nird mushakkat se apni
ek mukaam banaaee, jagah banaaee 'society' mein, Congress ke baDe 'gun worker'
rahe woh. lekin unhone apni ek 'business' bhi shuru kee yahaan par. mera yeh
taalluKh raha ki main 5th tak English Medium mein raha, English, Government
School ka 'student' raha main, aur 5th ke baad mujhe shauk paidaa huya ki main
Urdu paDhoon, shaayari samjhoon. pataa naheen lekin yeh Khwaab dil mein aa gaya.
aur baDi zid karne ke baad mere waalid ne mujhe Urdu 'school' mein daaKhilaa
diya. aur wahaan maine Iqbal, Zafar, Ghalib, Mir Taki Mir, inko paDhaa, aur
likhne ka shauk paidaa huya. meri badkismati yeh rahi ki mere waalid apne
'social service' ki wajah se iske baDe 'against' rahe, is kaam ke, mere shauk
ke. baharhaal maine is shauk ko panapne diya, aur aaj main 'I am very thankful
to God', mujhe ek beTi dee parwardigaar ne, aur use bhi 'music' ka shauk hai,
aur maine apne tajurbe ko nazar mein rakhte huye, ki kisi bhi insaan ko apne
'talent' ko, apne shauk ko dabaanaa naheen chaahiye kyunki eeshwar kahiye,
Khudaa kahiye, bhagwaan kahiye, yeh uski taraf se 'gift' hoti hai, maine uski
qadr kee, meri bachchi ne 'music' ka 'course' kiya, Trinity College of London
se, A R Rahman ko 'assist' kiya uske, uske saath 'world tour' kiya, Ustad Sultan
Khan saahab ki shaaGirdaa rahi, unse seekhaa, aur isi saal jo film 'release'
huyi Ram Gopal Varma ki Contract, usmein usne ek gaana diya. phir ek ittefaaq ki
baat bataata chaloon, ki Mehboob ko geetkaar Mehboob banaane mein usi Ram Gopal
Varma ka haath tha, unhone hi mujhe pehli film Rangeela ke liye 'break' diya,
meri beTi ko Ram Gopal Varma ne hi 'break' diya, yeh kismat ki ajeeb baat hai,
isko kehte huye main fakr mehsoos karta hoon aur bahut shukraguzaar hoon main
Khudaa ka.

ab aage baDhte huye aapko bataana chaahoonga us gaane ke baare mein jisko sun
sun ke mujhmein likhne ka shauk paidaa huya. jaisa maine kahaa ki mere 'father'
hamesha mere 'against' rahe, mere shauk ke, likhne ke, unka ek tasavvur tha, ki
unkaa beTaa ek shaayar banke, mushaayare mein baiThke, sharaab pee ke kahin
paDaa na ho! Galat Khayaal tha, kyunki main geetkaar banna chaahta tha. ab mujhe
bachpan se shauk tha jinke gaano ka, woh the Hasrat saahab, jinko main apna
roohaani guru maantaa hoon. Shankat Jaikishan saahab ka 'music', yaa Majrooh
saahab keh len aap, Sahir saahab keh len, to meri ek aadat thi ki main in gaano
ko 'cassette' par 'record' karwaata tha, raat ke waqt 'tape' lagaake,
'earphones' lagaake, in geeton ko sunaa karta tha, jinko sunkar mujhe gaano ko
samajhne ki kashamataa aayi aur sochne lagaa ki itni Khoobsoorti se insaan 3
'minute' mein apne jazbaat, apne ahsaasaat ko 'music' mein Dhaalkar aapke saamne
pesh karta hai. aise gaano ko main raaton ko jaag jaagkar suntaa tha, isse mere
waalid naaraaz bhi hote the, lekin maine apne shauk ko palne diya, aur un tamaam
gaano mein se ek gaana main aapko sunaana chaahta hoon, jo mujhe bahut pasand
hai aur ummeed hai aapko bhi pasand hogaa, woh hai film Chori Chori ka, "yeh
raat bheegi bheegi yeh mast fizaayen".

Song: yeh raat bheegi bheegi (Chori Chori)

kyun fauji bhaaiyon, mujhe ummeed hai ki yeh gaana aapki pasand ka hi hogaa! ab
main aapko kuchh aur bataana chaahta hoon. jab maine apne 'father' ka yeh ruKh
dekhaa ki woh mere likhne ke Khilaaf hain, lekin mere zahan mein ek hi baat thi
ki insaan ko chaahiye apne dil ko kam na hone de, main usi koshish mein laga
raha, isi ummeed mein laga raha ki mujhe 'break' mile, mujhe ek mauka mile, har
insaan ki zindagi mein 'struggle' ka ek 'period' aata hai, maine bhi bahut
'struggle' kiya, 10 saal guzar gaye, aur ek kahaawat maine suni hai ki jab
insaan ummeed chhoD deta hai insaan se, waheen bhagwaan usey sahaara de dete
hain. aap yakeen karen, ek din Ram Gopal Varma saahab ke wahaan se mujhe
bulaawaa aaya, unhone 'announce' kiya ki 'main ek film banaa raha hoon Rangeela,
iske 'music director' A R Rahman honge'. pehle to main chaunkaa ki kaise main
kar paayunga itne azeem 'music director' ke saath kaam. magar Ram Gopal Varma ko
bharosa tha mujhpe. main Madras gaya, aur pehla jo gaana likhne ka mujhe mauka
milaa woh poori meri kahaani thi, ki kis tarah main chaahta tha ki itne baDe
naamon mein mera bhi ek naam ho, is duniya se jaayun to mera bhi ek nishaan
chhooTa rahe yahaan par, aur yeh mauka mila mujhe is jazbaat ko likhne ka, is
gaane mein, film ke 'situation' ke mutaabik. Urmila ka kirdaar aisa tha ki woh
ek 'actress' banna chaahti thi, naam karna chaahti thi, aur woh din mere bhi
aise the ki main bhi chaahta tha ki mera bhi kuchh naam ho. fauji bhaaiyon, meri
Khushkismati yeh rahi ki yeh meri zindagi ka pehla gaana tha jo hamne Rangeela
ke liye 'record' kiya. yeh A R Rahman ki bhi pehli 'direct' Hindi film thi jo
mere saath thi, aur mera pehla gaana jinhone gaaya woh sabse lokapriya, sabse
har dil aziz gaayika hain Asha Bhosle-ji, unhone yeh gaana gaaya "yaai re yaai
re zor lagaake naacho re".

Song: ho jaa rangeelaa re (Rangeela)

fauji bhaaiyon, ab is josh ko qaaayam rakhte huye jab maine apni tarakki dekhee,
mera naam huya, jaisa ki maine us gaane mein likhaa, "baDe baDe naamon mein apna
bhi naam-o-nishaan to ho", mera naam huya, har taraf mere geeton ke charche hone
lage. ab zindagi ka safar shuru ho chuka tha. main ek mashoor geetkaar ho gaya.
filmen aane lagi. usmein ek film aayi jiska main zikr zaroor karna chaahoonga,
us film ka naam hai Hum Dil De Chuke Sanam. main aapko ek baat aur bataa doon ki
'creativity' jo hai woh kabhi bhi kisi bhi waqt aa jaati hai, maine us film ke
'music director' ke saath milkar is film ke 7 saal pehle hamne ek din aise hi
baiThe baiThe ek gaana banaaya. ham beKhabar the is baat se ki is gaane ka
anjaam kya hogaa. lekin jo bhi hoga achchha hogaa yeh ummeed thi. aur 7 saal
baad jab us 'music director' ko hamaari film 'industry' ke azeem 'director'
Sanjay Leela Bhansali ne jab 'break' diya Hum Dil De Chuke sanam mein, woh
'break', mujhe Khushi ho rahi hai yeh kehte huye ki woh isi gaane se milaa, aur
woh gaana main aapko zaroor sunaana chaahoonga kyunki usmein mohabbat ka maine
ek pehlu likha hai, usmein maine kuchh aisi baaten likhi hain, ek sufiaana
qalaam hai, is geet ko sunkar mujhe ummeed hai ki aap ke bhi dil ro paDenge. to
main chaahoonga ki aapki Khidmat mein main yeh gaana pesh karoon, gaane ka
'title' hai "taDap taDap ke is dil se aah nikalti rahi".

Song: taDap taDap ke is dil se (Hum Dil De Chuke Sanam)

doston, main ek baat to bataana bhool hi gaya ki meri Khushkismati yeh rahi ki
mere 'career' ki shuruwaat ek bahut baDe 'director' ki film se huyi, yakeenan
mujhe 'break' to Ram Gopal Varma-ji ne diya, ham Rangeela ke gaane 'record' kar
rahe the, aur usi dauraan mere paas ek film hai jiska 'title' hai Bombay. aur
azeem 'director' hamaari 'industry' ke, Maniratnam saahab, mujhe unke saath kaam
karne ka mauka milaa, aur film Bombay likhne ka bhi mauka milaa, aur Bombay ke
gaane baDe hi 'hit' huye hain. main ek chhoTi si aapko waaqya sunaa doon, ki
Bombay ka ek baDaa hi mashoor gaana tha "hamma hamma". woh zindagi bhar mujhe
yaad rahegaa, isliye yaad rahegaa fauji bhaaiyon, ki gaane ka agar ham mizaaj
dekhen to baDaa 'peppy song' hai, baDaa hi chanchal sa geet hai woh, jis din
maine us gaane ka mukhDaa likha, mujhe aaj bhi yaad hai, main aage baDh hi raha
tha gaana 'complete' karne, mujhe ghar se 'phone' aaya, main Madras mein tha
Rahman ke saath, aur mujhe 'phone' aaya, mere 'father' ki haalat naazuk hai,
kisi bhi waqy kuchh bhi ho sakta hai. 'professional' hote huye main mukhDe ko
Mani 'sir' ke paas le gaya, maine unko mukhDaa sunaaya, unhone 'final' kiya,
unhone kahaa ki 'bahut achchha hai, aage likho', maine unse maafi chaahi aur
kahaa ki aisi aisi baat hai, aur us aadmi ka badappan main zaroor kahoonga,
unhone yeh naheen kahaa ki 'abhi to kuchh huya naheen hai na', unhone kahaa ki
'tumhe rehna hi naheen chaahiye tha, tumhe gaana naheen sunaana chaahiye tha,
fauran yahaan se niklo, apne waalid ke paas pahuncho'. lekin eeshwar ko kuchh
aur hi manzoor tha. yeh gaana isliye bhi yaad rahegaa, "hamma hamaa", ki ek alag
hi mizaaj ka gaana tha yeh, naach kood tha, lekin jab main ghar pahuncha to
unkaa inteqaal ho chuka tha, woh is duniya se jaa chuke the. baharhaal yeh meri
qismat mein tha. lekin aaj main us film ka ek geet sunaana chaahoonga, isse main
pehle bahut Dar gaya tha, mujhe aisa lagaa ki itna baDaa gaana hai, kaise alfaaz
likh sakoonga ismein, Khayaal kaise likh sakoongaa, lekin, aur yakeen karenge
aap, us raat, kyunki yeh mere shuru ke din the mere 'career' ke, main ghabraa
gaya tha ki Maniratnam, A R rahman, jinhone Roja jaisi film dee hai, us gaane ko
likh paayunga naheen paayunga, us raat meri aankh mein aansoo aa gaye the ki
parwardigaar main is geet ko likh paayunga yaa naheen! lekin 'by the grace of
God', bahut achchha raha, bahut 'hit' raha, main chaahta hoon ki aapki nazar yeh
gaana karoon, film Bombay ka "kehna hi kya", jo meri bahut hi 'favourite singer'
Chitra-ji ne gaaya tha.

Song: kehna hi kya yeh nayan ek anjaan se jaa mile (Bombay)

fauji bhaaiyon, jaise ki waqt ka taqaazaa hai, dil to naheen bharaa aap se baat
karte huye, magar yeh chhoTi si mulaaqaat bhi main prasaad samajhke le loongaa,
aur baDaa mazaa aaya aap se baat karke, jiske liye main ek baar phir se Vividh
Bharati ka shukriya adaa karna chaahoongaa, aur uske alaawaa main apni 'film
industry' ka bhi shukriya adaa karna chaahoonga ki unhone mujhe mauka diya, itna
naam diya, itni shohrat dee ki aaj mujhe is haiseeyat ka samjhaa gaya ki main
yahaan aakar aap se kuchh baat kar sakoon. ab jaane se pehle aaKhri geet jo
aapki nazar karna chaahoongaa, woh mere bahut hi 'favourite music director'
jinke saath mera 'career' shuru huya uar mere saath jinka 'career' shuru huya, A
R Rahman ke baare mein yeh kehte huye chaloonga ki jab Hindustaan ki aazaadi ke
50 saal manaane ka waqt aaya to hamne sochaa ki ham ek 'album' nikaalenge, hamne
sochaa ki 50 saal ki aazaadi ke is mauke par maadarewatan ko kya tohfaa denge,
ham Madras mein mile, 'workout' kar rahe the ki kya karen, kaun sa gaana karen,
aur mere zahan mein jo sabse pehli 'line' aayi, woh thi "maa tujhe salaam", aur
us 'line' ko lekar Rahman ne ek gaana 'compose' kiya, aur us gaane ko maine
likha, aur yeh gaana hamaari taraf se us 50-veen maadarewatan ki saalgirah par
salaam ka tohfaa tha, salaam ka nazraana tha, jo hamne pesh kiya usko, aur jaate
jaate yeh gaaana main aapko sunaana chaahoongaa. ab jaate jaate ummeed hai ki
aapko mere pasand ke gaane pasand aaye honge, aur is ummeed se nikal raha hoon
ki phir dobaara aap se zaroor mulaaqaat hogi, jai Hind, namaste!

Song: maa tujhe salaam (Maa Tujhe Salaam - Nonfilm: A R Rahman)

THE END

#2188 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Mar 22, 2009 2:50 pm
Subject:: Bhoole Bisre Geet - Iqbal Qureshi Special
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
BHOOLE BISRE GEET - IQBAL QURESHI SPECIAL
-----------------------------------------

Broadcast Date: 21 March 2009
-----------------------------

Presented By: Amarkant Dubey
----------------------------

Bhoole Bisre Geet ki ek aur haseen subah ke saath ham haazir hain. aaj hai 21
March. doston, aaj hi ke din, yaani 21 March 1998 ko sangeetkaar Iqbal Qureshi
is duniya-e-faani ko chhoD gaye the. woh to chale gaye lekin peechhe chhoD gaye
apne dilkash dhuno se sajaa sanvraa bahut saare meeThe sureele gaano ka
Khazaanaa, jinhe sunkar ham aaj bhi apna dil behlaate hain. Iqbal Qureshi ki
punyatithi ke avasar par unhe shraddha suman arpit karte huye ham aaj ka yeh
Bhoole Bisre Geet unhi ko samarpait kar rahe hain.

---------------------------------------------------------------
Song: hamein dam daike sautan ghar jaa naa (yeh Dil Kisko Doon)
---------------------------------------------------------------

Iqbal Qureshi ke sangeet nirdeshan mein yeh tha Yeh Dil Kisko Doon film ka
mujraa jise Qamar Jalalabadi ne likha aur Asha Bhosle aur Mubaraq Begum ne gaaya
tha. doston, Iqbal Qureshi bahut lambe kad ke the. is mujra geet ki mehfil mein
sangeet premee unhe isi lambe kad ke kaaraN spashT roop se pehchaan sakte hain.
unke dost ki hi film thi, isliye jab 'shooting' chal rahi thi to unhe bhi biThaa
diya gaya tha. chaliye Iqbal saahab ke suhaane naGhmon ke silsile ko aage
baDhaaen aur sune Lata Mangeshkar ka gaaya Banarsi Thug film ka ek baDaa hi
meeThaa saa geet. geet likha hai Prem Dhawan ne. lekin geet sunne se pehle Khud
Iqbal Qureshi saahab ki bolti huyi aawaaz mein suniye ki is film ke baare mein
unhone Vividh Bharati ke Jaimala kaaryakram mein kya kahaa tha:

Iqbal Qureshi speaks: Kuldeep Sehgal ek 'producer' the aur Bhakri saahab ek
'director'. we Hemant Kumar aur Ghulam Mohammad jaise sangeetkaaron ke saath
kaam kar chuke the. un dono ne mujhe suna, sunkar ek kaaGaz thamaa dee jispar
teen picturon ka 'agreement' tha. we bole, 'Iqbal, aapne jitne bhi gaane abhi
sunaaye, woh sab hum apni filmon mein istemaal karenge'. Film Banarsi Thag ka
yeh geet suniye jise Lata Mangeshkar ne gaaya hai, aur unke saath hain 'chorus'.

-----------------------------------------------------------
Song: yaad suhaani teri bani zindagaani meri (Banarsi Thug)
-----------------------------------------------------------

sahee baat hai doston, Iqbal saahab ki in suhaani yaadon ko hamne aur aap ne
apne dil se lagaaye hain. aaj barson baras baad bhi yeh gaane utne hi pur-asar
hain jitne ki us zamaane mein the. film sangeet ka sunehra daur bhale beet
chukaa hai lekin woh Khazaanaa zaroor hamaare paas hai jinmein se jab bhi jee
chaahe ham motiyaan nikaal sakte hain, unhe ek baar phir se jee sakte hain. aisi
hi ek aur moti jo ab ham chunkar laaye hain aapke liye woh hai film Bindiya ka.
1960 mein bani film Bindiya Iqbal Qureshi ke 'career' ki ek mahatwapoorna film
rahi hai. is film mein Lata Mangeshkar aur Talat Mahmood ke gaaye gaane Khoob
Khoob sune aur saraahe gaye. aaj ham aapko sunwaa rahe hain Lataji ka gaaya aur
Rajinder Krishan ka likha yeh gaana.

-----------------------------------------------------
Song: itna na sataa ke koi jaane o deewaane (Bindiya)
-----------------------------------------------------

Rajinder Krishan aur Iqbal Qureshi ki joDee ke naam tha film Bindiya ka yeh
gaana. leejiye isi joDee ki ek aur film Love in Shimla ka ek geet yahaan par sun
lete hain Mohd Rafi aur Asha Bhosle ki aawaazon mein. yeh haasya ras par
aadhaarit geet hai jo bahut kam sunaa gaya hai. paashchaatya sangeet ke rang
mein Dhalaa huya hai yeh geet. bachpan mein Iqbal Qureshi paaschaatya sangeet
seekhaa karte the, jo aage chalkar unke kai 'compositions' mein kaam aaye.

--------------------------------------------------------
Song: eji idhar aao aa gaya ghoom jaayo (Love in Shimla)
--------------------------------------------------------

film Panchayat ki sureelee dhuno ke saath Iqbal Qureshi ne san 1958 mein Hindi
filmon mein pravesh kiya tha.

Iqbal Qureshi speaks: bachpan se hi mujhe 'music' ka shauk tha. jab main 12/13
saal ka tha, jab Aurangabad 'radio station' par gaane gaaya karta tha. phir
Hyderabad mein jaakar mujhe mere kaam ke liye 'encouragement' mila. Wahaan ki jo
Khoobiyaan hain, Hyderabadi 'culture' mujhmein aayi. Hyderabad ke woh din mera
sunhera daur tha, waheen maine shohrat paayee jo zindegi ke liye, meri sangeet
zindegi ke liye aage chalkar bahut faaydemand saabit huya. mera pehla gaana tha
"ta thaiya karte aana", film Panchayat mein, jo kaafi 'hit' ho gaya tha jisse
mujhe aur bhi kai 'assignments' mile."

doston, aaj ham yeh geet to naheen, lekin isi film ka ek doosra gaana sunwaa
rahe hain aapko, isey gaaya hai Mohd Rafi aur Geeta Dutt ne. geetkaar hain
Shaqeel Nomani.

-----------------------------------------------------------
Song: haal yeh kar diya zaalim tere taDpaane ne (Panchayat)
-----------------------------------------------------------

doston, Iqbal Qureshi ke swarbaddha geeton ko sunte huye aap ne yeh mehsoos kiya
hogaa ki inhone kuchh doosre sangeetkaaron ki tarah kisi chuninde geetkaar ke
saath joDee naheen banaaee, balki bahut saare geetkaaron ke geeton ko apne suron
mein Dhaalaa. Qamar Jalalabadi, Prem Dhawan, Rajinder Krishan aur Shaqeel Nomani
jaise geetkaaron ki rachnaaen ab tak aap ne sunee. ab suniye geetkaar Shewan
Rizvi ka likha aur Iqbal Qureshi ka sangeetbaddha kiya huya film Qawwali Ki Raat
ki ek qawwaali Mohd Rafi, Shamshad Begum aur saathiyon ki aawaazon mein.

---------------------------------------------------------
Song: jaate jaate ek nazar bhar dekh lo (Qawwali Ki Raat)
---------------------------------------------------------

Iqbal Qureshi kabhi kisi sangeetkaar ke sahaayak ke roop mein kaam naheen kiya.
woh seedhe swatantra sangeetkaar bane. shaayar Mkhdoom Mohiuddin unke achchhe
doston mein se the aur unke Ghazlon - nazmon ki tarzen tayyaar kiya karte the.
waapas aate hain unke filmi rachnaaon par. 1961 ki film Umarqaid ka sangeet bhi
mashoor huya tha. is film mein Mukesh ka gaaya "mujhe raat din yeh Khayaal hai,
woh nazar se mujhko gira na de" sab se zyaada lokapriya huya tha. lekin kyunki
yeh bhoole bisre geet ki mehfil hai, isliye ham ismein thoDe se kamcharchit
gaane sunwaane ki koshish karte hain. to leejiye is film se Asha Bholse ka gaaya
ek geet suniye, bol hain Hasrat Jaipuri ke.

---------------------------------
Song: o piya jaana naa (Umarqaid)
---------------------------------

1958 mein Panchayat, 1960 mein Bindiya, Love in Shimla, 1961 mein Umarqaid,
Zamana Badal Gaya, 1962 mein Banarasi Thug, aur 1963 mein Yeh Dil Kisko Doon
jaisi filmon mein sangeet dene ke baad 1964 Iqbal Qureshi ke sangeet se sajee do
filmen aayeen, jismein se ek thi Qawwali Ki Raat, jiski ek qawwaali hamne thoDe
der pehle aapko sunwaaee. aur 1964 ki unki doosri film thi Cha Cha Cha. doston,
yeh film Iqbal Qureshi ke sangeet ki wajah se hi aaj yaad kee jaati hai. balki
Cha Cha Cha Iqbal Qureshi ke 'career' ki safaltam filmon mein se ek hai. is film
ke sabhi gaane mashoor huye. "ek chameli ke maDve tale" geet Khaasaa lokapriya
huya. is rumaani geet ko sunte hi shaayar Makhdoom Mohiuddin ki yaad aa jaati
hai. yeh geet asal mein unki ek mashoor nazm hai. Makhdoom saahab 3 February
1908 ko Andhra Pradesh ke shahar Medak mein paida huye the, aur 25 August 1969
ke din Delhi mein is jahaan-e-faani se ruKhsat ho gaye. is nazm ki ek dilchasp
baat yeh hai ki nirmaata nirdeshak Raj Khosla ne Makhdoom saahab se isey sirf
600 rupay nazraane ke ehwaz mein le rakha tha, lekin woh apni kisi film mein
iska istemaal naheen kar paa rahe the. ek 'party' mein unki mulaaqaat abhinetaa
Chandrashekhar se huyi. Chandrashekhar un dino film Cha Cha Cha banaa rahe the.
Raj Khosla saahab ne salaah dee ki yadi is rumaani nazm ko is 'musical film' ke
saath joD diya jaaye, to behad faayda hoga, kyunki film Cha Cha Cha sangeetkaar
Iqbal Qureshi ki film thi aur Iqbal Qureshi ne is nazm ki pehle se hi dhun banaa
rakhi thi, isliye baat ban gayi. aur parde par yeh nazm Saleem aur Anaarkali ke
taareeKhee kirdaaron par filmaayi gayi. yeh kirdaar 'imagination' mein
Chandrashekhar aur Helen ne nibhaaye. Khair doston, aaj is waqt Cha Cha Cha film
ka jo geet ham aap tak pahuncha rahe hain woh hai Neeraj ka likha aur Rafi
saahab ka gaaya huya, aur geet hai yeh...

-----------------------------------------------
Song: subah na aayi shaam na aayi (Cha Cha Cha)
-----------------------------------------------

badkismatee se film Cha Cha Cha ke baad Iqbal Qureshi dheere dheere peechhe ki
taraf luDhakne lage. unke sangeet se sajee ek do filmen saal dar saal aati rahi
aur jaati rahi. na to yeh filmen chaleen aur na hi in filmon ke sangeet ki taraf
logon ne zyaada dhyaan diya. kuchh naam aapko ginwaate hain in filmon ki. yeh
filmen theen - 1966 mein Sarhadi Lutera, 1967 mein Mohabbat Aur Jung, 1970 mein
Do Thug, 1971 mein Shaan-e-Khuda, 1973 mein Alam Ara, 1974 mein Dastane-e-Laila
Majnu, 1976 mein Bombay By Night, 1977 mein Dil Aur Patthar, 1978 mein
Sultan-e-Hind, 1981 mein Khwaja Ki Deewani, 1982 mein Nek Parveen, 1982 mein
Preet Na Jaane Reet, 1983 mein Bismillah Ki Barkat, 1990 mein Jeene Ki Sazaa,
aur 1991 mein Lakhpati. inke alaawaa ek aur film thi Pyar Bana Afsana. yeh film
naheen pradarshit ho paayi, lekin iske sangeet ko jaari kar diya gaya. sunte
hain isi film se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ka gaaya Aziz qaisi ka likha yeh
gaana.

-----------------------------------------------------
Song: kahoji tumhe kisse pyaar hai (Pyar Bana Afsana)
-----------------------------------------------------

doston, Iqbal Qureshi ki bhale hi bahut zyaada charcha naheen huyi, film
sangeetkaaron ki soochee mein kuchh kam jaane pehchaane se reh gaye, lekin isse
kuchh fark naheen paDtaa kyunki unhone jo amar dhune dee hain wohi aaj zubaan
ban gaye hain unki pratibhaa ke. aaj woh is bazm se uThkar chale gaye hain
zaroor, lekin unki rachnaaen, unki tarzen aisi bazm-e-mehfilon ko barson baras
mehkaati rahengi, aabaad karti rahengi. aaj ka yeh Bhoole Bisre Geet kaaryakram
samarpit tha sangeetkaar Iqbal Qureshi ki punya smriti ko. ab deejiye Amarkant
ko ijaazat, namaste!

----------------------------------------------------------
Song: aaj ek bazm se main luT ke chalaa (Pyar Bana Afsana)
----------------------------------------------------------

THE END

#2187 From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Date:: Fri Mar 20, 2009 4:11 am
Subject:: songs of gulaal
sajeevsarathie
Offline Offline
Send Email Send Email
 
hi dear,
if u like to listen something that is not usual, then songs of gulaal is for u, very inspiring poetry from piyush mishra, if u wish u can hear some of the album's songs here -

http://podcast.hindyugm.com/2009/03/piyush-mishra-new-avtaar-as-composer.html

thanks

--
सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@...
www.hindyugm.com
09871123997

#2186 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sat Mar 14, 2009 5:21 am
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Anjum Jaipuri
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 13: ANJUM JAIPURI
-------------------------

VBLC Sangeet Ke Sitaare mein ham ek ke baad ek sangeet sitaaron ki yaadon ke
parwaan chaDhte jaa rahe hain. woh sangeet sitaare jo apne zamaane mein film
sangeet jagat mein prasiddha ho gaye the lekin aaj unki yaaden logon ko thoDi si
kam aati hain, yaa phir aise sangeet sitaare jo shuru se hi doosre fankaaron ki
tulnaa mein thoDe se kam charchaa mein rahe. aaj bhi ham ek aise hi sitaare ko
shaamil kiya hai, jo ek umdaa shaayar aur geetkaar rahe hain, lekin aaj jab
sunehre daur ke geetkaaron ki baat chalti hai to inka naam kabhi kabhi chhooT
bhi jaata hai. lekin apne fan mein yeh doosre geetkaar aur shaayaron se kisi bhi
tarah se kam naheen the. isliye VBLC Sangeet Ke Sitaare ki rawaayat ke mutaabik
ham aaj salaam kar rahe hain azeem shaayar aur filmi geetkaar Anjum Jaipuri ko.

-------------------------------------
Song: yeh kiski yaad aa gayi (Rajput)
-------------------------------------

"yeh kiski yaad aa gayi, bahaar banke chhaa gayi, dil bhi beqaraar hai, tera
intezaar hai". jee haan doston, bahaar bankar chhaa rahi hai geetkaar Anjum
Jaipuri ki yaaden aur gaane aaj ke VBLC Sangeet Ke Sitaare mein. Suraiyya ke
gaaye Rajput film ke is geet ko swarbaddha kiya tha sangeetkaar Hansraj Behl ne.
aise hi aur na jaane kitne geeton se film sangeet mein bahaar lekar aaye the
shaayar aur geetkaar Anjum Jaipuri. aaj yeh gaane guzre zamaane ke anmol naGhmen
bankar reh gaye hain. yeh gaane bhale hi aaj kahin se zyaada sunaaee na dete hon
lekin puraane film sangeet ke jaankaar aur chaahnewaalon ke dil ki vaadiyon mein
yeh gaane zaroor goonjte honge. aur aaj ham aise hi shrotaaon ke liye unki yeh
yaaden taazaa kar rahe hain, aur hamein poora poora yakeen hai ki aise shrotaa
aaj is kaaryakram ko sunkar Khushi se jhoom uThenge, kuchh is tarah...

---------------------------------------------------
Song: sakhi ri mera man naache (Shri Ganesh Mahima)
---------------------------------------------------

Shri Ganesh Mahima film ke is geet ko sunkar aapko is baat ka andaazaa ho gaya
hoga ki Anjum Jaipuri jahaan ek taraf Urdu ke azeem shaayar the, waheen shuddh
Hindi mein geet likhne mein bhi utne hi maahir the. doston, chaliye ab Anjum
saahab ke sangeet safar ki shuruwaat ke dino mein chalte hain. Anjum saahab ka
asli naam tha Usman Khan Rahmani, Anjum unka taKhallus tha. rehnewaale Jaipur ke
the, is tarah se Usman Khan Rahmani ban gaye Anjum Jaipuri. isi naam se unhone
adabee aur film sangeet jagat mein apni shaayari ke johar dikhaaye. aisa hi ek
johar yahaan pesh kar rahe hain, yeh ek Gair filmi rachanaa hai Mukesh ki aawaaz
mein.

--------------------------------------------------------------
Song: ham bhool gaye raahen in chaandni raaton mein (Non-film)
--------------------------------------------------------------

Anjum Jaipuri ka filmi safar shuru huya san 1949 mein film Shaukeen se. us
zamaane ke jaane maane nirdeshak Nanubhai Bhatt, jo Mahesh Bhatt ke pitaa the,
ne Anjum saahab ko pehli baar kisi film mein geet likhne ka mauka diya tha. film
Shaukeen ke sangeetkaar the Chitragupt. is film mein Chitragupt ne Anjum saahab
se do gaane likhwaaye. doston, abhi ham aapko inmein se ek geet sunwaayenge,
lekin usse pehle suniye ek aur geet ki jhalak...

--------------------------------------------------------
Clip: chal prem nagar jaayega batla o taangewaale (Jeet)
--------------------------------------------------------

is geet ko sunkar aap zaroor chaunke honge yeh sochkar ki yeh to film Jeet ka
geet hai jise Anand Bakshi saahab ne likha tha, to is geet ka bhala Anjum
Jaipuri ke kaaryakram mein kya kaam! doston, hamne is geet ki jhalak isliye
sunwaaya kyunki Anjum Jaipuri ka likha film Shaukeen ka ek gaana kuchh isi tarah
ka hai, zaraa suniye to sahi, unke likhe is geet ke aadhaar par hi to film Jeet
ka woh geet banaa tha!

---------------------------------------------------------------
Song: o taangewaale kya loge tum premnagar hai jaana (Shaukeen)
---------------------------------------------------------------

Shaukeen ek 'stunt film' thi jo naheen chalee, lekin achchhe film sangeet ke
shaukeenon ne in geeton ko poore shauk se sunaa, film ke nirdeshak ko bhi yeh
gaane pasand aaye. aur shaayad yahi wajah thi ki aage chalkar Nanubhai Bhatt ke
kai filmon mein Anjum Jaipuri aur Chitragupt ki joDee nazar aayi aur is joDee
kai madhur geet sunnewaalon ko deeye. 1949 mein hi Anjum Jaipuri ke likhe geet
goonje ek aur film mein jiska naam tha Veer Ghatotkach. Nanubhai Bhatt nirdeshit
aur Shahu Modak aur Meena Kumari abhineet is film ke sangeetkaar Chitragupt
naheen balki S N Tripathi the. Veer GHatotkach mein Anjum saahab ne Anjum
Rahmani ke naam se geet likhe. 1950 mein Nanubhai Bhatt, Chitragupt aur Anjum
Jaipuri ek baar phir saath saath aaye film Hamara Ghar mein. is film ke gaane us
zamaane mein Khoob pasand keeye gaye the.

----------------------------------------------------
Song: dekho dil hi dil mein jalte hain (Hamara Ghar)
----------------------------------------------------

dhaarmik filmon ke 'genre' ki agar ham baat karen to kai aise sangeetkaar hain
jo is 'genre' ke filmon mein sangeet dene ke liye mashoor the. jaise ki Avinash
Vyas, Shankarrao Vyas, S N Tripathi, aur Chitragupt bhi. is tarah se Chitragupt
ke saath kaam karte huye geetkaar Anjum Jaipuri ne bhi kai dhaarmik filmon mein
gaane likhe. 1950 mein Shri Ganesh Mahima aur Veer Babruvahan jaisi dhaarmik
filmen bani thi. Shri Ganesh Mahima film ka ek geet to ham aapko sunwa hi chuke
hain, to yahaan par suniye Veer Babruvahan film ka ek geet .

--------------------------------------------------------------
Song: naari tere jeevan ki yeh karuN kahaani (Veer Babruvahan)
--------------------------------------------------------------

aisi baat naheen hai ki Anjum Jaipuri ne keval Chitragupt ke liye hi gaane
likhe. 1951 mein Anjum saahab ne 4 filmon mein gaane likhe. yeh filmen theen
Daaman, Rajput, Hanuman Patal Vijay aur Hamari Shaan. Daaman mein K Datta ka
sangeet tha. Rajput mein sangeet tha Hansraj Behl ka aur is film mein Anjum
Jaipuri ke alaawaa bhi bahut saare geetkaaron ne gaane likhe the jaise ki Moti
BA, Asad Bhopali, Kaif Irfani, Varma Malik, Indeevar, Rajinder Krishan aur
Bharat Vyas. S N Tripathi ka sangeet goonja tha Hanuman Patal Vijay mein, aur
Chitragupt ke liye ek baar phir Anjum saahab ne geet likhe film Hamari Shaan
mein. is film mein unka likha ek geet Geeta Roy ne gaaya tha jo kaafi pasand
kiya gaya. suniye wohi geet.

-----------------------------------------------------
Song: jeene ki Khushi na marne ka Gham (Hamari Shaan)
-----------------------------------------------------

Homi Wadia ki 1952 ki film Alladin Aur Jadui Chirag aur isi saal Oma Khayyam ki
film Annadata mein geet likhe Anjum Jaipuri ne. inmein kram se S N Tripathi aur
Mohd Shafi ka sangeet tha. achchhe geet sangeet ke hote huye bhi yeh filmen
naheen chalee. film ke saath saath yeh gaane bhi na jaane kahaan kho jaate the.
Lata Mangeshkar ki aawaaz mein Annadata film ka yeh geet jaise ro ro kar unke hi
dil ki vyathaa keh rahi hai...

-------------------------------------------------------------
Song: kuchh der hansi aati hai kuchh der mein rona (Annadata)
-------------------------------------------------------------

Anjum Jaipuri aur Chitragupt ki joDee ne agle kai saalon tak saath saath kaam
kiya aur bahut saare filmon mein achchha geet sangeet diya jinhe logon ne Khoob
saraahaa. yeh filmen theen Sindbad The Sailor, Dara, Khoj, Navdurga, Sultanat,
Toote Khilaune, Shahi Mehmaan, Talwar Ka Dhani, Insaf, Sultana Daku, Tajposhi,
Chalbaaz, Jungle King, aur Pathan. lekin yeh sabhi chhoTi 'budget' ki filmen
theen jo zyaadaatar 'stunt' aur dhaarmik 'genre' ke the. filmen na chalne ki
wajah se na Chitragupt kaamyaabi ki oonchee paaydaano ko chaDh sake aur na hi
Anjum Jaipuri shohrat ki bulandiyon tak pahunch paaye.

--------------------------------------------------
Song: o moorakh insaan apne ko pehchaan (Annadata)
--------------------------------------------------

Anjum Jaipuri ki lekhnee ki yeh Khaasiyat thi ki jis tehzeebee andaaz mein
unhone Urdu mein filmi aur Gair filmi shaayari ke jalwe bikhere, utne hi
Khoobsoorat tareeke se pauraaNik filmon mein shuddha Hindi ka prayog kiya. yahi
wajah thi ki ek shaayar hote huye bhi filmkaaron ne unhe dhaarmik aur pauraaNik
filmon mein geet likhne ka lagaataar aamantraN diya. unke bol paakar jaise
sangeet naach uThtee, woh pauraaNik kathaayon ke paatra jeevit ho uThte.
bharatiya sanskriti ki gauravshaali gaatha saakaar huye hain unke geeton ke
maadhyam se. filmen hamaare ateet ka na keval ek jharonkha hai balki us ateet ka
ek dastaavez bhi. aetihaasik filmon ke 'sets' aur 'costumes' to us ateet ke roop
sajja ko darshaate hain hi, par us ateet ko praanvaaN banaata hai geet sangeet
hi. geetkaar Anjum Jaipuri ke geeton mein bhi wohi jaadoo hai.

----------------------------------------------------------
Song: chham chham naache mere nainon mein pyaar (Navdurga)
----------------------------------------------------------

70 ke dashak mein Anjum Jaipuri ne kai muslim mazhabee filmon mein geet likhe.
1977 mein Niyaz Aur Namaz, 1979 mein Deen Aur Imaan, 1982 mein Sadka Kamliwale
Ka jaisi mazhabee filmon mein geetkaar ke roop mein film jagat mein woh charchit
rahe jinki kuchh naaten aur qawwaaliyaan kaafi mashoor huyeen. Niyaz Aur Namaz
aur Deen Aur Imaan film ki kahaaniyan evam samvaad bhi Anjum saahab ne hi likhe.
Niyaz Aur Namaz ka ek geet yahaan pesh hai Mohd Rafi ki aawaaz mein...

--------------------------------------------------
Song: tere dar pe jhuke mera sar (Niyaz Aur Namaz)
--------------------------------------------------

Asha Bhosle, Mohd Rafi aur saathiyon ki aawaazon mein yeh hai film Deen Aur
Imaan ki ek peshkash...

------------------------------------------------
Song: tum pe naazal huya quraan (Deen Aur Imaan)
------------------------------------------------

Anjum Jaipuri ne apne 40 saal lambee film sangeet ke safar mein 50 se zyaada
filmon mein gaane likhe, lekin apne daur ke kuchh prasiddha geetkaaron ki tarah
shohrat ki bulandiyon tak naheen pahunch sake. yeh unki badkismatee hi kahee jaa
sakti hai. dhaarmik, pauraaNik aur 'stunt' filmon ke khaanche mein jaise
bandhkar reh gayi thi unki lekhanee. aise filmon mein geet likhne ki wajah se
jaise un par ek Thappa sa lag gaya tha jiski wajah se baDe 'budget' ki filmon
mein unhe kabhi mauke naheen mil sake.

--------------------------------------------------
Song: zara aakar dekho haal-e-dil (Biwi Kiraye Ki)
--------------------------------------------------

Asha Bhosle aur Mukesh ki aawaazon mein yeh thi 1975 ki film Biwi Kairaye Ki ki
ek rachanaa. doston, Anjum Jaipuri saahab ke filmi yaatra par ham nazar Daal
rahe the. aapko yeh bhi bataa den ki Urdu mein unki kitaaben prakaashit huyi
hain. filmi geetkaar hone ke alaawaa woh film lekhan se bhi juDe rahe aur kuchh
waqt ke liye film vitarak bhi bane. 75 varsh ki aayu mein san 1990 mein unka
inteqaal ho gaya. Anjum saahab to chale gaye lekin peechhe chhoD gaye apni
shaayari, apne kalaam, apne ashaar, apne geet.

------------------------------------------------------------
Song: kamliwaale ka kaaba nigaahon mein hai (Deen Aur Imaan)
------------------------------------------------------------

to yeh tha shaayar aur geetkaar Anjum Jaipuri par kendrit aaj ka VBLC Sangeet Ke
Sitaare. agle hafte ek aur kamcharchit sangeet sitaare ke saath ham haazir ho
jaayenge un beete dino ki yaaden taazaa karne ke liye. tab tak ke liye deejiye
ijaazat, namaskaar!

THE END

REFERENCES:

1. Geetkaar Anjum Jaipuri - Article by M D Soni (LB 101)
2. Obituary on Anjum Jaipuri (LB 82)
3. Songs Listing of Anjum Jaipuri from www.earthmusic.net

#2185 From: santosh kumar <surhall123@...>
Date:: Wed Mar 11, 2009 8:41 pm
Subject:: Re: happy holi
surhall123
Offline Offline
Send Email Send Email
 
 hi
      happy holi to all members
 
 surinder dhall

--- On Wed, 3/11/09, सजीव सारथी <sajeevsarathie@...> wrote:
From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Subject: [vividhbharati] happy holi
To: undisclosed123456@...
Received: Wednesday, March 11, 2009, 8:21 AM

होली की हार्दि शुकाना
रंगों का ये त्योहा के जी में सु मृधिर्ष ले आये !

khul kar khele rang, mitron aur parivaar sang jam kar khelo holi, doston ye pal ye lamhen fir na lautenge kal

is holi kii shuruvaat kijiye is hori geet se....yakeen maniye josh duguna ho jayega

http://podcast. hindyugm. com/2009/ 03/leepika- bhattacharya- hori-song- festival. html

--

सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@ gmail.com
www.hindyugm. com
09871123997

All new Yahoo! Mail - Get a sneak peak at messages with a handy reading pane.

#2184 From: सजीव सारथी <sajeevsarathie@...>
Date:: Wed Mar 11, 2009 2:51 am
Subject:: happy holi
sajeevsarathie
Offline Offline
Send Email Send Email
 
होली की हार्दि शुकाना
रंगों का ये त्योहा के जी में सु मृधिर्ष ले आये !

khul kar khele rang, mitron aur parivaar sang jam kar khelo holi, doston ye pal ye lamhen fir na lautenge kal

is holi kii shuruvaat kijiye is hori geet se....yakeen maniye josh duguna ho jayega

http://podcast.hindyugm.com/2009/03/leepika-bhattacharya-hori-song-festival.html

--

सजीव सारथी
हिंद युग्म
sajeevsararthie@...
www.hindyugm.com
09871123997

#2183 From: "surhall123" <surhall123@...>
Date:: Tue Mar 10, 2009 5:42 pm
Subject:: Request
surhall123
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi,
          I have request this file u/l here only in words, but I need in mp3 ??

  if u help me, 2nd i want u/l song here ??
thanks

#2182 From: Sujoy Chatterjee <soojoi_india@...>
Date:: Tue Mar 10, 2009 2:03 pm
Subject:: Re: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Vinod
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi,
 
This is not an actual Vividh Bharati program. All mails whose subject line begins with "VBLC" indicates that these write-ups are written by VBLC members (VBLC stands for Vividh Bharati Listeners' Club) and these are not real VB programs.
 
But these are written in VB style only. :-)
 
Regards,
Sujoy Chatterjee

--- On Tue, 3/10/09, rabindranath <brna7377@...> wrote:

From: rabindranath <brna7377@...>
Subject: Re: [vividhbharati] VBLC Sangeet Ke Sitaare - Vinod
To: vividhbharati@...
Date: Tuesday, March 10, 2009, 3:27 PM

yeh program vividhbharti main kab kitne baje athi hai batha sakte hain aap?

B R N Ayyangar

--- On Mon, 9/3/09, soojoi_india <soojoi_india@ yahoo.co. in> wrote:

From: soojoi_india <soojoi_india@ yahoo.co. in>
Subject: [vividhbharati] VBLC Sangeet Ke Sitaare - Vinod
To: vividhbharati@ yahoogroups. co.in
Date: Monday, 9 March, 2009, 9:24 AM

VBLC SANGEET KE SITAARE
------------ --------- --

EPISODE 12: VINOD
------------ -----

VBLC Sangeet Ke Sitaare naam hai us shringkhale ka jo salaam karti hai guzre zamaane ki un pratibhaaon ko jinki yaa to bahut zyaada charcha naheen huyi, yaa phir aaj jinki yaaden dhundlee si hoti jaa rahi hain. aise kalaakaaron ko ham isliye naheen yaad kar rahe hain kyunki yeh kamcharchit hain, balki isliye ki kamcharchit hote huye bhi in fankaaron ki pratibhaa aur samarpaN mein koi kamee naheen thi. film sangeet ke Khazaane ko samriddha karne mein in sangeet sitaaron ka bhi mahatwapoorNa aur saraahaneeya yogdaan raha hai. aaj ham is kaaryakram mein ek bahut hi sureele sangeetkaar ki kahaani pesh karne jaa rahe hain. isse pehle ki ham aapka parichay aaj ke sangeet sitaare se karwaayen, suniye ek geet ki jhalak, aur hamein poora poora yakeen hai ki is jhalak ko sunne ke baad shaayad aapka inse parichay karwaane ki hamein zaroorat na paDe, kyunki yeh geet hi unki pehchaan hai.

------------ --------- --------- --------- ---
Clip: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------ --------- --------- --------- ---

kyun doston, Theek kahaa tha na main ki is geet ke mukhDe ko sunte hi aap andaazaa lagaa lenge ki kaun hai woh sangeetkaar jinki sangeet rachnaayen aaj ke is kaaryakram mein goonjnewaali hai! jee haan, Ek Thi Ladki film ke is mashoor geet se mashoor honewaale sangeetkaar ka naam hai Vinod. yeh geet na keval Vinod ki pehchaan hai, balki Lata Mangeshkar ke sangeet safar ke pehle pehle 'hit' geeton mein is gaane ka shumaar hota hai. san 1949 ke is film ki charcha ham aage chalkar is kaaryakram mein karenge, filhaal aap is geet ko poora suniye. is geet mein Lata Mangeshkar ke saath saath G M Durrani ki bhi aawaaz shaamil hai aur is geet ko likha hai Aziz Kashmiri ne. is geet mein aapko Himachal Pradesh ke Kangra ke loksangeet ki jhalak milegi.

------------ --------- --------- --------- ---
Song: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------ --------- --------- --------- ---

sangeetkaar Vinod ka janm 28 May 1922 ko Lahore mein huya tha. dharm se isaai, unka asli naam tha Eric Roberts. lekin film jagat mein pravesh karte waqt woh ban gaye Vinod. bachpan se hi Vinod ka sangeet ki taraf rujhaan tha. shaadi ke mauke par 'band party' dwaara bajaaye jaanewaale dhuno se woh aakrishT ho jaate the. Lahore ke Dehra Sahib gurudwaare mein gaaye jaanewaale shabad kirtan ko woh dhyaan-poorvak sunte the. shaastriya raagon se unka parichay karwaaya us zamaane ke Lahore ke mashoor sangeetkaar Pandit Amarnath, jinke woh chhatra the. unhi se unhone 'violin' par dhune banaani bhi seekhee. Vinod ki kahaani ko aage baDhaane se pehle yahaan par ek dhun ham bhi aap ko sunwaana chaahenge Vinod ka banaaya huya, suniye film Sabz Baag se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ki aawaazon mein, aur geetkaar hain, ek baar phir, Aziz Kashmiri.

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: jo kuch hamein kehna hai ishaaron se kahenge (Sabz Baag)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

lekin doston, ham Vinod se juDee koi bhi baat ishaaron mein naheen balki khuli aawaaz mein kahenge. chaliye ab Vinod ki kahaani ko aage baDhaaya jaaye. doston, jab Hindi film aur film sangeet ki shuruwaat huyi thi, tab Lahore, Kalkatta, Bambai, aur Pune film nirmaaN ke pramukh kendra the. lekin aazaadi ke baad dheere dheere Bambai hi Hindi filmon ka ekmaatra mahatwapoorNa kendra bankar reh gaya. Lahore ki baat karen to kareeb kareeb san 1944 tak kai naamcheen sangeetkaar Lahore chhoDkar Bambai chale aaye the, jinmein shaamil the Khurshid Anwar, Shyam Sunder, Hans Raj Behl, Rashid Atre, Feroze Nizami, Ghulam Haider, Pandit Husnlal Bhagatram. Pandit Amarnath aur Pandit Gobindram aise do sangeetkaar the jinhe Lahore chhoDnaa gawaara naheen huya. lekin 1945 mein Pandit Amarnath ke achaanak beemaar ho jaane ke kaaran unke shishya Vinod par unki adhoori filmon ke sangeet ko poora karne ka zimmaa aa paDaa. Khamosh Nigahen, Paraye Bas Mein aur Kamini aisi hi kuchh filmen theen. yeh filmen to 'box office' par Tik naheen sakee lekin in filmon se Vinod ke film sangeet ka sureela safar zaroor shuru ho gaya. bhale unhe yeh filmen mil gayi lekin apne guru ki beemaari se Vinod jaise kuchh hadh tak besahaara se ho gaye.

------------ --------- --------- --------- --------- ------
Song: huye hain kuchh aise besahaara (Khamosh Nigahen)
------------ --------- --------- --------- --------- ------

doston, yeh thi Khamosh Nigahen film ka geet, jise hamne aapko sunwaara Vinod aur unke guru aur sangeetkaar Pandit Amarnath ki yaad mein. yeh film pradarshit huyi thi san 1946 mein. yeh film Shorey Pictures ke 'banner' tale bani thi jiske maalik the Rook K Shorey. isi saal Vinod ko swatantra roop se sangeet nirdeshan karne ke liye ek Punjabi film milee jiska naam tha Chaman. us samay ki raajnaitik asthirtaa ki wajah se yeh film Lahore mein ban naheen paayi. desh vibhaajan ke baad 1947 mein yeh film hamaare yahaan banee, jismein Pushpa Hans aur Shamshad Begum ke saath saath Lata Mangeshkar ne bhi 3 gaane gaaye jo Khoob saraahe gaye. doston, is Punjabi film ke gaane to hamaare paas naheen hain, lekin yahaan par aapko Vinod ka swarbaddha kiya huya ek doosra geet ham zaroor sunwaa sakte hain, to suniye...

------------ --------- --------- --------- -------
Song: bach bach ke chalo guiyaan (Garma Garam)
------------ --------- --------- --------- -------

Mohd Rafi ki aawaaz aapne sunaa doston, D N Madhok ke bol the film Garma Garam ke liye. 1946 ke baad 1947 aur 1948 mein Vinod ke sangeet nirdeshan mein koi Hindi film pradarshit naheen huyi. lekin iske agle hi saal, yaani ki 1949 mein Vinod chaaron taraf chhaa gaye kyunki isi saal aayi film Ek Thi Ladki jiska behad mashoor geet ham aapko shuru mein hi sunwa chuke hain. is film ka nirmaaN bhi Roop Shorey ne hi kiya tha jinke 'banner' tale Vinod ne apni pehli film mein sangeet diya tha. Motilal, Kuldeep aur Meena Shorey, jo ki Roop Shorey ki patni theen, is film mein mukhya bhumikaaen nibhaaee. is film ke sabhi geet kaafi charchit huye. isliye yahaan par is film ka ek aur geet sunwaana baDaa zaroori ho jaata hai. to leejiye Lata Mangeshkar aur Mohd Rafi ki aawaaz mein pesh hai Aziz Kashmiri aur Vinod ki joDee ka ek aur rang.

------------ --------- --------- --------- ------
Song: lambi joru baDi museebat (Ek Thi Ladki)
------------ --------- --------- --------- ------

1949 mein hi Vinod ne ek aur film mein sangeet diya tha. New Bombay Theatres ke 'banner' tale bani is film ka naam tha Tara. yeh ek chhoTe 'budget' ki film thi. shaayad isi wajah se iska sangeet charcha mein naheen aaya. lekin is film mein Geeta Roy ka gaaya ek bahut hi anmol geet ham aapko zaroor sunwaana chaahenge. Aziz Kashmiri ke hi bol hain. doston, ab tak aapko yeh andaazaa ho gaya hoga ki Vinod ke swarbaddha zyaadatar filmon mein Aziz Kashmiri saahab ne geet likhe the. film Tara mein us zamaane ki kai charchit aur kamcharchit gaayak gaayikaaon ne geet gaaye the jaise ki Premlata, Satish Batra, Rajkumari, aur Uma Devi. lekin aaj suniye is film se Geeta Roy ki aawaaz.

------------ --------- --------- --------- -------
Song: ek yaad teri hai jeene ka sahaara (Tara)
------------ --------- --------- --------- -------

aur phir aa gaya 50 ka dashak. film sangeet ka sunehra daur shuru ho chuka tha. naye naye sangeetkaar aur geetkaar apni apni taazee dhuno aur bolon se poore desh bhar mein dhoom machaa rahe the. aise mein sangeetkaar Vinod ne 1950 mein do aisi filmon mein sangeet diya jinhe agar aaj yaad kiya jaata hai to sirf unke sangeet ki wajah se. inmein ek film thi Anmol Ratan, aur doosri Wafa. abhineta, gaayak aur nirmaata Karan Diwan ki film Anmol Ratan mein Vinod ne Lata Mangeshkar aur Talat Mahmood se ek baDaa hi pyaara sa yugal geet gawaaya tha. D N Madhok ke likhe is geet ko agar ham Lata aur Talat ke gaaye behetareen yugal geeton mein shaamil karen to koi Khataa naheen hogi.

------------ --------- --------- --------- -----
Song: shikwaa tera main gaayun (Anmol Ratan)
------------ --------- --------- --------- -----

"shikwa tera main gaayun dil mein samaanewaale, bhoole se yaad kar le o door jaanewaale". yeh to is geet ke bol the lekin jahaan tak Vinod ke sangeetbaddha keeye aise geeton ka sawaal hai unhe bhulaanaa shaayad itna aasaan kaam naheen hogaa, aur na hi ham kabhi in meeThee dhuno se door jaa paayenge. yeh gaane aur yeh sangeet woh dharohar hain jo nayi peeDhee ke liye maargdarshak ka kaam karti hai, paaTh paDhaati hai kalaa ke kshetra mein kuchh achchha kar guzarne ka. bahar-haal ham baat kar rahe the 1950 mein bani Vinod ke sangeet se sajee do filmon ki. ek film Anmol Ratan ki baat hamne kee aur gaana bhi sunwaaya, ab zikr Wafa ka. Wafa J P Advani ki film thi jismein ek baar phir Karan Diwan naayak the. naayika banee Nimmi. is film mein Vinod ke liye Aziz Kashmiri ne to geet likhe hi, balki kai aur geetkaaron ke geet bhi goonje is film mein, jaise ki D N Madhok, Behzad Lucknowi aur Hasrat Jaipuri. Vinod ke saath Bulo C Rani ne bhi is film mein sangeet nirdeshak ka kaam kiya. Lata Mangeshkar, Mukesh aur Talat Mahmood ki aawaazen goonjee thi is film mein.

------------ --------- --------- --------- --
Song: jaa jaanewaale bhala ho tera (Wafa)
------------ --------- --------- --------- --

1951 mein Vinod ne swatantra roop se For Ladies Only aur Mukhda jaisi filmon mein sangeet diya. isi saal unhone S.K. Ragi ke saath Bulbul aur Gulshan Sufi ke saath Sabz Baag mein bhi sangeet diya. film Sabz Baag ka ek geet to ham aapko sunwaa chuke hain, to yahaan par kyun na Mukhda film se ek geet ho jaaye Sulochana Kadam ka gaaya huya! Mukhda Shorey Pictures ke 'banner' tale bani thi. doston, Roop Shorey jab Lahore chhoDkar Bambai chale aaye to woh apne saath Vinod aur Aziz Kashmiri ko bhi yahaan le aaye the aur samay samay par apni filmon mein inhe mauka bhi diya. aur isi tarah se is sangeetkaar aur geetkaar ki 'tuning' achchhi jamee thi. to suniye Aziz Kashmiri, Vinod aur Roop Shorey ki tikDee ko salaam karta huya film Mukhda ka yeh naGhmaa.

------------ --------- --------- --------- --------- ---------
Song: akhiyaan milaake akhiyon ki neend churaake (Mukhda)
------------ --------- --------- --------- --------- ---------

san 1952 mein Vinod ke sangeet se sajee koi film naheen aayi. lekin agle hi saal yaani 1953 mein Roop Shorey ne do filmen banaayi aur in dono mein Vinod ne sangeet diya. jaante hain yeh do filmen kaun si theen? yeh filmen theen Ek Do Teen, aur Aag Ka Darya. dono hi filmon mein Roop Shorey ki patni Meena Shorey naayika ke roop mein nazar aayeen. Sandhya Mukherjee ki aawaaz mein Ek Do Teen film ka geet shaayad aapne kabhi na sunaa ho, isliye is geet ko sunwaaye baGair ham is kaaryakram mein kaise aage baDh sakte hain!

------------ --------- --------- --------- --------- -
Song: aaja re balam tujhe meri qasam (Ek Do Teen)
------------ --------- --------- --------- --------- -

is tarah se Vinod har saal do teen filmen kar rahe the. lekin inmein se zyaadaatar filmen chhoTi 'budget' ki filmen theen jinse unhe bahut zyaada paise naheen milte the. aur yeh rakam Bambai jaise shahar mein Theek-Thaak tareeke se guzaara karne ke liye kaafi naheen tha. achchha aur madhur sangeet dene ke baawjood Vinod ko kabhi woh mukaam, woh darjaa is 'film industry' ne naheen diya jiske woh waaqai haqdaar the. baDi 'budget' ke filmon mein kaam karna unka sapnaa bankar hi reh gaya, jiski wajah se unki aarthik avasthaa mein bhi kabhi sudhaar naheen huya, aur unki zindagi museebaton se ghiri rahi.

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: ek dil hazaar Gham kaise jee sakenge ham (Aag Ka Darya)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

san 1954 mein Vinod ne film Ladla aur Ramman mein sangeet diya. dono filmon mein Karan Diwan naayak bane. lekin phir wohi baat. yaani chhoTi 'budget' ki filmen. na yeh filmen chalti aur isi wajah se in filmon ka madhur sangeet bhi logon se anjaana reh jaata.

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: tu jo likhe kismat aisi kaun tujhe bhagwan kahe (Ladla)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

zaraa bhaagya ka parihaas to dekhiye, ek taraf Vinod joojh rahe the ek kaamyaab sangeetkaar banne ke liye, zindagi ki takleefon aur kaThinaaiyon ka kinaara karne ke liye, aur doosri taraf san 1955 mein unhe sangeet dene ka mauka milaa kul 4 filmon mein jinmein se kam se kam 3 filmen 'comedy' filmen theen. lekin Vinod ne apni vyaktigat pareshaaniyon aur takleefon ka asar apne kaam mein naheen paDne diya. iska saboot hain in filmon ke liye unke banaaye yeh haasya geet. 1955 ki yeh 4 filmen hain Ha Ha He He Ho Ho, Jalwa, Oot Patang aur Shri Nagad Narayan. film Jalwa ka ek masti bhara gaana yahaan pesh hai.

------------ --------- --------- --------- --------- -
Song: surma bareli ka kaajal hai dehli ka (Jalwa)
------------ --------- --------- --------- --------- -

Hindi ke alaawaa Vinod ne kul 5 Punjabi filmon mein sangeet diya hai. yeh filmen hain Chaman, Bhaiya Jee, Mitiar, Ashtalli aur Nikki. unki Hindi filmon mein waapas aate hain, Vinod ne 1956 mein Makhkhee Choos aur Sheikh Chilli, aur 1957 mein Garma Garam aur Mumtaz Mahal jaisi filmon ka sangeet nirdeshan kiya. filmen to chalee naheen lekin Vinod ke rache dhuno se achchha sangeet sunnewaale shrotaaon ko pyaar zaroor ho gaya. Sudha Malhotra ke gaaye Makhkhee Choos film ke is geet ko sunkar aap ko bhi pyaar ho jaayegaa aisa ham ummeed karte hain doston!

------------ --------- --------- --------- --------- ------
Song: karne lage hain tumhe pyaar ham (Makhkhee Choos)
------------ --------- --------- --------- --------- ------

zindagi ki kaThinaaiyon aur pareshaaniyon se joojhte joojhte Vinod ki badkismati ne unhe ek aur bhayaanak vaar kiya. gurde ki beemaari ne unhe buri tarah se jakaD liya aur keval 37 varsh ki aayu mein 25 Decemeber 1959 ko, yaani ki Christmas ke din unhone is dharti ko hamesha hamesha ke liye alvidaa keh diya. Eric Roberts ke parivaar ne phir uske baad kabhi Christmas naheen manaaee. sangeetkaar Vinod ki kahaani ek aise fankaar ki kahaani hai jo ta-umra sangharsh karta raha, lekin pataa naheen zindagi kyun unse hameshaa rooThi hi rahi! unki mrityu ke baad unke 3 aur filmen pradarshit huyeen jinmein se ek thi 1961 ki film Dekhi Teri Bambai. yeh shirshak jaise Vinod ki shikaayat hai is maayaa nagri se jisne unhe apnaakar bhi shaayad naheen apnaaya.

------------ --------- --------- --------- --
Song: le chhoD chale duniya teri (Ramman)
------------ --------- --------- --------- --

to doston, yahaan par aakar Khatam hoti hai sangeetkaar Vinod ki kahaani. kahaani bhale hi poori ho gayi ho, Vinod chaahe ab hamaare beech maujood na hon, lekin unka sangeet sadaa hamaare saath hai. ham jab chaahen unhe yaad kar sakte hain unke geeton ko sunkar, unhe apne dil mein basaakar. Vinod ka sangeet safar bahut chhoTaa bankar reh gaya. aaj Vinod ke gaye 50 saal guzar chuke hain. lekin woh kehte hain na ki kalaakaar aur uski kalaa kabhi booDhee naheen hoti, woh hamesha jawaan rehti hai, sadaabahaar rehti hai. Vinod bhi amar hain apne sangeet ke zariye. doston, aaj ka yeh kaaryakram sunte sunte shaayad aap ka dil udaas ho gaya hogaa, Ghamgeen ho gayi hogi, lekin chalte chalte ham chaahte hain ki aapke hoThon ki hansi phir se waapas aa jaaye, Theek usi tarah se jaise in par muskaan lekar aati hai Vinod ka sab se 'hit' geet. ek baar phir isi geet ki jhalak sunkar Khush ho jaaiye, aur mujhe agle hafte tak ke liye ijaazat deejiye, namaste.

------------ --------- --------- --------- ---
Clip: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------ --------- --------- --------- ---

THE END

REFERENCES:

http://www.tribunei ndia.com/ 2008/20080615/ spectrum/ main6.htm
http://www.apnaorg. com/articles/ aujla-1/
http://www.earthmus ic.net
150 Music Directors - Book by Yogesh S Jadhav

SPECIAL HELP: N Ramaswamy

Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.

#2181 From: rabindranath <brna7377@...>
Date:: Tue Mar 10, 2009 9:57 am
Subject:: Re: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Vinod
brna7377
Offline Offline
Send Email Send Email
 
yeh program vividhbharti main kab kitne baje athi hai batha sakte hain aap?

B R N Ayyangar

--- On Mon, 9/3/09, soojoi_india <soojoi_india@...> wrote:

#2180 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Tue Mar 10, 2009 7:30 am
Subject:: Ajit Merchant - 'Koi Laakh Karein Chaturaayi'
ramaswamy21in
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi all,

I am concluding the first part of the series on P. Adi Narayan Rao. I
was able to gather info about his out put in Tamil and Telegu films
but his out put in Hindi, (other than `Suvarna Sundari' and `Phoolon
Ki Sej') is elusive. Nevertheless I will update whatever info I get
further.

I am now moving towards another such Music Director, namely Ajit
Merchant. I was fortunate enough to attend a programme, honouring him
a year back. The write-up exists at the following link:

http://mytravels-ramaswamy.blogspot.com/2008/01/listening-session-on-...

The information I am providing below is somewhat gathered from Yogesh
Yadav's book and from my personal interaction with him.

Ajit Merchant

Date of Birth: 15th August 1922

From Yogesh Yadav's book

Ajit Merchant was born in Mumbai in a well-to-do family. His father,
Ratansi Jetha was a criminal lawyer. He encouraged his son to learn
music. With his father's inspiration, Ajit Merchant learnt Classical
music, Western music, Marathi Stage music and Gujarathi Stage music.

He worked as Producer in A.I.R. from1957 to 1967. He gave music for
some 40 films (32 Gujarathi and 8 Hindi films) in this decade.

My personal interaction:

It was here that Jagjit Singh and Ajit Merchant came in contact.
Jagjit Singh was impressed by Ajit Merchant's compositions for `Radio
Week'. Ajit Merchant gave Jagjit Singh a break to sing for a Gujarathi
film of his in 1969(I don't recollect the name of the Film).

From Yogesh Yadav's book

Ajit Merchant's guru were Khan Saheb Aman Ali from Bhendi Bazaar and
Shivkumar Shukla. Ajit Merchant started his Filmi career working as an
assistant to Ashok Ghosh, who himself had been an assistant to Anil
Biswas. Film `Gunjan' (1948) although is credited to Ashok Ghosh, the
tunes were made by Ajit Merchant.

My personal interaction

Gope Kamlani was the person who introduced Ajit Merchant to the Film
Industry. Ajit Merchant says he learnt a lot from Ashok Ghosh and then
went on to compose for a film `Biradari' for which he had recorded two
songs. The film however was shelved and Ajit Merchant's first film is
`Refugee' (1948) as stated in the book also. Sulochana Kadam sang her
first song under Ajit Merchant's composition for `Refugee'.
From Yogesh Yadav's book
`Dharthi Naa Chorun' was a film for which Ajit Merchant gave music
that received the Award for the Best Music by the Gujarat Government.

His Filmography in Hindi:

Gunjan(1948) as Assistant only tunes set by him.
Biradari(1948) Film was shelved
Refugee(1948)
Indraleela(1958)
Chandi Pooja(1958)
Rambhakta Vibhishan(??)
Sapera(1961)
Challenge(1964)
Lady Killer(1969) His last film.

#2179 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Mon Mar 9, 2009 3:54 am
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Vinod
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 12: VINOD
-----------------

VBLC Sangeet Ke Sitaare naam hai us shringkhale ka jo salaam karti hai guzre
zamaane ki un pratibhaaon ko jinki yaa to bahut zyaada charcha naheen huyi, yaa
phir aaj jinki yaaden dhundlee si hoti jaa rahi hain. aise kalaakaaron ko ham
isliye naheen yaad kar rahe hain kyunki yeh kamcharchit hain, balki isliye ki
kamcharchit hote huye bhi in fankaaron ki pratibhaa aur samarpaN mein koi kamee
naheen thi. film sangeet ke Khazaane ko samriddha karne mein in sangeet sitaaron
ka bhi mahatwapoorNa aur saraahaneeya yogdaan raha hai. aaj ham is kaaryakram
mein ek bahut hi sureele sangeetkaar ki kahaani pesh karne jaa rahe hain. isse
pehle ki ham aapka parichay aaj ke sangeet sitaare se karwaayen, suniye ek geet
ki jhalak, aur hamein poora poora yakeen hai ki is jhalak ko sunne ke baad
shaayad aapka inse parichay karwaane ki hamein zaroorat na paDe, kyunki yeh geet
hi unki pehchaan hai.

------------------------------------------
Clip: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------------------------------------

kyun doston, Theek kahaa tha na main ki is geet ke mukhDe ko sunte hi aap
andaazaa lagaa lenge ki kaun hai woh sangeetkaar jinki sangeet rachnaayen aaj ke
is kaaryakram mein goonjnewaali hai! jee haan, Ek Thi Ladki film ke is mashoor
geet se mashoor honewaale sangeetkaar ka naam hai Vinod. yeh geet na keval Vinod
ki pehchaan hai, balki Lata Mangeshkar ke sangeet safar ke pehle pehle 'hit'
geeton mein is gaane ka shumaar hota hai. san 1949 ke is film ki charcha ham
aage chalkar is kaaryakram mein karenge, filhaal aap is geet ko poora suniye. is
geet mein Lata Mangeshkar ke saath saath G M Durrani ki bhi aawaaz shaamil hai
aur is geet ko likha hai Aziz Kashmiri ne. is geet mein aapko Himachal Pradesh
ke Kangra ke loksangeet ki jhalak milegi.

------------------------------------------
Song: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------------------------------------

sangeetkaar Vinod ka janm 28 May 1922 ko Lahore mein huya tha. dharm se isaai,
unka asli naam tha Eric Roberts. lekin film jagat mein pravesh karte waqt woh
ban gaye Vinod. bachpan se hi Vinod ka sangeet ki taraf rujhaan tha. shaadi ke
mauke par 'band party' dwaara bajaaye jaanewaale dhuno se woh aakrishT ho jaate
the. Lahore ke Dehra Sahib gurudwaare mein gaaye jaanewaale shabad kirtan ko woh
dhyaan-poorvak sunte the. shaastriya raagon se unka parichay karwaaya us zamaane
ke Lahore ke mashoor sangeetkaar Pandit Amarnath, jinke woh chhatra the. unhi se
unhone 'violin' par dhune banaani bhi seekhee. Vinod ki kahaani ko aage baDhaane
se pehle yahaan par ek dhun ham bhi aap ko sunwaana chaahenge Vinod ka banaaya
huya, suniye film Sabz Baag se Asha Bhosle aur Mohd Rafi ki aawaazon mein, aur
geetkaar hain, ek baar phir, Aziz Kashmiri.

--------------------------------------------------------------
Song: jo kuch hamein kehna hai ishaaron se kahenge (Sabz Baag)
--------------------------------------------------------------

lekin doston, ham Vinod se juDee koi bhi baat ishaaron mein naheen balki khuli
aawaaz mein kahenge. chaliye ab Vinod ki kahaani ko aage baDhaaya jaaye. doston,
jab Hindi film aur film sangeet ki shuruwaat huyi thi, tab Lahore, Kalkatta,
Bambai, aur Pune film nirmaaN ke pramukh kendra the. lekin aazaadi ke baad
dheere dheere Bambai hi Hindi filmon ka ekmaatra mahatwapoorNa kendra bankar reh
gaya. Lahore ki baat karen to kareeb kareeb san 1944 tak kai naamcheen
sangeetkaar Lahore chhoDkar Bambai chale aaye the, jinmein shaamil the Khurshid
Anwar, Shyam Sunder, Hans Raj Behl, Rashid Atre, Feroze Nizami, Ghulam Haider,
Pandit Husnlal Bhagatram. Pandit Amarnath aur Pandit Gobindram aise do
sangeetkaar the jinhe Lahore chhoDnaa gawaara naheen huya. lekin 1945 mein
Pandit Amarnath ke achaanak beemaar ho jaane ke kaaran unke shishya Vinod par
unki adhoori filmon ke sangeet ko poora karne ka zimmaa aa paDaa. Khamosh
Nigahen, Paraye Bas Mein aur Kamini aisi hi kuchh filmen theen. yeh filmen to
'box office' par Tik naheen sakee lekin in filmon se Vinod ke film sangeet ka
sureela safar zaroor shuru ho gaya. bhale unhe yeh filmen mil gayi lekin apne
guru ki beemaari se Vinod jaise kuchh hadh tak besahaara se ho gaye.

------------------------------------------------------
Song: huye hain kuchh aise besahaara (Khamosh Nigahen)
------------------------------------------------------

doston, yeh thi Khamosh Nigahen film ka geet, jise hamne aapko sunwaara Vinod
aur unke guru aur sangeetkaar Pandit Amarnath ki yaad mein. yeh film pradarshit
huyi thi san 1946 mein. yeh film Shorey Pictures ke 'banner' tale bani thi jiske
maalik the Rook K Shorey.  isi saal Vinod ko swatantra roop se sangeet nirdeshan
karne ke liye ek Punjabi film milee jiska naam tha Chaman. us samay ki
raajnaitik asthirtaa ki wajah se yeh film Lahore mein ban naheen paayi. desh
vibhaajan ke baad 1947 mein yeh film hamaare yahaan banee, jismein Pushpa Hans
aur Shamshad Begum ke saath saath Lata Mangeshkar ne bhi 3 gaane gaaye jo Khoob
saraahe gaye. doston, is Punjabi film ke gaane to hamaare paas naheen hain,
lekin yahaan par aapko Vinod ka swarbaddha kiya huya ek doosra geet ham zaroor
sunwaa sakte hain, to suniye...

----------------------------------------------
Song: bach bach ke chalo guiyaan (Garma Garam)
----------------------------------------------

Mohd Rafi ki aawaaz aapne sunaa doston, D N Madhok ke bol the film Garma Garam
ke liye. 1946 ke baad 1947 aur 1948 mein Vinod ke sangeet nirdeshan mein koi
Hindi film pradarshit naheen huyi. lekin iske agle hi saal, yaani ki 1949 mein
Vinod chaaron taraf chhaa gaye kyunki isi saal aayi film Ek Thi Ladki jiska
behad mashoor geet ham aapko shuru mein hi sunwa chuke hain. is film ka nirmaaN
bhi Roop Shorey ne hi kiya tha jinke 'banner' tale Vinod ne apni pehli film mein
sangeet diya tha. Motilal, Kuldeep aur Meena Shorey, jo ki Roop Shorey ki patni
theen, is film mein mukhya bhumikaaen nibhaaee. is film ke sabhi geet kaafi
charchit huye. isliye yahaan par is film ka ek aur geet sunwaana baDaa zaroori
ho jaata hai. to leejiye Lata Mangeshkar aur Mohd Rafi ki aawaaz mein pesh hai
Aziz Kashmiri aur Vinod ki joDee ka ek aur rang.

---------------------------------------------
Song: lambi joru baDi museebat (Ek Thi Ladki)
---------------------------------------------

1949 mein hi Vinod ne ek aur film mein sangeet diya tha. New Bombay Theatres ke
'banner' tale bani is film ka naam tha Tara. yeh ek chhoTe 'budget' ki film thi.
shaayad isi wajah se iska sangeet charcha mein naheen aaya. lekin is film mein
Geeta Roy ka gaaya ek bahut hi anmol geet ham aapko zaroor sunwaana chaahenge.
Aziz Kashmiri ke hi bol hain. doston, ab tak aapko yeh andaazaa ho gaya hoga ki
Vinod ke swarbaddha zyaadatar filmon mein Aziz Kashmiri saahab ne geet likhe
the. film Tara mein us zamaane ki kai charchit aur kamcharchit gaayak gaayikaaon
ne geet gaaye the jaise ki Premlata, Satish Batra, Rajkumari, aur Uma Devi.
lekin aaj suniye is film se Geeta Roy ki aawaaz.

----------------------------------------------
Song: ek yaad teri hai jeene ka sahaara (Tara)
----------------------------------------------

aur phir aa gaya 50 ka dashak. film sangeet ka sunehra daur shuru ho chuka tha.
naye naye sangeetkaar aur geetkaar apni apni taazee dhuno aur bolon se poore
desh bhar mein dhoom machaa rahe the. aise mein sangeetkaar Vinod ne 1950 mein
do aisi filmon mein sangeet diya jinhe agar aaj yaad kiya jaata hai to sirf unke
sangeet ki wajah se. inmein ek film thi Anmol Ratan, aur doosri Wafa. abhineta,
gaayak aur nirmaata Karan Diwan ki film Anmol Ratan mein Vinod ne Lata
Mangeshkar aur Talat Mahmood se ek baDaa hi pyaara sa yugal geet gawaaya tha. D
N Madhok ke likhe is geet ko agar ham Lata aur Talat ke gaaye behetareen yugal
geeton mein shaamil karen to koi Khataa naheen hogi.

--------------------------------------------
Song: shikwaa tera main gaayun (Anmol Ratan)
--------------------------------------------

"shikwa tera main gaayun dil mein samaanewaale, bhoole se yaad kar le o door
jaanewaale". yeh to is geet ke bol the lekin jahaan tak Vinod ke sangeetbaddha
keeye aise geeton ka sawaal hai unhe bhulaanaa shaayad itna aasaan kaam naheen
hogaa, aur na hi ham kabhi in meeThee dhuno se door jaa paayenge. yeh gaane aur
yeh sangeet woh dharohar hain jo nayi peeDhee ke liye maargdarshak ka kaam karti
hai, paaTh paDhaati hai kalaa ke kshetra mein kuchh achchha kar guzarne ka.
bahar-haal ham baat kar rahe the 1950 mein bani Vinod ke sangeet se sajee do
filmon ki. ek film Anmol Ratan ki baat hamne kee aur gaana bhi sunwaaya, ab zikr
Wafa ka. Wafa J P Advani ki film thi jismein ek baar phir Karan Diwan naayak
the. naayika banee Nimmi. is film mein Vinod ke liye Aziz Kashmiri ne to geet
likhe hi, balki kai aur geetkaaron ke geet bhi goonje is film mein, jaise ki D N
Madhok, Behzad Lucknowi aur Hasrat Jaipuri. Vinod ke saath Bulo C Rani ne bhi is
film mein sangeet nirdeshak ka kaam kiya. Lata Mangeshkar, Mukesh aur Talat
Mahmood ki aawaazen goonjee thi is film mein.

-----------------------------------------
Song: jaa jaanewaale bhala ho tera (Wafa)
-----------------------------------------

1951 mein Vinod ne swatantra roop se For Ladies Only aur Mukhda jaisi filmon
mein sangeet diya. isi saal unhone S.K. Ragi ke saath Bulbul aur Gulshan Sufi ke
saath Sabz Baag mein bhi sangeet diya. film Sabz Baag ka ek geet to ham aapko
sunwaa chuke hain, to yahaan par kyun na Mukhda film se ek geet ho jaaye
Sulochana Kadam ka gaaya huya! Mukhda Shorey Pictures ke 'banner' tale bani thi.
doston, Roop Shorey jab Lahore chhoDkar Bambai chale aaye to woh apne saath
Vinod aur Aziz Kashmiri ko bhi yahaan le aaye the aur samay samay par apni
filmon mein inhe mauka bhi diya. aur isi tarah se is sangeetkaar aur geetkaar ki
'tuning' achchhi jamee thi. to suniye Aziz Kashmiri, Vinod aur Roop Shorey ki
tikDee ko salaam karta huya film Mukhda ka yeh naGhmaa.

---------------------------------------------------------
Song: akhiyaan milaake akhiyon ki neend churaake (Mukhda)
---------------------------------------------------------

san 1952 mein Vinod ke sangeet se sajee koi film naheen aayi. lekin agle hi saal
yaani 1953 mein Roop Shorey ne do filmen banaayi aur in dono mein Vinod ne
sangeet diya. jaante hain yeh do filmen kaun si theen? yeh filmen theen Ek Do
Teen, aur Aag Ka Darya. dono hi filmon mein Roop Shorey ki patni Meena Shorey
naayika ke roop mein nazar aayeen. Sandhya Mukherjee ki aawaaz mein Ek Do Teen
film ka geet shaayad aapne kabhi na sunaa ho, isliye is geet ko sunwaaye baGair
ham is kaaryakram mein kaise aage baDh sakte hain!

-------------------------------------------------
Song: aaja re balam tujhe meri qasam (Ek Do Teen)
-------------------------------------------------

is tarah se Vinod har saal do teen filmen kar rahe the. lekin inmein se
zyaadaatar filmen chhoTi 'budget' ki filmen theen jinse unhe bahut zyaada paise
naheen milte the. aur yeh rakam Bambai jaise shahar mein Theek-Thaak tareeke se
guzaara karne ke liye kaafi naheen tha. achchha aur madhur sangeet dene ke
baawjood Vinod ko kabhi woh mukaam, woh darjaa is 'film industry' ne naheen diya
jiske woh waaqai haqdaar the. baDi 'budget' ke filmon mein kaam karna unka
sapnaa bankar hi reh gaya, jiski wajah se unki aarthik avasthaa mein bhi kabhi
sudhaar naheen huya, aur unki zindagi museebaton se ghiri rahi.

-------------------------------------------------------------
Song: ek dil hazaar Gham kaise jee sakenge ham (Aag Ka Darya)
-------------------------------------------------------------

san 1954 mein Vinod ne film Ladla aur Ramman mein sangeet diya. dono filmon mein
Karan Diwan naayak bane. lekin phir wohi baat. yaani chhoTi 'budget' ki filmen.
na yeh filmen chalti aur isi wajah se in filmon ka madhur sangeet bhi logon se
anjaana reh jaata.

-------------------------------------------------------------
Song: tu jo likhe kismat aisi kaun tujhe bhagwan kahe (Ladla)
-------------------------------------------------------------

zaraa bhaagya ka parihaas to dekhiye, ek taraf Vinod joojh rahe the ek kaamyaab
sangeetkaar banne ke liye, zindagi ki takleefon aur kaThinaaiyon ka kinaara
karne ke liye, aur doosri taraf san 1955 mein unhe sangeet dene ka mauka milaa
kul 4 filmon mein jinmein se kam se kam 3 filmen 'comedy' filmen theen. lekin
Vinod ne apni vyaktigat pareshaaniyon aur takleefon ka asar apne kaam mein
naheen paDne diya. iska saboot hain in filmon ke liye unke banaaye yeh haasya
geet. 1955 ki yeh 4 filmen hain Ha Ha He He Ho Ho, Jalwa, Oot Patang aur Shri
Nagad Narayan. film Jalwa ka ek masti bhara gaana yahaan pesh hai.

-------------------------------------------------
Song: surma bareli ka kaajal hai dehli ka (Jalwa)
-------------------------------------------------

Hindi ke alaawaa Vinod ne kul 5 Punjabi filmon mein sangeet diya hai. yeh filmen
hain Chaman, Bhaiya Jee, Mitiar, Ashtalli aur Nikki. unki Hindi filmon mein
waapas aate hain, Vinod ne 1956 mein Makhkhee Choos aur Sheikh Chilli, aur 1957
mein Garma Garam aur Mumtaz Mahal jaisi filmon ka sangeet nirdeshan kiya. filmen
to chalee naheen lekin Vinod ke rache dhuno se achchha sangeet sunnewaale
shrotaaon ko pyaar zaroor ho gaya. Sudha Malhotra ke gaaye Makhkhee Choos film
ke is geet ko sunkar aap ko bhi pyaar ho jaayegaa aisa ham ummeed karte hain
doston!

------------------------------------------------------
Song: karne lage hain tumhe pyaar ham (Makhkhee Choos)
------------------------------------------------------

zindagi ki kaThinaaiyon aur pareshaaniyon se joojhte joojhte Vinod ki badkismati
ne unhe ek aur bhayaanak vaar kiya. gurde ki beemaari ne unhe buri tarah se
jakaD liya aur keval 37 varsh ki aayu mein 25 Decemeber 1959 ko, yaani ki
Christmas ke din unhone is dharti ko hamesha hamesha ke liye alvidaa keh diya.
Eric Roberts ke parivaar ne phir uske baad kabhi Christmas naheen manaaee.
sangeetkaar Vinod ki kahaani ek aise fankaar ki kahaani hai jo ta-umra sangharsh
karta raha, lekin pataa naheen zindagi kyun unse hameshaa rooThi hi rahi! unki
mrityu ke baad unke 3 aur filmen pradarshit huyeen jinmein se ek thi 1961 ki
film Dekhi Teri Bambai. yeh shirshak jaise Vinod ki shikaayat hai is maayaa
nagri se jisne unhe apnaakar bhi shaayad naheen apnaaya.

-----------------------------------------
Song: le chhoD chale duniya teri (Ramman)
-----------------------------------------

to doston, yahaan par aakar Khatam hoti hai sangeetkaar Vinod ki kahaani.
kahaani bhale hi poori ho gayi ho, Vinod chaahe ab hamaare beech maujood na hon,
lekin unka sangeet sadaa hamaare saath hai. ham jab chaahen unhe yaad kar sakte
hain unke geeton ko sunkar, unhe apne dil mein basaakar. Vinod ka sangeet safar
bahut chhoTaa bankar reh gaya. aaj Vinod ke gaye 50 saal guzar chuke hain. lekin
woh kehte hain na ki kalaakaar aur uski kalaa kabhi booDhee naheen hoti, woh
hamesha jawaan rehti hai, sadaabahaar rehti hai. Vinod bhi amar hain apne
sangeet ke zariye. doston, aaj ka yeh kaaryakram sunte sunte shaayad aap ka dil
udaas ho gaya hogaa, Ghamgeen ho gayi hogi, lekin chalte chalte ham chaahte hain
ki aapke hoThon ki hansi phir se waapas aa jaaye, Theek usi tarah se jaise in
par muskaan lekar aati hai Vinod ka sab se 'hit' geet. ek baar phir isi geet ki
jhalak sunkar Khush ho jaaiye, aur mujhe agle hafte tak ke liye ijaazat deejiye,
namaste.

------------------------------------------
Clip: lara lappa lara lappa (Ek Thi Ladki)
------------------------------------------

THE END

REFERENCES:

http://www.tribuneindia.com/2008/20080615/spectrum/main6.htm
http://www.apnaorg.com/articles/aujla-1/
http://www.earthmusic.net
150 Music Directors - Book by Yogesh S Jadhav

SPECIAL HELP: N Ramaswamy

#2177 From: "Ramaswamy" <ramaswamy21in@...>
Date:: Mon Mar 2, 2009 4:17 pm
Subject:: Re: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Minu Purushottam
ramaswamy21in
Offline Offline
Send Email Send Email
 
Hi Sujoy,

Nicely conceived, researched and written information. Wish there was
somebody in Vividh Bharati.

Just an addition I would like to make that Minoo Purushottam has
assisted Hansraj Behl in a 70's film called 'Do Ankhen'

Regards,

Ramaswamy
--- In vividhbharati@..., "soojoi_india"
<soojoi_india@...> wrote:
>
> VBLC SANGEET KE SITAARE
> -----------------------
>
> EPISODE 11: MINU PURUSHOTTAM
> ----------------------------
>
> namaskaar doston! VBLC Sangeet Ke Sitaare kaaryakram ke liye main
> aksar aise geetkaar, sangeetkaar aur gaayak gaayikaaon par
jaankaari
> ki talaash mein rehta hoon jo yaa to behad kamcharchit hain,
jinmein
> bahut zyaada pratibhaa hone ke baawjood bhi jinhe zyaada khyaati
> naheen milee, yaa phir aise fankaar jo apne samay mein to kaafi
> charchit huye the lekin waqt ke saath saath aaj unki yaaden
dhundlee
> ho gayi hain. aise fankaaron, aise sangeet sitaaron ki sureelee
> yaadon ko ek baar phir se aap ke dil mein tar-o-taazaa karne ke
> prayaas ka hi naam hai VBLC Sangeet Ke Sitaare. aaj is kaaryakram
> mein ham kisi geetkaar ko shaamil kar rahe hain yaa sangeetkaar ko,
> yaa phir kisi gaayak yaa gaayika ko, iska andaazaa aap lagaaiye is
> gaane ko sunte huye.
>
> ----------------------------------------------------
> Song: raat piya ke sang jaagi re sakhi (Prem Parbat)
> ----------------------------------------------------
>
> doston, hamein pataa hai ki yeh geet aapne bahut zyaada naheen
sunaa
> hogaa, aur aajkal kahin par sunaaee naheen deta hoga yeh gaana. yeh
> film Prem Parbat ka geet hai. is film ka Lataji ka gaaya "yeh dil
aur
> unki nigaahon ke saaye" to aap ne kai kai baar sunaa hogaa aur aaj
> bhi 'radio' par bajte rehte hain. lekin yeh jo geet hamne aapko
> sunwaaya yeh bahut hi kamcharchit geeton mein se ek hai. is geet ke
> sangeetkaar the Jaidev, geetkaar Jan Nisar Akhtar, aur kya aap
> andaazaa lagaa sakte hain ki is geet ko kis gaayika ne gaaya tha?
jee
> haan doston, isi gaayika ka zikr aaj VBLC Sangeet Ke Sitaare mein
> hogi, aur yeh aawaaz hai Minu Purushottam ki.
>
> ---------------------------------------------
> Song: peetal ki meri gaagree (Do Boond Paani)
> ---------------------------------------------
>
> Muni Purushottam, Parveen Sultana aur sakhiyon ki aawaazon mein Do
> Boond Paani film ka yeh geet sunkar jaise man kisi sudoor gaaon ki
or
> kheenchee chali jaati hai, aur hamaari aankhon ke saamne se jaise
> panghaT se paani bharkar gaaon ki goriyaan gungun karti huyi guzar
> jaati hain. doston, miTTi ki saundhee saundhee mahak thi is geet
> mein. is desh ki miTTi ki Khushboo liye yeh geet dil ko ek ajeeb
> sukoon pradaan karti hai. aur is geet mein shaamil aawaazon mein
> jaise isi miTTi ka sureelaapan kooT kooT kar samaaya huyaa hai. lok
> geet ke andaaz mein gaaya huya yeh geet Minu Purushottam aur
Parveen
> Sultana ke anooThe aawaazon ka parichay karaata hai. Kaifi Azmi ke
> bol aur Jaidev ka sangeet tha is geet mein. aur ab Minu Purushottam
> ke gaayiki ka ek aur misaal pesh hai film Tarzan Ki Mehbooba se.
>
> ---------------------------------------------------
> Song: zindagi kitni haseen hai (Tarzan Ki Mehbooba)
> ---------------------------------------------------
>
> Minu Purushottam ka janm 24 November 1944 ko Patiala mein ek
krishak
> parivaar mein huya. bachapan se hi sangeet mein dilchaspee hone ke
> kaaraN unhone shaastriya sangeet ke taaleem haasil kee suprasiddha
> shaastriya gaayak aur guru Pandit Laxman Prasad Jaipurwale se. Minu
> Bambai aakar sangeet mein Vishaarad, yaani ki snaatak ki 'degree'
> haasil kee. jahaan tak filmi duniya mein qadam rakhne ki baat hai,
to
> Minu Prushottam keval 16 varsh ki aayu mein hi is kshetra se juD
gayi
> theen. pehli baar unhone Mohd Rafi saahab ke saath ek yugal geet
> gaaya tha film China Town mein jiske sangeekaar the Ravi aur
geetkaar
> the Majrooh Sultanpuri. yeh film aayi thi san 1962 mein aur woh
yugal
> geet tha yeh...
>
> ---------------------------------------------------
> Song: dekho jee ek baala jogi matwaala (China Town)
> ---------------------------------------------------
>
> doston, isse pehle ki ham aur sangeetkaaron ke liye Minu ke gaaye
> geeton ka zikr karen, aaiye kyun na sangeetkaar Ravi aur gaayika
Minu
> Purushottam ki joDee ke kuchh naGhmon ki jhalkiyaan sunte chalen
> yahaan par. yeh hai film Amanat ka naGhmaa...
>
> ------------------------------------------------------
> Clip: har ek dil mein koi amaanat hai amaanat (Amanat)
> ------------------------------------------------------
>
> film Mehmaan...
>
> ----------------------------------------------------
> Clip: khule gagan ke neeche panchhi jhoome (Mehmaan)
> ----------------------------------------------------
>
> doston, in dono geeton ke sangeetkaar the Ravi aur geetkaar the
Sahir
> Ludhianvi. Sahir Ludhianvi aur sangeetkaar Roshan ne Minu
Purushottam
> ki pratibhaa ko na keval saraaha balki apni mahatwaakaanshi film
Taj
> Mahal mein unse gaane bhi gawaaye. jee haan, Suman Kalyanpur ke
saath
> milkar Minu Purushottam ne film Taj Mahal ka yeh geet gaaya tha.
yeh
> film China Town ke agle hi saal, yaani ki 1963 mein aayi thi.
>
> -----------------------------------------------------------
> Song: na haath na lagaana tose baar baar kahoon (Taj Mahal)
> -----------------------------------------------------------
>
> Minu Purushottam ne film sangeet mein ho sakta hai ki bahut zyaada
> naam na kamaaya ho, lekin Gair filmi rachnaaon aur Khaaskaar GHazal
> gaayikee mein apna ek alag hi muqaam, ek alag hi darjaa haasil kiya
> tha. film sangeet mein sangeetkaar Madan Mohan ko 'King of Ghazals'
> kahaa jaata hai. unhi ki chhatrachhaaya mein Minu ne Ghazal gaayiki
> ke kai aayaam seekhe. san 1964 mein film Ghazal mein Madan Mohan ka
> mashoor sangeet tha, is film mein Lata Mangeshkar aur Minu
> Purushottam ka gaaya ek baDaa hi Khoobsoorat naGhma tha, "unse
nazren
> mili aur hijaab aa gaya", lekin jo 'gramophone record release' huya
> usmein is gaane mein aawaazen theen Lata Mangeshkar aur Suman
> Kalyanpur ki. Khair, aage chalkar 197x mein Madan Mohan ki ek aur
> mashoor film Heer Ranjha mein Minu Purushottam ne apni aawaaz ke
> jalwe bikhere.
>
> --------------------------------------------
> Clip: tu mera raanjha main teri heer (Kasam)
> --------------------------------------------
>
> is samay aap ne 'tune' kiya hai VBLC Sangeet Ke Sitaare aur is
> shringkhalaa ke antargat aaj aap sun rahe hain anokhi gaayika Minu
> Purushottam ke gaaye huye gaane.
>
> -------------------------------------------------------------
> Clip: baanke sipahiya ji sunlo arjiya hamaar (Biwi Kiraye Ki)
> -------------------------------------------------------------
>
> Ravi, Roshan aur Madan Mohan ke baad ek aur diggaj sangeetkaar
> jinhone 60 ke dashak mein Minu Purushottam ki aawaaz ko sammaan
diya,
> woh the hamaare O P Nayyar saahab. Aziz Kashmiri ke likhe aur
Nayyar
> saahab ke swarbaddha keeye 1965 ki film Yeh Raat Phir Na Aayegi ke
is
> geet mein Asha Bhosle aur Minu Purushottam ki aawaazon ne
sunnewaalon
> ke dilon par woh jaadoo keeye ki jiska asar aaj tak qaayam hai.
>
> ------------------------------------------
> Song: huzoor-e-waala jo ho ijaazat (YRPNA)
> ------------------------------------------
>
> Minu Purushottam ki aawaaz is miTTi ki aawaaz hai. unke gaaye huye
> har ek geet se isi miTTi ki Khushboo aati hai, aur yahi wajah hai
ki
> unki aawaaz mein itna apnaapan mehsoos hotaa hai ki har ek geet dil
> ko chhoo jaata hai. unki gaayikee ki isi Khoobi ko har sangeetkaar
ne
> ubhaaraa aur nikhaara hai apne apne andaaz mein, phir chaahe woh
> Madan Mohan hon yaa O P Nayyar, Jaidev ho yaa Laxmikant Pyarelal.
jee
> haan doston, ab ham aapko sunwaa rahe hain shaayad Minu Purushottam
> ka gaaya sabse 'hit' filmi geet. Laxmikant Pyarelal ke sangeet mein
> Lata Mangeshkar ke saath gaaya unka yeh thiraktaa huya nGhmaa Yash
> Chopra ke 'banner' Yash Raj Films ki pehli nirmit film Daag ka hai
jo
> aayi thi san 1970 mein.
>
> ------------------------------------
> Song: ni main yaar manaana ni (Daag)
> ------------------------------------
>
> sangeetkaar Jaidev ka sangeet bhi shaastriyataa aur lok sangeet ke
> rangon mein rangaa huya hota tha. aise mein Minu Purushottam ki
> aawaaz unke lok dhuno mein Dhale geeton mein jaan Daal dene mein
koi
> kasar baaki naheen rakhti thi. film Prem Parbat aur Do Boond Paani
ke
> geeton ko to aap sun hi chuke hain. Jaidev ke sangeet mein Kaifi
Azmi
> ka kalaam ab aap ki nazr karne jaa rahe hain 1976 ki film Faasla ka
> naGhmaa Minu Purushottam aur Bhupinder ki aawaazon mein. is film ka
> nirmaaN evam nirdeshan kiya tha Khwaja Ahmed Abbas ne.
>
> -----------------------------------------------------
> Song: nigaahen churaao na daaman chhuDaao na (Faasla)
> -----------------------------------------------------
>
> doston, ab tak aap ne is kaaryakram mein Minu Purushottam ke gaaye
> kuchh aise gaane sune jin geeton ko baDe hi naamcheen sangeetkaaron
> ne swarbaddha keeye the. aur ab kuch aise geeton ki bhi jhalkiyaan
> pesh hain jinhe Minu Purushottam ne kuchh kamcharchit sangeetkaaron
> ke liye gaaya tha. doston, VBLC Sangeet Ke Sitaare mein ham aise hi
> kamcharchit kalaakaaron ko shaamil karte hain. ho sakta hai ki in
> sangeetkaaron ka zikr hamaare aanewaale kisi kaaryakram mein
vistaar
> se ho. lekin yahaan par sunte inke ek ek geet ki jhalak Minu ki
> aawaaz mein. yeh hain sangeetkaar C Arjun, film Love in Kashmir...
>
> --------------------------------------------------------------
> Clip: aayi phir ek shaam dilbar tumhare naam (Love in Kashmir)
> --------------------------------------------------------------
>
> sangeetkaar Hari Arjun, film Hum Bhi Kuchh Kam Nahin...
>
> ---------------------------------------------------------
> Clip: haal par yeh gham kya hai (Hum Bhi Kuchh Kam Nahin)
> ---------------------------------------------------------
>
> film Nagin Aur Sapera, sangeetkaar Harbans...
>
> ----------------------------------------
> Clip: jaane na doongi (Nagin Aur Sapera)
> ----------------------------------------
>
> sangeetkaar Suresh Talwar ke liye film Char Chakram ka gaana...
>
> -----------------------------------------------------
> Clip: o bhole bhaale jawaab nahin tera (Char Chakram)
> -----------------------------------------------------
>
> sangeetkaar Iqbal Qureshi aur geetkaar Farooq Qaiser, film Pahadi
> Nagin...
>
> ---------------------------------------------------
> Clip: tere teeron se dil hua ghaayal (Pahadi Nagin)
> ---------------------------------------------------
>
> Duniya Hai Dilwalon Ki, is film mein sangeet diya tha Jimmy ne...
>
> --------------------------------------------------
> Clip: wayi wayi sarmastam (Duniya Hai Dilwalon Ki)
> --------------------------------------------------
>
> sangeetkaar Sonik Omi aur geetkaar M G Hashmat ke liye Minu
> Purushottam ne film Ranga Khush mein gaane gaaye the...
>
> -------------------------------------------------------
> Clip: chheDega mujhko to kaaToongi tujhko (Ranga Khush)
> -------------------------------------------------------
>
> doston, sangeetkaar Pyarelal ke bhaai Ganesh aur Shankar Jaikishan
ke
> Shankar ne ek saath milkar kuchh filmon mein sangeet diya tha. aisi
> hi ek film thi Yeh Chor Yeh Lutere, jismein Minu Purushottam ne yeh
> geet gaaya tha...
>
> ---------------------------------------------------------
> Clip: dil keeye gum aankh bachaa ke (Yeh Chor Yeh Lutere)
> ---------------------------------------------------------
>
> Minu Purushottam 'stage' par behad sakreeya rahi hain. desh aur
> videsh mein baraabar unhone 'shows' deeye hain naami gaayakon ke
> saath, jinmein shaamil hain Mohd Rafi, Mukesh, Talat Mahmood aur
> Mahendra Kapoor jaise gaayak. Ghazal aur bhajan gaayikee mein apna
ek
> alag mukaam haasil karte huye unke kai LP 'records' bane hain
jinmen
> shaamil hain Ranj Mein Rahat, Rehguzar, O Salone Sanwaria, Bhakti
> Ras, Krishna Ras, Dashaavtaar, Gujarati Vaishnav Bhajan, Man Mandir
> Mein Sai aur Jago Jago Maa Jawaalapaa. Hindi aur apni
maatribhaashaa
> Punjabi ke alaawa Minu ne Marathi, Bangla, Bhojpuri, Sindhi jaisi
> bhaashaaon mein bhi bahut se gaane gaaye hain. doston, ab aaj is
> kaaryakram ka waqt Khatm ho raha hai, lekin Minu-ji ki aawaaz mein
ek
> Ghazal sunwaaye bina kaise is mehfil ko anjaam den. to suniye yeh
> Khoobsoorat Ghazal. VBLC Sangeet Ke Sitaare mein aaj hamne salaam
> kiya Minu Purushottam ki gaayiki ko, sangeet jagat ko unke amoolya
> yogdaan ke liye unhe ham de rahe hain bahut bahut shubhkaamnaaen.
>
> ---------------------------------------
> Song: ranj mein raahat (Nonfilm Ghazal)
> ---------------------------------------
>
> THE END
>

#2176 From: santosh kumar <surhall123@...>
Date:: Sun Mar 1, 2009 4:38 pm
Subject:: Re: Aaj Ke Mehmaan - Juthika Roy (Part 2)
surhall123
Offline Offline
Send Email Send Email
 
hi
 u have mp 3 this rec. ????????????????????/
thanks

--- On Sun, 3/1/09, soojoi_india <soojoi_india@...> wrote:
From: soojoi_india <soojoi_india@...>
Subject: [vividhbharati] Aaj Ke Mehmaan - Juthika Roy (Part 2)
To: vividhbharati@...
Received: Sunday, March 1, 2009, 6:33 PM

AAJ KE MEHMAAN - JUTHIKA ROY
------------ --------- -------

Introduction:

doston namaskaar! Aaj Ke Mehmaan, is kaaryakram mein hamaare mehmaan
hain jaani-maani gaayika Juthika Roy, jinki aawaaz kisi zamaane mein
ghar ghar mein goonjti thi. unke gaaye bhajan un dino behad lokpriya
the. sugam sangeet ke Khazaane ko samriddha karne mein Juthika-ji ka
amoolya yogdaan hai. pitaa Satyendranath Roy aur maataab Snehalata
Roy ki doosri santaan Juthika Roy ka janam 12 April 1920 yaa 1921
mein huya tha, saal unhe ab Theek se yaad naheen hai. unke saath
baatchit karte huye ham aur aap bhi guzar rahe hain beete yug ki
smritiyon ki galiyaare se. pichhle bhaag mein Juthika-ji ne hamein
bataaya tha ki kis tarah se unki maa aur unke pitaaji ne unhe gaayan
ki or pryotsaahit kiya, is kshetra mein aage baDhne mein madad kee.
unki pehli baar 'radio' par gaane ka anubhav, unki taaleem ke baare
mein bhi baatchit huyi. raashTrapita Mahatma Gandhi, Pandit
Jawaharlal Nehru aur Sarojini Naidu jaise mahaan hastiyon se huyi
unki mulaaqaat ke baare mein Juthika-ji ne hamein vistaar se bataaya
tha. to aaiye sunte hain jaani-maani gaayika Juthika Roy se Kamal
Sharma ki baatchit par aadhaarit is kaaryakram ka doosra aur antim
bhaag.

Interview:

PART 2
------

JR: Juthika Roy
KS: Kamal Sharma

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: ghunghaT ka paT khol re tohe piya milenge (Live at VB)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

KS: Juthika-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aapka bahut
bahut swaagat hai ek baar phir se. Bangla aapki maatribhaashaa hai,
aur Hindi mein bhi aap ne bahut saari rachnaaen gaayeen hain, to us
samay aapko Hindi aati thi yaa baad mein aap ne Hindi seekhee?

JR: pehle jab main 3/4 gaana gaayi na, tab main Hindi naheen jaati
thi, woh 'trainer' jo the, Kamal Dasgupta, woh Hindi ko Bangla mein
likh likh ke dete the.

KS: likh likh ke dete the aur is tarah se seekhaaya

JR: 'pronunciation' Theek naheen hota tha

KS: lekin gaane mein to aap ne kamaal kiya hai

JR: haan. jab Bombay, Allahabad, sab jagah pe 'record' niklaa
to 'record' se hamko pehchaan liya sab ne. hamko bulaate the.
kisi 'school' mein 'charity' karna hai, kisi anushThaan mein gaana
hai, to hamko bulaate the.

KS: dekhiye yeh sab 'records' jo aap dekh rahi hain, yeh sab 78RPM
ke 'records' hain. aur mujhe jaisa ki maaloom hai poori duniya mein
yeh 'records' aajkal banna ek to band ho gaye hain aur na hi bajaata
hai koi, CD ka zamaana aa gaya hai, lekin Vivid Bharati Service par
ham yeh 'records' aaj bhi bajaate hain. to kyun na ham aapka
ek 'record', 78RPM ka...

JR: zaroor sunaaiye.

------------ --------- --------- --------- ---------
Song: ghar aayo preetam pyaara (Non-film Bhajan)
------------ --------- --------- --------- ---------

KS: Kamal Dasgupta ki jab ham baat karte hain, aap ne unka zikr kiya
bhi hai, aap ke zyaadaatar bhajanon mein unka sangeet hai.

JR: pehle shuruwaat se shesh tak main unke sur mein gaayi hoon, jo
bhi mere 'records' bane hain. Hindi bhajan, pehle shuru kiya aadhunik
se, unhone mere naam ke upar ek gaane ko sur diya tha "aami bhorer
juthikaa"

KS: oh!

JR: (laughs) isi tarah ek gaana banaaya tha. pehla 'first' 'record'
kiya tha "shaanjher taarokaa aami poth haaraaiye". ek hai "aami
bhorer juthikaa raater sheshe shaajiye raakhi kaanuno bithika", yeh
hai pehle ka gaana, aur doosra gaana hai "shaanjher taarokaa aami
poth haaraaiye eshechhi here". yeh pehla 'modern' gaana hai,
pehle 'modern' gaana naheen tha, yeh pehli tarah ka banaaye hain.

------------ --------- --------- --------- --------- -----
Song: aami bhorer juthikaa raater sheshe (Live at VB)
------------ --------- --------- --------- --------- -----

KS: "main bhor ki juthikaa"

JR: haan, ekdam bhor ki, juthika matlab juhi phool, ekdam subah mein
khilta hai.

KS: aap ki aawaaz bhi to barson baras bhor ki juhi phool ki tarah
khilti rahi, log uski Khushboo ko aaj bhi mehsoos karte hain, hamaare
yahaan bhi ham jab jab aapka gaana sunaate hain, to aisa hi mehsoos
karte hain, woh Khushboo unke hriday mein taaza ho jaati hain.

JR: yeh bhor ka huya, ab saanjh ka aa gaya.

------------ --------- --------- --------- --------- ---------
Song: shaanjher taarokaa aami poth haaraaiye (Live at VB)
------------ --------- --------- --------- --------- ---------

KS: 'modern' geet, Bangla 'modern' geet...

JR: 'modern' geet, ekdam 'first Bangla modern' geet hai yeh, abhi tak
chalta hai.

KS: 12 baras ki umra mein shaayad pehla Hindi gaana aap ne gaaya

JR: haan.

KS: woh kaun sa gaana tha?

JR: tab to Hindi ka 'department' naheen tha, Bangla 'department' se
hi 'company' ne mujhse kahaa ki 'Hindi bhajan karo'. aur phir jab woh
gaana 'hit' huya ham Hindi bhi kuchh naheen jaante the, to gaana bhi
bahut 'hit' huya, tab 'company' ne kahaa ki Meerabai, Kabeer, Surdas
ke jitne kitaaben milenge, sab aadmi ko bhej diya, saare gaaon shahar
ghoom ghoom kar ikaTTha kiya, Pandit Madhur ko Lucknow se bulaaye,
woh sab 'correction' kiya, phir Kamal Dasgupta ne sur diya, 'company'
se kahaa gaya ki yeh gaane sab Kuthika gaayengi.

------------ --------- --------- --------- ------
Song: nainan mere tumhri or (Non-film Bhajan)
------------ --------- --------- --------- ------

KS: jaise ki aap ne bataaya Pandit Madhur, unhone us zamaane ki bahut
saari filmon mein bhi geet likhe.

JR: bahut, filmon mein bhi likha, bhajan likha, geet likha, varshaa,
holi, "aayi badariya kaari mathura se aayi ri"

KS: kya baat hai. us samay to zyaadaatar logon ke gharon
mein 'gramophone record' bajaane ki suvidhaa naheen thi, 'radio'
sunte the. to jab unko pataa chalta ki aaj unke beech JUthika Roy
aanewaali hain, uske baare mein koi ghaTanaa yaad hai, koi smriti?

JR: aisa naheen. woh bulaate the, 'invite' karte the, main Kalkatta
se jaati thi, bahut pyaar karte the, bahut sammaan dete the, Khaaskar
Bombay se sabse zyaada hamein milaa, meri bhajanon ka aisa moolya hai
mujhe naheen maaloom tha, lekin ham jab Bombay ke 'public' ke saamne
gaaye, pehle hamko bahut Dar tha ki 'public' hamko pasand kare na
kare kyunki wahaan par bahut mashoor mashoor shilpi hain, ham to
thoDaa sa seekha aur idhar aa gaya.

KS: yeh aapka baDappan hai jo aap aisa bol rahi hain

JR: to main jab gaane lagi to dekha ki, main bhajan ko bahut hi
praaNon se gaati hoon, chhoTi umar se gaati hoon, to hamaare saamne
jo sab shrotaaen baiThe hain unki aankhon se paani beh rahe hain.
main to taajjub ho gayi.

------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
Song: tihaari murali main shyaam bajaayun (Non-film Bhajan)
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -

JR: main Kalkatta waapas gayi. jaane se pehle se hi 'telegram'
ki 'didi, aap phir se aaiye, aaoki aawaaz hamaari kaanon mein goonj
rahi hai' (laughs), isi tarah hamko aana paDaa, aapko maaloom hai
kitne baras pehle main aayi hoon.

KS: us zamaane mein bahut saari gaayikaaen, Kanan Devi, Amirbai, in
logon se bhi aapki mulaaqaat hoti thi?

JR: mulaaqaat hoti thi kabhi kisi 'function' mein yaa phir 'radio'
mein mera bhi gaana hai, unka bhi gaana hai, to dono baiThe hain, is
tarah se mulaaqaat hoti thi.

KS: lekin ek dossre ki kalaa ki saraahanaa karte the? jaise aapki koi
rachnaa hai jo aur kalakaar ko pasand aayi, to aap se milkar kahaa
ki...

JR: hamko bahut pasand aaya, ek to ham jaate hain unke paas (laughs),
thoDaa seekhna hai ki unke paas kya hai (KS laughs)

KS: aisa bolti theen?

JR: (laughs) isi ke liye to jaati thi. lekin 'radio' par sunti
thi, 'functions' mein jaati thi

KS: aapke pitaaji ka sapnaa tha ki bahut kam umra aapka 'gramophone
record' nikle. to jab haath mein woh 'gramophone record' aaya to
kaisa lagaa aapko aur pitaaji ko?

JR: woh to bahut khush ho gaye, shabdon mein to bol naheen sakte the,
anubhav kar sakte the, dauD ke upar jaate hain, neeche aate hain
(both laughs)

KS: aapki pehli rachanaa, aapka pehla 'record' aap ne sambhaalkar
rakha hai? aapke paas mein hai woh 'record'?

JR: haan, sab hai, maataaji ne bolaa ki 'jo bhi 'records' tumhaara
nikalta hai woh sab sambhaalkar rakhnaa, jab umra zyaada ho jaaye to
inko lagaakar sunna'.

KS: ek gaane ke kitne paise milte the? 'fees'

JR: yeh to 'royalty system' hai 'gramophone company' mein. 'radio'
par pehle pehle 5 rupaya tha ek gaane ka, baad mein 'artistes
association' banaakar 'fight' kiya to 75 rupaya karke huya. yeh
chalte chalte hamaara 4000 huya tha Calcutta mein.

KS: gaana aapka sunkar ke bahut logon ne aap ko film ke liye bhi
aamantrit kiya hogaa, film mein gaane ke liye?

JR: haan bahut kiya, aur bahut 'refuse' kiya maine.

KS: kyun 'refuse' kiya?

JR: dekhiye mujhe bhakti moolak geet gaane ka bahut hi shauk hai,
mujhe jab bulaaya film mein, tab film ka 'standard' isi tarah achchha
naheen tha, bahut achchha naheen tha, bahut achchha sangeetkaar bhi
naheen the, achchha yantra bhi naheen hai

KS: kaam chalaau

JR: mujhe lagaa ki 'standard' Theek naheen hai, 'standard low' ho
jaayega. jab Lataji aaye tab 'standard' bahut achchha huya, bahut
baDe baDe sangeetkaar, sab achchha hone lagaa. lekin us waqt bhi
hamko bahut bulaaye hain film mein gaane ke liye lekin hamko achchha
naheen lagta tha. dekhiye us waqt tak bhajan gaate gaate hamaare dil
mein aisa ho gaya tha ki bhajan ke siwaa ham kuchh naheen gaayenge.

------------ --------- --------- --------- --------- ---------
Song: kanhaiya pe tan man luTaane chali (Non-film Bhajan)
------------ --------- --------- --------- --------- ---------

JR: film mein to aisa hota hai ki jo 'situation' hota hai, jo
paristhiti hoti hai, usi ke kaaran woh gaana chalta hai. usmein
hamaara koi pasand na-pasand naheen chalegi.

KS: kahaani ki zaroorat ke hisaab se gaana paDegaa aur unke man ki
Khushi, aapke man ki Khushi...

JR: aur isliye hamne manaa kar diya. ismein rupaya zyaada milta tha
aur idhar se rupaya zyaada naheen milaa. film mein jaane se hamko
zyaada rupaya milta tha, lekin rupaya ke liye gaane ko toDnaa ham
achchha naheen maante the.

KS: yaani kalaa ko dhan se tolnaa aapne naheen chaahaa. kyunki gaayan
jo hai aapki pooja hai, isliye aap film sangeet ki taraf naheen gaye.

JR: baad mein kya huya, aise bahut aate the, ham 'naa naa' bolte the,
to bahut kharaab lagta tha kyunki log bahut door se aate the, bolte
the 'didi, gaaiye gaaiye', aur ham 'naheen naheen'. hamne aisa mazaak
kiya ki 'hamko aisa 'rate' chaahiye', udhar kya hai ki filmi gaane
ka 'rate' hai zyaada, lekin woh 'royalty' naheen dete the, filmi
gaana zyaada bikta hai lekin woh 'royalty' naheen deta. to hamne
kahaa ki 'royalty' bhi dena paDegaa, 'fees' bhi dena paDegaa
aur 'royalty' bhi dena paDegaa (laughs), aur agar bhakti-moolak gaana
agar aap karen Theek se to ham gaa sakte hain.

------------ --------- --------- --------- --------- --------
Song: main to giridhar aage naachoongi (Non-film Bhajan)
------------ --------- --------- --------- --------- --------

JR: ab koi bolenge 'iske saath gaayo, uske saath gaayo', ham naheen
gaayenge

KS: sankoch bhi hota tha

JR: maine aisa bol diya to sab bhaag jaate the (both laughs). woh
bolte the 'naheen naheen, filmon mein yeh naheen chalta'. hamko bhi
kahaan jaana tha!

KS: aap ne bhakti moolak gaane zyaada gaaye hain...

JR: aur 'last' mein kya huya ki Debaki Bose, naam to suna hoga

KS: jee jee

JR: unhone Vidyapati aur... Vidyapati kitna sundar banaaya tha,
unhone aakar kahaa ki hamaara Ratandeep ban raha hai, aapko gaana hi
paDegaa. maine bolaa 'aap ne to sunaa hi hai, ab main kya bataayun!'
(laughs). to bole ki 'haan haan, main sab karoonga, aap jaisa jaisa
bolenge ham waise hi 'situation' banaake sab karenge', to main maan
gayi, unko naa naheen kar sakti thi, aur film mein gaayi.

KS: to film thi Ratnadeep?

JR: haan Ratandeep

KS: aur yeh Hindi ki film thi?

JR: haan, aur bhajan bhi diya, woh "main to raam ratan dhan paayo",
aur "preet kiye dukh hoye, yeh jaane sab koye". sangeetkaar the Robin
Chatterjee.

------------ --------- --------- --------- --------- -----
Song: main to raam ratan dhan paayo (Ratnadeep, 1952)
------------ --------- --------- --------- --------- -----

JR: iske baad Pandit Madhur ke aagrah par Lalkar film mein bhi gaayi
thi do geet, "yeh desh ki dulhan hamaare saath chali hai", aur "mere
preetam hain ghanshyaam".

------------ --------- --------- --------- --------- -
Song: mere preetam hain ghanshyaam (Lalkar, 1956)
------------ --------- --------- --------- --------- -

KS: Lataji jab aayeen is kshetra mein to ek parivartan bhi aaya. film
ki jo gaayiki thi, uske gaayan ka andaaz bhi, badlaav sa aaya aur
unhone kaafi lokapriya bhi banaaya. Lataji se aapki bhenT ke baare
mein jaanna chaahenge.

JR: Lataji se meri Kalkatta mein, shaayad 1942-43 hogi baras (it
should be 1952-53)

KS: itni puraani mulaaqaat!

JR: Kalkatta ke Governor House mein ek 'programme' huya tha 3 din ke
liye, bahut baDaa 'programme', Kalkatta ke jitne shilpi hain aur
Bombay ke jitne shilpi hain, sab milkar udhar 'programme' huya tha.
aur siak udyeshya tha Darjeeling mein Deshbandhu Chittaranjan ke naam
par ek 'hospital' banaayenge jo rupay udhar se 'collect' hogaa. to
Lataji 'first time' hamaare Kalkatte mein aayeen aur yeh Rafi, Geeta,
sab koi Kalkatte mein aaye. Kalkatta ke bhi sab the, Pankaj Mullick,
main, aur 3 dino ke liye baari baari se, kyunki itne saare shilpi ho
gaye the, 'claasical' bhi tha, is tarah se bahut sundar 'programme'
huya.

KS: to didi, Lata didi ka bhi ek 'record' rakha huya hai hamaare
saamne, aur unhone Bangla rachanaa gaayi hain, yeh sunwaayen?

JR: haan, lekin Lataji ne hamaare Bangla mein jo gaayi hain woh abhut
sundar hai.

KS: to shrotaaon ke liye aap ki taraf se ham bajaa rahe hain Lataji
ka gaaya yeh geet.

------------ --------- --------- --------- --------- -
Song: boDo bishaado bhoraa rojoni (Lata - Bangla)
------------ --------- --------- --------- --------- -

KS: sangeet ki taraf sirf aap hi aayeen ki ghar ka koi aur bhi
sadasya...

JR: naheen, sab koi hai, ek bahan 'guitar' bajaati hai, doosri bahan,
chhoTi bahan 'classical' seekha hai, ek Kanan ke paas, pehle bhi
gaate the, 'radio' par bhi gaate the, 'record' kiya unhone, lekin kya
huya ki baad mein 'office' mein gaya, paDhaai mein bhi achchha tha,
hamaara paDhaai bahut achchha naheen huya, maataaji kehti theen
ki 'tum gaana to bahut achchha gaati ho, lekin paDhaai
mein 'graduate' hona paDegaa'. maine kahaa 'maataaji, main koshish to
karoongi lekin 'time' to naheen milta hai'. 'naheen, jitni
dafe 'fail' karo koi baat naheen, lekin tumko 'graduate' hona hi
paDegaa', aisa bolti thi. aisa unke man mein tha ki paDhaai naheen
seekhne se kuchh naheen hogaa. to maataaji ki baaten ham bahut sunte
the, maataaji jaise sakhi hain, jaise khelne ke saathi hain, guru
hain, aur sab bhi hain

KS: bilkul sahi, maa bhi hain, saheli bhi hain, aur guru bhi hain

JR: jo kuchh baaten hoti thi, sab kuchh maataaji ke paas aake bolte
the. to maataaji bhi hamko bahut pyaar karti thi, hamaare liye jeevan
beetaaya hai. to ham teeno jaakar maataaji ko bolaa ki 'hamne
swaamiji se vrat liya ki 'ornaments' naheen pahenenge,
brahmacharya, 'ornaments' naheen pahenna, saaDee vaaDee mein zyaada
dhyaan naheen denaa, ekdam safed kapDaa, aur shaadi mein jaana
naheen, koi utsav mein jaana naheen, paaon mein joote bhi naheen
pahenna'. is tarah teeno 12 baras tak aise raha, ekdam 'vegetarian' ,
yeh kehte hain brahmacharya, man ko tayyaar karne ke liye yeh
chaahiye, yeh swaamiji ne bolaa, yeh aashram mein bhi ho sakta hai,
yeh ghar mein bhi ho sakta hai, to hamne ghar mein rehkar yeh le
liya. to maataaji ko bahut dukh huya, ham log machhli naheen khaate,
to unhone kya kiya ki haath mein sirf ek shaankhaa rakhaa, ek baalaa
rakhaa, aur saaDee, ham to thoDaa sa 'border' rakhaa, maataaji
ne 'border 0.5 inch' ka rakha, maataaji aise pahenkar aayi. sindoor
nikaal diya, pitaaji hain. hamne kahaa ki 'maataaji, yeh aapne kya
kiya? hamne aisa kiya to aap ne kyun kiya? pitaaji hain, hamaare
saath hone se Theek hota tha, aap ne abhi aisa kyun kiya?'

KS: sahi baat hai, yeh sab suhaaganh ka prateek maante hain

JR: sindoor naheen dene se samaaj naheen maanegaa, samaaj mein kitne
baaten hongi

KS: sahi baat hai

JR: maataaji boleen 'naheen, aisa naheen ho sakta, maataaji ke saamne
uski santaan aise rahegi aur main bindi lagaake, aur sindoor lagaake
aur 'ornaments' lagaake chalegaa? yeh naheen chalta! main bhi aap ke
saath bhugtoongi'. lekin mere pitaaji ne kuchh naheen bolaa, pitaaji
bahut achchhe the, kisi ko kisi raaste mein baadhaa naheen diya.

KS: to ham bhi vrat lete hain yahaan par, machhli to chhoDee jaa
sakti hai lekin sangeet naheen chhoDaa jaa sakta. to gaana sunte hain
aapka.

------------ --------- --------- --------- ---------
Song: aakaash tale jab deep jale (Non-film Song)
------------ --------- --------- --------- ---------

JR: mera parivaar bahut baDaa tha. mera maataaji, pitaaji, do bhaai,
aur 6 bahen, saath mein sab rehte the, aur paDhaai karte the, gaana
seekhte the, ekdam poori shaanti se, ekdam aashram ke jaisa hamaara
ghar tha.

KS: bhara poora

JR: haan, bhara poora, hamaara pitaaji bahut shaant the, guNee the,
maataaji hamaara dekhbhaal karti theen ki ham kisi 'wrong' raste par
na jaayen. bahut nazar rakhti thi, gaane mein 'naheen aisa naheen
gaana, aise gaayo' (laughs)

KS: Tok deti theen

JR: main roz subah riyaaz karti thi, to ek din naheen kiya, achchha
naheen lag raha tha, maataaji ne kahaa ki 'Renu, tumne riyaaz naheen
kiya, kyun?'. maine kahaa 'riyaaz karoon, sunegaa kaun?' to boli
ki 'naheen, chalo chalo chalo, main baiThoongi tumhaare saamne, main
gaana sunoongi, tum riyaaz karo'. to ghar sansaar ke sab kaam
chhoDkar hamaare saath baiThte the.

KS: matlab aapko banaane mein liye unhone aapke saath saath utna hi
tap kiya, utni hi tapasyaa kee aapki maa ne.

JR: jab mera 'recording' huya, naam huya, to sab British saaheb aakar
wahaan 'recording' karte the. to jab hamaara Hindi gaana "ghunghaT ke
paT khol" bahut beekaa to unhone Theek kiya ki hamein ek 'party'
denge aur Gold Medal diya, aur 'photo' kheechenge, aur bhi jo shilpi
hain, 'musicians' jinhone hamaare gaane ko 'tune' diya, aur sab
saaheb log, jo 'balancing' kiya, wahaan sab saaheb log huya karte
the. lekin maataaji boleen 'naheen! abhi tumne kya seekha, abhi to
thoDaa sa hi seekha, ais aisa karne se tumhaara bahut garv ho
jaayegaa, abhi baraabar seekh lo, abhi gaane ko Theek se samajh
lo, 'photo' aur yeh sab baad mein hogaa'. hamaara 'company' mein
koi 'photo' naheen hai, baad mein 1970 mein jab mujhe Padmashree
milaa tab to denaa hi paDegaa (both laughs)

KS: sahi baat hai (laughs)

JR: tab kisi ko bulaanaa, yaa chhoTe chhoTe 'functions' mein jaanaa,
bolti thi 'naheen, abhi naheen jaana, pehle gane ko ekdam Theek
karna, abhi man ko Theek gaane ke upar rakhnaa', aur woh hamko
sansaar ka kuchh kaam naheen karne deti thi

KS: sansaar yaani ghar parivaar ka koi kaam naheen karne deti thi

------------ --------- --------- --------- ---------
Song: ae chaand meri sharmaa naa (Non-film Song)
------------ --------- --------- --------- ---------

JR: ham 8 bhaai bahan hain, hamaari maataaji ne sabke liye ek kavitaa
likhee, mere liye bhi likhee, bahut sundar. maataaji boli ki 'mere
paas to dhan daulat kuchh aapko naheen de paayi, ham yeh aapko
lekhkar de deti hoon'. "shubhro jyotir roopTi niye kole elo phool
kolikaa, bibhor hoye taai rekhechhi naam juthikaa...

KS: kya baat hai

JR: ... aapon mone ghore she je ghare eshe to royna ekaa, shondhe
belaay gunguniye gaan she kore shure jeno modhu jhare"

KS: ek to main aapki daad doonga ki itni puraani hote huye bhi aapko
itni saari baaten, yaaden yaad hain aapko!

JR: (laughs)

KS: aadarNiya Juthika-ji, aap hamaare is 'programme' mein aayeen,
samay ka aap ne ghunghaT haTaaya aur ham pahunch gaye yaadon ke
galiyaaron mein, puraane samay mein, bahut saari baaten huyi aur
bahut achchha lagaa, aur aashcharya bhi hota hai itni oorjaa hai
aapke bheetar mein, bahut saare logon ke jeevan ko aap ne sureela
banaaya hai, bahut logon ko apaar shaanti dee hai aapki rachanaaon
ne, ham bhi bahut parasanna huye, bahut shaanti mili, bahut aanand
aaya, aur apni or se, Vividh Bharati parivaar ki or se, karoDon
shrotaaon ki or se yeh shubhkaamnaa dete hain ki eeshwar aap ko
deerghaayu karen, yahaan aane ke liye tah-e-dil se ham aapka shukriya
adaa karte hain, dhanyavaad!

------------ --------- --------- --------- --------- ---
Song: mere nain baan bahee sakhi ri (Non-film Song)
------------ --------- --------- --------- --------- ---

THE END

Now with a new friend-happy design! Try the new Yahoo! Canada Messenger

#2175 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Mar 1, 2009 1:03 pm
Subject:: Aaj Ke Mehmaan - Juthika Roy (Part 2)
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
AAJ KE MEHMAAN - JUTHIKA ROY
----------------------------

Introduction:

doston namaskaar! Aaj Ke Mehmaan, is kaaryakram mein hamaare mehmaan
hain jaani-maani gaayika Juthika Roy, jinki aawaaz kisi zamaane mein
ghar ghar mein goonjti thi. unke gaaye bhajan un dino behad lokpriya
the. sugam sangeet ke Khazaane ko samriddha karne mein Juthika-ji ka
amoolya yogdaan hai. pitaa Satyendranath Roy aur maataab Snehalata
Roy ki doosri santaan Juthika Roy ka janam 12 April 1920 yaa 1921
mein huya tha, saal unhe ab Theek se yaad naheen hai. unke saath
baatchit karte huye ham aur aap bhi guzar rahe hain beete yug ki
smritiyon ki galiyaare se. pichhle bhaag mein Juthika-ji ne hamein
bataaya tha ki kis tarah se unki maa aur unke pitaaji ne unhe gaayan
ki or pryotsaahit kiya, is kshetra mein aage baDhne mein madad kee.
unki pehli baar 'radio' par gaane ka anubhav, unki taaleem ke baare
mein bhi baatchit huyi. raashTrapita Mahatma Gandhi, Pandit
Jawaharlal Nehru aur Sarojini Naidu jaise mahaan hastiyon se huyi
unki mulaaqaat ke baare mein Juthika-ji ne hamein vistaar se bataaya
tha. to aaiye sunte hain jaani-maani gaayika Juthika Roy se Kamal
Sharma ki baatchit par aadhaarit is kaaryakram ka doosra aur antim
bhaag.

Interview:

PART 2
------

JR: Juthika Roy
KS: Kamal Sharma

------------------------------------------------------------
Song: ghunghaT ka paT khol re tohe piya milenge (Live at VB)
------------------------------------------------------------

KS: Juthika-ji, Vividh Bharati ke is kaaryakram mein aapka bahut
bahut swaagat hai ek baar phir se. Bangla aapki maatribhaashaa hai,
aur Hindi mein bhi aap ne bahut saari rachnaaen gaayeen hain, to us
samay aapko Hindi aati thi yaa baad mein aap ne Hindi seekhee?

JR: pehle jab main 3/4 gaana gaayi na, tab main Hindi naheen jaati
thi, woh 'trainer' jo the, Kamal Dasgupta, woh Hindi ko Bangla mein
likh likh ke dete the.

KS: likh likh ke dete the aur is tarah se seekhaaya

JR: 'pronunciation' Theek naheen hota tha

KS: lekin gaane mein to aap ne kamaal kiya hai

JR: haan. jab Bombay, Allahabad, sab jagah pe 'record' niklaa
to 'record' se hamko pehchaan liya sab ne. hamko bulaate the.
kisi 'school' mein 'charity' karna hai, kisi anushThaan mein gaana
hai, to hamko bulaate the.

KS: dekhiye yeh sab 'records' jo aap dekh rahi hain, yeh sab 78RPM
ke 'records' hain. aur mujhe jaisa ki maaloom hai poori duniya mein
yeh 'records' aajkal banna ek to band ho gaye hain aur na hi bajaata
hai koi, CD ka zamaana aa gaya hai, lekin Vivid Bharati Service par
ham yeh 'records' aaj bhi bajaate hain. to kyun na ham aapka
ek 'record', 78RPM ka...

JR: zaroor sunaaiye.

------------------------------------------------
Song: ghar aayo preetam pyaara (Non-film Bhajan)
------------------------------------------------

KS: Kamal Dasgupta ki jab ham baat karte hain, aap ne unka zikr kiya
bhi hai, aap ke zyaadaatar bhajanon mein unka sangeet hai.

JR: pehle shuruwaat se shesh tak main unke sur mein gaayi hoon, jo
bhi mere 'records' bane hain. Hindi bhajan, pehle shuru kiya aadhunik
se, unhone mere naam ke upar ek gaane ko sur diya tha "aami bhorer
juthikaa"

KS: oh!

JR: (laughs) isi tarah ek gaana banaaya tha. pehla 'first' 'record'
kiya tha "shaanjher taarokaa aami poth haaraaiye". ek hai "aami
bhorer juthikaa raater sheshe shaajiye raakhi kaanuno bithika", yeh
hai pehle ka gaana, aur doosra gaana hai "shaanjher taarokaa aami
poth haaraaiye eshechhi here". yeh pehla 'modern' gaana hai,
pehle 'modern' gaana naheen tha, yeh pehli tarah ka banaaye hain.

-----------------------------------------------------
Song: aami bhorer juthikaa raater sheshe (Live at VB)
-----------------------------------------------------

KS: "main bhor ki juthikaa"

JR: haan, ekdam bhor ki, juthika matlab juhi phool, ekdam subah mein
khilta hai.

KS: aap ki aawaaz bhi to barson baras bhor ki juhi phool ki tarah
khilti rahi, log uski Khushboo ko aaj bhi mehsoos karte hain, hamaare
yahaan bhi ham jab jab aapka gaana sunaate hain, to aisa hi mehsoos
karte hain, woh Khushboo unke hriday mein taaza ho jaati hain.

JR: yeh bhor ka huya, ab saanjh ka aa gaya.

---------------------------------------------------------
Song: shaanjher taarokaa aami poth haaraaiye (Live at VB)
---------------------------------------------------------

KS: 'modern' geet, Bangla 'modern' geet...

JR: 'modern' geet, ekdam 'first Bangla modern' geet hai yeh, abhi tak
chalta hai.

KS: 12 baras ki umra mein shaayad pehla Hindi gaana aap ne gaaya

JR: haan.

KS: woh kaun sa gaana tha?

JR: tab to Hindi ka 'department' naheen tha, Bangla 'department' se
hi 'company' ne mujhse kahaa ki 'Hindi bhajan karo'. aur phir jab woh
gaana 'hit' huya ham Hindi bhi kuchh naheen jaante the, to gaana bhi
bahut 'hit' huya, tab 'company' ne kahaa ki Meerabai, Kabeer, Surdas
ke jitne kitaaben milenge, sab aadmi ko bhej diya, saare gaaon shahar
ghoom ghoom kar ikaTTha kiya, Pandit Madhur ko Lucknow se bulaaye,
woh sab 'correction' kiya, phir Kamal Dasgupta ne sur diya, 'company'
se kahaa gaya ki yeh gaane sab Kuthika gaayengi.

---------------------------------------------
Song: nainan mere tumhri or (Non-film Bhajan)
---------------------------------------------

KS: jaise ki aap ne bataaya Pandit Madhur, unhone us zamaane ki bahut
saari filmon mein bhi geet likhe.

JR: bahut, filmon mein bhi likha, bhajan likha, geet likha, varshaa,
holi, "aayi badariya kaari mathura se aayi ri"

KS: kya baat hai. us samay to zyaadaatar logon ke gharon
mein 'gramophone record' bajaane ki suvidhaa naheen thi, 'radio'
sunte the. to jab unko pataa chalta ki aaj unke beech JUthika Roy
aanewaali hain, uske baare mein koi ghaTanaa yaad hai, koi smriti?

JR: aisa naheen. woh bulaate the, 'invite' karte the, main Kalkatta
se jaati thi, bahut pyaar karte the, bahut sammaan dete the, Khaaskar
Bombay se sabse zyaada hamein milaa, meri bhajanon ka aisa moolya hai
mujhe naheen maaloom tha, lekin ham jab Bombay ke 'public' ke saamne
gaaye, pehle hamko bahut Dar tha ki 'public' hamko pasand kare na
kare kyunki wahaan par bahut mashoor mashoor shilpi hain, ham to
thoDaa sa seekha aur idhar aa gaya.

KS: yeh aapka baDappan hai jo aap aisa bol rahi hain

JR: to main jab gaane lagi to dekha ki, main bhajan ko bahut hi
praaNon se gaati hoon, chhoTi umar se gaati hoon, to hamaare saamne
jo sab shrotaaen baiThe hain unki aankhon se paani beh rahe hain.
main to taajjub ho gayi.

-----------------------------------------------------------
Song: tihaari murali main shyaam bajaayun (Non-film Bhajan)
-----------------------------------------------------------

JR: main Kalkatta waapas gayi. jaane se pehle se hi 'telegram'
ki 'didi, aap phir se aaiye, aaoki aawaaz hamaari kaanon mein goonj
rahi hai' (laughs), isi tarah hamko aana paDaa, aapko maaloom hai
kitne baras pehle main aayi hoon.

KS: us zamaane mein bahut saari gaayikaaen, Kanan Devi, Amirbai, in
logon se bhi aapki mulaaqaat hoti thi?

JR: mulaaqaat hoti thi kabhi kisi 'function' mein yaa phir 'radio'
mein mera bhi gaana hai, unka bhi gaana hai, to dono baiThe hain, is
tarah se mulaaqaat hoti thi.

KS: lekin ek dossre ki kalaa ki saraahanaa karte the? jaise aapki koi
rachnaa hai jo aur kalakaar ko pasand aayi, to aap se milkar kahaa
ki...

JR: hamko bahut pasand aaya, ek to ham jaate hain unke paas (laughs),
thoDaa seekhna hai ki unke paas kya hai (KS laughs)

KS: aisa bolti theen?

JR: (laughs) isi ke liye to jaati thi. lekin 'radio' par sunti
thi, 'functions' mein jaati thi

KS: aapke pitaaji ka sapnaa tha ki bahut kam umra aapka 'gramophone
record' nikle. to jab haath mein woh 'gramophone record' aaya to
kaisa lagaa aapko aur pitaaji ko?

JR: woh to bahut khush ho gaye, shabdon mein to bol naheen sakte the,
anubhav kar sakte the, dauD ke upar jaate hain, neeche aate hain
(both laughs)

KS: aapki pehli rachanaa, aapka pehla 'record' aap ne sambhaalkar
rakha hai? aapke paas mein hai woh 'record'?

JR: haan, sab hai, maataaji ne bolaa ki 'jo bhi 'records' tumhaara
nikalta hai woh sab sambhaalkar rakhnaa, jab umra zyaada ho jaaye to
inko lagaakar sunna'.

KS: ek gaane ke kitne paise milte the? 'fees'

JR: yeh to 'royalty system' hai 'gramophone company' mein. 'radio'
par pehle pehle 5 rupaya tha ek gaane ka, baad mein 'artistes
association' banaakar 'fight' kiya to 75 rupaya karke huya. yeh
chalte chalte hamaara 4000 huya tha Calcutta mein.

KS: gaana aapka sunkar ke bahut logon ne aap ko film ke liye bhi
aamantrit kiya hogaa, film mein gaane ke liye?

JR: haan bahut kiya, aur bahut 'refuse' kiya maine.

KS: kyun 'refuse' kiya?

JR: dekhiye mujhe bhakti moolak geet gaane ka bahut hi shauk hai,
mujhe jab bulaaya film mein, tab film ka 'standard' isi tarah achchha
naheen tha, bahut achchha naheen tha, bahut achchha sangeetkaar bhi
naheen the, achchha yantra bhi naheen hai

KS: kaam chalaau

JR: mujhe lagaa ki 'standard' Theek naheen hai, 'standard low' ho
jaayega. jab Lataji aaye tab 'standard' bahut achchha huya, bahut
baDe baDe sangeetkaar, sab achchha hone lagaa. lekin us waqt bhi
hamko bahut bulaaye hain film mein gaane ke liye lekin hamko achchha
naheen lagta tha. dekhiye us waqt tak bhajan gaate gaate hamaare dil
mein aisa ho gaya tha ki bhajan ke siwaa ham kuchh naheen gaayenge.

---------------------------------------------------------
Song: kanhaiya pe tan man luTaane chali (Non-film Bhajan)
---------------------------------------------------------

JR: film mein to aisa hota hai ki jo 'situation' hota hai, jo
paristhiti hoti hai, usi ke kaaran woh gaana chalta hai. usmein
hamaara koi pasand na-pasand naheen chalegi.

KS: kahaani ki zaroorat ke hisaab se gaana paDegaa aur unke man ki
Khushi, aapke man ki Khushi...

JR: aur isliye hamne manaa kar diya. ismein rupaya zyaada milta tha
aur idhar se rupaya zyaada naheen milaa. film mein jaane se hamko
zyaada rupaya milta tha, lekin rupaya ke liye gaane ko toDnaa ham
achchha naheen maante the.

KS: yaani kalaa ko dhan se tolnaa aapne naheen chaahaa. kyunki gaayan
jo hai aapki pooja hai, isliye aap film sangeet ki taraf naheen gaye.

JR: baad mein kya huya, aise bahut aate the, ham 'naa naa' bolte the,
to bahut kharaab lagta tha kyunki log bahut door se aate the, bolte
the 'didi, gaaiye gaaiye', aur ham 'naheen naheen'. hamne aisa mazaak
kiya ki 'hamko aisa 'rate' chaahiye', udhar kya hai ki filmi gaane
ka 'rate' hai zyaada, lekin woh 'royalty' naheen dete the, filmi
gaana zyaada bikta hai lekin woh 'royalty' naheen deta. to hamne
kahaa ki 'royalty' bhi dena paDegaa, 'fees' bhi dena paDegaa
aur 'royalty' bhi dena paDegaa (laughs), aur agar bhakti-moolak gaana
agar aap karen Theek se to ham gaa sakte hain.

--------------------------------------------------------
Song: main to giridhar aage naachoongi (Non-film Bhajan)
--------------------------------------------------------

JR: ab koi bolenge 'iske saath gaayo, uske saath gaayo', ham naheen
gaayenge

KS: sankoch bhi hota tha

JR: maine aisa bol diya to sab bhaag jaate the (both laughs). woh
bolte the 'naheen naheen, filmon mein yeh naheen chalta'. hamko bhi
kahaan jaana tha!

KS: aap ne bhakti moolak gaane zyaada gaaye hain...

JR: aur 'last' mein kya huya ki Debaki Bose, naam to suna hoga

KS: jee jee

JR: unhone Vidyapati aur... Vidyapati kitna sundar banaaya tha,
unhone aakar kahaa ki hamaara Ratandeep ban raha hai, aapko gaana hi
paDegaa. maine bolaa 'aap ne to sunaa hi hai, ab main kya bataayun!'
(laughs). to bole ki 'haan haan, main sab karoonga, aap jaisa jaisa
bolenge ham waise hi 'situation' banaake sab karenge', to main maan
gayi, unko naa naheen kar sakti thi, aur film mein gaayi.

KS: to film thi Ratnadeep?

JR: haan Ratandeep

KS: aur yeh Hindi ki film thi?

JR: haan, aur bhajan bhi diya, woh "main to raam ratan dhan paayo",
aur "preet kiye dukh hoye, yeh jaane sab koye". sangeetkaar the Robin
Chatterjee.

-----------------------------------------------------
Song: main to raam ratan dhan paayo (Ratnadeep, 1952)
-----------------------------------------------------

JR: iske baad Pandit Madhur ke aagrah par Lalkar film mein bhi gaayi
thi do geet, "yeh desh ki dulhan hamaare saath chali hai", aur "mere
preetam hain ghanshyaam".

-------------------------------------------------
Song: mere preetam hain ghanshyaam (Lalkar, 1956)
-------------------------------------------------

KS: Lataji jab aayeen is kshetra mein to ek parivartan bhi aaya. film
ki jo gaayiki thi, uske gaayan ka andaaz bhi, badlaav sa aaya aur
unhone kaafi lokapriya bhi banaaya. Lataji se aapki bhenT ke baare
mein jaanna chaahenge.

JR: Lataji se meri Kalkatta mein, shaayad 1942-43 hogi baras (it
should be 1952-53)

KS: itni puraani mulaaqaat!

JR: Kalkatta ke Governor House mein ek 'programme' huya tha 3 din ke
liye, bahut baDaa 'programme', Kalkatta ke jitne shilpi hain aur
Bombay ke jitne shilpi hain, sab milkar udhar 'programme' huya tha.
aur siak udyeshya tha Darjeeling mein Deshbandhu Chittaranjan ke naam
par ek 'hospital' banaayenge jo rupay udhar se 'collect' hogaa. to
Lataji 'first time' hamaare Kalkatte mein aayeen aur yeh Rafi, Geeta,
sab koi Kalkatte mein aaye. Kalkatta ke bhi sab the, Pankaj Mullick,
main, aur 3 dino ke liye baari baari se, kyunki itne saare shilpi ho
gaye the, 'claasical' bhi tha, is tarah se bahut sundar 'programme'
huya.

KS: to didi, Lata didi ka bhi ek 'record' rakha huya hai hamaare
saamne, aur unhone Bangla rachanaa gaayi hain, yeh sunwaayen?

JR: haan, lekin Lataji ne hamaare Bangla mein jo gaayi hain woh abhut
sundar hai.

KS: to shrotaaon ke liye aap ki taraf se ham bajaa rahe hain Lataji
ka gaaya yeh geet.

-------------------------------------------------
Song: boDo bishaado bhoraa rojoni (Lata - Bangla)
-------------------------------------------------

KS: sangeet ki taraf sirf aap hi aayeen ki ghar ka koi aur bhi
sadasya...

JR: naheen, sab koi hai, ek bahan 'guitar' bajaati hai, doosri bahan,
chhoTi bahan 'classical' seekha hai, ek Kanan ke paas, pehle bhi
gaate the, 'radio' par bhi gaate the, 'record' kiya unhone, lekin kya
huya ki baad mein 'office' mein gaya, paDhaai mein bhi achchha tha,
hamaara paDhaai bahut achchha naheen huya, maataaji kehti theen
ki 'tum gaana to bahut achchha gaati ho, lekin paDhaai
mein 'graduate' hona paDegaa'. maine kahaa 'maataaji, main koshish to
karoongi lekin 'time' to naheen milta hai'. 'naheen, jitni
dafe 'fail' karo koi baat naheen, lekin tumko 'graduate' hona hi
paDegaa', aisa bolti thi. aisa unke man mein tha ki paDhaai naheen
seekhne se kuchh naheen hogaa. to maataaji ki baaten ham bahut sunte
the, maataaji jaise sakhi hain, jaise khelne ke saathi hain, guru
hain, aur sab bhi hain

KS: bilkul sahi, maa bhi hain, saheli bhi hain, aur guru bhi hain

JR: jo kuchh baaten hoti thi, sab kuchh maataaji ke paas aake bolte
the. to maataaji bhi hamko bahut pyaar karti thi, hamaare liye jeevan
beetaaya hai. to ham teeno jaakar maataaji ko bolaa ki 'hamne
swaamiji se vrat liya ki 'ornaments' naheen pahenenge,
brahmacharya, 'ornaments' naheen pahenna, saaDee vaaDee mein zyaada
dhyaan naheen denaa, ekdam safed kapDaa, aur shaadi mein jaana
naheen, koi utsav mein jaana naheen, paaon mein joote bhi naheen
pahenna'. is tarah teeno 12 baras tak aise raha, ekdam 'vegetarian',
yeh kehte hain brahmacharya, man ko tayyaar karne ke liye yeh
chaahiye, yeh swaamiji ne bolaa, yeh aashram mein bhi ho sakta hai,
yeh ghar mein bhi ho sakta hai, to hamne ghar mein rehkar yeh le
liya. to maataaji ko bahut dukh huya, ham log machhli naheen khaate,
to unhone kya kiya ki haath mein sirf ek shaankhaa rakhaa, ek baalaa
rakhaa, aur saaDee, ham to thoDaa sa 'border' rakhaa, maataaji
ne 'border 0.5 inch' ka rakha, maataaji aise pahenkar aayi. sindoor
nikaal diya, pitaaji hain. hamne kahaa ki 'maataaji, yeh aapne kya
kiya? hamne aisa kiya to aap ne kyun kiya? pitaaji hain, hamaare
saath hone se Theek hota tha, aap ne abhi aisa kyun kiya?'

KS: sahi baat hai, yeh sab suhaaganh ka prateek maante hain

JR: sindoor naheen dene se samaaj naheen maanegaa, samaaj mein kitne
baaten hongi

KS: sahi baat hai

JR: maataaji boleen 'naheen, aisa naheen ho sakta, maataaji ke saamne
uski santaan aise rahegi aur main bindi lagaake, aur sindoor lagaake
aur 'ornaments' lagaake chalegaa? yeh naheen chalta! main bhi aap ke
saath bhugtoongi'. lekin mere pitaaji ne kuchh naheen bolaa, pitaaji
bahut achchhe the, kisi ko kisi raaste mein baadhaa naheen diya.

KS: to ham bhi vrat lete hain yahaan par, machhli to chhoDee jaa
sakti hai lekin sangeet naheen chhoDaa jaa sakta. to gaana sunte hain
aapka.

------------------------------------------------
Song: aakaash tale jab deep jale (Non-film Song)
------------------------------------------------

JR: mera parivaar bahut baDaa tha. mera maataaji, pitaaji, do bhaai,
aur 6 bahen, saath mein sab rehte the, aur paDhaai karte the, gaana
seekhte the, ekdam poori shaanti se, ekdam aashram ke jaisa hamaara
ghar tha.

KS: bhara poora

JR: haan, bhara poora, hamaara pitaaji bahut shaant the, guNee the,
maataaji hamaara dekhbhaal karti theen ki ham kisi 'wrong' raste par
na jaayen. bahut nazar rakhti thi, gaane mein 'naheen aisa naheen
gaana, aise gaayo' (laughs)

KS: Tok deti theen

JR: main roz subah riyaaz karti thi, to ek din naheen kiya, achchha
naheen lag raha tha, maataaji ne kahaa ki 'Renu, tumne riyaaz naheen
kiya, kyun?'. maine kahaa 'riyaaz karoon, sunegaa kaun?' to boli
ki 'naheen, chalo chalo chalo, main baiThoongi tumhaare saamne, main
gaana sunoongi, tum riyaaz karo'. to ghar sansaar ke sab kaam
chhoDkar hamaare saath baiThte the.

KS: matlab aapko banaane mein liye unhone aapke saath saath utna hi
tap kiya, utni hi tapasyaa kee aapki maa ne.

JR: jab mera 'recording' huya, naam huya, to sab British saaheb aakar
wahaan 'recording' karte the. to jab hamaara Hindi gaana "ghunghaT ke
paT khol" bahut beekaa to unhone Theek kiya ki hamein ek 'party'
denge aur Gold Medal diya, aur 'photo' kheechenge, aur bhi jo shilpi
hain, 'musicians' jinhone hamaare gaane ko 'tune' diya, aur sab
saaheb log, jo 'balancing' kiya, wahaan sab saaheb log huya karte
the. lekin maataaji boleen 'naheen! abhi tumne kya seekha, abhi to
thoDaa sa hi seekha, ais aisa karne se tumhaara bahut garv ho
jaayegaa, abhi baraabar seekh lo, abhi gaane ko Theek se samajh
lo, 'photo' aur yeh sab baad mein hogaa'. hamaara 'company' mein
koi 'photo' naheen hai, baad mein 1970 mein jab mujhe Padmashree
milaa tab to denaa hi paDegaa (both laughs)

KS: sahi baat hai (laughs)

JR: tab kisi ko bulaanaa, yaa chhoTe chhoTe 'functions' mein jaanaa,
bolti thi 'naheen, abhi naheen jaana, pehle gane ko ekdam Theek
karna, abhi man ko Theek gaane ke upar rakhnaa', aur woh hamko
sansaar ka kuchh kaam naheen karne deti thi

KS: sansaar yaani ghar parivaar ka koi kaam naheen karne deti thi

------------------------------------------------
Song: ae chaand meri sharmaa naa (Non-film Song)
------------------------------------------------

JR: ham 8 bhaai bahan hain, hamaari maataaji ne sabke liye ek kavitaa
likhee, mere liye bhi likhee, bahut sundar. maataaji boli ki 'mere
paas to dhan daulat kuchh aapko naheen de paayi, ham yeh aapko
lekhkar de deti hoon'. "shubhro jyotir roopTi niye kole elo phool
kolikaa, bibhor hoye taai rekhechhi naam juthikaa...

KS: kya baat hai

JR: ... aapon mone ghore she je ghare eshe to royna ekaa, shondhe
belaay gunguniye gaan she kore shure jeno modhu jhare"

KS: ek to main aapki daad doonga ki itni puraani hote huye bhi aapko
itni saari baaten, yaaden yaad hain aapko!

JR: (laughs)

KS: aadarNiya Juthika-ji, aap hamaare is 'programme' mein aayeen,
samay ka aap ne ghunghaT haTaaya aur ham pahunch gaye yaadon ke
galiyaaron mein, puraane samay mein, bahut saari baaten huyi aur
bahut achchha lagaa, aur aashcharya bhi hota hai itni oorjaa hai
aapke bheetar mein, bahut saare logon ke jeevan ko aap ne sureela
banaaya hai, bahut logon ko apaar shaanti dee hai aapki rachanaaon
ne, ham bhi bahut parasanna huye, bahut shaanti mili, bahut aanand
aaya, aur apni or se, Vividh Bharati parivaar ki or se, karoDon
shrotaaon ki or se yeh shubhkaamnaa dete hain ki eeshwar aap ko
deerghaayu karen, yahaan aane ke liye tah-e-dil se ham aapka shukriya
adaa karte hain, dhanyavaad!

---------------------------------------------------
Song: mere nain baan bahee sakhi ri (Non-film Song)
---------------------------------------------------

THE END

#2174 From: "soojoi_india" <soojoi_india@...>
Date:: Sun Mar 1, 2009 1:03 pm
Subject:: VBLC Sangeet Ke Sitaare - Minu Purushottam
soojoi_india
Offline Offline
Send Email Send Email
 
VBLC SANGEET KE SITAARE
-----------------------

EPISODE 11: MINU PURUSHOTTAM
----------------------------

namaskaar doston! VBLC Sangeet Ke Sitaare kaaryakram ke liye main
aksar aise geetkaar, sangeetkaar aur gaayak gaayikaaon par jaankaari
ki talaash mein rehta hoon jo yaa to behad kamcharchit hain, jinmein
bahut zyaada pratibhaa hone ke baawjood bhi jinhe zyaada khyaati
naheen milee, yaa phir aise fankaar jo apne samay mein to kaafi
charchit huye the lekin waqt ke saath saath aaj unki yaaden dhundlee
ho gayi hain. aise fankaaron, aise sangeet sitaaron ki sureelee
yaadon ko ek baar phir se aap ke dil mein tar-o-taazaa karne ke
prayaas ka hi naam hai VBLC Sangeet Ke Sitaare. aaj is kaaryakram
mein ham kisi geetkaar ko shaamil kar rahe hain yaa sangeetkaar ko,
yaa phir kisi gaayak yaa gaayika ko, iska andaazaa aap lagaaiye is
gaane ko sunte huye.

----------------------------------------------------
Song: raat piya ke sang jaagi re sakhi (Prem Parbat)
----------------------------------------------------

doston, hamein pataa hai ki yeh geet aapne bahut zyaada naheen sunaa
hogaa, aur aajkal kahin par sunaaee naheen deta hoga yeh gaana. yeh
film Prem Parbat ka geet hai. is film ka Lataji ka gaaya "yeh dil aur
unki nigaahon ke saaye" to aap ne kai kai baar sunaa hogaa aur aaj
bhi 'radio' par bajte rehte hain. lekin yeh jo geet hamne aapko
sunwaaya yeh bahut hi kamcharchit geeton mein se ek hai. is geet ke
sangeetkaar the Jaidev, geetkaar Jan Nisar Akhtar, aur kya aap
andaazaa lagaa sakte hain ki is geet ko kis gaayika ne gaaya tha? jee
haan doston, isi gaayika ka zikr aaj VBLC Sangeet Ke Sitaare mein
hogi, aur yeh aawaaz hai Minu Purushottam ki.

---------------------------------------------
Song: peetal ki meri gaagree (Do Boond Paani)
---------------------------------------------

Muni Purushottam, Parveen Sultana aur sakhiyon ki aawaazon mein Do
Boond Paani film ka yeh geet sunkar jaise man kisi sudoor gaaon ki or
kheenchee chali jaati hai, aur hamaari aankhon ke saamne se jaise
panghaT se paani bharkar gaaon ki goriyaan gungun karti huyi guzar
jaati hain. doston, miTTi ki saundhee saundhee mahak thi is geet
mein. is desh ki miTTi ki Khushboo liye yeh geet dil ko ek ajeeb
sukoon pradaan karti hai. aur is geet mein shaamil aawaazon mein
jaise isi miTTi ka sureelaapan kooT kooT kar samaaya huyaa hai. lok
geet ke andaaz mein gaaya huya yeh geet Minu Purushottam aur Parveen
Sultana ke anooThe aawaazon ka parichay karaata hai. Kaifi Azmi ke
bol aur Jaidev ka sangeet tha is geet mein. aur ab Minu Purushottam
ke gaayiki ka ek aur misaal pesh hai film Tarzan Ki Mehbooba se.

---------------------------------------------------
Song: zindagi kitni haseen hai (Tarzan Ki Mehbooba)
---------------------------------------------------

Minu Purushottam ka janm 24 November 1944 ko Patiala mein ek krishak
parivaar mein huya. bachapan se hi sangeet mein dilchaspee hone ke
kaaraN unhone shaastriya sangeet ke taaleem haasil kee suprasiddha
shaastriya gaayak aur guru Pandit Laxman Prasad Jaipurwale se. Minu
Bambai aakar sangeet mein Vishaarad, yaani ki snaatak ki 'degree'
haasil kee. jahaan tak filmi duniya mein qadam rakhne ki baat hai, to
Minu Prushottam keval 16 varsh ki aayu mein hi is kshetra se juD gayi
theen. pehli baar unhone Mohd Rafi saahab ke saath ek yugal geet
gaaya tha film China Town mein jiske sangeekaar the Ravi aur geetkaar
the Majrooh Sultanpuri. yeh film aayi thi san 1962 mein aur woh yugal
geet tha yeh...

---------------------------------------------------
Song: dekho jee ek baala jogi matwaala (China Town)
---------------------------------------------------

doston, isse pehle ki ham aur sangeetkaaron ke liye Minu ke gaaye
geeton ka zikr karen, aaiye kyun na sangeetkaar Ravi aur gaayika Minu
Purushottam ki joDee ke kuchh naGhmon ki jhalkiyaan sunte chalen
yahaan par. yeh hai film Amanat ka naGhmaa...

------------------------------------------------------
Clip: har ek dil mein koi amaanat hai amaanat (Amanat)
------------------------------------------------------

film Mehmaan...

----------------------------------------------------
Clip: khule gagan ke neeche panchhi jhoome (Mehmaan)
----------------------------------------------------

doston, in dono geeton ke sangeetkaar the Ravi aur geetkaar the Sahir
Ludhianvi. Sahir Ludhianvi aur sangeetkaar Roshan ne Minu Purushottam
ki pratibhaa ko na keval saraaha balki apni mahatwaakaanshi film Taj
Mahal mein unse gaane bhi gawaaye. jee haan, Suman Kalyanpur ke saath
milkar Minu Purushottam ne film Taj Mahal ka yeh geet gaaya tha. yeh
film China Town ke agle hi saal, yaani ki 1963 mein aayi thi.

-----------------------------------------------------------
Song: na haath na lagaana tose baar baar kahoon (Taj Mahal)
-----------------------------------------------------------

Minu Purushottam ne film sangeet mein ho sakta hai ki bahut zyaada
naam na kamaaya ho, lekin Gair filmi rachnaaon aur Khaaskaar GHazal
gaayikee mein apna ek alag hi muqaam, ek alag hi darjaa haasil kiya
tha. film sangeet mein sangeetkaar Madan Mohan ko 'King of Ghazals'
kahaa jaata hai. unhi ki chhatrachhaaya mein Minu ne Ghazal gaayiki
ke kai aayaam seekhe. san 1964 mein film Ghazal mein Madan Mohan ka
mashoor sangeet tha, is film mein Lata Mangeshkar aur Minu
Purushottam ka gaaya ek baDaa hi Khoobsoorat naGhma tha, "unse nazren
mili aur hijaab aa gaya", lekin jo 'gramophone record release' huya
usmein is gaane mein aawaazen theen Lata Mangeshkar aur Suman
Kalyanpur ki. Khair, aage chalkar 197x mein Madan Mohan ki ek aur
mashoor film Heer Ranjha mein Minu Purushottam ne apni aawaaz ke
jalwe bikhere.

--------------------------------------------
Clip: tu mera raanjha main teri heer (Kasam)
--------------------------------------------

is samay aap ne 'tune' kiya hai VBLC Sangeet Ke Sitaare aur is
shringkhalaa ke antargat aaj aap sun rahe hain anokhi gaayika Minu
Purushottam ke gaaye huye gaane.

-------------------------------------------------------------
Clip: baanke sipahiya ji sunlo arjiya hamaar (Biwi Kiraye Ki)
-------------------------------------------------------------

Ravi, Roshan aur Madan Mohan ke baad ek aur diggaj sangeetkaar
jinhone 60 ke dashak mein Minu Purushottam ki aawaaz ko sammaan diya,
woh the hamaare O P Nayyar saahab. Aziz Kashmiri ke likhe aur Nayyar
saahab ke swarbaddha keeye 1965 ki film Yeh Raat Phir Na Aayegi ke is
geet mein Asha Bhosle aur Minu Purushottam ki aawaazon ne sunnewaalon
ke dilon par woh jaadoo keeye ki jiska asar aaj tak qaayam hai.

------------------------------------------
Song: huzoor-e-waala jo ho ijaazat (YRPNA)
------------------------------------------

Minu Purushottam ki aawaaz is miTTi ki aawaaz hai. unke gaaye huye
har ek geet se isi miTTi ki Khushboo aati hai, aur yahi wajah hai ki
unki aawaaz mein itna apnaapan mehsoos hotaa hai ki har ek geet dil
ko chhoo jaata hai. unki gaayikee ki isi Khoobi ko har sangeetkaar ne
ubhaaraa aur nikhaara hai apne apne andaaz mein, phir chaahe woh
Madan Mohan hon yaa O P Nayyar, Jaidev ho yaa Laxmikant Pyarelal. jee
haan doston, ab ham aapko sunwaa rahe hain shaayad Minu Purushottam
ka gaaya sabse 'hit' filmi geet. Laxmikant Pyarelal ke sangeet mein
Lata Mangeshkar ke saath gaaya unka yeh thiraktaa huya nGhmaa Yash
Chopra ke 'banner' Yash Raj Films ki pehli nirmit film Daag ka hai jo
aayi thi san 1970 mein.

------------------------------------
Song: ni main yaar manaana ni (Daag)
------------------------------------

sangeetkaar Jaidev ka sangeet bhi shaastriyataa aur lok sangeet ke
rangon mein rangaa huya hota tha. aise mein Minu Purushottam ki
aawaaz unke lok dhuno mein Dhale geeton mein jaan Daal dene mein koi
kasar baaki naheen rakhti thi. film Prem Parbat aur Do Boond Paani ke
geeton ko to aap sun hi chuke hain. Jaidev ke sangeet mein Kaifi Azmi
ka kalaam ab aap ki nazr karne jaa rahe hain 1976 ki film Faasla ka
naGhmaa Minu Purushottam aur Bhupinder ki aawaazon mein. is film ka
nirmaaN evam nirdeshan kiya tha Khwaja Ahmed Abbas ne.

-----------------------------------------------------
Song: nigaahen churaao na daaman chhuDaao na (Faasla)
-----------------------------------------------------

doston, ab tak aap ne is kaaryakram mein Minu Purushottam ke gaaye
kuchh aise gaane sune jin geeton ko baDe hi naamcheen sangeetkaaron
ne swarbaddha keeye the. aur ab kuch aise geeton ki bhi jhalkiyaan
pesh hain jinhe Minu Purushottam ne kuchh kamcharchit sangeetkaaron
ke liye gaaya tha. doston, VBLC Sangeet Ke Sitaare mein ham aise hi
kamcharchit kalaakaaron ko shaamil karte hain. ho sakta hai ki in
sangeetkaaron ka zikr hamaare aanewaale kisi kaaryakram mein vistaar
se ho. lekin yahaan par sunte inke ek ek geet ki jhalak Minu ki
aawaaz mein. yeh hain sangeetkaar C Arjun, film Love in Kashmir...

--------------------------------------------------------------
Clip: aayi phir ek shaam dilbar tumhare naam (Love in Kashmir)
--------------------------------------------------------------

sangeetkaar Hari Arjun, film Hum Bhi Kuchh Kam Nahin...

---------------------------------------------------------
Clip: haal par yeh gham kya hai (Hum Bhi Kuchh Kam Nahin)
---------------------------------------------------------

film Nagin Aur Sapera, sangeetkaar Harbans...

----------------------------------------
Clip: jaane na doongi (Nagin Aur Sapera)
----------------------------------------

sangeetkaar Suresh Talwar ke liye film Char Chakram ka gaana...

-----------------------------------------------------
Clip: o bhole bhaale jawaab nahin tera (Char Chakram)
-----------------------------------------------------

sangeetkaar Iqbal Qureshi aur geetkaar Farooq Qaiser, film Pahadi
Nagin...

---------------------------------------------------
Clip: tere teeron se dil hua ghaayal (Pahadi Nagin)
---------------------------------------------------

Duniya Hai Dilwalon Ki, is film mein sangeet diya tha Jimmy ne...

--------------------------------------------------
Clip: wayi wayi sarmastam (Duniya Hai Dilwalon Ki)
--------------------------------------------------

sangeetkaar Sonik Omi aur geetkaar M G Hashmat ke liye Minu
Purushottam ne film Ranga Khush mein gaane gaaye the...

-------------------------------------------------------
Clip: chheDega mujhko to kaaToongi tujhko (Ranga Khush)
-------------------------------------------------------

doston, sangeetkaar Pyarelal ke bhaai Ganesh aur Shankar Jaikishan ke
Shankar ne ek saath milkar kuchh filmon mein sangeet diya tha. aisi
hi ek film thi Yeh Chor Yeh Lutere, jismein Minu Purushottam ne yeh
geet gaaya tha...

---------------------------------------------------------
Clip: dil keeye gum aankh bachaa ke (Yeh Chor Yeh Lutere)
---------------------------------------------------------

Minu Purushottam 'stage' par behad sakreeya rahi hain. desh aur
videsh mein baraabar unhone 'shows' deeye hain naami gaayakon ke
saath, jinmein shaamil hain Mohd Rafi, Mukesh, Talat Mahmood aur
Mahendra Kapoor jaise gaayak. Ghazal aur bhajan gaayikee mein apna ek
alag mukaam haasil karte huye unke kai LP 'records' bane hain jinmen
shaamil hain Ranj Mein Rahat, Rehguzar, O Salone Sanwaria, Bhakti
Ras, Krishna Ras, Dashaavtaar, Gujarati Vaishnav Bhajan, Man Mandir
Mein Sai aur Jago Jago Maa Jawaalapaa. Hindi aur apni maatribhaashaa
Punjabi ke alaawa Minu ne Marathi, Bangla, Bhojpuri, Sindhi jaisi
bhaashaaon mein bhi bahut se gaane gaaye hain. doston, ab aaj is
kaaryakram ka waqt Khatm ho raha hai, lekin Minu-ji ki aawaaz mein ek
Ghazal sunwaaye bina kaise is mehfil ko anjaam den. to suniye yeh
Khoobsoorat Ghazal. VBLC Sangeet Ke Sitaare mein aaj hamne salaam
kiya Minu Purushottam ki gaayiki ko, sangeet jagat ko unke amoolya
yogdaan ke liye unhe ham de rahe hain bahut bahut shubhkaamnaaen.

---------------------------------------
Song: ranj mein raahat (Nonfilm Ghazal)
---------------------------------------

THE END

Messages 2174 - 2204 of 2458   Newest  |  < Newer  |  Older >  |  Oldest
Advanced

Copyright 2009 Yahoo! Inc. All rights reserved.
Privacy Policy - Terms of Service - Guidelines - Help